शुक्रवार 26 जून 1970 की अव्यक्त मुरली

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

26-06-1970 madhuban avyakt bāpdādā ōm śhānti 26-06-1970

Kāmdhēnu kā arth|earth

Apnē kō sākṣhātkār mūrt samajhtī hō  ? Mūrti kē pās kisliē jātē haĩ  ? Apnē man key|kī kāmnāō̃ key|kī pūrti kē liē . Aisē sākṣhātkār mūrt banē hō jō kōī ātmā mē̃ kisī bhī prakār key|kī kāmanāyē̃ hō̃ , unkī pūrti kar sakō . Alpkāl key|kī kāmanāyē̃ nahī̃ , sadā kāl key|kī kāmanāyē̃ pūrī kar saktī hō  ? Kāmdhēnu mātāō̃ kō kahā jātā hai nā . Kāmdhēnu kā arth|earth hī hai - sarv key|kī manōkāmanāyē̃ pūrī karnē vālī . Jiskī apnī sarv kāmanāyē̃ pūrī hōṅgī , vahī aurō̃ key|kī kāmanāyē̃ pūrī kar sakē̃gī . Sadaiv yahī lakṣhya rakhō ki hamkō sarv key|kī kāmanāyē̃ pūrṇ karnē vālī mūrti bannā hai . Sarv key|kī ichchhāyē̃ pūrṇ karnē vālē svayã ichchhā mātram avidyā hōṅgē . Aisā abhyās karnā hai . Prāpti svarūp bannē sē aurō̃ kō prāpti karā saktē hō . Tō sadaiv apnē kō dātā athavā mahādānī samajhnā hai . Mahāgyānī bannē kē bād mahādānī kā kartavya chaltā hai . Mahāgyānī key|kī parakh mahādānī bannē sē hōtī hai . Sair karnā achchhā lagtā hai . Jinhō̃ kō sair karnē key|kī ādat hōtī hai , vah sadaiv sair kartē haĩ . Yahā̃ bhī aisē hai . Jitnā svayã sair karē̃gē utnā aurō̃ kō bhī buddhiyōg sē sair karāyēṅgē . Āp lōgō̃ sē sākṣhātkār hōnā hai . Jaisē sākār rūp K|kē sāmnē ānē sē harēk kō bhāvnā anusār sākṣhātkār vā anubhav hōtā thā . Aisē āp lōgō̃ dvārā bhī second by second anēk anubhav vā sākṣhātkār hōṅgē . Aisē darśhanīy mūrt vah sākṣhātkār mūrt tab banē̃gē jab avyakt ākr̥ti rūp dikhāyēṅgē . Kōī bhī sāmnē āyē tō usē śharīr na dikhāī dē lēkin sūkṣhmavatan mē̃ prakāśhmay rūp dikhāī dē . Sirph mastak key|kī light nahī̃ lēkin sārē śharīr dvārā light K|kē sākṣhātkār hōṅgē . Jab light hī light dēkhē̃gē tō svayã bhī light rūp hō jāyēṅgē . Achchhā  !

* * * ōm śhānti * * *