रविवार 24 अक्टूबर 1971 की अव्यक्त मुरली

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

>

24-10-71 ōm śhānti avyakt bāpdādā madhuban

Nazar sē nihāl karnē key|kī vidhi

Apnē svarūp , svadēśh , svadharm , śhrēṣhṭh karma , śhrēṣhṭh sthiti mē̃ rahtē huē chaltē hō  ? Kyōṅki vartamān samay isī sva-sthiti key|kī sthiti sē hī sarv paristhitiyō̃ kō pār kar sakē̃gē arthāt ‘ pass with honour ’ ban sakē̃gē .

Sirph ēk ‘ sva ’ śhabda bhī yād rahē tō sva-svarūp , svadharm , svadēśh āṭōmē - ṭikalī yād rahēgā . Tō kyā ēk sva śhabda yād nahī̃ rah saktā  ? Sabhī ātmāō̃ kō āvaśhyaktā hai sva-svarūp aur svadharm mē̃ sthit karātē svadēśī banānē key|kī . Tō jis karttavya kē liē nimitt hō athavā jis karttavya kē liē avatarit huē hō , tō kyā kōī karttavya kō vā apnē āpkō jāntē huē , māntē huē bhūl saktē haĩ kyā  ? Āj kōī laukik karttavya kartē huē apnē karttavya kō bhūltē haĩ  ? Ḍô . apnē ḍôkṭarī K|kē karttavya kō chaltē-phirtē , khātē - pītē , anēk kārya kartē huē yah bhūl jātā hai kyā ki mērā karttavya ḍôkṭarī kā hai  ? Tum brāhmaṇ , jinhō̃ kā janm aur karma yahī hai ki sarv ātmāō̃ kō sva-svarūp , svadharm key|kī sthiti mē̃ sthit karānā , tō kyā brāhmaṇō̃ kō vā brahmākumār-kumāriyō̃ kō yah apnā karttavya bhūl saktā hai  ? Dūsrī bāt - jab kōī vastu sadākāl sāth , sammukh rahtī hai vah kabhī bhūl saktī hai  ? Ati samīp tē samīp aur sadā sāth rahnē vālī chīz kaunsī hai  ? Ātmā K|kē sadā samīp aur sadā sāth rahnē vālī vastu kaunsī hai  ? Śharīr vā dēh , yah sadaiv sāth hōnē kāraṇ nirantar yād rahtī hai nā . Bhulātē huē bhī bhūltī nahī̃ hai . Aisē hī ab āp śhrēṣhṭh ātmāō̃ K|kē sadā samīp aur sadā sāth rahnē vālā kaun hai  ? Bāpdādā sadā sāth , sadā sammukh hai . Jabki dēh jō sāth rahtī hai vah kabhī bhūltī nahī̃ , tō bāp itnā samīp hōtē huē bhī kyō̃ bhūltā hai  ? Vartamān samay complain kyā kartē hō  ? Bāp kī yād bhūl jātī hai . Bahut janmō̃ sē sāth rahī huī vastu dēh vā dēh K|kē sambandhī nahī̃ bhūltē tō jissē sarv khazānō̃ key|kī prpti hōtī hai aur sadā pās|pass hai vah kyō̃ bhūlnā chāhiē  ? Chaṛhānē vālā yād ānā chāhiē vā girānē vālā  ? Agar ṭhōkar lagānē vālā bhūl sē bhī yād āyēgā tō unkō haṭā dēgē nā . Tō chaṛhānē vālā kyō̃ bhūltā hai  ? Jab brāhmaṇ apnē svasthiti mē̃ , sv-smr̥ti mē̃ vā śhrēṣhṭh smr̥iti mē̃ sthit rahē̃ tō anya ātmāō̃ kō sthit karā sakē̃gē .

Āp sabhī is samay bāp K|kē sāth-sāth isī karttavya kē liē nimitt hō . Her|har ātmā key|kī bahut samay sē ichchhā vā āśhā kaunsī rahtī hai  ? Nirvāṇ vā muktidhām mē̃ jānē key|kī ichchhā anēk ātmāō̃ kō bahut samay sē rahtī āī hai . Tō un sabhī ātmāō̃ key|kī bahut samay kī rahī huī āśh pūrī karānē K|kē karttavya kē nimitt āp brāhmaṇ hō . Jab tak aisī sthiti nahī̃ banāyēṅgē tō yah karttavya kaisē karē̃gē  ? Agar apnī hī āśh mukti vā jīvanmukti kō prāpt karnē key|kī abhī nahī̃ pūrṇ karē̃gē tō dūsrō̃ key|kī kaisē karē̃gē  ? Mukti vā jīvanmukti kā vāstavik anubhav kyā hōtā hai , vah kyā mukti vā jīvanmukti dhām mē̃ anubhav karē̃gē  ? Mukti mē̃ tō anubhav karnē sē parē hōṅgē aur jīvanmukti mē̃ jīvan-bandh kyā hōtā hai vah avidyā hōnē kāraṇ jīvanmukti mē̃ haĩ - yah bhī kyā anubhav karē̃gē . Lēkin jō bāp dvārā mukti-jīvanmukti kā varsā prāpt hōtā hai , uskā anubhav tō abhī hī kar saktē haĩ nā . Nirvāṇ avasthā vā mukti key|kī sthiti abhī jān saktē hō . Tō mukti-jīvanmukti kā anubhav abhī karnā hai . Jab svayã mukti-jīvanmukti K|kē anubhavī hōṅgē tab hī anya ātmāō̃ kō mukti arthāt apnē ghar aur apnē rājya arthāt svarg K|kē gate|get mē̃ jānē key|kī pās|pass dē sakē̃gē . Jab tak āp brāhmaṇ kisī bhī ātmā kō gate|get - pās|pass nahī̃ dēgē tō vah pās|pass hī nahī̃ kar sakē̃gē . Tō mukti jīvanmukti dhām K|kē gēṭ-pās lēnē vālō̃ key|kī baṛī lambī queue āp lōgō̃ kē pās lagnē vālī hai . Agar gēṭ-pās dēnē mē̃ dērī lagāī tō samay too late hō jāyēgā . Isliē apnē kō sadā sva-svarūp , svadharm , svadēśī samajhnē sē , sadā is sthiti mē̃ sthit rahnē sē hī ēk second mē̃ kisī ātmā kō nazar sē nihāl kar sakē̃gē . Apnē kalyāṇ key|kī vr̥itti sē unhē̃ smr̥iti dilātē her|har ātmā kō gēṭ-pās dē sakē̃gē . Bēchārī taṛaphtī huī ātmāē̃ āp śhrēṣhṭh ātmāō̃ sē sirph ēk second mē̃ apnē janm-janm key|kī āśhā pūrī karnē kā dān māṅgnē āyēṅgī .

Itnī sarv śhaktiyā̃ jamā kī haĩ jō master sarvśhaktivān ban ēk second key|kī vidhi sē un ātmāō̃ kō siddhi prāpt karāō  ? Jab science rachnā key|kī śhakti din - pratidin kāl arthāt samay kē ūpar vijay prāpt kartī jā rahī hai , her|har kārya mē̃ bahut thōṛē samay key|kī vidhi sē kārya key|kī siddhi kō prāpt kartē jā rahē haĩ . Switch on kiyā aur kārya siddha huā . Yah vidhi hai nā . Tō kyā master rachayitā apnē silence key|kī śhakti sē vā sarv śhaktiyō̃ sē ēk second key|kī vidhi sē kōī kō siddhi nahī̃ dē saktē haĩ  ? Tō ab is śhrēṣhṭh sēvā key|kī āvaśhyaktā hai . Aisē sēvādhārī vā khudāī-khidamadagār banō .

Nayanō̃ key|kī īśhvarīy khumārī khidmat karē . Kyōṅki ātmāē̃ anēk janmō̃ sē anēk prakār K|kē sādhan kartē-kartē thakī huī haĩ . Abhī siddhi chāhtē haĩ , na ki sādhnā . Tō siddhi arthāt sadgati . Tō aisē taṛaptī huī , thakī huī ātmāō̃ vā pyāsī ātmāō̃ key|kī pyās āp śhrēṣhṭh ātmāō̃ K|kē sivāy kaun bujhāyēṅgē vā siddhi kō prāpt karāyēṅgē  ? Āpkē sivāy aur kōī ātmā kar sakēgī  ? Anēk bār kiyā huā apnā śhrēṣhṭh karttavya yād ātā hai  ? Jitnā - jitnā śhrēṣhṭh sthiti banātē jāyēṅgē utnā ātmāō̃ key|kī pukār K|kē ālāp , āp ātmāō̃ kō śhaktiyō̃ kō āhvānakaranē K|kē ālāp , taṛaptī huī ātmāō̃ K|kē anāth mukhṛē , thakī huī ātmāō̃ key|kī sūratē̃ dikhāī dē̃gī . Jaisē ādi sthāpanā K|kē kārya mē̃ sākār bāp K|kē anubhav kā igzāmpal dēkhā . Ātmāō̃ key|kī sēvā K|kē sivāy rūk sakē  ? Sivāy sēvā K|kē kuchh aur dikhāī dētā thā  ? Aisē hī ātmāō̃ kō siddhi prāpt karānē key|kī lagan mē̃ magan banō . Phir yah chhōṭī - chhōṭī bātē̃ , jismē̃ apnā samay aur jamā kī huī śhaktiyā̃ ganvātē hō , vah bach jāyēṅgī vā jamā hōtī jāyēṅgī . Jab ēk second mē̃ apnī powerful vr̥itti sē bēhad K|kē ātmāō̃ kīsarvisakar saktē hō , tō apnē had key|kī chhōṭī-chhōṭī bātō̃ mē̃ samay kyō̃ ganvātē hō  ? Bēhad mē̃ rahō tō had key|kī bātē̃ svataḥ hī khatm hō jāyēṅgī . Āp lōg had key|kī bātō̃ mē̃ samay vyarth kar aur phir bēhad mē̃ ṭiknē chāhtē hō . Lēkin ab vah samay gayā . Abhī tō bēhad key|kī sarvisamē̃ sadā tatpar rahō tō had key|kī bātē̃ āpēhī chhūṭ jāyēṅgī . Jaisē anya ātmāō̃ kō kahtē hō ki ab bhakti mē̃ samay barbād karnā gōyā guḍḍiyō̃ K|kē khēl mē̃ samay barbād karnā hai , kyōṅki ab bhaktikāl samāpt hō rahā rhai . Aisē kahtē hō nā . Tō phir āp in had key|kī bātō̃ rūpī guḍḍīyō̃ K|kē khēl mē̃ samay kyō̃ barbād kartē hō  ? Yah bhī tō guḍḍiyō̃ kā hī khēl hai nā , jissē kōī prāpti nahī̃ , waste of time aur west|waste of|off inarjā hai . Tō bāp bhī kahtē haĩ - abhī is guḍḍiyō̃ K|kē khēl kā samay samāpt hō rahā hai . Jaisē ājkal K|kē samay kōī nayā fashion nikalē aur fashion K|kē samay kōī purānā fashion hī kartā chalē tō uskō kyā kahē̃gē  ? Tō in chhōṭī-chhōṭī bātō̃ mē̃ samay ganvānā - yah pahlē kā purānā fashion hai . Abhī vah nahī̃ karnā hai . Jaisē āp lōg bhī kōī-kōī kō kahtē hō nā ki abhī K|kē samay pramāṇ haiṇḍāliṅg dō , purānī haiṇḍāliṅg nahī̃ dō . Phalānē key|kī purānī haiṇḍāliṅg hai - unkī naī haiṇḍāliṅg hai , aisē kahtē hō nā . Tō apnē āpkō haiṇḍāliṅg dēnā - yah bhī purānī haiṇḍāliṅg nahī̃ hōnī chāhiē . Jaisē dūsrō̃ kō purānī haiṇḍāliṅg dēnā jañchtā nahī̃ hai tō apnē kō phir ab tak purānī haiṇḍāliṅg sē kyō̃ chalātē hō  ? Abhī parivartan-divas manāō . Planning buddhi vālī pārṭīāī hai nā . Tō plainiṅgapārṭīkō nayā plan dē rahē haĩ . Jaisē vah government bhī kabhī kaunsā , kabhī kaunsā viśhēṣh din manātī hai nā . Tō āp yahā̃ āyē hō tō apnē āp kō purānī rīti rasm K|kē chaltē huē purūṣhārth kā parivartan-divas manāō . Lēkin had kā nahī̃ , bēhad kā . Madhuban yagya bhūmi mē̃ āyē hō nā . Yagya mē̃ agni hōtī hai . Agni mē̃ kōī bhī chīz paṛnē sē bahut jaldī mould hō jātī hai . Jaisā svarūp banānā chāhō vaisā banā saktē hō . Tō yahā̃ yagya mē̃ āyē hō tō apnē āp kō jaisē banānē chāhō banā saktē hō . Sahaj hī banā saktē hō . Achchhā .