शनिवार 18 जनवरी 1975 की अव्यक्त मुरली - 2
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
>
18-01-75 ōm śhānti avyakt bāpadādāmadhuban
Madhuban rūpī parivartan bhūmi par pavitratā kā vardān dēnē vālē śhiv bābā sēvā-kēndrō̃ sē āyē huē vatsō̃ sē bōlē
Madhuban key|kī kyā mahimā kartē hō ? Kahtē hō ki yah parivartan bhūmi hai . Āp sabhī parivartan bhūmi yā vardān bhūmi mē̃ āyē huē hō . Svayã mē̃ va anya mē̃ vardān kā anubhav kartē hō ? Yahā̃ ānā arthāt vardān pānā , parivartan karnā . Ab kyā parivartan karnā hai ? Jō viśhēṣh kamjōrī va viśhēṣh saṅskār samay-pratisam ya vighna rūp bantā hai , aisā saṅskār va aisī kamjōrī yahā̃ parivartan karkē jānā hai . Tabhī kahē̃gē ki svayã mē̃ parivartan lāyā . Viśhēṣh umaṅg , utsāh aur lagan sē yahā̃ tak pahũchtē hō tō yahā̃ madhuban mē̃ apnī lagan kō aisī agni kā rūp banāō ki jis agni mē̃ sarv vyarth saṅkalp , sarv kamajōriyā̃ va sab rahē huē purānē saṅskār bhasma hō jāē̃ .
Madhuban kō kahā jātā hai - aśvamēgh rūdr-jñān mahāyajña . Yagya mē̃ kyā kiyā jātā hai ? Svāhā kiyā jātā hai . Āp bachchē bhī amr̥it vēlē uṭh rōj yagya rachtē hō lagan key|kī agni kā . Jis lagan rūpī agni mē̃ apnī kamzōrī svāhā kartē hō . Lēkin yah mahāyajña hai . Madhuban mē̃ ānā mānā mahāyajña mē̃ ānā . Madhuban kō kyō̃ mahāyajña kahā hai ? Kyōṅki yahā̃ anēk ātmāō̃ key|kī lagan key|kī agni kā samūh hai . Tō iskā lābh uṭhānā chāhiē na . Jaisē kaī bār svataḥ pratigyā kartē hō , saṅkalp lētē hō , vaisē hī madhuban mē̃ āp bhī aisī pratigyā kartē hō , saṅkalp lētē hō ? Kyā samajhtē hō ? Kyā aisī āhuti ḍāltē hō jō āgē kē liē samāpt hō jāyē ? Mahāyajña mē̃ mahā āhuti ḍālnī chāhiē . Sādhāraṇ āhuti nahī̃ . Anēk ātmāō̃ K|kē lagan key|kī agni key|kī sāmūhik āhuti ḍālī hai ? Yahā̃ sē jātē hō , ḍāl kar jātē hō yā ab vāpis lī hai yā sōchtē hō ki kis prakār K|kē til va jau ḍālē̃ ? Yah check ( jāñch ) kartē hō ki jitnī bār mahāyajña mē̃ ātē hō tō mahāyajña mē̃ āhuti ḍāltē hō .
Sampūrṇ samarpaṇ huē hō yā vāpis lē jātē hō ? Āhuti sampūrṇ samarpaṇ hō jātī hai yā rah jātī hai ? Kyā aisā tō nahī̃ sōchtē ki yah purānī duniyā mē̃ kām āyēgī ? Aisā hōtā hai , kamzōr ādmī hāth khīñch lētē haĩ . Agar āhuti ḍālnē vālē kamzōr hō̃ tō sēk|sake ( tāō ) hōnē K|kē kāraṇ , ādhī āhuti bāhar , ādhī andar rah jātī hai . Yahā̃ bhī sōchtē haĩ ki karē̃ yā na karē̃ ? Hōgā yā nahī̃ hōgā ; kar sakē̃gē yā nahī̃ kar sakē̃gē ? Tō buddhi rūpī hāth āgē-pīchhē kartē rahtē hō . Isliē sampūrṇ svāhā nahī̃ hōtē hō ; kinārā rah jātā hai , bikhar jātā hai . Jab sampūrṇ svāhā nahī̃ tō sampūrṇ saphal nahī̃ hōtā . Sōchtē jyādā hō , kartē kam hō . Tō phal bhī cum|kam milēgā . Pahlē himmat cum|kam hai , saṅkalp powerful nahī̃ hai , tō karma mē̃ bal bhī nahī̃ hōgā aur isīliē phal bhī cum|kam hī hōgā . Phir kyā kartē hō ? Ādhā yahā̃ ādhā vahā̃ bikhēr dētē hō . Tō saphaltā nahī̃ huī na ! Abhī āp sab kō result kyā huī ? Saphaltā huī ? Yagya mē̃ sampūrṇ āhuti rahī yā bikhar gaī . Āp sabkī ab key|kī result bikharnā - mānā rah gayā hai . Abhī tō jō sōchnā hai vah practical mē̃ bhar karkē jānā hai ki āj sē yah kamzōrī phir nahī̃ āyēgī . Sampūrṇ samarpaṇ karnē kā sāhas hai yā cum|kam hai ? Vināśh na huā tō ? Svarg na āyā phir ? Pahũchēṅgē yā nahī̃ ? Phir lōg kyā kahē̃gē ? Aisē hōśhiyār nahī̃ bannā . Sab key|kī yahī hālat hai ! Sahaj hāth āgē baṛhātē haĩ . Sēk|sake ātā hai tō hāth khīñch lētē hō . Himmat ātī hai , thōṛā-sā vighna ātā hai tō kadam pīchhē chal paṛtē haĩ . Aisō̃ key|kī gati kyā hōgī ? Gati-sadgati kō bhī tō jāntē hō na ?
Knowledgeful hōtē huē agar kōī na karē tō kyā kahē̃gē ? Inkō vāpis liyā tō kyā gati hōgī ? Jān-būjh karkē bhī agar na karē tō kyā kahē̃gē ? Light rūp aur might rūp hōtē huē bhī kyō̃ nahī̃ kar pātē hō ? Kāraṇ kyā hai ? Knowledge tumhārī buddhi tak hai ; samajh tak hai . Ṭhīk hai - jāntē hō , lēkin knowledge kō practical mē̃ lānā aur samānā nahī̃ ātā hai . Bhōjan hai , khātē bhī haĩ . Parantu khānā alag bāt hai , khā kar hajam karnā alag bāt hai . Samātē nahī̃ hō , hajam nahī̃ hōtā , ras nahī̃ bantā aur śhakti nahī̃ miltī . Jībh tak khā liyā tō ras nahī̃ banēgā , śhakti nahī̃ miltī . Samānē kē bād hī śhakti kā svarūp bantā hai . Samāyā nahī̃ tō jībh-ras hai . Samāyā tō śhakti hai . Sunnē kā ras āyā , samajh mē̃ āyā , samjhā kintu samāyā nahī̃ , practical mē̃ nahī̃ lāyā . Jitnā dhārṇā mē̃ ātā hai , saṅskār ban jātā hai tab hī practical saphaltā kā svarūp dikhāī paṛtā hai . Knowledgeful kā arth|earth kyā hai ? Knowledgeful kā arth|earth hai harēk karmēndriyō̃ mē̃ knowledge samā jāē . Kyā karnā hai aur kyā nahī̃ ? Tō dhōkhā khānē key|kī bāt rahēgī ? Ôkhē aur vr̥itti dhōkhā nahī̃ khāyēṅgī jab ātmā mē̃ knowledge ā jātī hai tō sarv indriyō̃ mē̃ knowledge samā jātī hai . Jaisē bhōjan sē śhakti bhar jātī hai tō śhakti K|kē ādhār sē kām hōtā hai . Abhī knowledge kō samānā hai . Harēk karmēndriyō̃ kō knowledgeful banāō .
Her|har varṣh ātē hō , kahtē hō ki abhī karūṅgā . Vāydā karkē jātē hō . Abhī kab pūrā hōgā ? Kyā kāraṇ hai ? Jō tum sōchtē hō aur jō karma kartē hō , usmē̃ antar kyō̃ ? Kāraṇ kyā ? Sōchtē hō full karnē key|kī bāt , aur hōtī hai ādhī - itnā antar paṛnē kā kāraṇ kyā hai ? Plan bhī khūb rachtē hō , umaṅg bhī khūb lātē hō aur samajh kar vāydā kartē hō . Sab bātē̃ āyēṅgī hī , lēkin practical aur samajh mē̃ antar ā jātā hai - iskā kāraṇ kyā hai ? Saṅskārō̃ key|kī āhuti karkē jātē hō , phir sab kahā̃ sē āyā ? Svāhā karkē jātē hō phir kyō̃ ātā hai ? Dēh-abhimān , albēlāpan vāpis kyō̃ lauṭ ātā hai , kāraṇ kyā hai ? Kāraṇ hai ki saṅkalp karkē jātē hō svāhā karnē kā , lēkin saṅkalp K|kē sāth-sāth ( jaisē bīj bōtē hō , bād mē̃ sambhāl kartē hō ) parantu ismē̃ jō sambhāl chāhiē vah sambhāl nahī̃ rakhtē hō . Samay-pramāṇ unkī āvaśhyaktā rakhnī chāhiē , āp bīj ḍāl kar albēlē hō jātē hō . Sōchtē hō ki bābā kō diyā , ab bābā jānē , yah bābā kā kām hai . Āp uskī pālnā nahī̃ kartē hō . Tō vāchā aur mansā par attention chāhiē . Jaisē bīj bō kar pānī ḍāltē hō ki bīj pakkā hō jāyē . Bīj kō rōj-rōj pānī dēnā hōtā hai , vaisē hī saṅkalp rūpī bīj kō revise karnā hai . Usmē̃ kamī rah jātī hai aur āp niśhchinta hō jātē hō - ārām pasand hō jātē hō . Ārām pasand K|kē saṅskār nahī̃ , magar chintan kā saṅkalp hōnā chāhiē , ēk-ēk saṅskār key|kī chintā lagnī chāhiē . Purūṣhārth key|kī ēk bhī kamī kā dāg bahut baṛā dēkhnē mē̃ ātā hai . Phir hamēśhā khyāl ātā hai ki chhōṭā-sā dāg mērī value cum|kam kar dēgā . Chintan chintā K|kē rūp mē̃ hōnā chāhiē . Vah nahī̃ tō albēlāpan hai . Kahtē hō , kartē nahī̃ hō . Jō pīchhē key|kī yukti hai usē practical mē̃ lāō , ārām-pasandī dēvtā stage kā saṅskār hai , vah jyādā khīñchtā hai . Saṅgamyug K|kē brāhmaṇ K|kē saṅskār jō tyāg mūrt K|kē haĩ , vah cum|kam emerge hōtē haĩ . Tyāg-binā bhāgya nahī̃ bantā achchhā , kar lē̃gē , dēkhā jāyēgā - yah ārām pasandī K|kē saṅskār haĩ . zarūr karūṅgā , yē brāhmaṇpan K|kē saṅskār haĩ . Laukik paṛhāī mē̃ jiskō chintā rahtī hai , vah pās|pass hōtā hai . Uskī nīnd fit jātī hai . Jō ārām-pasand haĩ vē|way pās|pass kyā hōṅgē ? Abhī sōchtē hō ki practical karnā hai . Chintā lagnī chāhiē , śhubh chintan , sampūrṇ bannē key|kī chintā , kamjōrī kō dūr karnē key|kī chintā aur pratyakṣha phal dēnē key|kī chintā .
Is murlī K|kē viśhēṣh jñān-bindu
1 . madhuban hai avināśhī rūdra gyān mahāyajña . Is mahāyajña mē̃ apnī lagan kō aisī agni banāō jis agni mē̃ sab vyarth saṅkalp , sarv kamajōriyā̃ va sab rahē huyē purānē saṅskār bilkul bhasma hō jāyē̃ .
2 . buddhi mē̃ knowledge tō hai lēkin knowledgeful nahī̃ banē hō . Knowledgeful kā arth|earth hai ki har ēk karmaindriyō̃ mē̃ knowledge samā jāyē . Tō jaisē bhōjan khānē sē , sāth hī samānē arthāt hajam karnē sē śharīr mē̃ śhakti ātī hai vaisē hī tumhārī ātmā śhaktiśhālī bantī hai .
3 . jitnā gyān dhārṇā mē̃ ātā hai vah saṅskār ban jātā hai tab hī practical saphaltā kā svarūp dikhāī paṛtā hai .