बुधवार 11 मई 1983 की अव्यक्त मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
>
11-05-83 ōm śhānti avyakt bāpdādā madhuban
Yuvā varg kē prati avyakt bāpdādā kā sandēśh
Sadā rahm dil , dayā K|kē sāgar avyakt bāpdādā bōlē :
Āj bāpdādā hans āsandhārī hōlī|holy hansō̃ key|kī sabhī dēkh rahē haĩ . Har ēk śhrēṣhṭh ātmā hōlī|holy hans sadā ēk bāp dūsrā na kōī isī lagan mē̃ magan ātmāyē̃ - yahī sthiti hãs-āsan hai . Aisē hōlī|holy hansō̃ kō dēkh bāpdādā bhī harṣhit hōtē haĩ . Her|har hōlī|holy hans gyānī tū ātmā , yōgī tū ātmā , viśhva-kalyāṇakārī hai . Har ēk K|kē dil mē̃ dilārām bāp kī yād samāī huī hai . Har ēk apnē vartamān aur bhaviṣhya kō banānē mē̃ lagan sē lagē huē haĩ . Aisā śhrēṣhṭh saṅgaṭhan sārē kalp mē̃ sivāē saṅgamyug K|kē kabhī nahī̃ dēkh saktē . Ēk hī parivār , ēk hī lagan , ēk hī lakṣhya , aisā phir kabhī dēkhē̃gē ? Bāpdādā kō bhī bachchō̃ par nāj hai . Itnā baṛā parivār vā saṅgaṭhan aur harēk śhrēṣhṭh bāp K|kē bachchē bannē kāraṇ bāp K|kē varsē K|kē adhikārī haĩ . Tō itnē sab adhikārī bachchō̃ kō dēkh bāp kō bhī khuśhī hai . Yah ēk-ēk bachchā kul kā dīpak hai . Viśhva parivartan karnē kē nimitt ātmā hai . Har ēk chamaktā huā sitārā viśhva kō rōśhnī dēnē vālā hai . Har ēk K|kē bhāgya key|kī avināśhī lakīr mastak par dikhāī dē rahī hai . Aisā śhrēṣhṭh saṅgaṭhan viśhva mē̃ ēk mat , ēk rājya , ēk dharm key|kī sthāpanā karnē K|kē dr̥iṛh saṅkalpdhārī haĩ . Bāpdādā yuvā-varga kō dēkh rahē thē . Chāhē kumār haĩ , chāhē kumārī haĩ lēkin harēk K|kē man mē̃ umaṅg utsāh hai ki ham sabhī apnē viśhva kō vā dēśh kō vā sukh śhānti kē liē bhaṭaktī huī ātmāō̃ arthāt apnē bhāī bahanō̃ kō sukh aur śhānti kā adhikār avaśhya dilāyēṅgē . Apnē viśhva kō phir sē sukh śhāntimay saṅsār banāyēṅgē . Yahī dr̥iṛh saṅkalp hai nā ! Itnā baṛā saṅgaṭhan kyā nahī̃ kar saktā hai ! Ēk tō śhrēṣhṭh ātmāyē̃ , pavitra ātmāyē̃ hō tō pavitratā key|kī śhakti hai , dūsrā master sarvśhaktivān hōnē K|kē kāraṇ sarvśhaktiyā̃ sāth haĩ . Saṅgaṭhan key|kī śhakti hai , sāth-sāth trikāldarśhī hōnē K|kē kāraṇ jāntē hō ki anēk bār ham viśvaparivarta ka banē haĩ . Isliē kalp-kalp K|kē vijayī hōnē K|kē kāraṇ ab bhī viśvaparivarta na K|kē kārya mē̃ vijay niśhchit hai . Hōṅgē yā nahī̃ hōṅgē yah question hī nahī̃ hai . Niśhchaybuddhi vijayī - aisē anubhav kartē hō nā ki sukh kā saṅsār abhī āyā ki āyā . Viśhva K|kē mālikō̃ kō viśhva kā rājya niśhchit hī prāpt huā paṛā hai . Yuvā varg kyā karēgā ? Apnē dēśh K|kē vā viśhva K|kē rājya nētāō̃ kō yah khuśhkhabarī sunāō , jis bāt K|kē āp svapn dēkh rahē hō ki aisā hōnā chāhiē , vah chāhiē kī chāh ham pūrṇ kar dikhāyēṅgē . Dēśh sē sirph ēk mahãgāī nahī̃ lēkin double mãhagāī miṭākar dikhāyēṅgē . Kyōṅki mahãgāī kā ādhār hai - charitra key|kī mãhagāī . Jab charitra key|kī mahãgāī vā charitra K|kē duḥkh aśhānti key|kī garībī miṭ jāyēgī tab svataḥ hī sarv ātmāyē̃ dhanvān tō kyā lēkin rājya adhikārī ban jāyēṅgī . Yahī śhubh ummīdē̃ viśhva key|kī nimitt ātmāō̃ kō pūrṇ kar dikhāō . Apnē dēśh kō śhrēṣhṭh banākar dikhāyēṅgē , aisā mālā-māl banāyēṅgē jō na kōī aprāpti hō aur na aprāpti K|kē kāraṇ sarv samasyāyē̃ hō̃ . Yahī dr̥iṛh saṅkalp sabhī kō sirph sunāō nahī̃ lēkin parivartan kā sample bankar dikhāō . Kyōṅki sab taraph sē viśhvās dilānē K|kē nārē sabnē bahut sunē haĩ . Itnē sunē haĩ jō sunkar viśhvās hī nikal gayā hai . Aisē kahnē vālē bahut dēkh-dēkh satya kō bhī dhōkhā samajh rahē haĩ . Isliē sirph kahnā nahī̃ hai , mukh bōlē nahī̃ , lēkin āpkē jīvan key|kī śhrēṣhṭhatā bōlē . Āp ēk-ēk holy hans key|kī pavitratā key|kī jhalak chalan sē dikhāī dē . Āp sabkī śhrēṣhṭh smr̥iti key|kī samarthī , nā ummīd ātmāō̃ mē̃ ummīdō̃ key|kī samarthī paidā karē . Samjhā - yuvā varg kō kyā karnā hai .
Jō āj K|kē nētāyē̃ yuvā varg sē vināśhkārī karttavyō̃ K|kē kāraṇ ghabrātē haĩ . Tō āp sabhī viśhva kalyāṇkārī unhī̃ kō yah siddha karkē dikhāō ki isī dēśh K|kē ham yuvā varg apnē bhārat dēśh kō viśhva mē̃ sarvaśhrēṣhṭha svarg kā sthān banāē viśhva kō dikhāyēṅgē ki bhārat hī prāchīn avināśhī , sarv sampann , sarv śhrēṣhṭh dēśh hai . Bhārat viśhva kē liē ādhyātmik rōśhnī dēnē kā light house hai . Kyōṅki is śhrēṣhṭh karttavya K|kē karānē vālā kaun hai , uskī pahchān kar lē̃ phir tō kōī question uṭhnē key|kī bāt hī nahī̃ . Apnē jīvan sē , karttavya sē , bāp kā parichay karāō . Itnī himmat hai nā . Kumāriyā̃ kyā samajhtī haĩ ? Jab durgā key|kī pūjā kartē haĩ tō apnē kō bhāgyavān samajhtē haĩ . Yahā̃ kitnī durgāyē̃ haĩ ! Ēk-ēk śhiv śhakti kamāl kar dikhānē vālī hai nā . Vō hī hō nā , jin śhaktiyō̃ key|kī ghar-ghar mē̃ pūjā kar rahē haĩ . Tō hē śhiv śhaktiyā̃ ! Apnē bhaktō̃ kō phal tō dō . Vō bēchārē phal chaṛhātē-chaṛhātē thak gayē haĩ . Itnē jō phal chaṛhāyē haĩ uskā return bhakti kā phal tō unhō̃ kō dē̃gī nā ! Bhaktō̃ par taras nahī̃ ātā . Pāṇḍavō̃ key|kī bhī pūjā hō rahī hai . Ājkal ēk mahāvīr hanumān key|kī bahut pūjā hōtī hai aur dūsrā vighna vināśhak gaṇēśh key|kī pūjā hō rahī hai . Sab śhakti key|kī ichchhā sē hī bhakti kar rahē haĩ . Aisē bhakta ātmāō̃ kō sarv śhaktiyō̃ kā phal dō . Sadā kē liē vighnō̃ sē pār karnē kā sahaj rāstā batāō . Sabhī pukār sē chhuṛāē prāpti svarūp banāō - aisī sēvā yuvā varg karkē dikhāō . Samjhā . Achchhā
Sadā apnē śhrēṣhṭh jīvan dvārā anēkō̃ key|kī jīvan banānē vālē , sarv bhāratavāsi yō̃ key|kī śhrēṣhṭh , sukhī saṅsār key|kī śhubh kāmnā pūrṇ karnē vālē , ghar-ghar mē̃ śhrēṣhṭh charitra kā dīpak jagānē vālē , sadā aprāpta ātmāō̃ kō prāpti karānē vālē - aisē dr̥iṛh saṅkalpdhārī , niśhchit vijayī śhrēṣhṭh ātmāō̃ kō bāpdādā kā yād-pyār aur namastē .
Kumār mē̃ sadā bāpdādā key|kī ummīdē̃ haĩ . Kumār viśhva kō badal saktē haĩ . Agar sabhī kumār ēk dr̥iṛh saṅkalp vālē ban āgē baṛhtē chalē̃ tō bahut kamāl kar saktē haĩ . Kamāl karnē vālē kumār hō nā . Dēkhnā , bāpdādā kē pās automatic phōṭō nikal jātā hai ! Dr̥iṛh saṅkalp vālē kumār hō nā . Kumār mē̃ śhārīrik śhakti bhī bahut hai isliē double kārya kar saktē hō . Sthāpanā K|kē kārya mē̃ bahut achchhē sahyōgī ban saktē hō . Kumār key|kī buddhi mē̃ ēk hī bāt sadā rahtī hai nā ki - mērā bābā aur mērī sēvā aur kōī bāt nahī̃ . Jinkī buddhi mē̃ sadā bābā aur sēvā hai vah sahaj hī māyājīt ban jātē haĩ . Sirph kumār kō ēk bāt attention mē̃ rakhnī hai - sadā apnē kō busy rakhō , khālī nahī̃ . Śharīr aur buddhi dōnō̃ sē busy rahō . Bijīmēn banō , businessmen nahī . Jaisē karma key|kī dincharyā set kartē hō aisē buddhi key|kī bhī dincharyā set karō . Abhī yah sōchnā hai , yah karnā hai , dincharyā set hōgī tō usī pramāṇ busy hō jāyēṅgē . Busy rahnē vālē kō kisī bhī rūp sē māyā war|vār nahī̃ kar saktī . Buddhi kō busy karnē K|kē sādhan sadā apnāō - jaisē śharīr kō busy karnē K|kē sādhan haĩ , aisē buddhi sē sadā yād mē̃ , naśhē mē̃ busy rahō . Aisī dincharyā banānē ātī hai ? Sadākāl kē liē niyam banā dō . Jaisē aur niyam banē haĩ , yah bhī ēk niyam banāō , bas karnā hī hai , isī dr̥iṛh niśhchay sē jō kamāl karnē chāhō vah kar saktē hō . Kumār haĩ - bāpdādā K|kē karttavya K|kē sitārē . Sēvā kē nimitt tō kumār bantē haĩ nā . Bhāgdauṛ bhī kumār kartē haĩ . Jō bhī sēvāyē̃ hōtī haĩ usmē̃ kumār kā viśhēṣh part hōtā hai - tō viśhēṣh part lēnē vālī viśhēṣh ātmāyē̃ haĩ , yah naśhā rakhō , isī khuśhī mē̃ rahō . Tō dēkhē̃gē kumār group kyā karkē dikhātē haĩ . Kuchh karkē dikhānā , sirph kahkar nahī̃ . Sēvā K|kē umaṅg utsāh vālē haĩ , niśhchay buddhi hai . Achal haĩ , hilnē vālē nahī̃ haĩ . Aisē hī achal ātmāyē̃ aurō̃ kō bhī achal banākar dikhāō .
Mahādānī bankar dān kartē chalō . Jab svayã kā bhaṇḍārā bharpūr hai tō bahutō̃ kō dān dēnā chāhiē . Sēvā kō sadā āgē baṛhātē chalō . Aisē nahī̃ āj chance milā tō kar liyā , yā jab chance milēgā tab kar lē̃gē . Nahī̃ . Jiskē pās|pass khazānā hōtā hai vah kahī̃ sē bhī garībō̃ kō ḍhūṇḍhkar bhī ḍhiṇḍhōrā piṭvākar bhī dān jarūr kartā hai . Kyōṅki usē mālūm hai dān karnē kā puṇya miltā hai . Vah dān tō vināśhī hai aur svārtha kā bhī hō saktā hai . Āp sab tō avināśhī khazānō̃ K|kē mahādānī hō . Tō sēvā kō baṛhāō . Race karō , mahādānī banō . Niśhchay sē karō , aisē nahī̃ sōchō dharnī aisī hai . Ab samay badal gayā , samay kē sāth dharnī bhī badal rahī hai . Pahlē K|kē dharnī key|kī jō result thī vah abhī nahī̃ . Samay vāyumaṇḍal kō badal rahā hai . Ātmāō̃ key|kī ichchhā bhī badal rahī hai , sab āvaśhyaktā anubhav kar rahē haĩ . Abhī samay hai , samay K|kē pramāṇ sadā K|kē mahādānī banō . Vāchā nahī̃ tō mansā , mansā nahī̃ tō karmaṇā . Karma dvārā kisī ātmā kō parivartan karnā yah hai karmaṇā . Samparka dvārā bhī kisī ātmā kō parivartan kar saktē hō . Aisē sēvādhārī banō . Rōj result nikālō . Mansā , vāchā , karmaṇā kyā sēvā key|kī , kitnō̃ key|kī sēvā key|kī . Kis umaṅg utsāh sē sēvā key|kī ? Yah rōj key|kī result svayã hī nikālō . Svayã aur sēvā dōnō̃ key|kī raphtār mē̃ āgē baṛhō . Ab kōī navīntā karō . Centre khōlā , gītā pāṭhśhālā khōlī , mēlā kiyā yah tō purānī bātē̃ hō gaī , nayā kuchh nikālō . Lakṣhya rakhō , apnē mē̃ aur sēvā mē̃ kōī na kōī navīntā jarūr lānī hai . Nahī̃ tō kabhī thak jāyēṅgē , kabhī bōr hō jāyēṅgē . Navīntā hōgī tō sadā umaṅg utsāh mē̃ rahē̃gē . Achchhā .
Mātāō̃ sē : mātāō̃ kē liē viśhēṣh bāpdādā sahaj mārg key|kī saugāt lāyē haĩ . Sahaj mārg key|kī saugāt sabhī kō milī hai ? Sahaj prāpti jō hōtī hai yahī saugāt hai . Tō khās bāpdādā sahaj mārg key|kī gift lāyē haĩ - yahī naśhā rahē . Sabsē sahaj - mērā bābā kahō , bas . Mērā bābā kahnē sē , anubhav karnē sē sarv prāptiyā̃ hō jāyēṅgī . Mātāō̃ kō viśhēṣh khuśhī hōnī chāhiē ki hamārē liē khās bāp āyē haĩ . Aur jō bhī āyē unhōnnē purūṣhō̃ kō āgē kiyā . Dharm pitāyē̃ dharm sthāpan karkē chalē gayē . Mātāō̃ kō kisī nē bhī nāmī grāmī nahī̃ banāyā . Aur bāp nē pahlē mātā kā silasilā sthāpan kiyā . Tō mātāyē̃ sikīladhī hō gaī nā . Kitnē sik sē bāp nē ḍhūṇḍhā aur apnā banā liyā . Āp lōgō̃ nē tō binā address ḍhūṇḍhā isliē ḍhūṇḍhnā nahī̃ huā . Bāp nē dēkhō kaisē kōnē-kōnē sē ḍhūṇḍhkar nikāl diyā . Anēk vr̥ikṣhō̃ key|kī ḍāliyā̃ ab ēk vr̥ikṣha kī hō gaī . Ēk hī chandan kā vr̥ikṣha hō gayā . Lōg kahtē haĩ - dō chār mātāyē̃ bhī ēk sāth ikaṭṭhī nahī̃ rah saktī̃ aur abhī mātāyē̃ sārē viśhva mē̃ ēktā sthāpan karnē kē nimitt haĩ . Vah kahtē , rah nahī̃ saktī̃ aur bāp kahtē mātāyē̃ hī rah saktī haĩ . Aisī mātāō̃ kā viśhēṣh martabā hai . Khūb khuśhī mē̃ nāchō gāō , vāh ! Hamārā śhrēṣhṭh bhāgya ! Kabhī bhī duḥkh key|kī lahar na āyē . Sabhī nē dukhadhām kō chhōṛ diyā hai nā . Bas ham saṅgamyugī haĩ , sadā sukhdhām śhāntidhām taraph āgē baṛhtē rahnā . Mātāō̃ kō dēkhkar bāpdādā kō nāj hōtā hai , nā-ummīdavār ummīdvār ban gaī . Viśvakal yāṇakārī ban gaī . Abhī viśhva āpkī taraph dēkh rahā hai , ki hamārē kalyāṇ vālī mātāyē̃ kahā̃ haĩ , tō ab jagat key|kī mātāyē̃ ban jagat kā kalyāṇ karō . Sirph laukik parivār key|kī jimmēvārī nibhānē vālī nahī̃ lēkin viśhva K|kē sarv ātmāō̃ K|kē sēvā key|kī jimmēvārī nibhānē vālī . Chāhē nimitt kahā̃ bhī rahtē hō lēkin smr̥iti mē̃ viśhva sēvā rahē . Jaisā lakṣhya hōgā vaisē lakṣhaṇ svataḥ ā jātē haĩ . Lakṣhya hōgā bēhad kā tō lakṣhaṇ bhī bēhad K|kē āyēṅgē . Nahī̃ tō had mē̃ hī phansē rahē̃gē . Sadā bāp kī hū̃ , bēhad kī hū̃ , isī smr̥iti mē̃ sarv ātmāō̃ kē prati śhubh saṅkalp dvārā sēvā kartē chalō . Mukh dvārā bhī aur saṅkalp dvārā bhī . Dōnō̃ sāth-sāth hō̃ . Mukh dvārā kiskō bhal samjhāō lēkin jab tak śhubh bhāvnā kā bal us ātmā kō nahī̃ dēgē tō phal nahī̃ nikalēgā . Mansā vāchā dōnō̃ ikaṭṭhī sēvā hō̃ . Sirph sandēśh dēnē tak nahī̃ . Nahī̃ tō sirph hā̃-hā̃ karkē chalē jātē haĩ . Mansā sēvā sāth-sāth hō tō tīr lag jāē . Mātāō̃ kō sēvā K|kē maidān par ānā chāhiē . Ēk-ēk mātā ēk-ēk sēvākēndra sambhālē . Agar phursat nahī̃ hai tō āpas mē̃ dō tīn kā group banāō . Aisē nahī̃ ghar kā bandhan hai , bachchē haĩ . Jinkī mātāyē̃ sōśalavarkar hōtī haĩ unkē bhī tō bachchē hōtē haĩ nā . Vah bhī sīkh jātē haĩ . Tō ab apnē āpkō hands banāō aur sēvā kō baṛhāō . Kōī na kōī kō nikālkar unkō sthān dē āgē baṛhtē jāō . Abhī śhaktiyā̃ maidān par āō . Jō pālnā lī hai uskā return dō . Jitnā sēvā baṛhāyēṅgē utnā svayã kō bhī uskā phal milēgā , vartamān bhī śhaktiśhālī hōgā , aur bhaviṣhya tō bantā hī hai . Jitnī sēvā karē̃gē utnā nirvighna rahē̃gē aur khuśhī bhī rahēgī . Achchhā
Kumāriyō̃ sē : kumāriyā̃ apnē śhrēṣhṭh bhāgya kō achchhī tarah sē jāntī haĩ nā ? Kabhī apnē śhrēṣhṭh bhāgya kō bhūltī tō nahī̃ ! Sadā bhāgya kō smr̥iti mē̃ rakhtē huē āgē baṛhtī chalō . Saṅgamyug mē̃ viśhēṣh lift key|kī gift kumāriyō̃ kō miltī hai . Kyōṅki kumārī jīvan phikar sē phārig jīvan hai . Ghar chalānē kā , naukrī ṭōkrī kā kōī phikar nahī̃ . Kumārī arthāt svatantr . Svatantratā sabhī kō priya lagtī hai . Agyān mē̃ bhī sabkā lakṣhya yahī rahtā ki ham svatantr rahē̃ . Isīliē svatantr ātmā hū̃ , yah svatantratā kā vardān āp sabkō prāpt hai . Svatantratā K|kē vardānī aur sabkō bhī yahī vardān dē̃gī nā . Kōī K|kē bhī chakra mē̃ phansnē vālī nahī̃ . Jab chakra sē nikal chukī , svatantr haĩ tō sēvā karē̃gī nā . Nimitt mātra yah paṛhāī jō rahī hai vah kartē bhī sadā sēvā key|kī smr̥iti rahē . Paṛhāī paṛhtē samay bhī yah lakṣhya rahē ki kaunsī aisī ātmā hai jisē bāp kā banāyē̃ . Paṛhāī paṛhtē-paṛhtē parakhtē rahō ki kaun see|sī|C ātmāyē̃ yōgya haĩ . Tō vahā̃ bhī sēvā hō jāyēgī . Kumāriyō̃ kō bhāṣhaṇ karnā avaśhya sīkhnā chāhiē . Sabhī paṛhāī paṛhtē bhī taiyār hōtī jāō . Paṛhāī pūrī hōtē hī sēvā mē̃ lag jānā .
Teachers kē sāth : nimitt sēvādhārī ! Nimitt kahnē sē sahaj hī yād ā jātā ki kisnē nimitt banāyā hai . Kabhī bhī sēvādhārī śhabda kahō tō uskē āgē nimitt jarūr kahō . Dūsrā nimitt samajhnē sē svataḥ hī nirmān ban jāyēṅgē . Aur jō jitnā nirmān hōgā utnā phaldāyak hōgā . Nirmān bannā arthāt phal svarūp bannā .
Vartamān samay K|kē hisāb sē sēvādhārī key|kī sēvā kaun see|sī|C hai ? Sarv kō halkē banānē key|kī sēvā . Uṛtī kalā mē̃ lē jānē key|kī sēvā . Uṛtī kalā mē̃ tab lē jāyēṅgē jab halkē hōṅgē . Sarv prakār K|kē bōjh svayã K|kē bhī halkē aur sarv K|kē bhī bōjh halkē karnē vālē . Jin ātmāō̃ kē nimitt sēvādhārī banē haĩ unhō̃ kō mañzil par tō pahuñchnā hai nā ! Aṭkānā vā phãsānā nahī̃ hai lēkin halkē ban halkē banānā hai . Halkē banē̃gē tō mañzil par svataḥ pahũch jāyēṅgē . Sēvādhāriyō̃ key|kī vartamān samay yahī sēvā hai . Uṛtē rahō uṛātē rahō . Sabhī kō sēvā key|kī lottery milī hai , isī lottery kō sadā kārya mē̃ lagātē rahō . Her|har second mē̃ śhvāsō̃ śhvās sēvā chaltī rahē . Isī mē̃ sadā busy rahō . Achchhā