रविवार 27 मार्च 1988 की अव्यक्त मुरली

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

>

27 - 03 - 88 ōm śhānti avyakt bāpadādāmadhuban

Sarvaśhrēṣhṭha sitārā - ‘ saphaltā kā sitārā '

Sabhī bachchō̃ kō khuśh karnē vālē , gyānsūrya - gyān chandramā bāpdādā apnē lucky aur lovely gyān sitārō̃ prati bōlē

Āj gyān - sūrya , gyān - chandramā apnē alaukik tārāmaṇḍal kō dēkh rahē haĩ . Yah alaukik vichitr tārāmaṇḍal hai jiskī viśhēṣhtā sirph bāp aur brāhmaṇ bachchē hī jāntē haĩ . Har ēk sitārā apnī chamak sē is viśhva kō rōśhnī dē rahē haĩ . Bāpdādā har ēk sitārē key|kī viśhēṣhtā dēkh rahē haĩ . Kōī śhrēṣhṭh bhāgyavān lucky sitārē haĩ , kōī bāp K|kē samīp K|kē sitārē haĩ aur kōī dūr K|kē sitārē haĩ . Hai sabhī sitārē lēkin viśhēṣhtā bhinn - bhinn hōnē K|kē kāraṇ sēvā mē̃ vā sva - prāpti mē̃ alag - alag phal key|kī prāpti anubhav karnē vālē haĩ . Kōī sadā hī sahaj sitārē haĩ , isliē sahaj prāpti kā phal anubhav karnē vālē haĩ . Aur kōī mēhnat karnē vālē sitārē haĩ , chāhē thōṛī mēhnat hō , chāhē jyādā hō lēkin bahut karkē mēhnat K|kē anubhav bād phal key|kī prāpti kā anubhav kartē haĩ . Kōī sadā karma K|kē pahlē adhikār kā anubhav kartē haĩ ki saphaltā janm - siddha adhikār hai , isliē ‘ niśhchay ' aur ‘ naśhē ' sē karma karnē K|kē kāraṇ karma key|kī saphaltā sahaj anubhav kartē haĩ . Iskō kahā jātā hai - saphaltā K|kē sitārē .

Sabsē śhrēṣhṭh saphaltā K|kē sitārē haĩ . Kyōṅki vah sadā gyān - sūrya , gyān - chandramā K|kē samīp haĩ , isliē śhaktiśhālī bhī haĩ aur saphaltā K|kē adhikārī bhī haĩ . Kōī śhaktiśhālī haĩ lēkin sadā śhaktiśhālī nahī̃ haĩ , isliē sadā ēk jaisī chamak nahī̃ hai . Variety sitārō̃ key|kī rimjhim ati pyārī lagtī hai . Sēvā sabhī sitārē kartē haĩ lēkin samīp K|kē sitārē aurō̃ kō bhī sūrya , chandramā K|kē samīp lānē K|kē sēvādhārī bantē haĩ . Tō har ēk apnē sē pūchhō ki maĩ kaun - sā sitārā hū̃ - lovely sitārē hō , lucky hō , sadā śhaktiśhālī hō , mēhnat anubhav karnē vālē hō vā sadā sahaj saphaltā K|kē sitārē hō  ? Gyān - sūrya bāp sabhī sitārō̃ kō bēhad key|kī rōśhnī vā śhakti dētē haĩ lēkin samīp aur dūr hōnē K|kē kāraṇ antar paṛ jātā hai . Jitnā samīp sambandh hai , utnā rōśhnī aur śhakti viśhēṣh hai . Kyōṅki samīp sitārō̃ kā lakṣhya hī hai - samān bannā .

Isliē bāpdādā sabhī sitārō̃ kō sadā yahī īśhārā dētē haĩ ki lucky aur lovely - yah tō sabhī banē hō , ab āgē apnē kō yahī dēkhō ki sadā samīp rahnē vālē , sahaj saphaltā anubhav karnē vālē saphaltā K|kē sitārē kahā̃ tak banē haĩ  ? Abhī girnē vālē tārē tō nahī̃ hō vā pū̃chh vālē tārē bhī nahī̃ hō . Pū̃chh vālā tārā uskō kahtē haĩ jō bār - bār svayã sē vā bāp sē vā nimitt banī ātmāō̃ sē - ‘ yah kyō̃ ' , ‘ yah kyā ' , ‘ yah kaisē ' - pūchhtē hī rahtē haĩ . Bār - bār pūchhnē vālē hī pū̃chh vālē tārē haĩ . Aisē tō nahī̃ hō nā  ? Saphaltā K|kē sitārē jinkē her|har karma mē̃ saphaltā samāī huī hai - aisā sitārā sadā hī bāp K|kē samīp arthāt sāth hai . Viśhēṣhatāyē̃ sunī̃ , abhī in viśhēṣhatāō̃ kō svayã mē̃ dhāraṇ kar sadā saphaltā K|kē sitārē banō . Samjhā , kyā bannā hai  ? Lucky aur lovely kē sāth saphaltā - yah śhrēṣhṭhatā sadā anubhav kartē rahō . Achchhā  !

Āj sabhī sē milnā hai . Bāpdādā āj viśhēṣh milnē kē liē hī āyē haĩ . Sabhī kā yahī lakṣhya rahtā hai ki milnā hai . Lēkin bachchō̃ hī lahar kō dēkh karkē bāp kō sabhī bachchō̃ kō khuśh karnā hōtā hai kyōṅki bachchō̃ key|kī khuśhī mē̃ bāp key|kī khuśhī hai . Tō ājkal kī lahar hai - alag milnē key|kī . Tō sāgar kō bhī vahī lahar mē̃ ānā paṛtā hai . Is season key|kī lahar yah hai , isliē rath kō bhī viśhēṣh sakāśh dē chalā rahē haĩ .

Achchhā  ! Chārō̃ ōr K|kē alaukik tārāmaṇḍal K|kē alaukik sitārō̃ kō , sadā viśhva kō rōśhnī dē andhkār miṭānē vālē chamaktē huē sitārō̃ kō , sadā bāp K|kē samīp rahnē vālē śhrēṣhṭh saphaltā K|kē sitārō̃ kō , anēk ātmāō̃ K|kē bhāgya key|kī rēkhā parivartan karnē vālē bhāgyavān sitārō̃ kō gyān - sūrya , gyān - chandramā bāpdādā kā viśhēṣh yādpyār aur namastē . ' '

Personal mulākāt K|kē samay vardān rūp mē̃ uchchārē huē anmōl mahāvākya

1 . ‘ sadā her|har ātmā kō sukh dēnē vālē sukhdātā bāp K|kē bachchē haĩ ' - aisā anubhav kartē hō  ? Sabkō sukh dēnē key|kī viśhēṣhtā hai nā . Yah bhī drama anusār viśhēṣhtā milī huī hai . Yah viśhēṣhtā sabhī key|kī nahī̃ hōtī . Jō sabkō sukh dētā hai , usē sabkī āśhīrvād miltī hai . Isliē svayã kō bhī sadā sukh mē̃ anubhav kartē haĩ . Is viśhēṣhtā sē vartamān bhī achchhā aur bhaviṣhya bhī achchhā ban jāyēgā . Kitnā achchhā part hai jō sabkā pyār bhī miltā , sabkī āśhīrvād bhī miltī  ! Iskō kahtē haĩ ‘ ēk dēnā hajār pānā ' . Tō sēvā sē sukh dētē hō , isliē sabkā pyār miltā hai . Yahī viśhēṣhtā sadā kāyam rakhnā .

2 . ‘ sadā apnē kō sarvśhaktivān bāp key|kī śhaktiśhālī ātmā hū̃ ' - aisā anubhav kartē hō  ? Śhaktiśhālī ātmā sadā svayã bhī santuṣhṭ rahtī hai aur dūsrō̃ kō bhī santuṣhṭ kartī hai . Aisē śhaktiśhālī hō  ? Santuṣhṭatā hī mahāntā hai . Śhaktiśhālī ātmā arthāt santuṣhṭatā K|kē khazānē sē bharpūr ātmā . Isī smr̥iti sē sadā āgē baṛhtē chalō . Yahī khazānā sarv kō bharpūr karnē vālā hai .

3 . ‘ bāp nē sārē viśhva mē̃ sē hamē̃ chunkar apnā banā liyā ' - yah khuśhī rahtī hai nā . Itnē anēk ātmāō̃ mē̃ sē mujh ēk ātmā kō bāp nē chunā - yah smr̥iti kitnā khuśhī dilātī hai  ! Tō sadā isī khuśhī sē āgē baṛhtē chalō . Bāp nē mujhē apnā banāyā kyōṅki maĩ hī kalp pahlē vālī bhāgyavān ātmā thī , ab bhī hū̃ aur phir bhī banū̃gī - aisī bhāgyavān ātmā hū̃ . Is smr̥iti sē sadā āgē baṛhtē chalō .

4 . ‘ sadā niśhchinta ban sēvā karnē kā bal āgē baṛhātā rahtā hai ' . Isnē kiyā yā hamnē kiyā - is saṅkalp sē niśhchinta rahnē sē niśhchint sēvā hōtī hai aur uskā bal sadā āgē baṛhātā hai . Tō niśhchint sēvādhārī hō nā  ? Gintī karnē vālī sēvā nahī̃ . Iskō kahtē haĩ - niśhchint sēvā . Tō jō niśhchint hō sēvā kartē haĩ , unkō niśhchit hī āgē baṛhnē mē̃ sahaj anubhūti hōtī hai . Yahī viśhēṣhtā vardān rūp mē̃ āgē baṛhātī rahēgī .

5 . sēvā bhī anēk ātmāō̃ kō bāp K|kē snēhī banānē kā sādhan banī huī hai . Dēkhnē mē̃ bhal karmaṇā sēvā hai lēkin karmaṇā sēvā mukh key|kī sēvā sē bhī jyādā phal dē rahī hai . Karmaṇā dvārā kiskī mansā kō parivartan karnē vālī sēvā hai , tō us sēvā kā phal ‘ viśhēṣh khuśhī ' key|kī prāpti hōtī hai . Karmaṇā sēvā bhal dēkhnē mē̃ sthūl ātī hai lēkin sūkṣhma vr̥ittiyō̃ kō parivartan karnē vālī hōtī hai . Tō aisī sēvā K|kē ham nimitt haĩ - isī khuśhī sē āgē baṛhtē chalō . Bhāṣhaṇ karnē vālē bhāṣhaṇ kartē haĩ lēkin karmaṇā sēvā bhī bhāṣhaṇ karnē vālō̃ key|kī sēvā sē bhī jyādā hai kyōṅki iskō pratyakṣhaphal anubhav hōtā hai .

6 . ‘ sadā puṇya kā khātā jamā karnē vālī śhrēṣhṭh ātmā hū̃ ' - aisē anubhav hōtā haĩ  ? Yah sēvā - nām sēvā kā hai , lēkin puṇya kā khātā jamā karnē kā sādhan hai . Tō puṇya K|kē khātē sadā bharpūr haĩ aur āgē bhī bharpūr rahē̃gē . Jitnī sēvā kartē hō , utnā puṇya kā khātā baṛhtā jātā hai . Tō puṇya kā khātā avināśhī ban gayā . Yah puṇya anēk janm bharpūr karnē vālā hai . Tō puṇya ātmā hō aur sadā hī puṇyātmā ban aurō̃ kō bhī puṇya kā rāstā batānē vālē . Yah puṇya kā khātā anēk janm sāth rahēgā , anēk janm mālāmāl rahē̃gē - isī khuśhī mē̃ sadā āgē baṛhtē chalō .

7 . ‘ sadā ēk bāp kī yād mē̃ rahnē vālī , ēkras sthiti kā anubhav karnē vālī śhrēṣhṭh ātmā hū̃ ' - aisē anubhav kartē hō  ? Jahā̃ ēk bāp yād hai , vahā̃ ēkras sthiti svataḥ sahaj anubhav hōgī . Tō ēkras sthiti śhrēṣhṭh sthiti hai . Ēkras sthiti kā anubhav karnē vālī śhrēṣhṭh ātmā hū̃ - yah smr̥iti sadā hī āgē baṛhātī rahēgī . Isī sthiti dvārā anēk śhaktiyō̃ key|kī anubhūti hōtī rahēgī .