बुधवार 3 अप्रैल 1991 की अव्यक्त मुरली

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

>

03-04-91 ōm śhānti avyakt bāpadādāmadhuban

Sarv hadō̃ sē nikal bēhad K|kē vairāgī banō

Avyakt bāpdādā apnē bachchō̃ prati bōlēḥ -

Āj kalp bād phir sē milan manānē sabhī bachchē apnē sākārī sweet home madhuban mē̃ pahũch gayē haĩ . Sākārī vatan kā sweet home madhuban hī hai . Jahā̃ bāp aur bachchō̃ kā rūhānī mēlā lagtā hai . Milan mēlā hōtā hai . Tō sabhī bachchē milan mēlē mē̃ āyē huē hō . Yah bāp aur bachchō̃ kā milan mēlā sirph is saṅgamyug par aur madhuban mē̃ hī hōtā hai . Isliē sabhī bhāg kar madhuban mē̃ pahũchē hō . Madhuban bāpdādā kā sākār rūp mē̃ bhī milan karātā aur sāth-sāth sahaj yād dvārā avyakt milan bhī karātā hai , kyōṅki madhuban dharnī kō rūhānī milan key|kī , sākār rūp mē̃ milan key|kī anubhūti kā vardān milā huā hai . Vardānī dharnī hōnē K|kē kāraṇ milan kā anubhav sahaj kartē hō . Aur kōī bhī sthān par gyān sāgar aur gyān nadiyō̃ kā milan mēlā nahī̃ hōtā . Sāgar aur nadiyō̃ K|kē milan mēlē kā yah ēk hī sthān hai . Aisē mahān vardānī dharnī par āyē hō - aisē samajhtē hō  ?

Tapasyā varṣh mē̃ viśhēṣh is kalp mē̃ pahlī bār milnē vālē bachchō̃ kō golden chance milā hai . Kitnē lucky hō  ! Tapasyā K|kē ādi mē̃ hī nayē bachchō̃ kō extra bal milā hai . Tō ādi mē̃ hī yah extra bal āgē kē liē , āgē baṛhnē mē̃ sahyōgī banēgā . Isliē nayē bachchō̃ kō drama nē bhī āgē baṛhnē kā sahyōg diyā hai . Isliē yah ulhanā nahī̃ dē sakē̃gē ki ham tō pīchhē āyē haĩ . Nahī̃ , tapasyā varṣh kō bhī vardān milā huā hai . Tapasyā varṣh mē̃ vardānī bhūmi par ānē kā adhikār milā hai , chance milā hai . Yah extra bhāgya cum|kam nahī̃ hai  ! Yah varṣh kā , madhuban dharnī kā aur apnē purūṣhārth kā - tīnō̃ vardān viśhēṣh āp nayē bachchō̃ kō milē huē haĩ . Tō kitnē lucky huē  ! Itnē avināśhī bhāgya kā naśhā sāth mē̃ rakhnā . Sirph yahā̃ tak naśhā na rahē , lēkin avināśhī bāp hai , avināśhī āp śhrēṣhṭh ātmāē̃ hō , tō bhāgya bhī avināśhī hai . Avināśhī bhāgya kō avināśhī rakhnā . Yah sirph sahaj attention dēnē key|kī bāt hai . Tension vālā attention nahī̃ . Sahaj attention hō , aur muśhkil hai bhī kyā  ? Mērā bābā jān liyā , mān liyā . Tō jō jān liyā , mān liyā , anubhav kar liyā , adhikār prāpt hō gayā phir muśhkil kyā hai  ? Sirph ēk hī mērā bābā - yah anubhav hōtā rahē . Yahī full knowledge hai . Ēk ‘ ‘ bābā ' ' śhabda mē̃ sārā ādi-madhy-ant kā gyān samāyā huā hai . Kyōṅki bīj hai nā . Bīj mē̃ tō sārā jhāṛ samāyā huā hōtā hai nā . Vistār bhūl saktā hai lēkin sār ēk bābā śhabda - yah yād rahnā muśhkil nahī̃ hai . Sadā sahaj hai nā  ! Kabhī sahaj , kabhī muśhkil nahī̃ . Sadā bābā mērā hai . Ki kabhī kabhī mērā hai  ? Jab sadā bābā mērā hai tō yād bhī sadā sahaj hai . Kōī muśhkil bāt nahī̃ . Bhagvān nē kahā - āp mērē aur āpnē kahā - āp mērē . Phir kyā muśhkil hai  ? Isliē viśhēṣh nayē bachchē aur āgē baṛhō . Abhī bhī āgē baṛhnē kā chance hai . Abhī final samāpti kā bigul nahī̃ bajā hai . Isliē uṛō aur aurō̃ kō bhī uṛātē chalō . Iskī vidhi hai west|waste arthāt vyarth kō bachāō . Bachat kā khātā , jamā kā khātā baṛhātē chalō . Kyōṅki 63 janm sē bachat nahī̃ kī hai lēkin ganvāyā hai . Sabhī khātē vyarth ganvā kar khatm kar diyā hai . Śhvāṅs kā khazānā bhī ganvāyā , saṅkalp kā khazānā bhī ganvāyā , samay kā khazānā bhī ganvāyā , guṇō̃ kā khazānā bhī ganvāyā , śhaktiyō̃ kā khazānā bhī ganvāyā , gyān kā khazānā bhī ganvāyā . Kitnē khātē khālī hō gayē  ! Abhī in sabhī khātō̃ kō jamā karnā hai . Jamā hōnē kā samay bhī abhī hai aur jamā karnē key|kī vidhi bhī bāp dvārā sahaj mil rahī hai . Vināśhī khazānē̃ kharcha karnē sē kam hōtē haĩ , khuṭtē haĩ aur yah sab khazānē̃ jitnā sva kē prati , aur aurō̃ kē prati śhubh vr̥itti sē kārya mē̃ lagāyēṅgē , utnā jamā hōtā jāyēgā , baṛhtā jāyēgā . Yahā̃ khazānō̃ kō kārya mē̃ lagānā , yah jamā kī vidhi hai . Vahā̃ rakhnā jamā karnē key|kī vidhi hai aur yahā̃ lagānā jamā karnē key|kī vidhi hai . Phark hai . Samay kō svayã prati yā aurō̃ prati śhubh kārya mē̃ lagāō tō jamā hōtā jāyēgā . Gyān kō kārya mē̃ lagāō . Aisē guṇō̃ kō , śhaktiyō̃ kō jitnā lagāyēṅgē utnā baṛhēgā . Yah nahī̃ sōchnā - jaisē vah locker mē̃ rakh dētē haĩ aur samajhtē haĩ bahut jamā hai , aisē āp bhī sōchō mērē buddhi mē̃ gyān bahut hai , guṇ bhī mērē mē̃ bahut haĩ , śhaktiyā̃ bhī bahut haĩ . Lock up karkē nahī̃ rakhō , use karō . Samjhā . Jamā karnē key|kī vidhi kyā hai  ? Kārya mē̃ lagānā . Svayã prati bhī use karō , nahī̃ tō loose hō jāyēṅgē . Kaī bachchē kahtē haĩ ki sarv khazānē̃ mērē andar bahut samāyē huē haĩ . Lēkin samāyē huē key|kī niśhānī kyā hai  ? Samāyē huē haĩ arthāt jamā hai . Tō uskī niśhānī hai - sva prati va aurō̃ kē prati samay par kām mē̃ āyē . Kām mē̃ āyē hī nahī̃ aur kahē bahut jamā hai , bahut jamā hai . Tō iskō yathārth jamā kī vidhi nahī̃ kahē̃gē . Isliē agar yathārth vidhi nahī̃ hōgī tō samay par sampūrṇtā key|kī siddhi nahī̃ milēgī . Dhōkhā mil jāyēgā . Siddhi nahī̃ milēgī .

Guṇō̃ kō , śhaktiyō̃ kō kārya mē̃ lagāō tō baṛhtē jāyēṅgē . Tō bachat key|kī vidhi , jamā karnē key|kī vidhi kō apnāō . Phir vyarth kā khātā svataḥ hī parivartan hō saphal hō jāyēgā . Jaisē bhakti mārg mē̃ yah niyam hai ki jitnā bhī āpkē pās|pass sthūl dhan hai tō uskē liyē kahtē haĩ - dān karō , saphal karō tō baṛhtā jāyēgā . Saphal karnē kē liē kitnā umaṅg-utsāh baṛhātē haĩ , bhakti mē̃ bhī . Tō āp bhī tapasyā varṣh mē̃ sirph yah nahī̃ check karō ki vyarth kitnā ganvāyā  ? Vyarth ganvāyā , vah alag bāt hai . Lēkin yah check karō ki saphal kitnā kiyā  ? Jō sārē khazānē̃ sunāyē . Guṇ bhī hai bāp key|kī dēn . Mērā yah guṇ hai , mērī śhakti hai - yah svapn mē̃ bhī galatī|galtī nahī̃ karnā . Yah bāp key|kī dēn hai tō prabhu dēn . Paramātma dēn kō mērā mānnā - yah mahāpāp hai . Kaī bār kaī bachchē sādhāraṇ bhāṣhā mē̃ sōchtē bhī haĩ aur bōltē bhī haĩ ki mērē is guṇ kō use nahī̃ kiyā jātā , mērē mē̃ yah śhakti hai , mērī buddhi bahut achchhī hai , iskō use nahī̃ kiyā jātā hai . ‘ mērī ' kahā̃ sē I|āī|eye  ? ‘ mērī ' kahā aur mailī huī . Bhakti mē̃ bhī yah śhikṣhā 63 janmō̃ sē dētē rahē haĩ ki mērā nahī̃ mānō , tērā mānō . Lēkin phir bhī mānā nahī̃ . Tō gyān mārg mē̃ bhī kahnā tērā aur mānnā mērā - yah ṭhagī yahā̃ nahī̃ chaltī . Isliē prabhu prasād kō apnā mānnā - yah abhimān aur apmān karnā hai . ‘ ‘ bābā-bābā ' ' śhabda kahā̃ bhī bhūlō nahī̃ . Bābā nē śhakti dī hai , buddhi dī hai , bābā kā kārya hai , bābā kā centre hai , bābā key|kī sab chījē̃ hai . Aisē nahī̃ samjhō - mērā centre hai , hamnē banāyā hai , hamārā adhikār hai . ‘ hamārā ' śhabda kahā̃ sē āyā  ? Āpkā hai kyā  ? Gaṭhrī sambhāl kar rakhī hai kyā  ? Kaī bachchē aisā naśhā dikhātē haĩ - hamnē centre kā makān banāyā hai tō hamārā adhikār hai . Lēkin banāyā kiskā centre  ? Bābā kā centre hai nā  ! Tō jab bābā kō arpaṇ kar diyā tō phir āpkā kahā̃ sē āyā  ? Mērā kahā̃ sē āyā  ? Jab buddhi badaltī hai tō kahtē haĩ - mērā hai . Mērē-mērē nē hī mailā kiyā phir mailā hōnā hai  ? Jab brāhmaṇ banē tō brāhmaṇ jīvan kā bāp sē pahlā vāydā kaun sā hai  ? Nayō̃ nē vāydā kiyā hai , yā purānō̃ nē kiyā hai  ? Nayē bhī abhī tō purānē hōkar āyē hō nā  ? Niśhchay buddhi kā form bharkar āyē hō nā  ? Tō sabkā pahlā-pahlā vāydā hai - tan-man-dhan aur buddhi sab tērē . Yah vāydā sabhī nē kiyā hai  ?

Abhī vāydā karnē vālē hō tō hāth uṭhāō . Jō samajhtē haĩ ki āivēl kē liē kuchh tō rakhnā paṛēgā . Sab kuchh bāp kō kais dē dēgē  ? Kuchh tō kinārā rakhnā paṛēgā . Jō samajhtē haĩ ki yah samajhdārī kā kām hai , vah hāth uṭhāō . Kuchh kinārē rakhā hai  ? Dēkhnā , phir yah nahī̃ kahnā ki hamkō kisnē dēkhā  ? Itnī bhīṛ mē̃ kisnē dēkhā  ? Bāp kē pās tō T . V|we . bahut clear hai . Ussē chhip nahī̃ saktē hō . Isliē sōch , samajh karkē thōṛā rakhnā hō , bhal rakhō . Pāṇḍav kyā samajhtē hō  ? Thōṛā rakhnā chāhiē  ? Achchhī tarah sē sōchō . Jinkō rakhnā hai vē|way abhī hāth uṭhā lē , bach jāyēṅgē . Nahī̃ tō yah samay , yah sabhā , yah āpkā kāndh kā hilānā - yah sab dikhāī dēgā . Kabhī bhī mērāpan nahī̃ rakhō . Bāp kahā aur pāp gayā . Bāp nahī̃ kahtē tō pāp hō jātā hai . Pāp vaśh K|kē hō karkē , phir buddhi kām nahī̃ kartī hai . Kitnā bhī samjhāō , kahē̃gē nahī̃ , yah tō right hai . Yah tō hōnā hī hai . Yah tō karnā hī hai . Bāp kō bhī rahm paṛtā hai . Kyōṅki us samay pāp K|kē vaśh hōtē haĩ . Bāp bhūl jātā hai tō pāp ā jātā hai . Aur pāp K|kē vaśh hōnē K|kē kāraṇ jō bōltē haĩ , jō kartē haĩ vah svayã bhī nahī̃ samajhtē ki ham kyā kar rahē haĩ , kyōṅki parvaśh hōtē haĩ . Tō sadā gyān K|kē hōśh mē̃ rahō . Pāp K|kē jōśh mē̃ nahī̃ āō . Bīch-bīch mē̃ yah māyā key|kī lahar ātī hai . Āp nayē in bātō̃ sē bach karkē rahnā . Mērā-mērā mē̃ nahī̃ jānā . Thōṛā purānē hō jātē haĩ tō phir yah mērē-mērē key|kī māyā bahut ātī hai . Mērā vichār , mērī buddhi hī nahī̃ hai tō mērā vichār kahā̃ sē āyā  ? Tō samjhā , jamā karnē key|kī vidhi kyā hai  ? Kārya mē̃ lagānā . Saphal karō , apnē īśhvarīy saṅskārō̃ kō bhī saphal karō tō vyarth saṅskār svataḥ hī chalē jāyēṅgē . Īśhvarīy saṅskārō̃ kō kārya mē̃ nahī̃ lagātē hō tō vah locker mē̃ rahtē aur purānā kām kartē rahtē . Kaiyō̃ key|kī yah ādat hōtī hai ki bank mē̃ yā alamāriyō̃ mē̃ rakhnē key|kī . Bahut achchhē kapṛē hōṅgē , paisē hōṅgē , chījē̃ hōṅgī , lēkin use phir bhī purānē karē̃gē . Purānī vastu sē unhō̃ kō pyār hōtā hai aur almārī key|kī chījē̃ almārī mē̃ hī rah jāyēgī aur vah purānē sē hī chalā jāyēgā . Tō aisē nahī̃ karnā - purānē saṅskār use kartē rahō aur īśhvarīy saṅskār buddhi K|kē locker mē̃ rakhō . Nahī̃ , kārya mē̃ lagāō , saphal karō . Tō yah chart rakhō ki saphal kitnā kiyā  ? Saphal karnā mānā bachānā yā baṛhānā . Mansā sē saphal karō , vāṇī sē saphal karō . Sambandh-sampark sē , karma sē , apnē śhrēṣhṭh saṅg sē , apnē ati śhaktiśhālī vr̥itti sē saphal karō . Aisē nahī̃ ki mērī vr̥itti tō achchhī rahtī hai . Lēkin saphal kitnā kiyā  ? Mērē saṅskār tō hai hī śhānt lēkin saphal kitnā kiyā  ? Kārya mē̃ lagāyā  ? Tō yah vidhi apnānē sē sampūrṇtā key|kī siddhi sahaj anubhav kartē rahē̃gē . Saphal karnā hī saph-latā key|kī chābī hai . Samjhā - kyā karnā hai  ? Sirph apnē mē̃ hī khuśh nahī̃ hōtē rahō - maĩ tō bahut achchhī guṇvān hū̃ , maĩ bahut achchhā bhāṣhaṇ kar saktī hū̃ , maĩ bahut achchhā gyānī hū̃ , yōg bhī mērā bahut achchhā hai . Lēkin achchhā hai tō use karō nā . Uskō saphal karō . Sahaj vidhi hai - kārya mē̃ lagāō aur baṛhāō . Binā mēhnat K|kē baṛhtā jāyēgā aur 21 janm ārām sē khānā . Vahā̃ mēhnat nahī̃ karnī paṛēgī .

Viśhāl mahaphil hai ( ōm śhānti bhavan kā hall|hāl ēkdam full bhar gayā isliē kaiyō̃ kō nīchē meditation hall , chhōṭē hall|hāl mē̃ baiṭhnā paṛā . Hall|hāl chhōṭā paṛ gayā ) śhāstrō̃ mē̃ yah āpkā jō yādgār hai , usmē̃ bhī gāyan hai - pahlē gilās mē̃ pānī ḍālā , phir ussē ghaṛē mē̃ ḍālā , phir ghaṛē sē tālāb mē̃ ḍālā , tālāb sē nadī mē̃ ḍālā . Ākhrīn kahā̃ gayā  ? Sāgar mē̃ . Tō yah mahaphil pahlē history hall|hāl mē̃ lagī , phir meditation hall mē̃ lagī , abhī ōm śhānti bhavan mē̃ lag rahī hai . Ab phir kahā̃ lagēgī  ? Lēkin iskā matlab nahī̃ ki sākār milan K|kē binā avyakt milan nahī̃ manā saktē hō . Avyakti milan manānē kā abhyās samay pramāṇ baṛhnā hī hai aur baṛhānā hī hai . Yah tō dādiyō̃ nē merciful hōkar āp sabkē ūpar viśhēṣh rahm kiyā hai , nayō̃ kē ūpar . Lēkin avyakt anubhav kō baṛhānā - yah samay aur kārya mē̃ āyēgā . Dēkhō , nayē-nayē bachchō̃ kē liē hī bāpdādā viśhēṣh yah sākār mē̃ milan kā part ab tak bajā rahē haĩ . Lēkin yah bhī kab tak  ?

Sabhī khuśarājī hō , santuṣhṭ hō  ? Bāhar rahnē mē̃ bhī santuṣhṭ hō  ? Yah bhī drama mē̃ part hai . Jab kahtē hō sārā ābū hamārā hōgā , tō vah kaisē hōgā  ? Pahlē āp charaṇ tō rakhō . Phir abhī jō dharmaśhālā nām hai vah apnā hō jāyēgā . Dēkhō , vidēśh mē̃ abhī aisē hōnē lagā hai . Church itnē nahī̃ chaltē haĩ tō be|B . K|kē . kō dē dī hai . Jō aisē baṛē-baṛē sthān hai , chal nahī̃ pātē haĩ tō offer kartē haĩ nā . Tō brāhmaṇō̃ K|kē charaṇ paṛ rahē haĩ jagah-jagah par , ismē̃ bhī rāz hai . Brāhmaṇō̃ kō rahnē kā drama mē̃ part milā hai . Tō sārā hī apnā jab hō jāyēgā phir kyā karē̃gē  ? Āp hī offer karē̃gē āp sambhālō . Hamē̃ bhī sambhālō , āśhram bhī sambhālō . Jis samay jō part miltā hai , usmē̃ rājī rah karkē part bajāō . Achchhā .

Madhuban nivāsī aur teachers sabhī nīchē sun rahē haĩ . Sunnē dvārā mil rahē haĩ . Teachers aur madhuban nivāsiyō̃ kō sēvā kā pratyakṣhaphal sabkē santuṣhṭatā key|kī duāē̃ miltī hai . Yah brāhmaṇ ātmāō̃ key|kī yā bāp key|kī duāē̃ extra lift K|kē rūp mē̃ kām mē̃ ātī haĩ . Yah brāhmaṇ ātmāō̃ K|kē dil key|kī duāē̃ cum|kam nahī̃ hai . Achchhā -

Chārō̃ ōr K|kē sarv milan manānē K|kē , gyān ratan dhāraṇ karnē K|kē chātrak ātmāō̃ kō ākār rūp mē̃ vā sākār rūp mē̃ milan mēlā manānē vālī śhrēṣhṭh ātmāō̃ kō , sadā sarv khazānō̃ kō saphal kar saphaltā svarūp bannē vālī ātmāō̃ kō , sadā mērā bābā aur kōī had kā mērāpan aṅśhmātra bhī na rakhnē vālē aisē bēhad K|kē vairāgī ātmāō̃ kō sadā her|har samay vidhi dvārā sampūrṇtā key|kī siddhi prāpt karnē vālē bachchō̃ kō bāpdādā kā yādpyār aur namastē .

Dādiyō̃ sē  : sadaiv kōī naī scene hōnī chāhiē nā . Yah bhī drama mē̃ naī scene thī jō repeat huī . Yah sōchā thā ki yah hall|hāl bhī chhōṭā hō jāyēgā  ? Sadā ēk scene tō achchhī lagtī nahī̃ . Kabhī-kabhī key|kī scene achchhī lagtī hai . Yah bhī ēk rūhānī raunak hai nā  ! In sabhī ātmāō̃ kā saṅkalp pūrā hōnā thā , isliē yah scene hō gaī . Yahā̃ sē chhuṭṭī dē dī - bhalē āō . Tō kyā karē̃gē  ? Abhī tō nayē aur baṛhnē haĩ . Aur purānē tō purānē hō gayē . Jaisē umaṅg sē āyē haĩ vaisē apnē kō set kiyā hai , yah achchhā kiyā hai . Viśhāl tō hōnā hī hai . Cum|kam tō hōnā hai hī nahī̃ . Jab viśhva kalyāṇkārī kā title hai tō viśhva kē āgē yah tō kuchh bhī nahī̃ haĩ . Vr̥iddhi bhī hōnī hai aur vidhi bhī nayē sē naī hōnī hai . Kuchh na kuchh tō vidhi hōtī rahnī hai . Abhī vr̥itti powerful hōgī . Tapasyā dvārā vr̥itti powerful hō jāyēgī tō svataḥ hī vr̥itti dvārā ātmāō̃ key|kī bhī vr̥itti change hōgī . Achchhā - āj sab sēvā kartē thaktē tō nahī̃ hō nā . Mauj mē̃ ā rahē hō . Mauj hī mauj hai . Achchhā .

Party sē  : sadā apnē kō ēkras sthiti mē̃ anubhav kartē hō  ? Ēkras sthiti hai yā aur had K|kē ras ākārṣit kartē haĩ  ? Nir-ntar yōgī ban gayē  ? Sadā powerful yōg hai yā phark paṛtā hai  ? Nirantar arthāt antar na hō . Aisē śhaktiśhālī banē hō yā ban rahē hō  ? Kitnē tak banē hō  ? 75 tak pahũchē hō  ? Kyōṅki sadā ēkras kā arth|earth hī hai ēk kē sāth sadā jaisē bāp , vaisē maĩ , bāp samān . Bannā tō bāp samān hai . Bāp tō śhakti bhartē hī haĩ . Rōj key|kī murlī kyā hai  ? Śhakti bhartī hai nā  ! Lēkin bharnē vālē bhartē haĩ . Sadaiv smr̥iti rakhō ki ham mahāvīr haĩ , śivaśaktiyā̃ haĩ tō kabhī bhī nirbal nahī̃ hōṅgē , kamjōr nahī̃ hōṅgē . Kyōṅki kōī bhī vighna tab ātā hai jab kamjōr bantē haĩ . Agar kamjōr nahī̃ banō tō vighna nahī̃ ā saktā . Mahāvīr kō kahtē haĩ vighna vināśhak . Tō yah kiskā title hai  ? Āp sabhī vighna vināśhak hō yā vighnō̃ mē̃ ghabrānē vālē hō  ? Kōī bhī śhakti key|kī kamī huī tō master sarv śhaktivān nahī̃ kahē̃gē . Isliē sadā yād rakhō ki sarv śhaktiyā̃ bāp kā varsā hai . Varsā tō pūrā milā hai yā thōṛā milā hai  ? Tō ēk bhī śhakti cum|kam nahī̃ hōnī chāhiē . Is samay sabhī madhuban nivāsī hō nā  ! Abhī madhuban kō sāth lē jānā . Kyōṅki madhuban arthāt madhurtā . Madhuban āpkē sāth hōgā tō sadā hī sampūrṇ aur sadā hī santuṣhṭ rahē̃gē . Aisē nahī̃ kahnā ki madhuban mē̃ tō bahut achchhā thā . Abhī badal gayē . Madhuban kā bābā bhī sāth hai . Tō madhuban key|kī viśhēṣhtā bhī sāth hai . Tō sadā apnē kō master sarv śhaktivān anu-bhav karē̃gē . Sabhī tīvr puruṣhārthī hō yā puruṣhārthī hō  ? Tīvr puruṣhārthī key|kī niśhānī kyā hōtī hai  ? Tīvr puruṣhārthī sadā uṛtī kalā vālā hōgā , sadā double light hōgā . Kabhī ūpar , kabhī nīchē nahī̃ , sadā uṛtī kalā . Jitnā-jitnā vichitr bāp sē pyār hai tō jissē pyār hōtā hai vaisā hī bannā hōtā hai . Svayã bhī vichitr ātmā rūp mē̃ sthit hōṅgē tō uṛtī kalā mē̃ rahē̃gē . Achchhā .

( bāpdādā kā madhur yād patra double vidēśhī bhāī-bahanō̃ prati )

Chārō̃ ōr K|kē double vidēśhī bachchō̃ kō bāpdādā dilavar key|kī dil sē bahut-bahut yādpyār svīkār hō .

Sarv bachchō̃ key|kī madhuban K|kē riphrēśamēnṭa K|kē umaṅg-utsāh key|kī khuśhbū patrō̃ dvārā , rūhrihān dvārā bāp kē pās pahũch rahī hai . Bāpdādā bhī bachchō̃ kā tīvr purūṣhārth dēkh khuśh hō rahē haĩ aur sadā āgē uṛānē mē̃ sāthī hai . Īśhvarīy parivār K|kē bhī sahyōg key|kī duāē̃ sadā sabkē sāth haĩ . Dēkhō , mīṭhē bachchē is tapasyā varṣh mē̃ lagan key|kī agni dvārā sarv vyarth saṅkalp , samay aur saṅskārō̃ kō samāpt kar samarth-sampanna bannē kā jō dr̥iṛh saṅkalp kiyā hai , unkō apnī himmat aur bāp key|kī madad sē pūrā karnā hī hai aur hōnā hī hai . Iskē liē sadā bāp kō apnē companion K|kē rūp mē̃ sāth rakhnā aur company tīvr puruṣhārthī follow father brāhmaṇ ātmāō̃ key|kī karnī hai . Ismē̃ hī sahaj saphaltā anubhav kartē rahē̃gē . Double vidēśhī bachchō̃ par tō viśhēṣh bāp kā pyār hai kyōṅki bachchē bhī bāp K|kē lav|love mē̃ līn rahtē haĩ . Uṛtē rahō aur uṛātē rahō . Achchhā .