मंगलवार 30 मार्च 1999 की अव्यक्त मुरली

ध्यान दें: वाक्यों का संरेखण अक्षरों की संख्या पर आधारित है और पूरी तरह विश्वसनीय नहीं है।

आप पूरी मुरली या उसके किसी भाग का वाक्य संरेखण स्वयं सुधार सकते हैं।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

0> 130-03-99 ōm śhānti avyakt bāpadādāmadhuban

0> > 30-03-1999 Om Shanti Avyakt Bapdada Madhuban

2Tīvr purūṣhārth key|kī lagan kō jvālā rūp banākar bēhad K|kē vairāgya key|kī lahar phailāō

1Intensify your love for effort and spread the waves of unlimited disinterest.

3Āj bāpdādā har ēk bachchē K|kē mastak par tīn lakīrē̃ dēkh rahē haĩ .

2Today, BapDada was seeing three lines on the forehead of every child.

4Jismē̃ ēk lakīr hai - paramātma pālnā K|kē bhāgya key|kī lakīr .

3The first line is of your fortune of increasing God’s sustenance.

5Yah paramātma pālnā kā bhāgya sārē kalp mē̃ ab ēk bār hī miltā hai , sivāē is saṅgamyug K|kē yah paramātma pālnā kabhī bhī nahī̃ prāpt hō saktī .

4You only receive this fortune of God’s sustenance once throughout the whole kalpa. 5It is only at the confluence age and no other time that this sustenance can be given by God.

6Yah paramātma pālnā bahut thōṛē bachchō̃ kō prāpt hōtī hai .

6Very few children receive this sustenance from God.

7Dūsrī lakīr hai - paramātma paṛhāī K|kē bhāgya key|kī lakīr .

7The second line of your fortune is the line of God’s study.

8Paramātma paṛhāī yah kitnā bhāgya hai jō svayã param ātmā śhikṣhak ban paṛhā rahē haĩ .

8The fortune of you have of God’s study is so great that God Himself becomes your Teacher to teach you this.

9Tīsrī lakīr hai - paramātma prāptiyō̃ key|kī lakīr .

9The third line of fortune is the line of the attainments you receive from God.

10Sōchō kitnī prāptiyā̃ haĩ .

10Just think about how much you have attained.

11Sabhī kō yād hai nā - prāptiyō̃ key|kī list kitnī lambī hai  !

11All of you remember how long the list of your attainments is.

12Tō har ēk K|kē mastak mē̃ yah tīn lakīr chamak rahī haĩ .

12These three lines of fortune were shining on the forehead of every child.

13Aisē bhāgyavān ātmāyē̃ apnē kō samajhtē hō  ?

13Do you consider yourselves to be such fortunate souls who are given this?

14Pālnā , paṛhāī aur prāptiyā̃ .

14Sustenance, study and attainments.

15Sāth-sāth bāpdādā bachchō̃ K|kē niśhchay K|kē ādhār par rūhānī naśhē kō bhī dēkh rahē haĩ .

15As well as this, on the basis of your faith, BapDada also gives you spiritual intoxication.

16Har ēk paramātma bachchā kitnā rūhānī naśhē vālī ātmāyē̃ haĩ  !

16All of you souls who are the children of God have such spiritual intoxication.

17Sārē viśhva mē̃ aur sārē kalp mē̃ sabsē highest bhī haĩ , mahān bhī haĩ aur holiest bhī haĩ .

17You are the highest, greatest and holiest of everyone in the whole world and throughout the whole kalpa.

18Āp jaisī pavitra ātmāyē̃ tan sē bhī , man sē bhī dēv rūp mē̃ sarv guṇ sampann , sampūrṇ nirvikārī aur kōī bantā nahī̃ hai .

18No other souls become as pure in their body and mind and as full of all virtues and as completely viceless as you souls are in your deity form.

19Aur phir highest bhī hō , holiest bhī hō sāth-sāth richest bhī hō . 20Bāpdādā sthāpanā mē̃ bhī bachchō̃ kō smr̥iti dilātē thē aur phalak sē akhbārō̃ mē̃ bhī ḍalvāyā ki ‘ ‘ ōm maṇḍlī richest in the world ’ ’ .

19You are the highest, the holiest and also the richest. 20At the beginning of the establishment BapDada used to tell you children that you are the richest. 21It was also printed in the newspaper with a lot of intoxication that “Om Mandli is the richest in the world.”

21Yah sthāpanā K|kē samay key|kī āp sabkī mahimā hai .

22This is the praise of all of you even at the beginning of this establishment.

22Ēk din mē̃ kitnā bhī baṛē tē baṛā multi-multi millionaire hō lēkin āp jaisā richest hō nahī̃ saktā .

23Even if someone were to become a multi­multi­millionaire in one day, no one can be as rich as you are; you are the richest.

23Itnā richest bannē kā sādhan kyā hai  ?

24What is the sign of your becoming the richest of all?

24Bahut chhōṭā sā sādhan hai .

25It is a very tiny method.

25Lōg richest bannē kē liē kitnī mēhnat kartē haĩ aur āp kitnā sahaj mālāmāl bantē jātē hō .

26People make so much effort to become the richest, whereas you become full of all treasures so easily!

26Jāntē hō nā sādhan  !

27You know the method, do you not?

27Sirph chhōṭī see|sī|C bindī lagānī hai bas .

28All you have to do is apply a small point.

28Bindī lagāī , kamāī huī .

29When you put a point, you earn a lot more.

29Ātmā bhī bindī , bāp bhī bindī aur drama fullstop lagānā , vah bhī bindī hai .

30It is just as you add a zero to increase the amount. 31The soul is a point, Baba is the Point and to put a full stop to the drama is also a point.

30Tō bindī ātmā kō yād kiyā , kamāī baṛh gaī .

32As soon as you remember you are a soul, a point, your income increases.

31Vaisē laukik mē̃ bhī dēkhō , bindī sē hī saṅkhyā baṛhtī hai .

33In the mundane world also, the number is increased when a zero is added.

32Ēk kē āgē bindī lagāō tō kyā hō jātā  ?

34What happens when you put a zero after the figure one? 35It becomes ten.

3310 , dō bindī lagāō , tīn bindī lagāō , chār bindī lagāō , baṛhtā jātā hai .

36When you add one zero, two zeroes, three zeroes, four zeroes, the number keeps increasing. 37Your method is so easy!

34Tō āpkā sādhan kitnā sahaj hai  ! 35‘ ‘ maĩ ātmā hū̃ ’ ’ - yah smr̥iti key|kī bindī lagānā arthāt khazānā jamā hōnā . 36Phir ‘ ‘ bāp ’ ’ bindī lagāō aur khazānā jamā .

38To apply the point of the consciousness of being a soul means to accumulate treasures for yourself. 39Then, when you apply the point of the Father (have remembrance of the Father), you accumulate further treasure.

37Karma mē̃ , sambandh-sampark mē̃ drama kā fullstop lagāō , bītī kō fullstop lagāyā aur khazānā baṛh jātā .

40Then, when you put a full stop to the drama whilst acting in connection and relationship with others; when you put a full stop to the past, your treasure increases further.

38Tō batāō sārē din mē̃ kitnē bār bindī lagātē hō  ?

41So, how many times do you put a point throughout the day? 42You do put a point, do you not?

39Aur bindī lagānā kitnā sahaj hai  !

43It is so easy to put a point. 44Do you find it difficult?

40Muśhkil hai kyā  ?

45Teachers, is this difficult?

41Bindī khisak jātī hai kyā  ?

46It isn’t difficult, is it?

42Bāpdādā nē kamāī kā sādhan sirph yahī sikhāyā hai ki bindī lagātē jāō , tō sabhī kō bindī lagānē ātī hai  ?

47Or, is it that the point slips away? 48BapDada has taught you how to earn an income by simply adding a point. 49Do you Pandavas know how to put a point?

43Agar ātī hai tō ēk hāth key|kī tālī bajāō .

50If you do know how to do this, then clap with one hand!

44Pakkī hai nā  !

51It is firm, is it not?

45Yā kabhī khisak jātī hai , kabhī lag jātī hai  ?

52Or, does it sometimes slip away and sometimes remain applied?

46Sabsē sahaj bindī lagānā hai .

53The easiest way of all is to put a point.

47Kōī is āṅkhō̃ sē blind bhī hō , vah bhī agar kāgaj par pencil rakhēgā tō bindī lag jātī hai aur āp tō trinētrī hō , isliē in tīn bindiyō̃ kō sadā use karō .

54Even a blind person can use a pencil to write on paper; he is able to put a point. 55However, you are trinetri (those with three eyes). 56Therefore, you can constantly use these three points.

48Question mark kitnā ṭeṛhā hai , likhkar dēkhō , ṭeṛhā hai nā  ?

57A question mark is crooked. 58Just write it and see, it is crooked, is it not?

49Aur bindī kitnī sahaj hai .

59It is so easy to put a point.

50Isliē bāpdādā bhinn-bhinn rūp sē bachchō̃ kō samān banānē key|kī vidhi sunātē rahtē haĩ .

60This is why BapDada doesn’t tell you children different methods to become equal.

51Vidhi hai hī bindī .

61The method is just to put a point.

52Aur kōī vidhi nahī̃ hai .

62There is no other method.

53Agar vidēhī bantē hō tō bhī vidhi hai - bindī bannā .

63Even to become bodiless, the method you use is to become a point.

54Aśharīrī bantē hō , karmātīt bantē hō , sabkī vidhi bindī hai .

64When you become bodiless, and when you become karmateet, the method you use is to become a point.

55Isliē bāpdādā nē pahlē bhī kahā hai - amr̥itvēlē bāpdādā sē milan manātē , rūhrihān kartē jab kārya mē̃ ātē hō tō pahlē tīn bindiyō̃ kā tilak mastak par lagāō , vah lāl bindiyō̃ kā tilak lagānē nahī̃ śhurū karnā lēkin smr̥iti kā tilak lagāō . 56Aur check karō - kisī bhī kāraṇ sē yah smr̥iti kā tilak miṭē nahī̃ .

65This is why BapDada has also told you earlier that when you celebrate a meeting with BapDada at amrit vela, when you have a heart­to­heart conversation or when you are doing your task, first apply the tilak of the three points on your forehead. 66Don’t start putting a physical red tilak of three dots on your forehead, but put the tilak of this consciousness and then make sure that this tilak is never rubbed off for any reason.

57Avināśhī , amiṭ tilak hai  ? 58Bāpdādā bachchō̃ kā pyār bhī dēkhtē haĩ , kitnē pyār sē bhāg-bhāg kar milan manānē pahuñchtē haĩ aur phir āj hall|hāl mē̃ bhī milan manānē kē liē kitnī mēhnat sē , kitnē pyār sē nīnd , pyās kō bhūlkar pahlē number mē̃ najdīk baiṭhnē kā purūṣhārth kartē haĩ .

67This tilak is imperishable and can thus never be rubbed off. 68BapDada has seen the love all you children have and how you have all come running here with so much love to celebrate this meeting with BapDada. 69And, when you come to sit in this hall to meet Baba, because of your love you make so much effort to sit at the front that you forget about your sleep or thirst etc.

59Bāpdādā sab dēkhtē haĩ , kyā-kyā kartē haĩ vah sārā drama dēkhtē haĩ .

70BapDada sees everything. 71Baba sees the drama of what all of you do.

60Bāpdādā bachchō̃ K|kē pyār par nyōchhāvar bhī hōtē haĩ aur yah bhī bachchō̃ kō kahtē haĩ jaisē sākār mē̃ milnē kē liē dauṛ-dauṛ kar ātē hō aisē hī bāp samān bannē kē liē bhī tīvr purūṣhārth karō , ismē̃ sōchtē hō nā ki sabsē āgē tē āgē number milē .

72Because of the love you children have, BapDada also surrenders Himself to you children and says to you: Just as you came running to meet the Father in this corporeal form, so in the same way, make your effort to become equal to the Father just as intense. 73You all think of obtaining the first seats here.

61Sabkō tō miltā nahī̃ hai , yahā̃ sākārī duniyā hai nā  ! 62Tō sākārī duniyā K|kē niyam rakhnē hī paṛtē haĩ .

74However, not everyone can receive this. 75This is the corporeal world, and so the laws of the corporeal world have to be observed.

63Bāpdādā us samay sōchtē haĩ ki sab āgē-āgē baiṭh jāē̃ lēkin yah hō saktā hai  ?

76At that time BapDada feels that all of you should sit at the front. 77But would that be possible?

64Hō bhī rahā hai , kaisē  ?

78It is happening, but how?

65Pīchhē vālō̃ kō bāpdādā sadā nayanō̃ mē̃ samāyā huā dēkhtē haĩ .

79BapDada sees those sitting at the back as being constantly merged in His eyes.

66Tō sabsē samīp haĩ nayan .

80The eyes are the closest of all.

67Tō pīchhē nahī̃ baiṭhē hō lēkin bāpdādā K|kē nayanō̃ mē̃ baiṭhē hō .

81Therefore, you are not sitting at the back, but in BapDada’s eyes. 82You are the light of the eyes.

68Nūrē ratna hō . 69Pīchhē vālō̃ nē sunā  ?

83Did all of you sitting at the back hear this?

70Dūr nahī̃ hō , samīp hō .

84You are not sitting far away, you are close.

71Śharīr sē pīchhē baiṭhē haĩ lēkin ātmā sabsē samīp hai .

85Physically, you may be sitting at the back, but you souls are the closest.

72Aur bāpdādā tō sabsē jyādā pīchhē vālō̃ kō hī dēkhtē haĩ .

86BapDada looks at those sitting at the back the most.

73Dēkhō najdīk vālō̃ kō in sthūl nayanō̃ sē dēkhnē kā chance hai aur pīchhē vālō̃ kō in nayanō̃ sē najdīk dēkhnē kā chance nahī̃ hai isliē bāpdādā nayanō̃ mē̃ samā lētā hai .

87Those who are sitting close at the front have a chance to see Baba with their eyes, whereas those sitting at the back do not have this chance. 88Therefore, BapDada merges you in His eyes.

74Bāpdādā muskarātē rahtē haĩ , dō bajtā hai aur line śhurū hō jātī hai .

89BapDada continues to smile because as soon as it is 2.00 pm everyone starts to form a queue.

75Bāpdādā samajhtē haĩ ki bachchē khaṛē-khaṛē thak bhī jātē haĩ lēkin bāpdādā sabhī bachchō̃ kō pyār kā massage kar dētē haĩ .

90BapDada realises that you children would probably be tired from standing there, so BapDada gives all of you children a loving massage. 91Your legs are then massaged.

76Ṭāṅgō̃ mē̃ massage hō jātā hai .

92Have you felt BapDada’s massage: it is very lovely and unique.

77Bāpdādā kā massage dēkhā hai nā - bahut nyārā aur pyārā hai .

93So today, everyone has come running from everywhere to take the last chance of this season.

78Tō āj sabhī is season kā last chance lēnē kē liē chārō̃ ōr sē bhāg-bhāgkar pahuñch gayē haĩ .

94It is good. 95Your zeal and enthusiasm to celebrate a meeting with the Father constantly enables you to move forward.

79Achchhā hai . 80Bāp sē milan kā umaṅg-utsāh sadā āgē baṛhātā hai .

96However, BapDada does not forget the children for even one second.

81Lēkin bāpdādā tō bachchō̃ kō ēk second bhī nahī̃ bhūltā hai .

97There is only one Father but many children.

82Bāp ēk hai aur bachchē anēk parantu anēk bachchō̃ kō bhī ēk second bhī nahī̃ bhūltē kyōṅki sikīladhē hō .

98However, Baba doesn’t forget any of you all you many children for even a second, because you are all long­lost and now­found children.

83Dēkhō kahā̃-kahā̃ dēśh-vidēśh K|kē kōnē-kōnē sē bāp nē hī āpkō ḍhūṇḍhā .

99Look how Baba found you all in all the different far­away corners of this land and abroad.

84Āp bāp kō ḍhūṇḍh sakē  ?

100Were you able to find the Father?

85Bhaṭaktē rahē lēkin mil nahī̃ sakē aur bāp nē bhinn-bhinn dēśh , gānv , kasbē jahā̃-jahā̃ bhī bāp K|kē bachchē haĩ , vahā̃ sē ḍhūṇḍh liyā .

101You continued to wander and stumble around but were unable to find Him. 102However, Baba found you children of the Father in different lands, countries and states etc.

86Apnā banā liyā .

103Baba made you belong to Him.

87Gīt gātē hō nā - maĩ bābā kā aur bābā mērā .

104You sing the song: I belong to Baba’s and Baba belongs to me.

88Na jāti dēkhī , na dēśh dēkhā , na raṅg dēkhā , sabkē mastak par ēk hī rūhānī raṅg dēkhā - jyōti bindu .

105Baba didn’t look at your caste, your country, your colour etc. 106He only saw the spiritual colour on the forehead of each of you; the jyoti bindu.

89Double foreigners kyā samajhtē haĩ  ?

107What do you double foreigners think?

90Bāp nē jāti dēkhī  ?

108Did Baba look at your caste or colour?

91Kālā hai , gōrā hai , śhyām hai , sundar hai  ?

109Whether you were black or white or beautiful or ugly?

92Kuchh nahī̃ dēkhā .

110Baba didn’t look at anything.

93Mērā hai - yah dēkhā .

111He only saw that you belonged to Him.

94Tō batāō bāp kā pyār hai yā āpkā pyār hai  ?

112So is this Baba’s love or your love? 113Whose love is it?

95Kiskā hai  ?

114(Of both).

96 ( dōnō̃ kā hai ) bachchē bhī uttar dēnē mē̃ hōśhiyār haĩ , kahtē haĩ bābā āp hī kahtē hō ki pyār sē pyār khīñchtā hai , tō āpkā pyār hai tō hamārā hai tab tō khīñchtā hai .

115Children are very clever in replying. 116They say: Baba, You tell us that love draws love, and it is because love draws love that you have love that we also have love.

97Bachchē bhī hōśhiyār haĩ aur bāp kō khuśhī hai ki itnā himmat , umaṅg-utsāh rakhnē vālē bachchē haĩ .

117Children, you are very clever. 118Baba is also pleased to see that you children have so much courage, zeal and enthusiasm.

98Bāpdādā kē pās 15 din K|kē chart kā bahut bachchō̃ kā result āyā hai .

119BapDada has the results of the chart of 15 days of many children.

99Ēk bāt tō bāpdādā nē chārō̃ ōr key|kī result mē̃ dēkhī ki majority bachchō̃ kā attention rahā hai .

120One thing that BapDada saw in the results of the children everywhere was that the majority of you paid attention.

100Percentage jitnī svayã bhī chāhtē haĩ utnī nahī̃ hai , parantu attention hai aur dil hī dil mē̃ jō tīvr puruṣhārthī bachchē haĩ vah apnī pratigyā kō pūrā karnē K|kē lakṣhya sē āgē baṛh bhī rahē haĩ .

121The percentage is not what you yourselves wanted, but you have paid attention and the intense effort­making children are trying to fulfil their aim of keeping the promise they made in their heart and are moving forward.

101Aur āgē baṛhtē-baṛhtē mañjil par pahuñch hī jāyēṅgē .

122By moving forward in this way you will reach your destination.

102Minority abhī bhī kabhī albēlēpan mē̃ aur kabhī ālasya K|kē vaśh attention bhī cum|kam dē rahē haĩ .

123The minority is even now, because of carelessness or laziness paying very little attention.

103Unhō̃ kā ēk viśhēṣh slōgan hai - hō hī jāyēṅgē , jāyēṅgē … jānā hai nahī̃ , jāyēṅgē . 104Hō hī jāyēgā - yah hai albēlāpan .

124Their special slogan is: Yes, we will make it; we will get there. 125When you think that you will get there at some point, that is carelessness.

105Jānā hī hai , yah hai tīvr purūṣhārth .

126To say, ”I have to get there” is intense effort.

106Bāpdādā vāydē bahut suntē haĩ , bār-bār vāydē bahut achchhē kartē haĩ .

127BapDada hears many promises. 128You repeatedly make many beautiful promises.

107Bachchē vāydē itnī achchhī himmat sē kartē haĩ jō us samay bāpdādā kō bhī bachchē dilkhuśh miṭhāī khilā dētē haĩ .

129Children, you make promises with so much courage that, at that time, you even give Dilkhush toli to BapDada. 130Baba swallows that too!

108Bāp bhī khā lētē haĩ .

131(Accepts what you say.)

109Lēkin vāydā arthāt purūṣhārth mē̃ jyādā sē jyādā phāydā .

132However, to make a promise means to experience the greatest benefit from your effort to accomplish that.

110Agar phāydā nahī̃ tō vāydā samarth nahī̃ hai .

133If you don’t experience benefit, then your promise is not strong.

111Tō vāydā bhalē karō phir bhī dilkhuśh miṭhāī tō khilātē hō nā  !

134So, you may make promises, because you are at least feeding Baba Dilskhush toli.

112Sāth-sāth tīvr purūṣhārth key|kī lagan kō agni rūp mē̃ lāō .

135However, as well as that, you must also make your love of effort take the form of fire.

113Jvālāmukhī banō .

136Become like a volcano.

114Samay pramāṇ rahē huē jō bhī man K|kē , sambandh-sampark K|kē hisāb-kitāb haĩ uskō jvālā svarūp sē bhasma karō .

137According to the time, whatever karmic accounts still remain of your mind, relations and connections, burn all of them in your form of fire.

115Lagan hai , ismē̃ bāpdādā bhī pās|pass kartē haĩ lēkin abhī lagan kō agni rūp mē̃ lāō .

138This is the love you have and BapDada has given you a pass mark for this. 139You have this love, but your love should now take the form of fire.

116Viśhva mē̃ ēk taraph bhraṣhṭāchār , atyāchār key|kī agni hōgī , dūsrē taraph āp bachchō̃ kā powerful yōg arthāt lagan key|kī agni jvālā rūp mē̃ āvaśhyak hai .

140On the one side of the world there is the fire of corruption and violence, and on the other side, there should be your powerful yoga, that is, yoga of the intensity of a volcano.

117Yah jvālā rūp is bhraṣhṭāchār , atyāchār K|kē agni kō samāpt karēgī aur sarv ātmāō̃ kō sahyōg dēgī .

141This volcanic intensity of your fire will finish the fire of corruption and violence and give co­operation to all souls.

118Āpkī lagan jvālā rūp kī hō arthāt powerful yōg hō , tō yah yād kī agni , us agni kō samāpt karēgī aur dūsrē taraph ātmāō̃ kō paramātma sandēśh key|kī , śhītal svarūp key|kī anubhūti karāyēgī .

142On the one hand, your intense love, that is, your powerful yoga and remembrance will finish that fire and on the other hand, it will enable souls to experience God’s message and form of coolness.

119Bēhad key|kī vairāgya vr̥itti prajvalit karāyēgī .

143It will intensify the attitude of unlimited disinterest.

120Ēk taraph bhasma karēgī dūsrē taraph śhītal bhī karēgī .

144On one hand, it will burn everything and on the other hand, it will cool everything.

121Bēhad K|kē vairāgya key|kī lahar phailāyēgī .

145It will spread the waves of unlimited disinterest.

122Bachchē kahtē haĩ - mērā yōg tō hai , sivāē bābā K|kē aur kōī nahī̃ , yah bahut achchhā hai .

146So, according to the time, when you say that you have constant yoga and that you have no one other than Baba, that is very good.

123Parantu samay anusār abhī jvālā rūp banō .

147However, you have been told that your love now have to become like a volcano.

124Jō yādgār mē̃ śhaktiyō̃ kā śhakti rūp , mahāśhakti rūp , sarv śhastradhārī dikhāyā hai , abhī vah mahā śhakti rūp pratyakṣha karō .

148In the memorials, the Shaktis, the Mahashaktis have all been portrayed in a form holding all weapons. 149You now have to reveal that form of a Mahashakti.

125Chāhē pāṇḍav haĩ , chāhē śhaktiyā̃ haĩ , sabhī sāgar sē nikalī huī gyān nadiyā̃ hō , sāgar nahī̃ hō , nadī hō .

150All of you, whether Pandavas or Shaktis, are rivers of knowledge that have emerged from the Ocean. 151You are not the Ocean, but rivers.

126Gyān gaṅgāyē hō .

152You are the Ganges of Knowledge.

127Tō gyān gaṅgāyē̃ ab ātmāō̃ kō apnē gyān key|kī śhītaltā dvārā pāpō̃ key|kī āg sē mukt karō .

153So you Ganges of Knowledge now have to liberate souls from their sins with the coolness of your knowledge.

128Yah hai vartamān samay kā brāhmaṇō̃ kā kārya .

154This it the duty of you Brahmins at the present time.

129Sabhī bachchē pūchhtē haĩ ki is sāl kyā sēvā karē̃  ?

155All of you children have been asking what service you do next year.

130Tō bāpdādā pahlī sēvā yahī batātē haĩ ki abhī samay anusār sabhī bachchē vānaprasth avasthā mē̃ haĩ , tō vānaprasthī apnē samay , sādhan sabhī bachchō̃ kō dēkar svayã vānaprasth hōtē haĩ .

156All of you are asking this, are you not? 157Even though you may not be saying anything, you are thinking about this. 158According to the time, all of you children are in your stage of retirement. 159So, the first service that BapDada is telling you to do is like that of those who are in this stage.

131Tō āp sabhī bhī apnē samay kā khazānā , śhrēṣhṭh saṅkalp kā khazānā abhī aurō̃ kē prati lagāō .

160They give their time and everything to their children and retire. 161Therefore, all of you should now use your treasures of time and elevated thoughts for others.

132Apnē prati samay , saṅkalp cum|kam lagāō .

162Now use less time and thoughts for yourself.

133Aurō̃ kē prati lagānē sē svayã bhī us sēvā kā pratyakṣhaphal khānē kē nimitt ban jāyēṅgē .

163By becoming an instrument and using these for others, you can eat the practical fruit of that service.

134Mansā sēvā , vāchā sēvā aur sabsē jyādā - chāhē brāhmaṇ , chāhē aur jō bhī sambandh-sampark mē̃ ātē haĩ unhō̃ kō kuchh na kuchh master dātā bankē dētē jāō .

164Serve through your thoughts and serve through your words. 165Most of all, whoever comes into connection or relationships with you, whether those souls are Brahmins or not, you become a bestower and give them something or another.

135Niḥsvārth ban khuśhī dō , śhānti dō , ānand key|kī anubhūti karāō , prēm key|kī anubhūti karāō .

166Give them happiness, give them peace, give them an experience of bliss. 167Give them an experience of love.

136Dēnā hai aur dēnā mānā svataḥ hī lēnā .

168You have to give, and to give means to receive automatically.

137Jō bhī jis samay , jis rūp mē̃ sambandh-sampark mē̃ āyē kuchh lēkar jāyē .

169Be so selfless that whoever comes into contact with you should return having taken something from you.

138Āp master dātā kē pās ākar khālī nahī̃ jāyē .

170After coming to you master bestowers, they should not return empty­handed.

139Jaisē brahmā bāp kō dēkhā - chaltē-phirtē bhī agar kōī bhī bachchā sāmnē āyā tō kuchh na kuchh anubhūti K|kē binā khālī nahī̃ jātā .

171You saw how whenever Brahma Baba was walking or moving around and someone came in front of him, that child would not leave Baba without having experienced something.

140Yah check karō jō bhī āyā , milā , kuchh diyā vā khālī gayā  ? 141Khajānē sē jō bharpūr hōtē haĩ vah dēnē K|kē binā rah nahī̃ saktē . 142Akhuṭ , akhaṇḍ dātā banō .

172So check that, whenever you have met someone, whether you gave them something or whether they went away empty­handed. 173Those who are overflowing with treasures cannot stay without giving something.

143Kōī māṅgē , nahī̃ . 144Dātā kabhī yah nahī̃ dēkhtā ki yah māṅgē tō dē̃ .

174Become such limitless, constant bestowers that no one should have to ask for anything from you.

145Akhuṭ mahādānī , mahādātā svayã hī dētā hai . 146Tō pahlī sēvā is varṣh - mahān dātā kī karō .

175Even though they may ask, a bestower would never think that he will only give something when he is asked.

147Āp dātā dvārā milā huā dētē hō .

176A limitless great donor, a great bestower would give without being asked.

148Brāhmaṇ kōī bhikhārī nahī̃ haĩ lēkin sahyōgī haĩ .

177The first service you have to do this year is to become a great bestower.

149Tō āpas mē̃ brāhmaṇō̃ kō ēk dō mē̃ dān nahī̃ dēnā hai , sahyōg dēnā hai .

178Amongst yourselves too, Brahmins are not beggars. 179You are giving whatever you have received from the Bestower.

150Yah hai pahlā number sēvā .

180Another Brahmin is not a beggar but a co­operative soul.

151Aur sāth-sāth bāpdādā nē vidēśh K|kē bachchō̃ key|kī khuśhkhabarī sunī tō bāpdādā nē dēkhā ki jō is sr̥iṣhṭi K|kē āvāj phailānē kē nimitt bāpdādā nē jō mike nām diyā hai tō vidēśh K|kē bachchō̃ nē āpas mē̃ is kārya kō kiyā hai aur jab plan banā hai tō practical hōnā hī hai .

181Brahmins do not donate to one another, they co­operate with one another. 182This is the foremost service. 183As well as this, BapDada has heard good news from the children abroad. 184Baba had told you to find mikes to spread the sound in the world and the children abroad have all worked together well to achieve this.

152Lēkin bhārat mē̃ bhī jō 13 zone haĩ , har ēk zone sē kam sē kam ēk aisā viśhēṣh nimitt sēvādhārī banē̃ , jiskō mike kahō yā kuchh bhī kahō , āvāj phailānē vālē kōī nimitt banāō , yah bāpdādā nē kam sē kam kahā hai lēkin agar baṛē-baṛē dēśh mē̃ aisē nimitt bannē vālē haĩ tō sirph zone vālē nahī̃ lēkin baṛē dēśhō̃ sē bhī aisē taiyār kar programme banānā hai .

185When a plan is made, it has to be put into practice. 186However, in Bharat also, BapDada has told each of the 13 zones to create at least one such person. 187Whether you call them mikes or anything else, there should at least be one special server who can become an instrument for this. 188If you find that there are such instruments in the large states, then you can make a programme for such souls from the large states and not just the different zones.

153Bāpdādā nē vidēśh K|kē bachchō̃ kō dil hī dil mē̃ mubārak dī|the , abhī mukh sē bhī dē rahē haĩ ki practical mē̃ lānē kā plan pahlē bāpdādā K|kē sāmnē lāyā . 154Vaisē bāpdādā jāntē haĩ ki bhārat mē̃ aur hī sahaj hai lēkin abhī kuchh quality key|kī sēvā kar sahyōgī samīp lāō .

189It is not that you can make such a programme, but that you must make such a programme. 190BapDada congratulated the children abroad from His heart, and is now congratulating you in words that you have brought the plans which you will put into practice in front of BapDada.

155Bahut sahyōgī haĩ lēkin saṅgaṭhan mē̃ unhō̃ kō aur samīp lāō . 156Sāth-sāth bāpdādā kā yah saṅkalp hai ki har ēk baṛē śhaharō̃ key|kī jō area hōtī hai , vah bahut baṛī hōtī hai , har ēk centre kō apnī area sē aisē viśhēṣh taiyār karnā āvaśhyak hai kyōṅki samay samīp ā rahā hai aur last samay āp sabhī kō svayã apnā parichay nahī̃ dēnā hai , āpkī taraph sē vah speech karē , vah speaker hō aur āp searchlight hō .

191In fact, BapDada knows that it is easier to do this in Bharat, but you must now serve quality souls and make them into closely co­operative souls. 192There are many co­operative souls, but you must now bring them even closer still within the gathering. 193Together with this, BapDada thinks that, since the areas of all the large cities are huge, every centre has to prepare someone special in their own area because time is now getting short.

157Tō har ēk kō apnī area sē aisā mike nikālnā hai .

194At the end, all of you will not have to give your own introduction.

158Har ēk area mē̃ kōī na kōī viśhēṣh businessman kahō vā aisā bhinn-bhinn varg kā kōī mukhya hōtā hī hai . 159Apnē - apnē centre par apnī area key|kī viśhēṣh ātmāō̃ kō taiyār karō .

195They will be the speakers and speak on your behalf; you will just be the searchlight. 196So, each of you has to prepare someone from your own area; it can be a businessman or an eminent person in any profession. 197Prepare special souls in your own area at your own centres.

160Vah sunāvē ki yah gyān kyā hai .

198They should speak of what this knowledge is about.

161Āp abhī last samay sākṣhātkār mūrt , phariśhtā ban dr̥iṣhṭi dō aur vah speaker banē .

199From now on you should let them become the speakers and to become the angelic images that grant visions at the last moment with your drishti.

162Speaker bannā tō sabhī sīkh gayē haĩ , chhōṭī-chhōṭī teachers bhī speech bahut achchhā kartī haĩ .

200All of you know how to become a speaker. 201Even the young teachers give very good speeches. 202You do this, do you not?

163Speech sabhī kartē hō .

203All of you give speeches.

164Abhī speaker aurō̃ kō taiyār karō .

204You must now prepare those other speakers.

165Āpkī dr̥iṣhṭi vā dō vachan sabhī kō aisī bhāsnā dē̃ jaisē kaī samay key|kī speech kar lī hai .

205A few words and your drishti should make everyone feel you have given them a great speech. 206Such a time has to come.

166Aisā samay ānā hī hai .

207Time is now moving fast.

167Abhī samay bhī fast gati lē rahā hai , sirph samay bār-bār fast hōkar āp lōgō̃ kō aisē pīṭh karkē ( muṛkar K|kē ) dēkhtā hai ki hamārē mālik tēj raphatār sē ā rahē haĩ vā samay fast jā rahā hai  ?

208Time is continuing to move fast and every now and then, it turns around to look at all of you, its masters, to see whether you are moving just as fast or whether time is moving faster than you. 209You are the masters of time, are you not?

168Mālik tō āp hō nā  ? 169Tō āpkō bār-bār dēkhtā hai , fast ā rahē haĩ  !

210So time is continuing to watch you to see whether you are moving fast.

170Isliē is varṣh quality key|kī sēvā mē̃ viśhēṣh attention dō .

211Therefore, this year, pay special attention to serving quality souls.

171Har ēk centre key|kī result ānī chāhiē ki hamārē centre par kis varg K|kē aur kitnī quality key|kī sēvā hō rahī hai .

212Every centre has to give the result as to which professions they have served and how much quality service they did.

172Quantity tō svataḥ hī baṛhtī jāyēgī .

213Quantity will increase automatically.

173Abhī bhī dēkhō yah hall|hāl bhī chhōṭā hō gayā hai nā .

214Even now, look at how small this hall has become!

174Quantity tō baṛhnī hī hai , abhī aisē practical group taiyār karō .

215You have now to increase quality. 216Therefore, prepare such a practical group.

175Sāth-sāth brāhmaṇ ātmāō̃ mē̃ aur bhī samīp lānē kē liē , har ēk taraph vā madhuban mē̃ chārō̃ ōr jvālā svarūp kā vāyumaṇḍal banānē kē liē , chāhē jiskō bhaṭṭhī vahatē hō vah karō , chāhē āpas mē̃ saṅgaṭhan mē̃ rūhrihān karkē jvālā svarūp kā anubhav karāō aur āgē baṛhāō .

217As well as this, in order to bring Brahmin souls closer, in order to create an intense atmosphere of love in Madhuban and everywhere else, you should have bhattis and gatherings of heart­to­heart conversations amongst yourselves.

176Jab is sēvā mē̃ lag jāyēṅgē tō jō chhōṭī-chhōṭī bātē̃ haĩ nā - jismē̃ samay lagtā hai , mēhnat lagtī hai , dilśhikasta bantē haĩ vah sab aisē lagēgā jaisē jvālāmukhī highest stage aur uskē āgē yah samay dēnā , mēhnat karnā , ēk guṛiyō̃ kā khēl anubhav hōgā . 177Svataḥ hī sahaj hī safe hō jāyēṅgē .

218Everyone should be given an experience of the volcanic intensity of fire and be made to move forward. 219When you become busy doing this service, the trivial things that take time and effort, the trivial things that dishearten you will feel like a game of dolls when compared to the highest stage of the intense fire of love.

178Bāpdādā nē kahā nā ki sabsē jyādā bāpdādā kō rahm tab paṛtā hai jab dēkhtē haĩ ki master sarvśhaktivān bachchē aur chhōṭī-chhōṭī bātō̃ kē liē mēhnat kartē haĩ .

220Then, you will easily and automatically remain safe. 221BapDada has told you that He feels the most mercy when He sees you master almighty children still labouring over trivial things.

179Mōhabbat jvālāmukhī rūp key|kī cum|kam hai tab mēhnat lagtī hai .

222It is when your fire of love lessens that you have to labour.

180Tō abhī mēhnat sē mukt banō , albēlē nahī̃ bannā lēkin mēhnat sē mukt hōnā .

223So now liberate yourselves from having to labour. 224Do not become careless, but do become free from labour.

181Aisē nahī̃ sōchnā mēhnat tō karnī nahī̃ hai tō ārām sē sō jāō .

225Don’t think that you mustn’t labour and so you can go to sleep comfortably.

182Lēkin mōhabbat sē mēhnat khatm karō .

226Finish your labouring with love, not with carelessness.

183Albēlēpan sē nahī̃ .

227Do you understand what you have to do?

184Samjhā - kyā karnā hai  ?

228Now BapDada has to come again.

185Abhī bāpdādā kō ānā tō hai hī . 186Pūchhtē haĩ āgē kyā hōgā  ?

229You are all asking what is going to happen in the future.

187Bāpdādā āyēṅgē yā nahī̃ āyēṅgē  ?

230Whether BapDada is going to come or not.

188Bāpdādā nā tō kartē nahī̃ haĩ , hā̃ jī , hā̃ jī kartē haĩ .

231BapDada never says no. 232He always says “Ha ji, Ha ji”.

189Bachchē kahtē haĩ hajūr , bāp kahtē haĩ jī hājir .

233When you children call out, “Lord”, Baba says, “Ji Hazoor” (I am present).

190Tō samjhā kyā karnā hai , kyā nahī̃ karnā hai .

234So, do you understand what you must do and what you must not do?

191Mēhnat mōhabbat sē kaṭ karō .

235Put an end to labouring with love.

192Abhī mēhnat mukt varṣh manāō - mōhabbat sē , ālasya sē nahī̃ .

236Now, celebrate this year as the year free from labouring. 237With love, not with laziness!

193Yah pakkā yād rakhnā - ālasya nahī̃ .

238Remember this firmly! 239Not with laziness!

194Ṭhīk hai - sab saṅkalp pūrē huē  ?

240Is this OK? 241Have all your questions finished?

195Kōī rah gayā  ?

242Does anything still remain?

196Janak sē ( dādī jānkī sē ) pūchhtē haĩ - kuchh rahā  ?

243Baba is asking Janak. 244Does anything still remain?

197Dādī tō muskarā rahī hai .

245Dadiji is smiling anyway.

198Khēl pūrā hō gayā  ?

246That game is now over.

199Yah operation bhī kyā hai  ?

247What was that operation anyway?

200Khēl mē̃ khēl hai .

248It was a game within the play.

201Khēl achchhā rahā nā  ! 202Achchhā –

249That game was very good, was it not?

203Sabhī viśhēṣh teachers bhī baiṭhī haĩ . 204Ēk panth dō kārya kiyā hai , teachers baṛī hōśhiyār haĩ .

250Achcha. 251All of you teachers sitting here killed two birds with one stone. 252You teachers are very clever.

205 ( meeting bhī hai aur bāpdādā sē milan bhī huā )

253(They had meetings and also celebrated a meeting with BapDada.) 254Achcha.

206Achchhā - anēk kalp mē̃ tō āyē hō lēkin jō is kalp mē̃ pahlī bār āyē haĩ vah hāth uṭhāō .

255You have been coming here for many kalpas before. 256However, those who have come here for the first time this kalpa, raise your hands.

207Jō bhī pahlī bār āyē haĩ chāhē āgē baiṭhē haĩ , chāhē pīchhē baiṭhē haĩ , unhō̃ kō bāpdādā viśhēṣh snēh key|kī dr̥iṣhṭi bhī dē rahē haĩ aur padam guṇā mubārak bhī dē rahē haĩ .

257Wherever you are sitting, whether at the front or the back, BapDada is giving all of you who have come for the first time special drishti of love and multimillion­fold congratulations. 258You have come at a very good time.

208Bahut achchhē samay par ā gayē .

259Just look how many there are of you now!

209Āp dēkhō abhī bhī itnī saṅkhyā hai , āgē chalkar itnā bhī nahī̃ mil sakēgā .

260In the future, even this many will not be able to meet Baba. 261At least you have got a chance to sit here.

210Baiṭhnā bhī milē , yah bhī muśhkil hōgā .

262Later on, even this will be difficult.

211Isīliē abhī ā gayē , bahut achchhā kiyā .

263This is why it is good that you have come now.

212Mubārak hō .

264Congratulations!

213Achchhā - garmā lag rahī hai sabhī kō .

265Achcha. 266All of you are feeling very hot.

214 ( raṅg-biraṅgī hāth K|kē paṅkhē sabkē pās|pass haĩ ) dēkhō bhakti key|kī yātrāō̃ sē tō bahut sukhī baiṭhē hō , miṭṭī mē̃ nahī̃ baiṭhē hō , darī aur chādar par hī baiṭhē hō .

267(Everyone was holding a colourful fan.) 268When compared to those pilgrimages on the path of devotion, you are sitting in great comfort and happiness. 269You are not sitting in the dust, but on very good sheets and rugs (carpets).

215 ( drill )

270(BapDada conducted drill.)

216Second mē̃ bindī svarūp ban man-buddhi kō ēkāgr karnē kā abhyās bārabār karō .

271You must repeatedly practise concentrating and stabilising your mind and intellect in the point­ form within a second.

217Stop kahā aur second mē̃ vyarth dēh-bhān sē man-buddhi ēkāgr hō jāē . 218Aisī controlling power sārē din mē̃ use karkē dēkhō .

272As soon as you say, “Stop!”, your mind and intellect should become completely still and beyond any wasteful body consciousness. 273Throughout the whole day use such controlling power.

219Aisē nahī̃ order karō - control aur dō minute kē bād control hō , 5 minute kē bād control hō , isliē bīch-bīch mē̃ controlling power kō use karkē dēkhtē jāō .

274It should not be that when you issue an order for control, it takes two minutes or five minutes to happen. 275Therefore, continue to practise using your controlling power every now and again and see how it works.

220Second mē̃ hōtā hai , minute mē̃ hōtā hai , jyādā minute mē̃ hōtā hai , yah sab check kartē jāō .

276Continue to check whether it takes you a second, a minute or a few minutes to be able to control your mind in a second.

221Abhī sabhī kō tīn mās kā chart aur pakkā karnā hai .

277Now, all of you have to make your chart very firm for three months.

222Certificate lēnā hai .

278You have to claim this certificate.

223Pahlē svayã , svayã kō certificate dēnā phir bāpdādā dēgē .

279First, you have to give yourself this certificate, then BapDada will give you the certificate.

224Achchhā .

280Achcha.

225Chārō̃ ōr K|kē paramātma pālnā K|kē adhikārī ātmāō̃ kō , paramātma paṛhāī K|kē adhikārī śhrēṣhṭh ātmāō̃ kō , paramātma prāptiyō̃ sē sampann ātmāō̃ kō , sadā bindī key|kī vidhi sē tīvr puruṣhārthī ātmāō̃ kō , sadā mēhnat sē mukt rahnē vālē mōhabbat mē̃ samāyē huē bachchō̃ kō , jvālā svarūp viśhēṣh ātmāō̃ kō bāpdādā kā yādpyār aur namastē .

281To all the souls who have a right to God’s sustenance; to the elevated souls who have a right to God’s study; to the souls who are full of attainments given by God; to the intense effort­ making souls who use the method of the point; to the children who remain constantly free from labouring and are always merged in love; to the special souls whose love is intense, BapDada’s love, remembrance and namaste.

226Dādī jī sē 227Jō bhī kuchh drama hōtā hai - sabhī kā snēh baṛhtā hai .

282BapDada speaking to Dadiji: Whatever happens in the drama with you, everyone’s love increases for you.

228Nimitt ātmāō̃ mē̃ sabhī K|kē jaisē prāṇ haĩ .

283It is as though everyone’s life is in you instrument souls.

229Isliē operation tō nimitt hai lēkin sabkē snēh aur duāō̃ kā khazānā bahut jamā hō gayā .

284This is why the operation was just an instrument to increase your treasures of everyone’s love and blessings.

230Dēkhō , drama mē̃ murliyā̃ bhī kitnī samay pramāṇ repeat huī , bāpdādā nē sabhī kō sakāśh dēnē aur lēnē kā pāṭh paṛhā liyā .

285Within the drama, the sakar murlis have been repeated many times. 286BapDada has now taught all of you the lesson of how to give and receive sakaash (current).

231Samay anusār murliyā̃ bhī vahī chalī . 232Bāpdādā kā tō pyār hai hī lēkin har ēk bachchō̃ kā bhī dil sē pyār hai .

287According to the time, the murlis you have just been hearing are the same ones. 288BapDada has love for you, but all the children also have love in their heart for you.

233Paramātma pyār aur brāhmaṇ ātmāō̃ kā pyār yah uṛā dētā hai kyōṅki āpkē sākār mē̃ thōṛā samay bhī milnē kā sabhī kō mahatva hai .

289God’s love and the love of Brahmin souls make you fly. 290This is because meeting you in the corporeal form, even for a very short time, is very important.

234Itnā samay milnē kē bajāē phariśhtē muāphik yah milan - yah bhī drama mē̃ part achchhā rahā .

291Instead of meeting everyone all that time, to have a meeting like angels meet was also a very good part within the drama.

235Abhī apnē kō brahmā bāp K|kē samān phariśhtā rūp sē milnā , chalnā aur uṛnā - yahī part chal rahā hai .

292Now, your part is becoming similar to the part played by father Brahma; to meet, walk and fly like an angel.

236Jaisē brahmā bāp kō dēkhā ēkdam nyārā , karmātīt anubhav rahā .

293You saw how when meeting Brahma Baba, you experienced him to be so detached and karmateet.

237Aisē āp sabhī mahārathiyō̃ kō abhī aisē brahmā samān karmātīt avasthā K|kē samīp ānā hī hai .

294In the same way, all of you Maharathis have to come close to your karmateet stage like Brahma Baba did.

238Follow father .

295Follow the father!

239Ēk second key|kī āpkī dr̥iṣhṭi kaī ghaṇṭō̃ key|kī prāpti kā anubhav karāyēgī .

296One second’s drishti from you should make souls experience an attainment of many hours.

240Abhī bōlnē key|kī , baiṭhnē key|kī bhī mēhnat kam hōtī jāyēgī .

297Your effort of speaking and sitting with souls will become less and less.

241Ēkdam brahmā bāp hī dikhāī dēgā .

298You will be seen like Brahma Baba.

242Yah dādiyā̃ nahī̃ haĩ , brahmā bāp hai .

299Souls will feel that you are not Dadis, but Brahma Baba.

243Avyakt brahmā , avyakt rūp sē pālnā dē rahē haĩ aur āp dvārā sākār brahmā bāp key|kī anubhūti baṛhtī jāyēgī .

300Avyakt Brahma is giving sustenance through the avyakt form and through all of you, their experience of sakar Brahma Baba will increase.

244Āpkō dādī nahī̃ dēkhē̃gē , brahmā dēkhē̃gē .

301They will not see you as Dadi, but as Brahma Baba.

245Hōtā hai nā aisē  ?

302It is like this, is it not?

246Achchhā .

303Achcha.

247Kīmatī ratna hō . 248Kīmatī ratnō̃ key|kī sambhāl kī jātī hai .

304You are a very valuable jewel and valuable jewels are looked after very well.

249Āp nimitt banī huī ātmāō̃ K|kē umaṅg-utsāh sē chārō̃ ōr key|kī ātmāyē̃ umaṅg-utsāh sē chal rahī haĩ kyōṅki ēk dō K|kē sahyōgī hō .

305Because of the zeal and enthusiasm of you instrument souls, and because you co­operate with one another, souls everywhere are moving along with the same zeal and enthusiasm.

250Jaisē bāp kahtē haĩ nā - hājir hajūr . 251Vaisē ēk dō mē̃ hāzar - hāzar is snēh aur saṅgaṭhan sē śhakti aurō̃ kō mil rahī hai aur duāyē̃ āpkō mil rahī haĩ .

306Just as Baba says, “Yes, my Lord, I am here, in the same way, you are here for one another. 307Because you are here, with this love and this gathering, others receive power and you receive blessings.

252Dōnō̃ kō prāpti hai .

308Both of you have such attainment.

253Sabsē jyādā duāō̃ kā khazānā kiskā jamā hōtā hai  ?

309Whose treasures of blessings have accumulated the most?

254Āpkā .

310Yours.

255Ismē̃ pahlē maĩ kahnē mē̃ abhimān nahī̃ hai , svamān hai .

311There is no arrogance in saying “I first” in this instance. 312This is self respect.

256Kuchh dō tō duāyē̃ milē̃ .

313Give something and you receive blessings.

257Abhī bhī vairāgya vr̥itti nahī̃ āī hai , ismē̃ bāpdādā bhī dēkh rahē haĩ , kab ārambh hōtā hai .

314Even now, there isn’t sufficient attitude of disinterest. 315Therefore, BapDada wants to see when that will happen.

258Abhī tō sādhan use karnē K|kē anubhavī jyādā haĩ .

316At present, you are more experienced in using your facilities.

259Bāpdādā jāntē haĩ ki jab tak brāhmaṇō̃ mē̃ bēhad key|kī vairāgya vr̥itti emerge nahī̃ huī hai tō viśhva mē̃ bhī vairāgya vr̥itti nahī̃ ā saktī .

317BapDada knows that for as long as the attitude of unlimited disinterest has not emerged in Brahmins, there cannot be any attitude of disinterest in the rest of the world.

260Sārē viśhva mē̃ vairāgya vr̥itti hī kuchh pāpō̃ sē mukt karēgī .

318When everyone in the world has an attitude of disinterest in the whole world they will be saved from committing sin.

261Abhī śhakti sēnā kō rahm ānā chāhiē .

319You Shakti Army should now have mercy.

262Abhī rahm cum|kam hai , sēvā hai . 263Lēkin merciful , vah abhī jyādā emerge chāhiē .

320At present, there is insufficient mercy; you are caught up in service. 321Your merciful form now has to emerge a lot more.

264Pāp karma kā bichārē bōjh uṭhātē jātē haĩ .

322The poor helpless people are continuing to carry the burden of sins.

265Bōjh sē jhuktē jā rahē haĩ .

323They are bowing under the weight of their burden.

266Tō rahm ānā chāhiē , taras ānā chāhiē .

324Therefore, you should feel mercy and compassion.

267Achchhā .

325Achcha.

268Ōm śhānti .

326* * * O MS H A N T I * * *