बुधवार 13 अप्रैल 2011 की अव्यक्त मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
013-04-11 ōm śhānti avyakt bāpdādā madhuban
013-04-2011 Om Shanti Avyakt Bapdada Madhuban
1 « jvālāmukhī agni svarūp yōg key|kī śhakti sē saṅskārō̃ kā saṅskār karō apnē chalan chēhrē dr̥iṣhṭi vr̥itti aur saṅkalp sē bāp kō pratyakṣha karō »
1With the form of the volcanic fire of the power of yoga, have the cremation ceremony of the sanskars. 2Reveal the Father through your behaviour, face, vision, attitude and thoughts.
2Āj bachchō̃ K|kē pyār nē pyār K|kē sāgar kō bhī apnē pās|pass bulā liyā .
3Today, the love of the children enabled the children to bring the Ocean of Love to them.
3Bāpdādā kō khuśhī hai ki bachchō̃ kā bāp sē dil kā pyār achchhā hai aur sadā hī is pyār K|kē ādhār sē bāp samān ban hī jāyēṅgē .
4BapDada is pleased that the children have love for the Father in their hearts and, on the basis of constantly having this love, you will definitely become equal to the Father.
4Vaisē bhī bāpdādā nē pyār key|kī subject mē̃ bachchō̃ kō āgē rakhā hai .
5In any case, BapDada has placed the children ahead in the subject of love.
5Tō āj bachchō̃ nē apnē pyār key|kī tār mē̃ bāndh pyār K|kē sāgar kō madhuban mē̃ viśhēṣh bulāē liyā .
6Today, the children have tied Him with the string of their love and especially called the Ocean of Love to Madhuban.
6Aisā pyār sadā emerge rahē .
7Such love should always remain emerged.
7Dilārām bāp kō bhī bachchō̃ K|kē dil kā pyār sadā pahuñchtā rahtā hai lēkin number-vār jarūr hai .
8The love of the children's hearts constantly continues to reach the Father, the Comforter of Hearts, but it is definitely numberwise.
8Bāp yah chāhtā hai ki pyār key|kī niśhānī hai ki sadā har ēk K|kē dil mē̃ dilārām sāth rahē kōī bhī bachchā akēlā na hō combined hō .
9The Father desires that the sign of this love should be that the Comforter of Hearts remains constantly in each one's heart, that no child should be alone, all should be combined.
9Tō check karnā sadā combined rahtē hō vā kab kab akēlē bhī ban jātē hō ?
10Check whether you remain constantly combined or whether you sometimes become alone.
10Akēlē mē̃ māyā apnā chance lē lētī hai isliē bāpdādā sadā kahtē haĩ dilārām kō sadā dil mē̃ basā lō .
11When you are alone, Maya takes her chance and this is why BapDada always says: Always let the Comforter of Hearts be settled in your heart.
11Iskō kahā jātā hai sachchā aur sadā pyār .
12This is called true and constant love.
12Tō kabhī akēlē bantē hō ki sadā sāth rahtē hō ?
13Do you sometimes become alone or do you remain constantly combined?
13Vāydā kyā hai her|har bachchē kā ?
14What is the promise that each child has made?
14Khās madhuban nivāsiyō̃ kā naśhā hai ki sāth hai sāth chalē̃gē sāth rājya karē̃gē .
15You residents of Madhuban especially have the intoxication that you are together, that you will return home together and that you will come to rule the kingdom together.
15Aisē hī jō viśhēṣh bahut bahut mīṭhē nimitt bachchē baiṭhē haĩ unhō̃ kā tō bāp sē dil kā vāydā hai aur majority kā practical bhī hai jō sadā combined rūp mē̃ rahtē haĩ lēkin number-vār haĩ .
16Similarly, those very, very sweet instrument children who are sitting here have promised the Father with their hearts - for the majority it is also a practical form - that you will always stay in the combined form. 17However, it is numberwise.
16Bāp chāhtē haĩ her|har bachchā mahārathī nimitt bachchē tō aurō̃ kō bhī apnē chēhrē dvārā bāp kā sākṣhātkār karānē vālē haĩ . 17Unhō̃ K|kē chēhrē aur chalan sē bāp kā prakāśhmay chēhrā aur sāth mē̃ bāp jaisī nyārī aur pyārī chalan kā sākṣhātkār hōtā rahtā hai .
18BapDada wants every maharathi instrument child to grant a vision of the Father through their face, that visions of the Father's face filled with light and of His lovely and unique behaviour should continue to be granted through their face and behaviour.
18Brahmā bāp kō dēkhā brahmā bāp nē ant tak bāp key|kī śhrīmat pramāṇ her|har murlī mē̃ kitnā bārī bābā-bābā kahā gintī karnā .
19You saw Father Brahma. 20Till the end, how many times, in every murli, did Father Brahma say "Baba, Baba" according to shrimat? 21Just count that!
19Her|har murlī mē̃ bābā-bābā kitnē bārī kahtē haĩ . 20Aur bāp jaisē sūrat sē mūrat sē vachan sē viśhēṣh nayan aur mastak sē bāp kō pratyakṣha kiyā āp bachchē tō anubhavī hō ki brahmā bāp kō dēkhtē kyā anubhav hōtā ?
22In every murli, he says, "Baba, Baba" so many times, and with his face, image, words and specially the eyes and forehead he revealed the Father. 23All of you children have experienced this. 24What do you experience when you look at Father Brahma?
21Bāpdādā .
25BapDada.
22Sirph bāp śhabda kōī nahī̃ kahtā sadā har ēk K|kē mukh sē bāpdādā bāpdādā ikaṭhṭhā nikaltā aur anubhav hōtā .
26No one just says the word "Father", but from each one's lips, the words "BapDada" emerge together and they are experienced together.
23Aisē follow father .
27Follow the Father in the same way.
24Āpkē chēhrē sē bōl sē chalan sē dr̥iṣhṭi sē bāp kī yād svataḥ hī dēkhnē vālē kō āvē .
28Anyone who looks at you should automatically remember the Father through your face, words, behaviour and vision.
25Āp sabkā abhī bāp nē dēkhā ki majority kā yahī saṅkalp hai ki ham apnē chēhrē yā bōl yā karma dvārā bāp kō pratyakṣha karē̃ .
29The Father saw just now that the majority of you have the thought to reveal the Father through your face, words and deeds.
26Tō follow father .
30So, follow the father.
27Jaisē brahmā bāp nē apnē chalan chēhrē sē dr̥iṣhṭi sē vr̥itti sē saṅkalp sē sadā bāp kō pratyakṣha kiyā āp sabkō tō anubhav hai nā !
31Father Brahma constantly revealed the Father through his behaviour, face, vision, attitude and thoughts. 32All of you experienced that.
28Akēlā brahmā bāp nahī̃ dēkhtē thē bāpdādā hī dēkhtē thē .
33It was not Father Brahma alone who was looking at you. 34BapDada was looking at you.
29Kāraṇ ?
35The reason?
30Brahmā bāp nē sadā apnē nayanō̃ mē̃ mastak mē̃ bāp kō samāyā .
36Father Brahma constantly merged the Father in his eyes and on his forehead.
31Tō āpkē viśhēṣh nayan mukh chalan bāpdādā kō samāyā huā pratyakṣha karē̃ .
37Your eyes, mouth and behaviour should reveal BapDada as merged in you.
32Her|har bōl mē̃ sikhānē vālā anubhav hō yah jō bhī bōl rahī hai bōl rahā hai iskō sikhānē vālā ismē̃ śhakti bharnē vālā sarvśhaktivān bāp hai bhagvān hai .
38The One who is teaching you should be experienced through your every word: whatever he is saying, whatever she is saying, the One teaching and filling them with power is the Almighty Authority Father, it is God.
33Yah bhagvān K|kē bachchē haĩ bhagvān K|kē student haĩ bhagvān kō follow karnē vālē followers nahī̃ lēkin kadam mē̃ padam banānē vālē haĩ .
39These are the children of God. 40These are the students of God. 41They are not the followers of God who follow God, but those who create multimillions at every step.
34Ab samay bhī āpkā sahyōgī bannē kē liē taiyār hai .
42Now, even time is ready to co-operate with you.
35Hālatē̃ badal rahī haĩ . 36Jō hālatē̃ na chāhtē bhī bhagvān key|kī yād dilātī haĩ .
43Circumstances are changing and these circumstances are reminding everyone of God even against their conscious wish.
37Tō ēk samay aur dūsrā āp nimitt banē huē dōnō̃ group key|kī viśhēṣhtā hai ēk viśhēṣh nimitt ban banā banāyā group meeting mē̃ āyē hō .
44So, one is time and the other is the speciality of both groups of instruments. 45This group that has come for this meeting is a ready-made group.
38Bāpdādā nē dēkhā majority ānē vālē bachchō̃ key|kī dil mē̃ umaṅg-utsāh hai ki hamē̃ bāp kō pratyakṣha karnā hī hai . 39Chāhē sūrat sē sūrat key|kī sīrat sē chāhē vāṇī sē chāhē kōī bhī ātmāyē̃ sambandh-sampark mē̃ haĩ ājkal āpkī mansā ātmāō̃ K|kē kalyāṇ key|kī bhāvnā sē āpkē connection mē̃ ā rahī haĩ aur ānē bhī chāhtī haĩ .
46BapDada has seen that the majority of the children who have come have zeal and enthusiasm in their hearts: We are definitely going to reveal the Father - with your face, with the character of your face, through words, with connection and relationship to any soul. 47Nowadays, by your serving souls with the benevolent feelings of your mind, souls are coming into connection with you and want to come into connection with you.
40Aur jō bāpdādā nē mansā sēvā kā kārya diyā hai usmē̃ bhī dēkhā ki jō yōgyukt hōkar mansā sēvā kā abhyās kartē haĩ tō abhī yah vibration chārō̃ ōr kisī na kisī kō pahuñch rahā hai ki hamē̃ kahā̃ sē light key|kī kiraṇē̃ sukh śhānti key|kī lahar ā rahī hai lēkin kahā̃ sē ā rahī hai abhī vah spaṣhṭ nahī̃ huā hai .
48It has been seen that, in the task which BapDada has given you of serving through your mind, when you practise serving with your mind whilst being yogyukt, you definitely enable these vibrations to reach someone or other; they feel that rays of light and waves of happiness and peace are coming to them from somewhere, but it is not clear to them where these are coming from.
41Ā rahī hai lēkin bhārat K|kē bāpdādā K|kē bachchō̃ sē ā rahī hai vah spaṣhṭ nahī̃ huā hai .
49These rays and waves are coming, but it is not clear to them that these are coming to them from BapDada's children from Bharat.
42Nahī̃ tō bhāgē̃gē .
50Otherwise, they would all come running here.
43Abhī aur śhaktiśhālī kiraṇē̃ aisī ātmāō̃ par ḍālō jō unhō̃ kō spaṣhṭ hō jāē pahuñch rahī hai śhurū huā hai abhī lēkin thōṛā-thōṛā kōī-kōī key|kī kiraṇē̃ pahuñchnē lagī haĩ abhī iskō aur śhaktiśhālī banāō .
51Now project even more powerful rays on to those souls so that it becomes clear to them. 52They are reaching them. 53It has just begun. 54Some rays have begun to reach some of them a little. 55Now make this even more powerful.
44Iskē liē jō vighna paṛtā hai pahuñchnē mē̃ spaṣhṭ hōnē mē̃ kāraṇ bantā hai yōg lagātē hō amr̥itvēlē baiṭhtē hō lēkin jvālāmukhī yōg uskī kamī hai .
56The thing that creates an obstacle in this, that becomes a reason for not reaching them clearly, is that you have yoga, you sit for amrit vela, but volcanic yoga is lacking.
45Iskē kāraṇ ēk tō jin bhaktō̃ kō yā ātmāō̃ kō āp kiraṇē̃ bhējtē hō vah itnī spaṣhṭ nahī̃ hōtī haĩ .
57Because of this, the devotees and souls to whom you send these rays do not receive them so clearly.
46Aur dūsrā jvālāmukhī agni svarūp yōg key|kī śhakti na hōnē mē̃ yā kamī hōnē mē̃ saṅskār jō bīch mē̃ vighna ḍāltē haĩ vah saṅskār bhī samāpt nahī̃ hōtē haĩ .
58Secondly, because of your not having or because you lack the power of yoga of the volcanic fire, the sanskars that create an obstacle in between cannot be finished.
47Purūṣhārth kartē hō saṅskār parivartan hō jāyē lēkin martē haĩ jaltē nahī̃ haĩ .
59You make effort for the sanskars to be transformed, and these sanskars do die, but they do not get burnt.
48Jaisē rāvaṇ kō sirph mārtē nahī̃ haĩ mārnē kē bād jalātē haĩ kyōṅki mārnē kē bād śharīr tō rah jātā hai nā !
60It is just as Ravan is not only killed but after he has been killed, he is burnt, because even after he is killed, his body still remains.
49Tō aisē hī āp amr̥itvēlē yād mē̃ baiṭhtē hō lēkin yōg agni rūp mē̃ jvālā rūp mē̃ cum|kam hai .
61In the same way, you sit for remembrance at amrit vela, but the yoga of the form of fire, the volcanic form of fire, is lacking.
50Milan manātē hō rūhrihān kartē hō apnē jīvan key|kī bātē̃ bhī kartē hō .
62You celebrate a meeting, you have a heart-to-heart conversation, and you also talk about the things in your life.
51Lagātār yōg agni rūp hō saṅskār kō mārtē jarūr hō lēkin vah martā hai lēkin bīch-bīch mē̃ uṭh jātā hai .
63You have a constant fire of yoga. 64You definitely do kill the sanskars, and those sanskars do die, but they get up again every now and then.
52Jal jāyēgā tō nām rūp khatm hō jāyēgā .
65When they are burnt, their name and form finish.
53Abhī sabhī bachchē rūhrihān mē̃ bhī kahtē haĩ jitnā chāhtē haĩ utnā nahī̃ hai tō bāpdādā āj yah iśhārā dē rahē haĩ kyōṅki special mahāvīr bachchē meeting mē̃ āyē haĩ aur madhuban nivāsī arthāt madhuban mē̃ hai kyā madhuban arthāt bābā .
66Now, even in their heart-to-heart conversations, all the children say that they do not have as much as they wish to have. 67BapDada is giving a signal today because the special Mahavir children have come to the meeting today and there are the Madhuban residents. 68What is there in Madhuban? 69Madhuban means Baba.
54Madhuban kahnē sē sabkō kyā yād ātā hai ?
70What does everyone remember when you say "Madhuban"?
55Madhuban kā bābā .
71Baba of Madhuban.
56Tō madhuban vālō̃ kō viśhēṣh yah attention rakhnā chāhiē ki madhuban kahnē sē madhuban kā bābā yād ātā hai !
72So, those from Madhuban have to pay this special attention. 73When you say "Madhuban", do you remember Baba of Madhuban?
57Madhuban mē̃ rahnē vālē kō kis dr̥iṣhṭi sē dēkhtē haĩ ?
74With which vision does everyone look at those who are staying in Madhuban?
58Madhuban vālē hāth uṭhāō .
75Those from Madhuban, raise your hands!
59Bahut haĩ .
76There are many.
60Chāhē nīchē chāhē ūpar lēkin āj key|kī sabhā mē̃ sabsē jyādā madhuban nivāsī haĩ .
77Whether at the bottom (Shantivan) or at the top (Pandav Bhavan, Gyan Sarovar etc.), the maximum number in today's gathering is of the residents of Madhuban.
61Bāpdādā khuśh hai ki madhuban nivāsī yah kamāl avaśhya dikhāyēṅgē ki her|har madhuban nivāsī K|kē sūrat aur sīrat sē bābā bābā hī dikhāī dē .
78BapDada is pleased that the residents of Madhuban will definitely show the wonder that Baba and Baba alone is visible from the face and character of every resident of Madhuban.
62Bāt sē bāp dikhāī dē kyōṅki madhuban mē̃ yagya sēvā kā bal aur phal bahut miltā hai .
79The Father should be visible from the situation because a lot of power (bal) and fruit (fal) is received by serving the yagya in Madhuban.
63Lēnē vālā lēvē lēkin miltā hai .
80Those who wish to take it can take it; you definitely do receive it.
64Saṅskār kō dēkhnē yā saṅskār milānē mē̃ aur sadā attention dēnē key|kī āvaśhyaktā hai .
81You need to pay greater constant attention to looking at your sanskars and in harmonising your sanskars.
65Bāpdādā kō her|har madhuban K|kē bachchō̃ sē viśhēṣh pyār hai kyō̃ ?
82BapDada has special love for every child of Madhuban. 83Why?
66Bāp K|kē sthāpan kiyē yagya key|kī sēvā mē̃ svayã kō samarpaṇ kiyā hai .
84Because you have surrendered yourselves to serving the yagya that the Father Himself created.
67Madhuban nivāsiyō̃ kō ēk tō apnē purūṣhārth kā phal mil rahā hai aur dūsrā jō madhuban mē̃ ānē vālē chāhē brāhmaṇ chāhē naī ātmāyē̃ ātī haĩ unhō̃ key|kī sēvā kā yagya sēvā hai sādhāraṇ sēvā nahī̃ hai yagya sēvā kā extra puṇya bhī miltā hai .
85Firstly, the residents of Madhuban are receiving the fruit of the efforts they have made and secondly, serving the Brahmin souls or new souls that come to Madhuban is service of the yagya; it is not ordinary service. 86You receive extra charity for serving the yagya.
68Agar kōī bhī madhuban nivāsī apnē bāpdādā K|kē śhrīmat par amr̥itvēlē sē rāt tak śhrīmat pramāṇ chaltā hai tō unkō extra madhuban vālē khud jānē nahī̃ jānē albēlē rahē̃ tō bhī madhuban kā sēvā kā puṇya miltā jarūr hai .
87If any resident of Madhuban is moving along accurately as per the Shrimat received from BapDada, according to the Shrimat from amrit vela till night time, then he definitely receives extra charity from that. 88Whether those from Madhuban know this or not, or even if they remain careless, nevertheless, they definitely do receive the charity of their service.
69Madhuban nivāsī bannā sādhāraṇ bāt nahī̃ hai .
89It is not an ordinary thing to become a resident of Madhuban.
70Chāhē kōī kaisā bhī kām kar rahā hai chalō saphāī karā rahā hai . 71Lēkin aisē sādhāraṇ kām kā bhī puṇya bahut hai kyōṅki bāp kā rachā huā yagya hai .
90No matter what type of work someone is doing, even if he is getting the cleaning done, even such ordinary work allows you to create a lot of charity because it is the yagya that has been created by the Father.
72Is yagya sē hī madhuban mē̃ hī sabhī kō paramātma pyār prāpt hōtā hai isliē sivāē madhuban K|kē bāp kahā̃ bhī nahī̃ ātā hai .
91It is from this yagya, from this Madhuban, that everyone receives God's love and this is why the Father does not go anywhere except here.
73Yah madhuban kō bāp kā ānē kā milnē kā milānē kā part nūndhā huā hai .
92Madhuban has recorded the Father's part of coming, of meeting you and of enabling others to meet Him.
74Tō har ēk madhuban vālē apnē puṇya K|kē khātē kō jānō pahchānō aur us mahān prāpti svarūp banō .
93Each of you residents of Madhuban has to know your account of charity, recognise it and become an embodiment of that great attainment.
75Kuchh bhī hō āpkā kām hai baṛō̃ tak pahuñchānā pahuñchāyā arthāt dil sē nikālā āpkī jimmēvārī pūrī huī .
94No matter what happens, it is your duty to enable that thing to reach the seniors, because to make it reach them means to remove it from your heart. 95Then your responsibility is over.
76Agar āp samajhtē hō kuchh hō nahī̃ rahā hai tō āpkā ismē̃ pāp nahī̃ banēgā . 77Jō jimmēvār hai unhō̃ kā banēgā .
96If you think that nothing is happening about it, you will then not accumulate sin in this; it will be the sin of those who are responsible.
78Āp niśhchint rahō .
97You simply remain carefree.
79Dēnā āpkā kām hai lēkin sōchnā kyā huā kyā nahī̃ huā yah kyō̃ nahī̃ huā vah kyō̃ nahī̃ huā iskī āpkō āvaśhyaktā nahī̃ hai aur hī vyarth saṅkalp chalē̃gē .
98Your duty is to tell them about it. 99However, to think about what happened and what didn't happen, why this did not happen, why that did not happen. 100You don't need to worry about it, or you would have even more wasteful thoughts.
80Āpkī jō jimmēvārī hai vah āp karō pahuñchāō .
101You just fulfil your responsibility and enable it to reach them.
81Lēkin pahuñchānē kē bād pahuñchānā bhī rīti pramāṇ madhuban nivāsī brāhmaṇ hō ūñch hō apnē martabē kō jān aisā kartavya karō jō āpkō sab āpkē kartavya kō sunkar aur bhī sīkhē̃ .
102It has to reach them, and you have to make it reach them according to the custom and system. 103After all, you are Brahmins who are residents of Madhuban. 104You are elevated, you know your status and carry out such a task that when others see the tasks you carry out, they also learn.
82Madhuban nivāsī kē ūpar sabhī kō bhāvnā hai .
105Everyone has a lot of faith in the residents of Madhuban.
83Tō aisē bhāvnā vālō̃ kō bhāvnā kā phal dikhāō .
106So, show the fruit of their faith to those who have that faith.
84Madhuban vālō̃ mē̃ bāpdādā jāntē haĩ ki kōī kōī bachchē bahut maryādāpūrvak sva purūṣhārthī bāp sē snēhī ban sahyōg dēnē vālē bhī bachchē haĩ .
107Among the children of Madhuban, BapDada knows that there are some children who make effort on themselves with the code of conduct, they have love for the Father and co-operate with Him.
85Lēkin bāpdādā yahī chāhtā hai bāpdādā key|kī chāhnā kyā hai madhuban nivāsiyō̃ kē prati ?
108BapDada desires - what is BapDada's desire for the residents of Madhuban?
86Madhuban nivāsī her|har bāp kā bachchā yagya snēhī sahyōgī ban apnē chalan dvārā sabhī kō bāp kā parichay dē ki ham madhuban nivāsiyō̃ kā kitnā baṛā bhāgya hai bhāgya kō prasiddh karō kyōṅki yagya nivāsī hō paramātmā nē kyā rachā pahlē ?
109Every child of the Father who is a resident of Madhuban should be loving and co-operative to the yagya and give everyone the Father's introduction through their behaviour: "We residents of Madhuban have such great fortune!" 110Reveal your fortune because you are residents of the yagya. 111What did God create first of all?
87Yagya rachā . 88Aur yagya key|kī dharnī nimitt madhuban hai .
112He created the yagya; and the land of the yagya is Madhuban.
89Jāntē hō nā madhuban key|kī mahimā jō jāntē haĩ madhuban key|kī mahimā vah hāth uṭhāō .
113You know the praise of Madhuban, do you not? 114Those who know the praise of Madhuban, raise your hands!
90Bāpdādā yahā̃ dēkhtē haĩ .
115BapDada is looking here.
91Achchhā bahut achchhā .
116Achcha, very good.
92Bāpdādā bahut bahut śhaktiśhālī dil kā pyār dil key|kī duāyē̃ her|har madhuban nivāsiyō̃ kō dē rahā hai .
117BapDada is giving very, very powerful love from the heart and blessings from the heart to each resident of Madhuban.
93Aur mahārathiyō̃ kō meeting vālō̃ kō dēkh tō bahut vāh bachchē vāh ! 94Kā dil mē̃ gīt gā rahē haĩ .
118Seeing the maharathis, those who have come for the meeting, He constantly sings the song in His heart, "Wah children! wah!"
95Lēkin jō bhī meeting mē̃ āyē haĩ unhō̃ kō ēk bāt mē̃ āgē baṛhnā hai .
119All those who have come for the meeting have to make progress in one thing.
96Jō bhī jitnē bhī āpkē sēvā sāthī haĩ unhō̃ kō sadā apnē khuśhī aur prāpti dvārā santuṣhṭ rakhnā agar śhikṣhā bhī dētē hō tō śhikṣhā kē sāth snēh bhī dēnā . 97Jissē vah snēh K|kē ādhār sē apnē kō āgē baṛhā sakē .
120Whoever they are and however many service companions you have, always keep them content with your happiness and attainment. 121If you have to give them teachings, then, together with the teachings, also give them love so that, on the basis of that love, they are able to move forward.
98Aisā snēh nahī̃ dēnā jō vah snēh kā lābh uṭhāvē jō bhī karō māph hai .
122Do not give them such love that they take advantage of that love, so that it doesn't matter what they do, they will be forgiven.
99Aisā snēh nahī̃ dēnā .
123Do not give such love.
100Bāpdādā khuśh hai jō nimitt banē haĩ attention dētē bhī haĩ lēkin aur attention dēkē santuṣhṭ bhī karō aur viśhva kō santuṣhṭī key|kī kiraṇē̃ pahuñchē yah bhī kārya nimitt vālō̃ kō karnā hai .
124BapDada is pleased that you have become instruments. 125You do pay attention, but pay attention and make them content and let the rays of contentment reach the world. 126Those who have become instruments have to carry out this task too.
101Uskā kāraṇ ki jō nimitt haĩ unhō̃ kō apnē apnē hands K|kē saṅskār parivartan karānē mē̃ thōṛī mēhnat karnī paṛēgī .
127The reason for this is that those who are instruments have their own hands. 128You will have to make a little effort in enabling them to transform their sanskars.
102Sēvā karātē hō rahnē khānē kā prabandh majority centre dētē haĩ lēkin unhō̃ mē̃ śhakti aisī bharō jō bāp sē śhakti lē āpkē sēvāsthān kā vāyumaṇḍal aisā banāyē jō bhī āvē vah pahlē tō vāyumaṇḍal key|kī ākarṣhaṇ mē̃ ā jāyē kyōṅki ājkal sab yahī chāhtē haĩ ki aisē kōī kārya hō jō ānē sē hī anubhav hō kuchh . 103Dēkhnē sē hī anubhav hō kuchh .
129You enable them to do service and for the majority of them, the centre provides their accommodation and food. 130However, now fill them with such power that they take power from the Father and create such an atmosphere in your service place that anyone who comes is first attracted by the atmosphere. 131This is because nowadays, everyone wants there to be some function which enables them to experience something as soon as they come, so that they have an experience just by seeing it.
104Sunnē kā anubhav hōtā hai yōg kā anubhav hōtā hai lēkin vāyumaṇḍal kā bhī anubhav hō yah attention nimitt banī huī ātmāō̃ kō rakhnā unkī viśhēṣh sēvā hai .
132They experience listening and they experience yoga, but they should also experience the atmosphere. 133The souls who have become instruments have to pay attention to this: this is your special service.
105Svayã agar yōgyukt ban vāyumaṇḍal mē̃ ṭhīk sthiti mē̃ rahtē haĩ tō unkā prabhāv sēvāsthān par automatically paṛtā hai .
134If you yourself remain yogyukt and maintain a good stage of atmosphere, it automatically creates its impact on the service place.
106Jaisē bāpdādā vā baṛē nimitt ātmāyē̃ kā vāyumaṇḍal vibration paṛtā hai nā .
135There is the influence of BapDada and the senior instruments on the atmosphere and the vibrations.
107Bāpdādā kā vāyumaṇḍal badaltā hai nā .
136The atmosphere around BapDada changes.
108Tō her|har bachchē kō vāyumaṇḍal banānē kā kyōṅki abhī apnē centres kā vāyumaṇḍal badalē̃gē tab saṅsār kā vāyumaṇḍal badalēgā .
137So, every child has to create an atmosphere, because only when you change the atmosphere of your centres will the atmosphere of the world change.
109Nimitt āpkē sēvāsthān sē .
138It will happen from your service places.
110Purūṣhārth hai lakṣhya hai lēkin is lakṣhya kō aur powerful banāō .
139You are making effort, you have the aim but you now have to make this aim even more powerful.
111Jiskō dēkhē̃ lōg śhakla sē vibration sē jān jātē haĩ ājkal kyōṅki āsurī śhakti kā bhī prabhāv unhō̃ key|kī buddhi mē̃ hai knowledge kā bhī prabhāv hai isliē jō bhī meeting mē̃ āyē hō har ēk jimmēvār hō .
140Nowadays people can understand you from your face and your vibrations. 141Their intellects are influenced by devilish intellects but they are also influenced by knowledge. 142This is why, whoever has come here for the meeting, each one of you is responsible.
112Nahī̃ tō meeting mē̃ nām kyō̃ ḍālā .
143Otherwise, why did you put your name forward for the meeting?
113Himmat hai nā tab āpkā nām huā nā isliē apnā pharja pratyakṣha karō .
144You have courage and this is why your name was included. 145Therefore, now reveal your duty.
114Karnē chāhtē bhī hō bāpdādā jāntē haĩ karnē kā prayatna bhī kar rahē hō lēkin thōṛā prayatna kō baṛhāō .
146You do wish to do that. 147BapDada knows that you are making effort to do that, but now increase your effort a little more.
115Samjhā .
148Do you understand?
116Āj khās bulāyā hai pyār K|kē pāṭh mē̃ tō jīt liyā .
149Today, you specially called Baba. 150You won in the lesson of love.
117Chāhē madhuban vālō̃ kā saṅkalp thā tō unhō̃ K|kē saṅkalp key|kī śhakti āpkē bulānē key|kī practical śhakti pyār sē hujjat sē bōlā madhuban vālō̃ kā bhī kahnā thā lēkin āpkē milnē sē double hō gayā .
151Whether it was the thought of those from Madhuban - it was the power of their thought and the power of you all calling Baba practically, you spoke with love and with a right - those from Madhuban also said the same thing. 152However, by coming to meet you, it became double.
118Achchhā .
153Achcha.
119Abhī aur kuchh kahnā hai abhī bāpdādā sabkī result dēkhnē chāhtē haĩ .
154Do you want to say anything else now? 155Now, BapDada wants to see everyone's result.
120Madhuban vālē yā meeting vālē dōnō̃ key|kī result dēkhnē chāhtē haĩ .
156Whether those from Madhuban or those who have come for the meeting, Baba wants to see results from both.
121Jō jagat ambā kā viśhēṣh purūṣhārth rahā bāp kā kahnā aur jagat ambā kā karnā .
157The special effort made by Jagadamba was: The Father said something and Jagadamba did it.
122Āpkī dīdī kā yahī śhabda thā ab ghar chalnā hai ab ghar chalnā hai .
158Your Didi's words were: We now have to return home, we have to return home.
123Āpkī dādī kā yahī saṅkalp rahā ab karmātīt hōnā hai karmātīt hōnē K|kē class karānā karmātīt kā umaṅg dilānā .
159The thought of your Dadi was: We now have to become karmateet. 160She used to conduct classes on becoming karmateet and give enthusiasm to become karmateet.
124Āpkē pāṇḍav jō gayē unhō̃ kā bhī yahī dil mē̃ saṅkalp rahā ki hamē̃ jō pāṇḍav pāṇḍavō̃ kō vijayī kahā jātā hai tō pāṇḍavō̃ kā jō lakṣhya rahā aur hai bhī ki jō gāyan hai vijayī pāṇḍav pāṇḍav kahō tō kyā yād ātā hai vijay .
161Your Pandavas who have been and gone also had the thought: All of us Pandavas are said to be victorious. 162The aim that the Pandavas had, and still have, is that the memorial is of the victorious Pandavas. 163What do you remember when you speak of the Pandavas? 164Victory.
125Chāhē akṣhōṇī sēnā thī tō bhī pāṇḍav śhabda kahnē sē vijay yād ātī hai .
165Even though there was the unlimited army on the other side, when you remember the word "Pandavas" you remember victory.
1265 pāṇḍav lēkin vijayī .
166There were five Pandavas but they were victorious.
127Kaisā bhī vāyumaṇḍal hō akṣhōṇī sēnā kā vāyumaṇḍal thā lēkin pāṇḍav pāṇḍavpati key|kī śhrīmat sē vijayī banē aur vijay kā nām bālā kiyā .
167No matter what the atmosphere was like, there was the atmosphere of the unlimited army, but the Pandavas became victorious with the Shrimat of the Father of the Pandavas and victory was glorified.
128Abhī vahī pāṇḍav vijayī ban aurō̃ kō bhī vijay dilānē vālē .
168Now, those same Pandavas have become victorious and are enabling others to have victory.
129Tō pāṇḍavō̃ kō dēkh karkē bāpdādā khuśh hōtē haĩ kis bāt mē̃ khuśh hōtē haĩ ?
169BapDada is pleased on seeing the Pandavas. 170In what respect is He pleased?
130Ki śhaktiyō̃ K|kē sāthī haĩ .
171That you are the companions of the Shaktis.
131Śhaktiyō̃ kō sahyōg dē āgē baṛhānē mē̃ sāthī haĩ .
172You are companions in giving your co-operation to the Shaktis and making them move forward.
132Jaisē bāp nē śhaktiyō̃ kō śhivśhakti kā mantra dē combined banāyā aisē pāṇḍav bhī śhaktiyō̃ kō jō pāṇḍavō̃ mē̃ viśhēṣhtā hai us viśhēṣhatāō̃ mē̃ śhaktiyō̃ kō sahyōg dēkē āgē rakhnē vālē achchhē haĩ aur sadā achchhē tē achchhē ban āgē baṛhnē vālē haĩ .
173Just as the Father gave the Shaktis the mantra of being Shiv Shaktis and made them combined, in the same way, the Pandavas, as per their speciality, are good in giving co-operation to the Shaktis and keeping them in front and constantly becoming the best of all and moving forward.
133Achchhā .
174Achcha.
134Bāpdādā āj āpkē snēh kō dēkh āp sabkō snēh kā hār pahnātē haĩ .
175Seeing your love today, BapDada is garlanding all of you with the garland of love.
135Bas āp bhī har ēk kō snēh sahyōg kā hār pahnāō .
176Now, all of you also simply have to garland one another with the garland of love and co-operation.
136Bā̃hō̃ kā hār nahī̃ dil mē̃ sahyōg kā hār pahnāō .
177Not the garland of arms, but garland one another with the garland of co-operation from your heart.
137Bāpdādā nē pahlē bhī kahā hai har ēk bachchē K|kē jēb mē̃ sahyōg K|kē note hōnē chāhiē .
178BapDada has told you earlier too that there should be notes of co-operation in the pockets of each of you children.
138Tō galatiyā̃ note nahī̃ lēkin sahyōg K|kē note sē jēb bharā huā hōnā chāhiē .
179Your pockets should be filled with notes of co-operation, not notes of mistakes.
139Kahā̃ bhī dēkhō sahyōg chāhiē tō sahyōg kā note dō .
180Whenever you see that co-operation is needed somewhere, just give a note of co-operation.
140Hai jēb mē̃ ?
181Do you have it in your pocket?
141Sahyōg K|kē note haĩ ?
182Do you have notes of co-operation?
142Bharā huā hai .
183Are they full?
143Khīsā bharā huā hai khālī tō nahī̃ hai ?
184Your pockets are full. 185They are not empty, are they?
144Āp sahyōg kā note dō aur vah āpkō duāō̃ kā hār pahnāyēṅgē .
186You just give a note of co-operation and they will garland you with a garland of blessings.
145Tō aglī season mē̃ jab āyēṅgē tō kyā khuśhkhabarī sunāyēṅgē ?
187When you come next season, what good news will you give?
146Saṅskār kā saṅskār hō gayā .
188That you have had the cremation ceremony of your sanskars ?
147Ready ?
148Sab ready hai ?
189Are all of you ready?
149Ready hai ?
190Ready?
150Yah pahlī line hāth nahī̃ uṭhātī hai .
191Those of you sitting in the front row are not raising your hands.
151Hāth uṭhāyā .
192You raised your hands.
152Sabhī nē uṭhāyā .
193All of you raised them.
153Pīchhē vālō̃ nē uṭhāyā .
194Those at the back raised them.
154Tō advance mē̃ yah khuśhkhabarī sunāyēṅgē nā !
195So, you will give this good news in advance, will you not?
155Saṅskār miṭātē hō lēkin jalātē nahī̃ hō isliē phir nikal ātē haĩ .
196You finish the sanskars, but you do not burn them and this is why they emerge again.
156Isīliē kahā ki saṅskār kā saṅskār kar dēnā .
197This is why you were told to have the cremation ceremony of the sanskars.
157Dabānā nahī̃ saṅskār kar dēnā kyōṅki samay kō āpkō samīp lānā hai .
198Do not bury them, but cremate them because you have to bring the time close.
158Āpkē advance party key|kī viśhēṣh ātmāyē̃ aur bāp sūkṣhmavatan nivāsī intjār kar rahē haĩ .
199The special souls of your advance party and the father, who is a resident of the subtle region, are waiting.
159Āpkō unhō̃ kā saṅkalp pahuñchtā hai .
200Does their thought reach you?
160Vah date māṅgtē haĩ ?
201They are asking for a date.
161Āpkī baṛī baṛī dādiyā̃ aur dādāyē̃ dōnō̃ date kā intjār kar rahē haĩ .
202Your senior Dadis and Dadas are waiting for a date.
162Tō unhō̃ kō date dēgē !
203Will you give them a date?
163Dēgē ?
204Will you?
164Pahlī line batāō .
205Those in the front row, speak!
165Date dēgē ?
206Will you give a date?
166Ki kahē̃gē wait and see .
207Or, will you say, "Wait and see"?
167Har ēk ismē̃ kyā karnā hai ?
208What is each one of you going to do for this?
168Har ēk apnē rahē huē saṅskārō̃ kā saṅskār kar lō samay samīp ā jāyēgā .
209Each of you has to cremate your remaining sanskars, and time will then come close.
169Samay kō samīp lānē kā yahī tarīkā hai .
210This is the only method to bring time close.
170Jō vighna ḍāl rahā hai rahē huē saṅskār .
211It is the remaining sanskars that are creating obstacles.
171Tō abhī jab dūsrē bārī season śhurū hōgā usmē̃ din haĩ kāphī din haĩ .
212Days are still remaining, many days remaining, before the beginning of next season.
172Rāz kōī na kōī saṅskār kā saṅskār kar dēnā . 173Ēk ēk kā kartē jāō itnē din haĩ .
213Every day cremate one sanskar or another. 214Continue to cremate them one by one; there are that many days remaining.
174Tō kaun kahtā hai aglē bārī jab bāpdādā āyē tō ham hāth uṭhāyēṅgē saṅskār kā saṅskār hō gayā .
215Who feels that when BapDada comes next season, you will raise your hands for having cremated your sanskars?
175Hāth uṭhāō vah .
216Those who feel this, raise your hands!
176Hō gayā ?
217That they have been cremated?
177Hāth tō uṭhā rahē haĩ .
218You are raising your hands.
178Bāpdādā advance mē̃ bahut bahut bahut mubārak dē rahē haĩ .
219BapDada is giving you many, many, many congratulations in advance.
179Achchhā .
220Achcha.
180Bāp nē vāydā nibhāyā nā .
221The Father fulfilled His promise.
181Tō āp bhī vāydā nibhānē mē̃ hōśhiyār haĩ .
222You are also clever in fulfilling your promise.
182Bāp kō her|har bachchā pyārā hai .
223The Father loves every child.
183Kōī bhī apnē kō yah nahī̃ samajhē ki bāpdādā kō ham pyārē kahā̃ hōṅgē . 184Ham tō pīchhē haĩ ham tō yah haĩ .
224None of you should feel that you are not loved by BapDada, that you are at the back, that you are this or that.
185Pīchhē vālā bhī bāp kō ati ati ati pyārā hai kyōṅki bāp kō mērā bābā tō kahā nā .
225Even those at the back are very, very, very much loved because you at least said "Mera Baba" to the Father.
186Tō abhī chārō̃ ōr K|kē bachchē jinhō̃ kō bhī mālūm hōgā vah dūr baiṭhē bachchō̃ kō bhī bāpdādā mubārak dē rahē haĩ aur in advance vijayī bannē key|kī khuśhkhabarī kā respond dil mē̃ samā rahē haĩ .
226BapDada is giving congratulations to all the children everywhere who know about this, even those sitting far away and is merging in His heart in advance the good news of your response of becoming victorious.
187Abhī sākār mē̃ dēkhē̃gē .
227Now, we shall see that in the corporeal form.
188Achchhā .
228Achcha.
189Āj tō aur kuchh karnā nahī̃ hai .
229Today, we don't have to do anything else.
190Milnā aur khuśh karnē kā hī āj kā part hai .
230Today's part is simply of meeting and making one another happy.
191Bāpdādā kō khuśhī hai achchhā madhuban vālē jō mukhya sthān hai unkā nām lētē jāō aur hāth uṭhāvē̃ .
231BapDada is pleased. 232OK, continue to mention the names of the main places of Madhuban and wave your hands.
192 ( pāṇḍav bhavan gyān sarōvar śhāntivan nivāsī hospital saṅgam bhavan peace park museum ābū nivāsī colony sahit sabhī kō alag-alag group mē̃ khaṛā kiyā ) sabsē jyādā śhāntivan mē̃ haĩ .
233(Pandav Bhavan, Gyan Sarovar, Shantivan residents, Hospital, Sangam Bhavan, Peace Park, Museum, Abu Niwasis, B.K. 234Colony etc. were all made to stand up separately and wave their hands). 235The maximum are from Shantivan.
193Nīlū bahan sē : achchhā rath kō sambhāl rahī hō bahut dil sē sēvā kartī hō isīliē bāp key|kī madad aur āpkā nimitt hōnā kārya kō chalā rahā hai .
236Neeluben: You are looking after the chariot very well. 237You are serving from your heart and this is why the Father's help and your being an instrument is enabling the work to carry on.
194Aur sabkī pyārī kitnī hō ?
238Look how much you are loved by everyone!
195Sab āpkō kis nazar sē dēkhtē haĩ ?
239With what vision does everyone see you?
196Milānē vālī hai .
240That you are the one who enables them to meet the Father!
197Munnī bahan sē : āp bhī bahut achchhā yagya kō sambhālnā economy sē chalnā chalānā yah viśhēṣhtā hai .
241Munniben: You are also looking after the yagya very well. 242You have the speciality of moving along and making everyone move with economy.
198Yah viśhēṣhtā samay prati samay bāpdādā dēkhtē haĩ achchhā hai .
243BapDada sees this speciality from time to time. 244It is good.
199Mōhinī bahan sē : āpnē yōgbal sē aur bāp kī yād sē apnē kō ṭhīk kiyā hai aur ṭhīk rahē̃gī yah āpkī buddhi mē̃ sādhan ā gayā hai isīliē bāp āpkē ūpar khuśh hai ki apnē kō āp sayamm mē̃ rakh karkē apnā part achchhā bajāyā aur bajātī rahē̃gī .
245Mohiniben: You have made yourself well with the power of your yoga and with remembrance of the Father and you will remain well. 246You have found the method with your intellect and this is why the Father is pleased with you. 247You have disciplined yourself well and are playing your part well and will continue to do so.
200Dādī ratanmōhinī sē : āp bhī apnā part chārō̃ ōr sēvā kā sambhālnē mē̃ success haĩ aur success rahē̃gī .
248Dadi Ratanmohini: You have success in your part of looking after the service everywhere and will remain successful.
201Achchhā .
249Achcha.
202Īśhū dādī sē : āp tō śhurū sē bāp K|kē rāzō̃ kō jānnē vālī sākār bābā kē sāth mē̃ rah samajh gaī hō . 203Lēkin gupta rahtī hō .
250Ishu Dadi: You are the one who has known the Father's secrets from the beginning. 251Having lived with sakar Baba, you have understood, but you remain incognito.
204Gupta rahnā bhī ṭhīk hai lēkin kabhī kabhī pratyakṣha rūp mē̃ bhī āō .
252It is good to remain incognito, but you sometimes have to appear and be revealed.
205Achchhā .
253Achcha.
206Dādī jānkī sē : yagya kō saphaltā svarūp dēkhnē mē̃ āpkī achchhī rūchi aur sēvā bhī hai .
254Dadi Janki: You have the deep interest and also do the service to see the yagya successful.
207Is sēvā sē bāpdādā khuśh hai .
255BapDada is pleased with this service.
208Jitnā hō sakē jitnō̃ kō bhī āp samān bāp kā pyārā aur nyārā banā saktī hō utnā banātī bhī hō aur āgē jimmēvārī samajh karkē chal rahī hō iskā bāpdādā kō nāz hai .
256As much as possible, however many you are able to make equal to yourself, loving to the Father and detached, you are doing that and are moving along, considering it to be your responsibility for the future. 257BapDada is proud of this.
209 ( 40 sāl kā vidēśh mē̃ manā rahē haĩ ) sandēśh bhēj dēgē .
258(We shall be celebrating 40 years of service abroad.) 259Baba will send a message.
210Nirmalā dīdī sē : āpkā kām hai asambhav kō sambhav karkē dikhāō .
260Didi Nirmala: Your duty is to demonstrate making the impossible possible.
211Jō bāpdādā chāhtā hai vah pratyakṣha rūp mē̃ lākē dikhāō .
261Demonstrate this by putting into a practical form what BapDada wants.
212Pardādī sē : khuśhkismat aur khuśhnasīb hō .
262Par Dadi: You have the fortune of happiness and are very fortunate.
213Yah āpkē chēhrē sē dikhāī dētā hai yah viśhēṣhtā hai .
263This is visible from your face. 264This is your speciality.
214Tīnō̃ bhāīyō̃ sē : abhī tīnō̃ kā attention gayā hai tō milkar jō bhī kōī bāt hōtī hai uskō spaṣhṭ kar aurō̃ kō dādiyō̃ kō bhī sāthī banā karkē ādat ḍālī hai lēkin isī ādat kō baṛhātē rahō .
265To the three senior brothers: Now, the attention of all three of you has been drawn so that when anything happens, you have to clarify it. 266You have instilled the habit of making the Dadis and others your companions, but now continue to increase this habit.
215Dādiyō̃ sē bahut samīp ākarkē jō bhī dil mē̃ vichār hō vah dētē jāō .
267Come very close to the Dadis and share whatever ideas you have in your hearts.
216Saṅkōch nahī̃ karō .
268Do not hesitate.
217Dādiyā̃ bhī saṅkōch nahī̃ karē̃ āp bhī saṅkōch nahī̃ karō .
269The Dadis should not hesitate and none of you should hesitate either.
218Mil karkē yagya kē nimitt bannā .
270Be instruments for the yagya together.
219Br̥ijmōhan bhāī sē : āpkā programme achchhā hō jāyēgā .
271Brijmohanbhai:Your programme will be very good.
220Ramēśh bhāī sē : ( ramēśh bhāī nē bābā kō sandēśh bhējā thā ki sōmnāth kē pās kōī sēvāsthān banānē kē liē jamīn mil rahī hai iskē liē bāpdādā key|kī kyā prērṇā haĩ ?
272Rameshbhai: (Rameshbhai had sent a message to Baba asking what BapDada's inspirations are about some land they are being given for service near the Somnath temple.)
221) abhī kyā karō kyōṅki dō zone haĩ ēk gujarāt ēk bāmbē .
273What you should do now is, firstly, have a meeting in Gujarat because there are two zones involved, Gujarat and Bombay.
222Tō pahlē gujarāt mē̃ meeting karō pahlē gujarāt vālō̃ K|kē ās pās|pass jō sēvā chal rahī hai unkī result dēkhō aur iskī result sē us mandir key|kī taraph jō najdīk hai unkī sēvā dēkhō tō margin hai vahā̃ uskō tō jāntē hō jahā̃ hai mandir vahā̃ tō kar rahē hō lēkin vahā̃ itnī baṛī sēvā hō tō uskī circumstance dēkhō tō dōnō̃ bāmbē aur gujarāt K|kē 5-6 milkar āpas mē̃ rāy karō .
274First of all, see the result of the service that is happening near by in Gujarat. 275Then from this result, also see the result of the service that is happening around that temple. 276There is a margin there, and you know where the temple is, that service is already happening there. 277However, for big service to happen there, look at the circumstances; five to six people from Bombay and Gujarat should get together and discuss this.
223Jyādā nahī̃ bulāō .
278Do not invite many people.
224Meeting karō .
279Have a meeting.
225Āp apnā batāō vahā̃ kyā hō rahā hai aur gujarāt bhī batāyē ki kyā result hai jō service kī hai uskē ās pās|pass key|kī kyā result hai pahlē yah result nikālō .
280You share your view of what is happening there and those from Gujarat should also share what their result is of the service they have done there already and what the result of the area is nearby. 281First of all see this result.
226 ( bāpdādā key|kī platinum jubilee manāī gaī sabhī nē bāpdādā kā śhraṅgār kiyā fool|phūl mālāyē̃ pahnāī cake kāṭā ēvã gīt gāyē )
282(Platinum Jubilee of BapDada was celebrated. 283Everyone decorated BapDada, garlanded Him with garlands of roses, cut a cake and sang songs.)
284* O M S H A N T I *