गुरुवार 15 दिसंबर 2011 की अव्यक्त मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
015-12-11 ōm śhānti avyakt bāpdādā madhuban
015-12-11 Om Shanti Avyakt Bapdada Madhuban
1 « sadā phakhur mē̃ rah bēphikr bādśhāh banō , tīvr purūṣhārth dvārā sampann aur samān ban sāth chalnē key|kī taiyārī karō »
1CONSTANTLY MAINTAIN YOUR INTOXICATION AND BECOME A CAREFREE EMPERORO. 2BECOME COMPLETE AND EQUAL THROUGH INTENSE EFFORT AND MAKE PREPARATIONS TO RETURN HOME WITH THE FATHER.
2Āj bāpdādā bēphikr bādśhāhō̃ key|kī sabhā dēkh rahē haĩ .
3Today, BapDada is seeing the gathering of carefree emperors.
3Yah sabhā is samay hī lagtī hai kyōṅki sabhī bachchō̃ nē apnē phikar bāp kō dēkar bāp sē phakhur lē liyā hai .
4This gathering is held only at this time because all the children have given away their worries (fikar) to the Father and have taken intoxication (fakhur) from Him.
4Yah sabhā abhī hī lagtī hai .
5This gathering is held only at this time.
5Āp bhī har ēk savērē sē uṭhtē karma kartē bhī bēphikr aur bādśhāh ban chaltē hō nā !
6From the moment you wake up in the morning and perform actions, you remain carefree and move along as an emperor, do you not?
6Yah bēphikr kā jīvan kitnā pyārā lagtā hai .
7This carefree life is so lovely.
7Bēphikr key|kī niśhānī kyā dikhāī dētī hai ?
8What is the visible sign of being carefree?
8Har ēk K|kē mastak mē̃ light , ātmā chamaktī huī dikhāī dētī hai .
9The light of the sparkling soul is visible on the forehead of each one.
9Yah bēphikr jīvan kaisē banī ?
10How did you make your life carefree?
10Bāp nē sabhī bachchō̃ K|kē jīvan sē phikar lēkar phakhur dē diyā hai .
11The Father took away worry from all the children's life and gave them intoxication.
11Jinkē jīvan mē̃ phakhur nahī̃ phikar hai unkē mastak mē̃ light nahī̃ chamaktī hai .
12Those who do not have intoxication in their lifei.e.those who have worry do not have the light shining on their forehead.
12Unkē mastak mē̃ bōjh key|kī rēkhāyē̃ dēkhnē mē̃ ātī haĩ .
13Lines of burden are visible on their forehead.
13Tō batāō āpkō kyā pasand hai ?
14So, what do you prefer?
14Light yā bōjh ?
15Do you prefer light or burden?
15Agar kōī bōjh bhī ātā hai tō bōjh arthāt phikar bāp kō dēkar phakhur lē saktē haĩ .
16Even if there is some burden - burden means worry - you can give that worry to the Father and take intoxication from Him.
16Āp sabkō bēphikr life pasand hai nā !
17All of you like a carefree life, do you not?
17Dēkhnē vālē bhī bēphikr life pasand kartē haĩ .
18All those who are seeing you also prefer a carefree life.
18Tō bāpdādā āj chārō̃ ōr K|kē bachchō̃ K|kē chāhē sammukh haĩ , chāhē jahā̃ bhī baiṭhē haĩ , bachchō̃ K|kē mastak bīch chamaktī huī light hī dēkh rahē haĩ .
19So, today, BapDada is seeing the sparkling light on the forehead of all the children - whether you are sitting in front here or wherever you are sitting.
19Tō sadā bēphikr rahtē haĩ yā kabhī kōī phikra bhī ātā hai ?
20So, do you constantly remain carefree or do you sometimes worry?
20Hai kōī phikar ?
21Do you have any worries?
21Jab bāp nē prakr̥itijīt , vikārō̃ jīt banā diyā tō phikar kaisē ā saktā hai ?
22Since the Father has made you a conqueror of nature and a conqueror of vices, then how can you have any worry?
22Tō hāth uṭhāō bēphikar banē hō ?
23So raise your hand if you have become carefree.
23Banē hō sadā ?
24Have you become this for all time?
24Sadā banē hō yā kabhī-kabhī ?
25Have you become this for all time or only sometimes?
25Kabhī-kabhī vālē bhī haĩ ?
26There are even those who are this only sometimes.
26Hāth tō nahī̃ uṭhātē , bāpdādā bhī nahī̃ dēkhnē chāhtē haĩ .
27You are not raising your hands. 28Bapdada does not want to see hands for this.
27Bāpdādā her|har bachchē kō bēphikr bādśhāh dēkhnē chāhtē haĩ .
29Bapdada wants to to see every child as a carefree emperor.
28Agar kabhī-kabhī vālē bhī haĩ tō bahut sahaj vidhi hai jō bhī thōṛā bahut phikar ātā hai tō mērē kō tērē mē̃ badal lō .
30If you have any worry sometimes, then a very easy method is that when there is a little worry, then change "mine" into "Yours".
29Yah had K|kē mērēpan kō , mērē kō tērē mē̃ badalnē key|kī bahut sahaj vidhi hai .
31To change this limited mine, to change "mine" into "Yours" is a very easy method.
30Āp tō kahtē hī hō mērā bābā , tō ab mērā kyā rahā ?
32You say, "My Baba", and so what is "mine"?
31Had kā mērā tō samāpt huā nā !
33So, the limited mine has finished, has it not?
32Mērā bābā hō gayā .
34It is now "My Baba".
33Sabhī dil sē kahtē hō nā mērā bābā ! 34Pyārā bābā ! 35Mīṭhā bābā !
35All of you say from your heart, "My Baba, lovely Baba, sweet Baba", do you not?
36Tō mērē mē̃ tērē kō samānā muśhkil hai kyā ?
36So is it difficult to merge the "mine" with "Yours"?
37Phark kyā hai ?
37What is the difference?
38Tē aur maĩ , itnā chhōṭā sā phark hai .
38Just "T" and "M" "“ it is such a small difference.
39Saṅkalp kar liyā sab tērā aur mērā kyā rahā ?
39You had the thought "Everything is Yours", so what remains mine?
40Mērā bābā .
40Mine is Baba.
41Tō bāpdādā nē dēkhā majority bachchō̃ nē had K|kē mērē kō tērā banāyā hai isliē kyā ban gayē ?
41BapDada saw that the majority of you children have made the limited mine into Yours, and so what have you become?
42Bēphikr bādśhāh .
42Carefree emperors.
43Tō āj bāpdādā bachchō̃ kō bēphikr bādśhāh svarūp mē̃ dēkh rahē haĩ .
43So, today BapDada is seeing all of you children as carefree emperors.
44Dēkhō , bhakti mārg mē̃ bhī āpkē chitra banātē haĩ tō double tāj dikhātē haĩ .
44Even on the path of devotion when they create your images, they are created with a double-crown.
45Ēk tō light kā tāj hai hī kyōṅki bēphikr ātmā key|kī niśhānī hai mastak mē̃ light chamaktī hai aur dūsrā tāj vikārō̃ par vijayī banē hō isliē tāj dikhāyā hai isliē yah attention rakhō ki jab bāpdādā nē phikar lēkar phakhur dē diyā tō kyā ban gayē ?
45There is firstly the crown of light because the sign of a carefree soul is the sparkling light on the forehead. 46And the second crown is shown for becoming victorious over the vices. 47Therefore, pay attention that since BapDada has taken away your worry and given you intoxication, what have you become?
46Bēphikr bādśhāh .
48You have become a carefree emperor.
47Bādśhāh banē haĩ tō takht bhī chāhiē nā !
49Sinc e you have become an emperor you also need a throne.
48Tō bāpdādā nē tīn takht K|kē mālik banāyā hai .
50So, BapDada has made you a master of three thrones.
49Jāntē hō tīn takht kaun sē haĩ ?
51Do you know which three thrones they are?
50Ēk takht bhrakuṭī kā , yah tō sabkō hai hī .
52One is the throne of the centre of your forehead, which everyone has.
51Dūsrā takht hai bāpdādā kā diltakhta aur tīsrā hai viśhva kā takht , rājya kā takht .
53The second throne is BapDada's heart-throne and the third throne is the throne of the world - the throne of sovereignty.
52Tō āp sabkō yah tīn takht prāpt haĩ nā !
54All of you have these three thrones, do you not?
53Sabsē śhrēṣhṭh hai bāpdādā kā diltakhta .
55The most elevated throne is BapDada's heart-throne.
54Tō check karō takht par rahtē hō ?
56Therefore check whether you remain seated on the throne.
55Kyōṅki bāpdādā K|kē diltakhta par kaun baiṭhtā hai ?
57Who can sit on BapDada's heart-throne?
56Jisnē sadā svayã bhī bāpdādā kō apnē diltakhta mē̃ biṭhāyā hai , jō sadā śhrēṣhṭh sthiti mē̃ master sarvśhaktivān hai .
58Those who have constantly made BapDada sit on their heart-throne; those who are always a master almighty authority in their elevated stage.
57Tō check karō ki sadā takhtnaśhīn haĩ ? 58Yā kabhī miṭṭī mē̃ bhī ā jātē haĩ .
59So check whether you are always seated on the heart-throne or do you sometimes come into the mud?
59Yah dēhbhān miṭṭī hai .
60This body consciousness is the mud.
60Bahut samay miṭṭī mē̃ rahē haĩ tō kabhī-kabhī miṭṭī mē̃ tō nahī̃ chalē jātē ?
61You have been in the mud for a long time and so you don't go back into the mud again, do you?
61Tō bāpdādā sabhī bachchō̃ kō samay kā īśhārā dē rahē haĩ .
62So, BapDada is giving all the children a signal of the time.
62Achānak kā pāṭh pakkā karā rahē haĩ , iskē liē is saṅgam K|kē samay kā bahut-bahut mahatva rakhnā hai kyōṅki is ēk janm mē̃ anēk janmō̃ key|kī prālabdh banānī hai isliē bāpdādā nē iśhārā diyā thā tō saṅgam K|kē samay mē̃ dō bātō̃ kā her|har samay attention dēnā hai .
63He is making you make the lesson of "suddenly"very firm. 64This is why you have to give a lot of importance to the time of the confluence age because in this one birth you have to create the reward of many births. 65This is why BapDada had given you a signal that at theconfluence age you have to pay attention to two things at every moment.
63Vah dō bātē̃ tō yād hōṅgī - samay aur saṅkalp .
66You must have remembered these two things? 67Time and thoughts.
64Bāpdādā kō sabhī nē vyarth saṅkalp , saṅkalp dvārā dēnē key|kī himmat rakhī thī .
68All of you children had kept the courage in your thoughts in front of BapDada to give up your waste thoughts.
65Tō check karō himmat sadā kāyam hai ?
69So,check whether you have maintained courage all the time?
66Kyōṅki himmatē bachchē , ēk bār tō bāp hajār bār madadgār hai .
70Because when you children keep courage once, the Father gives a thousand-fold help.
67Tō abhī kyā samajhtē hō ?
71So, what do you think?
68Vyarth saṅkalp kā jō himmat rakh bāp kē āgē saṅkalp kiyā vah kāyam hai ?
72Those who have kept the courage and had the determined thought in front of BapDada, is that for all time?
69Kyōṅki is vyarth saṅkalpō̃ mē̃ samay bahut jātā hai aur āpkā is samay K|kē pramāṇ kārya hai viśhva key|kī ātmāō̃ kō sandēśh dēnē kā .
73A lot of time goes into waste thoughts and according to the present time your task is to give the message to the souls of the world.
70Tō vyarth saṅkalp kō samāpt karnā hai tab duḥkhī , aśhānt ātmāō̃ kō sukh śhānti kā anubhav karā sakē̃gē .
74So, you have to finish all your waste thoughts for only then will you be able to give the experience of peace and happiness to the unhappy souls.
71Bāpdādā kō duḥkhī bachchō̃ kō dēkh taras paṛtā hai .
75Seeing the unhappy souls, BapDada feels mercy.
72Āpkō bhī apnē bhāī-bahinō̃ kō dēkh taras tō paṛtā hai nā !
76You also feel mercy when you see your unhappy sisters and brothers, do you not?
73Bāpdādā nē dēkhā ki vartamān samay sabhī kō rūchi hai , plan banāyā bhī hai , practical kiyā bhī hai , is 75 varṣh key|kī jubilee manānē kā .
77BapDada saw that at present, everyone has the interest, have made plans and also done ii practically for celebrating the jubilee of 75 years.
74Bāpdādā yahī chāhtē haĩ , programme tō sab achchhē kiyē haĩ , iskī mubārak bhī dē rahē haĩ .
78This is what BapDada wants. 79All the programmes you have done were very good and BapDada is congratulating you for these.
75Lēkin abhī samay K|kē pramāṇ jaldī-jaldī unhō̃ kō vāris banāō , jō kuchh na kuchh varsē K|kē adhikārī ban jāyē̃ .
80However, now, according to the time, you have to make them into heirs quickly so they can at least claim a right to the inheritance.
76Achchhā - achchhā bahut kahtē haĩ , bāpdādā nē bhī bachchō̃ K|kē sēvā key|kī yah result tō dēkhī hai aur bāp bachchō̃ par khuśh bhī hai .
81Many of them say that this is very good. 82BapDada has also seen this result of the service of you children and the Father is also happy with you children.
77Dil sē kar rahē haĩ aur abhī samay pramāṇ suntē bhī rūchi sē haĩ .
83You are doing everything from your heart and now, according to the time, everyone is listening to you with interest.
78Itnā antar tō āyā hai .
84There is at least this much difference.
79Achchhā-achchhā lagtā hai lēkin achchhā banākē kuchh na kuchh varsē K|kē adhikārī banāō .
85They find it all very good, but now make them good and enable them to claim a right to the inheritance in whatever way possible.
80Iskē liē bāpdādā nē pahlē bhī iśhārā diyā hai ki abhī samay anusār tīvr purūṣhārthī bannē key|kī āvaśhyaktā hai .
86And for this BapDada has already signalled to you earlier: Now, according to the time you need to become an intense effort-maker.
81Tīvr purūṣhārthī bannē kē liē mukhya purūṣhārth hai second mē̃ bindī lagānā .
87In order to become an intense effort-maker, the main effort is to put a full-stop in one second.
82Second aur bindī , dōnō̃ samān .
88One second and putting a full stop should both be equal.
83Tō ab bāpdādā bachchō̃ kā tō bēphikr bādśhāh kā rūp dēkh rahā hai .
89So, now BapDada is seeing the carefree form of you children.
84Abhī isī rūp kō sadā anubhav karō .
90You have to experience this all the time.
85Kōī bhī kuchh bhī āvē tō mērē kō tērē mē̃ samā dō .
91When anything or anyone comes in front of you, then just change mine into Yours.
86Āj bāpdādā nē dēkhā , gurūvār kā din hai bahut bachchē bāpdādā kē pās pahuñchē , tō bāpdādā nē kahā saptāh K|kē dō din viśhēṣh haĩ . 87Ēk gurūvār dūsrā itvār , Sunday .
92Today, BapDada saw that it is Thursday and many children have reached BapDada. 93BapDada said: Two days of the week are special: Thursday and Sunday.
88Tō gurūvār K|kē din gurū kā din hai , gurū sē kyā miltā hai ?
94Thursday is the day of the Guru, so what you receive from the guru?
89Vardān .
95Blessings.
90Tō gurūvār K|kē din vardān kā din viśhēṣh hai , is rūp sē gurūvār kō manāō .
96So, the Thursday is the special day of blessings. 97Celebrate Thursday in this way.
91Kōī na kōī viśhēṣh vardān amr̥itvēlē sē apnē buddhi mē̃ emerge rakhō .
98Keep one or another special blessing merged in your intellect from amrit vela.
92Vardān tō anēk haĩ lēkin viśhēṣh ēk vardān apnē liē buddhi mē̃ rakh check karō ki vardānī din mē̃ vardān svarūp ban , vardān kō repeat nahī̃ karnā hai lēkin vardān svarūp bannā hai aur check kartē rahō tō āj kitnā samay vardān svarūp rahē ?
99There are many blessings. 100However, keep one special blessing in your intellect and then check: On the day of blessings, become an embodiment of that blessing instead of just repeating that blessing. 101Become an embodiment of that blessing and continue to check for how long you remained an embodiment of that blessing.
93Sunday kā din viśhēṣh duniyā mē̃ chhuṭṭī kā din hōtā hai .
102In the world, Sunday in particular is a holiday.
94Tō Sunday K|kē din manāō jō bhī kuchh apnē jīvan mē̃ saṅkalp mātra bhī kamzōrī hō , svapn mātra bhī kamzōrī hō uskō chhuṭṭī dēnā hai .
103So, celebrate Sunday. 104Whatever weaknesses you have in your life - in your thoughts or even in your dreams - bid farewell to these.
95Tō jaisē lōg yah dōnō̃ hī din achchhā bitātē haĩ , aisē āp bhī in dōnō̃ din mē̃ viśhēṣh yah lakṣhya aur lakṣhaṇ sirph lakṣhya nahī̃ lēkin lakṣhya kē sāth lakṣhaṇ kō attention mē̃ rakhō .
105Just as people spend these two days very well, so you also have to keep this aim and its qualifications "“ not just the aim, but also its qualifications in your attention.
96Bāpdādā nē sabhī bachchō̃ kō sāth lē chalnē kā vāydā kiyā hai .
106BapDada has promised all of you children to take you back home with Him.
97Iskē liē sāth chalnē key|kī taiyārī kyā karnī hai ?
107So, what preparations do you have to make in order to return home with Him?
98Bāp tō second mē̃ aśharīrī ban jāyēṅgē lēkin āpnē jō vāydā kiyā hai , bāp nē bhī vāydā kiyā hai sāth chalē̃gē , tō check karō uskī taiyārī hai ? 99Second mē̃ bindī lagāī , sampann aur sampūrṇ ban chalā . 100Tō aisī taiyārī hai ?
108The Father will become bodiless in a second. 109However, you have made a promise and the Father has also promised that you will return together and so check whether you have made preparations for that: Apply a full stop in a second, become complete and perfect and fly: have you made such preparations?
101Sāth tō chalnā hai nā !
110You all have to return with Baba, do you not?
102Chalnā hai ? 103Kāndh hilāō .
111Nod if you want to return with Baba.
104Chalnā hai , achchhā .
112Achcha.
105Pakkā ?
113Are you sure?
106Hāth mē̃ hāth dēnā , iskā arth|earth hai samān bannā .
114Give your hand in His hand and this means to become equal.
107Tō check karō samay tō achānak ānā hai , tō itnī taiyārī hai jō sāth mē̃ chalē̃ ?
115So, check because that time will come suddenly. 116So, have you made such preparations that you can return home with Baba?
108Bāp kā bachchō̃ sē pyār hai nā ! 109Tō bāp ēk kō bhī sāth chalnē mē̃ pīchhē chhōṛnē nahī̃ chāhtē .
117The Father loves you children and so the Father does not want to leave any one of you behind.
110Sāth hai , sāth rahē̃gē , sāth chalē̃gē aur sāth rājdhānī mē̃ rāj gharānē mē̃ āyēṅgē .
118You are together, you will go together and come in the kingdom together and rule together.
111Mañjūr hai nā !
119Do you agree with this?
112Mañjūr hai ?
120Do you?
113Taiyārī hai ?
114Mañjūr hai mē̃ tō hāth uṭhā lē̃gē , yah hāth nahī̃ uṭhāō .
115Taiyārī hai , ismē̃ hāth uṭhāō .
121Raise your hands if you have made your preparations.
116Baṛā hāth uṭhāō .
122Raise your hands high.
117Achchhā .
123Achcha.
118Kal bhī vināśh hō jāē tō taiyār hō ?
124Are you ready if destruction were to take place tomorrow?
119Lēkin apnī sēvā kō samāpt kiyā hai ?
125However, have you finished your service?
120Sēvā tō abhī rahī huī hai ?
126Service is still left to be done.
121Sēvā samāpt hō gaī hai ?
127Have you completed your service?
122Sandēśh sabkō pahuñch gayā hai ?
128Has everyone received the message?
123Sirph apnē mōhallē mē̃ hī dēkhō , āpnē har ēk kō bāp ā gayā hai , varsā lēnā hō tō lē lō , yah sandēśh diyā hai ?
129Just check in your own area: have you given everyone the message that the Father has come and that they should claim their inheritance?
124Abhī plan banā rahē haĩ .
130You are now making plans for that.
125Bāpdādā nē sunā ki ghar-ghar mē̃ sandēśh dēnē kā plan banā rahē haĩ .
131BapDada has heard that you are making plans to give the message in every home.
126Achchhā hai , sandēśh tō dēnā hī hai , nahī̃ tō ulhanā milēgā .
132It is good. 133You have to give the message otherwise, you will receive complaints.
127Programme banāyā hai nā !
134You have made programmes.
128Uṭhō , bāp kō plan batāyā hai nā !
135Stand up. 136You have shown plans to the Father, have you not?
129Uṭhō .
137Stand up.
130 ( media vālō̃ kō uṭhāyā ) achchhā hai ulhanā pūrā kar lō kyōṅki hōnā tō achānak hī hai .
138(Baba made the Media people stand up.) 139It is good. 140Finish their complaint because everything is going to happen suddenly.
131Tō āpas mē̃ milkar isī plan kō practical mē̃ lāō .
141So get together and put this plan in to practical form.
132Āpas mē̃ rāy salāh jaldī karō , samay lag jātā hai nā tō umaṅg bhī thōṛā kam hō jātā hai .
142You can consult one another quickly. 143When it takes time then the enthusiasm also reduces a little.
133Bākī bāpdādā kō tō pasand hai ki ghar-ghar mē̃ yah ulhanā pūrā hō jāē tō hamkō tō patā nahī̃ paṛā , bāp āyā aur chalā bhī gayā , vañchit rah gayē .
144BapDada would like it to finish this complaint of every home that "the Father came and they did not even know, that the Father came and He went away and we were deprived".
134Sabhī kō umaṅg hai nā !
145Everyone has enthusiasm, do you not?
135Sabkō umaṅg hai ?
146Do you have enthusiasm?
136Sēvā karkē ulhanā pūrā karnā hai .
147You have to do service and finish that complaint.
137Umaṅg hai tō bāpdādā kā sahyōg bhī hai .
148When you have enthusiasm you also receive BapDada's help.
138Achchhā .
149Achcha.
139Tō bāpdādā K|kē dil key|kī āśh kō tō sabhī jāntē hī hō .
150All of you know what BapDada's wishes are.
140Samān aur sampūrṇ , yah dō śhabda sadā check karō tō kyā bāp key|kī yah āśhā pūrṇ key|kī ?
151To become equal and perfect. 152Always check these two words: Am I fulfilling the Father's hopes?
141Kyōṅki bāpdādā her|har bachchē kō bāp K|kē āśhāō̃ kā sitārā samajhtē haĩ .
153BapDada considers every child to be the star of His hopes.
142Har ēk bachchē kā bāp sē pyār hai , yah tō bāpdādā bhī jāntē haĩ .
154Every child has love for the Father. 155BapDada knows this.
143In sabhī kō madhuban mē̃ lānē vālā kyā hai ?
156What is it that brings all of you to Madhuban?
144Yah pyār key|kī train mē̃ ātē haĩ . 145Pyār K|kē plain|plane mē̃ ātē haĩ .
157All of you come in the train of love and the plane of love.
146Tō bāp bhī bachchō̃ K|kē pyār key|kī subject mē̃ bachchō̃ sē khuśh hai .
158So the Father is pleased with the children in the subject of children having love for the Father.
147Lēkin jō dō śhabda bāp chāhtē haĩ samān aur sampūrṇ , iskō bhī sampann karnā hī hai .
159However, you also have to accomplish the two words that Baba wants: Equal and perfect.
148Tō āj bāpdādā chārō̃ ōr K|kē bachchō̃ kō dil sē snēh sē dēkh ēk-ēk bachchē kō dil K|kē pyārē key|kī mubārak dē rahē haĩ .
160So today, Bapdada is seeing all the children everywhere with so much love in His heart and is congratulating every child with love from His heart.
149Achchhā .
161Achcha.
150Sēvā kā turn Indore aur bhōpāl kā hai : mubārak hō .
162It is the service turn of Indore and Bhopal zones. 163Congratulations!
151Yah bhī chance achchhā lagtā hai nā !
164You like having this turn to serve, do you not?
152Sēvā kā bhaṇḍār sahaj mil jātā hai .
165You receive the treasure of service easily.
153Dōnō̃ zone umaṅg-utsāh sē purūṣhārth mē̃ bhī baṛh rahē haĩ aur āgē bhī har ēk apnē purūṣhārth kō tīvr kar āgē baṛh rahē haĩ .
166Both of the zones are also moving forward in your effort with zeal and enthusiasm and, in the future too, each of you will intensify your efforts and are continuing to move forward.
154Bāpdādā khuśh hōtē haĩ , yah chance bhī ēk tō sēvā kā phal bhī miltā hai aur bal bhī miltā hai .
167Bapdada is pleased. 168In this chance, you receive the fruit of service and also strength.
155Sabkī nazar kahā̃ jātī hai ?
169Where is everyone's vision drawn to?
156Abhī kis zone kā turn hai , vah nazar jātī hai aur sēvā , madhuban key|kī sēvā arthāt sēvā kā phal aur bal milnā .
170They always look out for which zone is going to serve. 171To serve in Madhuban means to receive the fruit and strength of service.
157Tō bahut achchhā kiyā .
172So, you have done very well.
158Nirvighna sēvā key|kī , sabkō santuṣhṭatā kā phal khilāyā .
173You served by being free from obstacles and gave everyone the fruit of contentment.
159Bāpdādā kō khuśhī hōtī hai kyōṅki viśhēṣh chance miltā hai nā aur bachchē madhuban mē̃ pahuñchtē haĩ , madhuban mē̃ ānā , itnē baṛē parivār sē milnā aur itnē baṛē parivār key|kī sēvā kē nimitt bannā , yah bhī bahut baṛā bhāgya ban jātā hai .
174BapDada is pleased because you get a special chance, and you children reach Madhuban. 175To come to Madhuban, to meet such a big family and to and become an instrument to serve such a big family "“ this too becomes a very big fortune.
160Tō nirvighna santuṣhṭatā kā phal khāyā isliē bāpdādā viśhēṣh dōnō̃ zone kō mubārak dē rahē haĩ .
176Therefore, because you ate the fruit of being free from obstacles and content, BapDada is specially congratulating both zones.
161Achchhā hai , har ēk kē ūpar bāp key|kī bhī nazar jātī aur parivār key|kī bhī nazar jātī .
177It is good that the vision of BapDada and the family falls on each one of you.
162Pratyakṣha ātmāō̃ kō khuśhī bhī miltī , khuśh kartē bhī aur miltī bhī khuśhī , dōnō̃ hī . 163Tō mubārak hō dōnō̃ kō .
178In a practical way you receive happiness, you receive happiness and you make others happy, and so congratulations to both.
164Grām vikās , security aur business wing key|kī meeting hai : achchhā . 165Har ēk apnī niśhānī lē āyē haĩ .
179Security, Business and Rural Development Wings:Each one has brought your own symbol.
166Sabhī kō khuśhī hōtī hai aur bāpdādā kō bhī ēk-ēk varg kō dēkh khuśhī hōtī hai .
180All of you are happy and BapDada is also happy to see each of the Wings.
167Bāpdādā nē dēkhā ki har ēk varg kōī na kōī invention kar apnē varg key|kī sēvā kō vr̥iddhi mē̃ lā rahē haĩ .
181BapDada has seen that each Wing has invented something new and expanding service of their Wing.
168Aur bāpdādā tīnō̃ key|kī alag-alag result kō dēkh khuśh hai .
182BapDada is happy to see the result of each Wing individually.
169Jaisē yah jō yōgbal K|kē khētī key|kī sēvā baṛhā rahē haĩ aur government tak āvāj pahuñch rahā hai , government bhī khuśh hō rahī hai ki is dvārā ātmāō̃ kō phāydā mil rahā hai .
183Those in the Rural Development Wing are increasing their service and are making their sound reach the Government and the Government is also pleased to see that you are benefiting souls.
170Har ēk varg dēkhā gayā , ki sēvā mē̃ har ēk number one hai .
184In each Wing, it is seen that each one is number one in their service. 185Baba saw the report of the Rural Wing.
171Yah khētī vālō̃ key|kī bhī report dēkhī , unhōnnē jō abhī bāp nē kahā thā tō list nikālō , kaun kaun najdīk sambandh mē̃ āyē haĩ . 172Tō yah pahlā hī varg hai jinhōnnē list dī hai .
186This is the first Wing that has given a list that Baba had asked for, of those who have come into close relationship.
173Bāpdādā nē dēkhā ki bhinnbhinn prakār K|kē connection mē̃ āyē haĩ aur samajhtē haĩ ki brahmākumāriyā̃ abhī government K|kē sāthī ban rahī haĩ kyōṅki practical dēkhtē haĩ nā ki kitnē pyār sē mēhnat kartē haĩ .
187Bapdada saw that many different types of people have come into connect and feel that the Brahma Kumaris are now working with the Government because they see it practically how hard you work.
174Tō tīnō̃ varg achchhī mubārak yōgya sēvā kar rahē haĩ isliē mubārak hō , mubārak hō , mubārak hō .
188All three Wings are doing service worthy of congratulations and therefore, congratulations, congratulations, congratulations.
175Achchhā yah jō banāyā hai , chhōṭē-chhōṭē bachchē , yah sabkō dikhāō .
189Achcha, show everyone these puppets you have made.
176 ( grām vikās vālō̃ nē kaṭhputlī kā dance dikhāyā ) bāpdādā nē dēkhā sabhī khuśh hō rahē haĩ bahut .
190(The Rural Wing showed a puppet dance.) 191BapDada saw that everyone was very happy to see the puppets.
177Apnī khuśhī bachchō̃ K|kē rūp mē̃ dikhā rahē haĩ .
192You are showing your happiness in the form of these puppets.
178Achchhā . 179Tō grām vikās kā detail achchhā āyā hai .
193Very good detailed plan has come from the Rural Wing.
180Vah likhat mē̃ lē āyē haĩ lēkin aur dō bhī haĩ vah bhī cum|kam nahī̃ haĩ .
194You have brought it in writing, but the other two Wings are no less.
181Aisē hī baṛhtē rahō baṛhātē rahō aur viśhva mē̃ yah āvāj phailātē rahō ki ham sēvādhārī ban viśhva kō , ismē̃ bhī bhārat kō svarg sukhmay jarūr banāyēṅgē .
195Continue to grow in this way and continue to make others grow and also continue to spread the sound in the world: We will become the servers and make the world, and Bharat in particular heaven, a world of happiness.
182Abhī samajhnē lagē haĩ ki brahmākumāriyō̃ kā yah vāydā , brahmākumāriyā̃ pūrā kar bhī rahī haĩ aur karkē hī chhōṛē̃gī .
196They have now begun to believe that the Brahma Kumaris have promised and are now fulfilling their promise and will definitely fulfill it before they finish.
183Tō bāpdādā tīnō̃ kō alag-alag mubārak dē rahē haĩ .
197BapDada is giving all three wings individual congratulations. .
184 ( business vālō̃ key|kī silver jubilee hai ) abhī business vālē uṭhō , achchhā .
198(It is the Silver Jubilee of the Business Wing.) 199Now only those of the business wing stand up.
185Himmat rakhkē jō mēhnat kī hai , usmē̃ saphaltā bhī milī hai aur āgē bhī saphaltā āpkā janm siddha adhikār hai .
200You have kept courage and worked very hard and got success in it and, in the future too, success is your birthright.
186Bāpdādā kō achchhā lagtā hai , yah varg mē̃ ēk-ēk varg mē̃ dēkhā hai , turn chāhē tīn kā hō , chār kā hō lēkin har ēk varg jab sē banē haĩ tab sē service mē̃ vr̥iddhi huī hai aur āgē bhī hōgī .
201BapDada likes it very much "“ BapDada saw that in each of the Wings, whether there are three Wings or four Wings in each turn, from the time that the Wing service has started, there has been expansion and there will be expansion in the future too.
187Yah bāpdādā dēkh rahē haĩ aur advance mē̃ mubārak dē rahē haĩ .
202BapDada is seeing this and giving congratulations in advance.
188Achchhā .
203Achcha.
1891500 teachers āī haĩ : teachers kō tō bāpdādā sadā hī yād kartē , pyār kartē kyōṅki teachers nimitt bantī haĩ her|har bhāī aur bahinō̃ kō āgē baṛhānē kē liē .
2041500 teachers who live in the centers have come.BapDada always remembers the teachers and gives them love because the teachers become instruments to make every brother and sister move forward.
190Teacher kō bāpdādā gurūbhāī kahtē haĩ .
205BapDada calls the teachers "gurubhai" (next in line to the guru).
191Gurūbhāī kā arth|earth hai samān kyōṅki jaisē bāp kā kartavya hai sadā sēvā mē̃ busy rahnā , aisē yōgya teachers bāp samān sadā sēvādhārī aur sadā saphaltā svarūp ban saphal svarūp banānē vālī haĩ .
206Gurubhai means equal because just as the Father's duty is to always remain busy in service, in the same way, the worthy teachers are those who are servers, the same as the Father and are always the embodiment of success and make others the embodiment of success.
192Bāpdādā kō teachers prati sadā hī dil mē̃ pyār hai .
207BapDada always has great love for the teachers in His heart.
193Kyō̃ ?
208Why?
194Teacher arthāt sadā sēvādhārī , sadā bāp samān banānē vālī aur nayō̃ nayō̃ kō bāp kā parichay dē anubhavī banākē bāp K|kē varsē K|kē adhikārī banānē vālā .
209A teacher means always a server, always one who makes others equal to the Father and also the ones who give the introduction of the Father to the new ones and make them experienced and make them worthy to claim the inheritance from the Father.
195Tō bāpdādā teachers par khuśh hai aur yahī dil kā pyār , bāp kā pyār student mē̃ bhī bharkar unhō̃ kō bhī bāp K|kē pūrē varsē K|kē adhikārī banānē vālī haĩ .
210So BapDada is happy with the teachers. 211The love that the teachers have for the Father in their heart, they fill the students with this love and enable them to claim a right to the inheritance.
196Bāp key|kī har ēk teacher mē̃ ummīnd rahtī hai ki yah har ēk teacher jō bāp key|kī āśhāyē̃ haĩ , jō bāp chāhtē haĩ vah pratyakṣha karnē aur karānē vālī haĩ isliē ēk - ēk teacher kō bāpdādā padamguṇā mubārak dē rahē haĩ .
212The Father has hopes in each of you teachers that you will fulfil the hopes that the Father has and reveal what the Father wants. 213This is why BapDada is giving each one of you teacher multimillion-fold congratulations.
197Mubārak dē rahē haĩ .
214He is giving you congratulations.
198Achchhā .
215Achcha.
199Double vidēśhī bhāī bahinō̃ sē : double vidēśhī bhī bāpdādā nē dēkhā sēvā mē̃ bhārat key|kī ātmāō̃ sē cum|kam nahī̃ haĩ .
216Double Foreigners:BapDada has seen that the double foreigners are no less than the souls of Bharat in service.
200Bāpdādā khuśh hōtē haĩ ki har ēk apnē-apnē sthān mē̃ sēvā key|kī vr̥iddhi bhī kar rahē haĩ aur svayã kō bhī achchhē umaṅg utsāh mē̃ chalā rahē haĩ .
217BapDada is pleased to see how everyone is expanding service in their own place and is also moving forward with zeal and enthusiasm by themselves.
201Double vidēśhiyō̃ kā yah saṅskār hai ki jō karē̃gē vah umaṅg utsāh sē karkē pūrā karē̃gē aur purūṣhārth K|kē taraph bhī attention hai .
218It is the sanskar of double foreigners that whatever they do, they do it with zeal and enthusiasm and they complete it. 219And they are also paying attention to their effort.
202Tō sabhī hāth uṭhāō ki sabhī tīvr purūṣhārthī haĩ ?
220All of you raise your hand if you are all intense effort makers!
203Tīvr purūṣhārthī haĩ ?
221Intense effort-makers?
204Achchhā .
222Achcha.
205Sabkē taraph sē bhī bahut-bahut mubārak hai kyō̃ ?
223Many many congratulations on behalf of everyone. 224Why?
206Tīvr purūṣhārthī arthāt bāpdādā key|kī āśhāō̃ kō pūrṇ practical karnē vālē .
225An intense effort-maker means one who fulfills BapDada's hopes in a practical way.
207Tō bāpdādā tīvr purūṣhārth key|kī mubārak dē rahē haĩ .
226So, BapDada is congratulating you for your intense effort.
208Tīvr purūṣhārthī haĩ aur sadā tīvr purūṣhārthī ban aurō̃ kō bhī tīvr purūṣhārthī banāyēṅgē .
227You are intense effort-makers and you will always be intense effort-makers and also make others into intense effort-makers.
209Tō sārā vidēśh tīvr purūṣhārthī key|kī list mē̃ ā jāyē .
228Then all the lands abroad will come in the list of intense effort makers.
210Aisā record kuchh hai aur kuchh dikhānā hai .
229You have this record to some extent and you still have to show this.
211Lēkin bāpdādā purūṣhārth key|kī mubārak dē rahē haĩ .
230However, BapDada is congratulating you for your effort.
212Murlī kē ūpar bhī attention hai , yah bāpdādā kō murlī kā snēh achchhā lagtā hai .
231You pay attention to the murli, BapDada likes it that you have love for the murli.
213Madhuban sē bhī pyār , murlī sē bhī pyār , parivār sē bhī pyār aur mērā bābā sē bhī pyār . 214Abhī sūkṣhma purūṣhārth K|kē taraph bhī attention achchhā hai aur bāpdādā nē dēkhā ki janak bachchī kā bhī bahut dhyān hai .
232You also have love for Madhuban. 233You have love for the murli. 234You have love for the family and you also have love for "My Baba!" Now you are paying good attention to making subtle effort also. 235BapDada has seen that child Janak has also paid a lot of attention to the foreign countries.
215Yahā̃ rahtē bhī her|har class pahlē foreign kō pahuñchtā hai .
236Although she lives here, her every class reaches abroad first.
216Tō pālnā bhī achchhī mil rahī hai .
237So you are receiving very good sustenance.
217Yah bhī āpkā luck hai .
238This is also your luck.
218Luckiest aur sweetest dōnō̃ hī haĩ . 219Achchhā .
239You are luckiest and also the sweetest.Achcha.
220Pahlī bār ānē vālō̃ sē : yah tō bahut haĩ .
240To those who have come for the first time. 241There are many of you.
221Hāth hilāō .
242You can wave.
222Tō sabhī apnē madhuban ghar mē̃ padhārē haĩ , uskī bāpdādā ēk-ēk bachchē kō mubārak dē rahē haĩ kyōṅki last samay K|kē pahlē pahuñch gayē hō .
243All of you have reached your own home Madhuban. 244BapDada is congratulating each of you children for this because you have reached here before the final period.
223Last sō fast jānē kā chance hai .
245You have the chance of coming last and going fast.
224Bāpdādā bachchō̃ kō dēkh khuśh hō rahē haĩ .
246BapDada is happy to see you children.
225Āyē , bhalē padhārē aur āgē kē liē ab tīvr purūṣhārth kar āgē sē bhī āgē jānē kā dr̥iṛh saṅkalp karō .
247You are welcome and now make intense effort and move have a determined thought to go ahead of all.
226Dr̥iṛhtā saphaltā key|kī chābī hai .
248Determination is the key to success.
227Tō bāpdādā jō bhī āj bachchē āyē haĩ unhō̃ kō viśhēṣh dr̥iṛhtā K|kē chābī key|kī saugāt dē rahē haĩ .
249BapDada is giving a special gift of the key of determination to all the children who have come here today.
228Dr̥iṛhtā kō kabhī bhī halkā nahī̃ karnā .
250Never let your determination become slack.
229Dr̥iṛhtā āpkō sadā sahaj āgē baṛhātī rahēgī .
251Determination will constantly and easily enable you to move forward.
230Tō bāpdādā khuśh hai bhalē padhārē , apnā varsā lēnē kē liē āyē , iskī bahut-bahut mubārak .
252BapDada is pleased: Welcome. 253You have come to claim your inheritance. 254Many, many congratulations for this.
231Achchhā .
232Chārō̃ ōr K|kē sarv brāhmaṇō̃ kō bāpdādā dil kā pyār aur sadā āgē baṛhnē kā śhrēṣhṭh saṅkalp dē rahē haĩ .
255BapDada is giving all the Brahmin children everywhere love from His heart and the elevated thought to constantly move forward.
233Ēk-ēk bachchē kō bāp dēkh bhī rahē haĩ aur dēkh-dēkh dil mē̃ samā rahē haĩ .
256The Father is seeing each of you children and is also merging you in His heart on seeing you.
234Najdīk vālē tō bāpdādā kō sāmnē dēkh rahē haĩ aur āp sab sādhan dvārā sāmnē hī dēkh rahē hō .
257Those who are sitting close are seeing BapDada in front of them, and all of you are seeing the Father in front of you with the facilities.
235Bāpdādā bhī āp sabhī kō jahā̃ bhī baiṭhē hō tō aisē hī dēkh rahā hai jaisē sammukh hī baiṭhē haĩ aur ēk-ēk kō dil kā pyār dē rahē haĩ .
258Wherever you are sitting, Bapdada is also seeing you as though you are in front of Him and is giving each of you love from His heart.
236Baṛhtē chalō , tīvr purūṣhārth kar āgē sē āgē baṛhtē chalō .
259Continue to move forward. 260Make intense effort and continue to move ahead of all.
237Achchhā .
261Achcha.
238Sammukh baiṭhnē vālō̃ kō bhī bāpdādā kā yādpyār aur sadā āgē baṛhnē key|kī mubārak hō , mubārak hō , mubārak hō .
262To all those who are sitting in front of BapDada, love and remembrance and congratulations for constantly moving forward. 263Congratulations. 264Congratulations.
239Achchhā .
240Dādī jānkī sē : ( sabhī Christmas pyār sē manā rahē haĩ , sabhī nē yādpyār bhējā hai ) sabkō bāpdādā key|kī taraph sē padamguṇā badhāīyā̃ dēnā .
265To Dadi Janki:Everyone is celebrating Christmas with a lot of love and everyone has sent love and remembrance.) 266Multimillionfold greetings to everyone from BapDada.
241Achchhā hai , bāpdādā nē kahā nā sēvā mē̃ bhī āgē jā rahē haĩ .
267It is good. 268BapDada said that you are moving ahead in service.
242Achchhī sēvā kar rahē haĩ , bāpdādā khuśh hai .
269You are doing good service. 270BapDada is pleased.
243Jahā̃ bhī programme chaltē haĩ vahā̃ saphaltā hī saphaltā hai .
271Wherever there are programmes there is success and greater success.
244Achchhā hai .
272It is good.
245Yahā̃ baiṭhē āp bhī unhō̃ key|kī sēvā kartī hō nā , yah bhī achchhā hai .
273While sitting here, you are also serving them, and that is also good.
246Mōhinī bahan sē : ṭhīk rahē̃gī .
274Mohiniben:You will be fine.
247Jyādā bhāgdauṛ nahī̃ karō .
275Do not run around too much.
248Bākī ṭhīk rahē̃gī , āgē chalkar sēvā karē̃gī .
276But otherwise, you will be fine. 277You will do service as you progress further.
249Vañchit nahī̃ rah saktē .
278You cannot remain deprived.
250 ( Munnī bahan sē ) yah bhī sāthī hai , sāth achchhā dē rahī hai .
279Munniben:This one is also your companion. 280She is giving good companionship.
251 ( Īśhū dādī sē ) yah tō gupta yagya rakṣhak hai .
281Ishu Dadi:This one is an incognito protector of the yagya.
252Lēkin bahut achchhā rāzyukt hōkē jō bhī kārya kar rahī hō , bāpdādā khuśh hai .
282However, whatever task you do, you maintain confidentiality. 283BapDada is pleased.
253Achchhā hai .
284Achcha.
254Pardādī sē : bahut achchhā prakr̥itijīt ban prakr̥iti kō chalā rahī hō .
285To Par Dadi:You have become a conqueror of matter very well and are making matter work with you.
255Khuśh rahtī hai isliē iskī khuśhī bhī sēvā kartī hai .
286You remain happy and this is why your happiness does service.
256 ( Rūkmaṇi bahan sē ) āp bhī sēvā mē̃ thakē̃gī nahī̃ , kyōṅki iskī khuśhī hai nā , vah thakāvaṭ kō khatm kar dēgī .
287(To Rukmaniben) You don't get tired in service because this happiness actually finishes tiredness.
257Achchhā .
288Achcha.
258 ( dādī jānkī nē pūchhā ki bābā January mās mē̃ london aur jarmanī mē̃ bulā rahē haĩ , jānā chāhiē yā nahī̃ jānā chāhiē ? 259)
289(Dadi Janki asked BapDada whether she should go to London and Germany in January as they are calling her.)
260Bāpdādā yahī kahtē haĩ ki had nahī̃ rakhō , nahī̃ jānā hai .
290BapDada is simply asking you not to have any limitations.
261Jahā̃ āvaśhyaktā hai vahā̃ jarūr jāō .
291Definitely go wherever there is a need.
262 ( bāmbē vālē bhī bahut bulā rahē haĩ , kyā bāmbē jāū̃ ? 263) hā̃ jarūr jāō .
292(Those from Bombay are also calling me a lot, should I go to Bombay?)
264Dēkhō , jahā̃ āvaśhyaktā hai vahā̃ jānē mē̃ kōī harjā nahī̃ hai .
293Look, it doesn't matter if you go where there is a need.
265Sabhī jagah nahī̃ jāō , jahā̃ āvaśhyaktā hai vahā̃ jāō .
294Do not go everywhere, but go wherever there is a need.
266 ( bhuvanēśvar nahī̃ gaī , vah bahut yād kar rahē thē ) vah tō bīt gayā .
295(I didn't go to Bhuvaneshvar and they are remembering me a lot.) 296That is in the past now.
267Abhī jahā̃ āvaśhyaktā samjhō ki jarūrī hai vahā̃ jānē key|kī manā nahī̃ hai .
297Now, you are not forbidden in going to a place where you feel it is necessary.
268Apnē kō bandhan mē̃ nahī̃ rakhō , svatantr rahō .
298Do not keep yourself in bondage, remain free.
269Yah jō bandhan ḍālā hai ki nahī̃ jānā hai , vah ṭhīk nahī̃ hai . 270Ever ready .
299It is not good to keep yourself in bondage that you don't want to go anywhere.Ever-ready.
271Jahā̃ jarūrat hai vahā̃ jānē mē̃ harjā nahī̃ hai .
300It doesn't matter to go a place where there is a need.
272 ( sabhī sōchtē haĩ kabhī hā̃ kartī hai , kabhī nā kartī hai ) nahī̃ , yah tō bāpdādā kah rahā hai .
301(Everyone is thinking that sometimes you say yes and sometimes you say no.) 302No, BapDada is saying this.
273Ēkdam apnē kō bandhan mē̃ nahī̃ rakhō , nahī̃ jānā hai , nahī̃ jānā hai .
303Do not keep yourself strictly in bondage that you are not going to go, that you don't want to do.
274 ( saṅkalp hai , bandhan nahī̃ hai ) saṅkalp pūrā hō jāyēgā .
304(It is a thought, not a bondage.) 305Your thought will be fulfilled.
275 ( nirvair bhāī bhī kahī̃ nahī̃ jātē haĩ ) yah tabiyat K|kē kāraṇ nahī̃ jātā hai .
306(Nirwairbhai also doesn't go anywhere.) 307He doesn't go because of his health.
276 ( dādī key|kī tabiyat anusār abhī nahī̃ jānā chāhiē ) , nahī̃ , yah jā saktī hai , lēkin apnē kō bandhan mē̃ rakhā hai ki nahī̃ jānā hai .
308(Dadi should also now not travel because of her health. 309No, she can go, but do not keep yourself in bondage that you don't want to do.
277Ramēśh bhāī sē : tabiyat ṭhīk hai ?
310Rameshbhai:is your health OK?
278 ( abhī studio bankar taiyār hō rahā hai ) bahut achchhā , yah bhī sēvā karēgā .
311(Now the studio is nearing completion.) 312Very good. 313That will also do service.
279Taiyār karē̃gē , programme hōtē rahē̃gē .
314As you get it ready, programmes will continue to take place.
280Achchhā hai .
315It is good.
281Tabiyat kō chalānē kā kōī tarīkā sōchō kyōṅki jimmēvārī bahut hai .
316Think of a way to look after your health because you have many responsibilities.
282 ( ham bhī tabiyat K|kē kāraṇ kahī̃ nahī̃ jātē haĩ ) kōī bhī bandhan mē̃ , jānā na jānā , vah nahī̃ rakhō .
317(I do not go anywhere because of my health.) 318Do not have any bondage to go or not to go.
283Jānā hai , āvaśhyak hai tō śharīr bhī sāth dēgā .
319If you have to go and it is necessary, then the body will also co-operate.
284Jahā̃ āvaśhyaktā hai vahā̃ madad milēgī .
320Where there is a need you will receive help.
285Jab dēkhō hō saktā hai tō nā nahī̃ karō .
321When you see that it is possible then do not say no.
286Chal saktā hai śharīr tō jānā chāhiē .
322If the body is working fine then you should go.
287Kabhī tō ēkdam kharāb hōtā hai , vah bāt dūsrī hai .
323Sometimes, if it is very bad, that is a different matter.
288Bākī chal saktā hai tō sēvā sē khuśhī hōtī hai , yah bhī davāī hai .
324However, if you are able to go, then by doing service, there is happiness. 325That is also a medicine.
289Kitnē khuśh hōtē haĩ , sabkē khuśhī key|kī khurāk miltī hai .
326They become so happy. 327Everyone receives the nourishment of happiness.
328 * O M S H A N T I *