शुक्रवार 23 दिसंबर 2016 की दैनिक मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
ध्यान दें: वाक्यों का संरेखण अक्षरों की संख्या पर आधारित है और पूरी तरह विश्वसनीय नहीं है।
आप पूरी मुरली या उसके किसी भाग का वाक्य संरेखण स्वयं सुधार सकते हैं।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
023/12/16 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban 1` ` mīṭhē bachchē - dēh-abhimān tumhē̃ bahut duḥkhī kartā hai isliē dēhī-abhimānī banō , dēhī-abhimānī bannē sē hī pāpō̃ kā bōjhā khatm hōgā ' ' 2Praśhna : satyug mē̃ sāhūkārī kā pad kis ādhār par prāpt hōtā hai ?
3Uttar : sāhūkār bantē haĩ gyān key|kī dhārṇā K|kē ādhār par . 4Jō jitnā gyān dhan dhāraṇ kartē haĩ aur dān kartē haĩ utnā vah sāhūkār pad pāyēṅgē , ever wealthy banē̃gē . 5Paṛhāī paṛhnī aur paṛhānī hai .
6Bākī viśhva mahārājan bannē kē liē bahut royal service karnī hai . 7Sab khāmiyā̃ nikāl dēnī hai . 8Pūrā dēhī-abhimānī bannā hai .
9Baṛē dhairya aur gambhīrtā sē bāp kō yād karnā hai . 10Gīt : dhīraj dhar manuvā … 11Ōm śhānti .
12Yah kisnē kahā ? 13Bāp nē kahā bachchō̃ kō , dhīraj dharō . 14Sārī duniyā kō nahī̃ kahā .
15Bhal bachchē tō sabhī haĩ parantu sab baiṭhē tō nahī̃ haĩ . 16Bachchē hī jāntē haĩ barōbar yah duḥkhdhām badalī hō rahā hai . 17Sukhdhām kē liē ham paṛh rahē haĩ vā śhrīmat par chal rahē haĩ .
18Bachchō̃ kō dhīraj bhī dētē haĩ . 19Vāstav mē̃ sārī duniyā kō gupta dhīraz mil rahā hai . 20Tum samajhtē hō ham sammukh suntē haĩ .
21Sab tō suntē nahī̃ . 22Vah bēhad kā bāp hai , bēhad kā duḥkh hartā sukh kartā hai . 23Duḥkh harkar sukh kā rāstā batātā hai .
24Tumkō jab sukh hōgā tō duḥkh kā nām nahī̃ hō saktā . 25Sukh key|kī duniyā kō satyug , duḥkh key|kī duniyā kō kaliyug kahā jātā hai . 26Yah bhī bachchē hī jāntē haĩ .
27Satyug mē̃ sampūrṇ sukh hai , sō bhī 16 kalā sampūrṇ . 28Jaisē chandramā bhī 16 kalā sampūrṇ hōtā hai phir kalā cum|kam hōtē-hōtē amāvas par kitnī chhōṭī kinārī rah jātī hai . 29Prāyaḥ andhiyārā hō jātā hai .
3016 kalā sampūrṇ , tō sampūrṇ sukh bhī hōgā . 31Kaliyug mē̃ hai 16 kalā apūrṇ tō phir duḥkh bhī hōtā hai . 32Is sārī duniyā kō māyā rūpī grahaṇ lag jātā hai isliē ab bāp kahtē haĩ tumhārē mē̃ jō dēh-abhimān hai , pahlē-pahlē unkō chhōṛō .
33Yah dēh-abhimān tumkō bahut duḥkh dētā hai . 34Ātma-abhimānī rahō tō bāp kō bhī yād kar sakē̃gē . 35Dēh-abhimān mē̃ rahnē sē bāp kō yād nahī̃ kar saktē .
36Yah ādhākalp kā dēh-abhimān hai . 37Is antim janm mē̃ dēhī-abhimānī bannē sē ēk tō pāpō̃ kā bōjhā khatm hōgā aur phir 16 kalā sampūrṇ satōpradhān banē̃gē . 38Bahut dēh-abhimān key|kī bāt kō bhī samajhtē nahī̃ haĩ .
39Manuṣhya kō duḥkhī kartā hī hai dēh-abhimān . 40Pīchhē haĩ aur vikār .
41Dēhī-abhimānī bannē sē yah sab vikār chhūṭtē jāyēṅgē . 42Nahī̃ tō chhūṭnā muśhkil hai . 43Dēh-abhimān key|kī practice pakkī hō gaī hai tō apnē kō dēhī-abhimānī ( ātmā ) samajhtē hī nahī̃ .
44Ismē̃ sab vikār dān dēnā paṛē . 45Pahlē-pahlē dēh-abhimān kō chhōṛnā hai . 46Kām , krōdh ādi sab pīchhē ātē haĩ .
47Tumhārā bāp vah hai . 48Dēh-abhimān K|kē kāraṇ laukik bāp kō hī bāp samajhtē āyē haĩ . 49Ab mukhya bāt hai ki ham pāvan kaisē banē̃ .
50Patit duniyā mē̃ haĩ hī sab patit ; pāvan kōī hō nahī̃ saktē . 51Ēk bāp hī sabkō pāvan banākar khuśhī-khuśhī sē vāpis lē jātē haĩ . 52Ab tum bachchō̃ kō tō yōg kā chintan lagā huā hai .
53Jītē jī marnā hai . 54Dēh-abhimān tōṛnā mānā marnā . 55Ham ātmā bābā kō yād kar patit sē pāvan ban jāyē̃ .
56Yah pāvan bannē key|kī yukti bābā nē hī samjhāī thī . 57Ab phir sē samjhā rahē haĩ . 58Kalp-kalp phir bhī samjhāyēṅgē .
59Duniyā bhar mē̃ aur kōī bhī samjhā nahī̃ saktē . 60Mūl bāt hai śhiv kō yād karnē key|kī . 61Sō bhī jab yahā̃ ākar be|B . K|kē . dvārā sunē̃ kyōṅki dādē kā varsā milnā hai .
62Tō bāp jarūr chāhiē jis dvārā milē̃ . 63Direction tō jarūr lēnē haĩ sākār dvārā . 64Bahut bachchē haĩ jō samajhtē haĩ ham śhivbābā sē yōg lagāyē̃ , brahmā kō chhōṛ dē̃ .
65Parantu śhivbābā sē sunē̃gē kaisē ? 66Kahtē haĩ hamārā brahmā bābā kē sāth kōī connection nahī̃ hai . 67Achchhā tum apnē kō ātmā samjhō śhivbābā kō yād karō .
68Ghar jākar baiṭhō .
69Parantu yah jō knowledge miltī hai sr̥iṣhṭi chakra key|kī , vah kaisē sunē̃gē . 70Yah samajhnē binā sirph yād kaisē kar sakē̃gē . 71Gyān tō in dvārā hī lēnā paṛēgā nā .
72Phir kabhī bhī gyān tō mil nahī̃ saktā . 73Rōz naī-naī bātē̃ bāp dvārā hī miltī haĩ . 74Binā brahmā aur brahmākumāriyō̃ K|kē kaisē samajh sakē̃gē .
75Yah sab sīkhnā paṛē .
76Bāp kahtē haĩ jō ghar baiṭhkar purūṣhārth karē karmātīt avasthā kō pānē kā , tō hō saktā hai mukti mē̃ jāyē . 77Jīvanmukti mē̃ jā na sakē̃ . 78Gyān dhan dhāraṇ kar aur dān karē̃gē tō dhanvān banē̃gē .
79Nahī̃ tō ever wealthy kaisē banē̃gē . 80Murlī kā bhī ādhār jarūr lēnā paṛē . 81Paṛhāī tō paṛhnī hai nā .
82Aisē bahut āyēṅgē sipār lakṣhya lēkar jāyēṅgē mukti mē̃ . 83Tum sab manuṣhya mātra kō samjhātē hō ki tum sirph bāp kō yād karō tō satōpradhān pavitra ban jāyēṅgē . 84Phir jab gyān dhan lē̃ tab satyug mē̃ sāhūkār banē̃ .
85Nahī̃ tō mukti mē̃ jākar phir bhakti mārg K|kē samay ākar bhakti karē̃gē . 86Kiskā kalyāṇ kar nahī̃ sakē̃gē kyōṅki manuṣhya kō dēvtā bannē kē liē gyān jarūr chāhiē . 87Gyān sunkar phir sunānā bhī hai .
88Pradarśhanī mē̃ dēkhō kitnā māthā mārtē haĩ . 89Phir bhī kiskī buddhi mē̃ baiṭhtā nahī̃ hai . 90Ātmā kitnī chhōṭī bindī hai . 91Her|har ātmā kō apnā-apnā part milā huā hai .
0 23/12/16 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban
92Yah tum abhī jān gayē hō . 93Sab manuṣhya mātra pārṭdhārī haĩ . 94Yah banā banāyā khēl hai .
95Purānī duniyā kā vināśh bhī hōnā hai . 96Gāyā huā hai rām gayō rāvaṇ gayō . . . kōī bhī jāyēgā parantu bachchō̃ kō duḥkh nahī̃ hō saktā . 97Tum jāntē hō yah banā banāyā drama hai , sabkā vināśh tō hōnā hī hai .
98King queen , sādhū sant sab marē̃gē phir kaun baiṭh unkī miṭṭī uṭhāyēṅgē . 99Yah tō kiskā nām bālā karnē kē liē kartē haĩ , ismē̃ kōī phāydā nahī̃ rakhā hai . 100Na kōī unkī ātmā kō sukh miltā hai .
101Manuṣhya tō bhakti mārg mē̃ jō kuchh kartē haĩ , sab bēsamajhī sē . 102Abhī tumkō bāp kitnā sensible banātē haĩ . 103Ghaṛī-ghaṛī in chitrō̃ kō ākar dēkhnā chāhiē .
104Tō hamkō bābā paṛhākar kyā banā rahē haĩ , parantu kiskī takdīr mē̃ nahī̃ hai tō amal nahī̃ kartē . 105Bābā bahut kuchh samjhātē haĩ , jis par amal karnā chāhiē . 106Bāp kā bachchā bankar service nahī̃ kar saktē .
107Bāp tō hai hī kalyāṇkārī .
108Kaī bachchē tō bahutō̃ kā aur hī akalyāṇ kartē rahtē haĩ . 109Jinkī kuchh bhāvnā bhī hōtī - yahā̃ kē liē , unkī bhāvnā bhī uṛā dētē haĩ . 110Aisē-aisē vikarma bhī kartē haĩ .
111Bhūtō̃ key|kī pravēśhtā hōtī hai nā isliē gāyan bhī hai satgurū K|kē nindak ṭhaur na pāyē̃ . 112Ismē̃ bāpdādā dōnō̃ ā jātē haĩ . 113Nirākār kō tō kōī kuchh kar na sakē .
114Unkō kyā kahē̃gē ! 115Yah tō bhakti mārg mē̃ kah dētē thē bhagvān hī duḥkh dētē haĩ . . . sō bhī agyān K|kē kāraṇ aisē samajhtē thē . 116Ab tō bachchē jāntē haĩ agyān vaśh kitnā bāp kā tiraskār kartē haĩ .
117Aisā kōī nahī̃ jō tamōpradhān kō satōpradhān banāyē aur hī ulṭī mat dētē haĩ ki paramātmā sarvavyāpī hai . 118Manuṣhya kitnā mūñjh jātē haĩ . 119Tab kahtē brahmā K|kē tan mē̃ paramātmā kaisē ā saktā hai .
120Phir kiskē tan mē̃ āyē ? 121Kr̥iṣhṇa K|kē tan mē̃ āyē ?
122Tō phir brahmākumār kumāriyā̃ kaisē banē̃ ? 123Vah tō phir daivī kumār , kumāriyā̃ ban jāyēṅgē . 124Brāhmaṇ tō jarūr brahmākumār aur kumāriyā̃ hōṅgē .
125Brāhmaṇō̃ K|kē binā tō bābā kuchh kar na sakē isliē inkā chitra tō jarūr dēnā paṛē . 126Yah brahmā bhī brāhmaṇ hai . 127Prajāpitā brahmā tō chāhiē bhārat mē̃ .
128Din-pratidin brahmā kā sākṣhātkār ghar baiṭhē bahutō̃ kō hōtā rahtā hai . 129Vr̥iddhi hōtī jāyēgī . 130Jinkā part hōgā tō phir bahut bhāgē̃gē .
131Bahut lōg samajhtē haĩ bhagvān kōī rūp mē̃ hōgā jarūr . 132Sākṣhātkār bhī parampitā paramātmā K|kē sivāē kōī karā nahī̃ saktā . 133Śhivbābā brahmā dvārā hī sthāpanā kartē haĩ .
134Gyān dētē haĩ aur brāhmaṇ dharm bhī rachtē haĩ . 135Brāhmaṇō̃ kā dharm jarūr chāhiē . 136Vah hai ūñchē tē ūñch .
137Prajāpitā brahmā tō bahut ūñchā hai nā . 138Unkō kahē̃gē next god . 139Sūkṣhmavatan mē̃ dūsrā kōī tō hai nahī̃ .
140Brahmā dvārā sthāpanā hōgī , bas . 141Brahmā phir dēvtā ban jātē .
14284 janmō̃ kē bād phir brahmā ban jātē haĩ . 143Brahmā sarasvatī sō phir lakṣhmī-nārāyaṇ bantē haĩ . 144Gyān-gyānēśhvarī phir rāj-rājēśhvarī bantī hai .
145Brahmā sō viṣhṇu , viṣhṇu sō brahmā kaisē banē̃ - yah baṛī first class point hai , is par achchhī tarah samjhā saktē hō . 146Yah gyān ēk bāp dvārā miltā hai . 147Pradarśhanī mē̃ achchhī tarah samjhāō ki tum brahmā par mūnjhtē|mū̃jhtē kyō̃ hō .
148Itnē sab brāhmaṇ brāhmaṇiyā̃ haĩ - pahlē jab kōī brāhmaṇ banē̃ tab hī viṣhṇupurī K|kē mālik dēvtā banē̃ . 149Brahmā kā din , brahmā kī rāt maśhhūr hai nā . 150Abhī hai rāt .
151Aisē-aisē chitrō̃ K|kē sāmnē baiṭh practice karō . 152Jiskō service karnī hai unkō service K|kē sivāē kōī vichār nahī̃ āyēgā . 153Service par ēkdam bhāgtē rahē̃gē .
154Buddhi mē̃ gyān ṭapaktā hō , achchhī rīti jhōlī bharī huī hō tab tō uchhal āyēgī . 155Service par ēkdam bhāgtē rahē̃gē . 156Gyān hō aur samjhā na sakē - yah tō hō hī nahī̃ saktā .
157Tab gyān kisliē lētē haĩ ? 158Lēnā hai tō dān karnā hai . 159Dān nahī̃ kartē , āp samān nahī̃ banā saktē tō brāhmaṇ hī kyā ṭhaharā|ṭhahrā !
160Third grade . 161First grade brāhmaṇō̃ kā dhandhā hī yah hai . 162Bābā rōz bachchō̃ kō samjhātē haĩ .
163Service aur dis-service yah bachchō̃ sē hī hōtā hai . 164Agar service nahī̃ kar saktē tō jarūr dis-service kartē hōṅgē . 165Achchhē-achchhē bachchē kahā̃ bhī jāyēṅgē tō jarūr service hī karē̃gē .
166Jab gyān complete hō jāyēgā tō kōī ananya bachchō̃ sē bhūl nahī̃ hōgī tab hī mālā K|kē dānē banē̃gē . 167Mukhya haĩ 8 dānē̃ . 168Imtahān bhī baṛā bhārī hai nā .
169Baṛē imtahān mē̃ hamēśhā thōṛē pās|pass hōtē haĩ kyōṅki government kō phir naukrī dēnī paṛtī hai . 170Bābā kō bhī viśhva kā mālik banānā paṛē , isliē thōṛē hī pās|pass hōtē haĩ . 171Prajā tō lākhō̃ hō jātī hai isliē bābā pūchhtē haĩ mahārājā banē̃gē yā prajā mē̃ sāhūkār banē̃gē ?
172Yā garīb banē̃gē ? 173Bōlō kyā banē̃gē ?
174Mahārājāō̃ kē pās dās-dāsiyā̃ tō bahut hōtī haĩ , jō phir dahēj mē̃ bhī dētē haĩ . 175Purūṣhārth kar achchhā pad pānā chāhiē . 176Aisā hōśhiyār bannā chāhiē jō sab kōī bulāvē̃ .
177Aksar karkē kaiyō̃ kō bulātē haĩ . 178Yah tō jāntē hō nā .
179Bākī jinmē̃ lakṣhaṇ nahī̃ unkō tō kabhī kōī bulātē hī nahī̃ haĩ . 180Parantu khud thōṛēhī jāntē haĩ ki ham third class haĩ . 181Kōī tō serviceable haĩ , jahā̃ tahā̃ service par bhāgtē haĩ .
182Naukrī kā bhī khyāl nahī̃ kar service par bhāgtē haĩ . 183Kōī tō naukrī nahī̃ hōtē bhī service nahī̃ kartē , śhauk nahī̃ . 184Takdīr mē̃ nahī̃ hai yā grahachārī hai .
185Service tō bahut hai . 186Mēhnat bhī lagtī hai .
187Thak bhī jātē haĩ . 188Samjhātē-samjhātē galē bhī ghuṭ jātē haĩ . 189Aisē tō third class vālō̃ kā bhī galā ghuṭ jātā hai .
190Iskā matlab yah nahī̃ ki unhōnnē bahut achchhī service key|kī . 191Bābā jāntē haĩ - achchhī royal service karnē vālē kaun haĩ . 192Parantu kaiyō̃ mē̃ khāmiyā̃ bhī rahtī haĩ .
193Nām-rūp mē̃ phanstē rahtē haĩ . 194Phir śhikṣhā dēkar sudhārā jātā hai . 195Nām-rūp mē̃ kabhī nahī̃ phansnā chāhiē .
196Dēhī-abhimānī bannā hai . 197Ātmā chhōṭī bindī hai . 198Bāp bhī bindī hai .
199Apnē kō chhōṭī bindī samajh aur bābā kō yād karnā bahut mēhnat hai . 200Mōṭē hisāb mē̃ tō kah dētē - śhivbābā ham āpkō bahut yād kartē haĩ . 201Parantu accurate buddhi mē̃ yād rahnī chāhiē .
202Baṛā dhairya va gambhīrtā sē yād karnā hōtā hai . 203Is rīti kōī muśhkil yād kartē haĩ . 204Ismē̃ bahut mēhnat hai .
205Achchhā .
206Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning . 207Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē . 208Dhārṇā kē liē mukhya sār :
2091 ) apnī jhōlī gyān ratnō̃ sē bharpūr kar dān karnā hai . 210Isī dhandhē mē̃ busy rah first class brāhmaṇ bannā hai . 2112 ) kalyāṇkārī bāp K|kē bachchē haĩ isliē sabkā kalyāṇ karnā hai .
212Kisī key|kī bhāvnā kō tōṛnā , ulṭī mat dēnā , yah akalyāṇ kā kartavya kabhī nahī̃ karnā hai . 213Vardān : kalyāṇ key|kī vr̥itti aur śhubhchintak bhāv dvārā viśhva kalyāṇ kē nimitt bannē vālē tīvr puruṣhārthī bhav 214Tīvr puruṣhārthī vah haĩ jō sabhī kē prati kalyāṇ key|kī vr̥itti aur śhubhchintak bhāv rakhē .
215Bhal kōī bār-bār girānē key|kī kōśhiśh karē , man kō ḍagmag karē , vighna rūp banē phir bhī āpkā uskē prati sadā śhubhchintak kā aḍōl bhāv hō , bāt K|kē kāraṇ bhāv na badalē|badlē . 216Her|har paristhiti mē̃ vr̥itti aur bhāv yathārth hō tō āpkē ūpar uskā prabhāv nahī̃ paṛēgā . 217Phir kōī bhī vyarth bātē̃ dēkhnē mē̃ hī nahī̃ āyēṅgī , time bach jāyēgā .
218Yahī hai viśhva kalyāṇkārī stage . 219Slōgan : santuṣhṭatā jīvan kā śhrr̥iṅgār hai isliē santuṣhṭamaṇi ban santuṣhṭ rahō aur sarv kō santuṣhṭ karō .