शुक्रवार 24 फ़रवरी 2017 की दैनिक मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
ध्यान दें: वाक्यों का संरेखण अक्षरों की संख्या पर आधारित है और पूरी तरह विश्वसनीय नहीं है।
आप पूरी मुरली या उसके किसी भाग का वाक्य संरेखण स्वयं सुधार सकते हैं।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
024/02/17 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban
1 « mīṭhē bachchē - ēk bāp hī hai jiskī aparamapār mahimā hai , bāp jaisī mahimā aur kisī key|kī bhī hō nahī̃ saktī ' '
2Praśhna : tum bachchō̃ kō is paṛhāī kā bahut-bahut kadar hōnā chāhiē - kyō̃ ?
3Uttar : kyōṅki sārē kalp mē̃ ēk hī bār bāp paramdhām sē paṛhānē kē liē ātē haĩ .
4Manuṣhya paṛhnē kē liē bhārat sē vidēśh mē̃ jātē , yah kōī baṛī bāt nahī̃ .
5Yahā̃ tō paṛhānē vālā kitnī dūr sē ātā hai .
6Tō bachchō̃ kō paṛhāī kā bahut kadar hōnā chāhiē .
7Thōṛī dikkat bhī hō tō harjā nahī̃ .
8Tumhārē school galī-galī mē̃ bannē chāhiē , nahī̃ tō itnē sab paṛhē̃gē kaisē !
9Bābā kā parichay tō sabkō milnā hai jarūr .
10Ōm śhānti .
11Mīṭhē-mīṭhē bachchē kahtē haĩ yah kaun hai ?
12Yah kōī sādhū-sanyāsī manuṣhya tō nahī̃ hai .
13Yah tō aur chīz hai .
14Manuṣhya kō tō jhaṭ pahchān lē̃ phalānā sādhū sanyāsī hai , nām lēkar kahē̃gē - phalānā mahātmā hai .
15Yah sirph bachchē jāntē haĩ .
16Bachchā kahā jātā hai ātmā kō .
17Ātmā hī sab jāntī hai , śharīr nahī̃ .
18Ātmā hī kahtī hai yah phalānā hai .
19Organs dvārā jāntī hai .
20Agar ātmā na hō tō yah ôkhē kām na kar sakē̃ .
21Sab kuchh ātmā hī jāntī hai .
22Abhī tum bachchō̃ kō ātma-abhimānī banāyā jātā hai .
23Ātmā kahtī hai in karmēndriyō̃ sē phalānā kartavya kartā hū̃ .
24Vāstav mē̃ ātmā kō male|mail|mēl kahā jāyēgā , female nahī̃ .
25Male|mail|mēl hai kyōṅki ham sab bhāī haĩ .
26Abhī tum naī bātē̃ suntē hō .
27Yah kaun āyā ?
28Unkā kōī apnā manuṣhya kā rūp nahī̃ hai .
29Tum jāntē hō bēhad kā bāp hai śhivbābā , jō inkē dvārā samjhātē haĩ .
30Aisē nahī̃ phalānā sanyāsī hai , unkī ātmā bōltī hai .
31Nahī̃ , manuṣhyō̃ kā sārā nām rūp mē̃ attention jātā hai .
32Tumhārī buddhi samajhtī hai - yah hamārā bēhad kā bāp hai .
33Vah śharīr dvārā hamkō apnā varsā dētē haĩ .
34Rājyōg sikhlātē haĩ .
35Yah hai sabkā bāp .
36Sarv kā patit-pāvan , sirph manuṣhyō̃ kā nahī̃ , 5 tatvō̃ kā bhī hai .
37Sarv key|kī sadgati karnē vālā hai ūñchē tē ūñchā bāp .
38Sr̥iṣhṭi mē̃ mahimā karnē lāyak hai tō ēk bāp hī hai , dūsrā na kōī .
39Na brahmā , viṣhṇu , śhaṅkar key|kī mahimā kar saktē haĩ .
40Unkā birth day manākar kyā karē̃gē !
41Lakṣhmī-nārāyaṇ jiskā combined rūp viṣhṇu hai - abhī vah kahā̃ hai ?
42Lakṣhmī-nārāyaṇ punarjanma lētē-lētē abhī antim janm mē̃ haĩ .
43Phir śhivbābā lāyak banā rahē haĩ .
44Sarv kā sadgati dātā vah ēk hī hai .
45Mahimā bhī ēk kī hai .
46Us patit-pāvan bigar dēkhō sr̥iṣhṭi kā kyā hall|hāl hō gayā hai .
47Kr̥iṣhṇa K|kē bhaktō̃ sē pūchhō rādhē kr̥iṣhṇa kahā̃ haĩ tō kahē̃gē sarvavyāpī hai .
48Rādhē K|kē pujārī kahē̃gē rādhē hī rādhē hai .
49Hanūmān K|kē pujārī kahē̃gē - jidhar dēkhō hanūmān hī hanūmān .
50Parantu nahī̃ .
51Bāp apnī mahimā tō nahī̃ karē̃gē .
52Apnē part sē siddh kartē haĩ aur kōī key|kī mahimā gāī nahī̃ jā saktī .
53Lakṣhmī-nārāyaṇ hī rājāī kartē haĩ , chhōṭēpan mē̃ rādhē kr̥iṣhṇa haĩ .
54Vah tō hai prālabdh .
55Tō unkī mahimā kyā karē̃gē .
56Brahmā key|kī bhī mahimā nahī̃ , viṣhṇu key|kī bhī kōī mahimā nahī̃ .
57Mahimā tō ēk key|kī hī hai .
58Unkō hī patit-pāvan kahā jātā hai .
59Abhī tum bachchē jāntē hō ki viṣhṇu kaun hai !
60Viṣhṇu kō svadarśhan chakra sūkṣhmavatan mē̃ kyō̃ dikhātē haĩ ?
61Manuṣhya kō tō jāstī bhujā hōtī nahī̃ .
62Sūkṣhmavatan mē̃ bhī 4 bhujā dikhāī haĩ - pravr̥itti mārg kō siddha karnē kē liē .
63Bāp kahtē haĩ mīṭhē bachchē - ab tum jān gayē hō 84 janm ham kaisē lētē haĩ .
64Tumhārā gr̥ihastha vyavahār pavitra thā .
65Mandirō̃ mē̃ jākar gātē haĩ nā sarvguṇ sampann … tum māt pitā . . . ab yah mahimā phir wrong hō jātī hai .
66Yah mahimā hai sirph ēk key|kī .
67Dēvtāō̃ key|kī nahī̃ hai .
68Jō kuchh mahimā hai sō ēk key|kī .
69Vah hai parampitā param ātmā .
70Param bāp , param teacher , param satgurū akāl kahtē haĩ nā .
71Unkō yād kartē haĩ , vahī akālmūrt hai .
72Śhivbābā kō bail par dikhātē haĩ .
73Vah phir akāl takht dikhātē haĩ , ab yah tō kōī kō patā nahī̃ hai śhivbābā kyā hai !
74Mandir mē̃ jō rakhtē haĩ vah unkā aṅśh hai .
75Vah tō hai gyān sāgar patit-pāvan .
76Unkō tō manuṣhya kā tan chāhiē nā .
77Tum bachchē jāntē hō ki unkā takht yah brahmā hī hai .
78Dharm sthāpakō̃ key|kī kyā mahimā hai .
79Vah tō sirph ākar dharm sthāpan kartē haĩ .
80Vah kōī jīvanmukti nahī̃ dētē .
81Manuṣhya kahtē haĩ mōkṣh milē , phir āyē̃ hī nahī̃ .
82Vah dharm sthāpak tō apnē dharm vālō̃ kō nīchē lē ānē kē nimitt bantē haĩ .
83Unkō tō ākar apnā dharm sthāpan karnā hai .
84Drama kā part hai .
85Jō bhī ātē haĩ unkō punarjanma lēnā hī hai , yah tō sthāpanā bāp kartē haĩ , vah sabkā patit-pāvan hai aur kōī pāvan nahī̃ banātē haĩ .
86Vah tō ātē haĩ apnā-apnā part bajātē haĩ .
87Satō rajō tamō̃ mē̃ ānā hī haĩ unhō̃ nē dharm sthāpan kiyā , bas .
88Jō śhikṣhā dī|the phir uskē śhāstra banē̃ .
89Jō dharm sthāpan kartē haĩ unkō phir pālnā jarūr karnī hai .
90Vāpis kōī jātā nahī̃ .
91Sabhī is samay bhinn-bhinn nām rūp mē̃ yahā̃ patit duniyā mē̃ haĩ .
92Pahlē number mē̃ lakṣhmī-nārāyaṇ dēkhō .
93Vah bhī ab yahā̃ haĩ .
94Prajāpitā brahmā dvārā brāhmaṇ rachtē haĩ .
95Phir yah jākar rādhē kr̥iṣhṇa banē̃gē .
96Jab tak śhivbābā na āyē tab tak kōī pāvan ban na sakē .
97Balihārī us ēk kī hai .
98Unkī hī mahimā hai .
99Kahtē bhī haĩ - śhivāē namaḥ , tum māt-pitā . . . sab yād kartē haĩ .
100Sabsē jāstī mahimā us bāp key|kī hī hai .
101Pukārtē bhī haĩ ō god father , bāp kō hī pukārtē haĩ .
102Yah nāṭak banā huā hai .
103Jab sr̥iṣhṭi purānī hōtī hai tab bāp ātē haĩ .
104Mūlvatan , sūkṣhmavatan , sthūlvatan tīnō̃ lōkō̃ kā gyān dētē haĩ .
105Gyān ēk hī bār miltā hai .
106Unkō gyān kā sāgar kahā jātā hai .
107Bākī yah sūrya chānd ādi tō bēhad māṇḍavē key|kī rōśhnī dēnē vālī battiyā̃ haĩ .
108Vah rāt , vah din , yah māṇḍavē key|kī battiyā̃ haĩ .
109Aisē nahī̃ ki sūrya dēvtā namaḥ kahē̃gē .
110Nahī̃ , dēvtāyē̃ tō brahmā viṣhṇu śhaṅkar haĩ .
111Kōī mūlvatan sē ātmāyē̃ yahā̃ ātī haĩ tō sīdhā garbh mē̃ jātī haĩ , sūkṣhmavatan mē̃ nahī̃ jātī .
112Sīdhā satyug mē̃ āyēṅgī garbh mahal mē̃ .
113Vahā̃ tō kōī pāp karma hōtē nahī̃ .
114Yahā̃ pāp kartē haĩ tab trāhi-trāhi kartē haĩ .
115Dharmarāj hamē̃ bāhar nikālō phir ham pāp nahī̃ karē̃gē .
116Bāhar nikalnē sē phir pāp karnē lag paṛtē haĩ .
117Vahā̃ key|kī vahā̃ rahī . . . yah bhī drama mē̃ hai .
118Bhārat kā sabsē baṛā duśhman rāvaṇ hī hai , dvāpar sē rāvaṇ rājya śhurū hōtā hai .
119Dvāpar mē̃ hī dēvī dēvtāyē̃ vām mārg mē̃ jātē haĩ .
120Unhō̃ kā phir mandir hai .
121Purī mē̃ dēkhō kaisā mandir banā huā hai .
122Andar jagat nāth key|kī mūrti hai aur bāhar mē̃ dēvtāō̃ K|kē baṛē gandē chitra haĩ .
123Aisē-aisē chitra mandir mē̃ nahī̃ hōnē chāhiē .
124Tum tō abhī śhrīmat par śhrēṣhṭh bannē kā purūṣhārth kar rahē hō .
125Satyug ādi mē̃ lakṣhmī-nārāyaṇ śhrēṣhṭh haĩ nā .
126Unhō̃ nē yah śhrēṣhṭh pad kaisē pāyā .
127Ab tum phir sē paṛh rahē hō .
128Bāp kahtē haĩ maĩ kalp-kalp , kalp K|kē saṅgamyugē phir sē ātā hū̃ , ātā hī rahū̃gā .
129Phir sē tum bachchō̃ kō rājyōg sikhlāūṅgā .
130Phir satō rajō tamō̃ mē̃ ānā hai .
131Tumkō 84 janm bhōgnā paṛtā hai , jō pahlē-pahlē ātē haĩ .
132Sab nahī̃ bhōgtē .
13384 lākh tō haĩ nahī̃ .
134Manuṣhyō̃ kō jō kuchh kōī nē kahā , vah sat-sat kahtē rahtē haĩ .
135Agar 84 lākh janm hō̃ tō kalp key|kī āyu baṛī hō jāē .
136Bāp kahtē haĩ 84 janm haĩ , sō bhī dēvī dēvtāō̃ K|kē .
137Achchhā phir islāmī , bauddhī , kriściyan ādi kitnē janm lētē hōṅgē .
138Hisāb hai nā .
139Ātē tō bahut haĩ , ṭāl ṭāliyā̃ haĩ .
140Tum sārē sr̥iṣhṭi K|kē ādi madhya ant kō jāntē hō .
141Bhārat hī pahlē number viśhva kā mālik thā , aur kōī dharm thā hī nahī̃ .
142Abhī us dēvī-dēvtā dharm key|kī ṭāṅg hai nahī̃ .
143Unkā śhāstra bhī nahī̃ haĩ .
144Yah gītā ādi śhāstra phir banē̃gē .
145Aisē nahī̃ tum jō sachchī gītā banātē hō , vah hōgī .
146Nikalēgī phir bhī vahī gītā .
147Bhakti mārg kē liē tō sab chāhiē nā .
148Brahmā dvārā samjhātē haĩ bachchō̃ kō .
149Ab barōbar brahmā dvārā bhagvān key|kī prāpti hōtī hai .
150Bābā kahtē haĩ yah sab hai bhakti mārg .
151Mērī prāpti tab hōtī hai jab maĩ yahā̃ ātā hū̃ bhārat mē̃ .
152Bhārat hī avināśhī khaṇḍ hai .
153Bhārat hī kitnā sāhūkār thā .
154Sōmnāth kā mandir kitnā baṛā hai .
155Sab lūṭ lē gayē .
156Biṛlā kē pās bahut paisē haĩ tō kitnē baṛē mandir banāyē haĩ .
157Bāp kitnā achchhī rīti samjhātē haĩ , yah aur kōī samjhā na sakē .
158Gyān sāgar bāp jab bachchō̃ kō samjhātē haĩ tab bachchē samajh jātē haĩ .
159Yah kaun paṛhātē haĩ ?
160Yah kōī sanyāsī nahī̃ .
161Unkā nām hī hai śhiv .
162Sab ātmāyē̃ unkē bachchē haĩ .
163Unhō̃ K|kē śharīrō̃ K|kē nām badaltē rahtē haĩ .
164Inkā nām hī hai ēk .
165Kahtē haĩ mērā kōī dūsrā nām nahī̃ hai .
166Tum tō janm-maraṇ mē̃ ātē hō , dēh-abhimānī bhī bantē hō .
167Maĩ kabhī dēh-abhimānī nahī̃ bantā hū̃ .
168Bāp hai hī for ever dēhī-abhimānī kyōṅki punarjanma mē̃ nahī̃ ātē haĩ .
169Śhivrātri manātē hō nā .
170Parantu rātri kā arth|earth kuchh bhī samajh nahī̃ saktē haĩ .
171Kitnī bhūlē̃ haĩ .
172Abhī hai rāt , phir din hōnā hai .
173Ab kalp kā ant arthāt rāt huī hai .
174Satyug trētā hai din .
175Dvāpar kaliyug hai rāt .
176Mujhē ānā hī hai saṅgam par .
177Yah hai bēhad key|kī rāt aur din .
178Bhagvānuvāch , samjhātē hō yah vēlā mukhya hai .
179Parantu śhivbābā key|kī vēlā nahī̃ lē saktē .
180Vah kab ātē haĩ , patā thōṛēhī lagtā hai .
181Tō yah hai bēhad key|kī din aur rāt , iskō kalp kā saṅgam kahē̃gē .
182Birth day bhī agar manātē haĩ tō ēk kā .
183Śhivbābā ātē haĩ phir chalē jātē haĩ .
184Unkā na janm hai aur na hī maut hai .
185Kahē̃gē bābā chalā gayā , yah khēl hai .
186Bāp baiṭh samjhātē haĩ , gātē bhī haĩ rāstē chaltē brāhmaṇ phans gayā .
187Is bābā kō thōṛēhī patā thā .
188Achānak pravēśhtā hō gaī .
189Pahlē thōṛēhī mālūm paṛtā hai .
190Dhīrē-dhīrē mālūm paṛtā hai ki yah bābā kā kām hai .
191Is gyān yagya sē vināśh jvālā prajvalit hōnī hai .
192Bēhad K|kē yagya mē̃ bēhad key|kī sāmagrī svāhā hōnī hai .
193Bēhad bāp kā yah yagya hai .
194Inkē bād phir kōī yagya nahī̃ rachā jātā hai .
195Bhakti mārg hī khalās hō jātā hai .
196Yah knowledge buddhi mē̃ rakhnī chāhiē .
197Paṛhāī paṛhnē kē liē ānā paṛē .
198Thōṛī dikkat ( taklīph ) hōtī hai .
199Manuṣhya paṛhnē kē liē bhārat sē london America bhī jātē haĩ .
200Yah tō kyā hai .
201Bāp kahtē haĩ maĩ kalp , kalp , kalp K|kē saṅgam yugē-yugē paramdhām sē paṛhānē kē liē ātā hū̃ , tō bachchō̃ kō kitnā kadar hōnā chāhiē .
202Āgē chalkar tumhārē school galī-galī mē̃ banē̃gē .
203Nahī̃ tō sab paṛhē̃gē kaisē .
204Bābā kā parichay sabkō milnā chāhiē .
205Bāp kō jarūr jānē̃gē .
206Achchhā .
207Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yādpyār aur good morning .
208Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .
209Dhārṇā kē liē mukhya sār :
2101 ) śhrīmat par sadā śhrēṣhṭh bannē kā purūṣhārth karnā hai .
211Paṛhāī kē liē bahānā nahī̃ dēnā hai .
212Paṛhāī paṛhnī jarūr hai .
2132 ) jaisē ādi mē̃ pavitra gr̥ihasth āśhram thā , aisē abhī apnā pavitra gr̥ihasth āśhram banānā hai .
214Balihārī ēk bāp kī hai , uskā hī guṇgān karnā hai .
215Vardān : man sē dr̥iṛh pratigyā kar manmanābhav K|kē mantra kō yatra banānē vālē sadā śhaktiśhālī bhav
216Jō bachchē sachchē man sē pratigyā kartē haĩ tō man manmanābhav hō jātā hai aur yah manmanābhav kā mantra kisī bhī paristhiti kō pār karnē mē̃ yatra ban jātā hai .
217Lēkin man mē̃ āyē ki mujhē yah karnā hī hai .
218Yahī saṅkalp hō ki jō bāp nē kahā vah huā hī paṛā hai isliē kōī bhī pratigyā man sē karō aur dr̥iṛh karō tō śhaktiśhālī ban jāyēṅgē . 219Bār-bār apnē kō check karō ki pratigyā powerful hai yā parīkṣhā powerful hai ? 220Parīkṣhā pratigyā kō kamjōr na kar dē . 221Slōgan : jō svamān mē̃ rahnē vālī śhrēṣhṭh ātmā haĩ unhē̃ apmān key|kī feeling nahī̃ ā saktī .
0 24/02/17 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban