सोमवार 10 अप्रैल 2017 की दैनिक मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
ध्यान दें: वाक्यों का संरेखण अक्षरों की संख्या पर आधारित है और पूरी तरह विश्वसनीय नहीं है।
आप पूरी मुरली या उसके किसी भाग का वाक्य संरेखण स्वयं सुधार सकते हैं।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
010/04/17 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban
1Murlī sār : « mīṭhē bachchē - bāp hai bhaktō̃ aur bachchō̃ key|kī rakhvālī karnē vālā bhakt-vatsalam , patit sē pāvan banākar ghar lē jānē key|kī jimmēvārī bāp kī hai , bachchō̃ key|kī nahī̃ ' '
2Praśhna : bāp kā kalp-kalp farj kyā hai ?
3Kaun sā ōnā bāp kō hī rahtā hai ?
4Uttar : bāp kā farj hai bachchō̃ kō rājyōg sikhlākar pāvan banānā , sabhī kō duḥkh sē chhuṛānā .
5Bāp kō hī ōnā ( phikar ) rahtā hai ki maĩ jākar apnē bachchō̃ kō sukhī banāū̃ .
6Gīt : mukhṛā dēkh lē prāṇī …
7Ōm śhānti .
8Yah kaun pūchh rahā hai ?
9Bāp jiskō almighty authority kahtē haĩ .
10Bāp key|kī mahimā tō kartē haĩ vā liberator , guide bhī kahtē haĩ .
11Vah hai sabkī sadgati karnē vālā .
12Vah sarv kā duḥkh-hartā sukh kartā hai .
13Samajhtē haĩ ki vah hai paramdhām kā rahnē vālā .
14Parantu agyān K|kē vaśh kah diyā hai , sarvavyāpī hai .
15Sab bhagat haĩ bachchē aur bhagvān hai bāp .
16Yah tō jarūr sab bachchō̃ kō samjhānā chāhiē ki duḥkh hartā sukh kartā hamārā bāp hai .
17Unkā nām gāyā jātā hai - bhagat vatsalam .
18Yah nām kōī gurū gōsāī kō nahī̃ dē saktē haĩ .
19Ab bachchē yā bhakta tō bahut haĩ un par rahm karnē vālā ēk hī bāp hai .
20Sārī duniyā kō ēk bāp hī ākar sukh śhānti dētē haĩ .
21Samjhātē bhī haĩ lakṣhmī-nārāyaṇ K|kē rājya kō baikuṇṭh vā svarg kahā jātā hai .
22Is samay kaliyug hai , tō bābā kō kitnā ōnā hōgā .
23Had K|kē bāp kō bhī phurnā hōtā hai .
24Yah hai bēhad kā bāp .
25Mālūm hōnā chāhiē ki sabhī bhaktō̃ kā kalyāṇkārī ēk bāp hī hai , unkō hī phurnā rahtā hai ki bachchō̃ kō jākar sukhī banāū̃ .
26Jab manuṣhyō̃ par āphatē̃ ātī haĩ tō sabhī bhagvān kō yād kartē haĩ , pukārtē haĩ hē parampitā paramātmā bachāō .
27Abhī tum bachchō̃ K|kē sammukh bāp baiṭhā hai .
28Bāp kahtē haĩ kyā mujhē khyāl nahī̃ hōgā ki abhī sab patit hō gayē haĩ .
29Maĩ jākar sabkō rājyōg sikhlākar pāvan banāū̃ .
30Yah tō mērā kalp-kalp kā farj hai .
31Bhal is samay pukārtē tō sabhī haĩ parantu vah lav|love nahī̃ hai .
32Ab tum sārē drama kō samajh gayē hō .
33Bāp kahtē haĩ maĩ tumkō pāvan banānē āyā hū̃ .
34Yah mērī bāt mānō̃ tō sahī nā .
35Sanyāsī bhī in vikārō̃ kō chhōṛtē haĩ .
36Unhō̃ kā hai had kā sanyās .
37Hamārā hai bēhad kā sanyās , sārī purānī duniyā kā .
38Bāp kitnā achchhī tarah samjhātē haĩ .
39Prajāpitā brahmākumār aur kumāriyā̃ practical mē̃ haĩ nā .
40Board bhī lagā huā hai .
41Kitnē ḍhēr bachchē haĩ , sab kahtē haĩ mama bābā .
42Gāndhī kō bhī father of|off nation kahtē haĩ .
43Vah bhī bhārat kā father thā , unkō sārī duniyā kā tō nahī̃ kahē̃gē nā .
44Sārī duniyā kā pitā tō ēk hī hai .
45Vah bāp kahtē haĩ kām mahāśhatru hai , tum in par jīt pahanō .
46Inmē̃ kōī sukh nahī̃ hai .
47Pavitra dēvī dēvtāō̃ kē āgē jākar sir jhukātē haĩ .
48Samajhtē kuchh nahī̃ .
49Bāp sirph kahtē haĩ bachchē yah antim janm pavitra banō tō 21 janmō̃ kē liē tumhārī kāyā kalpatarū kar dū̃gā .
50Bahut sahaj hai .
51Parantu māyā aisī hai jō harā dētī hai .
52Bhal 4-6 mās pavitra rahtē haĩ phir bhī kamar ṭūṭ paṛtī hai .
53Tum jāntē hō bābā kalp pūrva K|kē samān samjhā rahē haĩ .
54Kaurav pāṇḍav bhāī-bhāī dikhātē haĩ .
55Dūsrē gānv vā dēśh K|kē nahī̃ haĩ .
56Patit-pāvan bāp , avināśhī khaṇḍ bhārat mē̃ hī ātē haĩ .
57Yah birth place hai .
58Śhiv jayantī bhī manātē haĩ .
59Nirākār śhiv paramātmā janm lētē , nām śhiv hai .
60Śharīr tō nahī̃ hai .
61Aur sabkē brahmā viṣhṇu śhaṅkar K|kē bhī chitra haĩ .
62Ūñchē tē ūñchā ēk bhagvān hai , vah inmē̃ pravēśh kartē haĩ .
63Parantu āyā kaisē ?
64Kab āyā ?
65Kiskō bhī yah mālūm nahī̃ hai .
66Bhārat mē̃ hī śhiv jayantī manātē haĩ .
67Mandir bhī sabsē baṛā yahā̃ hī hai , ismē̃ bhī liṅg rakh diyā hai .
68Samjhānā chāhiē śhiv jarūr ātē haĩ .
69Śharīr bigar tō kuchh hōnā hī nahī̃ hai .
70Sukh duḥkh ātmā śharīr kē sāth hī bhōgtī hai .
71Ātmā alag hō jātī hai tō kuchh bhī kar nahī̃ saktī .
72Śhivbābā nē bhī kuchh kiyā hōgā .
73Vah patit-pāvan hai parantu kaisē ākar sabkō pāvan banātē haĩ , yah kōī jāntē nahī̃ .
74Ab bābā sādhāraṇ tan mē̃ pravēśh kar part bajātē haĩ .
75Gātē bhī haĩ brahmā dvārā sthāpanā .
76Tō patit duniyā mē̃ brahmā kahā̃ sē āyā ?
77Paramātmā svayã kahtē haĩ mērā śharīr tō hai nahī̃ .
78Mainnē inmē̃ pravēśh kiyā hai .
79Mērā nām śhiv hai .
80Tum ākar mērē banē hō , tabhī tumhārā bhī nām badaltā hai .
81Sanyāsiyō̃ kē pās jākar sanyās kartē haĩ tō unhō̃ K|kē bhī nām badlī|badalī hōtē haĩ .
82Ab bāp sammukh āyā hai .
83Īśhvar jiskō ādhākalp tumnē yād kiyā phir chaltē-chaltē tum unkō bhī bhūl jātē hō .
84Sanyāsī tō sukh kō māntē nahī̃ , vah sukh kō kāg viṣhṭā K|kē samān samajhtē haĩ .
85Svarg kā nām tō bālā hai .
86Kōī martā hai tō bhī kahtē haĩ svarg gayā .
87Naī duniyā kō sukhdhām , purānī duniyā kō duḥkhdhām kahā jātā hai .
88Bāp itnā samjhātē haĩ tō kyō̃ nahī̃ unkī mat par pūrṇ rūp sē chalnā chāhiē .
89Bābā āyā hai sabkō mukti-jīvanmukti dēnē .
90Bābā kā part hai bachchō̃ kō varsā dēnā .
91Nirākār rachayitā bāp sē varsā kaisē miltā hai , yah bhī tum jāntē hō .
92Mērā parichay tumkō kahā̃ sē milā ?
93Bhagvānuvāch .
94Kyā maĩ kr̥iṣhṇa hū̃ !
95Maĩ brahmā hū̃ !
96Nahī̃ .
97Maĩ tō sabhī ātmāō̃ kā nirākār bāp hū̃ .
98Aur kōī nahī̃ kah saktā .
99Bhal apnē kō śhivōham kahtē haĩ parantu yah nahī̃ kah saktē ki maĩ sabhī ātmāō̃ kā bāp hū̃ .
100Vah apnē kō gurū kahlātē haĩ .
101Vahā̃ bāp tō milā nahī̃ , teacher milā nahī̃ , phaṭ sē gurū mil gayā .
102Yahā̃ kāydē kā gyān hai .
103Yahā̃ tumhārā bāp teacher gurū maĩ ēk hī hū̃ .
104Wonder khānā chāhiē - sārī patit duniyā kō kaisē pāvan banātē hōṅgē !
10521 janm kā varsā dēnē vālē bāp key|kī mat par kadam-kadam chalō .
106Māyā duśhtar hai .
107Bābā-bābā kahtē haĩ , paṛhtē bhī haĩ , phir bhī ahō māyā vaśh bāp kō phārkatī dē dētē haĩ isliē kahtē haĩ khabardār rahnā .
108Bāp kō bachchē phārkatī dēvē tō kahē̃gē nā - mainnē tumhārī itnī pālnā key|kī phir bhī mujhē chhōṛ diyā .
109Yahā̃ tō aurō̃ key|kī sēvā karnī hai , aurō̃ kō āp samān banānē key|kī .
110Yah madad mērī nahī̃ karē̃gē ?
111Phārkatī dē nām badnām kar dētē haĩ .
112Kitnā muśhkil hōtī hai .
113Ablāō̃ par bahut atyāchār hōtē haĩ .
114Gyān yagya mē̃ vighna paṛtē haĩ .
115Māyā kitnē tūphān lātī hai .
116Bhakti mārg mē̃ yah nahī̃ hōtā .
117Bāp kahtē haĩ - sayānē bachchē , tum mērī mat par chalō .
118Apnē dil rūpī darpaṇ mē̃ dēkhnā chāhiē ki mainnē kōī vikarma tō nahī̃ kiyā .
119Bāp kā ban thōṛā bhī vikarma kartē hō tō sau guṇā daṇḍ hō jātā hai .
120Bahut nuksān kar dētē haĩ .
121Dēkhnā hai ham apnā khātā jamā kartē haĩ yā nā kartē haĩ .
122Māyā K|kē bhūtō̃ kō bhagā dēnā chāhiē .
123Aisī avasthā hō tab dil par caḍhē̃ tō takht par bhī baiṭhē̃gē .
124Vah bhī samajhtē hō hamārā takht kyā hōgā .
125Śhivbābā kā mandir banātē hō tō tumhārā mahal kitnā sundar aur ūñch hōgā .
126Maĩ tumkō viśhva kā mālik banātā hū̃ , tumhārē pās|pass athāh dhan hōgā .
127Phir tum mērā mandir banātē hō .
128Sārā dhan mandir banānē mē̃ tō nahī̃ lagāyēṅgē .
129Abhī tum jāntē hō ham viśhva K|kē mālik thē .
130Vahā̃ viśhva mahārājan kō dhan dātā kahē̃gē , usnē bhakti mārg mē̃ kitnā baṛā mandir banāyā .
131Tum bhī banātē hō .
132Vahā̃ dvāpar mē̃ sabhī rājāō̃ kē pās mandir rahtā hai .
133Pahlē-pahlē banātē haĩ śhiv kā mandir phir dēvtāō̃ kā banātē haĩ .
134Abhī bāp tum bachchō̃ kō kitnā satya samāchār sunātē haĩ .
135Tum bachchō̃ kō is paṛhāī sē bahut khuśhī hōnī chāhiē .
136Tum bachchē jāntē hō puruṣhārth sē ham yah banē̃gē , phir śhrīmat par kyō̃ nahī̃ chaltē .
137Tum bhūl kyō̃ jātē hō .
138Yah tō kahānī hai .
139Ghar mē̃ mitr sambandhī kahāniyā̃ sunātē haĩ .
140Bāp bhī tumkō sārē sr̥iṣhṭi K|kē ādi madhya ant key|kī kahānī sunātē haĩ .
141Tum 5 hajār varṣh pahlē viśhva K|kē mālik thē .
142Bābā rōz yah kahānī sunātē haĩ .
143Tum bachchē ban jāō .
144Apnē kō lāyak banāō - rājya-bhāgya lēnē K|kē .
145Yah hai satya-nārāyaṇ key|kī kahānī .
146Yah kahānī tumkō sunkar phir aurō̃ kō sunānī hai , amar banānē kē liē .
147Phir bhakti mārg mē̃ kathāyē̃ sunāyēṅgē .
148Phir satyug trētā mē̃ yah gyān bhūl jāyēgā .
149Bāp kitnā sādhāraṇ chaltē haĩ .
150Kahtē haĩ maĩ tum bachchō̃ kā servant hū̃ .
151Jab tum duḥkhī bantē hō tō mujhē bulātē hō ki hamkō ākar viśhva kā mālik banāō .
152Patitō̃ kō pāvan banāō .
153Manuṣhya samajhtē thōṛēhī haĩ .
154Tum samajhtē hō ki bābā hamkō patit sē pāvan banā rahē haĩ , tō bābā kō bhūlnā nahī̃ chāhiē .
155Tumhē̃ ūñch service karnī hai .
156Bāp kō yād karnā hai aur ghar chalnā hai .
157Achchhā .
158Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .
159Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .
160Dhārṇā kē liē mukhya sār :
1611 ) rōz apnē dil rūpī darpaṇ mē̃ dēkhnā hai ki kōī bhī vikarma karkē apnā vā dūsrō̃ kā nuksān tō nahī̃ kartē haĩ !
162Sayānā ban bāp key|kī mat par chalnā hai , bhūtō̃ kō bhagā dēnā hai .
1632 ) bāp jō satya samāchār vā kahānī sunātē haĩ vah sunkar aurō̃ kō bhī sunānī hai .
164Vardān : « maĩ aur mērā bābā ' ' is vidhi dvārā jīvanmukt sthiti kā anubhav karnē vālē sahajyōgī bhav 165Brāhmaṇ bannā arthāt dēh , sambandh aur sādhanō̃ K|kē bandhan sē mukt hōnā . 166Dēh K|kē sambandhiyō̃ kā dēh K|kē nātē sē sambandh nahī̃ lēkin ātmik sambandh hai . 167Yadi kōī kisī K|kē vaśh , parvaśh hō jātē haĩ tō bandhan hai , lēkin brāhmaṇ arthāt jīvanmukt .
0 10/04/17 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban
168Jab tak karmēndriyō̃ kā ādhār hai tab tak karma tō karnā hī hai lēkin karmbandhan nahī̃ , karm-sambandh hai .
169Aisā jō mukt hai vō sadā saphaltāmūrt hai .
170Iskā sahaj sādhan hai-maĩ aur mērā bābā .
171Yahī yād sahajyōgī , saphaltāmūrt aur bandhanmukt banā dētī hai .
172Slōgan : maĩ aur mērēpan key|kī alloy ( khād ) kō samāpt karnā hī real gold bannā hai .