बुधवार 1 जुलाई 2020 की दैनिक मुरली

ध्यान दें: वाक्यों का संरेखण अक्षरों की संख्या पर आधारित है और पूरी तरह विश्वसनीय नहीं है।

आप पूरी मुरली या उसके किसी भाग का वाक्य संरेखण स्वयं सुधार सकते हैं।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

001-07-2020 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

0 01/07/20 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē bachchē - baṛē-baṛē sthānō̃ par baṛē-baṛē dukān ( centre ) khōlō , service kō baṛhānē kē liē plan banāō , meeting karō , vichār chalāō ' '

1Essence: Sweet children, open big shops (centres) in the big cities. 2Have meetings, make plans and think about how to increase service.

Question

2Praśhna  : sthūl wonders tō sab jāntē haĩ lēkin sabsē baṛā wonder kaun-sā hai , jisē tum bachchē hī jāntē hō  ?

3Question: Everyone knows about physical wonders, but what is the biggest wonder of all that only you children know about?

Answer

3Uttar  : sabsē baṛā wonder tō yah hai jō sarv kā sadgati dātā bāp svayã ākar paṛhātē haĩ . 4Yah wonderful bāt batānē kē liē tumhē̃ apnē-apnē dukānō̃ kā bhabhkā karnā paṛtā hai kyōṅki manuṣhya bhabhkā ( show ) dēkhkar hī ātē haĩ .

4Answer: The biggest wonder of all is that the Father, the Bestower of Salvation for All, Himself, comes and teaches us. 5In order to tell everyone about this wonderful thing, you have to have a lot of show at your shops, because it is only when people see a lot of show that they go somewhere.

5Tō sabsē achchhā aur baṛā dukān capital mē̃ hōnā chāhiē , tāki sab ākar samajhē̃ .

6Therefore, the best and biggest shop should be in the capital so that everyone can come and understand.

Song

6Gīt  : marnā tērī galī mē̃ …

7Song: To live in Your lane and to die in Your lane.

Murli

7Ōm śhānti .

8Om shanti.

8Śhiv bhagvānuvāch .

9God Shiva speaks.

9Rūdra bhagvānuvāch bhī kahā jā saktā hai kyōṅki śhiv mālā nahī̃ gāī jātī hai .

10It can also be said "God Rudra speaks" because it is not the rosary of Shiva that is remembered.

10Jō manuṣhya bhakti mārg mē̃ bahut phērtē haĩ uskā nām rakhā huā hai rūdra mālā .

11The rosary that human beings turn so much on the path of devotion is called "The Rosary of Rudra".

11Bāt ēk hī hai parantu right-way mē̃ śhivbābā paṛhātē haĩ .

12It is the same thing but Shiv Baba teaches you the right way.

12Vah nām hī hōnā chāhiē , parantu rūdra mālā nām chalā ātā hai .

13It should be the other name, but the name "Rosary of Rudra" has continued.

13Tō vah bhī samjhānā hōtā hai . 14Śhiv aur rūdra mē̃ kōī fark nahī̃ hai .

14Therefore, it also has to be explained that there is no difference between Shiva and Rudra.

15Bachchō̃ key|kī buddhi mē̃ hai ki ham achchhī rīti purūṣhārth kar bābā K|kē mālā mē̃ najdīk ā jāē̃ .

15It is in the intellects of you children that you have to make good efforts and come close in Baba's rosary.

16Yah dr̥iṣhṭānt bhī batāyā jātā hai . 17Jaisē bachchē dauṛī lagākar jātē haĩ , niśhān tak jāē phir lauṭ ākar teacher pās|pass khaṛē hōtē haĩ .

16You are given an example of how children race to their goal, touch it and then come back and stand beside the teacher.

18Tum bachchē bhī jāntē hō hamnē 84 kā chakra lagāyā .

17You children know that you have been around the cycle of 84 births.

19Abhī pahlē-pahlē jākar mālā mē̃ pirōnā hai .

18You now have to go and be threaded in the rosary first.

20Vah hai human student key|kī race . 21Yah hai rūhānī race .

19That race is of human students, whereas this is a spiritual race.

22Vah race tum kar na sakō .

20You cannot have that race.

23Yah tō hai hī ātmāō̃ key|kī bāt .

21This is a matter of souls.

24Ātmā tō būṛhī , javān vā chhōṭī-baṛī hōtī nahī̃ .

22Souls don't become young or old, or bigger or smaller.

25Ātmā tō ēk hī hai .

23Souls remain the same size.

26Ātmā kō hī apnē bāp kō yād karnā hai , ismē̃ kōī taklīph key|kī bāt nahī̃ .

24You souls have to remember your Father. 25There is no question of difficulty in this.

27Bhal paṛhāī mē̃ ḍhīlē bhī hō jāē̃ parantu ismē̃ kyā taklīph hai , kuchh bhī nahī̃ .

26Although some become slack in studying this, what difficulty is there in this remembrance?

28Sabhī ātmāyē̃ bhāī haĩ .

27None at all! 28All souls are brothers.

29Us race mē̃ javān tēj dauṛē̃gē .

29In that race, young ones would run faster.

30Yahā̃ tō vah bāt nahī̃ .

30That doesn't apply here.

31Tum bachchō̃ key|kī race hai rūdra mālā mē̃ pirōnē key|kī .

31You children race in order to be threaded in the rosary of Rudra.

32Buddhi mē̃ hai ham ātmāō̃ kā bhī jhāṛ hai .

32It is in your intellects that there is a tree of you souls.

33Vah hai śhivbābā key|kī sab manuṣhy-mātra key|kī mālā .

33That is the rosary of all human beings who belong to Shiv Baba.

34Aisē nahī̃ ki sirph 108 yā 16108 key|kī mālā hai . 35Nahī̃ .

34It isn't a rosary of just 108 or 16,108; no.

36Jō bhī manuṣhya mātra haĩ , sabkī mālā hai .

35It is the rosary of all human beings.

37Bachchē samajhtē haĩ number-vār har ēk apnē-apnē dharm mē̃ jākar virājmān hōṅgē , jō phir kalp-kalp usī jagah par hī ātē rahē̃gē .

36You children understand that all will go and become present, numberwise, in their own religion and that they will go to the same place again every cycle.

38Yah bhī wonder hai nā .

37This too is a wonder.

39Duniyā in bātō̃ kō nahī̃ jāntī .

38No one else in the world knows about these things.

40Tumhārē mē̃ bhī jō viśhālbuddhi vālē haĩ vah in bātō̃ kō samajh saktē haĩ .

39Among you, too, those who have broad, unlimited intellects are able to understand these things.

41Bachchō̃ key|kī buddhi mē̃ yahī khyāl rahnā chāhiē ki ham sabkō rāstā kaisē batāyē̃ .

40The only concern you children should have in your intellects is how to show everyone the path.

42Yah hai viṣhṇu key|kī mālā .

41This is the rosary of Vishnu.

43Śhurū sē lēkar sijarā śhurū hōtā hai , ṭāl-ṭāliyā̃ sab haĩ nā .

42From the beginning, there is the genealogical tree. 43There are also the branches and twigs.

44Vahā̃ bhī chhōṭī-chhōṭī ātmāyē̃ rahtī haĩ . 45Yahā̃ haĩ manuṣhya .

44There are tiny souls up there and there are human beings here.

46Phir sab ātmāyē̃ accurate vahā̃ khaṛī hōṅgī .

45Then, all souls will go and stand there accurately.

47Yah wonderful bātē̃ haĩ .

46These are wonderful matters.

48Manuṣhya yah sthūl wonders sab dēkhtē haĩ parantu vah tō kuchh bhī nahī̃ hai . 49Yah kitnā wonder hai jō sarv kā sadgati dātā parampitā paramātmā ākar paṛhātē haĩ .

47The physical wonders that people go to see are nothing. 48It is such a wonder that the Supreme Father, the Supreme Soul, the Bestower of Salvation for All, Himself, comes and teaches us.

50Kr̥iṣhṇa kō sarv kā sadgati dātā thōṛēhī kahē̃gē .

49Krishna wouldn't be called the Bestower of Salvation to All.

51Tumkō yah sab points bhī dhāraṇ karnī hai .

50You have to imbibe all of these points.

52Mūl bāt hai hī gītā K|kē bhagvān key|kī .

51The main aspect is: Who is the God of the Gita?

53Is par jīt pāī tō bas .

52Once you gain victory in this, that's all you need.

54Gītā hai hī sarv śhāstramaī śhirōmaṇī , bhagvān key|kī gāī huī .

53The Gita is the mother, the jewel of all scriptures, spoken by God. 54You have to try this first.

55Pahlē-pahlē yah kōśhiśh karnī hai .

55Nowadays, people want a lot of show.

56Ājkal tō baṛā bhabhkā chāhiē , jis dukān mē̃ bahut show hōtā hai vahā̃ manuṣhya bahut ghustē haĩ .

56Many people rush to shops where there is a lot of show because they believe that there will be very good things there.

57Samajhē̃gē yahā̃ achchhā māl hōgā . 58Bachchē ḍartē haĩ , itnē baṛē-baṛē centre khōlē̃ tō lākh dō lākh salāmī dēvē̃ , tab dilpasand makān milē .

57Some children are worried that they would have to give one or two hundred thousand deposit for rent to open a large centre, as that's the only way they would find a building they like.

59Ēk hī royal baṛā dukān hō , baṛē dukān baṛē-baṛē śhaharō̃ mē̃ hī nikaltē haĩ .

58There should be just one big royal shop. 59Big shops are opened in big cities.

60Tumhārā sabsē baṛā dukān nikalnā chāhiē kēpīṭal mē̃ .

60The biggest shop you have should be in the capital.

61Bachchō̃ kō vichār sāgar manthan karnā chāhiē ki kaisē service baṛhē .

61You children should churn how to increase service.

62Baṛā dukān nikālē̃gē tō baṛē-baṛē ādmī āyēṅgē .

62When you open big shops, big, important people will come.

63Baṛē ādmī kā āvāz jhaṭ phailtā hai .

63The sound from big important people spreads quickly.

64Pahlē-pahlē tō yah kōśhiśh karnī chāhiē .

64Try to do this first.

65Service kē liē baṛē sē baṛā sthān aisī jagah banāyē̃ jō baṛē-baṛē manuṣhya ākar dēkhkar wonder khāyē̃ aur phir vahā̃ samjhānē vālē bhī first class chāhiē .

65Create a huge place for service in a big city, so that important people come and see it and will be amazed. 66Those who explain at such places, also have to be firstclass.

66Kōī ēk bhī halkī be|B . K|kē . samjhātī hai tō samajhtē haĩ - śhāyad sab be|B . K|kē . hī aisī haĩ isliē dukān par salesman bhī achchhē first class chāhiē .

67When a Brahma Kumari who is not so clever explains, people think that all Brahma Kumaris are like that. 68Therefore, there has to be first-class salesmen at the shops.

67Yah bhī dhandhā hai nā .

69All of this is a business too, is it not?

68Bāp kahtē haĩ himmatē bachchē madadē bāpdādā .

70The Father says: When you children have courage, BapDada helps.

69Vah vināśhī dhan tō kōī kām nahī̃ āyēgā .

71That perishable wealth is not going to be useful at all.

70Hamkō tō apnī avināśhī kamāī karnī hai , ismē̃ bahutō̃ kā kalyāṇ hōgā .

72You have to earn your imperishable income, just as this Brahma did.

71Jaisē is brahmā nē bhī kiyā .

73There will be benefit for many in this.

72Phir kōī bhūkh thōṛēhī martē haĩ .

74No one starves to death.

73Tum bhī khātē hō , yah bhī khātē haĩ .

75You are able to eat. 76This one also eats.

74Yahā̃ jō khān-pān miltā hai vah aur kahī̃ nahī̃ miltā .

77The food and drink you receive here cannot be received anywhere else.

75Yah sab kuchh bachchō̃ kā hī hai nā .

78Everything here belongs to the children.

76Bachchō̃ kō apnī rājāī sthāpan karnī hai , ismē̃ baṛī viśhālbuddhi chāhiē .

79You children have to establish your own kingdom. 80You need very broad and unlimited intellects for this.

77Capital mē̃ nām nikalā tō sab samajh jāyēṅgē . 78Kahē̃gē barōbar yah tō sach batlātī haĩ , viśhva kā mālik tō bhagvān hī banāyēgā .

81When your name is glorified in the capital, everyone will believe that what you say is the truth; that only God can make you into the masters of the world.

79Manuṣhya , manuṣhya kō viśhva kā mālik thōṛēhī banāyēgā .

82Human beings cannot make human beings into the masters of the world.

80Bābā service key|kī vr̥iddhi kē liē rāy dētē rahtē haĩ .

83Baba continues to advise you how to make service expand.

81Service key|kī vr̥iddhi tabhī hōgī jab bachchō̃ key|kī phrākdil hōgī .

84Service will expand when children become generous hearted.

82Jō bhī kārya kartē hō frankdilī sē karō .

85Do whatever you do with great generosity.

83Kōī bhī śhubh kārya āpēhī karnā - yah bahut achchhā hai .

86To carry out an auspicious task by yourself is very good.

84Kahā bhī jātā hai āpēhī karē sō dēvtā , kahnē sē karē vah manuṣhya . 85Kahnē sē bhī na karē . . . . . . bābā tō dātā hai , bābā thōṛēhī kiskō kahē̃gē yah karō .

87It is said: Those who do something without being told are deities, those who do it after being told are human beings and those who don't do anything, even after being told, are …..!

86Is kārya mē̃ itnā lagāō .

88Baba is the Bestower.

87Nahī̃ . 88Bābā nē samjhāyā hai baṛē-baṛē rājāō̃ kā hāth kabhī band nahī̃ rahtā .

89He is not going to tell anyone to do something or to spend a certain amount for a task, no.

89Rājāyē̃ hamēśhā dātā hōtē haĩ .

90Baba has explained that great kings are never tight-fisted.

90Bābā rāy dētē haĩ - kyā-kyā jākar karnā chāhiē .

91Kings are always bestowers. 92Baba advises you about what you should go and do.

91Khabardārī bhī bahut chāhiē .

93A lot of caution is also required.

92Māyā par jīt pānī hai , bahut ūñch pad hai .

94Maya has to be conquered; your status then becomes very high.

93Pichhāṛī mē̃ result nikaltī hai phir jō bahut marks sē pās|pass hōtē haĩ unkō khuśhī bhī hōtī hai .

95The results will be announced at the end. 96Those who pass with good marks will be very happy.

94Pichhāṛī mē̃ sākṣhātkār tō sabkō hōṅgē nā , parantu us samay kar kyā sakē̃gē .

97At the end, all of you will have visions of what you have done. 98However, what could be done at that time?

95Takdīr mē̃ jō hai vahī miltā hai .

99Each of you will receive whatever is in your fortune.

96Purūṣhārth key|kī bāt alag hai .

100Making effort is a different matter.

97Bāp bachchō̃ kō samjhātē haĩ viśhāl buddhi banō .

101The Father tells you children to have broad intellects.

98Abhī tum dharm ātmāyē̃ bantē hō .

102You are now becoming righteous souls.

99Duniyā mē̃ dharmātmā tō bahut hōkar gayē haĩ nā .

103Many righteous souls in the world have been and gone.

100Bahut unhō̃ kā nāmāchār hōtā hai . 101Phalānā bahut dharmātmā manuṣhya thā .

104They are very famous: "So-and-so was a very righteous person."

102Kōī-kōī tō paisē ikaṭṭhē kartē-kartē achānak mar jātē haĩ .

105Some people acquire a great deal of money and then suddenly die.

103Phir trustee bantē haĩ .

106A trust is then formed.

104Kōī bachchā bhī nālāyak hōtā hai tō phir ṭrasṭrī kartē haĩ .

107When a child is not reliable, a trustee is appointed for him.

105Is samay tō yah hai hī pāp ātmāō̃ kī duniyā .

108At this time, it is a world of sinful souls.

106Baṛē-baṛē guruō̃ ādi kō dān kartē haĩ .

109People donate money to the big gurus etc.

107Jaisē kaśhmīr kā mahārājā thā , will karkē gayā ki ārya samājiyō̃ kō milē . 108Unkā dharm vr̥iddhi kō pāyē .

110For example, the Maharaja of Kashmir willed all of his wealth to the Arya Samajis so that their religion would expand.

109Abhī tumkō kyā karnā hai , kis dharm kō vr̥iddhi mē̃ lānā hai  ?

111What do you now have to do? 112What religion do you have to expand?

110Ādi sanātan dēvī-dēvtā dharm hī hai .

113You just have the one original eternal deity religion.

111Yah bhī kiskō patā nahī̃ hai . 112Abhī tum phir sē sthāpan kar rahē hō .

114No one knows that you are once again establishing that religion.

113Brahmā dvārā sthāpanā .

115Establishment takes place through Brahma.

114Ab bachchō̃ kō ēk key|kī yād mē̃ rahnā chāhiē .

116You children must now stay in remembrance of the One.

115Tum yād K|kē bal sē hī sārē sr̥iṣhṭi kō pavitra banātē hō kyōṅki tumhārē liē tō pavitra sr̥iṣhṭi chāhiē .

117You purify the whole world with the power of your remembrance, because a pure world is needed for you.

116Inkō āg lagnē sē pavitra bantī hai .

118When it is set ablaze, it will be purified.

117Kharāb chīz kō āg mē̃ pavitra banātē haĩ .

119Anything that has been spoilt can be purified by fire.

118Inmē̃ sab apavitr vastu paṛkar phir achchhī hōkar nikalēgī .

120All impure elements are burnt in a fire so that only pure matter remains.

119Tum jāntē hō yah bahut chhī-chhī tamōpradhān duniyā hai .

121You know that this world is very dirty and tamopradhan.

120Phir satōpradhān hōnī hai .

122It has to be made satopradhan.

121Yah gyān yagya hai nā .

123This is the sacrificial fire of knowledge.

122Tum hō brāhmaṇ .

124You are Brahmins.

123Yah bhī tum jāntē hō śhāstrō̃ mē̃ anēk bātē̃ likh dī haĩ , yagya par phir dakṣha prajāpitā kā nām dikhāyā hai .

125You know that many things have been written in the scriptures in connection with the sacrificial fire. 126The name of Daksh Prajapita is also mentioned.

124Phir rūdra gyān yagya kahā̃ gayā . 125Iskē liē bhī kyā-kyā kahāniyā̃ baiṭh likhī haĩ .

127So, what happened to the sacrificial fire of the knowledge of Rudra? 128They sat and wrote so many stories about that!

126Yagya kā varṇan kāydēsir hai nahī̃ .

129There is no proper description of the sacrificial fire.

127Bāp hī ākar sab kuchh samjhātē haĩ .

130Only the Father comes and explains everything.

128Abhī tum bachchō̃ nē gyān yagya rachā hai śhrīmat sē .

131You children have now created the sacrificial fire of knowledge on the basis of shrimat.

129Yah hai gyān yagya aur phir vidyālay bhī hō jātā hai .

132This is a sacrificial fire of knowledge and it is also a university.

130Gyān aur yagya dōnō̃ akṣhar alag-alag haĩ .

133Knowledge and a sacrificial fire are two separate things.

131Yagya mē̃ āhuti ḍālnī hai .

134A sacrificial fire has to have offerings put into it.

132Gyān sāgar bāp hī ākar yagya rachtē haĩ .

135The Father, the Ocean of Knowledge, comes and creates this sacrificial fire.

133Yah baṛā bhārī yagya hai , jismē̃ sārī purānī duniyā svāhā hōnī hai .

136This is a very important sacrificial fire into which the whole of the old world is to be sacrificed.

134Tō bachchō̃ kō service kā plan banānā hai .

137You children have to make plans for service.

135Bhal gā̃vaṛō̃ ādi mē̃ bhī service karō .

138You can also go and serve in the villages etc.

136Tumkō bahut kahtē haĩ garībō̃ kō yah knowledge dēnī chāhiē .

139Many people tell you to give this knowledge to the poor.

137Sirph rāy dētē haĩ , khud kōī kām nahī̃ kartē .

140They simply advise you; they themselves don't do anything.

138Service nahī̃ kartē sirph rāy dētē haĩ ki aisā karō , bahut achchhā hai . 139Parantu hamkō phursat nahī̃ hai .

141They don't do service themselves but simply tell you to do this and that, that it is very good, but that they themselves don't have the time.

140Knowledge bahut achchhī hai .

142They say: This knowledge is very good.

141Sabkō yah knowledge milnī chāhiē .

143Everyone should receive this knowledge.

142Apnē kō baṛā ādmī , tumkō chhōṭā ādmī samajhtē haĩ .

144Those people consider themselves to be important and senior and you to be junior to them.

143Tumkō bahut khabardār rahnā hai .

145You have to remain very cautious.

144Us paṛhāī kē sāth phir yah paṛhāī bhī miltī hai .

146Together with that study, you also have this study.

145Paṛhāī sē bātchīt karnē kā akla ā jātā hai . 146Manners achchhē hō jātē haĩ .

147By being educated, you learn how to talk to people and develop good manners.

147Anpaṛhē tō jaisē bhuṭṭū hōtē haĩ .

148Uneducated ones are ignorant.

148Kaisē bāt karnī chāhiē , akla nahī̃ .

149They don't have the sense to talk to people correctly.

149Baṛē ādmī kō hamēśhā «  āp ' ' kah bāt karnī hōtī hai .

150Important people should always be spoken to in a respectful way (saying "Aap").

150Yahā̃ tō kōī-kōī aisē bhī haĩ jō pati kō bhī tum-tum kah dē̃gī .

151There are even some here who address their husbands impolitely. 152To use respectful terms is royal.

151Āp akṣhar royal hai . 152Baṛē ādmī kō āp kahē̃gē .

153Eminent people should always be spoken to respectfully.

153Tō bābā pahlē-pahlē rāy dētē haĩ ki dēhlī jō paristān thī , phir sē isē paristān banānā hai .

154Therefore, Baba advises you: Delhi, that used to be Paristhan, has to be made into Paristhan again.

154Tō dēhlī mē̃ sabkō sandēśh dēnā chāhiē , advertisement bahut achchhī karnī hai .

155Therefore, everyone in Delhi has to be given the message. 156Very good advertising has to take place.

155Topics bhī batātē rahtē haĩ , topic key|kī list banāō phir likhtē jāō . 156Viśhva mē̃ śhānti kaisē hō saktī hai ākar samjhō , 21 janmō̃ kē liē nirōgī kaisē ban saktē hō , ākar samjhō .

157Baba also continues to give you topics. 158Make a list of topics and continue to write: Come and understand how peace can be brought to the world. 159Come and understand how to become free from disease for 21 births.

157Aisī khuśhī key|kī bātē̃ likhī huī hō .

160Things of such great happiness should be written.

15821 janmō̃ kē liē nirōgī , satyugī double sirtāj ākar banō . 159Satyugī akṣhar tō sabmē̃ ḍālō .

161Come inside and become free from disease and double-crowned in the golden age for 21 births.

160Sundar-sundar akṣhar hō tō manuṣhya dēkhkar khuśh hō .

162Definitely use the expression "Golden aged" in everything you write.

161Ghar mē̃ bhī aisē board chitra ādi lagē huē hō̃ .

163Make sure it's in beautiful writing so that people become happy when they see it.

162Apnā dhandhā ādi bhal karō . 163Sāth-sāth service bhī kartē rahō .

164Such boards with pictures should also be put up outside your homes.

164Dhandhē mē̃ sārā din thōṛēhī rahnā hōtā hai .

165Carry on with your business etc., but also continue to do service at the same time.

165Ūpar sē sirph dēkhbhāl karnī hōtī hai . 166Bākī kām assistant manager chalātē haĩ .

166You don’t do business throughout the whole day, you simply have to supervise everything.

167Kōī sēṭh lōg phrākdil hōtē haĩ tō assistant kō achchhā pagār ( majdūrī ) dēkar bhī gaddī par biṭhā dētē haĩ .

167It is the assistant managers who do the work. 168Some rich and generous businessmen would give a good salary to their assistants and appoint them to a position.

168Yah tō bēhad key|kī service hai .

169This here is unlimited service.

169Aur sab haĩ had key|kī service .

170Every other service is limited.

170Is bēhad key|kī service mē̃ kitnī viśhālbuddhi hōnī chāhiē .

171You need a very broad and unlimited intellect to do this unlimited service.

171Ham viśhva par jīt pātē haĩ .

172We are now conquering the world.

172Kāl par bhī ham jīt pākar amar ban jātē haĩ .

173We are also conquering death and becoming immortal.

173Aisī-aisī likhat dēkhkar āyēṅgē aur samajhnē key|kī kōśhiśh karē̃gē . 174Amarlōk kā mālik tum kaisē ban saktē hō ākar samjhō , bahut topics nikal saktī haĩ .

174Many will come inside and try to understand when they see such writing as: Come inside and understand how you can become the masters of the land of immortality. 175You can find many topics.

175Tum kiskō viśhva kā mālik banā saktē hō .

176You can make anyone into a master of the world.

176Vahā̃ duḥkh kā nām-niśhān nahī̃ rahtā .

177There is no name or trace of sorrow there.

177Bachchō̃ kō kitnī khuśhī hōnī chāhiē .

178You children should have so much happiness!

178Bābā hamkō phir sē kyā banānē āyē haĩ  !

179What has Baba come to make us into once again!

179Bachchē jāntē haĩ purānī sr̥iṣhṭi sē naī bannī hai , maut bhī sāmnē khaṛā hai .

180You children understand that the old world has to become new. 181Death is standing just ahead.

180Dēkhtē hō laṛāī lagtī rahtī hai .

182You can see how wars continue to take place.

181Baṛī laṛāī lagī tō khēl hī khalās hō jāyēgā .

183When the great world war takes place, the whole play will come to an end.

182Tum tō achchhī rīti jāntē hō .

184You know this very well.

183Bāp bahut pyār sē kahtē haĩ - mīṭhē bachchō̃ , viśhva kī bādśhāhī tumhārē liē hai .

185The Father says with a lot of love: Sweet children, the sovereignty of the world is for you.

184Tum viśhva K|kē mālik thē , bhārat mē̃ tumnē athāh sukh dēkhē .

186You were the masters of the world. 187You experienced a lot of happiness in Bharat.

185Vahā̃ rāvaṇ rājya hī nahī̃ .

188Ravan's kingdom doesn't exist there.

186Tō itnī khuśhī chāhiē .

189Therefore, you should have such great happiness.

187Bachchō̃ kō āpas mē̃ milkar rāy nikālnī chāhiē .

190You children should meet together and discuss these things.

188Akhbārō̃ mē̃ ḍālnā chāhiē .

191Publicise it in the newspapers.

189Dēhlī mē̃ bhī aeroplane sē parchē girāō .

192Drop leaflets from an aeroplane over Delhi. 193Send out invitations.

190Nimantraṇ dētē haĩ , kharchā kōī bahut thōṛēhī lagtā hai , baṛā officer samajh jāē tō free bhī kar saktē haĩ .

194This won't incur a lot of expense. 195If a senior officer were to come and understand this knowledge, he might even do that free of charge.

191Bābā rāy dētē haĩ , jaisē kalkattā hai vahā̃ cauraṅgī mē̃ first class ēk hī baṛā dukān hō royal , tō grāhak bahut āyēṅgē .

196Baba advises you that in a city like Calcutta there should be a big, first-class royal shop in the Square; many customers would then come.

192Madrās , bāmbē baṛē-baṛē śhaharō̃ mē̃ baṛā dukān hō .

197There should be big shops in cities like Madras and Bombay. 198Baba is also the Businessman.

193Bābā businessman bhī tō hai nā . 194Tumsē kakhpan pāī paisē lēkar exchange mē̃ kyā dētā hū̃  !

199Look at all the useless things not worth a penny that He takes from you and look what He gives you in exchange!

195Isliē gāyā jātā hai merciful .

200This is why He is remembered as the Merciful One.

196Kauṛī sē hīrē jaisā banānē vālā , manuṣhya kō dēvtā banānē vālā .

201He is the One who changes shells into diamonds, ordinary humans into deities.

197Balihārī ēk bāp kī hai .

202The greatness is of the one Father.

198Bāp na hōtā , tō tumhārī kyā mahimā hōtī .

203What praise would you have if it weren't for the Father?

199Tum bachchō̃ kō fakhur hōnā chāhiē ki bhagvān hamkō paṛhātē haĩ .

204You children should have the intoxication that God is teaching you.

200Aim object nar sē nārāyaṇ bannē key|kī sāmnē khaṛī hai .

205Your aim and objective of becoming Narayan from an ordinary human is in front of you.

201Pahlē-pahlē jinhōnnē avyabhichārī bhakti śhurū kī hai , vahī ākar ūñch pad pānē kā purūṣhārth karē̃gē .

206Those who were the first to start unadulterated devotion are the ones who will come and make effort to claim a high status.

202Bābā kitnī achchhī-achchhī points samjhātē haĩ , bachchō̃ kō bhūl jātī haĩ , tab bābā kahtē haĩ points likhō .

207Baba explains such good points. 208You children forget them, which is why Baba tells you to write them down. 209Continue to write down the topics.

203Topics likhtē rahō .

210Doctors study books.

204Doctor lōg bhī kitāb paṛhtē haĩ .

211You too are master spiritual surgeons.

205Tum hō master rūhānī surgeon .

212You are taught how to give injections to souls.

206Tumkō sikhlātē haĩ ātmā kō injection kaisē lagānā hai .

213This injection is of knowledge. 214No needle etc. is used for this.

207Yah hai gyān kā injection .

215Baba is the eternal Surgeon; He comes and teaches souls.

208Ismē̃ suī ādi tō kuchh nahī̃ hai .

216It is souls that have become impure.

209Bābā hai avināśhī surgeon , ātmāō̃ kō ākar paṛhātē haĩ .

217This is very easy. 218The Father is making us into the masters of the world.

210Vahī apavitr banī hai .

219So, should we not remember Him?

211Yah tō bahut easy hai .

220There is a lot of opposition from Maya.

212Bāp hamkō viśhva kā mālik banātē haĩ , unkō ham yād nahī̃ kar saktē haĩ  !

221This is why Baba says: Keep your chart and think about service and you will have a lot of happiness.

213Māyā kā opposition bahut hai isliē bābā kahtē haĩ - chart rakhō aur service kā khyāl karō tō bahut khuśhī hōgī . 214Kitnī bhī achchhī murlī chalātē haĩ parantu yōg hai nahī̃ .

222If there is no yoga, then, no matter how well someone may give knowledge, it would be very difficult for him to remain honest with the Father.

215Bāp sē sachchā bannā bhī baṛā muśhkil hai . 216Agar samajhtē haĩ ham bahut tīkhē haĩ tō bābā kō yād kar chart bhējē̃ tō bābā samajhē̃gē kahā̃ tak sach hai yā jhūṭh  ?

223If you feel that you are very clever and progressing well, you should send your chart of remembrance to Baba, so that Baba can understand to what extent you are telling the truth or not.

217Achchhā , bachchō̃ kō samjhāyā - salesman bannā hai , avināśhī gyān ratnō̃ kā .

224Achcha. 225You children have been told that you have to become salesmen of the imperishable jewels of knowledge.

218Achchhā  !

226Achcha.

219Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .

227To the sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

220Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

228The spiritual Father says namaste to the spiritual children.

Essence for dharna

221Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

229Essence for dharna:

2221 ) aim object kō sāmnē rakh fakhur mē̃ rahnā hai , master rūhānī surgeon ban sabkō gyān injection lagānā hai .

230 1. Keep your aim and objective in front of you and remain intoxicated. 231Become master spiritual surgeons and give everyone an injection of knowledge.

223Service K|kē sāth-sāth yād kā bhī chart rakhnā hai tō khuśhī rahēgī .

232Together with doing service, also keep a chart of remembrance and you will remain happy.

2242 ) bātchīt karnē K|kē manners achchhē rakhnē haĩ , ' āp ' kah bāt karnī hai .

233 2. Have good manners when in conversation with others. 234Address others respectfully.

225Her|har kārya phrākdil bankar karnā hai .

235Be generous hearted in every task.

Blessing

226Vardān  : sva kalyāṇ K|kē pratyakṣha pramāṇ dvārā viśhva kalyāṇ key|kī sēvā mē̃ sadā saphaltāmūrt bhav

236Blessing: May you become a constant embodiment of success in the service of world benefit with the practical example of your benefitting yourself.

227Jaisē ājkal śhārīrik rōg heartfail kā jyādā hai vaisē ādhyātmik unnati mē̃ dilśhikasta kā rōg jyādā hai .

237 Nowadays, almost all illnesses are of heart failure. 238In the same way, in terms of spiritual progress, there is more illness of being disheartened.

228Aisī dilśhikasta ātmāō̃ mē̃ practical parivartan dēkhnē sē hī himmat vā śhakti ā saktī hai . 229Sunā bahut hai ab dēkhnā chāhtē haĩ .

239By seeing a practical transformation in disheartened souls, people develop courage and power; they have heard a lot and now wish to see something.

230Pramāṇ dvārā parivartan chāhtē haĩ .

240They want to bring about transformation by seeing an example.

231Tō viśhva kalyāṇ kē liē sva kalyāṇ pahlē sample rūp mē̃ dikhāō .

241So, for world benefit, first of all show them the sample of your benefitting yourself.

232Viśhva kalyāṇ key|kī sēvā mē̃ saphaltāmūrt bannē kā sādhan hī hai pratyakṣha pamāṇ , issē hī bāp key|kī pratyakṣhatā hōgī .

242The way to become an embodiment of success in the service of world benefit is a practical example, and the Father’s revelation will only take place through this.

233Jō bōltē hō vah āpkē svarūp sē practical dikhāī dē tab mānē̃gē .

243They will only accept everything when they see the things you speak about in a practical way in your form.

Slogan

234Slōgan  : dūsrē K|kē vichārō̃ kō apnē vichārō̃ sē milānā - yahī hai regard dēnā .

244Slogan: To harmonise your ideas with those of others is to give regard.

245*** Om Shanti ***