मंगलवार 7 जुलाई 2020 की दैनिक मुरली

ध्यान दें: वाक्यों का संरेखण अक्षरों की संख्या पर आधारित है और पूरी तरह विश्वसनीय नहीं है।

आप पूरी मुरली या उसके किसी भाग का वाक्य संरेखण स्वयं सुधार सकते हैं।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

007-07-2020 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

0 07/07/20 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē bachchē - purūṣhārth kar daivī guṇ achchhī rīti dhāraṇ karnē haĩ , kisī kō bhī duḥkh nahī̃ dēnā hai , tumhārī kōī bhī āsurī activity nahī̃ chāhiē ' '

1Essence: Sweet children, make effort and imbibe the divine virtues very well. 2Never cause anyone sorrow. 3You shouldn’t have any devilish activities.

Question

2Praśhna  : kaun sē āsurī guṇ tumhārē śhrr̥iṅgār kō bigāṛ dētē haĩ  ?

4Question: What devilish traits spoil your decoration?

Answer

3Uttar  : āpas mē̃ laṛnā-jhagaṛnā , rūṭhnā , centre par dhamapā machānā , duḥkh dēnā - yah āsurī guṇ haĩ , jō tumhārē śhrr̥iṅgār kō bigāṛ dētē haĩ . 4Jō bachchē bāp kā ban karkē bhī in āsurī guṇō̃ kā tyāg nahī̃ kartē haĩ , ulṭē karma kartē haĩ , unhē̃ bahut ghāṭā paṛ jātā hai .

5Answer: To fight and quarrel among yourselves, to sulk, to create chaos at your centre and cause sorrow, are devilish traits that spoil your decoration. 6Children who, even after belonging to the Father, don’t renounce those devilish traits but continue to act wrongly, suffer a great loss.

5Hisāb hī hisāb hai .

7An account is an account!

6Bāp kē sāth dharmarāj bhī hai .

8Dharamraj is with the Father.

Song

7Gīt  : bhōlēnāth sē nirālā …

9Song: No one is as unique as the Innocent Lord.

Murli

8Ōm śhānti .

10Om shanti.

9Rūhānī bachchē yah tō jān chukē haĩ ki ūñch tē ūñch bhagvān hai .

11You spiritual children know that God is the Highest on High.

10Manuṣhya gātē haĩ aur tum dēkhtē hō divya dr̥iṣhṭi sē .

12People sing songs about this whereas you see this with divine vision.

11Tum buddhi sē bhī jāntē hō ki hamkō vah paṛhā rahē haĩ .

13Your intellects understand that He is teaching you.

12Ātmā hī paṛhtī hai śharīr sē .

14It is souls that study through their bodies.

13Sab kuchh ātmā hī kartī hai śharīr sē .

15It is souls that do everything through the bodies.

14Śharīr vināśhī hai , jiskō ātmā dhāraṇ kar part bajātī hai .

16A soul adopts a perishable body to play his part.

15Ātmā mē̃ hī sārē part key|kī nūndh hai .

17A whole part is recorded in each soul.

1684 janmō̃ key|kī bhī ātmā mē̃ hī nūndh hai .

18Eight four births are recorded in the soul.

17Pahlē-pahlē tō apnē kō ātmā samajhnā hai .

19First of all, consider yourselves to be souls.

18Bāp hai sarvśhaktimān .

20The Father is the Almighty Authority.

19Unsē tum bachchō̃ kō śhakti miltī hai .

21You children receive power from Him.

20Yōg sē śhakti jāstī miltī hai , jissē tum pāvan bantē hō .

22By having yoga, you receive a lot of power and you become pure through that power.

21Bāp tumkō śhakti dētē haĩ viśhva par rājya karnē key|kī .

23The Father gives you the power to rule a whole kingdom.

22Itnī mahān śhakti dētē haĩ , vah science ghamanḍī ādi itnā sab banātē haĩ vināśh kē liē .

24He gives you such great power. 25Those with the arrogance of science create so many things for destruction.

23Unkī buddhi hai vināśh kē liē , tumhārī buddhi hai avināśhī pad pānē kē liē .

26Their intellects work for destruction whereas your intellects work to claim an imperishable status.

24Tumkō bahut śhakti miltī hai jissē tum viśhva par rājya pātē hō .

27You receive a great deal of power and you claim the kingdom of the world through that power.

25Vahā̃ prajā kā prajā par rājya nahī̃ hōtā hai .

28There, it isn’t government of the people by the people.

26Vahā̃ hai hī rājā-rānī kā rājya .

29There, it is the kingdom of the king and queen.

27Ūñch tē ūñch hai bhagvān .

30God is the Highest on High.

28Yād bhī unkō kartē haĩ .

31People remember Him.

29Lakṣhmī-nārāyaṇ kā sirph mandir banākar pūjtē haĩ . 30Phir bhī ūñch tē ūñch bhagvān gāyā jātā hai .

32They build temples to Lakshmi and Narayan and worship them but, nevertheless, God is remembered as the Highest on High.

31Abhī tum samajhtē hō yah lakṣhmī-nārāyaṇ viśhva K|kē mālik thē .

33You now understand that Lakshmi and Narayan were the masters of the world.

32Ūñch tē ūñch viśhva kī bādśhāhī miltī hai bēhad K|kē bāp sē .

34The highest-on-high kingdom in the world is received from the unlimited Father.

33Tumkō kitnā ūñch pad miltā hai .

35You are to receive such a high status!

34Tō bachchō̃ kō kitnī khuśhī hōnī chāhiē .

36Therefore, you children should experience so much happiness!

35Jissē kuchh miltā hai unkō yād kiyā jātā hai nā .

37You would definitely remember someone who gives you something.

36Kanyā kā pati sē kitnā love rahtā hai , kitnā pati K|kē pichhāṛī prāṇ dētī hai .

38A bride has so much love for her husband; she gives her life for him.

37Pati martā hai tō yā-husain machā dētī hai .

39When he dies, she cries so much in distress.

38Yah tō patiyō̃ kā pati hai , tumkō kitnā śhrr̥iṅgār rahē haĩ - yah ūñch tē ūñch pad prāpt karānē kē liē .

40That One is the Husband of all husbands. 41He is now decorating you so well for you to claim the highest-on-high status.

39Tō tum bachchō̃ mē̃ kitnā naśhā hōnā chāhiē .

42Therefore, you children should have so much intoxication!

40Daivīguṇ bhī tumkō yahā̃ dhāraṇ karnē haĩ .

43You have to imbibe divine virtues here.

41Bahutō̃ mē̃ abhī tak āsurī avguṇ haĩ , laṛnā-jhagaṛnā , rūṭhnā , centre par dhamapā machānā . . . . . bābā jāntē haĩ bahut reports ātī haĩ .

44Many still have a lot of devilish traits. 45To fight and quarrel, to sulk, to create chaos at a centre are devilish traits. 46Baba knows because He receives many reports.

42Kām mahāśhatru hai tō krōdh bhī kōī cum|kam śhatru nahī̃ hai .

47Lust is the greatest enemy, but anger is no less an enemy.

43Phalānē kē ūpar pyār , mērē ūpar kyō̃ nahī̃  !

48“So-and-so is shown so much love. 49Why am I not shown any love?”

44Phalānī bāt insē pūchhī , mērē sē kyō̃ nahī̃ pūchhā  !

50“So-and-so was asked his opinion. 51Why wasn’t I asked?”

45Aisē-aisē bōlnē vālē sanśhay buddhi bahut haĩ .

52There are many who speak like this because their intellects have doubt.

46Rājdhānī sthāpan hōtī hai nā .

53A kingdom is being established.

47Aisē-aisē kyā pad pāyēṅgē .

54What status would such ones claim?

48Martabē mē̃ tō fark bahut rahtā hai .

55There’s a lot of difference in the status.

49Mēhtar bhī dēkhō achchhē-achchhē mahalō̃ mē̃ rahtē , kōī kahā̃ rahtē .

56Even cleaners will stay in very good mansions. 57Others will stay somewhere else in good houses.

50Har ēk kō apnā purūṣhārth kar daivīguṇ achchhē dhāraṇ karnē haĩ .

58Each one of you has to make effort for yourself very well to imbibe divine virtues.

51Dēh-abhimān mē̃ ānē sē āsurī activity hōtī hai .

59By your becoming body conscious, there are devilish activities.

52Jab dēhī-abhimānī ban achchhī rīti dhārṇā kartē rahō tab ūñch pad pāō .

60When you become soul conscious and imbibe all of this very well, you will be able to claim a high status.

53Purūṣhārth aisā karnā hai , daivīguṇ dhāraṇ karnē kā , kiskō duḥkh nahī̃ dēnā hai .

61You have to make effort accordingly to imbibe such divine virtues. 62Never cause anyone sorrow.

54Tum bachchē duḥkh hartā , sukh kartā bāp K|kē bachchē hō . 55Kōī kō bhī duḥkh nahī̃ dēnā chāhiē .

63You are the children of the Father who is the Remover of Sorrow and the Bestower of Happiness.

56Jō centre sambhāltē haĩ un par bahut responsibility hai .

64Never cause sorrow for anyone. 65Those who look after centres have a great responsibility.

57Jaisē bāp kahtē haĩ - bachchē , agar kōī bhūl kartā hai tō sauguṇā daṇḍ paṛ jātā hai .

66The Father says: Children, if someone makes a mistake, he accumulates one hundred-fold punishment.

58Dēh-abhimān hōnē sē baṛā ghāṭā hōtā hai kyōṅki tum brāhmaṇ sudhārnē kē liē nimitt banē huē hō .

67By becoming body conscious, there is a great loss because you Brahmins have become instruments to reform everyone.

59Agar khud hī nahī̃ sudharē tō aurō̃ kō kyā sudhārē̃gē .

68If you haven’t reformed yourself, how could you reform others?

60Bahut nuksān hō paṛtā hai .

69There would then be a great loss.

61Pāṇḍav government hai nā .

70There is also the Pandava Government.

62Ūñch tē ūñch bāp hai unkē sāth dharmarāj bhī hai .

71The Father is the Highest on High and Dharamraj is with Him.

63Dharmarāj dvārā bahut baṛī sazā khātē haĩ .

72Very severe punishment is experienced through Dharamraj.

64Aisē kuchh karma kartē haĩ tō bahut ghāṭā paṛ jātā hai .

73When such wrong actions are performed, a great loss is experienced.

65Hisāb hī hisāb hai , bābā kē pās pūrā hisāb rahtā hai .

74An account is an account, there is an account for everything! 75The Father has all the accounts.

66Bhakti mārg mē̃ bhī hisāb hī hisāb hai .

76On the path of devotion too, there is a proper account.

67Kahtē bhī haĩ bhagvān tumhārā hisāb lēgā .

77It is still said that God takes account of everything you do.

68Yahā̃ bāp khud kahtē haĩ dharmarāj bahut hisāb lē̃gē .

78Here, the Father Himself says: Dharamraj takes full account of everything you do.

69Phir us samay kyā kar sakē̃gē  !

79What would you be able to do at that time?

70Sākṣhātkār hōgā - hamnē yah-yah kiyā .

80You will have visions of the things you did.

71Vahā̃ tō thōṛī mār paṛtī hai , yahā̃ tō bahut mār khānī paṛēgī .

81There will be a little punishment there, whereas there will be a great deal of punishment here.

72Tum bachchō̃ kō satyug mē̃ garbh jēl mē̃ nahī̃ ānā hai .

82In the golden age, you children won’t go into a jail-like womb.

73Vahā̃ tō garbh mahal hai .

83There, the womb is like a palace.

74Kōī pāp ādi kartē nahī̃ .

84No one commits sin etc. there.

75Tō aisā rājya-bhāgya pānē kē liē bachchō̃ kō bahut khabardār hōnā hai .

85Therefore, you children have to be very cautious in order to attain such fortune of the kingdom.

76Kaī bachchē brāhmaṇī ( teacher ) sē bhī tīkhē hō jātē haĩ .

86Some children become cleverer than their teacher.

77Takdīr brāhmaṇī sē bhī ūñchī hō jātī hai .

87Their fortune becomes higher than that of their teacher.

78Yah bhī bāp nē samjhāyā hai - achchhī service nahī̃ karē̃gē tō janma-janmāntar dās-dāsiyā̃ banē̃gē .

88The Father has also explained that if someone doesn’t do service well, he will become a servant for birth after birth.

79Bāp sammukh ātē hī bachchō̃ sē pūchhtē haĩ - bachchē , dēhī-abhimānī hōkar baiṭhē hō  ?

89As soon as the Father comes in front of you children, He asks you: Children, are you sitting here in soul consciousness?

80Bāp K|kē bachchō̃ prati mahāvākya haĩ - bachchē , ātma-abhimānī bannē kā bahut purūṣhārth karnā hai .

90The elevated versions of the Father for the children are: Children, you have to make a lot of effort to become soul conscious.

81Ghūmtē phirtē bhī vichār sāgar manthan kartē rahnā hai .

91Whilst walking and moving around, continue to churn the ocean of knowledge.

82Bahut bachchē haĩ jō samajhtē haĩ ham jaldī-jaldī is nark key|kī chhī-chhī duniyā sē jāyē̃ sukhdhām .

92Many children feel that they want to go very soon from this dirty world of hell to the land of happiness.

83Bāp kahtē haĩ achchhē-achchhē mahārathī yōg mē̃ bahut fail haĩ .

93The Father says: Even very good maharathis fail to have yoga.

84Unhō̃ kō bhī purūṣhārth karāyā jātā hai .

94Even they have to be inspired to make effort.

85Yōg nahī̃ hōgā tō ēkdam gir paṛē̃gē .

95If you don’t have any yoga, you fall down completely.

86Knowledge tō bahut sahaj hai . 87History-geography sārī buddhi mē̃ ā jātī hai .

96Knowledge is very easy; the whole history and geography enters the intellect.

88Bahut achchhī-achchhī bachchiyā̃ haĩ jō pradarśhanī samjhānē mē̃ baṛī tīkhī haĩ . 89Parantu yōg hai nahī̃ , daivīguṇ bhī nahī̃ haĩ .

97Although many good daughters are very clever at explaining at exhibitions, neither do they have yoga nor do they have divine virtues.

90Kabhī-kabhī khyāl hōtā hai , ajun kyā-kyā avasthāyē̃ haĩ bachchō̃ key|kī .

98Sometimes Baba wonders at the present stage of some children!

91Duniyā mē̃ kitnā duḥkh hai .

99There is so much sorrow in the world!

92Jaldī-jaldī yah khatm hō jāē .

100All of this should finish very soon.

93Intzār mē̃ baiṭhē haĩ , jaldī chalē̃ sukhdhām .

101Baba (Brahma) is waiting to go soon to the land of happiness.

94Taṛaphtē rahtē haĩ . 95Jaisē bāp sē milnē liē taṛaphtē haĩ , kyōṅki bābā hamkō svarg kā rāstā batātē haĩ .

102Some are very desperate to go, just as some are very desperate to meet the Father, because Baba shows us the way to heaven.

96Aisē bāp kō dēkhnē liē taṛaphtē haĩ .

103Some are very desperate to see such a Father.

97Samajhtē haĩ aisē bāp K|kē sammukh jākar rōz murlī sunē̃ .

104They feel that they want to listen to the Father face-to-face every day.

98Abhī tō samajhtē hō yahā̃ kōī jhañjhaṭ key|kī bāt nahī̃ rahtī hai .

105You now understand that there are no problems here.

99Bāhar mē̃ rahnē sē tō sabsē tōṛ nibhānā paṛtā hai .

106When you live outside you have to fulfil your responsibility to everyone.

100Nahī̃ tō khiṭpiṭ hō jāē isliē sabkō dhīraj dētē haĩ .

107Otherwise there would be a lot of conflict. 108This is why Baba gives everyone patience.

101Ismē̃ baṛī gupta mēhnat hai .

109This requires very incognito effort.

102Yād kī mēhnat kōī sē pahũchtī nahī̃ .

110No one is able to make that effort for remembrance.

103Gupta yād mē̃ rahē̃ tō bāp K|kē direction par bhī chalē̃ .

111When you stay in incognito remembrance, you are able to follow the Father’s directions.

104Dēh-abhimān K|kē kāraṇ bāp K|kē direction par chaltē hī nahī̃ .

112Because of being body conscious, some don’t even follow the Father’s directions!

105Kahtā hū̃ chart banāō tō bahut unnati hōgī .

113Baba says: Write your chart and you will make a lot of progress.

106Yah kisnē kahā  ?

114Who said this?

107Śhivbābā nē .

115Shiv Baba!

108Teacher kām dētē haĩ tō karkē ātē haĩ nā .

116When a teacher gives homework, the students do it.

109Yahā̃ achchhē-achchhē bachchō̃ kō bhī māyā karnē nahī̃ dētī .

117Here, Maya doesn’t allow even some very good children to do this.

110Achchhē-achchhē bachchō̃ kā chart bābā kē pās āyē tō bābā batāyē̃ dēkhō kaisē yād mē̃ rahtē hō .

118If Baba were to receive the charts of the very good children, He would see how much such children stay in remembrance.

111Samajhtē haĩ ham ātmāyē̃ āśhik , ēk māśhūk kī haĩ .

119You souls understand that you are lovers of the one Beloved.

112Vah jismānī āśhik-māśhūk tō anēk prakār K|kē hōtē haĩ .

120There are many types of physical lovers and beloveds.

113Tum bahut purānē āśhik hō .

121You are very old lovers.

114Abhī tumkō dēhī-abhimānī bannā hai .

122You now have to become soul conscious.

115Kuchh na kuchh sahan karnā hī paṛēgā .

123Something or other will have to be tolerated.

116Miyā miṭṭhū nahī̃ bannā hai .

124Don’t consider yourselves to be that clever!

117Bābā aisē thōṛēhī kahtē haḍḍī dē dō .

125Baba is not asking you to give your bones.

118Bābā tō kahtē haĩ tandurūstī achchhī rakhō tō service bhī achchhī rīti kar sakē̃gē .

126Baba says: Keep yourselves in good health so that you are able to do service well.

119Bīmār hōṅgē tō paṛē rahē̃gē .

127If you are ill, you will have to stay in bed.

120Kōī-kōī hospital mē̃ bhī samjhānē key|kī service kartē haĩ tō doctor lōg kahtē haĩ yah tō fariśhtē haĩ .

128The doctors feel that an angel has come when some children go to serve in hospitals.

121Chitra sāth mē̃ lē jātē haĩ .

129They take the pictures with them.

122Jō aisī-aisī service kartē haĩ unkō merciful kahē̃gē .

130Those who do such service are said to be merciful.

123Service kartē haĩ tō kōī-kōī nikal paṛtē haĩ .

131When you do such service, someone or other will emerge.

124Jitnā-jitnā yād bal mē̃ rahē̃gē utnā manuṣhyō̃ kō tum khīchēṅgē , ismē̃ hī tākat hai .

132The more power of remembrance you have, the more people will be drawn here. 133Only in this remembrance is there strength.

125Purity first .

134Purity first!

126Kahā bhī jātā hai pahlē purity , peace|pīs , pīchhē prosperity .

135It is said that there first has to be purity, then peace and then prosperity.

127Yād K|kē bal sē hī tum pavitra hōtē hō .

136You become pure with the power of remembrance.

128Phir hai gyān bal .

137Then, there is the power of knowledge.

129Yād mē̃ kamjōr mat banō .

138Don’t become weak in remembrance.

130Yād mē̃ hī vighna paṛē̃gē .

139It is in remembrance that there are obstacles.

131Yād mē̃ rahnē sē tum pavitra bhī banē̃gē aur daivīguṇ bhī āyēṅgē .

140By staying in remembrance you will become pure and also develop divine virtues.

132Bāp key|kī mahimā tō jāntē hō nā .

141You know the Father’s praise.

133Bāp kitnā sukh dētē haĩ .

142The Father gives so much happiness!

13421 janmō̃ kē liē tumkō sukh K|kē lāyak banātē haĩ .

143He makes you worthy of happiness for 21 births.

135Kabhī bhī kiskō duḥkh nahī̃ dēnā chāhiē .

144Never cause sorrow for anyone.

136Kaī bachchē disservice kar apnē āpkō jaisē śhrāpit kartē haĩ , dūsrō̃ kō bahut taṅg kartē haĩ .

145Some children do disserviceand thereby put a curse on themselves and also trouble others a lot.

137Kapūt bachchā bantē haĩ tō apnē āpkō āpēhī śhrāpit kar dētē haĩ .

146When someone becomes disobedient, it is as though he curses himself.

138Disservice karnē sē ēkdam paṭ paṛ jātē haĩ .

147By doing disservice, some fall right down.

139Bahut bachchē haĩ jō vikār mē̃ gir paṛtē haĩ yā krōdh mē̃ ākar paṛhāī chhōṛ dētē haĩ .

148Many children either fall due to vice or else they become angry and stop studying.

140Anēk prakār K|kē bachchē yahā̃ baiṭhē haĩ .

149Many types of children are sitting here.

141Yahā̃ sē refresh hōkar jātē haĩ tō bhūl kā paśhchātāp kartē haĩ .

150When they leave here, refreshed, they repent for their mistakes.

142Phir bhī paśhchātāp sē kōī māph nahī̃ hō saktā hai .

151However, nothing is forgiven by just their repentance.

143Bāp kahtē haĩ kṣhamā apnē par āpēhī karō .

152The Father says: You have to forgive yourself!

144Yād mē̃ rahō .

153Stay in remembrance!

145Bāp kiskō kṣhamā nahī̃ kartē haĩ . 146Yah tō paṛhāī hai .

154The Father doesn’t forgive anyone, because this is a study.

147Bāp paṛhātē haĩ , bachchō̃ kō apnē par kr̥ipā kar paṛhnā hai .

155The Father is teaching you and you children have to have mercy on yourselves by studying.

148Manners achchhē rakhnē haĩ .

156You have to have good manners.

149Bābā brāhmaṇī kō kahtē haĩ , register lē āō .

157Baba asks the teachers to bring the register.

150Ēk-ēk kā samāchār sunkar samjhānī dī jātī hai .

158When Baba hears the news of each one He gives guidance.

151Tō samajhtē haĩ brāhmaṇī nē report dī hai aur hī jāstī disservice karnē lag paṛtē haĩ .

159Then, because some students think that their teacher has reported them to Baba, they begin to do even more disservice.

152Baṛī mēhnat lagtī hai .

160A lot of effort is required here.

153Māyā baṛī duśhman hai .

161Maya is a great enemy.

154Bandar sē mandir bannē nahī̃ dētī hai . 155Ūñch pad pānē kē badlē aur hī bilkul nīchē gir paṛtē haĩ . 156Phir kabhī uṭh na sakē̃ , mar paṛtē haĩ .

162She doesn’t allow you to change from being like a monkey to becoming worthy of living in a temple. 163Instead of claiming a high status, some fall even more and are unable to get up; they die.

157Bāp bachchō̃ kō bār-bār samjhātē haĩ yah baṛī ūñch mañjil hai , viśhva kā mālik bannā hai .

164The Father repeatedly explains to the children that this is a very high destination. 165You have to become the masters of the world.

158Baṛē ādmī K|kē bachchē baṛī royalty sē chaltē haĩ .

166Children of eminent people behave with great royalty.

159Kahā̃ bāp key|kī ijjat na jāyē .

167They are concerned not to lose their father’s honour.

160Kahē̃gē tumhārā bāp kitnā achchhā hai , tum kitnē kapūt hō .

168Of some it would be said, “Your father is so good and you are so unworthy!

161Tum apnē bāp key|kī ijjat ganvā rahē hō  !

169You are losing your father’s honour.”

162Yahā̃ tō har ēk apnī ijjat ganvātē haĩ .

170Here, each one loses his own honour for himself.

163Bahut sazāyē̃ khānī paṛtī haĩ .

171A lot of punishment is experienced.

164Bābā warning dētē haĩ , baṛē khabardār hō chalō .

172Baba warns you: Be very cautious as you move along. 173Don’t become jailbirds.

165Jēl birds na banō .

174Jailbirds exist here.

166Jēl birds bhī yahā̃ hōtē haĩ , satyug mē̃ tō kōī bhī jēl nahī̃ hōtā .

175In the golden age there are no jails. 176Nevertheless, you now have to study and claim a high status.

167Phir bhī paṛhkar ūñch pad pānā chāhiē .

177Don’t be careless and make mistakes!

168Ġaphlat nahī̃ karō . 169Kiskō bhī duḥkh mat dō .

178Don’t cause sorrow for anyone!

170Yād kī yātrā par rahō .

179Stay on the pilgrimage of remembrance!

171Yād hī kām mē̃ āyēgī .

180It is remembrance that is useful.

172Pradarśhanī mē̃ bhī mukhya bāt yahī batāō . 173Bāp kī yād sē hī pāvan banē̃gē .

181The main thing to explain at exhibitions is: Only by having remembrance of the Father will you become pure.

174Pāvan bannē tō sab chāhtē haĩ .

182Everyone wants to become pure.

175Yah hai hī patit duniyā .

183This is the impure world.

176Sarv key|kī sadgati karnē tō ēk hī bāp ātē haĩ .

184Only the one Father comes to grant salvation to everyone.

177Christ , buddha ādi kōī key|kī sadgati nahī̃ kar saktē .

185Christ and Buddha etc. couldn’t grant salvation to anyone.

178Phir brahmā kā bhī nām lētē haĩ . 179Brahmā kō bhī sadgati dātā nahī̃ kah saktē .

186People mention the name of Brahma, but even Brahma cannot be the Bestower of Salvation.

180Jō dēvī-dēvtā dharm kā nimitt hai .

187He is the instrument for the deity religion.

181Bhal dēvī-dēvtā dharm key|kī sthāpanā tō śhivbābā kartē haĩ phir bhī nām tō hai nā - brahmā-viṣhṇu-śhaṅkar . . . . .

188Although Shiv Baba establishes the deity religion, Brahma, Vishnu and Shankar are also remembered.

182Trimūrti brahmā kah dētē .

189People speak of Trimurti Brahma.

183Bāp kahtē haĩ yah bhī gurū nahī̃ .

190The Father says: He is not a guru either.

184Gurū tō ēk hī hai , unkē dvārā tum rūhānī gurū bantē hō .

191There is only one Guru and you become spiritual gurus through Him.

185Bākī vah hai dharm sthāpak .

192Those others are founders of religions.

186Dharm sthāpak kō sadgati dātā kaisē kah saktē , yah baṛī deep bātē̃ haĩ samajhnē key|kī .

193How can the founder of a religion be called the Bestower of Salvation? 194These are very deep matters and have to be understood.

187Anya dharm sthāpak tō sirph dharm sthāpan kartē haĩ , jiskē pichhāṛī sab ā jātē haĩ , vah kōī sabkō vāpis nahī̃ lē jā saktē .

195The founders of religion simply establish their religion. 196Their followers then follow them down. 197They cannot take everyone back home. 198They have to enter rebirth.

188Unkō tō punarjanma mē̃ ānā hī hai , sabkē liē yah samjhānī hai .

199This explanation applies to all of them. 200Not a single guru can grant salvation.

189Ēk bhī gurū sadgati kē liē nahī̃ hai .

201The Father explains: There is only the one Guru and Purifier.

190Bāp samjhātē haĩ gurū patit-pāvan ēk hī hai , vahī sarv K|kē sadgati dātā , liberator haĩ , batānā chāhiē hamārā gurū ēk hī hai , jō sadgati dētē haĩ , śhāntidhām , sukhdhām lē jātē haĩ .

202He alone is the Bestower of Salvation and the Liberator for All. 203Tell everyone that we only have the one Guru. 204He is the One who grants salvation to everyone and takes them back home to the land of peace and the land of happiness.

191Satyug ādi mē̃ bahut thōṛē hōtē haĩ .

205There are very few people at the beginning of the golden age.

192Vahā̃ kiskā rājya thā , chitra tō dikhāyēṅgē nā .

206You would of course show the pictures of whose kingdom it was.

193Bhāratvāsī hī mānē̃gē , dēvtāō̃ K|kē pujārī jhaṭ mānē̃gē ki barōbar yah tō svarg K|kē mālik haĩ . 194Svarg mē̃ inkā rājya thā .

207The people of Bharat and those who worship those deities will quickly believe that they (Lakshmi and Narayan) truly were the masters of heaven, and that it used to be their kingdom in heaven.

195Bākī sab ātmāyē̃ kahā̃ thī  ?

208Where were all the other souls at that time?

196Jarūr kahē̃gē nirākārī duniyā mē̃ thē .

209You would say that they were definitely in the incorporeal world.

197Yah bhī tum abhī samajhtē hō .

210You now understand these things.

198Pahlē kuchh bhī patā nahī̃ thā .

211Previously, you didn’t know anything.

199Abhī tumhārī buddhi mē̃ chakra phirtā rahtā hai .

212The cycle now turns around in your intellects.

200Barōbar 5 hazār varṣh pahlē bhārat mē̃ inkā rājya thā , jab gyān kī prālabdha pūrī hōtī hai tō phir bhakti mārg śhurū hōtā hai phir chāhiē purānī duniyā sē vairāgya .

213Truly, it used to be their kingdom in Bharat 5000 years ago. 214When the reward of knowledge comes to an end, the path of devotion begins. 215Then there has to be disinterest in the old world.

201Bas abhī ham naī duniyā mē̃ jāyēṅgē .

216That’s it! 217We will now go to the new world.

202Purānī duniyā sē dil uṭh jātā hai .

218The hearts are now removed from the old world.

203Vahā̃ pati bachchē ādi sab aisē milē̃gē .

219There, the husband and children etc. will all be very good.

204Bēhad kā bāp tō hamkō viśhva kā mālik banātē haĩ .

220The unlimited Father is making you into the masters of the world.

205Jō viśhva kā mālik bannē vālē bachchē haĩ , unkē khyālāt bahut ūñchē aur chalan baṛī royal hōgī .

221You children, who are to become masters of the world, must have very elevated thoughts and royal behaviour.

206Bhōjan bhī bahut cum|kam , jāstī habach nahī̃ hōnī chāhiē .

222Regarding food, you should not eat too little, nor should you have any greed.

207Yād mē̃ rahnē vālē kā bhōjan bhī bahut sūkṣhma hōgā .

223The diet of those who stay in remembrance would be very subtle (light).

208Bahutō̃ key|kī khānē mē̃ bhī buddhi chalī jātī hai .

224The intellects of many are distracted by food.

209Tum bachchō̃ kō tō khuśhī hai viśhva kā mālik bannē key|kī .

225You children have the happiness of becoming the masters of the world.

210Kahā jātā hai khuśhī jaisī khurāk nahī̃ .

226It is said: There is no nourishment like the nourishment of happiness.

211Aisī khuśhī mē̃ sadaiv rahō tō khān-pān bhī bahut thōṛā hō jāē .

227If you constantly maintain such happiness, your food and drink will become very light.

212Bahut khānē sē bhārī hō jātē haĩ phir jhuṭkā ādi khātē haĩ .

228When you eat too much, you become very heavy and you then keep dozing off.

213Phir kahtē bābā nīnd ātī hai .

229Then you say: Baba, I feel very sleepy!

214Bhōjan sadaiv ēkras hōnā chāhiē , aisē nahī̃ ki achchhā bhōjan hai tō bahut khānā chāhiē  !

230Your diet should be constant. 231It shouldn’t be that when there is good food you eat more.

215Achchhā  !

232Achcha.

216Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .

233To the sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

217Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

234The spiritual Father says namaste to the spiritual children.

Essence for dharna

218Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

235Essence for dharna:

2191 ) ham duḥkh hartā sukh kartā bāp K|kē bachchē haĩ , hamē̃ kisī kō duḥkh nahī̃ dēnā hai .

236 1. We are the children of the Father who is the Remover of Sorrow and the Bestower of Happiness.

220Disservice kar apnē āpkō śhrāpit nahī̃ karnā hai .

237We mustn’t cause sorrow for anyone. 238Don’t curse yourself by doing disservice.

2212 ) apnē khyālāt baṛē ūñchē aur royal rakhnē haĩ .

239 2. Have very elevated and royal thoughts.

222Merciful ban service par tatpar rahnā hai .

240Be merciful and remain busy in service.

223Khānē-pīnē key|kī habach ( lālach ) kō chhōṛ dēnā hai .

241Renounce greed for food and drink.

Blessing

224Vardān  : drama key|kī knowledge sē achal sthiti banānē vālē prakr̥iti vā māyājīt bhav

242Blessing: May you be a conqueror of matter and Maya and, make your stage unshakeable with knowledge of the drama.

225Prakr̥iti vā māyā dvārā kaisā bhī paper āyē lēkin jarā bhī halchal na hō .

243 No matter what type of paper comes through matter or Maya, do not have the slightest upheaval.

226Yah kyā , yah kyō̃ , yah question bhī uṭhā , jarā bhī kōī samasyā war|vār karnē vālī ban gaī tō fail hō jāyēṅgē isliē kuchh bhī hō lēkin andar sē yah āvāj nikalē ki vāh mīṭhā drama vāh  !

244If you have questions such as, “What is this? 245Why did this happen?”, when a problem attacks you, you fail. 246So, no matter what happens, let this sound emerge from within: “Wah sweet drama, Wah!”

227Hāy kyā huā - yah saṅkalp bhī na āyē .

247Let there be no thought such as: “Oh! 248What happened?”

228Aisī sthiti hō jō kōī saṅkalp mē̃ bhī halchal na hō .

249Let your stage be such that there is no fluctuation in any thought.

229Sadā achal , aḍōl sthiti rahē tab prakr̥itijīt va māyājīt kā vardān prāpt hōgā .

250Let your stage be constantly immovable and unshakeable and you will receive the blessing of being a conqueror of matter and a conqueror of Maya.

Slogan

230Slōgan  : khuśhkhabarī sunākar khuśhī dilānā yahī sabsē śhrēṣhṭh kartavya hai .

251Slogan: To relate good news and give happiness is a most elevated duty.

252*** Om Shanti ***