गुरुवार 1 अक्टूबर 2020 की दैनिक मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
ध्यान दें: वाक्यों का संरेखण अक्षरों की संख्या पर आधारित है और पूरी तरह विश्वसनीय नहीं है।
आप पूरी मुरली या उसके किसी भाग का वाक्य संरेखण स्वयं सुधार सकते हैं।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
001-10-2020 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban
0 01/10/20 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban
Essence
1 « mīṭhē bachchē - tumhē̃ dēvtā bannā hai isliē māyā K|kē avguṇō̃ kā tyāg karō , gussā karnā , mārnā , taṅg karnā , burā kām karnā , chōrī-chakārī karnā yah sab mahāpāp hai ' '
1Essence: Sweet children, you have to become deities, so renounce the defects of Maya. 2To get angry, to beat someone, to harass someone, to perform bad acts and to steal are all great sins.
Question
2Praśhna : is gyān mē̃ kaun-sē bachchē tīkhē jā saktē haĩ ? 3Ghāṭā kinhē̃ paṛtā hai ?
3Question: Which children can go ahead fast in this knowledge? 4Which ones experience a loss?
Answer
4Uttar : jinhē̃ apnā pōtāmēl rakhnā ātā hai vah is gyān mē̃ bahut tīkhē jā saktē haĩ .
5Answer: Those who know how to keep their accounts can go ahead very fast in this knowledge. 6It is those who don’t remain soul conscious who experience a loss.
5Ghāṭā unkō paṛtā hai jō dēhī-abhimānī nahī̃ rahtē . 6Bābā kahtē vyāpārī lōgō̃ kō pōtāmēl nikālnē key|kī ādat hōtī hai , vah yahā̃ bhī tīkhē jā saktē haĩ .
7Baba says: Businessmen have the habit of keeping their accounts. 8Therefore, here, too, they can go ahead very fast.
Song
7Gīt : mukhṛā dēkh lē prāṇī …
9Song: O man, look at your face in the mirror of your heart!
Murli
8Ōm śhānti .
10Om shanti.
9Rūhānī pārṭdhārī bachchō̃ prati bāp samjhātē haĩ kyōṅki rūh hī part bajā rahī hai bēhad K|kē nāṭak mē̃ .
11The Father explains to the children who are spiritual actors, because it is souls who play parts in this unlimited play.
10Hai tō manuṣhyō̃ kā nā .
12The parts are for human beings.
11Bachchē is samay purūṣhārth kar rahē haĩ .
13You children are now making effort.
12Bhal vēd-śhāstra paṛhtē haĩ , śhiv key|kī pūjā kartē haĩ parantu bāp kahtē haĩ insē kōī mērē kō prāpt nahī̃ kar saktē kyōṅki bhakti hai hī utartī kalā .
14Although people study the Vedas and scriptures and worship Shiva, the Father says: No one can attain Me through any of that, because the path of devotion is the path of descending. 15There is salvation through knowledge.
13Gyān sē sadgati hōtī hai tō jarūr kōī sē utartē bhī hōṅgē .
16Therefore, there must surely also be something through which you descend.
14Yah ēk khēl hai , jiskō kōī bhī jāntē nahī̃ .
17This is a play that no one knows about.
15Śhivliṅg kō jab pūjtē haĩ tō unkō brahm nahī̃ kahē̃gē .
18When they worship a lingam of Shiva, they don’t call that the brahm element.
16Tab kaun hai jiskō pūjtē haĩ .
19So, whom do they worship?
17Unkō bhī īśhvar samajh pūjā kartē haĩ .
20They consider that to be God and worship Him.
18Tum jab pahlē-pahlē bhakti śhurū kartē hō tō śhivliṅg hīrē kā banātē hō .
21When you first began to perform devotion, you created diamond Shivalingams.
19Abhī tō garīb ban gayē haĩ tō patthar kā banātē haĩ .
22Then you became poor and so you made them of stone.
20Hīrē kā liṅg us samay 4-5 hazār kā hōgā .
23The diamond Shivalingams at that time must have been worth 4000 to 5000 rupees.
21Is samay tō unkā dām 5-7 lākh hōgā .
24The present equivalent value must be 500,000 to 700,000 rupees.
22Aisē hīrē abhī muśhkil nikaltē haĩ .
25The diamonds that were used then are now very difficult to find.
23Pattharbuddhi ban gayē haĩ tō pūjā bhī patthar key|kī kartē haĩ , gyān bigar .
26People have stone intellects, so, without having any knowledge they worship stone.
24Jab gyān hai tō tum pūjā nahī̃ kartē hō .
27When you have knowledge you do not worship anyone.
25Chaitanya sammukh mē̃ hai , unkō hī tum yād kartē hō .
28Now you only remember the One who is personally in front of you in the living form.
26Jāntē hō yād sē vikarma vināśh hōṅgē .
29You understand that your sins will be absolved by having remembrance.
27Gīt mē̃ bhī kahtē haĩ - hē bachchō̃ , prāṇī kahā jātā hai ātmā kō .
30In the song, it says: O children! 31Souls are called conscious beings.
28Prāṇ nikal gayā phir jaisē murdā hai .
32Once a living soul leaves his body, there is only a corpse.
29Ātmā nikal jātī hai .
33Souls leave their bodies.
30Ātmā hai avināśhī .
34Souls are imperishable.
31Ātmā jab śharīr mē̃ pravēśh kartī hai tab chaitanya hai .
35When a soul enters a body, that body becomes alive.
32Bāp kahtē haĩ - hē ātmāyē̃ , apnē andar jāñch karō kahā̃ tak daivīguṇō̃ key|kī dhārṇā huī hai ?
36The Father says: O souls, look inside yourselves and see to what extent you have imbibed divine virtues.
33Kōī vikār tō nahī̃ hai ?
37Are there any vices in you?
34Chōrī chakārī ādi kā kōī āsurī guṇ tō nahī̃ hai nā ?
38Do you have any devilish traits of stealing etc?
35Āsurī kartavya karnē sē phir gir paṛē̃gē . 36Itnā darjā nahī̃ pā sakē̃gē .
39By performing devilish acts you fall and you are unable to claim a high status.
37Kharāb ādat kō miṭānā jarūr hai .
40You must definitely finish all your bad habits.
38Dēvtā kabhī kōī par gussā nahī̃ kartē .
41Deities never get angry with anyone.
39Yahā̃ asurō̃ dvārā kitnī mārē̃ khātē haĩ kyōṅki tum daivī sampradāy bantē hō tō māyā kitnī duśhman ban paṛtī hai .
42Here, you experience a lot of beatings from devils. 43Because you are becoming part of the deity community, Maya becomes your enemy.
40Māyā K|kē avguṇ kām kartē haĩ .
44The defects of Maya continue to work.
41Mārnā , taṅg karnā , burā kām karnā yah sab pāp hai .
45To beat someone, to harass someone, to perform bad acts are all sins.
42Tum bachchō̃ kō tō bahut śhuddha rahnā chāhiē .
46You children must remain very clean and pure.
43Chōrī chakārī ādi karnā tō mahān pāp hai .
47To steal etc. is a great sin.
44Bāp sē tum pratigyā kartē āyē hō - bābā mērā tō āp ēk dūsrā na kōī .
48You have been promising the Father: Baba, You alone, and no one else is mine.
45Ham āpkō hī yād karē̃gē .
49I will only remember You.
46Bhakti mārg mē̃ bhal gātē haĩ parantu unkō patā nahī̃ hai ki yād sē kyā hōtā hai .
50Although they sing this on the path of devotion, they don’t know what happens by having remembrance.
47Vah tō bāp kō jāntē hī nahī̃ .
51They don’t know the Father at all.
48Ēk taraph kahtē haĩ nām-rūp sē nyārā hai , dūsrē taraph phir liṅg key|kī pūjā kartē haĩ .
52On the one hand, they say that He is beyond name and form, and, on the other hand, they worship a Shivalingam.
49Tumkō achchhī rīti samajhkar phir samjhānā hai .
53You have to understand this very well and then explain it to others.
50Bāp kahtē haĩ yah bhī judge karō ki mahān ātmā kiskō kahā jāē ?
54The Father says: Now judge for yourself whom you should call a great soul.
51Śhrīkr̥iṣhṇa jō chhōṭā bachchā svarg kā prince hai , vah mahātmā hai yā ājkal K|kē kaliyugī manuṣhya ?
55Is Shri Krishna, who is a small child and a prince of the golden age, a great soul or is an iron-aged person of today a great soul?
52Vah vikār sē paidā nahī̃ hōtā hai nā .
56Krishna is not born through vice.
53Vah hai nirvikārī duniyā . 54Yah hai vikārī duniyā .
57That is the viceless world whereas this is the vicious world.
55Nirvikārī kō bahut title dē saktē haĩ .
58You can give many titles to those who are viceless.
56Vikārī kā kyā title hai ?
59What title can you give to those who are vicious?
57Śhrēṣhṭhāchārī tō ēk bāp hī banātē haĩ .
60Only the one Father can make you elevated.
58Vah hai sabsē ūñch tē ūñch aur sab manuṣhya pārṭdhārī haĩ tō part mē̃ jarūr ānā paṛē .
61He is the Highest on High. 62All human beings are actors. 63Therefore, they definitely have to come to play their parts.
59Satyug hai śhrēṣhṭh manuṣhyō̃ key|kī duniyā .
64The golden age is the world of elevated human beings.
60Jānvar ādi sab śhrēṣhṭh haĩ .
65Even all the animals etc. there are elevated.
61Vahā̃ māyā rāvaṇ hī nahī̃ .
66Maya, Ravan, doesn’t exist there.
62Vahā̃ aisē kōī tamōguṇī jānvar hōtē nahī̃ .
67There aren’t any degraded animals there.
63Tumkō mālūm hai - mōr-ḍēl hai vah vikār sē bachchā paidā nahī̃ kartē .
68You know that peacocks and peahens do not create children through vice.
64Unkō āṅsū girtā hai , usē ḍēl dhāraṇ kartī hai .
69A peacock sheds a tear which the peahen picks up.
65National bird kahtē haĩ .
70The peacock is called the national bird.
66Satyug mē̃ bhī vikār kā nām nahī̃ .
71There is no mention of vice in the golden age.
67Mōr kā paṅkh , pahlā number jō viśhva kā prince hai śhrīkr̥iṣhṇa , unkē māthē mē̃ lagātē haĩ .
72They portray peacock feathers on the head of Shri Krishna, the number one prince of the world.
68Kōī tō rahasya hōgā nā .
73There must be some significance in that.
69Tō yah sab bātē̃ bāp refine kar samjhātē haĩ .
74The Father refines all of these matters and explains them to you.
70Vahā̃ bachchē kaisē paidā hōtē haĩ , vah tō tum jāntē hō .
75You know how children will be born there.
71Vahā̃ vikār hōtē nahī̃ .
76There is no vice there.
72Bāp kahtē haĩ tumkō dēvtā banātē haĩ tō apnī jāñch pūrī karō .
77The Father says: I am making you into deities. 78Therefore, check yourself thoroughly.
73Mēhnat bigar viśhva kā mālik thōṛēhī ban sakē̃gē .
79You cannot become the masters of the world without making effort.
74Jaisē tumhārī ātmā bindī hai vaisē bāp bhī bindī hai .
80You souls are points. 81Similarly, the Father too is a point.
75Ismē̃ mūnjhnē key|kī kōī darkār nahī̃ hai .
82There is no question of being confused about this.
76Kōī kahtē haĩ ham dēkhē̃ .
83Some of you say: We want to see Baba.
77Bāp kahtē haĩ dēkhnē vālō̃ key|kī tō tumnē bahut pūjā kī .
84The Father says: You have been doing a lot of worshipping of the ones you are able to see.
78Phāydā kuchh bhī huā nahī̃ .
85There was no benefit in doing that.
79Ab yathārth rīti maĩ tumkō samjhātā hū̃ .
86I am now explaining everything to you accurately.
80Mērē mē̃ sārā part bharā huā hai .
87I am filled with a whole part.
81Supreme soul hū̃ nā , supreme father .
88I am the Supreme Father, the Supreme Soul.
82Kōī bhī bachchā apnē laukik bāp kō aisē nahī̃ kahē̃gē .
89No child would call his worldly father this.
83Ēk kō hī kahā jātā hai .
90Only the One is called this.
84Sanyāsiyō̃ kō tō bachchē haĩ nahī̃ jō bāp kahē̃ .
91Sannyasis don’t have children who would call them father.
85Yah tō sab ātmāō̃ kā bāp hai , jō varsā dētē haĩ .
92This one is the Father of all souls, the One who gives you your inheritance.
86Unhō̃ kā kōī gr̥ihasth āśhram tō ṭhaharā|ṭhahrā nahī̃ .
93Sannyasis do not follow the family path.
87Bāp baiṭh samjhātē haĩ - tumnē hī 84 janm bhōgē haĩ .
94The Father sits here and explains that you are the ones who have taken 84 births.
88Pahlē-pahlē tum satōpradhān thē phir nīchē utartē āyē hō .
95At first, you were satopradhan and you then started to come down.
89Abhī kōī apnē kō supreme thōṛēhī kahē̃gē , abhī tō nīñch samajhtē haĩ .
96You would not call yourselves supreme now; you consider yourselves to be degraded.
90Bāp bār-bār samjhātē haĩ mūl bāt ki apnē andar dēkhō ki hamārē mē̃ kōī vikār tō nahī̃ haĩ ?
97The Father repeatedly says: The main thing is to check whether you have any vices in you.
91Rāt kō rōz apnā pōtāmēl nikālō .
98Write your chart every night.
92Vyāpārī hamēśhā pōtāmēl nikāltē haĩ .
99Businessmen always keep accounts.
93Government servant pōtāmēl nahī̃ nikāl saktē .
100Government servants can’t keep accounts.
94Unhō̃ kō tō mukarar tankhā miltī hai .
101They get a fixed salary.
95Is gyān mārg mē̃ bhī vyāpārī tīkhē jātē haĩ , paṛhē-likhē āphisarsa itnā nahī̃ .
102Businessmen can go ahead very fast on this path of knowledge. 103Educated officers can’t go ahead as fast.
96Vyāpār mē̃ tō āj 50 kamāyā , kal 60 kamāyēṅgē . 97Kabhī ghāṭā bhī hō jāyēgā .
104In business today they can earn 50 and tomorrow they can earn 60. Sometimes there is a loss.
98Government servant key|kī fix pay hōtī hai .
105The pay of Government servants is fixed.
99Is kamāī mē̃ bhī agar dēhī-abhimānī nahī̃ hōṅgē tō ghāṭā paṛ jāyēgā .
106In this income too, if you are not soul conscious, you experience a loss.
100Mātāyē̃ tō vyāpār kartī nahī̃ .
107You mothers do not do business.
101Unkē liē phir aur hī sahaj hai .
108For them, it is even easier.
102Kanyāō̃ kē liē bhī sahaj hai kyōṅki mātāō̃ kō tō sīṛhī utarnī paṛtī hai .
109It is easy for you kumaris too, because mothers have had to come down the ladder.
103Balihārī unkī jō itnī mēhnat kartī haĩ .
110It is the greatness of those who make so much effort.
104Kanyāyē̃ tō vikār mē̃ gaī hī nahī̃ tō chhōṛē phir kyā .
111You kumaris have not gone into vice, so what do you have to renounce?
105Purūṣhō̃ kō tō mēhnat lagtī hai .
112Men find it difficult.
106Kuṭumb parivār key|kī sambhāl karnī paṛtī hai .
113They have to look after their family and their clan.
107Sīṛhī jō chaṛhī hai vah sārī utarnī paṛtī hai .
114They have to come down the ladder that they have climbed up.
108Ghaṛī-ghaṛī māyā thappaṛ mār girā dētī hai .
115Maya slaps them again and again and makes them fall.
109Abhī tum be|B . K|kē . banē hō .
116You have now become BKs.
110Kumāriyā̃ pavitra hī hōtī haĩ .
117Kumaris are pure.
111Sabsē jāstī hōtā hai pati kā prēm .
118The greatest love a wife has is for her husband.
112Tumhē̃ tō patiyō̃ K|kē pati ( paramātmā ) kō yād karnā hai aur sabkō bhūl jānā hai .
119You have to remember the Husband of all husbands (The Supreme soul) and forget everyone else.
113Mā̃-bāp kā bachchō̃ mē̃ mōh hōtā hai .
120Parents have attachment to their children.
114Bachchē tō haĩ hī anjān .
121Children are ignorant of attachment.
115Śhādī kē bād mōh śhurū hōtā hai .
122Attachment begins after they get married.
116Pahlē strī pyārī lagtī phir vikārō̃ mē̃ ḍhakēlnē key|kī sīṛhī śhurū kar dētē haĩ .
123First they love their wife, and then they start pushing her up the ladder of vice.
117Kumārī nirvikārī hai tō pūjī jātī .
124A kumari is viceless, and so she is worshipped.
118Tumhārā nām hai be|B . K|kē . .
125You are called Brahma Kumaris.
119Tum mahimā lāyak ban phir pūjā lāyak bantē hō .
126You become praiseworthy and you then become worthy of worship.
120Bāp hī tumhārā teacher bhī hai . 121Tō tum bachchō̃ kō naśhā rahnā chāhiē , ham student haĩ .
127The Father is also your Teacher,so you children should have the intoxication of being students.
122Bhagvān jarūr bhagvān-bhagvatī hī banāyēṅgē .
128God will definitely make you into gods and goddesses.
123Sirph samjhāyā jātā hai - bhagvān ēk hai .
129It is explained to you that God is one.
124Bākī sab haĩ bhāī-bhāī . 125Dūsrā kōī connection nahī̃ .
130All others are brothers; there is no other connection.
126Prajāpitā brahmā sē rachnā hōtī hai phir vr̥iddhi hōtī hai .
131Creation is through Prajapita Brahma. 132Then the number grows.
127Ātmāō̃ key|kī vr̥iddhi nahī̃ kahē̃gē .
133It cannot be said that the number of souls grows.
128Vr̥iddhi manuṣhyō̃ key|kī hōtī hai .
134It is the number of human beings that grows.
129Ātmāō̃ kā tō limit number hai .
135There is a limited number of souls. 136Many continue to come.
130Bahut ātē rahtē haĩ . 131Jab tak vahā̃ haĩ , ātē rahē̃gē .
137As long as there are some up there, they will continue to come down.
132Jhāṛ baṛhtā rahēgā .
138The tree continues to grow.
133Aisē nahī̃ ki sūkh jāyēgā .
139It is not going to dry up.
134Inkī bhēṇṭ banyan tree sē kī jātī hai . 135Foundation hai nahī̃ . 136Bākī sārā jhāṛ khaṛā hai .
140This tree is compared to a banyan tree; there is no foundation but the rest of the tree is still standing.
137Tumhārā bhī aisē hai .
141It is the same with you.
138Foundation hai nahī̃ . 139Kuchh na kuchh niśhānī hai .
142There is no foundation but there is still one or another sign of it.
140Abhī tak bhī mandir banātē rahtē haĩ .
143Even now, they continue to build temples.
141Manuṣhyō̃ kō thōṛēhī patā hai ki dēvtāō̃ kā rājya kab thā . 142Phir kahā̃ gayā ?
144Human beings don’t know when the kingdom of deities existed or where it went to?
143Yah knowledge tum brāhmaṇō̃ kō hī hai .
145It is you Brahmins who have this knowledge.
144Manuṣhyō̃ kō yah mālūm nahī̃ ki paramātmā kā svarūp bindī hai .
146Human beings don’t even know that the form of the Supreme Soul is just a point.
145Gītā mē̃ likh diyā hai ki vah akhaṇḍ jyōti svarūp hai .
147It is written in the Gita that His form is that of eternal, unlimited light.
146Āgē bahutō̃ kō sākṣhātkār hōtā thā bhāvnā anusār .
148Previously, many used to have visions according to their devotion.
147Bahut lāl-lāl hō jātē thē .
149They would become very red.
148Bas ham nahī̃ sahan kar saktē .
150They would say: “Enough!
149Ab vah tō sākṣhātkār thā .
151I can’t tolerate any more!”
150Bāp kahtē haĩ sākṣhātkār sē kōī kalyāṇ nahī̃ .
152That was just a vision. 153The Father says: There is no benefit in having visions.
151Yahā̃ tō mukhya hai yād kī yātrā .
154Here, the main thing is the pilgrimage of remembrance.
152Jaisē pārā khisak jātā hai nā . 153Yād bhī ghaṛī-ghaṛī khisak jātī hai .
155Just as mercury slips away, in the same way, remembrance also repeatedly slips away.
154Kitnā chāhtē haĩ bāp kō yād karē̃ phir aur-aur khyāl ā jātē haĩ .
156No matter how much one wants to remember the Father, other thoughts emerge.
155Ismē̃ hī tumhārī race hai .
157It is in this remembrance that you must race.
156Aisē nahī̃ ki phaṭ sē pāp miṭ jāyēṅgē . 157Samay lagtā hai .
158It is not that your sins will be absolved instantly; it does take time.
158Karmātīt avasthā hō jāē tō phir yah śharīr hī na rahē .
159If you reached the karmateet stage now, your body wouldn’t remain.
159Parantu abhī kōī karmātīt avasthā kō nahī̃ pā saktē haĩ .
160However, no one can attain the karmateet stage yet.
160Phir unkō satyugī śharīr chāhiē .
161If you did, you would need a golden-aged body.
161Tō ab tum bachchō̃ kō bāp kō hī yād karnā hai .
162Now, you children must only remember the Father.
162Apnē kō dēkhtē rahō - hamsē kōī burā kām tō nahī̃ hōtā hai ?
163Continue to check yourself: Do I perform any bad acts?
163Pōtāmēl jarūr rakhnā hai .
164You definitely have to keep a chart.
164Aisē vyāpārī jhaṭ sāhūkār ban saktē haĩ .
165Such businessmen can become rich very quickly.
165Bāp kē pās jō knowledge hai vah dē rahē haĩ .
166The Father has knowledge and He is giving it to you.
166Bāp kahtē haĩ mērī ātmā mē̃ yah gyān nūndhā huā hai .
167The Father says: This knowledge is fixed in My soul.
167Hūbahū tum kō vahī bōlē̃gē jō kalp pahlē gyān diyā thā .
168I will only tell you the knowledge I told you a cycle ago, in exactly the same way.
168Bachchō̃ kō hī samjhāyēṅgē , aur kyā jānē̃ .
169I will only explain to you children. 170No one else knows.
169Tum is sr̥iṣhṭi chakra kō jāntē hō , ismē̃ sab actors kā part nūndhā huā hai .
171You know this world cycle. 172The parts that all actors play are fixed.
170Badal sadal nahī̃ saktā . 171Na kōī chhuṭkārā pā saktā .
173There cannot be any changes, nor can anyone become free from playing his part.
172Hā̃ , bākī samay mukti miltī hai .
174Yes, for the rest of the time they receive liberation.
173Tum tō all-round hō . 17484 janma lētē hō .
175You areall-rounders;you take 84 births.
175Bākī sab apnē ghar mē̃ hōṅgē phir pichhāṛī mē̃ āyēṅgē .
176All the rest will stay at home and come down later.
176Mōkṣh chāhnē vālē yahā̃ āyēṅgē nahī̃ .
177Those who want eternal liberation will not come here.
177Vah phir pichhāṛī mē̃ chalē jāyēṅgē .
178They will go back at the end.
178Gyān kabhī sunē̃gē nahī̃ .
179They will not listen to this knowledge.
179Machchharō̃ sadr̥iśhya āyē aur gayē .
180They will come down and go back like mosquitoes.
180Tum tō drama anusār paṛhtē hō .
181You are studying according to the drama.
181Jāntē hō bābā nē 5 hazār varṣh pahlē bhī aisē rājyōg sikhāyā thā .
182You understand that Baba also taught Raj Yoga 5000 years ago.
182Tum phir aurō̃ kō samjhātē hō ki śhivbābā aisē kahtē haĩ .
183You explain to others that it is Shiv Baba who speaks this.
183Abhī tum jāntē hō ham kitnē ūñch thē , ab kitnē nīñch banē haĩ .
184You understand how very elevated you were and how very degraded you have now become.
184Phir bāp ūñch banātē haĩ tō aisē purūṣhārth karnā chāhiē nā .
185The Father is now making you elevated. 186Therefore, you must make effort.
185Yahā̃ tum ātē hō refresh hōnē .
187You come here in order to be refreshed.
186Iskā nām hī paṛā hai madhuban .
188This place is called Madhuban.
187Tumhārē kalkattā vā bāmbē mē̃ thōṛēhī murlī chalātē haĩ .
189Baba does not speak the murli in your Calcutta or Bombay.
188Madhuban mē̃ hī murlī bājē .
190The murli is only played in Madhuban.
189Murlī sunnē kē liē bāp kē pās ānā hōgā refresh hōnē .
191In order to be refreshed, you have to come to the Father to listen to the murli.
190Naī-naī points nikaltī rahtī haĩ .
192Many new points continue to emerge.
191Sammukh sunnē mē̃ tō feel kartē hō , bahut phark rahtā hai .
193You can feel the difference when you listen to the murli directly.
192Āgē chal bahut part dēkhnē haĩ .
194As you go further, you will see many parts.
193Bābā pahlē-pahlē sab sunā dē tō taste nikal jāē .
195If Baba were to tell you everything in advance, all the taste would be lost.
194Āhistē-āhistē emerge hōtā jātā hai .
196Everything emerges gradually.
195Ēk second na milē dūsrē sē .
197One second is not the same as the next.
196Bāp āyē haĩ rūhānī sēvā karnē tō bachchō̃ kā bhī farj hai rūhānī sēvā karnā .
198The Father has come to do spiritual service. 199Therefore, it is also the duty of you children to do spiritual service.
197Kam sē kam yah tō batāō - bāp kō yād karō aur pavitra banō .
200At least tell everyone to remember the Father and to become pure!
198Pavitratā mē̃ hī fail hōtē haĩ kyōṅki yād nahī̃ kartē haĩ .
201It is in purity that they fail because they don’t have remembrance.
199Tum bachchō̃ kō bahut khuśhī hōnī chāhiē .
202You children should have a great deal of happiness.
200Ham bēhad K|kē bāp K|kē sammukh baiṭhē haĩ jiskō kōī bhī nahī̃ jāntē haĩ .
203You are sitting personally in front of the unlimited Father whom no one knows.
201Gyān kā sāgar vah śhivbābā hī hai .
204Only Shiv Baba is the Ocean of Knowledge.
202Dēhdhārī sē buddhi yōg nikāl dēnā chāhiē .
205Remove your intellects from bodily beings.
203Śhivbābā kā yah rath hai .
206This is Shiv Baba’s chariot.
204Inkā regard nahī̃ rakhē̃gē tō dharmarāj dvārā bahut ḍanḍē khānē paṛē̃gē .
207If you do not have regard for him, you will have to endure great punishment from Dharamraj.
205Baṛō̃ kā regard tō rakhnā hai nā .
208You have to have regard for the seniors.
206Ādi dēv kā kitnā regard rakhtē haĩ .
209There is so much regard for Adi Dev.
207Jaṛ chitra kā itnā regard hai tō chaitanya kā kitnā rakhnā chāhiē .
210Since there is so much regard for non-living idols, how much regard should there be for the living ones?
208Achchhā !
211Achcha.
209Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .
212To the sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love remembrance and Good morning from the Mother, the Father, BapDada.
210Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .
213The spiritual Father says namaste to the spiritual children.
Essence for dharna
211Dhārṇā kē liē mukhya sār :
214Essence for dharna:
2121 ) andar mē̃ apnī jāñch kar daivīguṇ dhāraṇ karnē haĩ .
215 1. Check yourself and imbibe divine virtues.
213Kharāb ādatō̃ kō nikālnā hai .
216Remove all bad habits.
214Pratigyā karnī hai - bābā ham kabhī bhī burā kām nahī̃ karē̃gē .
217Promise Baba: Baba, I will never perform any bad act.
2152 ) karmātīt avasthā kō prāpt karnē kē liē yād kī race karnī hai .
218 2. In order to attain the karmateet stage, race in remembrance.
216Rūhānī sēvā mē̃ tatpar rahnā hai .
219Remain present on spiritual service.
217Baṛō̃ kā regard rakhnā hai .
220Have regard for your seniors.
Blessing
218Vardān : sarv khajānō̃ kō sva kē prati aur aurō̃ kē prati use karnē vālē akhaṇḍ mahādānī bhav
221Blessing: May you be a constantly great donor and use all your treasures for yourself and others.
219Jaisē bāp kā bhaṇḍārā sadā chaltā rahtā hai , rōz dētē haĩ aisē āpkā bhī akhaṇḍ laṅgar chaltā rahē kyōṅki āpkē pās|pass gyān kā , śhaktiyō̃ kā , khuśhiyō̃ kā bharpūr bhaṇḍārā hai .
222 The Father’s bhandara (kitchen, treasure-store) functions every day, and He distributes every day. 223In the same way, may you continue to give constantly because you have overflowing treasures of knowledge, powers and happiness.
220Isē sāth mē̃ rakhnē vā use karnē mē̃ kōī bhī khatrā nahī̃ hai .
224There is no danger in keeping these with you and using them.
221Yah bhaṇḍārā khulā hōgā tō chōr nahī̃ āyēgā .
225When this treasure-store is open, thieves will not come.
222Band rakhē̃gē tō chōr ā jāyēṅgē isliē rōz apnē milē huē khajānō̃ kō dēkhō aur sva kē prati aur aurō̃ kē prati use karō tō akhaṇḍ mahādānī ban jāyēṅgē .
226If you keep it closed, thieves will come, and so look again and again at the treasures you have received and use them for yourself and others and you will become a constantly great donor.
Slogan
223Slōgan : sunē huē kō manan karō , manan karnē sē hī śhaktiśhālī banē̃gē .
227Slogan: Churn whatever you have heard, because it is only by churning that you will become powerful.
228*** Om Shanti ***