सोमवार 21 जून 2021 की दैनिक मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
ध्यान दें: वाक्यों का संरेखण अक्षरों की संख्या पर आधारित है और पूरी तरह विश्वसनीय नहीं है।
आप पूरी मुरली या उसके किसी भाग का वाक्य संरेखण स्वयं सुधार सकते हैं।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
021-06-2021 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban
0 21/06/21 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban
Essence
1 « mīṭhē bachchē - pāvan bannē kā ēkamātra upāya hai - bāp kī yād , yād kī mēhnat hī ant mē̃ kām āyēgī ' '
1Essence: Sweet children, there is just one way to become pure – have remembrance of the Father. 2Only the effort of having remembrance will be useful at the end.
Question
2Praśhna : saṅgam par kaun sā tilak dō tō svarg kī rājāī kā tilak mil jāyēgā ?
3Question: What tilak should you apply at the confluence age so that you receive the tilak of the kingdom in the golden age?
Answer
3Uttar : saṅgam par yahī tilak dō ki ham ātmā bindī haĩ , ham śharīr nahī̃ . 4Andar mē̃ yahī ghōṭtē rahō ki ham ātmā haĩ , hamē̃ bāp sē varsā lēnā hai .
4Answer: At the confluence age, apply the tilak of being a soul, a point, and not a body. 5Continue to make it firm within yourself that you are a soul and that you have to claim your inheritance from the Father.
5Bābā bhī bindī hai , ham bhī bindī haĩ .
6“Baba is a point and I am also a point”.
6Is tilak sē svarg kī rājāī kā tilak prāpt hōgā .
7With this tilak you will attain the tilak of the kingdom of heaven.
7Bābā kahtē haĩ maĩ guarantee kartā hū̃ - tum yād karō tō ādhākalp kē liē rōnē sē chhūṭ jāyēṅgē .
8Baba says: If you remember Me, I guarantee that you will be saved from crying for half the cycle.
Murli
8Ōm śhānti .
9Om shanti.
9Yah phurnā chāhiē ki mujh ātmā kō bāp kō jarūr yād karnā hai tab pāvan ban saktē haĩ .
10You need to have this concern: I, the soul, definitely need to remember the Father, because only then can I become pure.
10Mēhnat jō kuchh hai , vah yahī hai , jō mēhnat bachchō̃ sē pahũchtī nahī̃ hai .
11All the effort is required just for this. 12However, you children are unable to make this effort.
11Māyā bahut hairān kartī hai . 12Ēk bāp kī yād bhulā dētī hai , dūsrē key|kī yād ā jātī hai .
13Maya troubles you a lot; she makes you forget to have remembrance of the one Father because there is remembrance of other beings.
13Bāp athavā sājan kō yād nahī̃ kartē haĩ .
14You then don’t remember the Father or the Bridegroom.
14Aisē sājan kō tō kam sē kam 8 ghaṇṭā yād karnē key|kī service dēnī hai arthāt sājan kō madad dēnī hai - yād karnē key|kī . 15Athavā bachchō̃ kō bāp kō yād karnā chāhiē - yah hai bahut baṛī mēhnat .
15You have to do the service of remembering such a Bridegroom for a minimum of eight hours; you have to give your Bridegroom help by remembering Him, that is, you children should remember the Father. 16This endeavour is very great.
16Gītā mē̃ bhī hai manmanābhav .
17The term “Manmanabhav” is mentioned in the Gita.
17Bāp kō yād kartē rahō . 18Uṭhtē-baiṭhtē , chaltē-phirtē ēk bāp kō hī yād kartē rahō aur kuchh nahī̃ .
18Continue to remember the Father; continue to remember the one Father while walking and moving around. 19There is nothing else you have to do.
19Pichhāṛī kō yah yād hī kām āyēgī .
20At the end, it is this remembrance that will be useful.
20Apnē kō ātmā aśharīrī samjhō , ab hamkō vāpis jānā hai .
21Consider yourself to be a bodiless soul who now has to return home.
21Yah mēhnat bahut karnī hai .
22You have to make a great deal of this effort.
22Savērē snān ādi karkē phir ēkānt mē̃ ūpar chhat par vā hall|hāl mē̃ ākar baiṭh jāō .
23In the morning, after bathing etc., come and sit in solitude on the roof terrace or in the hall.
23Jitnā ēkānt hō utnā achchhā hai .
24The more solitude there is, the better.
24Hamēśhā yahī khyāl karō ki hamkō bāp kō yād karnā hai .
25Always think that you have to remember the Father.
25Bāp sē pūrā varsā lēnā hai .
26You have to claim your full inheritance from the Father.
26Yah mēhnat her|har 5 hajār varṣh bād tumkō karnī paṛtī hai .
27You have to make this effort every 5000 years.
27Satyug , trētā , dvāpar , kaliyug - kahā̃ bhī tumkō yah mēhnat nahī̃ karnī paṛēgī .
28You will not have to make this effort in the golden, silver, copper and iron ages.
28Is saṅgam par hī tumkō bāp kahtē haĩ ki mujhē yād karō , bas .
29It is only at the confluence age that the Father tells you: Remember Me!
29Yahī vēlā hai jab bāp kahtē haĩ mujhē yād karō .
30That is all. 31This is the time when the Father says: Remember Me!
30Bāp ātē bhī saṅgam par haĩ aur kabhī bāp ātē hī nahī̃ .
32The Father only comes at the confluence age. 33He doesn’t come at any other time.
31Tum bhī number-vār purūṣhārth anusār jāntē hō .
34You also know this, numberwise, according to the efforts you make.
32Bahut bachchē bāp kō bhūl jātē haĩ isliē bahut dhōkhā khātē haĩ , rāvaṇ bahut dhōkhēbāj hai .
35Many children forget the Father and this is why they are deceived a great deal. 36Ravan is very deceitful.
33Ādhākalp kā yahī duśhman hai isliē bāp kahtē haĩ rōz savērē uṭhkar yah vichār sāgar manthan karō aur yahī chart rakhō - kitnā samay hamnē bāp kō yād kiyā ! 34Kitnī junk utarī hōgī !
37He is your enemy for half the cycle. 38This is why the Father says: Wake up early every morning and churn this ocean of knowledge and keep your chart of how long you remembered the Father and how much rust would have been removed.
35Sārā madār yād kē ūpar hai .
39Everything depends on remembrance.
36Bachchō̃ kō pūrī kōśhiśh karnī hai , apnā pūrā varsā pānē liē .
40You children have to try very hard to claim your full inheritance.
37Nar sē nārāyaṇ bannā hai .
41You have to become Narayan from ordinary humans.
38Yah hai sachchī satya nārāyaṇ kī kathā .
42This is the story of the true Narayan.
39Bhakta lōg pūrṇmāsī K|kē din satya nārāyaṇ kī kathā kartē haĩ .
43Devotees have a gathering on the day of the full moon when they relate the story of the true Narayan.
40Abhī tum jāntē hō 16 kalā sampūrṇ bannā hai .
44You now know that you have to become sixteen celestial degrees full.
41Vah banē̃gē satya bāp kō yād karnē sē .
45You can only become that by having remembrance of the true Father.
42Bāp hai śhrīmat dēnē vālā .
46The Father is the One who gives you shrimat.
43Bāp kahtē haĩ gr̥ihastha mē̃ rahō , dhandhā-dhōrī ādi kuchh bhī karō . 44Bāp kō yād jarūr karnā hai aur pāvan bannā hai .
47The Father says: You may live at home and do your business etc. but you definitely have to remember the Father and become pure; that is all!
45Bas . 46Yād nahī̃ karē̃gē tō rāvaṇ sē kahā̃ na kahā̃ dhōkhā khātē rahē̃gē isliē mūl bāt samjhātē haĩ yād kī .
48If you don’t remember the Father, you are deceived by Ravan in one way or another. 49This is why the main thing of remembrance is explained to you.
47Śhivbābā kō yād karnā hai .
50You have to remember Shiv Baba.
48Dēh sahit dēh K|kē jō bhī sambandhī haĩ unkō bhūl apnē kō ātmā niśhchay karō .
51Forget all your bodily relations, including your bodies, and have the faith that each of you is a soul.
49Bāp bār-bār samjhātē haĩ - apnē kō ātmā samajh bāp kō yād karnā hai .
52The Father repeatedly tells you: Consider yourselves to be souls and remember the Father.
50Nahī̃ tō phir ant mē̃ bahut-bahut pachhatāyēṅgē . 51Bahut dhōkhā khāyēṅgē .
53Otherwise, you will be deceived a great deal and there will have to be a lot of repentance at the end.
52Kōī aisā jōr sē thappaṛ lagēgā jō māyā ēkdam kālā mũh karā dēgī .
54You will be slapped so hard that Maya will make your faces completely ugly.
53Bāp āyē haĩ gōrā mũh banānē .
55The Father has come to make your faces beautiful.
54Is samay sab ēk dō kā kālā mũh kartē rahtē haĩ .
56At this time, everyone continues to make each other’s face ugly.
55Gōrā banānē vālā ēk hī bāp hai , jiskī yād sē tum gōrē svarg K|kē mālik banē̃gē .
57It is only the one Father who can make you beautiful and it is by remembering Him that you will become the beautiful masters of heaven.
56Yah hai hī patit duniyā .
58This is the impure world.
57Bāp ātē hī haĩ patitō̃ kō pāvan banānē .
59The Father comes to make the impure ones pure.
58Bākī tumhārē dhandhē-dhōrī ādi sē bābā kā kōī sambandh nahī̃ hai .
60Baba has no connection with your business etc.
59Śharīr nirvāh arth|earth tumkō jō karnā hai sō karō .
61You can continue with whatever you need to do for the livelihood of your body.
60Bāp tō sirph kahtē haĩ manmanābhav .
62The Father simply says: Manmanabhav!
61Tum kahtē bhī hō ham kaisē pāvan duniyā kā mālik banē̃ .
63You ask how you can become the masters of the pure world.
62Bāp kahtē haĩ sirph mujhē yād karō .
64The Father says: Simply remember Me!
63Bas .
65That is all.
64Aur kōī upāya pāvan bannē kā hai nahī̃ .
66There is no other way to become pure.
65Kitnā bhī dān-puṇya ādi karē̃ , kitnī bhī mēhnat karē̃ . 66Chāhē āg sē ātē jātē rahē̃ , kuchh bhī kām nahī̃ ā saktā - sivāē ēk bāp kī yād K|kē .
67No matter how much they donate or how much charity they perform or how much effort they make even to walk on fire etc., nothing except having remembrance of the Father will be useful.
67Bahut simple bāt hai , iskō kahā jātā hai - sahaj yōg .
68This is a very simple thing; it is called easy yoga.
68Apnē sē pūchhō ham apnē mīṭhē-mīṭhē bāp kō sārē din mē̃ kitnā yād kartē haĩ !
69Ask yourself for how long you remember your sweet Father throughout the whole day.
69Nīnd mē̃ tō kōī pāp nahī̃ hōtē haĩ . 70Aśharīrī hō jātē haĩ .
70No sins are committed when you are asleep; you become bodiless at that time.
71Bākī din mē̃ bahut pāp hōtē rahtē haĩ aur purānē pāp bhī bahut haĩ .
71However, throughout the day, a lot of sins are committed and there are still the sins of the past.
72Mēhnat karnī hai yād kī .
72You have to make effort to have remembrance.
73Yahā̃ ātē hō tō yah mēhnat karnī hai .
73You have come here and so you have to make this effort.
74Bāhar K|kē vāhyāt saṅkalpō̃ kō uṛā dō .
74Finish all the wasteful thoughts of everything outside.
75Nahī̃ tō vāyumaṇḍal baṛā kharāb kar dētē haĩ .
75Otherwise, it will spoil the atmosphere very much.
76Ghar K|kē , khētī-bāṛī K|kē khyālāt chaltē rahtē haĩ .
76Sometimes, you continue to have thoughts of your home or farm etc.
77Kabhī bachchē yād paṛē̃gē , kabhī gurū kī yād āyēgī .
77Sometimes, you remember your children and sometimes, your guru.
78Saṅkalp chaltē rahē̃gē tō vāyumaṇḍal kō kharāb kar dēgē .
78If you continue to have these thoughts, you spoil the atmosphere.
79Mēhnat nahī̃ karnē vālē vighna ḍāltē haĩ .
79Those who don’t make effort continue to create obstacles.
80Yah itnī mahīn bātē̃ haĩ .
80These are such subtle matters.
81Tum bhī abhī jāntē hō - phir kabhī nahī̃ jānē̃gē .
81Only at this time, and at no other time, do you know this.
82Bāp abhī hī varsā dētē haĩ phir ādhākalp kē liē niśhchint hō jātē haĩ .
82Only at this time does the Father give you the inheritance and He then becomes carefree for half the cycle.
83Laukik bāp K|kē phurnē ( khyālāt ) aur bēhad bāp K|kē phurnē mē̃ kitnā antar hai .
83There is so much difference between the concerns of your worldly fathers and those of the unlimited Father.
84Bāp kahtē haĩ ki bhakti mārg mē̃ mujhē kitnā phurnā rahtā hai .
84The Father says: I have so many concerns on the path of devotion.
85Bhagat kitnā ghaṛī-ghaṛī yād kartē haĩ .
85The devotees remember Me so much again and again.
86Satyug mē̃ kōī bhī yād nahī̃ kartē .
86No one remembers Me in the golden age.
87Bāp kahtē haĩ ki tumkō itnā sukh dētā hū̃ jō tumkō mujhē vahā̃ yād karnē key|kī darkār hī nahī̃ rahēgī .
87The Father says: I give you so much happiness that you don’t need to remember Me there.
88Ham jāntē haĩ hamārē bachchē sukhdhām , śhāntidhām mē̃ baiṭhē haĩ .
88At that time, I know My children are sitting in the land of peace or the land of happiness.
89Dūsrā kōī manuṣhya samajh na sakē .
89No other human beings can understand this.
90Aisē bāp mē̃ niśhchaybuddhi hōnē mē̃ māyā vighna ḍāltī hai .
90Maya causes obstacles in their intellects to having faith in such a Father.
91Bāp kahtē haĩ ki sirph mujhē yād karō tō tumhārē mē̃ jō alloy paṛ gaī hai , chāndī , tāmbā , lōhā … vah nikal jāyēgī .
91The Father says: Simply remember Me and the alloys of silver, copper and iron that are mixed in you will be removed.
92Golden age sē silver mē̃ ānē sē bhī dō kalā kam hōtī haĩ .
92As you go from the golden age to the silver age, there are two degrees less.
93Yah bātē̃ tum suntē aur samajhtē hō .
93You listen to and understand these things.
94Jō sachchā brāhmaṇ hōgā unkō achchhī rīti buddhi mē̃ baiṭhēgā , nahī̃ tō baiṭhēgā nahī̃ .
94These things will sit very clearly in the intellects of those who are true Brahmins. 95Otherwise, they won’t sit in their intellects.
95Yād ṭikēgī nahī̃ .
96They won’t be able to stay in remembrance.
96Sārā madār bāp kō yād karnē par hai .
97Everything depends on remembering the Father.
97Bār-bār kahtē haĩ bachchē bāp kō yād karō .
98He repeatedly says: Children, remember the Father!
98Yah bābā bhī kahē̃gē śhivbābā kō yād karō .
99This Baba also says: Remember Shiv Baba!
99Śhivbābā khud bhī kahē̃gē mujh bāp kō yād karō .
100Shiv Baba Himself says: Remember Me, the Father!
100Ātmāō̃ kō kahtē haĩ hē bachchō̃ .
101He calls you souls: O children!
101Vah nirākār paramātmā bhī ātmāō̃ kō kahē̃gē .
102The incorporeal Supreme Soul speaks to souls.
102Mūl bāt hī yah hai .
103This is the main thing.
103Kōī bhī āyē tō unkō pahlē-pahlē bōlō ki alpha kō yād karō aur kōī tīk-tīk nahī̃ karnī hai .
104First of all, tell anyone who comes to remember Alpha. 105You don’t need to go on and on about anything else.
104Sirph bōlō - apnē kō ātmā samajh bāp kō yād karō .
106Simply tell them: Consider yourselves to be souls and remember the Father!
105Yahī andar ghōṭnā hai .
107Continue to make this firm in yourself: I am a soul.
106Ham ātmā haĩ , gātē bhī haĩ nā tulsīdās chandan ghisē , tilak dēt raghuvīr . . . tilak kōī sthūl thōṛēhī hai .
108It is remembered that Tulsidas rubbed sandalwood to form a paste and Raghuvir gave the tilak (of that paste). 109However, it is not a question of a physical tilak.
107Tum samajhtē hō ki tilak vāstav mē̃ is samay kā yādgār hai .
110You understand that the tilak is in fact a memorial of this time.
108Tum yād kartē rahtē hō gōyā rājāī kā tilak dētē hō .
111You continue to stay in remembrance, that is, you are given the tilak of the kingdom.
109Tumkō rājāī kā tilak milēgā , double sirtāj banē̃gē .
112You will receive the tilak of the kingdom and become double crowned.
110Rājāī kā tilak milēgā arthāt svarg K|kē mahārājā , mahārānī banē̃gē .
113You will receive the tilak of the kingdom, that is, you will become emperors and empresses of heaven.
111Bāp kitnā sahaj batātē haĩ .
114The Father explains everything to you so easily.
112Bas sirph yah yād karō - ham ātmā haĩ , śharīr nahī̃ .
115Simply remember you are souls and not bodies.
113Hamkō bāp sē varsā lēnā hai .
116You have to receive your inheritance from the Father.
114Tum jāntē hō ham ātmā bindī misal haĩ , bābā bhī bindī hai .
117You souls know you are points and that Baba is also a point.
115Bābā gyān kā sāgar , sukh kā sāgar hai .
118Baba is the Ocean of Knowledge and the Ocean of Happiness.
116Vah hamkō vardān dētē haĩ .
119He gives us blessings.
117Inkē bājū mē̃ ākar baiṭhtē haĩ .
120He comes and sits next to this one.
118Gurū apnē śhiṣhya kō bājū mē̃ biṭhāē sikhātē haĩ .
121A guru seats his disciple next to him and teaches him.
119Yah bhī bājū mē̃ baiṭhē haĩ .
122This one is also sitting next to Him.
120Bachchō̃ kō sirph kahtē haĩ apnē kō ātmā samjhō , māmēkam yād karō .
123He simply tells you children: Consider yourselves to be souls and constantly remember Me alone!
121Satyug mē̃ bhī tum apnē kō ātmā samajhtē hō , parantu bāp kō nahī̃ jāntē hō .
124You consider yourselves to be souls in the golden age, but you don’t know the Father.
122Ham ātmā śharīr chhōṛtē haĩ phir dūsrā lēnā hai .
125I, the soul, shed a body and take another.
123Drama anusār tumhārā part hī aisā hai isliē tumhārī āyu vahā̃ baṛī rahtī hai , pavitra rahtē hō .
126According to the drama, such are your parts. 127This is why your lifespans there remain long; you remain pure there.
124Satyug mē̃ āyu baṛī rahtī hai , kaliyug mē̃ chhōṭī hō jātī hai .
128In the golden age your lifespans are long whereas in the iron age they are short.
125Vahā̃ haĩ yōgī , yahā̃ haĩ bhōgī .
129There, you are yogis whereas here, you are bhogis (indulge in vice).
126Pavitra hōtē haĩ yōgī .
130Yogis are pure.
127Vahā̃ rāvaṇ rājya hī nahī̃ hai . 128Āyu baṛī rahtī hai .
131There is no kingdom of Ravan there, so lifespans are long.
129Yahā̃ āyu kitnī chhōṭī hōtī hai , iskō karma bhōg kahā jātā hai .
132Here, lifespans are so short! 133This is called the suffering of karma.
130Vahā̃ akālē mr̥iityu kabhī hōtā nahī̃ .
134There is never any untimely death there.
131Tō bāp kahtē haĩ ki bāp kō pahchānā hai tō śhrīmat par chalō .
135The Father says: You have recognised the Father and so you have to follow shrimat.
132Ēk bāp kō yād karō .
136Remember the one Father.
133Apnē kō ātmā samjhō .
137Consider yourself to be a soul!
134Hamkō ab jānā hai , yah śharīr chhōṛnā hai .
138I now have to return home and so I have to shed this body.
135Bākī time service mē̃ lagānā hai .
139Use the rest of your time for doing service.
136Tum bachchē bahut garīb hō isliē bāp kō taras paṛtā hai .
140You children are very poor and this is why the Father feels mercy.
137Tum buṛhiyō̃ , kubjāō̃ ādi kō kōī taklīph nahī̃ dētē haĩ .
141He doesn’t give any difficulty to you old mothers and the hunchbacked.
138Buṛhī kō kubjā kahā jātā hai .
142Those who are old are called hunchbacked.
139Buṛhiyō̃ kō samjhāyā jātā hai - bāp kō yād karō .
143It is explained to the old mothers: Remember the Father!
140Tumsē kōī pūchhē kahā̃ jātī hō ? 141Bōlō , gītā pāṭhśhālā mē̃ jātē haĩ .
144When someone asks you where you are going, tell him that you are going to a Gita Pathshala.
142Yahā̃ tō vah kr̥iṣhṇa key|kī ātmā 84 janma lē abhī bāp sē gyān lē rahī hai .
145The Krishna soul takes 84 births and is now here taking knowledge from the Father.
143Bachchē pradarśhanī ādi par kitnā kharchā kartē haĩ , likhtē bhī haĩ phalānā achchhā prabhāvit huā . 144Parantu bābā kahtē haĩ ēk bhī aisē nahī̃ likhtā ki barōbar is samay bēhad kā bāp is brahmā tan mē̃ āyā huā hai , ussē hī svarg kā varsā mil saktā hai .
146Some children spend so much on exhibitions etc. 147They even write that so-and-so was very impressed, but Baba says: None of them writes to say that the unlimited Father truly has come into the body of Brahma at this time and that it is only from Him that you can receive the inheritance of heaven.
145Bābā samajh jātē haĩ ki ēk kō bhī niśhchay nahī̃ huā hai .
148Baba then understands that not a single one has had that faith.
146Sirph prabhāvit hōtē haĩ , yah gyān bahut achchhā hai . 147Sīṛhī ṭhīk rīti sē dikhāī hai . 148Parantu khud yōg mē̃ rah tamōpradhān sē satōpradhān banē̃ , vah nahī̃ kartē .
149They simply become impressed that this knowledge is very good and you have explained the picture of the ladder very well, but they themselves don’t stay in yoga and become satopradhan from tamopradhan.
149Sirph kahtē haĩ - samjhānī bahut achchhī hai , paramātmā sē varsā pānē key|kī .
150They simply say that the explanation you give of receiving the inheritance from God is very good, but they themselves don’t want to receive it.
150Parantu khud pāyē̃ , vah nahī̃ .
151They don’t make any effort at all.
151Kuchh bhī puruṣhārth nahī̃ kartē haĩ , prajā ḍhēr banēgī .
152Many subjects will be created, but it takes effort to become a king.
152Bākī rājā banē̃ vah mēhnat hai . 153Har ēk apnī dil sē pūchhē ki ham kahā̃ tak bāp kī yād mē̃ harṣhit rahtē haĩ ?
153Each of you can ask your own heart: To what extent do I stay in remembrance of the Father and remain cheerful?
154Ham phir sē sō dēvtā bantē haĩ .
154We are once again becoming deities.
155Aisē-aisē apnē sāth ēkānt mē̃ baiṭh bātē̃ karō , try karkē dēkhō .
155Sit in solitude and talk to yourself. 156Try this for yourself.
156Bāp kō yād kartē rahō tō bāp guarantee dētē haĩ - tum ādhākalp kabhī rōyēṅgē nahī̃ .
157Continue to remember the Father because He guarantees that you will never cry for half the cycle.
157Abhī tum kahtē hō bābā ākar hamkō rāvaṇ māyā par jīt pahnātē haĩ .
158You now say Baba comes and enables you to conquer Maya, Ravan.
158Jō jitnī mēhnat kartē haĩ , apnē liē hī kartē haĩ .
159Whatever effort each of you makes, you do it for yourself.
159Phir tum āyēṅgē naī duniyā mē̃ .
160You will then go to the new world.
160Purānī duniyā kā hisāb-kitāb bhī chuktū karnā hai jabki tumkō tamōpradhān sē satōpradhān bannā hai .
161Since you have to become satopradhan from tamopradhan, the karmic accounts of the old world have to be settled.
161Pāvan bannē key|kī yukti bhī batātē haĩ .
162He also shows you the way to become pure.
162Yah hai kayāmat kā samay , sabkā vināśh hōnā hai .
163This is the time of settlement and everything has to be destroyed.
163Naī duniyā kī sthāpanā hōnī hai .
164The new world is to be established.
164Tum jāntē hō ham is mr̥ityulōk mē̃ yah śharīr chhōṛ phir naī duniyā amarlōk mē̃ āyēṅgē .
165You know that you will shed your bodies in the land of death and then go to the new world of immortality.
165Ham paṛhtē hī haĩ naī duniyā kē liē aur kōī aisī pāṭhśhālā nahī̃ , jahā̃ bhaviṣhya kē liē paṛhātē hō .
166We are studying for the new world. 167There is no other study place like this one where they teach for the future.
166Hā̃ , jō bahut dān-puṇya kartē haĩ tō rājā kē pās janma lētē haĩ .
168Yes, those who donate a lot and perform a lot of charity take birth to a king.
167Golden spoon in mouth kahā jātā hai .
169There is a saying: “A golden spoon in the mouth.”
168Satyug mē̃ tumkō miltā hai , kaliyug mē̃ bhī jō rājāō̃ kē pās janma lētē haĩ unkō bhī miltā hai phir bhī yahā̃ tō anēk prakār K|kē duḥkh rahtē haĩ .
170You receive that in the golden age. 171Even in the iron age, those who take birth to kings also receive it. 172Nevertheless, there are many types of sorrow here.
169Tumkō tō bhaviṣhya 21 janm kē liē kōī duḥkh nahī̃ hōgā .
173You will not have any sorrow for your future 21 births.
170Kabhī bīmār nahī̃ paṛē̃gē , golden spoon in svarg .
174You will never fall ill. 175You will have a golden spoon in heaven.
171Yahā̃ hai alpkāl kē liē rājāī .
176Here, people have a kingdom for a temporary period.
172Tumhārī hai 21 janm kē liē .
177You receive it for 21 births.
173Buddhi sē achchhī rīti kām lēnā hai , phir samjhānā hai .
178You have to use your intellects very well about all of these things and then explain them to others.
174Aisē nahī̃ ki bhakti mārg mē̃ rājā nahī̃ ban saktē haĩ .
179It isn’t that you can’t become kings on the path of devotion.
175Kōī college athavā hospital banātē haĩ tō unkō bhī ēvajā miltā hai .
180When someone builds a college or a hospital, he receives the return of that.
176Hospital banātē haĩ tō dūsrē janm mē̃ achchhī tandarūstī rahēgī .
181If he opens a hospital, he receives good health in his next birth.
177Kahtē haĩ nā - inkō sārī āyu mē̃ bukhār bhī nahī̃ huā .
182They say: Throughout his whole life, this one hasn’t even had a fever.
178Baṛī āyu hōtī hai .
183They have long lifespans.
179Bahut dān ādi kiyā hai , hospital ādi banātē haĩ tab āyu baṛhtī hai .
184When someone has donated a lot and opened a hospital etc. his lifespan increases.
180Yahā̃ tō yōg sē tum everhealthy-wealthy bantē hō . 181Yōg sē tum 21 janm kē liē śhaphā pātē hō .
185Here, you become ever healthy and wealthy by having yoga; by having yoga you receive good health for 21 births.
182Yah tō bahut baṛī hospital , bahut baṛī college hai .
186This is a very big hospital and a big college.
183Bāp her|har bāt achchhī rīti samjhātē haĩ .
187The Father explains everything very clearly.
184Bāp kahtē haĩ jiskō jahā̃ mazā āyē , jahā̃ dil lagē , vahā̃ jākar paṛhāī paṛh saktē haĩ .
188The Father says: Any of you can go and study wherever your heart likes and at whatever centre you enjoy.
185Aisē nahī̃ ki hamārē centre par āyē̃ , inkē pās|pass kyō̃ jātē haĩ .
189No one should say: You should only come to our centre. 190Why are you going to that centre?
186Nahī̃ , jiskō jahā̃ chāhiē vahā̃ jāyē .
191No; any of you can go to any centre you want.
187Bāt tō ēk hī hai . 188Murlī tō paṛhkar sunātē haĩ .
192It is the same thing; it is the same murli that is read everywhere.
189Vah murlī yahā̃ sē jātī hai phir kōī vistār sē achchhā samjhātē haĩ , kōī sirph paṛhkar sunātē haĩ .
193This murli is sent from here (Madhuban) and then some read it very well with explanation, whereas others simply read it straight.
190Bhāṣhaṇ karnē vālē achchhī lalkār kartē hōṅgē .
194Those who give lectures issue very good challenges.
191Kahā̃ bhī bhāṣhaṇ hō - pahlē-pahlē batāō śhivbābā kahtē haĩ apnē kō ātmā samajh mujh bāp kō yād karō tō tumhārē vikarma vināśh hōṅgē aur pāvan ban pāvan duniyā kā mālik banē̃gē .
195Wherever there is a lecture, first of all, tell them: Shiv Baba says: Consider yourselves to be souls and remember Me, your Father, and your sins will be absolved and you will become pure and the masters of the pure world.
192Kitnā sahaj samjhātē haĩ .
196He explains to you so easily!
193Achchhā !
197Achcha.
194Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .
198To the sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.
195Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .
199The spiritual Father says namaste to the spiritual children.
Essence for dharna
196Dhārṇā kē liē mukhya sār :
200Essence for dharna:
1971 ) bāhar K|kē vāhyāt ( vyarth ) khyālātō̃ kō chhōṛ ēkānt mē̃ baiṭh yād kī mēhnat karnī hai .
201 1. Let go of wasteful thoughts of external things. 202Sit in solitude and make effort to remember the Father.
198Savērē-savērē uṭhkar vichār sāgar manthan karnā aur apnā chart dēkhnā hai .
203Wake up early in the morning and churn the ocean of knowledge and also look at your chart.
1992 ) jaisē bhakti mē̃ dān-puṇya kā mahatva hai , aisē gyān mārg mē̃ yād kā mahatva hai .
204 2. Just as donations and charity are important on the path of devotion, so remembrance is important on the path of knowledge.
200Yād sē ātmā kō everhealthy-wealthy banānā hai .
205Make your soul ever healthy and wealthy with remembrance.
201Aśharīrī rahnē kā abhyās karnā hai .
206Practise remaining bodiless.
Blessing
202Vardān : vāchā dvārā gyān ratnō̃ kā dān karnē vālē master knowledgeful bhav
207Blessing: May you be master knowledge-full and donate jewels of knowledge with your words.
203Jō vāchā dvārā gyān ratnō̃ kā dān kartē haĩ unhē̃ master knowledgeful kā vardān prāpt hōtā hai .
208 Those who donate jewels of knowledge with their words receive the blessing of being master knowledge-full.
204Unkē ēk-ēk śhabda key|kī bahut value hōtī hai .
209Each and every word of theirs is very valuable.
205Unkā ēk-ēk vachan sunnē kē liē anēk ātmāyē̃ pyāsī hōtī haĩ .
210Many souls are thirsty to listen to every word of theirs.
206Unkē her|har śhabda mē̃ sense ( sār ) bharā hōtā hai . 207Unhē̃ viśhēṣh khuśhī key|kī prāpti hōtī hai .
211Every word of theirs is full of sense and they have special happiness.
208Unkē pās|pass khajānā bharpūr rahtā hai isliē vē|way sadā santuṣhṭ aur harṣhit rahtē haĩ .
212Their treasure stores are overflowing and this is why they are always content and cheerful.
209Unkē bōl prabhāvśhālī hōtē jātē haĩ .
213Their words are impressive.
210Vāṇī kā dān karnē sē vāṇī mē̃ bahut guṇ ā jātē haĩ .
214By donating words, you develop many virtues in your speech.
Slogan
211Slōgan : svarājya K|kē mālik banō tō sampūrṇ varsē kā adhikār mil jāyēgā .
215Slogan: Become a self-sovereign and you will claim a right to the full inheritance.
216*** Om Shanti ***