शनिवार 26 जून 2021 की दैनिक मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
ध्यान दें: वाक्यों का संरेखण अक्षरों की संख्या पर आधारित है और पूरी तरह विश्वसनीय नहीं है।
आप पूरी मुरली या उसके किसी भाग का वाक्य संरेखण स्वयं सुधार सकते हैं।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
026-06-2021 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban
0 26/06/21 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban
Essence
1 « mīṭhē bachchē - bāp key|kī śhrīmat hai , is purānī duniyā sē apnā mukh mōṛ lō , jīvanmukti kē liē tum daivī manners dhāraṇ karō ' '
1Essence: Sweet children, the Father’s shrimat is: Turn your face away from this old world. 2In order to attain liberation-in-life, imbibe divine manners.
Question
2Praśhna : kaun sē manners bāp K|kē sivāē kōī bhī sikhlā nahī̃ saktā hai ?
3Question: Which manners can no one but the Father teach you?
Answer
3Uttar : pavitra bannā aur banānā - yah hai sabsē baṛā daivī manners .
4Answer: To become pure and make others pure; these are the greatest divine manners. 5While living at home with your families, remain pure.
4Tum ghar-gr̥ihasth mē̃ rahtē pavitra rahō , yah śhikṣhā ēk bāp hī dētē haĩ , dūsrā kōī dē nahī̃ saktā .
6Only the one Father, and no one else, can give these teachings.
5Tum bachchō̃ kā bēhad kā sannyās hai .
7You children have unlimited renunciation.
6Tum is purānī duniyā kō hī buddhi sē bhūltē hō .
8You remove this old world from your intellects.
7Tum jāntē hō pavitratā key|kī dhārṇā sē bākī sab manners svataḥ ā jātē haĩ .
9You know that, when you imbibe purity, all other manners will come automatically.
Song
8Gīt : āj andhērē mē̃ haĩ ham insān …
10Song: We people of today are in darkness.
Murli
9Ōm śhānti .
11Om shanti.
10Bachchō̃ nē gīt key|kī ēk line sunī .
12You children heard a line of the song.
11Ēk taraph hai sārī duniyā - bhakti mārg vālē aur dūsrē taraph hō tum bachchē gyān mārg vālē .
13On the one side, there is the whole world, those who are on the path of devotion, whereas on this side, there are you children on the path of knowledge.
12Vah bhakti kī sīṛhī chaṛhtē rahtē haĩ aur tum bachchē phir gyān kī sīṛhī chaṛhtē hō . 13Bhakti kī sīṛhī utartē hō .
14They continue to climb the ladder of devotion and you children come down the ladder of devotion and climb up the ladder of knowledge.
14Bachchē jāntē haĩ - ādhākalp sē bhakti kī sīṛhī chaṛhnī hōtī hai .
15You children know that you have had to climb the ladder of devotion for half the cycle.
15Bhakti bhī pahlē avyabhichārī hōtī hai , pīchhē vyabhichārī bantī hai .
16Devotion too is at first unadulterated and then it becomes adulterated.
16Bilkul hī andhaśhraddhā mē̃ ā jātē haĩ . 17Kuchh bhī nahī̃ samajhtē .
17People are completely caught up in blind faith; they don’t understand anything at all!
18Gātē bhī haĩ - ham andhiyārē mē̃ haĩ .
18They sing: We are in darkness.
19Satgurū bigar ghōr andhiyārā .
19There is complete darkness without the Satguru.
20Gurū tō yahā̃ bahut haĩ .
20There are many gurus here.
21Ab sachchā gurū kaun hai ?
21Who is the true Guru?
22Sādhū-santa , mahātmā , bhagat ādi sab sādhnā kartē haĩ athavā yād kartē haĩ .
22Sages, holy men, great souls and devotees make spiritual endeavour, that is, they remember God.
23Śhāstra , vēd , upaniṣhad ādi paṛhtē haĩ phir bhī kahtē haĩ , bhagvān jab āyē tab hī ākar hamārī sadgati karē .
23They study the scriptures, the Vedas and the Upanishads etc. 24In spite of that, they say that only when God comes can He grant us salvation.
24Sadgati dātā kō hī patit-pāvan kahā jātā hai .
25Only the Bestower of Salvation can be called the Purifier.
25Abhī tum bachchē ghōr andhiyārē mē̃ nahī̃ hō .
26You children are no longer in extreme darkness.
26Tum gyān key|kī rōśhnī mē̃ āyē hō .
27You have come into the light of knowledge.
27Patit-pāvan bāp kō jāntē hō aur unkō yād kartē hō .
28You know the Purifier Father and you remember Him.
28Jitnā jō bachchā yād kartā hai aur gyān key|kī dhārṇā kartā hai utnā uskā agyān andhiyārā vināśh hō jātā hai .
29The more you children remember the Father and imbibe knowledge, the more the darkness of ignorance is removed from you.
29Ab rōśhnī mē̃ lē jānē vālā ēk hī bāp hai .
30Only the one Father brings you into the light.
30Gyān añjan satgurū diyā . . . kōī śhurmā nahī̃ hai .
31The Satguru gives the ointment of knowledge.
31Yah gyān key|kī bāt hai . 32Gyān kē sāth yōg bhī rahtā hai .
32This is not about physical eye make-up, but aspects of knowledge; and, along with knowledge, there is also yoga.
33Jarūr jō manuṣhya bhakti sikhlātē haĩ , tō ussē bhī yōg rahtā hai .
33There definitely is also yoga with the people who teach devotion.
34Ab tum bachchō̃ kā buddhiyōg lagā huā hai , nirākār parampitā paramātmā kē sāth .
34The intellects’ yoga of you children is now connected to the incorporeal Supreme Father, the Supreme Soul.
35Tumhārē mē̃ bhī number-vār haĩ .
35It is numberwise among you.
36Aur kōī manuṣhya mātra kā parampitā paramātmā sarvśhaktimān kē sāth yōg hai hī nahī̃ sivāē tum bachchō̃ K|kē .
36No human beings, other than you children, have yoga with the Supreme Father, the Supreme Soul, the Almighty Authority.
37Tumkō bāp sē aur mukti , jīvanmuktidhām sē yōg lagānā paṛtā hai .
37You have to have yoga with the Father and with the lands of liberation and liberation-in-life.
38Jīvanmukti kē liē daivī manners bhī bahut achchhē chāhiē .
38Very good, divine manners are required for liberation-in-life.
39Is samay tō sabkē manners āsurī haĩ .
39At this time, everyone has devilish manners.
40Parampitā paramātmā K|kē bhī guṇ gāyē jātē haĩ nā .
40The virtues of the Supreme Father, the Supreme Soul, are also remembered.
41Manuṣhya sr̥iṣhṭi kā bījrūp hai , sat hai , chaitanya hai , ānand kā sāgar , gyān kā sāgar hai .
41He is the Seed of the Human World Tree, the Truth, the Sentient Being, the Ocean of Bliss and the Ocean of Knowledge.
42Pavitratā kā sāgar hai for ever .
42He is forever the Ocean of Purity.
43Unkā yah pad avināśhī hai aur kōī manuṣhya kā yah avināśhī pad hō na sakē .
43His status is imperishable. 44No human beings can have this imperishable status.
44Bhal abhī tum gyān kā sāgar , pavitratā kā sāgar bantē hō , parantu limited bantē hō .
45Although you are now becoming oceans of knowledge and oceans of purity, you become this in a limited way.
45Bāp kahtē haĩ - maĩ unlimited hū̃ .
46The Father says: I am unlimited.
46Tumkō unlimited banā nahī̃ saktā .
47I cannot make you unlimited.
47Nahī̃ tō phir sr̥iṣhṭi kā khēl kaisē chalē ?
48If I could, how could the play of the world continue?
4884 janm kaisē bhōgē̃gē ?
49How could you experience 84 births?
49Tum for ever ban nahī̃ saktē .
50You cannot become anything for ever.
50Tumkō limited banātā hū̃ , 21 janmō̃ kē liē tum bantē hō .
51I make you this in a limited way. 52You become this for 21 births.
5121 pīṛhī bhī likhā huā hai .
53“Twenty one generations” has also been mentioned.
52Tum for ever banō , yah drama mē̃ kāydā nahī̃ .
54It is not a law in the drama for you to become this for ever.
53Maĩ tō hū̃ hī ever pure .
55I am ever pure.
54Maĩ rahtā hī̃ hū̃ paramdhām mē̃ .
56I reside in the Supreme Region.
55Mērē pās|pass gyān , pavitratā ādi hai hī hai .
57I always have knowledge and purity.
56Tum bhūl jātē hō tō is samay bāp ākar bachchō̃ kō ghōr andhiyārē sē nikāl gyān aur yōg sē pavitra banātē haĩ aur kōī aisē kah na sakē ki maĩ paramdhām sē āyā hū̃ , ab mujhē yād karō .
58You forget this, and so the Father comes at this time, removes you children from extreme darkness and purifies you with knowledge and yoga. 59No one else can say: I have come from the supreme land. 60Now remember Me!
57Yah mērē mahāvākyō̃ key|kī kōī copy nahī̃ kar saktē .
61No one can copy these elevated versions of Mine.
58Maĩ ātā hī hū̃ tum bachchō̃ kō 21 janmō̃ kē liē rājāō̃ kā rājā banānē . 59Tō bannā chāhiē nā .
62I come just to make you children into kings of kings for 21 births. 63Therefore, you do have to become that, do you not?
60Banē̃gē bhī vah jō kalp pahlē banē haĩ .
64Only those who became that in the previous cycle will become that.
61Tum jāntē hō - kitnē bachchē pavitra bantē haĩ , kitnē ajāmil jaisē pāpī ban jātē haĩ .
65You know how many children become pure and how many become sinners like Ajamil.
62Kitnē aśhuddh mailē ban jātē haĩ .
66So many become dirty and impure.
63Bāp kō ākar mailē kapṛē sāph karnā paṛtā hai .
67The Father has to come and wash the dirty, impure clothes.
64Ātmā hī mailī bantī hai .
68It is souls that become dirty.
65Ātmā kō samjhātē haĩ tumkō māyā nē kitnā mailā banāyā hai , sirph ēk is janm key|kī bāt nahī̃ .
69It has been explained to you souls: Maya has made you so dirty!
66Yah tō janma-janmāntar key|kī bāt hai , jō ātmā kō sāph karnē kē liē lakṣy-sōp dētā hū̃ .
70It is not just a matter of this one birth, but a matter of birth after birth.
67Mujhē yād karō tō tumhārī ātmā jō bujhī huī hai , vah is yōg sē jag jāyēgī - jitnā-jitnā mujh bāp kō yād karē̃gē .
71I am now giving you Lux (aim) soap to wash the soul. 72Remember Me and, with this yoga, your souls that have been extinguished will be ignited.
68Smr̥iti dilātē haĩ , tumkō hamnē svarg mē̃ bhējā thā phir māyā nē mailā banā diyā hai .
73It depends on how much you remember Me, your Father. 74Baba reminds you: I sent you to heaven. 75Then Maya made you dirty.
69Ab phir maĩ tumkō svarg kā mālik banānē āyā hū̃ .
76I have now come to make you into the masters of heaven once again.
70Maĩ is brahmā tan sē śhikṣhā dē rahā hū̃ .
77I am giving you teachings through the body of Brahma.
71Ātmā sē bāt kartē haĩ , hē bachchē laukik bāp key|kī vismr̥iti karō .
78Baba speaks to souls: O children, forget your physical fathers.
72Dēh sahit dēh K|kē sab sambandhī bhūlkar mujh apnē bāp kō yād karō tō tumhārī ātmā sāph hōtī jāyēgī .
79Forget your bodies and all bodily relations and remember Me, your Father, and you souls, will continue to be cleansed.
73Phir tumkō śharīr bhī bhaviṣhya mē̃ nayā milēgā .
80You will then receive new bodies in the future.
74Phir tatva ādi sab nayē satōpradhān hō jātē haĩ .
81Even the elements etc. will become new and satopradhan.
75Bāp kahtē haĩ - ab is purānī duniyā kō bhūltē jāō .
82Baba says: Now continue to forget this old world!
76Mujhē yād karō tō tum mērē pās|pass ākar phir svarg mē̃ jāyēṅgē .
83Remember Me and you will come to Me and then go to heaven.
77Yah purānī duniyā hai .
84This world is old.
78Ismē̃ kōī chīz banātē haĩ tō us par nayā nām rakh dētē haĩ . 79Jaisē naī dēhlī , purānī dēhlī kahtē haĩ .
85When someone makes something new, it is given a new name, just as they speak of New Delhi and Old Delhi.
80Parantu duniyā tō purānī hai nā .
86However, the world is still old.
81Ab tum bachchō̃ kā is purānī duniyā sē buddhiyōg bilkul haṭ jānā chāhiē .
87You children must now completely remove your intellects’ yoga from this old world.
82Ham ātmāō̃ kā sweet home vā nirvāṇdhām hai , vahā̃ jānā hai .
88We souls have to go to our sweet home, the land of nirvana.
83Apnē kō ātmā niśhchay karnā paṛē .
89Have the faith that each of you is a soul.
84Bāp kahtē haĩ - mujhē yād karō tō ant matī sō gati hō jāyēgī .
90The Father says: Remember Me and your final thoughts will lead you to your destination.
85Manuṣhya jō anēkō̃ kō yād kartē haĩ .
91Human beings remember so many others.
86Kōī kisī gurū kō , kōī kr̥iṣhṇa kō .
92Some remember one guru or another and others remember Krishna etc.
87Kr̥iṣhṇa ādi kahā̃ gayē ?
93However, where did Krishna etc. go?
88Yah kōī nahī̃ jāntē .
94No one knows.
89Yah nahī̃ samajhtē - punarjanma mē̃ sabkō ānā hai .
95They don’t understand that everyone has to take rebirth.
90Yah rasam-rivāj sr̥iṣhṭi K|kē ādi sē chalī ātī hai .
96This system has continued from the beginning of the world.
91Satyug ādi mē̃ dēvī-dēvtāyē̃ haĩ , jarūr punarjanma vahā̃ sē hī śhurū huā hōgā .
97There were deities in the beginning of the golden age and rebirth must therefore have continued from that time.
92Pahlē-pahlē hai śhrīkr̥iṣhṇa first pavitra manuṣhya , unkī mahimā jāstī hai . 93Lakṣhmī-nārāyaṇ key|kī itnī nahī̃ hai kyōṅki bachchē pavitra satōpradhān hōtē haĩ tō mahimā bachchō̃ key|kī gāī jātī hai .
98First of all, there is Shri Krishna, the first pure human being; he receives more praise than Lakshmi and Narayan who are not praised as much, because children are pure and satopradhan.
94Kr̥iṣhṇa key|kī bahut mahimā hai .
99That is why children are praised.
95Parantu yah nahī̃ jāntē ki kr̥iṣhṇapurī hai kahā̃ .
100There is a lot of praise of Krishna but they don’t know where the land of Krishna is.
96Vaikuṇṭha kahtē bhī haĩ satyug kō phir patā nahī̃ kr̥iṣhṇa kō dvāpar mē̃ kyō̃ kah diyā hai .
101They speak of Vaikunth as the golden age. 102So then, why do they say that he existed in the copper age?
97Vahī chīz dūsrē kōī nām , rūp , dēśh mē̃ ā na sakē .
103The same being cannot exist in another name, form or land.
98Vahī nām rūp dūsrē janm mē̃ hō nahī̃ saktā .
104The same name and form cannot exist in another birth.
99Kr̥iṣhṇa tō satyug mē̃ thā .
105Krishna existed in the golden age.
100Tum jāntē hō , yah jagat ambā , jagatpitā jākar lakṣhmī-nārāyaṇ bantē haĩ .
106You know that Jagadamba and Jagadpita go and become Lakshmi and Narayan.
101Satyug kō kr̥iṣhṇapurī kahā jātā hai .
107The golden age is called the land of Krishna.
102Ab hai kanspurī .
108It is now the land of Kans, the devil.
103Yah sab āsurī nām haĩ .
109All of those names are devilish.
104Vahā̃ thē daivī sampradāy , yahā̃ haĩ āsurī sampradāy .
110There, it was the deity community and here, it is the devilish community.
105Bāp baiṭh bachchō̃ kō saṅgam par samjhātē haĩ , vah bāp hai rachayitā .
111The Father sits here, at the confluence age, and explains to you children: The Father is the Creator.
106Unkō kahā jātā hai , manuṣhya sr̥iṣhṭi kā bījrūp .
112He is called the Seed of the Human World Tree.
107Tō jarūr naī manuṣhya sr̥iṣhṭi rachē̃gē .
113Therefore, He would surely create a new human world.
108Tum gātē bhī hō - bābā āp patit-pāvan hō .
114You even sing: Baba, You are the Purifier!
109Is patit sr̥iṣhṭi kō ākar pāvan banāō .
115Come and purify this impure world!
110Pāvan sr̥iṣhṭi rach patit sr̥iṣhṭi kā vināśh karāō .
116Create a pure world and have this impure world destroyed!
111Barōbar brahmā dvārā pāvan sr̥iṣhṭi rach śhaṅkar dvārā patit sr̥iṣhṭi kā vināśh karātē haĩ .
117He truly creates a pure world through Brahma and has the impure world destroyed through Shankar.
112Yah bātē̃ aur kōī nahī̃ jāntē haĩ .
118No one else knows these things.
113Abhī tum bachchē bāp kē sāth yōg lagātē hō .
119You children now have yoga with the Father.
114Tum dēkhtē hō bābā mailē kapṛō̃ kō saṭkā lagātē haĩ .
120You can see that Baba is beating the dirty clothes.
115Kōī tō phaṭ jātē haĩ , kōī ṭūṭ paṛtē haĩ .
121Some tear apart and some break.
116Kōī tō bahut mailē , ajāmil jaisē pāpī haĩ , jō bilkul dhārṇā nahī̃ hōtī hai .
122Some are very unclean, great sinners like Ajamil and they are unable to imbibe anything at all.
117Bāp kitnī achchhī bātē̃ samjhātē haĩ . 118Mīṭhē lāḍlē bachchē - mujh most beloved bāp kō yād karō .
123The Father says such nice things: Sweetest, beloved children, remember Me, your most beloved Father!
119Most beloved sukhdhām kō yād karō .
124Remember the most beloved land of happiness!
120Yah bhī tum ab jāntē hō .
125You only know this at this time.
121Duniyā mē̃ kōī kō patā nahī̃ .
126No one else in the world knows this.
122Yah tō ab hai ati duḥkhdhām .
127This is the land of extreme sorrow.
123Manuṣhya trāhi-trāhi kartē rahtē haĩ , ēk dō kō mārtē rahtē haĩ .
128People cry out in distress and continue to kill one another and then they say: God, protect me!
124Phir kahtē haĩ bhagvān rakṣhā karō , yah jarūr mukh sē nikalēgā .
129These words definitely emerge from their lips.
125Bāp tō liberator hai .
130The Father is the Liberator.
126Tum jāntē hō - bāp āyē haĩ ham bachchō̃ kō in particular aur sabkō in general sukhdhām mē̃ lē chalnē kē liē .
131You know that the Father has come to take you children in particular and the world in general to the land of happiness.
127Tum bachchō̃ mē̃ bhī number-vār haĩ jinkō yah naśhā hai .
132This intoxication is numberwise among you children.
128Yah paṛhāī kōī cum|kam nahī̃ , paṛhātē bhī dēkhō kiskō haĩ .
133This study is no small thing. 134Look whom Baba is teaching!
129Ajāmil jaisī pāp ātmāō̃ kō paṛhākar svarg kā mālik banā dētē haĩ .
135He is teaching souls as sinful as Ajamil and making them into the masters of heaven.
130Tamōpradhān tō sab haĩ , unkō satōpradhān duniyā mē̃ lē jānā paṛtā hai .
136All are tamopradhan. 137He has to take them to the satopradhan world.
131Bachchō̃ kō bār-bār samjhātē haĩ ki yahā̃ daivīguṇ dhāraṇ karnē haĩ .
138You children have been told over and over again: Imbibe divine virtues here.
132Yahā̃ tumkō aim-object buddhi mē̃ hai .
139You have your aim and objective in your intellects here.
133Yah pavitratā K|kē manners aur kōī nahī̃ sikhātē .
140No one else can teach these manners of purity.
134Sannyāsī tō gharbār chhuṛvātē haĩ .
141Sannyasis make people leave their homes and families.
135Yahā̃ bāp kahtē haĩ - tumkō gharbār nahī̃ chhōṛnā hai .
142Here, the Father says: You don’t have to leave your homes and families.
136Tumkō tō is purānī duniyā kō chhōṛnā hai .
143You have to renounce this old world.
137Vah hai had kā sannyās , yah hai bēhad kā sannyās .
144That renunciation is limited whereas this renunciation is unlimited.
138Un sannyāsiyō̃ kō bhī kitnā mān miltā hai .
145Those sannyasis receive so much respect.
139Sādhū samāj government kō bhī mat ( rāy ) dētē haĩ .
146The community of sages gives advice and ideas to the Government.
140Āgē chalkar yah sannyāsī ādi bhī tum mātāō̃ K|kē charaṇō̃ mē̃ girē̃gē .
147As you mothers make further progress, even those sannyasis will fall at your feet.
141Mātāō̃ bigar unhō̃ kā uddhār nahī̃ hō saktā kyōṅki tum knowledge dētē hō .
148They cannot be uplifted without you mothers because you give them knowledge.
142Bākī charaṇō̃ mē̃ girnē key|kī bāt nahī̃ hai .
149There is no question of falling at anyone’s feet.
143Hā̃ kōī namastē vā rām-rām kartē haĩ tō respond tō dēnā hōtā hai .
150Yes, if someone says, “Namaste” or “Rama, Rama”, you have to respond.
144Bābā bhī kahtē haĩ , bachchē namastē .
151Even Baba says: Children, namaste!
145Maĩ tum bachchō̃ kō apnē sē bhī ūñch banātā hū̃ .
152I make you children even more elevated than Myself.
146Tumkō brahmāṇḍ aur sr̥iṣhṭi dōnō̃ kā mālik banātā hū̃ aur maĩ vānaprasth mē̃ chalā jātā hū̃ .
153I make you into the masters of Brahmand and also the world and I then go into retirement.
147Parantu tumhē̃ śhrīmat par bhī chalnā paṛē . 148Is purānī duniyā sē mukh mōṛnā paṛē .
154However, you also have to follow shrimat and turn your faces away from this old world.
149Rām , rāvaṇ aur sītā kā khilaunā hai nā .
155There is a toy of Rama, Ravan and Sita.
150Sītā rāvaṇ kō pīṭh kar dētī hai , rām kō mũh kar dētī hai .
156Sita turns her back on Ravan and turns her face towards Rama.
151Kr̥iṣhṇa kā bhī chitra hai - nark kō lāt mār rahā hai aur svarg kā gōlā hāth mē̃ haĩ .
157There is also the picture of Krishna holding the globe of heaven and kicking hell away. 158The Father explains to you very well.
152Bāp bahut achchhī rīti samjhātē haĩ parantu virlā vyāpārī yah vyāpār karē . 153Bāp kō apnā purānā tan-man-dhan dē nayā lē .
159However, it is a rare businessman who would do the business of giving his old body, mind and wealth to the Father and claiming everything new in return.
154Yah baṛā first class insurance haĩ .
160This is very good, first-class insurance.
155Bāp kahtē haĩ - tum apnī ātmā pavitra banāyēṅgē tō phir śharīr bhī pavitra milēgā .
161The Father says: When you souls become pure, you will receive pure bodies, then you will rule in heaven.
156Phir tum svarg kī rājāī karē̃gē isliē unkō saudāgar , jādūgar kahtē haĩ .
162This is why He is called the Businessman and the Magician.
157Patit kō pāvan banānā - yah īśhvarīy jādūgarī kahē̃gē nā .
163It is God’s magic to purify the impure.
158Bāp kahtē haĩ narkavāsiyō̃ kō svarg-vāsī banāō , kaisā first class jādū hai .
164The Father says: Change the residents of hell into residents of heaven. 165This is such first-class magic!
159Ismē̃ prāpti bahut hai .
166There is a lot of attainment through this.
160Bāp kahtē haĩ - rājāō̃ kā rājā banō , follow karō .
167The Father says: Become the kings of kings! 168Follow the Father.
161Bāp baiṭhē haĩ nā .
169The Father is sitting here.
162Yah adharkumār hai , mama kũvārī kanyā hai .
170This one is a half (adhar) kumar and Mama is a kumari.
163Tō follow karnā paṛē .
171Therefore, you have to follow.
164Varsā bāp sē milnā hai .
172You are to receive your inheritance from the Father.
165Tum kahē̃gē ham bhāī-bahin bāp sē varsā lētē haĩ .
173You brothers and sisters say that you are claiming your inheritance from the Father.
166Vaisē tō laukik rīti bahan kō varsā nahī̃ miltā hai , bhāī kō varsā miltā hai .
174Generally, in a worldly way, a sister doesn’t receive an inheritance, but the brother does.
167Yahā̃ tō tum sabkō milnā hai kyōṅki tum sab ātmāyē̃ hō nā .
175Here, all of you are to receive it, because all of you are souls.
168Bāp kahtē haĩ - tum sabkō mērē pās|pass ānā hai .
176The Father says: All of you have to come to Me.
169Phir tō yah bhāī-bahin kā nātā bhī ṭūṭ jāyēgā .
177The relationship of brother and sister will then also be broken.
170Vahā̃ hai bāp aur bachchō̃ kā nātā , nirvāṇdhām mē̃ isliē kahtē haĩ we are all brothers .
178There, in the land of nirvana, there is just the relationship of the Father and the children. 179This is why it is said: “We are all brothers”.
171Agar īśhvar kō sarvavyāpī kahē̃ tō phir fatherhood hō jātā hai .
180If God were omnipresent, as they say, it would be a fatherhood.
172Is sarvavyāpī K|kē gyān nē kitnā nuksān kiyā hai .
181This notion of omnipresence has caused so much loss!
173Ab tum bachchō̃ pās|pass bāp kī yād hai .
182You children now have remembrance of the Father.
174Bāp kō yād karnē mē̃ hī mēhnat jāstī hai .
183A lot of effort is needed in remembering the Father.
175Aisē bhī nahī̃ ki tumkō kōī nēṣhṭhā mē̃ biṭhāyē .
184It isn’t that you have to be made to sit in specially conducted meditation.
176Tumkō tō lakṣhya milā huā hai .
185You have been given an aim.
177Yahā̃ tō tum murlī sirph baiṭh sunātē hō .
186Here, you just sit and relate the murli.
178Yōg tō tumhārā sadaiv rahtā hai .
187You constantly have yoga.
179Murlī sunā phir chaltē-phirtē yād mē̃ rahnā hai . 180Ham yātrā par jā rahē haĩ .
188Having heard the murli, you then have to stay in remembrance while walking and moving around.
181Jitnā hō sakē yād mē̃ rahnā hai .
189We are going on a pilgrimage.
1828 ghaṇṭā service karō , vah bhī chhūṭ hai .
190As much as possible, stay in remembrance!
183Bākī time dēnā hai . 184Mūl bāt hai hī pavitratā key|kī .
191You have permission to do your work for eight hours, but then make time for this.
185Tum jāntē hō yah hai kāṇṭō̃ kā forest .
192The main thing is purity.
186Ēk dō kō kāṇṭā lagātē rahtē haĩ .
193You know that this is a forest of thorns.
187Ab bāp kahtē haĩ - śhrīmat par chalō .
194They continue to prick one another.
188Śhivbābā bhī bāt kartē haĩ .
195The Father says: Now follow shrimat!
189Brahmā bhī bāt kartē haĩ parantu tum jāntē hō śhivbābā hamkō paṛhātē haĩ , tum students hō .
196Shiv Baba is talking to you and Brahma is also talking to you, but you know that Shiv Baba is teaching you and that you are students.
190Tum kahtē hō vah hamārā bāp bhī hai , teacher aur satgurū bhī hai .
197You say that He is your Father, Teacher and also your Satguru.
191Guarantee kartē haĩ tumkō vāpis lē jāūṅgā .
198I guarantee that I will take you back with Me.
192Aisē kōī guarantee kar na sakē .
199No one else can guarantee this.
193Yah bāp hī kahtē haĩ - god father hī sukh dēnē vālā dharm sthāpan kartē haĩ .
200Only the Father says this. 201God, the Father, establishes the religion that gives happiness.
194Us bāp kō kōī jāntē nahī̃ haĩ .
202No one knows that Father.
195Agar bāp kō jānē̃ tō bāp key|kī property kō bhī jān jāyē̃ .
203If they were to know the Father, they would also know the Father’s property.
196Achchhā !
204Achcha.
197Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .
205To the sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.
198Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .
206The spiritual Father says namaste to the spiritual children.
Essence for dharna
199Dhārṇā kē liē mukhya sār :
207Essence for dharna:
2001 ) aim object kō sadā sāmnē rakh daivīguṇ dhāraṇ karnē haĩ .
208 1. Constantly keep your aim and objective in front of you and imbibe divine virtues.
201Satōpradhān duniyā mē̃ chalnē kē liē pavitratā K|kē manners apnānē haĩ .
209In order to go to the satopradhan world, adopt manners of purity.
202Buddhi sē bēhad kā sannyās karnā hai .
210Your intellect must have unlimited renunciation.
2032 ) most beloved bāp kō aur apnē sukhdhām kō yād karnā hai .
211 2. Remember your most beloved Father and your land of happiness.
204Is duḥkhdhām sē buddhi kā yōg nikāl dēnā hai .
212Remove your intellect’s yoga from this land of sorrow.
Blessing
205Vardān : ēk bāp sē yōg rakh sarv kā sahyōg prāpt karnē vālē sachchē yōgī va sahyōgī bhav
213Blessing: May you be a true yogi and co-operative soul who has yoga with the one Father and thereby receives everyone’s co-operation.
206Jō jitnā yōgī hai utnā usē sarv kā sahyōg avaśhya prāpt hōtā hai .
214 To the extent that someone is yogi, he accordingly definitely receives everyone’s co-operation.
207Yōgī kā connection athavā snēh bīj sē hōnē K|kē kāraṇ snēh kā return sabkā sahyōg prāpt hō jātā hai .
215Because a yogi’s connection, that is, his love, is with the Seed, as a return of love, he receives everyone’s co-operation.
208Tō bīj sē yōg lagānē vālā , bīj kō snēh kā pānī dēnē vālā sarv ātmāō̃ dvārā sahyōg rūpī phal prāpt kar lētā hai kyōṅki bīj sē yōg hōnē K|kē kāraṇ pūrē vr̥ikṣha kē sāth connection hō jātā hai .
216Those who have yoga with the Seed and water the seed with love attain the fruit of co-operation from all souls. 217Because of having yoga with the Seed, they have a connection with the whole tree.
Slogan
209Slōgan : purānē saṅskārō̃ kō mērā kahnā arthāt purūṣhārth kō ḍhīlā karnā .
218Slogan: To say “mine” to old sanskars means to slacken your efforts.
219*** Om Shanti ***