गुरुवार 1 जुलाई 2021 की दैनिक मुरली

ध्यान दें: वाक्यों का संरेखण अक्षरों की संख्या पर आधारित है और पूरी तरह विश्वसनीय नहीं है।

आप पूरी मुरली या उसके किसी भाग का वाक्य संरेखण स्वयं सुधार सकते हैं।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

001-07-2021 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

0 01/07/21 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē bachchē - beggar sē prince bannē kā ādhār pavitratā hai , pavitra bannē sē hī pavitra duniyā key|kī rājāī miltī hai ' '

1Essence: Sweet children, purity is the basis of changing from a beggar to a prince. 2It is only by becoming pure that you will receive the kingdom of the pure world.

Question

2Praśhna  : is pāṭhśhālā kā kaun sā pāṭh tumhē̃ manuṣhya sē dēvtā banā dētā hai  ?

3Question: Which lesson of this school changes you from a human being into a deity?

Answer

3Uttar  : tum is pāṭhśhālā mē̃ rōz yahī pāṭh paṛhtē hō ki ham śharīr nahī̃ ātmā haĩ .

4Answer: In this school, you learn the lesson every day of not being a body, but a soul. 5It is by becoming soul conscious that you change from a human being into a deity and from an ordinary human into Narayan.

4Ātma-abhimānī bannē sē hī tum manuṣhya sē dēvtā , nar sē nārāyaṇ ban jātē hō .

6At this time, all human beings are worshippers, that is, they are impure and body conscious.

5Is samay sab manuṣhya mātra pujārī arthāt patit dēh-abhimānī haĩ isliē patit-pāvan bāp kō pukārtē rahtē haĩ .

7This is why they continue to call out to the Purifier Father.

Song

6Gīt  : chhōṛ bhī dē ākāśh siṃhāsan …

8Song: Leave Your throne of the sky and come down to earth!

Murli

7Ōm śhānti .

9Om shanti.

8Bachchē jāntē haĩ ki yah ōm śhānti kisnē kahā  ?

10You children know who said “Om shanti”.

9Kaun sē bachchē  ?

11Which children?

10Ātmāyē̃ jāntī haĩ ki ōm śhānti kiskī ātmā nē kahā  ?

12Do you souls know whose soul said “Om shanti”?

11Parampitā paramātmā nē kahā .

13The Supreme Father, the Supreme Soul, said it.

12Bachchē jāntē haĩ manuṣhya key|kī ātmā nē nahī̃ kahā , yah parampitā paramātmā śhiv nē kahā .

14You children know it was not the soul of a human being who said it. 15The Supreme Father, the Supreme Soul, Shiva, said it.

13Vah sabhī kā bāp ūñchē tē ūñchā hai .

16That Father of all is the Highest on High.

14Ab gīt mē̃ sunā bhārat par bahut māyā kā parchhāyā paṛā huā hai .

17You heard in the song that there is a huge shadow of Maya over Bharat.

15Bahut patit ban gayē haĩ isliē pukārtē haĩ ki hē patit-pāvan phir sē āō , pāvan banānē .

18They have become very impure and this is why they call out: O Purifier, come once again to purify us!

16Ātmā hī bulātī hai apnē bāp kō , jiskō bhagvān kahtē haĩ .

19It is souls who call out to their Father, the One called God.

17Kahtē haĩ vahī patit-pāvan hai .

20They say that He alone is the Purifier.

18Ēk key|kī hī mahimā hōtī hai .

21There is praise of only One.

19Vah hai sabhī ātmāō̃ kā bēhad kā bāp .

22He is the unlimited Father of all souls.

20Yahā̃ sab patit ban gayē haĩ tab pukārtē haĩ - hē parampitā paramātmā .

23Here, all have become impure and this is why they call out: O Supreme Father, Supreme Soul!

21Vahī gyān kā sāgar bhī hai , patit-pāvan bhī hai .

24He alone is the Ocean of Knowledge and the Purifier.

22Vah pitā bhī hai tō śhikṣhak bhī hai kyōṅki gyān sāgar bhī hai , world authority bhī hai .

25He is the Father and also the Teacher because He is the Ocean of Knowledge and the World Authority.

23Sabhī vēdō̃ , śhāstrō̃ , granthō̃ kō jānnē vālā bhī hai .

26He is also the Knower of all the Vedas, scriptures and the Granth etc.

24Unkō kahtē hī haĩ knowledgeful .

27He is called the knowledge-full One.

25Tō is samay sab pārlaukik bāp kō pukārtē haĩ kyōṅki sabhī duḥkhī haĩ .

28At this time all call out to the Father from beyond because they are unhappy.

26Kahtē haĩ - god father .

29They call out to God, the Father.

27Unkā nām bhī chāhiē nā .

30He also has to have a name.

28Unkā nām gāyā huā hai śhivbābā .

31The name they remember Him by is Shiv Baba.

29Vahī ūñch tē ūñch gyān kā sāgar , sukh kā sāgar , śhānti kā sāgar hai .

32Only He is the Highest on High, the Ocean of Knowledge, the Ocean of Happiness and the Ocean of Peace.

30Yah manuṣhya key|kī ātmā apnē bāp key|kī mahimā kartī hai .

33Human souls praise their Father. 34Whose soul is the Highest on High?

31Ūñch tē ūñch ātmā kiskī hai  ?

35That of the Supreme Father, the Supreme Soul.

32Parampitā paramātmā key|kī .

36He is the Supreme.

33Vah hai param , patit manuṣhya unkō yād kartē haĩ .

37Impure human beings remember Him.

34Satyug mē̃ jab pāvan bhārat thā , dēvī-dēvatāō̃ kā rājya thā tō kōī patit nahī̃ thā .

38When Bharat was pure and the kingdom of the deities in the golden age, there was no one impure there.

35Yah hai tamōpradhān duniyā arthāt duniyā mē̃ jō manuṣhya rahtē haĩ sab pāp ātmāyē̃ haĩ .

39This is the tamopradhan world, that is, all souls living in this world are sinful souls.

36Yahī bhārat pāvan thā , yahī bhārat patit hō gayā hai .

40This Bharat that was pure has now become impure.

37Yahā̃ kaliyug mē̃ sab patit haĩ .

41Here, in the iron age, all are impure.

38Tum jāntē hō gyān kā sāgar , patit-pāvan parampitā paramātmā paramdhām sē ākar hamkō brahmā dvārā paṛhātē haĩ .

42You know that the Ocean of Knowledge, the Purifier, the Supreme Father, the Supreme Soul, comes from the supreme region and teaches you through Brahma.

39Jarūr unkō śharīr tō chāhiē nā .

43He definitely needs a body.

40Yah bātē̃ kōī śhāstrō̃ mē̃ nahī̃ haĩ .

44These things are not mentioned in the scriptures.

41Gyān kā sāgar jō authority hai vahī sab kuchh jāntē haĩ .

45Only the Ocean of Knowledge who is the Authority knows everything.

42Bhārat mē̃ chitra bhī dikhātē haĩ viṣhṇu key|kī nābhī sē brahmā nikalā , unkō hāth mē̃ śhāstra dētē haĩ .

46In Bharat they show a picture of Brahma emerging from the navel of Vishnu and they have even shown him with scriptures in his hand.

43Abhī viṣhṇu kōī sab śhāstrō̃ kā sār nahī̃ sunātē haĩ .

47Vishnu doesn’t relate the essence of all the scriptures.

44Parampitā paramātmā gyān kā sāgar brahmā dvārā sab śhāstrō̃ kā sār samjhātē haĩ .

48The Supreme Father, the Supreme Soul, who is the Ocean of Knowledge, explains to you the essence of all the scriptures through Brahma.

45Brahmā , viṣhṇu , śhaṅkar kā bhī vah rachayitā hai .

49He is also the Creator of Brahma, Vishnu and Shankar.

46Brahmā kō vā viṣhṇu kō gyān kā sāgar nahī̃ kahē̃gē .

50Neither Brahma nor Vishnu is called the Ocean of Knowledge.

47Śhaṅkar key|kī tō bāt hī chhōṛ dō .

51Shankar cannot even be considered!

48Abhī gyān kā sāgar kaun  ?

52So, who is the Ocean of Knowledge?

49Nirākār ūñch tē ūñch paramātmā hī patit-pāvan hai .

53The incorporeal, highest-on-high Supreme Soul is the Purifier.

50Yah mahimā hai us parampitā paramātmā key|kī .

54This is the praise of that Supreme Father, the Supreme Soul.

51Yahā̃ bhī ātmā key|kī hī mahimā hōtī hai .

55Here, too, it is souls that are praised.

52Ātmā hī śharīr dvārā kahtī hai - maĩ president hū̃ , maĩ barrister hū̃ , maĩ phalānā minister hū̃ .

56It is the soul that says through the body: I am the President, I am a barrister, I am such-and-such a Minister.

53Ātmā hī martabā lētī hai .

57It is the soul that receives a status.

54Śharīr dvārā ātmā kahtī hai maĩ ēk śharīr chhōṛ dūsrā lētā hū̃ .

58The soul says through the body: I shed a body and take another.

55Is samay jab bāp ātē haĩ , kahtē haĩ bachchē ātma-abhimānī banō .

59The Father comes at this time and He says: Children, become soul conscious!

56Maĩ tumhārā bāp āyā huā hū̃ - tumkō yahī pāṭh paṛhānē .

60I, your Father, have come to teach you this lesson.

57Yah pāṭhśhālā hai - manuṣhya sē dēvtā , nar sē nārāyaṇ , nārī sē lakṣhmī bannē key|kī .

61This is the school to change from humans into deities, from an ordinary man into Narayan and an ordinary woman into Lakshmi.

58Bāp kō sabhī ātmāyē̃ bulātī haĩ ki hē parampitā paramātmā . . . ab nirākārī duniyā sē sākārī duniyā mē̃ āō .

62All souls call out to the Father: O Supreme Father, Supreme Soul, now come into this corporeal world from the incorporeal world!

59Rūp badalō .

63Change Your form!

60Tum nirākārī ātmāyē̃ tō jab śharīr mē̃ ātī hō tō garbh mē̃ ātī hō , punarjanma lētī hō .

64When each of you incorporeal souls enters a body, you enter a womb and take rebirth.

61Bāp samjhātē haĩ - tumnē 84 janm garbh sē liyē haĩ .

65The Father explains: Each of you has taken 84 births through a womb.

62Ēk śharīr chhōṛ phir garbh mē̃ jātē hō , aisē 84 janma lētē hō .

66You shed a body and again enter another womb and this is the way you take 84 births.

63Maĩ tō garbh mē̃ nahī̃ ātā hū̃ .

67I do not enter a womb.

64Bhāratvāsī asul mē̃ dēvī-dēvtā dharm K|kē thē .

68You people of Bharat originally belonged to the deity religion.

65Phir sīṛhī nīchē utartē āyē , kṣhatriya varṇa mē̃ phir vaiśhya , śhūdra varṇa mē̃ kalāyē̃ kam hōtī jātī haĩ .

69You continued to come down the ladder and went into the warrior clan, then the merchant clan and then the shudra clan and the degrees continued to decrease.

66Bhārat 16 kalā sampūrṇ thā phir 14 kalā banā .

70Bharat was sixteen celestial degrees full and then became fourteen celestial degrees.

67Bhāratvāsī apnē janmō̃ kō nahī̃ jāntē .

71The people of Bharat do not know their own births.

6884 janm bhāratvāsī hī lētē haĩ .

72It is the people of Bharat who take 84 births.

69Aur kōī dharm vālē 84 janm nahī̃ lētē .

73None of those of other religions take 84 births.

70Tum svadarśhan chakradhārī banē hō , yah gyān key|kī bāt hai .

74You have become spinners of the discus of self-realisation. 75This is a matter of knowledge.

71Svadarśhan chakradhārī bannē sē tum chakravartī mahārājā bantē hō svarg kā .

76By becoming spinners of the discus of self-realisation, you become emperors of heaven, the rulers of the globe.

72Tum achchhī rīti jāntē hō ham yahā̃ āyē haĩ patit sē pāvan bannē .

77You understand very clearly that you have come here to become pure from impure.

73Yah hai hī patit duniyā .

78This is an impure world.

74Patit-pāvan , sarv kā sadgati dātā tō ēk hī bāp hai .

79Only the one Father is the Purifier, the Bestower of Salvation for All.

75Sab unkō hī pukārtē haĩ .

80Everyone calls out to Him.

76Bāp kō yād kartē haĩ , kr̥iṣhṇa kō nahī̃ .

81They remember the Father, not Krishna.

77Kr̥iṣhṇa nē gītā nahī̃ sunāī .

82Krishna did not speak the Gita.

78Gītā hai sarv śhāstramaī śhirōmaṇī .

83The Gita is the most elevated jewel of all the scriptures.

79Bhārat key|kī gītā kis dharm kā śhāstra hai  ?

84The Gita of Bharat is the scripture of which religion?

80Ādi sanātan dēvī-dēvtā dharm kā .

85The original eternal deity religion.

81Kisnē gītā gāī  ?

86Who sung the Gita?

82Rājyōg kisnē sikhāyā  ?

87Who taught you Raja Yoga?

83Parampitā paramātmā patit-pāvan bāp nē .

88The Supreme Father, the Supreme Soul, the Purifier Father.

84Tō tumhārī ātmā jō nirākār thī , usnē abhī yah sākār śharīr dhāraṇ kiyā hai .

89You souls who are incorporeal have adopted corporeal bodies.

85Sākār manuṣhya kō kabhī bhagvān nahī̃ kahē̃gē .

90Corporeal human beings cannot be called God.

86Bhal satyug mē̃ lakṣhmī-nārāyaṇ haĩ tō bhī bhagvān nahī̃ kahē̃gē .

91Although Lakshmi and Narayan exist in the golden age, they are not called God.

87Yah tō karkē upādhi ( title ) dī jātī hai .

92That is just a title given to them.

88Kāydē anusār bhagvān ēk hai .

93According to the law, there is just the one God.

89Creator is one . 90Bākī vah haĩ dēvtāyē̃ .

94The Creator is One; all the rest are deities.

915 hajār varṣh key|kī bāt hai .

95It is a matter of 5000 years.

92In lakṣhmī-nārāyaṇ kā rājya thā , inkō mahārājā mahārānī kahā jātā thā .

96It used to be the kingdom of Lakshmi and Narayan and they were called the empress and emperor.

93Bhagvān mahārājā nahī̃ bantē haĩ .

97God doesn’t become an emperor.

94Vah tō bāp hī hai jō ākar bhāratvāsiyō̃ kō aisā dēvī-dēvtā banātē haĩ .

98He is the Father who comes and makes the people of Bharat into deities.

95Abhī tō dēvī-dēvtā dharm kā kōī hai nahī̃ .

99Now, no one belongs to the deity religion.

96Inkō kahā jātā hai rāvaṇ sampradāy kyōṅki rāvaṇ rājya hai .

100This is called the Ravan community because it is the kingdom of Ravan.

97Rāvaṇ kō varṣh-varṣh jalātē rahtē haĩ kyōṅki yah purānā duśhman hai parantu inkō bhāratvāsī jāntē nahī̃ .

101They continue to burn an effigy of Ravan year after year because he is an old enemy. 102However, the people of Bharat do not know him.

98Śhāstrō̃ mē̃ bhī varṇan nahī̃ hai ki rāvaṇ kaun hai .

103It is not mentioned in the scriptures who Ravan is.

99Rāvaṇ kō 10 śhīśh kyō̃ dikhāyē haĩ .

104Why have they shown Ravan with ten heads?

100In bātō̃ kō achchhī rīti samajhnā hai .

105These things have to be understood very clearly.

101Manuṣhya tō bilkul pattharbuddhi haĩ .

106Human beings have completely stone intellects.

102Pārasbuddhi in lakṣhmī-nārāyaṇ ādi kō kahē̃gē .

107Lakshmi and Narayan etc. are said to be those with divine intellects.

103Pārasnāth , pārasnāthinī kā rājya thā .

108It used to be the kingdom of the Lords and Ladies of Divinity.

104Yathā rājā-rānī tathā prajā .

109As were the king and queen, so were the subjects.

105Bhārat jaisā sukhdhām aur kōī khaṇḍ hōtā nahī̃ .

110There is no other land of happiness like Bharat.

106Jab bhārat mē̃ svarg thā tō kōī bīmārī , duḥkh rōg nahī̃ thā .

111When Bharat was heaven, there was no illness, sorrow, disease, etc.

107Sampūrṇ sukh thā .

112There was complete happiness there.

108Gāyā jātā hai - īśhvar key|kī mahimā aparam-apār hai .

113It is said that the praise of God is infinite.

109Vaisē bhārat key|kī bhī mahimā aparamapār hai .

114In the same way, the praise of Bharat is also infinite.

110Sārā madār pavitratā par hai .

115Everything depends on purity.

111Pukārtē bhī aisē haĩ , sab patit haĩ .

116They even call out because they are all impure.

112Peace|pīs nahī̃ hai , prosperity bhī nahī̃ hai .

117There is no peace or prosperity.

113Abhī tumnē samjhā hai - ham bhāratvāsī sūryavanśhī dēvī-dēvtā thē phir dhīrē-dhīrē patit banē haĩ .

118You people of Bharat have now understood that you were the sun-dynasty deities and you then gradually became impure.

114Inkō kahā jātā hai mr̥ityulōk .

119This is called the land of death.

115Iskō āg lagnī hai .

120It has to be set on fire.

116Yah hai śhiv gyān yagya , rūdra gyān yagya bhī kahtē haĩ .

121This is the sacrificial fire of the knowledge of Shiva.

117Manuṣhya nām tō bahut rakh dētē haĩ .

122They even call it the sacrificial fire of the knowledge of Rudra.

118Jahā̃ bhī śhiv key|kī mūrti dēkhtē haĩ , tō anēk bhinn-bhinn nām rakh dētē haĩ .

123People give it many different names. 124Wherever they see an image of Shiva, they give it a different name.

119Ēk K|kē hī anēk nām sē mandir banātē haĩ .

125They build many temples to the One and use different names.

120Tō bāp baiṭh samjhātē haĩ - gyān , bhakti , vairāgya .

126The Father sits here and explains: There is knowledge, devotion and disinterest.

121Abhī bhakti pūrī hōtī hai , tumkō bhakti sē vairāgya ātā hai arthāt is purānī duniyā sē vairāgya hai .

127Devotion is now coming to an end and you are disinterested in devotion, that is, you are disinterested in this old world.

122Yah purānī duniyā vināśh hōnī hai .

128This old world is to be destroyed.

123Bachchē pūchhtē haĩ bābā ham patit sē pāvan kaisē banē̃ .

129Children ask: Baba, how can we become pure from impure?

124Kaī nayē ātē haĩ tō allow nahī̃ kiyā jātā hai .

130New ones are not allowed to come here.

125Jaisē college mē̃ kōī nayā jākar baiṭhē tō kuchh bhī samajh na sakē aur kiskō patā hī nahī̃ hai , manuṣhya sē dēvtā kaisē ban rahē haĩ .

131Similarly, if a new student were to go and sit in a college, he would not understand anything. 132No one knows how human beings change into deities.

126Manuṣhya jō patit haĩ vahī pāvan bantē haĩ .

133Impure human beings become pure.

127Is samay bhārat bhī beggar hai .

134At this time, Bharat is a beggar.

128Satyug mē̃ bhārat prince thā .

135In the golden age Bharat was a prince.

129Śhrīkr̥iṣhṇa satyug kā pahlā number prince thā . 130Usmē̃ sab guṇ haĩ .

136Shri Krishna was the number one prince of the golden age; he had all the virtues.

131Rājya lakṣhmī-nārāyaṇ kā kahē̃gē .

137The kingdom is said to be that of Lakshmi and Narayan.

132Kr̥iṣhṇa tō prince thā , rādhē princess thī .

138Krishna was just a prince and Radhe was a princess.

133Kr̥iṣhṇa prince key|kī hī mahimā gāī jātī hai - sarvguṇ sampann , 16 kalā sampūrṇ . . . . . .

139It is the praise of prince Krishna that is remembered: Full of all virtues, sixteen celestial degrees full.

134Usnē kōī gītā nahī̃ sunāī .

140He didn’t speak the Gita.

135Vah tō satyug kā prince thā .

141He was a prince of the golden age.

136Vah patit manuṣhyō̃ kō pāvan banānē kē liē gītā pāṭh sunāyē - yah hō nahī̃ saktā .

142It’s impossible for him to teach the lessons of the Gita to impure human beings to make them pure.

137Yah sab śhāstra haĩ bhakti mārg K|kē .

143All of those scriptures belong to the path of devotion.

138Kitnī śhāstrō̃ key|kī mahimā hai .

144There is so much praise of the scriptures!

139Satyug mē̃ kōī śhāstra , chitra ādi bhakti mārg K|kē hōtē hī nahī̃ .

145In the golden age, there are no scriptures, pictures etc. of the path of devotion.

140Vahā̃ tō gyān kī prālabdha hōtī hai - 21 janmō̃ kē liē .

146There, there is the reward of knowledge for 21 births.

141Phir sē satyug kā rājyabhāgya lē rahē haĩ .

147You are claiming your fortune of the kingdom of the golden age once again.

142Bhāratvāsī satyug mē̃ 5 hajār varṣh pahlē viśhva K|kē mālik thē aur kōī bhī partition ādi nahī̃ thā .

148The people of Bharat were the masters of the world in the golden age 5000 years ago. 149There was no partition etc. there.

1435 hajār varṣh key|kī bāt hai .

150It is a matter of 5000 years.

144Abhī kaliyug kā ant hai nā .

151It is now the end of the iron age.

145Vināśh sāmnē khaṛā hai .

152Destruction is just ahead.

146Bhagvān nē yah gyān yagya rachā hai . 147Patit kaliyug kō pāvan satyug banānē , tō jarūr patit duniyā kā vināśh hōgā .

153God has created this sacrificial fire of knowledge in order to make the impure iron age into the pure golden age. 154Therefore, there definitely has to be destruction of the impure world.

148Gāyā bhī huā hai brahmā dvārā ādi sanātan dēvī-dēvtā dharm key|kī sthāpanā , sō ab śhivbābā brahmā dvārā karā rahē haĩ .

155It is remembered that establishment of the original eternal deity religion took place through Brahma. 156Shiv Baba is now carrying that out through Brahma.

149Tum abhī manuṣhya sē dēvtā ban rahē hō .

157You are now changing from human beings into deities.

150Gātē bhī haĩ parampitā paramātmā brahmā dvārā sthāpanā karātē haĩ .

158It is remembered that the Supreme Father, the Supreme Soul, carries out establishment through Brahma.

151Vah tō huā prajāpitā , unkī sab aulād haĩ .

159That one is Prajapita, the Father of People, and all are his children.

152Barōbar brahmā dvārā hī svarg key|kī sthāpanā huī thī .

160Heaven was definitely established through Brahma.

153Āj sē 5 hajār varṣh pahlē bhī maĩ saṅgam par āyā thā - tumkō yah rājyōg sikhānē .

161Five thousand years ago I came at the confluence age in order to teach you Raja Yoga.

154Kr̥iṣhṇa nahī̃ , maĩ āyā thā .

162It wasn’t Krishna, but I who came.

155Kr̥iṣhṇa patit duniyā mē̃ ā nahī̃ saktā .

163Krishna cannot enter the impure world.

156Bāp hī ātē haĩ .

164Only the Father comes.

157Vahī sarv kā sadgati dātā hai .

165Only He is the Bestower of Salvation for All.

158Manuṣhya , manuṣhya kō sadgati dē nahī̃ saktē .

166Human beings cannot grant salvation to human beings.

159Yād bhī sabhī ēk kō hī kartē haĩ .

167Everyone remembers that One.

160Parampitā paramātmā kahā̃ rahtē haĩ  ?

168Where does the Supreme Father, the Supreme Soul, reside?

161Tum bachchē jāntē hō paramdhām mē̃ rahtē haĩ .

169You children know that He resides in the supreme region.

162Vah hai brahm mahatatva .

170It is the great element of brahm.

163Vahā̃ ātmāyē̃ pavitra , jaisē mahātmāyē̃ haĩ .

171Souls there are pure, just like great souls.

164Yahā̃ bhī mahān ātmā , patit ātmā kahtē haĩ nā .

172Here, too, they speak of great souls and sinful souls.

165Vāstav mē̃ yahā̃ mahān ātmā ēk bhī nahī̃ hai .

173In fact, there isn't a single great soul here.

166Ātmā kō hī pāvan satōpradhān bannā hai , gyān aur yōg sē na ki pānī sē .

174It is souls who have to become pure and satopradhan with knowledge and yoga, not with water.

167Ātmā hī patit banī hai .

175It is souls who become impure.

168Ātmā mē̃ hī khād paṛtī hai .

176Alloy is mixed in souls.

169Ātmā hī golden , silver , copper , iron bantī hai .

177It is souls who become golden, silver, copper and iron.

170Abhī ātmāyē̃ jō patit haĩ unkō pāvan kaun banāyē  !

178Now, who can purify souls who have become impure?

171Sivāē parampitā paramātmā K|kē aur kōī banā na sakē .

179No one except the Supreme Father, the Supreme Soul, can purify you.

172Bāp hī baiṭh samjhātē haĩ - māmēkam yād karō tō tumhārē pāp bhasma hō jāyēṅgē .

180The Father sits here and says: Constantly remember Me alone and your sins will be absolved.

173Jitnā yād karē̃gē utnā patit sē pāvan banē̃gē .

181The more you remember Me, from being impure, the purer you will become.

174Mēhnat ismē̃ hai .

182There is effort in this.

175Gyān tō sārā buddhi mē̃ hai . 176Yah chakra kaisē phirtā hai , ham 84 janm kaisē lētē haĩ . 177Satyug mē̃ kitnā samay rājya chaltā hai , phir rāvaṇ kaisē ātā hai  ! 178Rāvaṇ hai kaun  !

183You have all the knowledge in your intellects of how this world cycle turns, of how you take 84 births, of how long the kingdom of the golden age continues and how Ravan then comes.

179Yah bhī kiskō patā nahī̃ hai .

184No one even knows who Ravan is.

180Kab sē rāvaṇ kō jalātē ātē haĩ . 181Yah bhī kiskō patā nahī̃ .

185No one knows when they started burning an effigy of Ravan.

182Her|har varṣh jalātē haĩ .

186They burn it every year.

183Satyug mē̃ tō nahī̃ jalāyēṅgē .

187They do not burn it in the golden age.

184Abhī hai hī rāvaṇ rājya .

188It is now the kingdom of Ravan.

185Rāmrājya tō kōī sthāpan kar nahī̃ saktā . 186Yah tō bāp kā hī kām hai .

189No one can establish the kingdom of Rama; it is the task of the Father alone.

187Patit manuṣhya tō kar nahī̃ saktē .

190Impure human beings cannot do this.

188Vah tō sab vināśh hō jāyēṅgē .

191All of them are to be destroyed.

189Patit duniyā hī vināśh hōnī hai .

192The impure world has to be destroyed.

190Satyug mē̃ ēk bhī aisē nahī̃ kahē̃gē ki hē patit-pāvan āō .

193Not a single person in the golden age says: O Purifier, come!

191Vah tō pāvan duniyā hai nā .

194It is the pure world.

192Tum abhī jāntē hō ki in lakṣhmī-nārāyaṇ kō aisā svarg kā mālik kisnē banāyā .

195You now know who made Lakshmi and Narayan into the masters of heaven and how they took 84 births.

193Phir inhōnnē 84 janm kaisē liyē .

196Only those who belong to the original eternal deity religion take 84 births.

194Ādi sanātan dēvī-dēvtā dharm vālō̃ nē hī 84 janma liē haĩ .

197They are the ones who have become part of the shudra dynasty at this time.

195Vahī is samay śhūdra vãnśhī banē haĩ .

198They are now becoming part of the Brahmin dynasty.

196Ab phir brāhmaṇ vãnśhī bantē hō .

199You are the Brahmin topknots.

197Abhī tum hō brāhmaṇ chōṭī . 198Yah hai ūñch tē ūñch chōṭī . 199Brahmā mukh vaṅśhāvalī brāhmaṇ kul bhūṣhaṇ .

200The highest-on-high topknots are the decoration of the Brahmin clan, the mouth-born creation of Brahma.

200Abhī tum śhivbābā K|kē bachchē bhī hō .

201You are now also the children of Shiv Baba.

201Pōtrē pōtriyā̃ bhī hō .

202You are also grandsons and granddaughters.

202Śhiv vãnśhī phir brahmākumār-kumāriyā̃ hō .

203You belong to the dynasty of Shiva and are Brahma Kumars and Kumaris.

203Varsā miltā hai dādē sē .

204You receive your inheritance from the Grandfather.

204Bāp kahtē haĩ - mujhē nirantar yād karō .

205The Father says: Constantly remember Me alone!

205Pāvan banō tō tum mērē pās|pass muktidhām mē̃ ā jāyēṅgē .

206Become pure and you will come to Me in the land of liberation.

206In bātō̃ kō samajhē̃gē vahī jinhōnnē kalp pahlē samjhā hai .

207Only those who understood these things in the previous cycle will understand them now.

207Vah tō hajārō̃ haĩ .

208There are thousands of them.

208Kōī pūchhtē haĩ , kitnē be|B . K|kē . haĩ  ?

209Some ask how many BKs there are.

209Bōlō , hajārō̃ key|kī andāj mē̃ haĩ .

210Tell them, there are thousands of us.

210Is daivī jhāṛ key|kī vr̥iddhi hōtī jātī hai .

211This divine tree continues to grow.

211Ab phir sē sapling lag rahā hai - ādi sanātan dēvī-dēvtā dharm kā kyōṅki dēvtā dharm hai nahī̃ .

212The sapling of the original eternal deity religion is now being planted again because the deity religion no longer exists.

212Sab apnē kō hindū kahlātē rahtē haĩ .

213All call themselves Hindus.

213Aur dharmō̃ mē̃ convert hō gayē haĩ .

214They have been converted to other religions.

214Phir sab nikal āyēṅgē , ākar bāp sē varsā lē̃gē .

215All of them will then emerge again and claim their inheritance from the Father.

215Tum āyē hō bēhad K|kē bāp sē bēhad K|kē sukh kā varsā pānē arthāt manuṣhya sē dēvtā bannē .

216You have come to the unlimited Father to claim your inheritance of unlimited happiness, that is, to change from humans into deities.

216Achchhā  !

217Achcha.

217Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .

218To the sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

218Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

219The spiritual Father says namaste to the spiritual children.

Essence for dharna

219Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

220Essence for dharna:

2201 ) patit sē pāvan bannē kē liē gyān aur yōg mē̃ majbūt hōnā hai .

221 1. In order to become pure from impure, become strong in knowledge and yoga.

221Ātmā mē̃ jō khād paṛī hai usē yād kī mēhnat sē nikālnā hai .

222Remove the alloy in the soul by making the effort of remembrance.

2222 ) ham brahmā mukh vaṅśhāvalī brāhmaṇ chōṭī haĩ is naśhē mē̃ rahnā hai .

223 2. Maintain the intoxication that we Brahmins, the mouth-born creation of Brahma, are topknots.

223Brāhmaṇ hī varsē K|kē adhikārī haĩ kyōṅki śhivbābā K|kē pōtrē haĩ .

224Only Brahmins have a right to the inheritance because we are all the grandchildren of Shiv Baba.

Blessing

224Vardān  : apnē anādi-ādi real rūp kō realise karnē vālē sampūrṇ pavitra bhav

225Blessing: May you be completely pure and realise your original and eternal real form.

225Ātmā K|kē anādi aur ādi dōnō̃ kāl kā original svarūp pavitra hai .

226 Both the original and eternal forms of souls are pure.

226Apavitratā artificial , śhūdrō̃ key|kī dēn hai .

227Impurity is artificial, it is a gift from shudras.

227Śhūdrō̃ key|kī chīz brāhmaṇ use nahī̃ kar saktē isliē sirph yahī saṅkalp karō ki anādi-ādi real rūp mē̃ maĩ pavitra ātmā hū̃ , kisī kō bhī dēkhō tō uskē real rūp kō dēkhō , real kō realise karō , tō sampūrṇ pavitra ban first class vā air-condition key|kī ticket K|kē adhikārī ban jāyēṅgē .

228Brahmins cannot use things that belong to shudras, and so just have the thought: In my original and eternal real form, I this soul, am a pure soul. 229Whenever you look at others, look at their real forms. 230Realise your real form, and you will become completely pure and claim a first class, air conditioned ticket.

Slogan

228Slōgan  : paramātma duāō̃ sē apnī jhōlī bharpūr karō tō māyā samīp nahī̃ ā saktī .

231Slogan: Fill your apron with God’s blessings so that Maya cannot come close to you.

232*** Om Shanti ***