गुरुवार 8 जुलाई 2021 की दैनिक मुरली

ध्यान दें: वाक्यों का संरेखण अक्षरों की संख्या पर आधारित है और पूरी तरह विश्वसनीय नहीं है।

आप पूरी मुरली या उसके किसी भाग का वाक्य संरेखण स्वयं सुधार सकते हैं।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

008-07-2021 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

0 08/07/21 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē bachchē - sārī duniyā mē̃ tumhārē jaisā khuśhnasīb kōī nahī̃ , tum hō rājr̥iṣhi , tum rājāī kē liē rājyōg sīkh rahē hō ' '

1Essence: Sweet children, no one in the whole world is as fortunate as you. 2You are Raj Rishis. 3You are studying Raja Yoga for the kingdom.

Question

2Praśhna  : nirākār bāp mē̃ kaun sē saṅskār haĩ jō saṅgam par tum bachchē bhī dhāraṇ kartē hō  ?

4Question: Which sanskar does the incorporeal Father have that you children also imbibe at the confluence age?

Answer

3Uttar  : nirākār bāp mē̃ gyān K|kē saṅskār haĩ , vah tumhē̃ gyān sunākar patit sē pāvan banā dētē haĩ isliē unhē̃ gyān kā sāgar , patit-pāvan kahā jātā hai .

5Answer: The incorporeal Father has the sanskar of knowledge. 6He speaks knowledge to you and makes you pure from impure. 7This is why He is called the Ocean of Knowledge, the Purifier. 8You children also imbibe that sanskar at this time.

4Tum bachchē bhī abhī vō saṅskār dhāraṇ kartē hō .

9You say with intoxication that God is teaching you.

5Tum naśhē sē kahtē hō hamē̃ bhagvān paṛhātē haĩ . 6Ham unsē sunkar sunātē haĩ .

10We listen to Him and then tell everyone else what He tells us.

Song

7Gīt  : ākhir vah din āyā āj …

11Song: At last the day for which we had been waiting has come!

Murli

8Ōm śhānti .

12Om shanti.

9Mīṭhē-mīṭhē rūhānī bachchō̃ nē yah gīt sunā .

13You sweetest, spiritual children heard this song.

10Yah mahimā kiskī hai  ?

14Whose praise is this?

11Ēk bāp key|kī .

15That of the one Father.

12Śhivāē namaḥ , ūñch tē ūñch bhagvān hai nā .

16Salutations to Shiva. 17God is the Highest on High.

13Bachchē jāntē haĩ vah hamārā bāp hai .

18You children know that He is our Father.

14Aisē nahī̃ ki ham sabhī bāp haĩ .

19It isn't that all of us are the Father.

15Gāyā bhī jātā hai sārī duniyā brother hood hai .

20It is remembered that the whole world is a brotherhood.

16Sannyāsī athavā vidvānō̃ K|kē kahnē anusār īśhvar sarvavyāpī kahnē sē jaisē ki fatherhood hō jātā hai .

21According to the sannyasis and scholars, God is omnipresent, so it becomes a fatherhood.

17Brother hōnē sē bāp tō siddha hōtā hai , jissē varsā milnā hai .

22When you are brothers, He is proved to be the Father from whom you are to receive the inheritance.

18Fatherhood hai tō phir varsē key|kī bāt hī nahī̃ hai .

23If it were a fatherhood, there would be no question of an inheritance.

19Bachchē jāntē haĩ ham sabhī ātmāō̃ kā bāp ēk hai , unkō kahā hī jātā hai - world god father .

24You children know the Father of all of us souls is One. 25He is called the World Godfather.

20World mē̃ kaun hai  ?

26Who is in the world?

21Sabhī brothers haĩ , ātmāyē̃ haĩ .

27All brothers. 28All are souls.

22Sabkā god father ēk hī hai .

29The Godfather of all is just the One.

23Us bāp key|kī sabhī prārthanā kartē haĩ .

30Everyone prays to the one Father.

24Ēk key|kī hī bandgī vā pūjā hōnī chāhiē .

31There should be praise and worship of just One.

25Vah hai satōpradhān pūjā .

32That is satopradhan worship.

26Yah bhī samjhāyā hai - gyān , bhakti aur vairāgya .

33It has also been explained that there is knowledge, worship and disinterest.

27Bāp gyān dētē haĩ sadgati kē liē .

34The Father gives you knowledge for salvation.

28Sadgati kahā jātā hai jīvan-mukti dhām kō .

35The land of liberation-in-life is said to be salvation.

29Yah ātmā kō buddhi mē̃ dhāraṇ karnā hai .

36You souls have to imbibe all of this with your intellects.

30Hamārā ghar śhāntidhām hai .

37Our home is the land of peace.

31Uskō muktidhām , nirvāṇdhām bhī kahā jātā hai .

38It is also called the land of liberation and the land of nirvana.

32Sabsē achchhā nām hai - śhāntidhām .

39The best name is the land of peace.

33Yahā̃ tō organs hōnē K|kē kāraṇ ātmā talkie mē̃ rahtī hai , bōlnā paṛtā hai .

40Here, because you have organs, souls are in "talkie" and have to speak.

34Sūkṣhmavatan mē̃ hai movie . 35Iśhārē mē̃ bāt hōtī hai , āvāj nahī̃ hōtī .

41In the subtle region there is "movie" and communication takes place through signals; there is no sound.

36Tīnō̃ lōkō̃ kō bhī tum jān gayē hō . 37Mūlvatan , sūkṣhmavatan , sthūlvatan , buddhi mē̃ yah achchhī rīti baiṭhā hai .

42You now know the three worlds: the incorporeal world, the subtle region and the corporeal world. 43This is now very clearly in your intellects.

38Manuṣhya sr̥iṣhṭi kē liē hī gāyā jātā hai ki yah sr̥iṣhṭi chakra lagātī hai .

44It is said of the human world: This world goes around in a cycle.

39Uskō kahā jātā hai world key|kī history-geography .

45It is called the history and geography of the world.

40Manuṣhya hī tō uskō jānē̃gē nā .

46It is human beings who know this.

41World key|kī history-geography sunātē haĩ .

47They relate world history and geography.

42Ūñch tē ūñch bāp hai .

48The Father is the Highest on High.

43World key|kī history-geography kaisē repeat hōtī hai , vahī jāntē haĩ .

49Only He knows how the world history and geography repeat.

44Is chakra kō jānnē sē hī tum chakravartī rājā banē hō .

50It was by knowing this cycle that you became rulers of the globe.

45Gātē bhī haĩ dēvtāyē̃ sampūrṇ nirvikārī haĩ .

51It is sung: The deities are completely viceless.

46Lakṣhmī-nārāyaṇ K|kē chitra haĩ nā .

52There are the images of Lakshmi and Narayan.

47Vah sampūrṇ nirvikārī aur apnē kō kahtē haĩ sampūrṇ vikārī .

53People say that they are completely viceless and that they themselves are completely vicious.

48Satyug mē̃ haĩ sampūrṇ nirvikārī athavā sampūrṇ pāvan .

54In the golden age they are completely viceless, that is, completely pure.

49Kaliyug mē̃ haĩ sampūrṇ vikārī , sampūrṇ patit .

55In the iron age they are completely vicious, completely impure.

50Bhārat key|kī hī bāt hai .

56This refers to Bharat alone.

51Yah bāp hī ākar buddhi mē̃ biṭhātē haĩ aur kōī nahī̃ jāntē haĩ .

57The Father comes and makes all of this sit in your intellects. 58No one else knows this.

52Unhōnnē tō satyug kō lambā samay dē diyā hai .

59They have given the golden age a long duration.

53Samajhtē haĩ lākhō̃ varṣh pahlē satyug thā .

60They think the golden age existed hundreds of thousands of years ago.

54Tō kisī key|kī buddhi mē̃ yah bāt ātī hī nahī̃ hai .

61Therefore, these things don’t enter anyone's intellect.

55Ab bachchē jāntē haĩ - ham abhī sampūrṇ vikārī sē sampūrṇ nirvikārī ban rahē haĩ .

62You children now understand that, from being completely vicious, we are all becoming completely viceless.

56Sampūrṇ patit sē sampūrṇ pāvan bannā hai .

63From being completely impure, we have to become completely pure.

57Bāp samjhātē haĩ ātmā mē̃ hī khād paṛī huī hai , golden age sē ab iron age ban gaī hai .

64The Father explains that there is alloy in souls. 65The golden age has now become the iron age.

58Yah ātmā key|kī bhēṇṭ kī jātī hai .

66The comparison is of the soul.

59Yah achchhī rīti samajhnā hai .

67You have to understand this very clearly.

60Tum bachchē bahut khuśhnasīb hō , tumhārē jaisā khuśhnasīb kōī aur nahī̃ .

68You children are very fortunate. 69No one else is as fortunate as you.

61Abhī tum rājyōg mē̃ baiṭhē hō , tum rājr̥iṣhi hō .

70You are now sitting in Raja Yoga, you are Raj Rishis.

62Rājāī kē liē kabhī kōī paṛhāī hōtī hai kyā  ?

71Is there ever an education for a kingdom?

63Barrister banāyēṅgē parantu viśhva kā mahārājā kaun banāyēgā  ?

72Others would make you into barristers, but who would make you into emperors of the world?

64Bāp K|kē sivāē kōī banā na sakē .

73No one except the Father can make you that.

65Yahā̃ mahārājā tō kōī hai nahī̃ .

74Here, there are no emperors.

66Satyug kē liē tō jarūr chāhiē .

75They are definitely needed for the golden age.

67Kiskō jarūr ānā paṛē .

76Someone definitely has to come.

68Bāp kahtē haĩ maĩ ātā hū̃ tab , jab bhakti pūrī hōnī hōtī hai .

77The Father says: I come when devotion has to end.

69Ab bhakti pūrī huī aur kōī bāt ismē̃ uṭhā hī nahī̃ saktē .

78Devotion has now come to an end; it has nothing else to offer.

70Hamkō bāp baiṭh paṛhātē haĩ - yah naśhā hōnā chāhiē .

79You should have the intoxication that the Father sits here and teaches you.

71Ham ātmāō̃ kō nirākār bāp parampitā paramātmā śhiv paṛhātē haĩ .

80The incorporeal Father, the Supreme Father, the Supreme Soul, Shiva, is teaching us souls.

72Śhiv kō tō kōī jāntē hī nahī̃ .

81No one knows Shiva.

73Ab tum bachchē jāntē hō bābā phir sē svarg kī rājāī sthāpan kar rahē haĩ .

82You children know that Baba is once again establishing the kingdom of heaven.

74Ham unkō mahārājan śhrī nārāyaṇ aur mahārānī śhrī lakṣhmī kahtē haĩ .

83We call them Empress Shri Lakshmi and Emperor Shri Narayan. 84On the path of devotion they relate the story of the true Narayan.

75Bhakti mārg mē̃ satya nārāyaṇ kī kathā sunātē haĩ .

85There is also the story of immortality and the story of the third eye.

76Amarkathā aur tījrī kī kathā .

86The Father also gives each of you a third eye.

77Bāp tīsrā nētra bhī dētē haĩ .

87You are told the story of becoming Narayan from an ordinary man.

78Nar sē nārāyaṇ bannē key|kī kathā sunāī jātī hai .

88The things that become the past are then useful on the path of devotion.

79Vahī bātē̃ jō past hō jātī haĩ , vah phir bhakti mārg mē̃ kām ātī haĩ .

89You children now understand that Baba is making you into the masters of heaven and that you have a right to it.

80Abhī tum bachchē samajhtē hō bābā hamkō svarg kā mālik banātē haĩ , ham hakdār haĩ .

90God is the Creator of heaven. 91We are the children of God, so why are we not in heaven?

81Bhagvān tō svarg kā rachayitā hai nā .

92Why are we still in the iron age?

82Ham bhagvān key|kī santān haĩ tō ham svarg mē̃ kyō̃ nahī̃ haĩ  !

93The Supreme Father, the Supreme Soul, creates a new world.

83Kaliyug mē̃ kyō̃ paṛē haĩ  ?

94God would not create an old world!

84Parampitā paramātmā tō naī duniyā rachtē haĩ .

95First, He creates a new world and then He demolishes the old one.

85Purānī duniyā thōṛēhī bhagvān rachtē haĩ .

96You know that you are claiming your kingdom for the golden age.

86Pahlē naī duniyā banātē haĩ .

97Who would there be in the golden age?

87Uskē bād phir purānī kō tōṛē̃gē .

98It would be the dynasty of Lakshmi and Narayan.

88Tum jāntē hō ham satyug kē liē rājya lē rahē haĩ . 89Satyug mē̃ kaun hōṅgē  ?

99There would be other kings too and the symbol of them is the rosary of victory.

90In lakṣhmī-nārāyaṇ key|kī dynasty hōgī aur bhī tō rājāyē̃ hōṅgē nā .

100The Father knows we are now making effort to be threaded on the rosary of victory.

91Jiskī niśhānī hai vijay mālā . 92Bachchē jāntē haĩ abhī ham vijaymālā mē̃ pirōnē kē liē puruṣhārth kar rahē haĩ .

101No one in the world knows the meaning of the rosary or why it is worshipped. 102Who does the tassel at the top represent?

93Duniyā mē̃ mālā kā arth|earth kōī nahī̃ jāntē ki yah kyō̃ pūjī jātī hai , ūpar mē̃ fool|phūl kaun hai  ?

103They continue to turn the beads of a rosary and then salute the tassel and continue to turn the beads of that rosary again.

94Mālā kō phērtē-phērtē phir fool|phūl kō namastē kartē haĩ phir mālā phērē̃gē . 95Mālā baiṭh simartē haĩ ki kahā̃ bāhar khyālāt na jāyē̃ .

104They sit and turn the beads of a rosary and make sure, by internally chanting Rama’s name, that their thoughts don't wander anywhere else.

96Andar rām-rām key|kī dhun lagātē haĩ , jaisē bājā bajtā hai .

105It is as though a harmonium is playing inside them.

97Bahut practice kartē haĩ .

106They practise this a great deal.

98Yah sab haĩ bhakti mārg key|kī bātē̃ .

107All of those things belong to the path of devotion.

99Hā̃ bahut bhakti karnē vālē sirph kōī vikarma nahī̃ karē̃gē .

108Yes, those who have performed a lot of devotion will not perform sinful actions.

100Bahut bhakti karnē vālē kē liē samajhē̃gē ki yah satyavādī hōgā .

109Those who do a lot of devotion are considered to be very honest and righteous.

101Mandir mē̃ mālā rakhī hōgī , mālā phērtē mukh sē rām-rām kahtē rahē̃gē .

110They would have a rosary in their temple which they turn while continuing to chant Rama’s name.

102Bahut lōg samajhtē haĩ bhakti mē̃ pāp nahī̃ hōtā .

111Many people understand that there is no sin in devotion.

103Kahtē haĩ naudhā bhakti sē manuṣhya mukt hō jātē haĩ .

112They say that people can attain liberation by performing intense devotion.

104Parantu hōtā kuchh bhī nahī̃ .

113However, nothing happens.

105Yah ēk nāṭak hai . 106Usmē̃ satōpradhān , satō , rajō , tamō mē̃ sabkō ānā hī hai .

114This is just a play in which everyone has to become satopradhan, sato, rajo and tamo.

107Vāpis ēk kō bhī nahī̃ jānā hai .

115Not a single person can return home.

108Jaisē ūpar mē̃ jagah khālī hō jātī hai . 109Vaisē yahā̃ bhī bahut jagah khālī hō jāyēgī .

116Just as when it becomes empty up there, in the same way, there will be a lot of empty space left here too.

110Dēhlī K|kē āspās , mīṭhī nadiyō̃ par rājdhānī hōtī hai .

117Your kingdom will be by the banks of the sweet river of Delhi.

111Samudra key|kī taraph nahī̃ hōtī hai .

118It won't be by the sea.

112Yah bāmbē ādi hōṅgē nahī̃ .

119Even Bombay etc. won’t exist.

113Vah tō pahlē macchīmayānī thī . 114Machhlī phãsānē vālē vahā̃ rahtē thē .

120Previously, it was a fishing bay, where fishermen lived.

115Abhī tō samudra kō kitnā sukhāyā hai .

121They have reclaimed so much land from the sea.

116Phir bhī macchīmayānī hōgī .

122There will be a fishing bay there again.

117Satyug mē̃ tō bāmbē hōtī nahī̃ .

123Bombay will not exist in the golden age.

118Vahā̃ kōī pahāṛiyā̃ ādi bhī nahī̃ hōtī .

124There won't be any mountains etc.

119Kahā̃ jānē key|kī darkār hī nahī̃ hōtī .

125There won't be any need to go anywhere.

120Yahā̃ manuṣhya thaktē haĩ tō jātē haĩ rest lēnē .

126Here, when people become tired, they go to take a rest somewhere.

121Satyug mē̃ thaknē karnē key|kī kōī prakār key|kī taklīph nahī̃ hōtī , tum svargvāsī ban jātē hō .

127There isn’t the discomfort of being tired about anything in the golden age. 128You become residents of heaven!

122Riñchak bhī taklīph nahī̃ hōtī .

129There isn't the slightest discomfort.

123Tō ab bachchō̃ kō bāp key|kī śhrīmat par chalnā hai .

130Therefore, you children now have to follow the Father’s shrimat.

124Bāp kahtē haĩ - mīṭhē lāḍlē bachchō̃ , śharīr nirvāh arth|earth dhandhā ādi tō karnā hai .

131The Father says: Sweetest, beloved children, you have to look after your bodies and carry out your businesses etc.

125School mē̃ student paṛhkar phir ghar mē̃ jākar paṛhtē haĩ . 126Ghar kā kāmkāj bhī kartē haĩ .

132Students study at school and then go home and study further and they also help with the housework.

127Yah bhī aisē hai .

133It is the same here too.

128Is paṛhāī mē̃ tō tumkō kōī taklīph nahī̃ hai .

134You don't have any difficulty in this study.

129Us paṛhāī mē̃ kitnī subject hōtī haĩ .

135There are so many subjects in those studies.

130Yahā̃ tō ēk paṛhāī aur ēk hī point hai - manmanābhav , issē tumhārē pāp nāśh hōṅgē .

136Here, there is just one study and just one point: Manmanabhav! 137Your sins will be absolved through this. 138God speaks.

131Bhagvānuvāch hai nā , vah samajhtē haĩ gītā  ; bhagvān nē dvāpar mē̃ sunāī .

139People think that God spoke the Gita in the copper age, but why would He speak the Gita in the copper age?

132Parantu dvāpar mē̃ sunākar kyā karē̃gē  ?

140There is a very good explanation in the picture of Krishna.

133Kr̥iṣhṇa K|kē chitra mē̃ likhat bahut achchhī hai .

141This war is just instrumental.

134Yah laṛāī tō ēk nimitt hai . 135Sab marē̃gē tab tō vāpis mukti-jīvanmukti mē̃ jāyēṅgē .

142Everyone has to die, for only then can they go back to the land of liberation and the land of liberation-in-life.

136Sō bhī sirph laṛāī mē̃ thōṛēhī marē̃gē  !

143People won’t only die in the war.

137Anēk prakār key|kī calamities hōṅgī .

144There will also be many types of calamity.

138Bachchō̃ kō kōī duḥkh nahī̃ hōnā chāhiē .

145You children should not experience any sorrow.

139Manuṣhya kā heart fail hōtā hai tō usmē̃ kōī duḥkh nahī̃ hōtā hai .

146When a person has heart failure, he doesn't experience sorrow.

140Maut hō tō aisā . 141Baiṭhē-baiṭhē heartfail huā khalās . 142Jab tak doctor āyē ātmā nikal jātī hai .

147That is how death should be - just suddenly having heart failure without cause so that, by the time the doctor arrives, the soul has already left.

143Ab tō sabkā maut hōnā hai .

148Now, everyone is to die.

144Pichhāṛī mē̃ na hospital , na doctor rahē̃gē . 145Na kriyākarma karnē vālē rahē̃gē .

149At the end, there won't be any hospitals, doctors or anyone else to carry out the final ceremonies.

146Kuchh bhī nahī̃ hōgā .

150None of those will remain.

147Sabkē prāṇ tan sē nikalē̃gē .

151Everyone's soul will leave the body.

148Mūsaldhār barsāt paṛēgī .

152There will be torrential rainfall.

149Maut mē̃ kōī dēr thōṛēhī lagēgī .

153Death doesn't take time.

150Kōśhiśh kar rahē haĩ - aisē bombs banāyē̃ jō manuṣhya phaṭ sē mar jāyē̃ .

154They are developing bombs that will kill people instantly.

151Aisē-aisē bombs banātē rahtē haĩ . 152Bombs key|kī improvement kartē rahtē haĩ .

155They continue to manufacture such bombs and continue to refine them.

153Yah drama mē̃ nūndh hai .

156This is fixed in the drama.

154Drama mē̃ banā-banāyā khēl hai , kalp-kalp vināśh hōtā hai .

157This play is predestined in the drama. 158Destruction takes place every cycle.

155Satyug mē̃ tumkō yah gyān rahēgā nahī̃ .

159You won't have this knowledge in the golden age.

156Bāp kō hī ākar gyān dēnā hai .

160The Father has to come to give you knowledge.

157Sthāpanā hō gaī phir gyān key|kī bāt hī nahī̃ rahtī .

161Once establishment has taken place, there is no question of knowledge.

158Phir jab rāvaṇ rājya śhurū hōtā hai tō bhakti śhurū hōtī hai .

162Then, when the kingdom of Ravan starts, devotion also starts.

159Ab bhakti pūrī hōtī hai , ab tumkō yōgbal sē pāvan bannā hai .

163Devotion has now come to an end. 164You now have to become pure with the power of yoga.

160Pāvan bannē sē hī sukhdhām śhāntidhām mē̃ jā saktē haĩ .

165It is only by becoming pure that you will be able to go to the land of peace and the land of happiness.

161Chart rakhnā paṛē .

166You have to keep a chart.

162Yah tō samajh gayē hō - hamkō bāp kō yād kar tamōpradhān sē satōpradhān yahā̃ bannā hai .

167You understand that you have to remember the Father and become satopradhan from tamopradhan here.

163Aisē kōī śhāstra ādi mē̃ likhā huā nahī̃ hai .

168This is not written in any of the scriptures.

164Bachchō̃ nē gīt sunā - ākhir vah din āyā āj . . . jabki bhāratvāsī phir rājāō̃ K|kē rājā bantē haĩ .

169You children heard the song: At last the day for which we had been waiting has come, when the people of Bharat become kings of kings.

165Rājāō̃ K|kē rājā athavā mahārājā bantē haĩ .

170They become kings of kings, that is, they become emperors.

166Pīchhē trētā mē̃ hōtē haĩ - rājā-rānī .

171Then, in the silver age, they are kings and queens.

167Phir jō pūjya mahārājā-mahārānī thē , vah dvāpar mē̃ vām mārg mē̃ ākar pujārī ban jātē haĩ .

172Then, when they go into the copper age and onto the path of sin, those who had been worthy-of-worship emperors and empresses become worshippers.

168Āpēhī pūjya āpēhī pujārī hō jātē haĩ .

173They themselves had been worthy of worship and then became worshippers.

169Bāp kahtē haĩ maĩ pujārī nahī̃ bantā hū̃ .

174The Father says: I do not become a worshipper.

170Dēvtāyē̃ pūjya hōtē haĩ , maĩ nahī̃ bantā .

175Deities are worthy of worship, but I don’t become that.

171Na hī pujārī bantā hū̃ .

176I do not become a worshipper either.

172Bhāratvāsī dēvī-dēvatāō̃ K|kē hī mandir banākar unkā pūjan kartē haĩ .

177The people of Bharat make temples to the deities and worship them.

173Lakṣhmī-nārāyaṇ jō pahlē pūjya thē phir bhakti mārg mē̃ vahī śhivbābā K|kē pujārī bantē haĩ .

178Lakshmi and Narayan are worthy of worship at the beginning and then, on the path of devotion, they become worshippers of Shiv Baba.

174Jis śhivbābā nē mahārājā-mahārānī banāyā , unkē phir mandir banākar pūjā kartē haĩ .

179People also build temples to Shiv Baba, the One who made Lakshmi and Narayan into an emperor and empress, and worship Him.

175Vikārī bhī kōī phaṭ sē nahī̃ bantē haĩ . 176Āhistē-āhistē bantē haĩ .

180No one becomes vicious instantly; they become like that gradually.

177Niśhānī bhī dēvtāō̃ key|kī vām mārg mē̃ dikhātē haĩ .

181They have shown signs of the deities on the path of sin.

178Jō pūjya lakṣhmī-nārāyaṇ thē vahī phir pujārī ban jātē haĩ .

182Worthy-of-worship Lakshmi and Narayan then become worshippers.

179Pahlē-pahlē śhiv kā mandir banātē haĩ .

183At first, they build a temple to Shiva.

180Us samay tō hīrō̃ kō kaṭ karāē liṅg banātē haĩ , pūjā kē liē .

184At that time they cut a diamond and make a Shivalingam out of it to be worshipped.

181Yah kiskō bhī patā nahī̃ hai ki paramātmā chhōṭī see|sī|C bindī hai .

185No one knows that God is just a tiny point.

182Yah tum abhī samajhtē hō ki baṛā liṅg nahī̃ hai .

186You now understand He is not a big oval image.

183Mandir tō bahut banāyēṅgē .

187People will build many temples.

184Rājā kō dēkh prajā bhī aisē karēgī .

188Seeing the kings do this, people do the same.

185Pahlē-pahlē śhivbābā key|kī pūjā hōtī hai . 186Unkō kahā jātā hai avyabhichārī satōpradhān pūjā phir satō rajō tamō mē̃ ātē haĩ .

189At first, only Shiv Baba is worshipped and that is called unadulterated, satopradhan worship and you then go through the stages of sato, rajo and tamo.

187Tum rajō tamō mē̃ āyē hō tō nām hī hindū rakh diyā hai . 188Asul thē dēvī-dēvtāyē̃ .

190You came into the rajo and tamo stages and so you called yourselves Hindus, but you were originally deities.

189Bāp kahtē tum asul dēvī-dēvtā dharm K|kē hō .

191The Father says: Originally, you belong to the deity religion.

190Parantu tum bahut patit ban gayē hō , isliē apnē kō dēvtā kahlā nahī̃ saktē hō kyōṅki apavitr hō .

192However, you have become very impure and, because you are impure, you can no longer call yourselves deities.

191Hindū nām tō bahut dērī sē rakhtē haĩ .

193The name “Hindu” came a long time later.

192Abhī tum samajhtē hō ham sō pūjya thē , abhī saṅgamyug par na pūjya haĩ , na pujārī haĩ .

194You now understand you were worthy of worship, but that now, at the confluence age, you are no longer worthy of worship or worshippers.

193Tum kyā kartē hō  ?

195What are you doing?

194Śhrīmat par pūjya ban rahē hō , aurō̃ kō bhī banā rahē hō .

196You are becoming worthy of worship according to shrimat.

195Tum hō brāhmaṇ , tumhārī ātmā pavitra hōtī jātī hai .

197You are also making others the same. 198You are Brahmins. 199You souls are continuing to become pure.

196Pūrā pavitra hōṅgē tō yah purānā chōlā chhōṛnā paṛēgā .

200When you become completely pure, you will have to leave your old costumes.

197Bāp kahtē haĩ bilkul sahaj hai .

201The Father says: This is very easy.

198Būṛhī mātāō̃ kō dhārṇā nahī̃ hōtī hai .

202You old mothers are unable to imbibe this.

199Bāp kahtē haĩ - yah tō samajhtē hō ki ham ātmā haĩ .

203Therefore, the Father asks: Do you at least understand that you are souls?

200Ātmā mē̃ hī achchhē vā burē saṅskār hōtē haĩ .

204It is souls that have good or bad sanskars.

201Ātmā nē jō karma kiyā vah dūsrē janm mē̃ bhōgnā hōtā hai .

205In their next birth, souls suffer for the actions they perform now.

202Bāp bhī ātmāō̃ sē bāt kartē haĩ .

206The Father speaks to souls.

203Bāp kahtē haĩ - hē bachchē ātma-abhimānī banō .

207He says: Children, become soul conscious!

204Nirākār śhivbābā nirākārī ātmāō̃ kō paṛhātē haĩ .

208Incorporeal Shiv Baba is teaching incorporeal souls.

205Nirākār bābā mē̃ gyān K|kē saṅskār haĩ .

209Incorporeal Baba has sanskars of knowledge.

206Śharīr tō unkō hai nahī̃ .

210He doesn't have a body.

207Tō vah gyān kā sāgar , patit-pāvan hai .

211He is the Ocean of Knowledge and the Purifier.

208Unmē̃ sab guṇ haĩ .

212He has all virtues.

209Bāp kahtē haĩ maĩ ākar tum bachchō̃ kō pāvan banātā hū̃ .

213The Father says: I come and purify you children. 214This method is so easy!

210Yukti kitnī sahaj hai .

215There is just one word: Manmanabhav!

211Akṣhar hī ēk hai manmanābhav , māmēkam yād karō .

216It means: Constantly remember Me alone!

212Yād sē hī tumhārē vikarma vināśh hōṅgē .

217It is only by having remembrance that your sins will be absolved.

213Yah bhī jāntē hō - abhī ham brāhmaṇ haĩ . 214Phir sūryavanśhī , chandravanśhī , vaiśhya , śhūdra vãnśhī banē̃gē .

218You also know you are now Brahmins and you will then become part of the sun, moon, merchant and shudra dynasties.

215Ham hī is 84 K|kē chakra mē̃ āyēṅgē .

219We will go around the cycle of 84 births.

216Ūpar sē nīchē utarē̃gē phir bābā āyēṅgē .

220We will come down from the top and then Baba will come.

217Barōbar yah sr̥iṣhṭi kā chakra phirtā rahtā hai .

221This world cycle truly continues to turn.

218Sr̥iṣhṭi yah purānī hōtī hai tō phir bābā ātē haĩ naī banānē .

222When this world becomes old, Baba comes to make it new.

219Yah tō buddhi mē̃ baiṭhtā hai nā .

223This is in your intellects, is it not?

220Yah chakra buddhi mē̃ phirnā chāhiē .

224This cycle should turn around in your intellects.

221Ab tum svadarśhan chakradhārī bantē hō , jissē phir jākar chakravartī rājā banē̃gē .

225You are now becoming spinners of the discus of self-realisation after which you will become rulers of the globe.

222Achchhā  !

226Achcha.

223Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .

227To the sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

224Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

228The spiritual Father says namaste to the spiritual children.

Essence for dharna

225Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

229Essence for dharna:

2261 ) śhrīmat par pūjya bannā hai .

230 1. Become worthy of worship by following shrimat.

227Ātmā mē̃ jō burē saṅskār ā gayē haĩ usē gyān yōg sē samāpt karnā hai .

231Finish the bad sanskars in your soul with knowledge and yoga.

228Sampūrṇ nirvikārī bannā hai .

232Become completely viceless.

2292 ) śharīr nirvāh arth|earth karma kartē bhī paṛhāī paṛhnī aur paṛhānī hai .

233 2. While doing everything for the livelihood of your body, study and also teach others.

230Yōgbal sē pāvan ban rājāī pad lēnā hai .

234Become pure with the power of yoga and claim a royal status.

Blessing

231Vardān  : gam key|kī duniyā sāmnē hōtē huē bhī bēgampur key|kī bādśhāhī kā anubhav karnē vālē aṣhṭ śhakti svarūp bhav

235Blessing: May you become an embodiment of the eight powers and experience the sovereignty of the land that is free from sorrow while having the world of sorrow in front of you.

232Gam aur bēgam key|kī abhī hī knowledge hai , gam key|kī duniyā sāmnē hōtē bhī sadā bēgampur K|kē bādśhāhī kā anubhav karnā - yahī aṣhṭ śhakti svarūp , karmēndriy jīt bachchō̃ key|kī niśhānī hai .

236 It is only now that you have the knowledge of sorrow and being free from sorrow. 237While the world of sorrow is in front of you, constantly experience the sovereignty of the land free from sorrow. 238This is a sign of the children who are embodiments of the eight powers and who are conquerors of their physical senses.

233Abhī hī bāp dvārā sarvśhaktiyō̃ key|kī prāpti hōtī hai lēkin agar kōī na kōī saṅgdōṣh vā kōī karmēndriy K|kē vaśhībhūt hō apnī śhakti khō lētē hō tō jō bēgampur kā naśhā vā khuśhī prāpt hai vah svataḥ hī khō jātī hai .

239It is only now that you receive all the powers from the Father. 240If you lose any power due to the influence of bad company or by being influenced by your physical senses, the intoxication and happiness of the land free from sorrow that you have received will then automatically be lost.

234Bēgampur K|kē bādśhāh bhī kaṅgāl ban jātē haĩ .

241You, the emperor of the land that is free from sorrow, will then become bankrupt.

Slogan

235Slōgan  : dr̥iṛhtā kī śhakti sadā sāth hō tō saphaltā galē kā hār hai .

242Slogan: Let the power of determination always be with you and success will then be garlanded around your neck.

243*** Om Shanti ***