शनिवार 28 अगस्त 2021 की दैनिक मुरली

ध्यान दें: वाक्यों का संरेखण अक्षरों की संख्या पर आधारित है और पूरी तरह विश्वसनीय नहीं है।

आप पूरी मुरली या उसके किसी भाग का वाक्य संरेखण स्वयं सुधार सकते हैं।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

028-08-2021 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

0 28/08/21 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē bachchē - sunī sunāī bātō̃ par viśhvās nahī̃ karō , agar kōī ulṭī sulṭī bātē̃ sunāyē tō ēk kān sē sun dūsrē sē nikāl dō ' '

1Essence: Sweet children, do not believe any gossip you hear. 2If someone tells you wrong things, let them in one ear and out of the other.

Question

2Praśhna  : jō bachchē gyān key|kī khuśhī mē̃ rahtē haĩ unkī niśhānī kyā hōgī  ?

3Question: What are the signs of children who maintain the happiness of knowledge?

Answer

3Uttar  : vē|way purānē karmabhōg kā hisāb-kitāb us khuśhī mē̃ merge kartē jāyēṅgē .

4Answer: They continue to merge their karmic accounts of suffering for their past actions in happiness. 5When you have the happiness of knowledge, you forget the world of pain, sorrow and suffering.

4Gyān key|kī khuśhī mē̃ duḥkh dard , gam key|kī duniyā hī bhūl jātī hai .

6Your intellects are aware that you are now going to the world of happiness.

5Buddhi mē̃ rahtā ab tō ham khuśhī key|kī duniyā mē̃ jā rahē haĩ .

7Ravan cursed you and caused you sorrow.

6Rāvaṇ nē śhrāpit kar duḥkhī kiyā , ab bāp āyē haĩ us duḥkh key|kī , gam key|kī duniyā sē nikāl khuśhī key|kī duniyā mē̃ lē jānē .

8The Father has now come to remove you from this world of sorrow and suffering and take you to the world of happiness.

Song

7Gīt  : tumhē̃ pākē hamnē …

9Song: Having found You, we have found the whole world. 10The earth, the sky – everything belongs to us.

Murli

8Ōm śhānti .

11Om shanti.

9Mīṭhē-mīṭhē rūhānī bachchō̃ nē gīt sunā .

12You sweetest, spiritual children heard the song.

10Jarūr bachchō̃ K|kē rōmāñch khaṛē hō jānē chāhiē kyōṅki gāyā jātā hai khuśhī jaisī khurāk nahī̃ .

13You children should surely have goose pimples because it is said that there is no nourishment like that of happiness.

11Abhī tum sabhī rūhānī bachchō̃ kō bēhad kā bāp milā hai .

14All of you spiritual children have now found the unlimited Father.

12Bēhad kā bāp tō ēk hī hōtā hai aur bachchē jāntē haĩ jab aur bachchē banē̃gē tō unhō̃ K|kē bhī rōmāñch khaṛē hōṅgē .

15There is only the one unlimited Father and you children know that when others belong to the Father and become His children, they too will have goose pimples.

13Tum jāntē hō hamārā rājya thā phir rājya ganvāyā , ab phir rājya lētē haĩ .

16You children know that you had a kingdom and that you then lost it. 17You are now claiming a kingdom once again.

14Bhāratvāsiyō̃ kē liē yah khuśhkhabarī hai nā .

18This is good news for the people of Bharat.

15Parantu jabki achchhī rīti sunē̃ aur samajhē̃ .

19However, that is only when they listen to this and understand it very well.

16Barōbar yah khuśhī key|kī bāt hai nā , kalp-kalp bāp ātē haĩ .

20This is truly a matter of happiness. 21The Father comes every cycle.

17Bāp kā janm bhī yahā̃ gāyā jātā hai .

22The birth of the Father is remembered here.

18Tyōhār bhī jō haĩ sab is samay K|kē haĩ .

23All the festivals are of this time.

19Bāp nē ākar tumkō bahut sahaj rāstā batāyā hai .

24The Father has come and shown you a very easy path.

20Manuṣhyō̃ kō tō anēk prakār K|kē gam haĩ , yahā̃ is gyān key|kī khuśhī mē̃ vah gam duḥkh ādi sab merge hō jātē haĩ .

25People have so many different types of sorrow. 26When you have the happiness of this knowledge, all pain and sorrow become merged.

21Jaisē kōī bīmār ṭhīk hōnē par ātā hai tō sabkō khuśhī hōtī hai . 22Bīmārī ādi duḥkh key|kī bātē̃ jaisē bhūl jātī haĩ .

27When someone who has been ill is close to full recovery, everyone feels very happy; the illness and sorrow are forgotten.

23Piyarghar , sasurghar , mitr sambandhī ādi sab khuśhī mē̃ ā jātē haĩ .

28The members of their own family, their in-laws and friends, all become happy.

24Tum bachchē jāntē hō ham sab viśhva K|kē mālik thē phir rāvaṇ nē śhrāp diyā hai .

29You children know that all of you were the masters of the world and that Ravan then cursed you.

25Yah hai gam key|kī , duḥkh key|kī duniyā .

30This is the world of pain and sorrow.

26Phir kal hōgī khuśhī key|kī duniyā .

31Then, tomorrow, it will be the world of happiness.

27Khuśhī key|kī duniyā yād rahnē sē gam duḥkh ādi sab bhūl jānē chāhiē .

32When the world of happiness is remembered, all sorrow and suffering are forgotten.

28Yah hai tamōpradhān duniyā .

33This is the tamopradhan world.

29Bhinn-bhinn prakār kā karmabhōg hai .

34There are different types of suffering of karma.

30Ablāō̃ par bhī kitnē atyāchār hōtē haĩ .

35There are so many assaults against innocent ones.

31Anēk prakār K|kē vighna ātē haĩ .

36Many types of obstacles come.

32Yah vighnō̃ K|kē , karmabhōg K|kē din bākī thōṛā samay hai .

37These obstacles and these days of the suffering of karma will last for just a short while longer.

33Bāp dhīraz dētē haĩ , bākī thōṛē rōz haĩ .

38The Father gives you patience: only a few more days remain.

34Kalp pahlē bhī huā thā .

39This also happened in the previous cycle.

35Karmabhōg kā hisāb-kitāb chuktū hōnā hai .

40The accounts of the suffering of karma have to be settled.

36Khuśhī mē̃ yah sab merge kartē jāō .

41Continue to merge all of them in happiness.

37Bas bāp aur varsē kō yād kartē rahō .

42Simply continue to remember the Father and the inheritance.

38Ulṭā-sulṭā kōī bhī kām mat karō .

43Don't perform wrong actions.

39Nahī̃ tō aur hī daṇḍ paṛ jātā hai , pad bhraṣhṭa hō jātā hai .

44Otherwise, there will be even greater punishment and the status will be destroyed.

40Bachchō̃ kā kām hai ēk bāp kō yād karnā .

45It is the children's duty to remember the one Father.

41Bāp kahtē haĩ - mujhē yād karō tō tumhārē vikarma vināśh hō jāyēṅgē .

46The Father says: Remember Me and your sins will be absolved.

42Hisāb-kitāb chuktū hō jāyēgā .

47Your karmic accounts will be settled.

43Bākī thōṛā samay hai , hisāb-kitāb chuktū kartē jāō kyōṅki tum hō andhō̃ kī lāṭhī .

48A very short time remains. 49Continue to settle your karmic accounts because you are sticks for the blind.

44Tum bhī yād karō , dūsrō̃ kō bhī rāstā batāō .

50Remember this and also continue to show others the path.

45Vighna tō bahut paṛē̃gē .

51Many obstacles will come.

46Jitnā hō sakē , sabkō yah samjhātē rahō ki bāp kō yād karō .

52As much as possible, continue to tell everyone to remember the Father.

47Akṣhar bhī nāmīgrāmī haĩ .

53These words are very well known.

48Manmanā-bhav arthāt hē ātmāyē̃ māmēkam yād karō tō tumhārē past K|kē vikarma bhasma hōṅgē .

54“Manmanabhav” means: O souls, constantly remember Me alone and your past sins will be burnt away.

49Ismē̃ mūnjhnē key|kī tō bāt hī nahī̃ .

55There is no question of being confused about this.

50Sirph bāp kō yād karō tō tamōpradhān sē satōpradhān ban jāyēṅgē .

56Simply remember the Father and you will become satopradhan from tamopradhan.

51Tum jāntē hō hamnē 84 kā chakra lagāyā hai .

57You know that you have been around the cycle of 84 births.

52Chakra lagātē āyē haĩ , lagātē rahē̃gē .

58You have continued to go around the cycle and will continue to do so.

53Yah hai purānī duniyā , purānā chōlā . . . . inkō bhūl jānā hai .

59This is the old world and these are old costumes. 60Forget these!

54Yah hai ātmāō̃ kā bēhad kā sannyās .

61This is unlimited renunciation of souls.

55Unhō̃ kā hai had kā sannyās , gharbār chhōṛ jātē haĩ .

62Their renunciation is limited; they just leave their homes and family.

56Unhō̃ kā bhī drama mē̃ part hai . 57Phir bhī aisē hī hōgā .

63Those are their parts in the drama and they will repeat again.

58Second-second jō pās|pass huā sō drama phir vahī drama repeat hōgā .

64Every second that passes is the drama. 65Then, that same drama will repeat again.

59Śhāstra sab haĩ bhaktimārg K|kē pustak .

66All the scriptures are books of the path of devotion.

60Bhakti kē bād hai gyān .

67After devotion, there is knowledge.

61Is sīṛhī K|kē chitra par kiskō bhī samjhānā bahut sahaj hai .

68It is very easy to explain the picture of the ladder to anyone.

62Mukhya jō chitra haĩ vah apnē ghar mē̃ bhī rakh saktē hō .

69You can put up the main pictures in your home.

63Trimūrti bhī baṛā clear hai .

70The Trimurti is very clear.

64Ūpar mē̃ śhiv bhī hai .

71At the top is Shiva.

65Brahmā , viṣhṇu , śhaṅkar bhī hai , sūkṣhmavatan vāsī phir ūñch tē ūñch hai bhagvān .

72Brahma, Vishnu and Shankar are residents of the subtle region, and then there is God, the Highest on High.

66Bachchē bhī samajhtē haĩ jahā̃ bāp rahtē haĩ vah hai ham ātmāō̃ K|kē rahnē kā sthān , jiskō nirvāṇdhām kahō athavā śhāntidhām kahō - bāt ēk hī hai .

73You children know that the place where the Father resides is also the residence of you souls. 74Whether you call it the land of nirvana or the land of peace, it is the same thing.

67Śhāntidhām nām ṭhīk hai athavā nirvāṇdhām arthāt vāṇī sē parē dhām , vah śhāntidhām hī hō gayā .

75The name, ‘land of peace’ is correct, and ‘the land of nirvana’ means the land beyond sound, which means, the land of silence.

68Vah śhāntidhām phir hai sukh aur śhānti sampatti dhām .

76That is the land of peace and then there is the land of happiness, peace and prosperity.

69Phir hōtā hai duḥkh aur aśhāntidhām .

77Then, there is the land of sorrow and peacelessness.

70Sukhdhām mē̃ tō kārūn kē khajānē hōtē haĩ athāh .

78In the land of happiness there are limitless treasures.

71Āj kyā hai , kal kyā hōgā .

79What is it today and what will it be tomorrow?

72Āj kaliyug kā ant , kal hōgā satyug kā ādi .

80Today, it is the end of the iron age and tomorrow it will be the start of the golden age.

73Rāt din kā fark hai nā .

81There is the difference of night and day.

74Kahtē bhī haĩ brahmā aur brahmā mukh vaṅśhāvalī brāhmaṇō̃ kā din aur phir rāt .

82It is said: the day and night of Brahma and the Brahmins, the mouth-born creation of Brahma.

75Din mē̃ haĩ dēvtāyē̃ .

83Deities exist in the day and shudras exist in the night.

76Rāt mē̃ haĩ śhūdra .

84You Brahmins are in the middle.

77Bīch mē̃ hō tum brāhmaṇ .

85No one knows about this confluence age.

78Is saṅgamyug kā kiskō patā nahī̃ hai .

86Human beings are in extreme darkness.

79Manuṣhya tō bilkul hī ghōr andhiyārē mē̃ haĩ .

87It is the duty of you children to take everyone into extreme light.

80Tō ghōr sōjharē mē̃ lē ānā tum bachchō̃ kā pharja hai .

88The same Mahabharat War is in front of you.

81Abhī sāmnē vahī mahābhārat laṛāī hai . 82Gāyā huā bhī hai - vināśh kālē viprīt buddhi vinaśhantī . 83Vināśh kālē prīt buddhi vijayantī .

89It is remembered that those who have non-loving intellects at the time of destruction are led to destruction, whereas those who have loving intellects at the time of destruction are led to victory.

84Tum bachchē jāntē hō bābā hamkō phir sē vahī rājāī dētē haĩ .

90You children know that Baba is once again giving you the same kingdom.

85Vah hamārī rājāī kōī chhīn na sakē .

91No one can snatch that kingdom away from us.

86Rāvaṇ key|kī pravēśhtā tō hōgī dvāpar sē .

92Ravan began to exist in the copper age.

87Rāvaṇ nē hamārī rājāī chhīnī hai , jiskō duśhman hī samjhō kyōṅki duśhman kā hī effigy banākar jalātē haĩ .

93Ravan snatched away our kingdom. 94Therefore, consider him to be your enemy. 95Only an enemy’s effigy is made and burnt.

88Yah bahut purānā duśhman hai .

96He is a very old enemy.

89Kahtē bhī haĩ - rāvaṇ rājya parantu kiskī buddhi mē̃ nahī̃ ātā hai .

97Although it is said that this is the kingdom of Ravan, it doesn't enter anyone's intellect.

90Tō ghōr andhiyārā kahē̃gē nā .

98Therefore, this is called extreme darkness.

91Bēhad kā bāp hai knowledgeful .

99The unlimited Father is knowledge-full.

92Unkō gyān kā dātā , divya chakṣhu vidhātā kahtē haĩ .

100He is called the Bestower of Knowledge, the Bestower of the Divine Eye.

93Abhī tum ātmāō̃ kō gyān kā tīsrā nētra milā hai .

101Now, each of you souls has each received a third eye of knowledge.

94Āgē tō kuchh nahī̃ jāntē thē .

102Previously, you didn't know anything.

95Ab sab jān gayē hō .

103You now know everything.

96Bāp gyān kā sāgar hai tō jarūr gyān sunāyēṅgē nā .

104The Father is the Ocean of Knowledge and so He would definitely speak knowledge, would He not?

97Gyān sunānē bigar siddha kaisē hō  !

105How can the knowledge be revealed unless He speaks it?

98Tum dēkhtē hō bāp gyān sunātē haĩ , jis gyān sē phir ādhākalp sadgati hōtī hai .

106You see that the Father gives you knowledge through which there is salvation for half the cycle.

99Bhakti kō hī ādhākalp chalnā hai .

107Devotion has to continue for half the cycle.

100Gyān sē sadgati saṅgam par hī hōtī hai .

108Only at the confluence age does salvation take place through knowledge.

101Kōī bhī bāt bachchō̃ key|kī kab chhip nahī̃ saktī .

109Nothing of the children can ever remain hidden.

102Bāp kahtē haĩ - kōī bhī burā kām hō jāē tō batāō .

110The Father says: Whenever you perform any wrong action, tell the Father.

103Bābā jāntē haĩ kaīyō̃ sē burē karma hōtē rahtē haĩ .

111Baba knows that many continue to perform bad actions.

104Rāvaṇ rājya hai nā .

112This is the kingdom of Ravan.

105Māyā chamāṭ mārtī hai , parantu chhipātē haĩ bahut .

113Maya slaps you. 114Nevertheless, many continue to hide everything.

106Bābā kahtē haĩ kōī bhī bhūl hōtī hai tō phauran batlānē sē āgē kē liē yukti milēgī .

115Baba says: Whenever you make a mistake, tell Baba about it instantly and Baba will then show you a way to be saved from it in the future.

107Nahī̃ tō vr̥iddhi hōtī jāyēgī .

116Otherwise, it will continue to increase.

108Kām mahāśhatru hai .

117Lust is the greatest enemy.

109Bābā kō likhtē haĩ - bābā māyā kā bahut opposition hōtā hai .

118Some write to Baba: Baba, there is a lot of opposition from Maya.

110Sadaiv tō kiskā yōg nahī̃ rahtā jō māyā sē bach sakē .

119None of you has the constant yoga that enables you to remain safe from Maya.

111Dēh-abhimān bahut ātā hai .

120There is a lot of body consciousness.

112Bahut haĩ jō māyā K|kē thappaṛ khātē haĩ .

121Many are slapped by Maya.

113Bābā kē pās samāchār tō sab taraph sē ātē rahtē haĩ nā .

122Baba continues to receive news from everywhere.

114Akhbārō̃ ādi mē̃ tō ulṭā-sulṭā bhī kitnā ḍāl dētē haĩ .

123So many wrong stories are printed in the newspapers.

115Ājkal manuṣhya bātē̃ tō kitnī bhī banā saktē haĩ , tamōpradhān haĩ nā .

124Nowadays, people can make up so many stories. 125They are tamopradhan.

116Vyās key|kī jab rajō buddhi thī tō kyā-kyā bātē̃ baiṭh likhī haĩ .

126When Vyas had a rajo intellect, look what he wrote!

117Bāp bachchō̃ kō samjhātē haĩ sunī-sunāī bātō̃ par kabhī bhī viśhvās kar bigaṛō mat .

127The Father explains to you children: Don’t get upset by believing things you hear from others.

118Phalānē nē aisē kahā , yah kiyā . . . māthā hī phir jātā hai .

128“So-and-so said this and did this.” 129That spoils your head.

119Samajhtē nahī̃ tamōpradhān duniyā hai .

130They don’t understand that this is a tamopradhan world.

120Māyā girānē key|kī kōśhiśh karēgī .

131Maya will try to make you fall.

121Kōī bhī jhūṭh-mūṭh bātē̃ sunāyē tō ēk kān sē sun dūsrē sē nikāl dō .

132When anyone tells you false stories, let it in one ear and out of the other.

122Aurō̃ kō bhī yahī paigām dētē rahō .

133Continue to give this message to others.

123Bāp kahtē haĩ - maĩ paigām lē ātā hū̃ .

134The Father says: I bring a message.

124Ab hē ātmāyē̃ śhrīmat par chalō .

135O souls, now follow shrimat.

125Hamārā paigām sunō .

136Listen to My message.

126Sirph māmēkam yād karō .

137Simply constantly remember Me alone.

127Jō yād karē̃gē vah apnā hī kalyāṇ karē̃gē .

138Those who remember Me will benefit themselves.

128Yād ātmā kō karnā hai , bhūlī bhī ātmā hai .

139Souls have to remember because souls have forgotten.

129Ab bāp key|kī śhrīmat miltī hai , ismē̃ āśhīrvād vā rahm ādi kuchh bhī nahī̃ māṅgnā hai .

140You are now receiving the Father's shrimat. 141There is no question of asking for blessings or mercy in this.

130Sirph bāp kō yād karnā hai aur kōī bāt pūchhnē karnē key|kī bhī darkār nahī̃ hai .

142Simply remember the Father. 143There is no need to ask or do anything.

131Sr̥iṣhṭi kā chakra kaisē phirtā hai - yah tō sunā .

144You have also heard how the world cycle turns.

132Ismē̃ khiṭkhiṭ key|kī kōī bāt nahī̃ .

145There is no argument about it.

133Ghōr andhiyārē mē̃ hī bāp ātē haĩ isliē śhiv rātri manātē haĩ .

146The Father comes when there is extreme darkness. 147This is why the night of Shiva is celebrated.

134Kr̥iṣhṇa kā bhī janm rātri kō manātē haĩ .

148The birth of Krishna is also celebrated at night.

135Khīr-pūrī ādi mandirō̃ mē̃ bantī hai rāt kō .

149They make kheer (rice-pudding) and puris in the temples at night.

136Ab śhiv kē liē kyā banāyēṅgē  ?

150What would you make for Shiva?

137Vah tō hai nirākār .

151He is incorporeal.

138Kiskō patā bhī nahī̃ hai , bābā kis ghaṛī ātē haĩ aur kaisē chalē jātē haĩ .

152No one knows at what moment Baba comes or how He departs.

139Sadaiv tō savārī nahī̃ kartē haĩ .

153He doesn't stay in the chariot constantly.

140Āyēṅgē aur chalē jāyēṅgē .

154He comes and goes.

141Abhī tum jāntē hō ham śhivbābā K|kē pōtrē haĩ .

155You understand that you are now the grandchildren of Shiv Baba.

142Varsā unsē miltā hai .

156You receive the inheritance from Him.

143Brahmā kō bhī varsā unsē miltā hai .

157Even Brahma receives the inheritance from Him.

144Yah tō manuṣhya haĩ nā .

158He is a human being.

145Sadgati mē̃ pahlā number hai yah śhrīkr̥iṣhṇa .

159Shri Krishna is number one in claiming salvation.

146Yah sabkō pyārā hai kyōṅki satōpradhān bāl avasthā hai nā .

160He is loved by everyone because he is in the satopradhan childhood stage.

147Thōṛā baṛā hōtā hai tō unkō satō kahā jātā hai .

161When he grows a little older, his stage is said to be sato.

148Phir rajō tamō .

162Then, there are the rajo and tamo stages.

149Śhrīkr̥iṣhṇa rādhē hī phir lakṣhmī-nārāyaṇ bantē haĩ , jinkō bāp nē gyān diyā hai unkō hī dēgē .

163Shri Radhe and Krishna then become Lakshmi and Narayan. 164The Father gives knowledge to those He gave it to previously.

150Bhārat mē̃ hī dēvī-dēvtā hōkar gayē haĩ tō mandir bhī bhārat mē̃ bahut haĩ .

165Deities existed in Bharat. 166That is why there are many temples to them in Bharat.

151Kriściyan key|kī church mē̃ Christ hī Christ dēkhē̃gē .

167In the churches of the Christians you only see Christ.

152Dēvtāō̃ K|kē kitnē ḍhēr mandir haĩ .

168There are so many temples to the deities.

153Bāp āyē haĩ hamkō manuṣhya sē dēvtā banānē athavā bhārat kō svarg banānē .

169The Father has come to change you from humans into deities, that is, He has come to make Bharat into heaven.

154Ham bāp kō yād kar pāvan ban rahē haĩ .

170We are becoming pure by remembering the Father.

155Bāp kē sāth ham bhī bhārat kō svarg banā rahē haĩ .

171Along with the Father, we too are making Bharat into heaven.

156Jaisē ham bāp kē sāth āyē haĩ .

172It is as though we have come with the Father.

157Bhakti mārg mē̃ dēvtāō̃ K|kē mandir mūrtiyō̃ ādi par kitnā kharchā kar banātē haĩ .

173On the path of devotion, they incur so much expense creating temples and idols of the deities.

158Utpatti kar , pālnā kar , phir vināśh kar dētē .

174They create them, sustain them and then destroy them.

1599 rōz K|kē andar hī ḍūbō dētē haĩ .

175They sink those idols within nine days.

160Bahut unmē̃ prēm hōtā hai .

176They have a lot of love for them.

161Navrātri kalkattē mē̃ bahut manātē haĩ .

177In Calcutta they celebrate Navratri, the festival of nine nights (of the goddesses), a great deal.

162In sab bātō̃ par abhī wonder lagtā hai .

178You are now amazed at all of those things.

163Āgē tō ham bhī pārṭdhārī thē .

179Previously, we too used to take part in that.

164Karōṛō̃ rūpayā kharcha kartē haĩ .

180They spend tens of millions of rupees.

165Kitnī andhaśhraddhā hai .

181There is so much blind faith!

166Rāmāyaṇ sē kitnā pyār hōtā hai .

182They have so much love for the Ramayana, etc.

167Bātē̃ sunkar āṅkhō̃ sē āṅsū bahā dētē haĩ .

183They even shed tears listening to those stories.

168Yah sab hai bhakti mārg , issē phāydā kuchh nahī̃ .

184All of them belong to the path of devotion.

169Bābā ab hamkō kitnā samajhdār banātē haĩ .

185There is no benefit in them. 186Baba is now making us so sensible!

170Tō yah sab sunkar yahā̃ kā yahā̃ bhūl na jāō , sab bātē̃ yād karō .

187You hear all these things here, but you must not forget the things that you hear here. 188Remember everything!

171Pūrā refresh hōkar jāō .

189Become completely refreshed before you leave here.

172Apnē kō ātmā samajh dēh sahit jō kuchh dēkhtē hō sab bhūl jāō .

190Consider yourselves to be souls and forget everything you see, including your bodies.

173Yah sab kabristān hai .

191All of this is a graveyard.

174Dēhlī mē̃ biṛlā mandir mē̃ likhā huā hai - bhārat paristān thā , jō dharmarāj nē sthāpan kiyā thā .

192In the Birla temple (to Lakshmi and Narayan) in Delhi, it is written: Bharat was the land of angels and was established by Dharamraj.

175Abhī tum bachchē jāntē hō yah duniyā kabristān bannī hai .

193You children understand that this world is now to become a graveyard.

176Bāp kahtē haĩ - sab kām chitā par baiṭh ēkdam jal marē haĩ .

194The Father says: Everyone has been completely burnt away by sitting on the pyre of lust.

177Krōdh chitā nahī̃ kahī jātī . 178Kām chitā kahā jātā hai .

195It is not said, “the pyre of anger”, it is “the pyre of lust” that is said.

179Usmē̃ bhī halkā naśhā , semi naśhā bhī hōtā hai .

196There is slight intoxication or semi intoxication in that.

180Bachchō̃ kō hī bāp baiṭhkar samjhātē haĩ .

197The Father sits here and explains to only you children.

181Ghar mē̃ agar kōī kapūt bachchā hōgā tō kahē̃gē nā - yah kyā bāp key|kī ābrū ganvātē hō . 182Bāp key|kī ijjat jātī hai nā .

198It would be said of an unworthy child that he is ‘losing his father's beard’: the father's honour is being lost.

183Bēhad kā bāp bhī kahtē haĩ tum kālā mũh kartē hō tō brāhmaṇ kul bhūṣhaṇ jō dēvtā bantē haĩ , unkā nām badnām kartē hō .

199The unlimited Father also says: When you make your face dirty, you defame the name of the decoration of the Brahmin clan who are to become deities.

184Tum bachchē jāntē hō - ham pavitratā key|kī tākat sē hī bhārat kō phir sē śhrēṣhṭhāchārī dēvtā banātē haĩ .

200You children know that you are once again making Bharat into the land of elevated deities with the power of purity.

185Tumhārē liē tō jaisē common bāt hai .

201For you this is a common thing.

186Dēkhtē hō mahābhārat laṛāī bhī khaṛī hai , insē hī svarg K|kē gate|get khultē haĩ .

202You can see that the Mahabharat War is just ahead. 203The gates to heaven open through this war.

187Śhāstrō̃ mē̃ mahābhārat laṛāī tō dikhāī hai .

204The Mahabharat War has been portrayed in the scriptures.

188Uskē bād kyā huā - yah dikhāyā nahī̃ hai .

205They haven’t shown what happened after that.

189Kah dētē haĩ pralay hō gaī .

206They simply say that annihilation takes place.

190Ab kr̥iṣhṇa kā ēk taraph tō mātā K|kē garbh sē janm dikhāyā hai aur dūsrē taraph phir kahtē haĩ ki pīpal K|kē pattē par aṅgūṭhā chūstā āyā , kuchh bhī samajhtē nahī̃ .

207On the one hand, they have shown Krishna taking birth from his mother's womb, and on the other hand, they have shown him floating on a pipal leaf, sucking his thumb. 208They don't understand anything.

191Vahā̃ tō garbh mahal mē̃ rahtē haĩ baṛē viśhrām sē .

209There, you stay in the palace of a womb in great comfort.

192Bākī sāgar mē̃ thōṛēhī pattē par hō saktā .

210How could he float on a leaf in an ocean?

193Yah tō impossible hai .

211That is impossible.

194Tō yah sab drama banā huā hai , jiskō tum jāntē hō .

212The whole drama is predestined and only you know it.

195Kalp-kalp aisē hōtā hī hai .

213It happens in the same way every cycle.

196Ab bachchō̃ kō apnā kalyāṇ karnā hai aur dūsrō̃ kā bhī kalyāṇ karnā hai .

214You children now have to benefit yourselves and others too.

197Mūl bāt hai yah .

215This is the main thing.

198Bāp tō svarg kā rachayitā hai .

216The Father is the Creator of heaven.

199Uskō kahā hī jātā hai heavenly god father .

217He is called Heavenly God, the Father.

200Tō phir ham bachchē svarg K|kē mālik hōnē chāhiē nā .

218Therefore, we children should then become the masters of heaven.

201Śhiv jayantī bhī bhārat mē̃ hī manātē haĩ tō jarūr bhārat kō kuchh diyā hōgā .

219People celebrate the birthday of Shiva in Bharat, so He must definitely have given something to Bharat.

202Abhī tumkō svarg kī bādśhāhī dē rahē haĩ nā .

220He is now giving you the sovereignty of heaven.

203Bāp hai hī sadgati dātā .

221The Father is the Bestower of Salvation.

204Gyān kā sāgar , knowledge bāp hī ākar dētē haĩ .

222Only the Father, the Ocean of Knowledge, comes and gives you knowledge.

205Abhī bāp tumkō knowledge dē rahē haĩ .

223It is now that the Father is giving you the knowledge.

2065 hajār varṣh bād phir yahā̃ hī āyēṅgē .

224He will come here again after 5000 years.

207Bachchō̃ kō niśhchay hai jō-jō is brāhmaṇ kul K|kē hōṅgē vah ātē jāyēṅgē .

225You children have the faith that those who belong to the Brahmin clan will continue to come here.

208Achchhā  !

226Achcha.

209Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .

227To the sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

210Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

228The spiritual Father says namaste to the spiritual children.

Essence for dharna

211Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

229Essence for dharna:

2121 ) śhrīmat par apnā aur dūsrō̃ kā kalyāṇ karnā hai .

230 1. Benefit yourself and others by following shrimat.

213Kōī kuchh jhūṭhī bāt sunāyē tō sunī-ansunī kar dēnā hai .

231When someone tells you false things, listen to them but ignore what they say.

214Us par bigaṛnā nahī̃ hai .

232Don't become upset by them.

2152 ) kabhī bhī dēvtā bannē vālē brāhmaṇ kul bhūṣhaṇō̃ kā nām badnām na hō - iskā dhyān rakhnā hai .

233 2. Pay attention that the name of the decoration of the Brahmin clan who are to become deities is never defamed.

216Kōī ulṭā karma kabhī nahī̃ karnā hai .

234Never perform wrong actions.

217Pichhlē hisāb-kitāb chuktū karnē haĩ .

235Settle your past karmic accounts.

Blessing

218Vardān  : nindā-stuti , jay-parājay mē̃ samān sthiti rakhnē vālē bāp samān sampann va sampūrṇ bhav

236Blessing: May you be complete and perfect, equal to the Father, and have the same stage in praise and defamation, in victory and defeat.

219Jab ātmā key|kī sampūrṇ va sampann sthiti ban jātī hai tō nindā-stuti , jay-parājay , sukh-duḥkh sabhī mē̃ samāntā rahtī hai .

237 When a soul reaches the stage of completion and perfection, he maintains equanimity in praise and defamation, victory and defeat, happiness and sorrow.

220Duḥkh mē̃ bhī sūrat va mastak par duḥkh key|kī lahar kē bajāē sukh vā harṣh key|kī lahar dikhāī dē , nindā suntē bhī anubhav hō ki yah nindā nahī̃ , sampūrṇ sthiti kō paripakva karnē kē liē yah mahimā yōgya śhabda haĩ - aisī samāntā rahē tab kahē̃gē bāp samān .

238Even in the midst of sorrow, instead of having waves of sorrow on your face or forehead, let waves of happiness and joy be visible. 239Even while hearing any defamation, do not feel it to be defamation, but praiseworthy words to make you mature in your stage of perfection. 240When you have such equanimity, you will then be said to be equal to the Father.

221Jarā bhī vr̥itti mē̃ yah na āyē ki yah duśhman hai , gālī dēnē vālā hai aur yah mahimā karnē vālā hai .

241Do not have the slightest attitude of someone being an enemy and coming to insult you and another one coming to praise you.

Slogan

222Slōgan  : nirantar yōg abhyās par attention dō tō first division mē̃ number mil jāyēgā .

242Slogan: Constantly pay attention to practising yoga and you will claim a number in the first division.

243*** Om Shanti ***