सोमवार 30 अगस्त 2021 की दैनिक मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
ध्यान दें: वाक्यों का संरेखण अक्षरों की संख्या पर आधारित है और पूरी तरह विश्वसनीय नहीं है।
आप पूरी मुरली या उसके किसी भाग का वाक्य संरेखण स्वयं सुधार सकते हैं।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
030-08-2021 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban
0 30/08/21 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban
Essence
1 « mīṭhē bachchē - tumhē̃ abhī rūhānī kārōbār karnī hai , rūh samajhkar her|har karma karnē sē ātmā nirvikārī bantī jātī hai ' '
1Essence: Sweet children, you now have to carry out spiritual business. 2When you souls perform every action while considering yourselves to be spirits, the soul continues to become viceless.
Question
2Praśhna : svarg kā varsā lēnē aur svarg mē̃ ūñch pad pānē kā ādhār kyā hai ?
3Question: What is the basis of claiming the inheritance of heaven and the basis of having a high status in heaven?
Answer
3Uttar : brahmākumār / kumārī banē̃ tō svarg kā varsā mil jāyēgā .
4Answer: When you become Brahma Kumars and Kumaris, you receive the inheritance of heaven. 5However, the basis of your claiming a high status is how much you study.
4Parantu ūñch pad kā ādhār hai paṛhāī . 5Agar bāp kā bankar achchhī rīti paṛhāī paṛhtē rahē̃ , pūrā pavitra banē̃ tō rājāī pad miltā hai .
6After belonging to the Father, if you continue to study well and become completely pure, you will receive a royal status.
6Kōī pūrā paṛhtē nahī̃ , karmbandhan hai , pūrā pavitra nahī̃ banē aur śharīr chhūṭ gayā tō prajā mē̃ bhī sādhāraṇ pad pā lē̃gē .
7Those who don't study fully or have some karmic bondage, don't become fully pure and in that state they leave their bodies. 8They will claim an ordinary status amongst the subjects.
Murli
7Ōm śhānti .
9Om shanti.
8Rūhānī bachchō̃ kō rūhānī bāp samjhā rahē haĩ .
10The spiritual Father explains to you spiritual children.
9Yahā̃ rūhānī kārōbār hai . 10Bākī sārī duniyā mē̃ jismānī kārōbār hai .
11Here, you have spiritual business, whereas everywhere else in the world they do worldly business.
11Vāstav mē̃ kārōbār chaltī hai rūhō̃ key|kī .
12In fact, the business is of souls.
12Ātmā hī is śharīr dvārā paṛhtī hai , chaltī hai , vikarma kartī hai isliē patit-ātmā , pāp-ātmā kahā jātā hai .
13It is souls study, move and commit sin through their bodies and this is why, “A impure soul” or “Sinful soul” is said.
13Ātmā hī sab kuchh kartī hai .
14It is souls who do everything.
14Is samay sab manuṣhya dēh-abhimānī haĩ , maĩ ātmā hū̃ samajhnē badalē|badlē , samajhtē haĩ maĩ phalānā hū̃ . 15Yah vyāpār kartā hū̃ .
15At this time, all human beings are body conscious. 16Instead of considering themselves to be souls, they think: I am so-and-so and I am doing this business.
16Yah phalānē kāmī , krōdhī haĩ .
17So-and-so is angry and lustful.
17Śharīr kā hī nām lētē haĩ .
18They mention the names given to the bodies.
18Iskō kahā jātā hai dēh-abhimānī duniyā , utartī kalā key|kī duniyā .
19This is called the body-conscious world, the world of the descending stage.
19Satyug mē̃ aisē nahī̃ hōtā .
20It is not like this in the golden age.
20Vahā̃ dēhī-abhimānī hōtē haĩ .
21There, they are soul conscious.
21Tumkō dēhī-abhimānī banāyā jātā hai .
22You are being made soul conscious.
22Apnē kō ātmā niśhchay karō . 23Maĩ ātmā yah śharīr rūpī chōlā dhāraṇ kar part bajātī hū̃ .
23Have the faith that each of you is a soul: I am a soul and, having adopted the costume of this body, I am playing a part.
24Vah actors bhī bhinn-bhinn kapṛā badalī kar part bajātē haĩ .
24Those actors also change into different costumes and play their parts.
25Bāp kahtē haĩ - tum ātmāyē̃ pahlē śhāntidhām mē̃ thī .
25The Father says: You souls were at first in the land of peace.
26Tumhārā ghar hai śhāntidhām .
26Your home is the land of peace.
27Jaisē vah had kā nāṭak hōtā hai , yah phir hai bēhad kā nāṭak .
27Just as those are limited plays, so this is an unlimited play.
28Sabhī ātmāyē̃ paramdhām sē ākar , śharīr dhāraṇ kar part bajātī haĩ .
28All souls come here from the supreme abode; they adopt bodies and play their parts.
29Ātmāō̃ kā asul ghar hai paramdhām .
29The original home of souls is the supreme abode.
30Un actors kā tō ghar yahā̃ hī hōtā hai .
30The home of those actors is here.
31Sirph dress badalī kar ākar part bajātē haĩ .
31They simply change their dress and play their parts.
32Tō bāp baiṭh samjhātē haĩ , tum ātmāyē̃ hō .
32The Father sits here and explains: You are souls.
33Bāp tō bachchē-bachchē hī kahē̃gē . 34Sannyāsī bachchē-bachchē nahī̃ kahē̃gē .
33The Father says, "Children, children!", whereas sannyasis don’t say this.
35Bāp kahtē haĩ - maĩ patit-pāvan tum sabhī ātmāō̃ kā bāp hū̃ , jiskō tum god father kahtē hō .
34The Father says: I, the Purifier, the One whom you call God, the Father, am the Father of all you souls.
36God father tō nirākār hai .
35God, the Father, is incorporeal.
37Brahmā , viṣhṇu , śhaṅkar kō bhī god father nahī̃ kahē̃gē .
36Not even Brahma, Vishnu or Shankar can be called God, the Father.
38Unmē̃ bhī ātmā hai parantu unkō kahtē haĩ brahmā dēvtā namaḥ , viṣhṇu dēvtā namaḥ … dēvtāyē̃ kyā kartē haĩ ?
37They too have souls, but it is said: Salutations to the deity Brahma, salutations to the deity Vishnu etc. 38What do deities do?
39Yah kiskō patā nahī̃ hai .
39No one knows this.
40Bāp hī ākar samjhātē haĩ - tum kaisē drama plan anusār part bajātē hō .
40Only the Father comes and explains to you how you play your parts according to the drama plan.
41Duniyā ēk hī hai .
41There is just one world.
42Aisē nahī̃ kōī nīchē pātāl vā ūpar mē̃ duniyā hai .
42It isn't that there is hell down below and another world up above.
43Duniyā ēk hī hai , jiskā chakra phirtā rahtā hai .
43There is just the one world which continues to go around in a cycle.
44Lōg tō kah dētē haĩ moon mē̃ plat lē̃gē .
44People say they will buy a plot of land on the moon.
45Bāp samjhātē haĩ bachchē kitnē insolvent ban paṛē haĩ .
45The Father explains: You children have become so insolvent!
46Bhāratvāsiyō̃ kē liē hī kahtē haĩ , tum kitnē sāhūkār samajhdār thē .
46It is said of the people of Bharat: You were so wealthy and sensible!
47In lakṣhmī-nārāyaṇ kā sārē viśhva par rājya thā , jiskō kōī lūṭ na sakē .
47Lakshmi and Narayan ruled the whole world. 48No one could loot that.
48Vahā̃ kōī partition ādi nahī̃ hōtī .
49There were no partitions etc. there.
49Yahā̃ tō kitnī partition haĩ .
50Here, there are so many partitions!
50Āpas mē̃ ṭukṛē-ṭukṛē par laṛtē rahtē haĩ .
51They have broken everything up into pieces and then fight over them.
51Tum sārē viśhva K|kē mālik thē . 52Sārā ākāśh , pr̥ithvī , samudra sab tumhārā thā , tum unkē mālik thē .
52You were the masters of the whole world; the earth, sky and sea all belonged to you. 53You were the masters of it.
53Ab tō ṭukṛē hō gayē haĩ .
54It is now broken up into pieces.
54Yah kiskō patā nahī̃ hai , bhārat hī viśhva kā mālik thā .
55No one knows that Bharat was the master of the world.
55Bāp samjhātē haĩ , ātmā kō jō part milā huā hai vah kabhī ghistā nahī̃ . 56Chaltā hī rahtā hai .
56The Father explains: The part each soul receives never wears out; it continues all the time.
57Abhī tum phir sē manuṣhya sē dēvtā ban rahē hō .
57You are now once again changing from humans into deities.
58Phir 84 janma lē̃gē .
58You will then take 84 births.
59Tumhārā part chaltā hī rahtā hai , kabhī band nahī̃ hōtā hai .
59Your parts continue all the time; they never end.
60Kōī mōkṣh ādi pātē nahī̃ .
60No one attains eternal liberation etc.
61Jitnē anēk gurū , anēk śhāstra , utnī anēk matē̃ hōtī haĩ .
61The more gurus and scriptures there are, the more opinions and dictates there are.
62Manuṣhyō̃ mē̃ kitnī aśhānti hai .
62There is so much peacelessness among human beings!
63Jahā̃ bhī jāō kahē̃gē man kō śhānti kaisē milē .
63Wherever you go, people ask: How can we attain peace of mind?
64Yah dēh-abhimān mē̃ ākar kahtē haĩ .
64They say this out of body consciousness.
65Bāp samjhātē haĩ man aur buddhi - yah haĩ ātmā K|kē organs .
65The Father explains: The mind and intellect are organs of the soul.
66Bākī yah sab śharīr key|kī indriyā̃ haĩ .
66All of those are physical organs of the body.
67Ātmā kahtī hai mērē man kō śhānti kaisē milē .
67The soul says: How can my mind attain peace?
68Vāstav mē̃ yah kahnā galat hai .
68In fact, it is wrong to say this.
69Tum ātmā hō , tumhārā svadharm hī śhānt hai .
69You are a soul and your original religion is peace.
70Tum aisē kahō mujh ātmā kō śhānti kaisē milēgī .
70You should say: How, can I, this soul, experience peace?
71Ismē̃ karma tō karnā hī hai .
71You definitely have to perform actions.
72Yah bātē̃ bāp hī baiṭh samjhātē haĩ .
72Only the Father explains these things.
73Duniyā mē̃ yah gyān kiskō nahī̃ .
73No one in the world has this knowledge.
74Vahā̃ hai bhakti mārg .
74That is the path of devotion.
75Unkō gyān kā patā nahī̃ hai .
75They don’t know about knowledge.
76Gyān tō ēk bāp hī dētē haĩ .
76Only the one Father gives you knowledge.
77Bāp khud kahtē haĩ maĩ kalp-kalp , kalp K|kē saṅgamyug par ātā hū̃ .
77The Father Himself says: I come at the confluence age of every cycle.
78Kaliyug K|kē ant mē̃ sabhī patit haĩ .
78All are impure at the end of the iron age.
79Yah hai rāvaṇrājya .
79This is the kingdom of Ravan.
80Rāvaṇ kō jalātē bhī bhāratvāsī hī haĩ .
80It is the people of Bharat who burn an effigy of Ravan.
81Bāp patit-pāvan kā janm bhī yahā̃ hai . 82Tō rāvaṇ kā janm bhī yahā̃ hai .
81The birth of the Purifier Father takes place here and the birth of Ravan is also here.
83Rāvaṇ jō sabkō patit banātē haĩ , isliē unkō jalātē haĩ .
82Ravan makes everyone impure and this is why they burn his effigy.
84Yah bātē̃ kiskī buddhi mē̃ nahī̃ haĩ .
83These things are not in the intellect of anyone.
85Ab bhārat mē̃ kr̥iṣhṇa jayantī manātē haĩ . 86Kr̥iṣhṇa key|kī līlā , bhajan ādi kartē haĩ .
84People celebrate the birthday of Krishna in Bharat; they show the divine activities of Krishna; they sing devotional songs, etc.
87Ab bāp kahtē haĩ - vāstav mē̃ kr̥iṣhṇa līlā kuchh hai hī nahī̃ .
85The Father says: In fact, there are no divine activities of Krishna.
88Kr̥iṣhṇa nē kyā kiyā !
86What did Krishna do?
89Kahtē haĩ kanspurī mē̃ janma liyā . 90Ab kaṅs tō devil kō kahā jātā hai .
87They say that he took birth in the land of Kans, but Kans was a devil.
91Satyug mē̃ devil kahā̃ sē āyē .
88How could devils exist in the golden age?
92Tum jāntē hō kr̥iṣhṇa key|kī ātmā jō satyug mē̃ thī vah apnē 84 janm bhōg is samay patit sē pāvan ban rahī hai . 93Apnā pad phir sē lē rahī hai .
89You know the Krishna soul was in the golden age and he took 84 births. 90He is impure at this time and is becoming pure and claiming his status once again.
94Vaisē hī tum kr̥iṣhṇapurī mē̃ rahnē vālē thē .
91In the same way, you also resided in the land of Krishna.
9584 janma lē ab phir apnā pad lē rahē hō .
92You took 84 births and are once again claiming your status.
96Jayantī manānī hai vāstav mē̃ śhivbābā key|kī .
93In fact, the birthday of Shiv Baba should be celebrated.
97Jō śhivbābā sabkō hell sē heaven mē̃ lē jātē haĩ , unkī kōī līlā hai nahī̃ .
94There is no divine activity (leela) of Shiv Baba who takes everyone from hell into heaven.
98Kahtē haĩ ki hē patit-pāvan bābā āō , ākar hamkō hell sē heaven mē̃ lē jāō .
95They say: O Purifier, Baba, come! 96Come and take us from hell into heaven!
99Āp hamārē bāp hō tō ham svarg mē̃ hōnē chāhiē , ham vicious duniyā mē̃ kyō̃ haĩ ?
97You are our Father and so we should be in heaven. 98Why are we in the vicious world?
100Isliē bulātē haĩ hē god father hamkō is duḥkh key|kī duniyā sē liberate karō .
99This is why they call out: O God, the Father, liberate us from this world of sorrow!
101Yah bhī drama mē̃ nūndh hai .
100This is also fixed in the drama.
102Bāp kahtē haĩ is drama kō kōī jāntē nahī̃ .
101The Father says: No one knows this drama.
103Śhāstrō̃ mē̃ drama key|kī āyu lambī likh dī hai .
102In the scriptures, they have written that the duration of the drama is very long.
104Naī duniyā kō purānī bannā hī hai . 105Satō rajō tamō mē̃ ānā hī hai .
103The new world has to become old and go through the stages of sato, rajo and tamo.
106Yah hai bēhad key|kī bāt .
104This is an unlimited aspect.
107Abhī tum phir sē viśhva K|kē mālik ban rahē hō .
105You are now once again becoming the masters of the world.
108Bhāratvāsī jō naī duniyā mē̃ thē , vahī 84 janmō̃ kā part bajāyēṅgē .
106You people of Bharat who were in the new world will play the parts of 84 births.
109Abhī tum pavitra bantē hō , bākī sab manuṣhya patit haĩ , tab tō pāvan kē āgē jākar naman kartē haĩ .
107You are now becoming pure whereas all other human beings are impure. 108This is why they go and bow down in front of the images of those who were pure.
110Pāvan kō pāvan naman kyō̃ karē̃gē .
109Why would those who are pure bow down to pure beings?
111Sanyāsī pāvan haĩ tab tō patit manuṣhya unkē āgē māthā jhukātē haĩ .
110Sannyasis are pure and this is why impure human beings bow their heads when in front of them.
112Kanyā pavitra hai tō sab unkē āgē sir jhukātē haĩ .
111Kumaris are pure and so everyone bows down to them.
113Vahī kanyā śhādī kar sasur ghar jāyēgī tō māthā ṭēknā paṛtā hai .
112When those same kumaris get married and go to their in-laws' home, they have to bow down to others.
114Abhī bēhad kā bāp āyē haĩ sabkō pāvan banānē .
113The unlimited Father has now come to purify everyone.
115Vah sab haĩ kaliyug mē̃ . 116Tum hō abhī saṅgam par .
114All of them are in the iron age, whereas you are at the confluence age.
117Ab tumkō patit duniyā mē̃ nahī̃ jānā hai .
115You will not have to go to the impure world now.
118Yah hai hī kalyāṇkārī yug .
116This is the benevolent age.
119Bāp ākar sabkā kalyāṇ kartē haĩ .
117The Father comes and benefits everyone.
120Tum abhī kr̥iṣhṇa jayantī manāyēṅgē , nahī̃ tō lōg samajhē̃gē yah tō nāstik haĩ .
118You now celebrate the birthday of Krishna; otherwise, people would think that you are atheists.
121Nāstik vāstav mē̃ unkō kahā jātā hai jō apnē bāp kō aur rachnā K|kē ādi-madhy-ant kō nahī̃ jāntē haĩ .
119In fact, those who don't know their Father or the beginning, the middle and the end of creation are called atheists.
122Is samay sab nidhan K|kē orphan ban paṛē haĩ .
120At this time all have become orphans.
123Ghar-ghar mē̃ jhagaṛā hai , ēk dō kō mārnē mē̃ dērī nahī̃ kartē haĩ , isliē iskō nāstikō̃ key|kī duniyā kahā jātā hai , bāp kō na jānnē vālē .
121There is quarrelling in every home. 122They don't hesitate in beating one another. 123This is why this is also called the world of atheists, those who don't know the Father.
124Tum hō jānnē vālē .
124You are the ones who know Him.
125Abhī tum samajhtē hō ki ham pattharbuddhi thē , bāp hamkō pārasbuddhi banā rahē haĩ aur kōī taklīph key|kī bāt nahī̃ .
125You now understand that you had stone intellects and that the Father is now making your intellects divine. 126There is no more difficulty than that.
126Bāp sirph kahtē haĩ ēk ghaṇṭā paṛhō .
127The Father says: Simply study for an hour.
127Apnē kō ātmā samajh mujh bāp kō yād karō .
128Consider yourselves to be souls and remember Me, your Father.
128Śharīr kō yād karē̃gē tō laukik sambandhō̃ key|kī yād āyēgī .
129If you remember bodies, you will remember your worldly relatives.
129Dēhī-abhimānī rahē̃gē tō mujh bāp kī yād rahēgī .
130If you remain soul conscious, you will remember Me, your Father.
130Yah tō hai hī vicious duniyā .
131This is the vicious world.
131Viṣhay sāgar mē̃ gōtē khātē rahtē haĩ .
132Everyone is choking in the ocean of poison.
132Viṣhṇu kō kṣhīrsāgar mē̃ dikhātē haĩ .
133Vishnu is shown lying in an ocean of milk.
133Kahtē haĩ vahā̃ ghī key|kī nadiyā̃ bahtī haĩ .
134They say that there will be rivers of ghee flowing there.
134Yahā̃ tō ghāslēṭ bhī nahī̃ miltā .
135Here, you can't even buy paraffin.
135Fark hai nā .
136There is so much difference!
136Tō tum bachchō̃ kō kitnī khuśhī hōnī chāhiē .
137You children should have so much happiness.
137Bāp hī khivaiyā hai nā .
138The Father is also called the Boatman.
138Gātē bhī haĩ naīyā mērī pār lagāō .
139They sing: Take my boat across.
139Yah sab naīyāyē̃ haĩ , khivaiyā ēk bāp hī hai .
140All of these are boats and only the one Father is the Boatman.
140Yah śharīr yahā̃ hī chhōṛ dēgē . 141Bākī ātmāō̃ kō pār lē jāyēṅgē śhāntidhām .
141You will shed your bodies here and souls will be taken across to the land of peace.
142Vahā̃ sē phir bhēj dēgē sukhdhām .
142Then, from there, you will be sent to the land of happiness.
143Parampitā paramātmā kō hī khivaiyā kahā jātā hai .
143The Supreme Father, the Supreme Soul, is also called the Boatman.
144Bāp key|kī hī mahimā gātē haĩ anēk prakār sē .
144People sing praise of the Father in many different ways.
145Abhī tum pavitra ban pavitra duniyā K|kē mālik bantē hō .
145You are now becoming pure and the masters of the pure world.
146Śhrī śhrī śhivbābā āyē haĩ śhrēṣhṭh banānē .
146Shri Shri Shiv Baba has come to make you elevated.
147Khud bhagvān kahtē haĩ yah bhraṣhṭāchārī duniyā hai .
147God Himself says: This is the corrupt world.
148Abhī tum parampitā paramātmā key|kī śhrīmat par chal śhrēṣhṭhāchārī bantē hō .
148You are now following the shrimat of the Supreme Father, the Supreme Soul, and becoming the most elevated.
149Kitnī yah gupta ramaṇīk bātē̃ haĩ , jō tum bachchō̃ kō hī samajh mē̃ ātī haĩ .
149These are such incognito and entertaining matters and only you children understand them.
150Aurō̃ kō samajh mē̃ āyēṅgī hī nahī̃ .
150Others would not be able to understand them.
151Tum jāntē hō ki abhī dēvī-dēvtā dharm kā kalam lag rahā hai .
151You know that the sapling of the deity religion is now being planted.
152Jō bhī dēvī-dēvtā dharm vālē aur dharmō̃ mē̃ chalē gayē haĩ , vahī ākar phir brāhmaṇ banē̃gē .
152Those who belonged to the deity religion and were then converted to other religions will come and become Brahmins.
153Brahmākumār-kumārī bannē bigar bāp sē svarg kā varsā lē nahī̃ saktē .
153You cannot claim the inheritance of heaven from the Father without becoming Brahma Kumars and Kumaris.
154Abhī tum brahmākumār-kumāriyā̃ svarg kā varsā lē rahē hō .
154You Brahma Kumars and Kumaris are now claiming the inheritance of heaven.
155Jitnā puruṣhārth karē̃gē , karāyēṅgē utnā ūñch pad pāyēṅgē .
155The more effort you make and the more you inspire others, the higher the status you will claim.
156Sab tō itnā nahī̃ kar saktē .
156Not everyone can do the same.
157Pūrā nahī̃ paṛhē̃gē tō uskā natījā kyā hōgā .
157What would be the consequence if you don’t study fully?
158Agar śharīr chhūṭ jāyē tō svarg mē̃ ā jāyēṅgē . 159Parantu prajā mē̃ bilkul hī sādhāraṇ .
158If you shed your body now, you will go to heaven, but you will receive a very ordinary status among the subjects.
160Agar bāp kā bankar achchhī rīti paṛhē tō rājāī pad pā saktē haĩ .
159If you belong to the Father and study well, you can claim a royal status.
161Nahī̃ paṛhtē haĩ tō samajhē̃gē unkī takdīr mē̃ nahī̃ hai .
160If you don't study, it will be understood that it is not in your fortune.
162Pavitra rahē̃gē , paṛhē̃gē tō ūñch pad pāyēṅgē .
161If you remain pure and study, you will claim a high status.
163Apavitr hōnē sē bāp kō yād nahī̃ kar sakē̃gē .
162When you become impure, you are unable to remember the Father.
164Aisē bhī bahut haĩ - karmbandhan kā hisāb jab chhūṭē .
163There are many like this. 164Everything depends on when you become free from your karmic bondage.
165Gāṛī K|kē dōnō̃ pahiyā pavitra hōṅgē tō ṭhīk chalē̃gē .
165When both wheels of a car are pure, it will then go well.
166Dōnō̃ pavitra rahē̃gē tō gyān chitā par baiṭh jāyēṅgē , nahī̃ tō khiṭpiṭ hōtī hai .
166If both remain pure, they can sit on the pyre of knowledge. 167Otherwise, there will continue to be conflict.
167Kaī bachchē kahtē haĩ ki bābā ham tō jāntē haĩ śhrīkr̥iṣhṇa satyug kā pahlā prince hai , tō kyō̃ nahī̃ kuchh manāyē̃ .
168Some children say: Baba, we know that Shri Krishna is the first prince of the golden age, and so why should we not celebrate?
168Achchhā ham kr̥iṣhṇa key|kī ātmā kō bulā bhī saktē haĩ .
169Achcha, I can call the soul of Krishna and the soul can play and dance.
169Ākar khēl-pāl karēgī , rās karēgī aur kyā karēgī .
170What else would he do?
170Gōp-gōpiyā̃ tō yahā̃ hī hōtē haĩ .
171The gopes and gopis exist here.
171Vahā̃ tō prince-princess āpas mē̃ miltē haĩ tō rās kartē haĩ .
172There, the princes and princesses will meet and dance with each other.
172Sōnē key|kī murlī bajātē haĩ .
173They will play golden flutes.
173Yah sab khēl-pāl tum pichhāṛī mē̃ dēkhē̃gē . 174Yah sab part chalē̃gē .
174You will see all of that fun and games at the end; all of that part will continue.
175Śhurū mē̃ dikhāyā gayā phir tum puruṣhārth mē̃ lag gayē hō .
175It was shown to you in the beginning and you began to make effort.
176Ab phir pichhāṛī mē̃ sākṣhātkār hōnā śhurū hōgā . 177Kaun-kaun kis pad kō pāyēṅgē , yah tum jāntē hō .
176Now, at the end, you will again begin to have visions of what status each one will claim. 177Only you know this.
178Bāp baiṭh yah sab rāz samjhātē haĩ .
178The Father sits here and explains all of these secrets.
179Tumsē pūchhtē haĩ vēdō̃ , śhāstrō̃ kō māntē hō !
179People ask you: Do you believe in the Vedas and scriptures?
180Bōlō hā̃ , ham kyō̃ nahī̃ māntē haĩ .
180Tell them: Yes, why would we not believe in them?
181Yah sab bhakti mārg kī sāmagrī hai , inmē̃ kōī gyān nahī̃ hai .
181All of that is the paraphernalia of the path of devotion. 182There is no knowledge in them.
182Gyān dēnē vālā tō ēk hai .
183Only the One gives knowledge.
183Gyān miltā hai tō bhakti āpēhī chhūṭ jātī hai .
184When you receive knowledge, devotion is automatically stopped.
184Tum mandir mē̃ bhī jāyēṅgē tō buddhi mē̃ rahēgā ki yah lakṣhmī-nārāyaṇ phir ab naī duniyā mē̃ rājya karē̃gē .
185When you go to a temple, it is in your intellects that that Lakshmi and Narayan are now to rule in the new world once again.
185Bāp bachchō̃ kō samjhātē haĩ , dōnō̃ taraph tōṛ nibhānā hai .
186The Father explains to you children that you have to fulfil your responsibilities to both sides.
186Gr̥ihastha vyavahār mē̃ rahtē pavitra bannā hai .
187While living at home you have to become pure.
187Śhrīmat kahtī hai pūrē pavitra banō , pūrā vaiṣhṇav banō aur viṣhṇupurī kā rājya lō|low .
188Shrimat says: Become fully pure. 189Become complete Vaishnavs and claim the kingdom of the land of Vishnu.
188Achchhā !
190Achcha.
189Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .
191To the sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.
190Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .
192The spiritual Father says namaste to the spiritual children.
Essence for dharna
191Dhārṇā kē liē mukhya sār :
193Essence for dharna:
1921 ) yōg dvārā karmbandhan kā hisāb-kitāb chuktū kar , pāvan bannā hai .
194 1. Settle the bondage of your karmic accounts with yoga and become pure.
193Gyān-chitā par baiṭhnā hai .
195Sit on the pyre of knowledge.
194Pūrā-pūrā vaiṣhṇav arthāt pavitra bannā hai .
196Become a complete Vaishnav, that is, completely pure.
1952 ) apnē śhānt svadharm mē̃ sthit rahnā hai .
197 2. Remain stable in your original religion of peace.
196Sabkō śhāntidhām key|kī yād dilānī hai .
198Remind everyone of the land of peace.
197Kabhī bhī aśhānt nahī̃ hōnā hai .
199Never become peaceless.
Blessing
198Vardān : knowledge dvārā rāvaṇ K|kē bahu rūpō̃ kō jānkar uskī attraction sē mukt rahnē vālē himmatvān bhav
200Blessing: May you be courageous and by having the knowledge of the many forms of Ravan, remain free from their attraction.
199Jō bachchē knowledge dvārā rāvaṇ K|kē bahu rūpō̃ kō achchhī tarah sē jān gayē haĩ , unkē āgē vah najdīk bhī nahī̃ ā saktā .
201 Ravan cannot even come close to the children who know very well the many forms of Ravan through knowledge.
200Chāhē sōnē kā , chāhē hīrē kā rūp dhāraṇ karē lēkin uskī attraction mē̃ nahī̃ āyēṅgē .
202Even if he adopts a golden form or a diamond form, such children will not be attracted by those forms.
201Aisī sachchī sītāyē̃ ban lakīr K|kē andar rahnē kā lakṣhya rakh , himmatvān banō .
203Be such true Sitas and become courageous by keeping your aim of staying within the line of the codes of conduct.
202Phir yah rāvaṇ key|kī bahu sēnā war|vār karnē kē bajāē āpkī sahyōgī ban jāyēgī .
204Then, the unlimited army of Ravan, instead of attacking you, will be co-operative with you.
203Prakr̥iti K|kē 5 tatva aur 5 vikār transfer hōkar āpkī sēvā kē liē āyēṅgē .
205The five elements of matter and the five vices will be transferred and will come to serve you.
Slogan
204Slōgan : sēvāō̃ mē̃ saphaltā prāpt karnā hai tō nirmāṇchit key|kī viśhēṣhtā kō dhāraṇ karō .
206Slogan: In order to achieve success in service, imbibe the speciality of humility in your heart.
207*** Om Shanti ***