शनिवार 30 अक्टूबर 2021 की दैनिक मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
ध्यान दें: वाक्यों का संरेखण अक्षरों की संख्या पर आधारित है और पूरी तरह विश्वसनीय नहीं है।
आप पूरी मुरली या उसके किसी भाग का वाक्य संरेखण स्वयं सुधार सकते हैं।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
030-10-2021 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban
0 30/10/21 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban
Essence
1 « mīṭhē bachchē - tum jāntē hō ki sabhī ātmāyē̃ bēhad K|kē bāp sē paṛhē̃gī nahī̃ lēkin sāth mē̃ jarūr jāyēṅgī .
1Essence: Sweet children, you know that not all souls will study with the unlimited Father.
2' '
2However, they will all definitely go back with Him.
Question
3Praśhna : chakravartī rājā bannē vālē bachchō̃ kō kis bāt kā bahut-bahut kadar hōgā ?
3Question: What do the children who are going to become the rulers of the globe value the most?
Answer
4Uttar : unhē̃ paṛhāī kā bahut kadar hōgā .
4Answer: They value studying the most. 5Wherever they may be sitting, they definitely study.
5Kahā̃ bhī rahtē paṛhāī jarūr paḍhēṅgē . 6Sāth-sāth mitr sambandhiyō̃ sē tōṛ nibhātē yād mē̃ rahnē kā abhyās karē̃gē aur sabkō yahī paigām dēgē ki bāp kō yād karō tō śhāntidhām-sukhadhām mē̃ chalē jāyēṅgē .
6Along with fulfilling their responsibilities to their friends and relatives, they practise staying in remembrance and they give everyone the message, “Remember the Father and you will go to the land of peace and the land of happiness.”
7Is śhrīmat par pūrā-pūrā chalnē vālē bachchē hī chakravartī bantē haĩ .
7Only the children who follow these elevated directions fully will become the rulers of the globe.
Murli
8Ōm śhānti .
8Om shanti.
9Bāp kō , sabhī rūhānī bachchō̃ kō sāth-sāth jō bhī sr̥iṣhṭi bhar mē̃ jīv ātmāyē̃ haĩ , un sab jīv ātmāō̃ kō vāpis lē jānā hī hai kyōṅki ab andhiyārī rāt pūrī hōtī hai .
9As well as taking all the spiritual children, the Father definitely has to take all living beings of the world back home because the dark night is now coming to an end.
10Purānī duniyā pūrī hō naī duniyā kī sthāpanā hō rahī hai .
10The old world is ending and the new world is being established.
11Duniyā tō hai parantu purānī sē naī hōtī hai .
11The world still exists, but it changes from old to new.
12Satyug ādi mē̃ barōbar ādi sanātan dēvī-dēvtā dharm hī thā .
12At the beginning of the golden age, there truly was the original eternal deity religion.
13Ab vah sūryavanśhī , chandravanśhī nahī̃ haĩ .
13Those sun and moon dynasties do not exist any more.
14Bāp samjhātē haĩ unhō̃ nē punarjanma lētē-lētē ab 84 janm pūrē kiyē haĩ .
14The Father explains: Having taken rebirth, they have now completed their 84 births.
15Is samay sab pārṭdhārī tamōpradhān hō gayē haĩ .
15At this time, all actors have become tamopradhan.
16Chāhtē bhī haĩ rāmrājya , naī duniyā , naī dēhlī chāhiē .
16They want there to be the kingdom of Rama, the new world, New Delhi.
17Jaisē bachchē kahtē haĩ nā - hamkō phalānī naī chīz chāhiē . 18Yah bhī kahtē haĩ bābā naī duniyā kē liē hamkō nayē vastra chāhiē .
17Just as young children say that they want such-and-such a new toy, so here, too, you say: Baba, we want new clothes for the new world.
19Dīpmālā par manuṣhya nayē vastra pahantē haĩ .
18At Deepmala, people wear new clothes.
20Kr̥iṣhṇa jayantī par nayē vastra pahannē key|kī bāt nahī̃ rahtī .
19There is no question of wearing new clothes on Krishna Jayanti.
21Khās dīpmālā par nayē vastra pahannē kē liē kharīdadārī ādi bahut kartē haĩ .
20In order to wear new clothes on Deepmala, people especially go shopping and spend a lot of money on them.
22Dīpmālā par jyōt jagātē haĩ .
21At Deepmala they also ignite lamps.
23Tumhārī ab jyōt jagī hai , tumhē̃ phir aurō̃ key|kī bhī jyōt jagānī hai .
22Your lights have now been ignited and you have to ignite the lights of others.
24Unhō̃ kī hai bhakti mārg key|kī dīpmālā , tumhārī hai gyān key|kī dīpmālā .
23Theirs is the Deepmala of the path of devotion, whereas yours is the Deepmala of the path of knowledge.
25Tumkō kōī kapṛē ādi nahī̃ badalnē haĩ .
24You don’t have to change your clothes, etc.
26Tumhārī jab pūrī jyōt jag jāyēgī tō phir naī duniyā mē̃ nayē vastra milē̃gē .
25When your lights have been ignited fully you will then receive new clothes in the new world.
27Bāp kahtē haĩ maĩ sabkō lē jāūṅgā . 28Kōī chāhē vā na chāhē .
26The Father says: I will take everyone back, whether they want to go or not.
29Bulātē bhī haĩ - hē patit-pāvan āō .
27People call out: O Purifier, come!
30Vah phir kahtē haĩ liberator āō .
28Or, they say: O Liberator, come!
31Kōī kis bhāṣhā mē̃ kahtē haĩ , kōī kis bhāṣhā mē̃ .
29Some call out in one language and others call out in another language.
32Maĩ kalp-kalp ākar sabkō lē jātā hū̃ .
30I come every cycle and take everyone back.
33Satyug mē̃ tō bahut thōṛē manuṣhya hōtē haĩ .
31There are very few human beings in the golden age.
34Ab kitnē ḍhēr pārṭdhārī haĩ .
32Now, there are so many actors.
35Yah haĩ jīv ātmāyē̃ .
33All of them are living beings.
36Śharīr kō jīv kahā jātā hai .
34When a soul is present in a body it is called a living being.
37Aisē nahī̃ ki jīv kahtā hai ki maĩ ēk ātmā chhōṛ dūsrā lētā hū̃ .
35It isn’t that the body says: I shed one soul and take another one.
38Nahī̃ , ātmā kahtī hai maĩ ēk śharīr chhōṛ dūsrā lētā hū̃ .
36No; the soul says: I shed one body and take another.
39Parantu yah bhī kiskō patā nahī̃ hai ki ham 84 janma lētē haĩ .
37However, no one knows that we take 84 births.
40Aisē bhī nahī̃ sabkō 84 janm miltē haĩ .
38It isn’t that everyone will take 84 births.
41Sabkā apnā hisāb hai .
39Everyone has his or her own account.
42Jō pahlē-pahlē ātē haĩ vah jarūr jāstī janma lē̃gē .
40Those who come at the beginning will definitely take a greater number of births.
43Jāstī sē jāstī 84 janm .
41The maximum is 84 births and the minimum is one birth.
44Kam sē kam ēk janm bhī hōtā hai .
42The Father sits here and explains this.
45Yah bāp baiṭh samjhātē haĩ , sabkō tō nahī̃ paṛhāyēṅgē . 46Parantu sabkō sāth jarūr lē jāyēṅgē .
43He would not teach everyone, but He will definitely take everyone back home.
47Drama plan anusār maĩ bāndhā huā hū̃ lē jānē kē liē .
44According to the drama plan, I am bound to take everyone back.
48Duniyā yah nahī̃ jāntī ki purānī duniyā khatm hōnē vālī hai .
45The world does not know that the old world is to finish.
49Bāp ākar jarūr naī duniyā kī sthāpanā karē̃gē .
46The Father comes and definitely establishes the new world.
50Manuṣhya kō rachtā aur rachnā K|kē ādi-madhy-ant kā ricaṅk mātra bhī knowledge nahī̃ hai .
47People do not have the slightest knowledge of the Creator or the beginning, middle and end of creation.
51Hā̃ , bhakti mārg kā patā hai .
48Yes, they do know about the path of devotion.
52Bhakti mārg key|kī rasam-rivāj alag , gyān mārg key|kī rasam-rivāj bilkul hī alag hai .
49The customs and systems of the path of devotion are completely different from the customs and systems of the path of knowledge.
53Yah tō hō nahī saktā ki satyug sē kaliyug tak bhakti hī hō .
50It is not possible for there to be only devotion from the golden age to the iron age.
54Gāyā bhī jātā hai gyān din , bhakti rāt .
51It is remembered that knowledge is the day and devotion is the night.
55Andhiyārī rāt mē̃ manuṣhya dhakkē khātē haĩ .
52People stumble around in the dark night.
56Bāp kahtē haĩ ṭhikkar bhittar mē̃ bhī jākar mujhē ḍhūṇḍhtē haĩ .
53The Father says: People also go and look for Me in the pebbles and stones.
57Kōī hanūmān kā sākṣhātkār kartē , kōī gaṇēśh kā sākṣhātkār kartē .
54Some have visions of Hanuman and others have visions of Ganesh.
58Ab vah sab bhagvān tō nahī̃ haĩ .
55None of them are God.
59Mērā apnā śharīr tō kōī hai nahī̃ .
56I do not have a body of My own.
60Māyā rāvaṇ nē sabkō buddhū banā diyā hai .
57Maya, Ravan has made everyone foolish.
61Bhāratvāsiyō̃ kō yah bhī patā nahī̃ ki rām rājya kiskō kahā jātā hai .
58The people of Bharat do not know what the kingdom of Rama is.
62Yah dhyān mē̃ bhī ātā hai ki lakṣhmī-nārāyaṇ kā rājya is duniyā par thā .
59They are aware that the kingdom of Lakshmi and Narayan existed in this world.
63Sirph kah dētē haĩ - rāmrājya chāhiē .
60They simply say: We want the kingdom of Rama.
64Rām kōī raghupati vālā nahī̃ .
61It is not the Rama of the Raghu clan.
65Unkē liē śhāstrō̃ mē̃ bahut ulṭī bātē̃ likh dī haĩ .
62People have written many wrong things about him in the scriptures.
66Manuṣhya maut sē kitnā ḍartē haĩ . 67Life kō bachānē kē liē duāyē̃ māṅgtē rahtē haĩ .
63They are so afraid of death; they continue to ask for blessings to save their lives.
68Abhī tō ḍhēr marnē vālē haĩ .
64Now, so many are going to die.
69Unkē liē kyā kahē̃gē !
65What would you say of them?
70Bāp kō bulāyā hī isliē hai ki bābā hamkō pāvan duniyā mē̃ lē chalō .
66The Father has been called to take us to the pure world.
71Śhāntidhām mē̃ śharīrō̃ kō tō nahī̃ lē jāūṅgā .
67I will not take the bodies to the land of peace.
72Vahā̃ tō ātmāyē̃ jāyēṅgī .
68Souls will go there.
73Yah tō purānā chhī-chhī śharīr hai .
69This is a dirty old body.
74Bhambhōr kō āg lagnī hai , isliē āg kā gōlā ( bombs ) banā rahē haĩ .
70The haystack has to be set on fire and this is why they make incendiary bombs.
75Ab vah kahtē haĩ - bombs na banāyē̃ .
71They say that bombs should not be manufactured any more.
76Ab itnī bhī samajh nahī̃ hai tō jinkē pās|pass jāstī bombs hōṅgē , vah jarūr śhaktiśhālī hō jāyēṅgē .
72Now, they don’t have enough understanding to understand that those who have more bombs will definitely be more powerful.
77Phir dūsrē apnē kō bachā kaisē sakē̃gē , agar bombs na banāyē̃ tō .
73So, how would others be able to save themselves if they didn’t manufacture more bombs?
78Ab vah jab sab samudra mē̃ ḍālē̃ tab vah bhī banānā band karē̃ .
74They would now stop manufacturing more bombs if all the existing ones were thrown into the ocean.
79Parantu samudra sē bhī bādal pānī khīñchtā hai , vah barsāt paṛēgī tō sārā nuksān hō jāyēgā .
75However, the clouds draw water from the ocean, and so, when it rains, there would be so much damage.
80Khētī ādi jal jāyēgī isliē drama mē̃ yukti rachī huī hai .
76The fields would burn up. 77This is why this method has been created in the drama.
81Pahlē yē bombs nahī̃ thē , ab nikalē haĩ isliē yah sārī dham-dham mach rahī hai .
78Previously, these bombs did not exist; they exist now. 79This is why there is so much chaos created everywhere.
82Ab yah tum jāntē hō - yah sab hai bhāvī .
80Now, you know that all of this is destined.
83Tumhārē mē̃ bhī bahutō̃ kō vināśh key|kī bhāvī kā niśhchay nahī̃ hai .
81Among you too, many don’t have the faith that destruction is destined.
84Agar hōtā tō yōg mē̃ bahut achchhī tarah rahtē .
82If you had this faith, your yoga would be very good.
85Yōgbal sē viśhva kī bādśhāhī lēnī hai .
83You have to claim the sovereignty of the world with the power of yoga.
86Tumhārā sab kuchh gupta hai , sikhlānē vālā bhī gupta hai .
84Everything of yours is incognito and the One who is teaching you is also incognito.
87In ôkhō̃ sē dēkhnē mē̃ nahī̃ ātē haĩ .
85You cannot see Him with those eyes.
88Ab tumnē ātmā kō realise kiyā hai ki mujh ātmā mē̃ 84 janmō̃ kā part bharā huā hai .
86You have now realised souls: I, a soul, have a part of 84 births recorded in me.
89Aham ātmā avināśhī haĩ .
87I, a soul, am imperishable.
90Yah hai ati guhya bāt .
88This is an extremely deep aspect.
91Akhbār mē̃ bhī likhā hai ki ātmā kyā hai jō śharīr mē̃ rahtī hai ? 92Yah kōī batāyē tō unkō lākhō̃ rūpayā mil saktā hai .
89It was written in a newspaper that if anyone were to tell what a soul that resides in a body is, he would receive hundreds of thousands of rupees.
93Ātmā kyā hai , kahā̃ sē ātī hai ?
90What is a soul? 91Where does he come from?
94Kaisē part bajātī hai ?
92How does he play its part?
95Yah kōī bhī nahī̃ jāntē .
93No one knows these things.
96Kōī kahtē budbudā hai , kōī kahtē brahm-tatva baṛī jyōti hai , usmē̃ ātmāyē̃ līn hō jāyēṅgī .
94Some say that it is a bubble. 95Some say that the element of light is a huge light and that souls will merge into that.
97Anēk prakār key|kī bātē̃ kartē rahtē haĩ .
96They speak of so many sorts of things.
98Tum jāntē hō ātmā bindī samān hai .
97You know that a soul is like a point.
99Usmē̃ part bajānē key|kī nūndh hai .
98The part he has to play is recorded in him.
100Yah drama anādi banā banāyā hai , unkā kabhī vināśh nahī̃ hōtā hai .
99This drama is eternally predestined and it is never destroyed.
101Ātmā bhī avināśhī hai . 102Unkō vahī part bajānā hai . 103Fark nahī̃ paṛ saktā .
100Souls are imperishable and they have to play the same parts again; there cannot be any difference.
104Yah sab bātē̃ unkī buddhi mē̃ baiṭhē̃gī , jinkē kalp pahlē baiṭhī hōṅgī .
101All of these things will sit in the intellects of those in whom it sat in the previous cycle.
105Bābā kahtē haĩ - itnē ḍhēr manuṣhyō̃ kō maĩ kaisē paṛhāūṅgā .
102Baba says: How would I teach all of these human beings?
106Hā̃ , itnā bachchē samajhē̃gē ki bāp kahtē haĩ māmēkam yād karō tō tumhārē vikarma vināśh hōṅgē .
103Yes, children would understand: The Father says: Constantly remember Me alone and your sins will be absolved.
107Sabkō paigām milēgā , bāp yah mantra dētē haĩ sabkē liē .
104Everyone will receive this message. 105The Father gives this mantra to everyone.
108Bābā samjhātē haĩ tum bachchō̃ kō daivīguṇ dhāraṇ karnē haĩ .
106Baba explains: You children have to imbibe divine virtues and renounce defects.
109Avguṇō̃ kō chhōṛnā hai .
107Renounce body consciousness.
110Dēh-abhimān kō chhōṛō .
108Even then, you don’t renounce it.
111Phir bhī chhōṛtē nahī̃ haĩ .
109What would those poor souls receive?
112Un bichārō̃ kō kyā milēgā ? 113Ēk dō sē pyār sē nahī̃ chaltē haĩ .
110They are unable to continue to interact with one another with love.
114Tumkō bahut mīṭhā bannā hai .
111You have to become very sweet.
115Bāp pyār kā sāgar hai .
112The Father is the Ocean of Love.
116Tum bhī unkē bachchē hō tō tumkō bahut pyārā bannā hai .
113You too are His children and so you have to become very lovely.
117Kabhī kōī kitnā bhī gussā karē , stuti-nindā ādi sab kuchh sahan karnā hai .
114Whether someone gets angry with you, praises you or defames you, you have to tolerate everything.
118Kōī dēvālā mārtā hai tō samajhtē haĩ - bābā ab sahāyatā karē .
115When someone goes bankrupt, they think that Baba should help him.
119Arē yah tō tumhārā karmabhōg hai , sō tō tumkō sahan karnā hai .
116Oh! but that is the result of your karma and you have to tolerate it.
120Bāp ismē̃ kyā karē .
117What can the Father do about that?
121Bāp āyā huā hai sab ātmāō̃ kō lē jānē .
118The Father has come to take all souls back home.
122Yah bhī tum bachchē hī jāntē hō .
119Only you children know this.
123Duniyā mē̃ sab ghōr andhiyārē mē̃ haĩ .
120Everyone in the world is in extreme darkness.
124Bhaktimārg mē̃ jarūr bhaktō̃ kā mān hōnā chāhiē .
121There should definitely be respect for the devotees on the path of devotion.
125Śhaṅkarāchārya ādi yah sab bhagat haĩ .
122Shankaracharya etc. are all devotees.
126Unhō̃ kō kahē̃gē pavitra bhagat .
123They are called pure devotees.
127Bhakti cult tō hai nā .
124There is the cult of devotion.
128Jō pavitra rahtē haĩ , unhō̃ K|kē baṛē-baṛē akhāṛē banē huē haĩ . 129Unkā mān kitnā hai .
125Those who remain pure have so many huge ashrams built and they are given so much respect.
130Religious kitābō̃ kā bhī bahut mān hai .
126There is also a lot of respect for religious books.
131Unkō baṛī-baṛī parikramā dilātē haĩ .
127People take them around the city.
132Bhakti kā mān bahut hai .
128There is a lot of respect for devotion.
133Gyān kā kiskō patā bhī nahī̃ hai .
129No one even knows about knowledge.
134Tum jab dēvtā bantē hō tō tumhārī kitnī mahimā hōtī hai .
130When you become deities, you are praised so much.
135Aisā kōī nahī̃ hōgā jinkē mā̃ bāp kisī na kisī mandir ādi mē̃ nahī̃ jātē hōṅgē .
131There would not be anyone whose parents don’t go to one temple or another.
136Kuchh na kuchh bhakti K|kē chinh ghar mē̃ jarūr hōtē haĩ .
132There are definitely some signs of devotion at home.
137Hē bhagvān kahnā , yah bhī bhakti mārg hai .
133To say, “O God!” is also on the path of devotion.
138Ab tum bēhad bāp K|kē banē hō .
134You now belong to the unlimited Father.
139Yah bāp , yah dādā , isliē trimūrti K|kē chitra par samjhānā baṛā achchhā hai . 140Bhal kōī kahē dādā kō kyō̃ rakhā hai ?
135That One is the Father, and this one is Dada and this is why it is very good to explain the picture of the Trimurti, even though some may ask: Why have you kept Dada here?
141Arē prajāpitā brahmā tō jarūr yahā̃ chāhiē nā .
136Oh! but Prajapita Brahma, the Father of People, is definitely needed here.
142Yah tō jhāṛ mē̃ nīchē tapasyā mē̃ baiṭhē haĩ .
137He is sitting under the tree in tapasya.
143Parantu vah badaltē rahtē haĩ .
138However, he continues to change.
144Yah jō mukhya haĩ vah sadaiv kāyam haĩ .
139The main one is always there.
145Ismē̃ bachchō̃ kō bahut mīṭhā bannā hai .
140You children have to become very sweet here.
146Chalan baṛī royal hōnī chāhiē .
141Your activity has to be very royal.
147Bāt cum|kam karnī chāhiē .
142You should speak less.
148Pahlē-pahlē bāp kā parichay dēnā hai .
143First of all, give the Father’s introduction.
149Jāstī tīk-tīk karnā phāltū hai .
144It is useless to babble on a lot.
150Bahut thōṛā bōlō .
145Speak very little.
151Tumnē bhī bhakti mārg mē̃ bahut bōlā hai , raṛī mārī hai .
146You spoke a lot and shouted so much on the path of devotion.
152Kitnē dhakkē khāyē haĩ .
147You stumbled around so much.
153Ab tumkō simple samjhātē haĩ - sirph bābā kō yād karō tō yōgbal sē viśhva K|kē mālik ban saktē hō .
148Now, it is explained to you very simply: Remember Baba and, with the power of yoga, you can become the masters of the world.
154Āgē chal yah patā paṛēgā , number-vār kaun-kaun kyā bantē haĩ .
149As you progress further, you will know who becomes what, numberwise.
155Prajā kā hisāb thōṛēhī nikālē̃gē .
150You cannot assess the subjects.
156Vah tō lākhō̃ karōṛō̃ hō jāyēṅgē .
151There would be hundreds of thousands to tens of millions of them.
157Jō brāhmaṇ banē̃gē vahī sūryavanśhī chandravanśhī banē̃gē .
152Those who become Brahmins will become part of the sun and moon dynasties.
158Āgē chalkar bahut yād karnē lag paṛē̃gē .
153As you progress further, many will begin to have remembrance.
159Jab maut sāmnē āyēgā phir vairāgya āyēgā .
154When death comes in front of them, they will have disinterest.
160Yah vahī mahābhārat laṛāī hai .
155This is the same Mahabharat War.
161Sabhī ātmāyē̃ hisāb-kitāb chuktū kar jāyēṅgī , iskō kayāmat kā samay kahā jātā hai .
156All souls will settle their accounts. 157This is called the time of settlement.
162Itnē sab śharīr khatm hōṅgē .
158All of these bodies will be destroyed.
163Natural calamities hōnī hai , yah bhī drama mē̃ nūndh hai .
159There have to be natural calamities. 160This too is fixed in the drama.
164Naī bāt nahī haĩ .
161It is not a new thing.
165Famine ( akāl ) K|kē kāraṇ manuṣhya bhūkhō̃ martē haĩ .
162People die because of famine.
166Bāp jāntē haĩ mērē bachchē bahut duḥkhī haĩ .
163The Father knows that His children are very unhappy.
167Sabkō duḥkhō̃ sē chhuṛākar vāpis lē jāūṅgā .
164He liberates everyone from sorrow and takes them back.
168Bāp kahtē haĩ - yah sab āpas mē̃ laṛē̃gē . 169Makkhan phir bhī tumkō milnā hai , sārē viśhva K|kē tum mālik bantē hō .
165The Father says: All of them will fight among themselves, and you will receive the butter; you will become the masters of the whole world.
170Mukh mē̃ chandramā kā sākṣhātkār kartē thē nā !
166They had a vision of the moon in Krishna’s mouth.
171Mukh mē̃ yah viśhva kā gōlā ā jātā hai .
167The world globe is in your mouths.
172Tum prince princess bantē hō .
168You become princes and princesses.
173Sārī sr̥iṣhṭi jaisē tumhārī muṭṭhī mē̃ hai .
169The whole world is in your fists.
174Mukh mē̃ bhī , muṭṭhī mē̃ bhī dikhātē haĩ .
170It is shown in the mouth and also in the fist.
175Ab svarg kā gōlā tumhārē mukh mē̃ hai .
171You now have the globe of heaven in your mouths.
176Tum jāntē hō yōgbal sē ham viśhva K|kē mālik bantē haĩ .
172You know that you become the masters of the world through the power of yoga.
177Yōg sē health aur gyān sē wealth miltī hai .
173You receive health through yoga and wealth through knowledge.
178Tum chakravartī rājā bantē hō .
174You become the rulers of the globe.
179Parantu bachchō̃ kō itnā kadar nahī̃ hai - paṛhāī kā .
175However, some children don’t value this study that much.
180Bhal badalī hō jātī hai parantu bāp kahtē haĩ kahā̃ bhī rahō lēkin paṛhō jarūr .
176Although you may change your job, you must definitely study wherever you live.
181Pavitra rahō , khān-pān śhuddha rakhō .
177Remain pure and let your food and drink be pure.
182Sabsē tōṛ bhī nibhānā hai .
178Fulfil your responsibilities to everyone.
183Yah duniyā duḥkh dēnē vālī hai .
179This is a world that causes sorrow.
184Mukhya hai kām kaṭārī chalānā , vah bhī muśhkil chhōṛtē haĩ .
180The main thing is the use of the sword of lust, because people don’t renounce it that easily.
185Kuchh kahō tō traitor ban jātē haĩ .
181If you tell them anything, they become traitors.
186Phir ablāō̃ par kitnē vighna ātē haĩ .
182Then, there are so many obstacles for the poor innocent women.
187Yah ārya samājī tō abhī āyē haĩ .
183Those of the Arya Samaj have recently come into existence.
188Pichhāṛī key|kī ṭālī hai .
184They are one of the last branches.
189Dēvtāō̃ kō mānnē vālē nahī̃ haĩ .
185They don’t believe in the deities.
190Mahāvīr , hanūmān kā nām hai , vīratā dikhāī hai .
186There are the names of Mahavir, Hanuman who have shown courage.
191Jainiyō̃ nē bhī mahāvīr nām rakh diyā hai .
187The Jains have also used the name Mahavir.
192Abhī arth|earth tō tum samajhtē hō .
188You now understand its meaning.
193Tum bachchē bhī mahāvīr hō jō rāvaṇ par jīt pātē hō .
189You children who conquer Ravan are also Mahavirs.
194Yah hai sārī yōgbal key|kī bāt .
190All of this is a matter of the power of yoga.
195Tum bāp kō yād kartē hō , ussē tumhārē vikarma vināśh hōṅgē .
191You remember the Father and your sins are being absolved by your doing that.
196Phir śhānti-sukh mē̃ chalē jāyēṅgē .
192You will then go into peace and happiness.
197Yah paigām sabkō dēnā hai .
193Give everyone this message.
198Yah sthāpanā baṛī wonderful hai , inkō kōī nahī̃ jāntē .
194This establishment is very wonderful! 195No one knows it.
199Tumhārē mē̃ bhī number-vār haĩ .
196Among you, too, it is numberwise.
200Kōī bhī andar vikār nahī̃ hōnē chāhiē .
197There shouldn’t be any vices in you.
201Ātmā kō bāp gyān dē rahē haĩ .
198The Father is giving knowledge to souls.
202Ātmā vikārī bantī hai , sab kuchh ātmā hī kartī hai .
199Souls become vicious. 200It is souls that do everything.
203Tō ab bāp key|kī śhrīmat par pūrā chalnā chāhiē .
201So, you should now follow the Father’s shrimat fully.
204Satgurū K|kē sammukh rahkar nindā karāī tō ṭhaur nahī̃ pā sakē̃gē .
202If you personally stay in front of the Satguru and cause defamation, you won’t be able to receive a high status.
205Kōī bhī pāp karnā yah nindā huī .
203To commit a sin is defamation.
206Teacher key|kī mat par nahī̃ chalē̃gē tō ṭhaur nahī̃ pāyēṅgē , nā-pass hō jāyēṅgē .
204If you don’t follow the instructions of the Teacher, you won’t receive a high status; you will fail.
207Teacher key|kī śhikṣhā lētē rahē̃gē tō pass with honour hōṅgē .
205If you continue to take the teachings of the Teacher, you will pass with honours.
208Vah haĩ had key|kī bātē̃ , yah haĩ bēhad key|kī bātē̃ .
206Those are limited matters and these are unlimited matters.
209Bhagvān kaun hai , duniyā mē̃ yah kiskō mālūm nahī̃ hai .
207No one in the world knows who God is.
210Māyā bhī satō rajō tamō hōtī hai .
208Maya is also sato, rajo and tamo.
211Ab māyā bhī tamōpradhān hai .
209Now, Maya too is tamopradhan.
212Dēkhō , kyā-kyā kartē rahtē haĩ .
210Look what they continue to do!
213Kōī mē̃ buddhi nahī̃ hai ki ham kiskō āg lagātē haĩ .
211Some don’t have the intellects to know what they are setting on fire.
214Yah bhī drama mē̃ nūndh hai .
212This is also fixed in the drama.
215Jō kuchh hōtā hai drama anusār hōtā hai .
213Whatever happens happens according to the drama.
216Yādavō̃ kā plan , kauravō̃ kā plan aur pāṇḍavō̃ kā plan , kyā-kyā karat bhayē .
214What are the plans of the Yadavas, the Kauravas and the Pandavas? 215What are they all doing?
217Pāṇḍavō̃ kō ūñch tē ūñch plan batānē vālā hai bāp .
216It is the Father who shows the highest plan of all to the Pandavas.
218Naī duniyā mē̃ lakṣhmī-nārāyaṇ kā rājya thā .
217It used to be the kingdom of Lakshmi and Narayan in the new world.
219Abhī purānī duniyā kā vināśh hōnā hai .
218The old world is now to be destroyed.
220Tum most beloved bāp sē most beloved bachchē varsā lē rahē hō .
219You most beloved children are claiming your inheritance from the most beloved Father.
221Bāp bigar kōī kah na sakē ki ham tumkō sāth lē jāyēṅgē .
220No one, apart from the Father, can say: I will take you back with Me.
222Vah kah dētē sab paramātmā hī paramātmā haĩ . 223Phir yah kahnā āyēgā kaisē .
221They say that all are forms of God; in that case, how could they say this?
224Yah sab bātē̃ tum bachchē hī jāntē hō aur na jānē kōī .
222Only you children know these things; no one else knows them.
225Achchhā !
223Achcha.
226Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .
224To the sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.
227Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .
225The spiritual Father says namaste to the spiritual children.
Essence for dharna
228Dhārṇā kē liē mukhya sār :
226Essence for dharna:
2291 ) vināśh key|kī bhāvī kō jān pūrā-pūrā śhrīmat par chalnā hai .
227 1. Recognise that destruction is destined and follow shrimat fully.
230Yād K|kē bal sē viśhva kī bādśhāhī lēnē kā puruṣhārth karnā hai , apnī jagī huī jyōt sē sabkī jyōt jagākar sachchī dīpāvalī manānī hai .
228Make effort to claim the sovereignty of the world with the power of yoga. 229Ignite the light of everyone with your ignited light and celebrate true Deepawali.
2312 ) stuti-nindā sab kuchh sahan kartē huē bāp samān pyār kā sāgar bannā hai .
230 2. Tolerate everything, praise and defamation and become an ocean of love, the same as the Father.
232Chalan baṛī royal rakhnī hai .
231Let your activity be very royal.
233Bāt bahut cum|kam karnī hai .
232Speak very little.
Blessing
234Vardān : īśhvarīy kul key|kī smr̥iti dvārā māyā kā sāmnā karnē vālē sadā samarth svarūp bhav
233Blessing: May you constantly be an embodiment of power and face Maya with the awareness of this Godly clan.
235Kisī bhī kārya mē̃ saphaltā prāpt karnī hai tō pahlē smr̥iti dvārā samarthī svarūp banō .
234 In order to be successful in any task, first of all, become aware that you an embodiment of power.
236Samarthī ānē sē māyā kā sāmnā karnā sahaj hō jāyēgā .
235When you have power, it will be easy to face Maya.
237Jaisī smr̥iti hōtī hai vaisā svarūp ban jātā hai isliē sadā powerful smr̥iti rahē - ki jab tak yah īśhvarīy janm hai tab tak her|har second , her|har saṅkalp , her|har kārya īśhvarīy sēvā par hū̃ .
236As is your awareness, so will be your form. 237Therefore, always have this powerful awareness: While I am in this spiritual birth, I am on Godly service at every second, in every thought and in every task.
238Hamārā yah īśhvarīy kul hai , yah smr̥iti key|kī seat sarv kamjōriyō̃ kō samāpt kar dēgī .
238This is my Godly clan. 239The seat of this awareness will finish all weaknesses.
Slogan
239Slōgan : satya samay pramāṇ svayã siddha hōtā hai usē siddha karnē key|kī āvaśhyaktā nahī̃ .
240Slogan: Truth is automatically proved at the right time – it does not need to be proved.
241*** Om Shanti ***