गुरुवार 2 दिसंबर 2021 की दैनिक मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
ध्यान दें: वाक्यों का संरेखण अक्षरों की संख्या पर आधारित है और पूरी तरह विश्वसनीय नहीं है।
आप पूरी मुरली या उसके किसी भाग का वाक्य संरेखण स्वयं सुधार सकते हैं।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
002-12-2021 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban
0 02/12/21 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban
Essence
1 « mīṭhē bachchē - ātma-abhimānī bannē key|kī practice karō , jitnā ātma-abhimānī banē̃gē utnā bāp sē lav|love rahēgā ' '
1Essence: Sweet children, practise being soul conscious. 2The more soul conscious you become, the more love you will have for the Father.
Question
2Praśhna : dēhī-abhimānī bachchō̃ mē̃ kaun sā akla sahaj hī ā jātā hai ?
3Question: What wisdom do soul-conscious children easily develop?
Answer
3Uttar : apnē sē baṛō̃ kā regard kaisē rakhē̃ , yah akla dēhī-abhimānī bachchō̃ mē̃ ā jātā hai . 4Abhimān tō ēkdam murdā banā dētā hai .
4Answer: How to give regard to those who are senior to you is the wisdom soul-conscious children develop. 5Arrogance makes you into such complete corpses that you are unable to remember the Father.
5Bāp kō yād hī nahī̃ kar saktē . 6Agar dēhī-abhimānī rahē̃ tō bahut khuśhī rahē , dhārṇā bhī achchhī hō .
6When you become soul conscious, you remain very happy and are able to imbibe well.
7Vikarma bhī vināśh hō̃ aur baṛō̃ kā regard bhī rakhē̃ .
7Your sins are absolved and you also have regard for the seniors.
8Jō sachchī dil vālē haĩ vē|way samajhtē haĩ ki ham kitnā samay dēhī-abhimānī rah bāp kō yād kartē haĩ .
8Those who have honest hearts understand for how long they remain soul conscious and remember the Father.
Song
9Gīt : na vah hamsē judā hōṅgē …
9Song: Neither will He be separated from us nor will our love for Him die!
Murli
10Ōm śhānti .
10Om shanti.
11Yah kisnē kahā ?
11Who said this?
12Ātmā nē kahā kyōṅki tum bachchē ab ātma-abhimānī ban rahē hō drama plan anusār .
12The soul said it because, according to the drama plan, you children are now becoming soul conscious.
13Ādhākalp dēh-abhimānī banē̃ , ādhākalp tum phir ātma-abhimānī bantē hō .
13You have been body conscious for half the cycle and you are now becoming soul conscious for half the cycle.
14Abhī tumkō ātma-abhimānī bannē key|kī practice karnī paṛē .
14You now have to practise being soul conscious.
15Bābā ghaṛī-ghaṛī kahtē haĩ bachchē aśharīrī bhav , ātma-abhimānī bhav .
15Baba repeatedly says: Children, may you be bodiless! 16May you be soul conscious!
16Tum bachchē sāmnē baiṭhē hō aur vah dūr baiṭhē haĩ . 17Yah jāntē haĩ ki hamkō ātma-abhimānī ban bāp kō yād karnā hai .
17You children are sitting in front of Baba whereas others are sitting far away, but you all know you have to become soul conscious and remember the Father.
18Bābā key|kī hī śhrīmat par chalnā hai .
18You must only follow Baba's shrimat.
19Iskō kahā jātā hai śhrēṣhṭh tē śhrēṣhṭh mat .
19These are called the most elevated directions.
20Bāp kē sāth bahut lav|love hōnā chāhiē .
20You should have a lot of love for the Father.
21Abhī bāp kahtē haĩ dēh sahit dēh K|kē sab sambandhō̃ kō chhōṛō .
21The Father says: Now renounce your bodily relations including your bodies.
22Ātma-abhimānī bannē key|kī bahut-bahut practice karnī hai .
22You have to practise being soul conscious a great deal.
23Śharīr tō vināśh hōnā hai . 24Ātmā hai avināśhī .
23The body is to be destroyed, whereas the soul is imperishable.
25Vināśhī śharīr kō yād karnē K|kē kāraṇ ātmā kō bhūl baiṭhē haĩ .
24Because of remembering perishable bodies you have forgotten about souls.
26Yah bhī bachchō̃ kō samjhāyā jātā hai ki ātmā kyā chīz hai .
25It is explained to you children what a soul is.
27Kahtē bhī haĩ ki ātmā chhōṭī star misal hai .
26It is said that a soul is like a tiny star.
28In ākhō̃ sē dēkhnē mē̃ nahī̃ ātī hai , unkō divya dr̥iṣhṭi bigar dēkhā nahī̃ jā saktā hai .
27It cannot be seen with these eyes. 28It cannot be seen without divine vision.
29Ātmā kō dēkhnē key|kī kōśhiśh bahut kartē haĩ parantu dēkh nahī̃ saktē .
29People try very hard to see a soul, but they are unable to see it.
30Kōī divya dr̥iṣhṭi sē dēkhtē bhī haĩ tō bhī samajh nahī̃ saktē ki yah kyā chīz hai .
30Even if someone does see one in a divine vision, he cannot understand what it is.
31Baṛī chīz tō hai nahī̃ .
31It is not a big thing.
32Ātmā bilkul chhōṭī star misal hai . 33Kitnī chhōṭī bindī hai .
32A soul is extremely tiny, like a star; it is such a tiny point.
34Yah bātē̃ kiskī buddhi mē̃ baiṭhnā baṛā muśhkil hai kyōṅki ādhākalp sē dēh-abhimān mē̃ rahē haĩ .
33It is very difficult for these things to sit in your intellects because you have been body conscious for half the cycle.
35Bāp samjhātē haĩ tum apnē kō ātmā niśhchay karō , ham ātmā vahā̃ K|kē rahnē vālē haĩ .
34The Father explains: Have the faith that you are souls. 35We souls are residents of that place.
36Yah śharīr tō yahā̃ lēnā hai .
36We adopt bodies here.
37Yah śharīr 5 tatvō̃ kā banā huā hai .
37These bodies are made of the five elements.
38Piṇḍ ( śharīr ) jab taiyār hōtā hai tō phir chhōṭī ātmā inmē̃ pravēśh kartī hai .
38When a foetus is ready, a tiny soul enters it and there is life.
39Chaitanyatā ātī hai . 40Ātmā bhī satya , chaitanya hai tō parampitā paramātmā bhī sat hai , chaitanya hai .
39A soul is the truth and a living being and so the Supreme Father, the Supreme Soul, too, is the Truth and the Living Being.
41Param ātmā hai .
40He is the Supreme Soul.
42Vah kōī baṛī chīz nahī̃ hai .
41He is not a big thing.
43Ātmā bhī chhōṭī hai .
42Souls too are tiny.
44Jaisē inmē̃ gyān hai vaisē tumhārī ātmā mē̃ bhī gyān hai .
43Just as He has knowledge, so you souls too have knowledge.
45Itnī chhōṭī ātmā mē̃ sārā gyān hai , yah baṛā wonder hai .
44It is a great wonder how such a tiny soul has all the knowledge within him.
46Parantu bachchē ghaṛī-ghaṛī yah bātē̃ bhūl jātē haĩ . 47Dēh-abhimān mē̃ ā jātē haĩ .
45However, you children repeatedly forget these things; you become body conscious.
48Abhī tum ātmāyē̃ is śharīr dvārā viśhva K|kē mālik bantē hō arthāt god goddess bantē hō .
46You souls are now becoming the masters of the world through your bodies, that is, you are becoming gods and goddesses.
49Bāp tō hai god father .
47The Father is God, the Father.
50Parantu bhārat mē̃ in lakṣhmī-nārāyaṇ kō god goddess kahtē haĩ kyōṅki inhō̃ kō itnā ūñch bāp banātē haĩ .
48However, in Bharat, Lakshmi and Narayan are called a god and goddess because the Father makes them so elevated.
51Is knowledge sē dēkhō kyā ban jātē haĩ .
49Look at what you become through this knowledge!
52Jō achchhī rīti paṛhāī paṛhkar imtahān mē̃ pās|pass hōtē haĩ , vah kamāī bhī achchhī kartē haĩ .
50Those who study well and pass their examinations earn a good income.
53Jaisē duniyā mē̃ kōī bahut beautiful hōtē haĩ tō unkō bahut inām miltā hai .
51Those who are very beautiful in the world also receive prizes.
54Phir kahtē - miss India , miss America . . . śharīr kē sāth vō lōg kitnī mēhnat kartē haĩ .
52They are called "Miss India, Miss America”. 53Those people make so much effort on their bodies.
55Satyug mē̃ tō natural beauty hōtī hai , kaśhiśh karnē vālī .
54In the golden age they have natural beauty that attracts.
56Satōpradhān prakr̥iti sē śharīr bantē haĩ nā .
55Bodies are made out of satopradhan elements.
57Vah kitnā khīñchtē haĩ .
56They attract so much.
58Lakṣhmī-nārāyaṇ , rādhē-kr̥iṣhṇa K|kē chitra kitnā sabkō khīñchtē haĩ .
57The pictures of Lakshmi and Narayan and Radhe and Krishna attract everyone so much.
59Vah bhī kōī accurate chitra nahī̃ bantē haĩ .
58Those pictures are not accurate pictures.
60Vahā̃ tō haĩ hī satōpradhān , tō natural beauty rahtī hai .
59There, they are satopradhan and so they have natural beauty.
61Yah sab bābā samjhātē haĩ .
60Baba explains all of this.
62Vō lōg gātē haĩ hē patit-pāvan . . . parantu samajhtē kuchh bhī nahī̃ .
61Those people sing: “O Purifier” but they don't understand anything.
63Pukārtē bhī aisē haĩ jaisē bēsamajh .
62They call out as though they are senseless, “O God, have mercy!
64Hē bhagvān dayā karō , rahm karō .
63Be merciful!” but they don't know who God is at all.
65Parantu bhagvān kyā chīz hai , vah jarā bhī patā nahī̃ .
64If they knew the Father, they would also know the creation.
66Bāp kō jānē̃ tō rachnā kō bhī jānē̃ isliē r̥iṣhi-muni ādi sab nētī-nētī kah gayē .
65This is why rishis and munis all say: Neither this nor that (Neti neti).
67Yah tō bilkul ṭhīk . 68Rachtā aur rachnā kō kōī jāntē nahī̃ .
66This is absolutely right: no one knows the Creator or creation.
69Agar jān jāyē̃ tō viśhva K|kē mālik ban jāyē̃ .
67If they were to know, they could become the masters of the world.
70Abhī tum samajhtē hō - in lakṣhmī-nārāyaṇ kō bhī aisā banānē vālā bāp hī hai .
68You now know it was the Father who made Lakshmi and Narayan like that.
71Abhī tum bāp K|kē sammukh baiṭhē hō parantu ādhākalp dēh-abhimān mē̃ rahnē K|kē kāraṇ itnā regard rakh nahī̃ saktē .
69You are now sitting personally in front of the Father but, because you have been body conscious for half the cycle, you are unable to have that much regard.
72Ātma-abhimānī bantē hī nahī̃ haĩ .
70You haven’t become soul conscious at all!
73Dēhī-abhimānī bannē sē din-pratidin tumhārā regard baṛhtā jāyēgā .
71When you become soul conscious, your regard will increase day by day.
74Jab pūrē dēhī-abhimānī banē̃gē tō regard bhī rakhē̃gē .
72When you become completely soul conscious, there will be regard for you.
75Avasthā bhī sudhartī jāyēgī , khuśhī bhī rahēgī .
73Your stage will continue to be reformed and there will also be happiness.
76Number-vār tō hōtē haĩ nā .
74It is numberwise.
77Jaisē bāp tumkō samjhātē haĩ tum bhī aurō̃ kō yukti batātē rahō ki apnē kō ātmā samjhō .
75Just as the Father is explaining to you, so you must continue to show others the method of considering oneself to be a soul.
78Ab tumhārā 84 kā chakra pūrā huā , ab vāpis chalnā hai .
76Your cycle of 84 births has now come to an end. 77You now have to return home.
79Ham ātmā ghar sē yahā̃ ākar śharīr dhāraṇ kar part bajā rahē haĩ .
78We souls came from our home and adopted bodies here and are playing our parts.
80Yahā̃ kitnē janma liē , vah bhī buddhi mē̃ knowledge hai .
79Your intellects also have the knowledge of how many births you have taken here.
81Dēhī-abhimānī bannē mē̃ hī mēhnat hai .
80Only in becoming soul conscious is effort required.
82Ghaṛī-ghaṛī māyā dēh-abhimānī banā dētī hai .
81Maya repeatedly makes you body conscious.
83Abhī tumkō māyā par jīt pākar dēhī-abhimānī bannā hai .
82You now have to conquer Maya and become soul conscious.
84Ēkānt mē̃ baiṭh vichār karō ham ātmā haĩ .
83Sit in solitude and think: I am a soul.
85Bāp nē kahā hai māmēkam yād karō tō vikarma vināśh hōṅgē .
84The Father has said: Constantly remember Me alone and your sins will be absolved.
86Is dēh mē̃ mōh nahī̃ rakhō .
85Don't have attachment to your body.
87Ham ātmā avināśhī haĩ , hamkō bhāīyō̃ mē̃ bhī buddhiyōg nahī̃ lagānā hai .
86I, this soul, am imperishable. 87I mustn't connect my intellect in yoga to even my brothers.
88Bhāī kō bhāī sē varsā thōṛēhī milēgā .
88A brother will not receive an inheritance from a brother.
89Na kōī key|kī ātmā kō , na bhāī K|kē śharīr kō yād karnā hai .
89You must neither remember any soul nor the body of any brother.
90Yād ēk bāp kō karnā hai .
90Just remember the one Father.
91Varsā bhī bāp sē hī milēgā .
91Only from the Father will the inheritance be received.
92Ham ātmā ab apnē ghar jātī haĩ phir satyug mē̃ ākar apnā rājya bhāgya lē̃gī .
92I, this soul, am now going to my home and I will then go to the golden age and claim my fortune of the kingdom.
93Vahā̃ ātma-abhimānī hōṅgē .
93There, we will be soul conscious.
94Yahā̃ māyā rāvaṇ dēh-abhimānī banā dētī hai .
94Here, Maya, Ravan, makes you body conscious.
95Abhī tum phir ātma-abhimānī bannē kā puruṣhārth kar rahē hō .
95You are now once again making effort to become soul conscious.
96Apnā kalyāṇ kartē rahō .
96Continue to benefit yourselves.
97Yahā̃ chitrō̃ K|kē sāmnē ākar baiṭhō .
97Come and sit here in front of the pictures.
98Jaisē military kō phīlḍa mē̃ practice karāī jātī hai nā . 99Abhī tumkō ātma-abhimānī ban bābā kō yād karnē key|kī practice karnī hai .
98Just as the military are made to practise on a field, so you now have to become soul conscious and practise remembering Baba.
100Bāp kahtē haĩ - tum tō mērē bachchē hō nā .
99The Father says: You are My children.
101Dēh-abhimānī bannē sē tum māyā K|kē ban gayē hō .
100By becoming body conscious you have become Maya's.
102Bulātē bhī hō ki hē patit-pāvan , hē gyān K|kē sāgar . . . bākī tō sab haĩ bhakti K|kē sāgar .
101You call out: O Purifier! 102O Ocean of Knowledge! 103All the rest are oceans of devotion.
103Bhakti mārg kā kitnā vistār hai .
104There is so much expansion on the path of devotion.
104Bāp ātē haĩ jhūṭhī duniyā mē̃ sō bhī sādhāraṇ rūp mē̃ .
105The Father comes into the false world and that too, in an ordinary form.
105Drama mē̃ nūndh hī aisī hai .
106It is fixed like that in the drama.
106Patit śharīr mē̃ hī bāp ātē haĩ .
107The Father enters an impure body.
107Lakṣhmī-nārāyaṇ K|kē śharīr mē̃ thōṛēhī āyēṅgē .
108He would not enter the body of Lakshmi or Narayan.
108Unhō̃ kō tō rājya bhāgya milā huā hai .
109They will have received their fortune of the kingdom.
109Tō usmē̃ maĩ kaisē āū̃ .
110So, how could I enter them?
110Mujhē sādhāraṇ rūp mē̃ pahchāntē nahī̃ haĩ .
111No one recognises Me in My ordinary form.
111Pukārtē haĩ parantu yah samajhtē thōṛēhī haĩ ki vah bhī jarūr kōī śharīr mē̃ āyēṅgē nā .
112They call out to Me but they don't understand that I would also definitely have to enter someone's body.
112Mērā rūp tō hai nirākār bindī .
113My form is an incorporeal point.
113Tō jarūr prajāpitā brahmā K|kē tan mē̃ hī āūṅgā .
114So, I would definitely enter the body of Brahma, the Father of People.
114Prajāpitā tō jarūr yahā̃ hōnā chāhiē , jarūr purānā tan hōgā .
115The Father of People definitely has to exist here and he would definitely have an old body.
115Yah brahmā purānā aur bājū mē̃ viṣhṇu nayā khaṛā hai .
116This Brahma is old, and Vishnu, who is new, is standing next to him (in the picture).
116Trimūrti K|kē chitra mē̃ kitnā gyān hai .
117There is so much knowledge in the picture of the Trimurti.
117Tum bachchē āgē in dēvtāō̃ kō bulātē thē .
118Previously, you children used to invoke those deities.
118Śhrī nārāyaṇ key|kī kitnī khātirī kartē thē .
119You used to offer so much hospitality to Shri Narayan.
119Wonder hai nā .
120It was a wonder!
120Ham khud nārāyaṇ kō kitnā pyār kartē thē .
121I myself used to love Narayan so much.
121Śhrī nārāyaṇ āyā hai , inkō khilāō pilāō . . . andar mē̃ samajhtē haĩ abhī ham ban rahē haĩ .
122When the Shri Narayan soul was invoked, he was fed etc. 123Internally, I understood that I was becoming him.
122Jō banā huā hai , unkī jarūr khātirī karē̃gē .
124You would definitely offer hospitality to someone who has already become him.
123Gōyā ham apnī khātirī kartē haĩ .
125That means, I am offering myself that hospitality.
124Bābā bhī kahtē thē apnī khātirī kartē hō .
126Baba also used to say that he was offering himself that hospitality.
125Tum bachchō̃ nē dēkhā tō hai nā - yah baṛī wonderful bātē̃ haĩ .
127You children saw those things, didn’t you? 128These things are so wonderful!
126Yah dūsrā kōī samjhā na sakē .
129No one else can explain these things.
127Tum hī samjhā saktē hō .
130Only you can explain these things.
128Yah tō hai hī bilkul nayā gyān .
131This is completely new knowledge.
129Bāp kahtē haĩ - maĩ phir sē dēvī-dēvtā dharm sthāpan kartā hū̃ .
132The Father says: I am once again establishing the deity religion.
130Ādi mē̃ hai dēvī-dēvatāō̃ kā rājya . 131Madhya mē̃ hai rāvaṇrājya .
133At the beginning, there is the kingdom of deities, and in the middle there is the kingdom of Ravan.
132Abhī hai ant .
134It is now the end.
133Ant mē̃ tō bāp khud ātē haĩ .
135At the end the Father Himself comes.
134Abhī bachchē tum ādi-madhy-ant kō jān gayē hō . 135Ab bākī thōṛē samay mē̃ kyā-kyā hōnē vālā hai .
136You children now know the beginning, the middle and the end and also what is to happen in a short time: destruction will definitely take place.
136Vināśh bhī jarūr hōgā . 137Kahtē haĩ mahābhārat laṛāī lagī thī , ab phir lagēgī .
137It is said that the Mahabharat War took place and that it will take place again.
138Is samay yah kiskō patā nahī̃ hai .
138At this time no one knows this.
139Patit-pāvan tō ēk hī bāp hai , vah āyā hai tō bākī kitnā samay rahēgā .
139Only the one Father is the Purifier. 140He has come, so how much time would remain now?
140Śhrīkr̥iṣhṇa tō hō na sakē , usnē tō satyug mē̃ ēk janma liyā , kr̥iṣhṇa nām sē phir nām rūp badal gayā .
141Shri Krishna cannot be that. 142He took one birth in the golden age. 143He then changed his name and form from that of Krishna.
141Śharīr key|kī banāvaṭ hī badal jātī hai .
144The whole make-up of the body changed.
142Bāp nē samjhāyā hai ki tum hī jō pūjya thē , vahī phir pujārī banē hō .
145The Father has explained that you, who were worthy of worship, have now become worshippers.
14384 janm kaisē liyē haĩ , yah bhī bāp nē samjhāyā hai , aur kahtē haĩ tum ādhākalp dēh-abhimān mē̃ rahē hō , ab dēhī-abhimānī banō .
146The Father has explained to you how you take 84 births. 147He says: You have been body conscious for half a cycle. 148Now become soul conscious!
144Tum ātmā hō .
149You are souls.
145Maĩ tumhārā bāp parampitā paramātmā hū̃ .
150I am your Father, the Supreme Father, the Supreme Soul.
146Maĩ aśharīrī hū̃ aur bachchō̃ kō baiṭh apnā parichay dētā hū̃ .
151I am bodiless and I give you children My introduction.
147Yah jō gāyā huā hai - atīndriya sukh gōp gōpiyō̃ sē pūchhō , yah ant key|kī bāt hai jab imtahān key|kī result najdīk ātī hai .
152When the phrase, “Ask the gopes and gopis about supersensuous joy,” is said, it is remembered that it refers to the final period, when the result of the examination comes close.
148Jō bachchē jāstī service kartē haĩ , vah jarūr sabkō priya lagē̃gē .
153The children who do a lot of service are definitely loved by everyone.
149Pradarśhanī ādi mē̃ bhī pahlē unhō̃ kō yād kartē haĩ .
154They are the ones who are remembered first for the exhibitions.
150Likhtē haĩ phalānē kō bhējō .
155They write: Send so-and-so.
151Iskā matlab khud samajhtē haĩ yah hamsē hōśhiyār haĩ .
156This means they themselves understand that others are cleverer than they are.
152Parantu dēh-abhimān bahut hai .
157However, there is also a lot of arrogance.
153Hamārā baṛā bhāī athavā bahan hai tō phir unkō regard bhī dēnā chāhiē .
158You also have to give regard to your older brothers and sisters.
154Aisē kabhī nahī̃ kahē̃gē - phalānē hamārē sē 100 guṇā achchhē haĩ .
159No one would ever say: So-and-so is a hundred times better than me.
155Kiskō regard rakhnē kā bhī akla nahī̃ hai .
160No one has the wisdom to give regard to others.
156Bāp jō samjhātē haĩ us par chaltē nahī̃ tō unhō̃ kā kyā hall|hāl hōgā !
161What would be the condition of those who don't follow what the Father says?
157Dēh-abhimān murdā banā dētā hai .
162Body consciousness makes them into corpses.
158Bāp kahtē haĩ dēhī-abhimānī banō .
163The Father says: Become soul conscious!
159Savērē uṭh śhivbābā kō yād karō .
164Wake up in the morning and remember Shiv Baba.
160Vah bhī nahī̃ kartē .
165They don't even do that.
161Achchhē-achchhē mahārathī yōg mē̃ bahut cum|kam rahtē haĩ .
166Very good maharathis stay in yoga very little.
162Gyān tō chhōṭē bachchē bhī samjhā saktē haĩ . 163Parantu tōtē muāphik hō jātā hai .
167Even little children can explain knowledge, but that is explaining like a parrot.
164Ismē̃ tō yōg mē̃ rahē , dhārṇā bhī hō tab khuśhī chaṛhē .
168When you stay in yoga and also imbibe divine virtues, you can experience happiness.
165Yōg bigar vikarma vināśh hō na sakē̃ .
169Without having yoga, your sins cannot be absolved.
166Yād kiyā jātā hai pavitra chīz kō , tō unkē sāth lav|love bhī bahut hōnā chāhiē .
170Someone who is pure is remembered. 171Therefore, there should be a lot of love for the One.
167Ghaṛī-ghaṛī samjhāyā jātā hai - manmanābhav .
172It is explained to you again and again: Be “Manmanabhav!”
168Ādhākalp dēh-abhimānī rahē tō dēhī-abhimānī rahnā muśhkil lagtā hai . 169Bahut mēhnat lagtī hai .
173You have been body conscious for half the cycle and you therefore find it difficult to become soul conscious; it does take a lot of effort.
170Kitnē varṣh lag jātē haĩ dēhī-abhimānī avasthā banānē mē̃ .
174It takes so many years to create a stage of soul consciousness.
171Apnē kō chhōṭī ātmā samajh aur bāp kō bhī bindī samajh yād karē , ismē̃ mēhnat hai .
175To consider yourself to be a tiny soul and also to consider the Father to be a point and remember Him requires effort.
172Jō sachchē hōṅgē vah andar feel kartē hōṅgē ki ham kitnā yād kartē haĩ .
176Those who are honest will feel how much they themselves remember Baba.
173Yah practice bahut difficult hai .
177This practice is very difficult.
17421 janmō̃ kē liē svarg kī bādśhāhī pānā kōī cum|kam bāt hai kyā !
178It is not an easy thing to claim the sovereignty of heaven for 21 births.
175Tum samajhtē hō ham chhōṭī ātmā usmē̃ 84 janmō̃ kā part nūndhā huā hai .
179You understand you are tiny souls and that parts of 84 births are recorded in you.
176Ātmā hī mukhya actor bantī hai .
180The soul becomes the main actor.
177Ātmā hī sab kuchh bantī hai .
181The soul becomes everything.
178Parantu dēh-abhimān K|kē kāraṇ ātma-abhimān gum hō gayā hai .
182However, because of becoming body conscious, soul consciousness disappeared.
179Sabsē mukhya practice yahī karnī hai .
183This is the main thing you have to practise.
180Yahī bhārat kā prāchīn yōg bhī maśhhūr hai .
184This ancient yoga of Bharat is very well known.
181Yahī gītā hai . 182Sirph usmē̃ nām nirākār kē badlē dēhdhārī dēvtā kā likh diyā hai .
185This is the Gita, but they have just removed the name of the incorporeal One and inserted the name of a bodily being, a deity.
183Bāp kahtē haĩ - jisnē bahut bhakti śhurū sē lēkar ant tak kī hai , vahī number one ūpar jāyēṅgē .
186The Father says: Those who have performed a lot of devotion from the beginning to the end are the ones who will go back up first.
184Tumnē bhī bahut bhakti kī hai tō tum bachchō̃ kō bhī kitnī khuśhī rahnī chāhiē ki hamkō bāp milā hai .
187You too have performed a lot of devotion and so you children should have so much happiness that you have found the Father.
185Bābā hamkō paṛhā rahē haĩ , ham is paṛhāī sē viśhva kā mālik bantē haĩ .
188Baba is teaching us this study and through it we become the masters of the world.
186Ab bābā key|kī mat par tō jarūr chalnā chāhiē .
189Definitely follow Baba’s directions now.
187Bāp jō direction dētē haĩ agar kuchh ulṭā bhī hō gayā tō āpēhī sulṭā banā dēgē .
190Even when you follow the Father’s directions and something goes wrong, He will put it right.
188Rāy dēgē tō phir jimmēvār bhī haĩ .
191When He gives advice, He then becomes responsible.
189Ghaṛī-ghaṛī śhivbābā yād paṛtā rahēgā isliē yah bābā bhī sadaiv kahtē haĩ ki tumkō śhivbābā sunātē haĩ .
192You should continue to remember Shiv Baba again and again. 193That is why this Baba also always says: It is Shiv Baba who is telling you everything.
190Ham bhī suntē haĩ tō yē direction dēnē vālā śhivbābā hai .
194Even I listen and understand that it is Shiv Baba who gives these directions.
191Ham unkē direction par chaltē haĩ .
195I also follow His directions.
192Tum bhī unkō yād kartē hō . 193Yah bhī unkō yād kartē haĩ .
196You remember Him and this one also remembers Him.
194Dēh kā abhimān chhōṛ dō .
197Renounce the consciousness of bodies.
195Tum kōī jauhrī dādā kē pās thōṛēhī āyē hō . 196Tum tō śhivbābā kē pās āyē hō .
198You have not come to Dada, the jeweller, you have come to Shiv Baba.
197Gyān-sāgar tō vah hai nā !
199He is the Ocean of Knowledge.
198Tum āyē hō śhivbābā sē gyān amr̥it pīnē .
200You have come to Shiv Baba to drink the nectar of knowledge.
199Abhī bhī gyān amr̥it pītē rahtē hō .
201You are continuing to drink the nectar of knowledge even now.
200Rōz-rōz gyān sāgar bābā sunātē rahtē haĩ .
202Baba, the Ocean of Knowledge, continues to speak knowledge to you every day.
201Unkō hī yād karnā hai .
203Only remember Him.
202Bāp aisē nahī̃ kahtē ki bhakti chhōṛō .
204The Father doesn't tell you to renounce devotion.
203Jab gyān key|kī parākāṣhṭhā āyēgī tō āpēhī samajhē̃gē ki yah bhakti aur yah gyān hai .
205When you receive the light of knowledge, you automatically understand the difference between devotion and knowledge.
204Ādhākalp tumnē bhakti kī hai . 205Vāpis tō kōī gayā nahī̃ .
206You have been performing devotion for half a cycle, but no one has gone back home.
206Lē jānē vālā tō ēk hī bāp hai .
207It is only the one Father who can take you back.
207Achchhā !
208Achcha.
208Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .
209To the sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.
209Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .
210The spiritual Father says namaste to the spiritual children.
Essence for dharna
210Dhārṇā kē liē mukhya sār :
211Essence for dharna:
2111 ) bāp jō rāy dētē haĩ usē śhivbābā key|kī śhrīmat samajh chalnā hai .
212 1. Follow the advice the Father gives, considering it to be Shiv Baba's shrimat.
212Gyān amr̥it pīnā aur pilānā hai .
213Drink the nectar of knowledge and also enable others to drink it.
2132 ) sabkō regard dētē huē service par tatpar rahnā hai .
214 2. Remain busy doing service while giving regard to everyone.
214Dēh-abhimān chhōṛ dēhī-abhimānī rahnē key|kī practice karnī hai .
215Renounce body consciousness and practise being soul conscious.
Blessing
215Vardān : bālak aur mālikpan K|kē balance dvārā yuktiyukt chalnē vālē saphaltāmūrt bhav
216Blessing: May you be an embodiment of success who by keeping a balance of being a child and a master, moves along in a yuktiyukt way.
216Jitnā hō sakē service K|kē sambandh mē̃ bālakpan , apnē puruṣhārth key|kī sthiti mē̃ mālikpan , samparka aur service mē̃ bālakpan , yād kī yātrā aur manthan karnē mē̃ mālikpan , sāthiyō̃ aur saṅgaṭhan mē̃ bālakpan aur vyaktigat mē̃ mālikpan - is balance sē chalnā hī yuktiyukt chalnā hai .
217 As much as possible, be a child in terms of doing service and a master in terms of your stage in making effort. 218Be a child while making connections and in doing service and a master on the pilgrimage of remembrance and in churning. 219Be a child with your companions and in the gathering and a master as an individual. 220To move along while keeping this balance is to move along in a yuktiyukt way.
217Issē sahaj hī her|har kārya mē̃ saphaltā prāpt hōtī hai , sthiti ēkras rahtī hai aur sahaj hī sarv K|kē snēhī ban jātē haĩ .
221By doing this, you easily achieve success in every task, your stage will remain constant and stable and you will easily be loved by all.
Slogan
218Slōgan : sōchnā aur karnā samān hō tab kahē̃gē will power vālī śhaktiśhālī ātmā .
222Slogan: When your thinking and doing are equal, you will be said to be a powerful soul with will power.
223*** Om Shanti ***