शुक्रवार 18 फ़रवरी 2022 की दैनिक मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
ध्यान दें: वाक्यों का संरेखण अक्षरों की संख्या पर आधारित है और पूरी तरह विश्वसनीय नहीं है।
आप पूरी मुरली या उसके किसी भाग का वाक्य संरेखण स्वयं सुधार सकते हैं।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
018-02-2022 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban
0 18/02/22 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban
Essence
1 « mīṭhē āgyākārī bachchē - tumhē̃ sadā atīndriya sukh mē̃ rahnā hai , kabhī bhī rōnā nahī̃ hai kyōṅki tumhē̃ abhī ūñchē tē ūñchā bāp milā hai ' '
1Essence: Sweet, obedient children, you must always stay in supersensuous joy. 2You must never cry, because you have now found the highest-on-high Father.
Question
2Praśhna : atīndriya sukh tum gōp gōpiyō̃ kā gāyā huā hai , dēvtāō̃ kā nahī̃ - kyō̃ ?
3Question: Why is the supersensuous joy of you gopes and gopis, and not that of the deities, remembered?
Answer
3Uttar : kyōṅki tum abhī īśhvar key|kī santān banē hō . 4Tum manuṣhya kō dēvtā banānē vālē hō .
4Answer: You have now become the children of God. 5You are those who change from human beings into deities, whereas, when you have become deities, youwill begin to come down and the degrees will then decrease.
5Jab dēvtā ban jāyēṅgē tab phir utarnā śhurū karē̃gē , degree kam hōtī jāyēgī isliē unkē sukh kā gāyan nahī̃ hai . 6Yah tō tum bachchō̃ K|kē sukh kā gāyan kartē haĩ .
6This is why there is no praise of their happiness. 7Therefore, it is the happiness of you children that is remembered.
Song
7Gīt : mujhkō sahārā dēnē vālē …
8Song: The heart says thanks to the One who gives it support!
Murli
8Ōm śhānti .
9Om shanti.
9Yah ēk nē kahā yā dō nē kahā ?
10Did one say this, or two say it?
10Kyōṅki bāp bhī hai tō dādā bhī hai .
11There is Baba and also Dada.
11Tō yah ōm śhānti kisnē kahā ?
12Who said, “Om shanti”?
12Kahnā paṛē dōnō̃ nē kahā kyōṅki tum jāntē hō dō ātmāyē̃ haĩ .
13You have to say that both said it, because you know that there are two souls.
13Ēk ātmā hai , dūsrī param ātmā hai .
14One is a soul and the other is the Supreme Soul.
14In sabkō jīv ātmā kahā jātā hai .
15All of these are called human beings.
15Tum ātmāyē̃ bhī yahā̃ part bajānē āyē hō .
16You souls have come here to play your parts.
16Dūsrē dharmō key|kī bāt hī nahī̃ .
17There is no question of other religions.
17Bābā bhārat mē̃ hī ātē haĩ .
18Baba only comes in Bharat.
18Bhārat hī birth place hai .
19Bharat alone is the birthplace.
19Śhiv jayantī bhī manātē haĩ , parantu vah kab aur kaisē ātē haĩ , yah kiskō bhī patā nahī̃ hai .
20People celebrate the birthday of Shiva, but they do not know how or when He comes.
20Śhiv tō nirākār kō kahā jātā hai . 21Unkī pūjā bhī hōtī hai .
21The incorporeal One is called Shiva, and He is also worshipped.
22Śhiv jayantī bhī manātē haĩ .
22People celebrate the birth of Shiva.
23Jō past hō gayā hai , vah manātē haĩ . 24Parantu jāntē nahī̃ ki vah kab āyē , kyā karkē gayē .
23They also celebrate whatever has happened in the past, but they do not know when He came or what He did.
25Ab tum bachchō̃ kō tō sab kuchh patā hai .
24You children now know everything.
26Tum kōī sē bhī pūchh saktē hō ki yah kiskī rātri manātē hō ?
25You can ask anyone: Whose night are you celebrating?
27Mandir mē̃ jākar pūchhō - yah kaun haĩ ?
26Go to the temples and ask them: Who are these?
28Inkā rājya kab thā ?
27When was it their kingdom?
29Parampitā paramātmā kē sāth tumhārā kyā sambandh hai ?
28What is your relationship with the Supreme Father, the Supreme Soul?
30Unkē sāth kiskā sambandh hai ?
29Who has a relationship with Him?
31Jarūr kahē̃gē sabkā sambandh hai . 32Vah sabkā parampitā hai .
30They would definitely say that everyone has a relationship with Him; He is the Supreme Father of all!
33Tō jarūr pitā sē sabkō sukh kā varsā miltā hōgā .
31So, surely, everyone must receive the inheritance of happiness from Him.
34Is samay duḥkh key|kī duniyā hai .
32At present, it is a world of sorrow.
35Bhal naī invention nikāltē haĩ parantu din pratidin duḥkh key|kī kalāyē̃ tō baṛhtī hī jātī haĩ kyōṅki ab utartī kalā hai nā .
33Although people create new inventions, the degrees of sorrow continue to increase, because it is now the stage of descending.
36Kitnī āphatē̃ ātī rahtī haĩ .
34There are so many calamities.
37Manuṣhyō̃ kō duḥkh dēkhnā hī hai .
35Human beings have to experience sorrow.
38Jab ati duḥkh hōtā hai tō trāhi-trāhi karnē lagtē haĩ , tab hī bāp ātē haĩ .
36When there is extreme sorrow, they begin to cry out, and only then does the Father come.
39Is samay sab manuṣhy-mātra patit haĩ , isliē inkō vicious world kahtē haĩ .
37At present, all human beings are impure, and that is why this is called a vicious world.
40Vahā̃ satyug mē̃ duḥkh hōtā hī nahī̃ .
38There is no sorrow there, in the golden age.
41Tum bachchē samajhtē hō ki yah drama banā huā hai .
39You children understand that the drama is predestined.
42Is samay sabhī rāvaṇ arthāt 5 bhūtō̃ K|kē vaśh haĩ . 43Yahī duśhman hai .
40At present, everyone is under the influence of Ravan, the five evil spirits.
44Duḥkh key|kī bhī kalāyē̃ hōtī haĩ nā .
41He is your enemy. 42There are stages of sorrow.
45Abhī tō bahut tamōpradhān hō gayē haĩ kyōṅki viṣh sē tō sab paidā hōtē haĩ .
43People have now become very tamopradhan because they are all created through vice.
46Duniyā kō tō mālūm nahī̃ ki vahā̃ viṣh hōtā hī nahī̃ hai .
44The world doesn’t know that there is no poison there.
47Kahtē haĩ vahā̃ bachchē tab kaisē paidā hōṅgē .
45They ask: How would children be born there?
48Bōlō , tum pahlē bāp kō jānō unsē varsā lō|low .
46Tell them: First of all, know the Father and claim your inheritance from Him.
49Bākī vahā̃ key|kī jō rasam-rivāj hōgī , vahī chalēgī .
47Whatever the systems and customs are there, they will continue there.
50Tum kyō̃ yah sanśhay uṭhātē hō .
48Why do you have these doubts?
51Kōī nē praśhna pūchhā ki śhivbābā jab yahā̃ hai tō phir vahā̃ mūlvatan mē̃ ātmāyē̃ hōṅgī ?
49Someone asked: When Shiv Baba is here, will there be souls in the incorporeal world? 50Definitely!
52Jarūr . 53Yahā̃ vr̥iddhi hōtī rahtī hai , tō ātmāyē̃ haĩ nā .
51Since expansion continues to take place here, it means that there are souls there.
54Parantu pahlī-pahlī mūl bāt hai - bāp aur varsē kō yād karnā hai .
52However, the first and main thing is to remember the Father and the inheritance.
55In bātō̃ sē tumhārā kyā matlab .
53What is your connection with those things?
56Tumhārē jab gyān chakṣhu khul jāyēṅgē phir kōī bhī praśhna pūchhnē kā rahēgā hī nahī̃ .
54When your eyes of knowledge have opened, there will be no more questions to be asked. 55The Father says: Remember Me and the inheritance.
57Bāp kahtē haĩ mujhē yād karō aur varsē kō yād karō . 58Sirph mukti pānē chāhtē hō tō manmanābhav .
56If you simply wish to attain liberation, become “Manmanabhav”, and if you wish to claim the kingdom, become “Madhyajibhav”.
59Rājāī chāhtē hō tō madhyā jī bhav .
57You children know who is teaching you.
60Tum bachchē jāntē hō ki hamkō paṛhānē vālā kaun hai ?
58The living Diamond is sitting in this living container.
61Is chaitanya ḍibbī mē̃ chaitanya hīrā baiṭhā hai .
59He is also the true Baba. 60The Supreme Soul speaks through this body.
62Vah sat bābā bhī hai , param ātmā hī śharīr sē bōltē haĩ . 63Kōī martā hai tō unkī ātmā kō bulāyā jātā hai .
61When someone dies, they invoke that soul. 62At that time, there is the thought that the soul of their father has come; it is as though there are two souls.
64Us samay yah khyāl rahtā hai ki hamārē bābā key|kī ātmā āī hai .
63That soul comes and takes the fragrance, but, in fact, all of that is in the drama.
65Jaisē ki dō ātmāyē̃ hō gaī . 66Vah ātmā ākar vāsanā lētī hai .
64Nevertheless, they receive the reward of their faith.
67Yū̃ tō hai sab drama . 68Parantu phir bhī bhāvnā kā bhāṛā mil jātā hai .
65Previously, brahmin priests had enough power that the souls would come and speak.
69Āgē tō brāhmaṇō̃ mē̃ kuchh tākat thī , ākar bātchīt kartē thē .
66That soul would be fed with great enthusiasm.
70Rūchi sē khilāyā jātā thā . 71Yah gyān tō nahī̃ hai ki vah ātmā hai .
67They did not know about the soul, that it is a soul that is taking the fragrance.
72Ātmā tō vāsanā lētī hai bābā tō vāsanā bhī nahī̃ lētē haĩ kyōṅki vah tō abhōktā hai .
68Baba does not even take the fragrance because He is abhogta (beyond experiencing the fruit of action). 69Souls experience everything.
73Ātmā tō bhōgtī hai .
70Baba says: I am abhogta.
74Bābā kahtē haĩ maĩ abhōktā hū̃ . 75Ātmā tō vāsanā key|kī murīd hōtī hai .
71A soul accepts the fragrance because he is enslaved by that fragrance.
76Maĩ tō murīd nahī̃ hū̃ , mērē sāth yōg lagānē sē tumhārē vikarma dagdha hōṅgē .
72I am not bound by any fragrance. 73By having yoga with Me, your sins will be burnt away.
77Samjhānā hai śhiv jayantī manātē haĩ . 78Śhiv tō nirākār hai . 79Jaisē ātmā key|kī bhī jayantī hōtī hai . 80Ātmā śharīr mē̃ ākar pravēśh kartī hai .
74You have to explain: Although Shiva is incorporeal, people still celebrate the birthday of Shiva, just as there is the birthday of each soul, when that soul entered a body.
81Śhiv hī patit-pāvan hai , jiskā hī āhvān kartē haĩ ki ākar is rāvaṇ K|kē duḥkhō̃ sē liberate karō .
75Shiva alone is the Purifier whom everyone invokes to come and liberate them from the sorrow of Ravan.
82Is samay 5 vikār sarvavyāpī haĩ .
76At present, the five vices are omnipresent.
83Ādhā-ādhā haĩ nā .
77It is half and half (the cycle).
84Jab rāvaṇ rājya śhurū hōtā hai tab aur dharm ātē haĩ .
78Other religions come when the kingdom of Ravan begins.
85Sabkō apnā-apnā part bajānē ānā hai .
79All of them have to come to play their parts.
86Maĩ ātā hī yahā̃ hū̃ .
80I come here.
87Ab tum bachchē jāntē hō is chaitanya ḍibbī mē̃ kauṛī sē hīrā banānē vālā bāp baiṭhā huā hai .
81You children know that the Father, the One who changes shells into diamonds, is now sitting in this living container.
88Vahī sat-chit-ānand svarūp hai , gyān kā sāgar hai .
82He is the Truth, the Living Being and the Embodiment of Bliss, the Ocean of Knowledge.
89Tum abhī jāntē hō , bāp yād dilātē haĩ tō yād kartē haĩ phir bhūl jātē haĩ kyōṅki vah pope ādi jō haĩ , unkō tō chaitanya śharīr hai . 90Nāmīgrāmī hai .
83You now know this. 84The Father reminds you, and so you remember Him, but then you forget Him. 85The Pope and others have living bodies and they are very famous.
91Unkī kitnī mahimā hōtī hai .
86There is so much praise of them.
92Yahā̃ tō yē ḍibbī mē̃ chhipā huā hīrā hai .
87Here, this One is the Diamond hidden in this container.
93Kōī jāntē hī nahī̃ ki vah ēk hī bār ātē haĩ .
88No one knows that He only comes once.
94Bachchē tō jāntē haĩ ki bābā inmē̃ baiṭhā hai .
89You children know that Baba is sitting in this one.
95Yah hamārā sat bābā , sat teacher bhī hai .
90He is our true Baba and also our true Teacher.
96Yah pāṭhśhālā hai nā .
91This is a study place.
97Tumhārē mē̃ bhī kōī bhūl jātē haĩ . 98Chalan sē sab kuchh patā lag jātā hai .
92Some among you also forget this. 93You can understand everything about a person from his activity.
99Kōī bachchē tō thōṛī parīkṣhā lēnē sē phā̃ hō jātē haĩ .
94Some children fail when they are given a little examination.
100Nahī̃ tō bachchō̃ kā kahnā hai jō khilāō , chāhē mārō , chāhē pyār karō .
95Otherwise, children say: Whatever You feed us, whether You give us love or whether You beat us...
101Sapūt bachchē tō āgyākārī hōtē haĩ .
96Worthy children are obedient.
102Bābā kahtē haĩ - bachchē kabhī bhī rōnā nahī̃ hai .
97Baba says: Children, you must never cry.
103Tumhārā itnā baṛā bāp aur sājan hai , unkē bankar phir tum rōtē hō !
98You have such a great Father and Bridegroom and yet you cry after belonging to Him!
104Maĩ tumhārā baṛā bāp baiṭhā hū̃ .
99I, your senior Father, am sitting here.
105Māyā nāk sē pakaṛtī hai tō tum rōtē hō .
100Maya catches hold of you by the nose, and so you cry.
106Gāyan bhī hai - atīndriya sukh gōp gōpiyō̃ sē pūchhō . 107Parantu māyā bhulā dētī hai .
101It is remembered, “If you want to know about supersensuous joy, ask the gopes and gopis.”
108Bāp par kurbān jāyē̃ , balihār jāyē̃ , vah andar yād rahē tō khuśhī hō .
102However, Maya makes you forget. 103You should surrender and sacrifice yourselves to the Father.
109Tum bachchē abhī jāntē hō bābā sachchā-sachchā indra hai .
104If you remember this inside, you would feel happy.
110Vō pānī key|kī varṣhā barsānē vālā indra nahī̃ . 111Yah gyān indra hai .
105You children now know that Baba is the true Indra, not the Indra (God of Rain) who showers rain.
112Indr-dhanuṣ nikaltā hai , usmē̃ raṅg tō bahut hōtē haĩ parantu mukhya 3 hōtē haĩ .
106Baba is the Indra of Knowledge. 107A rainbow emerges, and it has many colours, but there are three main colours.
113Bābā tumkō is samay trikāldarśhī banātē haĩ .
108Baba is now making you trikaldarshi.
114Trikāldarśhī arthāt ādi madhya ant kō jānnē vālā arthāt svadarśhan chakradhārī . 115Tīnō̃ kālō̃ kō jānnē vālā .
109“Trikaldarshi” means someone who knows the beginning, the middle and the end, that is, swadarshanchakradhari: someone who knows the three aspects of time.
116Yah bātē̃ tum apnē sē hī milāyēṅgē .
110You check yourselves in relation to these things.
117Tum bachchē jāntē hō ki yah indra sabhā hai isliē bābā likhtē rahtē haĩ - kōī bhī vikārī , mūt palītī mērī sabhā mē̃ na hō .
111You children know that this is the Court of Indra. 112This is why Baba writes: No vicious, dirty, impure clothes should be present in My gathering.
118Tum bhī gyān dance karnē vālī pariyā̃ hō .
113You are the angels who dance the dance of knowledge.
119Gyān indra kā pariyō̃ kō pharmān hai - kōī vicious arthāt vikārī ādmī kō yahā̃ nahī̃ lānā .
114The angels of the Indra of Knowledge are given an order not to bring any vicious people here.
120Tum bachchō̃ kē pās vicious hī viceless bannē kē liē ātē haĩ .
115Only those who are vicious come to you children to become viceless.
121Parantu mērī sabhā mē̃ nahī̃ lānā hai .
116However, you must not bring them into My gathering.
122Kāydē bhī haĩ nā .
117There is this law.
123Vaisē tō maĩ yahā̃ bahutō̃ sē bātchīt kartā hū̃ . 124Īmāndār , sapūt , achchhā bachchā hai tō lav|love jātā hai .
118In fact, I speak to many here. 119If a child is obedient and worthy, the love of others is drawn to that child, just as everyone had love for Gandhi.
125Jaisē gāndhī kē liē sabkō lav|love hai , kām tō achchhā kiyā nā .
120He did a very good job. 121You also have to understand this predestined drama.
126Is banē banāyē drama kō bhī samajhnā hai , yah hūbahū repeat hō rahā hai .
122This is being repeated identically. 123No one can be blamed for it.
127Kōī kā dōṣh nahī̃ hai .
124Ravan has to make everyone degraded.
128Rāvaṇ kō tō sabhī kō bhraṣhṭāchārī banānā hī hai .
125Only you children know these things. 126What would anyone else know?
129In sab bātō̃ kō tum bachchē hī jāntē hō aur kyā jānē̃ .
127They speak of the Purifier, but they do not know who He is; they do not understand anything.
130Patit-pāvan kahtē haĩ . 131Kuchh bhī samajhtē nahī̃ haĩ .
128You are the same ones who helped Baba a cycle ago.
132Tum tō vahī hō jinhōnnē kalp pahlē bhī bābā kō madad kī thī .
129In the golden age, you will not know how you claimed that kingdom.
133Satyug mē̃ yah thōṛēhī mālūm rahēgā ki hamnē yah rājya kaisē liyā .
130You now know that the unlimited Father is such a great personality.
134Ab tum jāntē hō - yah bēhad kā bāp kitnī baṛī āsāmī hai .
131The Father alone makes Bharat into valuable diamonds from worthless shells.
135Bāp hī bhārat kō kauṛī sē hīrē jaisā banātē haĩ .
132In heaven, there just used to be the original eternal deity religion.
136Svarg mē̃ ēk hī ādi sanātan dēvī-dēvtā dharm thā , ab phir sē uskī sthāpanā hō rahī hai . 137Sārī duniyā mē̃ śhānti sthāpan karnā - yah tō parampitā paramātmā key|kī responsibility hai .
133That is being established once again. 134Peace has to be established over the whole world; this is the responsibility of the Supreme Father, the Supreme Soul, alone. 135That Father comes and makes everyone belong to the Lord and Master.
138Vah bāp hī ākar sabkō dhaṇkā banātē haĩ . 139Samjhātē haĩ tum nidhankē kyō̃ banē hō .
136He explains to you how you became orphans and when the kingdom of Ravan began.
140Rāvaṇ rājya kab sē śhurū huā hai , tum jāntē nahī̃ hō .
137You did not know this. 138People continue to make effigies of Ravan and burn them.
141Rāvaṇ kā but banākar jalātē rahtē hō . 142Is samay bhakti mārg key|kī utartī kalā hai .
139At this time, it is the descending stage of the path of devotion.
143Rāmrājya tō satyug kō kahā jātā hai .
140The golden age is called the kingdom of Rama.
144Tum is samay hō īśhvarīy aulād kyōṅki kalā kam hōtī jātī hai .
141You are now Godly children; the degrees continue to decline.
145Is samay tumhārē mē̃ baṛī royalty chāhiē .
142You should have great royalty at present.
146Tum hō manuṣhya kō dēvtā banānē vālē .
143You are those who change human beings into deities.
147Atīndriya sukh bhī gōp-gōpiyō̃ kā hī gāyā huā hai .
144The supersensuous joy of the gopes and gopis has been remembered.
148Aisē kabhī nahī̃ kahā hai ki atīndriya sukh lakṣhmī-nārāyaṇ sē pūchhō , parantu gōp gōpiyō̃ kē liē kahā hai kyōṅki vah īśhvarīy aulād haĩ .
145It is not said that you should ask Lakshmi and Narayan about supersensuous joy, but it is said of the gopes and gopis, because they are Godly children.
149Dēvtā bantē hō phir degree kam hō jātī hai .
146You become deities and then your degrees decrease.
150Rājāyē̃ kitnā dabadabē sē chaltē haĩ . 151Parantu haĩ tō sab tamōpradhān .
147Kings move along with so much splendour, but they are all tamopradhan.
152Tumhārē pās|pass chitrō̃ mē̃ brahmā kā chitra dēkhkar bahut manuṣhya mūnjhtē haĩ .
148When people see the picture of Brahma that you have, they become very confused.
153Tō tum bachchō̃ kē pās lakṣhmī-nārāyaṇ kā chitra ēk trimūrti sahit hai , ēk bigar trimūrti K|kē bhī hai , unmē̃ sirph śhiv dikhāyā huā hai , tō dōnō̃ rakhnā chāhiē .
149You children have pictures of Lakshmi and Narayan: one is in the Trimurti and the other, in which Shiv Baba alone is portrayed, is without the Trimurti. 150So you should keep both of them.
154Agar kuchh brahmā kē liē bōlē̃ tō kahō , kiskē śharīr mē̃ āvē .
151If they say anything about Brahma, ask them: Whose body should God enter?
155Brahmā-sarasvatī hī lakṣhmī-nārāyaṇ bantē haĩ .
152Brahma and Saraswati become Lakshmi and Narayan.
156Jarūr brahmā tan mē̃ hī āvē tab tō brāhmaṇ paidā hō̃ .
153He must definitely enter the body of Brahma so that Brahmins can be created.
157Nahī̃ tō itnē bachchē kaisē hō saktē haĩ .
154How else could there be so many children?
158Yah brahmā K|kē bachchē brahmākumār kumāriyā̃ haĩ .
155These are the children of Brahma, the Brahma Kumars and Kumaris.
159Tum bhī brahmākumār kumārī hō .
156You too are Brahma Kumars and Kumaris.
160Prajāpitā bigar sr̥iṣhṭi kaisē rachē̃gē .
157How could the world be created without the Father of People?
161Yah ab naī sr̥iṣhṭi rach rahē haĩ .
158A new world is being created.
162Hō tum bhī parantu tum māntē nahī̃ hō .
159You are also that, but you do not believe it.
163Agar abhī brāhmaṇ nahī̃ banē̃gē tō dēvtā bhī nahī̃ ban saktē .
160If you do not become Brahmins now, you will not be able to become deities.
164Yah bhī samajhtē haĩ yahā̃ āyēṅgē vahī jinkā sapling lagnā hōgā .
161You also understand that only those whose sapling is to be planted will come here.
165Bāp kitnā achchhī rīti samjhātē haĩ .
162The Father explains to you so clearly! 163Baba knows the stage of each one.
166Bābā har ēk key|kī avasthā kō bhī jāntē haĩ .
164Some are hungry for one thing, others for fashion, etc.
167Kōī kis chīz kā bhūkhā , kōī fashion kā bhūkhā , bābā sē ākar pūchhō - bābā ham ṭhīk chal rahē haĩ ?
165You can come and ask Baba: Baba, am I moving along accurately? 166Is what I am doing right or wrong?
168Yah hamārī bāt right hai yā wrong ? 169Tō bhī samajhē̃ ki inkō ḍar hai .
167So Baba would understand that you do have that fear (of doing something wrong).
170Dēkhō , gāndhī jī kō sabhī nē kitnī madad dī|the , parantu usnē khud nahī̃ khāyā , sab dēśh kē liē kiyā .
168Look how much help Gandhiji received! 169However, he did not eat anything from that himself; he did everything for his country.
171Vah gāndhī tō phir bhī manuṣhya thā , yah tō bēhad kā bābā hai .
170That Gandhiji was still a person, but this is the unlimited Baba.
172Śhivbābā tō dātā hai , sab bachchō̃ kē liē hī kartē haĩ .
171Shiv Baba is the Bestower and He does everything for the children.
173Pūchhā jātā hai tum ēk rūpayā kyō̃ dētē hō ?
172You can ask people: Why do you give one rupee?
174Kahtē haĩ śhivbābā kō dētē haĩ , 21 janmō̃ kā varsā pānē kē liē .
173They say: We give it to Shiv Baba to receive the inheritance for 21 births.
175Aisē kōī nahī̃ samajhē tō mainnē diyā , maĩ tō 21 janmō̃ kā varsā lētā hū̃ .
174None of you should think that you have given to Shiv Baba. 175Instead, you are receiving the inheritance for 21 births.
176Bābā tō garīb-nivāz hai .
176Baba is the Lord of the Poor.
17721 janmō̃ kā varsā dētē haĩ , yah buddhi mē̃ rahē .
177He gives you the inheritance for 21 births. 178You should keep this in your intellects.
178Sab kuchh bachchō̃ K|kē kām mē̃ ātā hai .
179He uses everything for the children.
179Gāndhī bhī kām mē̃ lagātē thē .
180Gandhiji also used it for a task.
180Apnē liē kuchh bhī ikaṭṭhā nahī̃ kiyā . 181Apnē pās|pass bhī jō kuchh thā , vah dē diyā , dēnē vālā kabhī khud ikaṭṭhā nahī̃ kartā .
181He did not collect anything for himself; he gave away whatever he had. 182Those who give to others never collect anything for themselves.
182Sannyāsī chhōṛkar chalē jātē haĩ phir ākar ikaṭṭhā kartē haĩ .
183Sannyasis used to leave everything and go away, but now they come back and collect everything.
183Unhō̃ kē pās tō bahut paisē haĩ , kitnē flats haĩ .
184They have a lot of wealth; they have so many flats etc.
184Vāstav mē̃ sannyāsiyō̃ kō ēk paisā bhī hāth mē̃ nahī̃ hōnā chāhiē .
185In fact, sannyasis should not have even one penny in their hands.
185Law aisē hai .
186This is the law.
186Vah kabhī dānī nahī̃ hō saktē .
187They can never be donors.
187Tumkō tō bāp key|kī rāy par chalnā hai .
188You have to follow the Father's advice.
188Bābā yah sab kuchh āpkā hai .
189Baba, all of this belongs to You.
189Jaisē āp kahē̃gē aisē kām mē̃ lagāyēṅgē .
190I will use it in whatever way You tell me to.
190Bābā direction dētē rahtē haĩ . 191Bachchō̃ kō amal mē̃ lānā hai .
191Baba continues to give directions, but you children have to put them into practice.
192Achchhā .
192Achcha.
193Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yādpyār aur good morning .
193To the sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.
194Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .
194The spiritual Father says namaste to the spiritual children.
Essence for dharna
195Dhārṇā kē liē mukhya sār :
195Essence for dharna:
1961 ) kadam-kadam bāp key|kī rāy par chalnā hai .
196 1. Follow the Father's advice at every step.
197Pūrā-pūrā balihār jānā hai .
197You must sacrifice yourself completely.
198Jahā̃ biṭhāyē̃ , jō khilāyē̃ . . . aisā āgyākārī hōkar rahnā hai .
198Sit wherever Baba seats you and eat whatever He feeds you. 199Become obedient to this extent.
1992 ) apnī chalan bahut royal ūñchī rakhnī hai , ham īśhvarīy aulād haĩ isliē baṛī royalty sē chalnā hai , kabhī bhī rōnā nahī̃ hai .
200 2. Let your activity be royal and elevated. 201You are Godly children and you must therefore interact with everyone with great royalty. 202You must never cry.
Blessing
200Vardān : sādhāraṇ jīvan mē̃ bhāvnā K|kē ādhār par śhrēṣhṭh bhāgya banānē vālē padmāpadam bhāgyavān bhav
203Blessing: May you be multimillion times fortunate and make your fortune elevated on the basis of having pure feelings in an ordinary life.
201Bāpdādā kō sādhāraṇ ātmāyē̃ hī pasand haĩ .
204 BapDada loves ordinary souls.
202Bāp svayã bhī sādhāraṇ tan mē̃ ātē haĩ .
205The Father Himself enters an ordinary body.
203Āj kā karōṛpati bhī sādhāraṇ hai .
206Even millionaires of today are ordinary.
204Sādhāraṇ bachchō̃ mē̃ bhāvnā hōtī hai aur bāp kō bhāvnā vālē bachchē chāhiē , dēh-bhān vālē nahī̃ .
207Ordinary children have pure feelings and the Father needs children with pure feelings, not those with body consciousness.
205Ḍrāmānusār saṅgamyug par sādhāraṇ bannā bhī bhāgya key|kī niśhānī hai .
208According to the drama, to be ordinary at the confluence age is a sign of fortune.
206Sādhāraṇ bachchē hī bhāgya vidhātā bāp kō apnā banā lētē haĩ , isliē anubhav kartē haĩ ki « bhāgya par mērā adhikār hai .
209Ordinary children are able to make the Father belong to them, and so they experience fortune as their right.
207' ' aisē adhikārī hī padmāpadam bhāgyavān ban jātē haĩ .
210Those who have such a right become multimillion times fortunate.
Slogan
208Slōgan : sēvāō̃ mē̃ dil baṛī hō tō asambhav kārya bhī sambhav hō jāyēgā .
211Slogan: When you have a big heart in doing service, an impossible task becomes possible.
212*** Om Shanti ***