बुधवार 23 फ़रवरी 2022 की दैनिक मुरली

ध्यान दें: वाक्यों का संरेखण अक्षरों की संख्या पर आधारित है और पूरी तरह विश्वसनीय नहीं है।

आप पूरी मुरली या उसके किसी भाग का वाक्य संरेखण स्वयं सुधार सकते हैं।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

023-02-2022 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

0 23/02/22 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē bachchē - tum pyār sē kahtē hō mīṭhē bābā , tō mukh mē̃ ras ā jātā , īśhvar vā prabhū kahnē sē vah ras nahī̃ ātā ' '

1Essence: Sweet children, you say with love “Sweet Baba” and so you taste that sweetness. 2When you say “Ishwar” or “Prabhu” there isn’t that sweetness.

Question

2Praśhna  : kaun sā dhandhā sarvśhaktimān bāp kā hai , manuṣhyō̃ kā nahī̃  ?

3Question: Which business of the Almighty Father is not the business of human beings?

Answer

3Uttar  : patit ātmāō̃ kō pāvan banānā , sārē viśhva kō nayā banānā - yah dhandhā bāp kā hai , bāp hī pāvan bannē key|kī śhakti dētē haĩ .

4Answer: To make impure souls pure and to make the whole world new is the business of the Father alone. 5The Father alone gives you the power to become pure.

4Yah dhandhā manuṣhya nahī̃ kar saktē .

6Human beings cannot carry out this business.

5Manuṣhya tō samajhtē haĩ bhagvān jō chāhē vah kar saktā hai , hamārī bīmārī bhī ṭhīk kar saktā hai .

7Human beings think God can do whatever He wants, that He can even cure their illnesses.

6Bābā kahtē haĩ maĩ aisī āśhīrvād nahī̃ kartā .

8Baba says: I do not give such blessings.

7Maĩ tō pāvan bannē key|kī yukti batātā hū̃ .

9I simply give you the method to use to become pure.

Song

8Gīt  : jāg sajniyā̃ jāg …

10Song: Awaken! 11O brides, awaken! 12The new day is about to dawn.

Murli

9Ōm śhānti .

13Om shanti.

10Bēhad kā bāp bachchō̃ kō jagātē haĩ .

14The unlimited Father awakens the children.

11Māt-pitā jissē sukh milnē kā hai vah ākar andhiyārī rāt sē jagātē haĩ .

15The Mother and Father, from whom you are to receive happiness, comes in the dark night and awakens you.

12Tum māt-pitā K|kē bachchē hō , jāntē hō ham ghōr andhiyārē mē̃ thē , ab jāg rahē haĩ .

16You are the children of the Mother and Father. 17You know you were in extreme darkness and are now awakening.

13Yū̃ tō sārī īśhvarīy family hai .

18This is God’s family.

14Sārī duniyā K|kē jō manuṣhya mātra aur yah sārī duniyā hai , yah hai god father key|kī family .

19All human beings of the whole world are the family of God, the Father.

15Māt-pitā god father kō kahā jātā hai .

20God, the Father, is also called the Mother and Father.

16Ab god father bigar apnī strī K|kē bachchē kaisē paidā karē .

21How could God, the Father, create children without His wife?

17Khās bhāratvāsī kahtē haĩ tum māt-pitā tō yah hō gaī family .

22The people of Bharat especially speak of Him as the Mother and Father and so this is a family.

18Vah tō sirph gātē haĩ - tum yahā̃ practical mē̃ hō aur god father apnī family kō jagā rahē haĩ .

23Those people simply repeat this phrase, but you are it in a practical form. 24God, the Father, is awakening His family.

19Jāgō bachchē aur bachchiyā̃ ab rāt pūrī hōtī hai .

25“Awaken, sons and daughters, the night is now ending!

20Ab din ānē vālā hai .

26The day is about to come.”

21Gātē tō haĩ gyān sūrya pragaṭā . . . parantu arth|earth kuchh samajhtē nahī̃ .

27People sing that the Sun of Knowledge has risen, but they do not understand the meaning of it.

22Bhal kitnē bhī vēd śhāstra paṛhē haĩ , parantu samajhtē nahī̃ .

28No matter how many Vedas and scriptures they may have studied, they do not understand anything.

23Jō samajhtē haĩ - vah achchhī kamāī kartē haĩ .

29Those who do understand earn a very good income.

24Jō bēsamajh hōtē haĩ vah dēvālā mārtē haĩ .

30Those who are senseless become bankrupt.

25Bāp kahtē haĩ bachchē māyā nē tumkō kitnā bēsamajh banā diyā hai .

31The Father says: Children, Maya has made you so senseless!

26Ēk taraph kahtē hō ō god father , dūsrē taraph kahtē paramātmā sarvavyāpī .

32On the one hand, you say “God, the Father” and, on the other hand, you say God is omnipresent.

27Ēk taraph kahtē hō sabhī manuṣhya mātra bhāī haĩ athavā ham ēk bāp K|kē bachchē haĩ . 28Phir kah dētē jidhar dēkhtā hū̃ , tū hī tū arthāt V|we are|or all fathers .

33On the one hand, you say all human beings are brothers, that they are children of the one Father, and, on the other hand, you say, “Wherever I look, I only see You”, which means, we are all Fathers.

29Ab bāp kahtē haĩ bachchē , tum jāntē hō ham ātē hī haĩ paramdhām sē .

34The Father now says: Children, you know that I come from the supreme abode.

30Sabhī dharm vālē kisī na kisī bhāṣhā mē̃ kahtē haĩ ō god father . 31Tō father mother key|kī family huī nā .

35Those of all religions speak of God, the Father, in one language or another, and so this becomes the family of the Father and Mother.

32Bāp kahtē haĩ - jiskō tum yād kartē hō uskā occupation tō jānnā chāhiē nā .

36The Father says: You should know the occupation of the One whom you have been remembering.

33Usnē itnī baṛī sr̥iṣhṭi rachī .

37He created such a huge world.

34Bāp mē̃ sārā gyān hai , unkō hī gyān kā sāgar , knowledgeful kahā jātā hai .

38The Father alone has all the knowledge. 39Only He is called the Ocean of Knowledge, the knowledge-full One.

35Kahtē bhī haĩ vah satya hai .

40It is said He is the Truth.

36Sach bōlnē vālā hai aur sadaiv amar hai .

41He is the One who speaks the truth and is constantly immortal.

37Amarkathā sunātē haĩ .

42He tells the story of immortality.

38Abhī tum jāntē hō amarnāth śhivbābā hamkō amarkathā sunākar amarlōk kā mālik banā rahē haĩ .

43You now know that Shiv Baba, the Lord of Immortality, is telling you the story of immortality and making you into the masters of the land of immortality.

39Jō bhī paṛhnē vālē bachchē aur bachchiyā̃ hōṅgē , kiskē bachchē  ?

44Whose sons and daughters are all of you who are studying? 45The Mother’s and Father's.

40Māt-pitā K|kē . 41Tum sab pārvatiyā̃ hō .

46All of you are Parvatis, and you are being told the story of immortality.

42Tumkō amar kathā sunā rahē haĩ .

47Five thousand years ago, Bharat used to be Paradise.

43Āj sē 5 hajār varṣh pahlē paradise thā . 44Sr̥iṣhṭi kā yah nāṭak phirtā rahtā hai .

48This world play also continues all the time from the golden age, through the silver age and the copper age etc.

45Satyug , trētā . . . nayē ghar sē purānā hōtā hai .

49The new home then becomes old. 50The swastika is divided into four equal parts.

46Svāstikā K|kē bhī 4 bhāg banāyē haĩ . 47Ab tumhārī chaṛhtī kalā hai .

51It is now your ascending stage. 52It is said there is benefit for everyone due to the descending stage.

48Gātē haĩ chaṛhtī kalā tērē bhānē . . sabhī manuṣhya mātra tamōpradhān duḥkh sē chhūṭ satōpradhān ban jātē haĩ .

53All human beings become liberated from sorrow and change from tamopradhan to satopradhan. 54The world itself becomes satopradhan.

49Sr̥iṣhṭi hī satōpradhān ban jātī hai , parampitā paramātmā vā sirph īśhvar kahnē sē bābā kā ras nahī̃ miltā , bābā kahnē sē varsē key|kī khuśhbū tab ātī jab apnē kō bachchā samajhtē .

55By simply saying “The Supreme Father, the Supreme Soul” or just “Ishwar”, there isn't the same sweetness as when you say “Baba”. 56When you consider yourself to be a child of Baba and by saying “Baba” you receive the fragrance of the inheritance.

50Ham bābā K|kē bachchē haĩ , yū̃ tō sabhī ātmāyē̃ bachchē haĩ parantu abhī bāp nē yah rachnā rachī hai .

57We are the children of Baba. 58In fact, all souls are children, but the Father has now created this creation.

51Kahtē haĩ patit-pāvan sītārām .

59People say that the Purifier is Sita’s Rama.

52Satyug mē̃ lakṣhmī-nārāyaṇ nahī̃ kahē̃gē ki patit-pāvan āō kyōṅki vah pāvan hai .

60In the golden age, Lakshmi and Narayan would not call out to the Purifier to come, because they are pure.

53Sādhū sant sab gātē rahtē haĩ .

61Sages and holy men all sing this.

54Gāndhī jī bhī gātē thē naī duniyā , nayē bhārat mē̃ nayā rāmrājya hō , hāth mē̃ gītā uṭhātē thē kyōṅki jāntē haĩ gītā sē hī mahāvināśh huā aur naī duniyā sthāpan huī .

62Gandhiji also used to sing: There should be the new kingdom of Rama in the new Bharat of the new world. 63They would take a Gita in their hands because they knew that the great destruction took place through the Gita and the new world would be established.

55Gītā hai sarvśhāstramaī śhirōmaṇī , gītā mātā .

64The Gita is the jewel of all scriptures, the mother Gita.

56Achchhā - mātā kā pati kaun  ?

65Achcha, who is the Husband of the mother?

57Bhagvān .

66God.

58Vahī patitō̃ kō pāvan banānē vālā hai .

67He is the One who purifies the impure.

59Bhagvānuvāch . . . kr̥iṣhṇa kō patit-pāvan nahī̃ kahē̃gē .

68God speaks: Krishna cannot be called the Purifier.

60Manuṣhya tō kabhī patit sē pāvan banā na sakē̃ .

69Human beings can never purify the impure.

61Ab tum mīṭhē-mīṭhē bachchē kahtē hō ātmā paramātmā alag rahē . . . kahtē haĩ mahān ātmā , puṇya ātmā . . . aisē tō nahī̃ kahtē mahān paramātmā .

70You sweetest children say that souls remained separated from the Supreme Soul for a long time. 71People speak of a great soul, a charitable soul; they do not say, “Great Supreme Soul”.

62Phir apnē kō śhivōham paramātmā ādi kyō̃ kahtē haĩ .

72In that case, why do they say of themselves “Shivohum” or that they are the Supreme Soul?

63Puṇya ātmā , pāp ātmā kahtē haĩ phir nirlēp kyō̃ kahtē haĩ . 64Tum brāhmaṇō̃ nē 84 janma liē haĩ .

73They speak of a charitable soul and a sinful soul. 74So, why do they then say that souls are immune to the effect of action? 75You Brahmins have taken 84 births.

65Bhārat par hī sārā khēl hai .

76The whole play is based on Bharat.

66Yah śhivbābā hī samjhātē haĩ , brahmā nahī̃ .

77Only Shiv Baba, and not Brahma, explains this.

67Brahmā kō tō bail ( nandī ) banā diyā hai . 68Phir bhrakuṭī mē̃ śhiv dikhāyā hai .

78They have made Brahma into a bull and then shown Shiva in his forehead.

69Śhiv key|kī savārī bhrakuṭī mē̃ rahtī hai .

79Shiva is seated in the centre of the forehead.

70Kōī pitra ādi khilātē haĩ .

80Some invoke departed spirits and feed them.

71Ātmā kō bulātē haĩ , vah bhī ākar bājū mē̃ baiṭhtī hai .

81That soul comes and sits next to the soul (of the person it enters).

72Ātmā ēk star hai .

82A soul is a star.

73Kahtē haĩ bhrakuṭī kē bīch chamaktā hai . . . ab tum jāntē hō yah bēhad kā baṛā khēl hai .

83They say that it sparkles in the centre of the forehead. 84You now know this is a huge, unlimited play.

74Second-second jō pās|pass hōtā hai vah manuṣhya drama K|kē ādhār par act kartā hai .

85People act according to the drama every second that passes.

75Manuṣhya 84 janm kaisē lētē haĩ , sabhī 84 janm nahī̃ lētē .

86How do human beings take 84 births? 87Not everyone takes 84 births.

76Kōī tō abhī bhī ūpar sē ātē rahtē haĩ .

88Some are coming down from up above even now.

77Ab bābā kahtē haĩ jāg sajniyā̃ . . . kanyā jab śhādī kartī hai tō unkē sir par maṭkī rakh usmē̃ dīvā jagātē haĩ .

89Baba now says: Awaken, brides awaken! 90When a kumari is getting married, they place a clay pot on her head with flame in it.

78Bāp kahtē haĩ tumhārī ātmā key|kī jyōti kā ghr̥it ab khatm hō gayā hai .

91The Father says: The oil in the lights of you souls has now finished.

79Ab mujhē yād karō tō ghr̥it bhartē-bhartē dīvā jag jāyēgā , phir tum mērē pās|pass ā jāyēṅgē .

92Now remember Me, and the light will be ignited again by oil being poured into it. 93Then you will come to Me.

80Vah nirākār bāp hī creator , director aur mukhya actor hai . 81Yād kiskō kartē haĩ  ?

94Only the incorporeal Father is the Creator, the Director and the principal Actor.

82Kyā brahmā kō  ?

95Whom do people remember?

83Viṣhṇu kō  ?

96Brahma? 97Vishnu?

84Nahī̃ .

98No.

85Duḥkh mē̃ sab yād kartē haĩ god father kō .

99When in sorrow, everyone remembers God, the Father.

86Yah duḥkh-sukh , hār-jīt kā khēl hai .

100This is a play of happiness and sorrow, victory and defeat.

87Māyā hār khilātī hai , bāp jīt pahnātē haĩ .

101Maya defeats you and the Father enables you to gain victory.

88Kahtē haĩ sarvśhaktimān maĩ hū̃ nā .

102He says: I am the Almighty Authority.

89Aisē nahī̃ ki maĩ bīmār hū̃ , bhagvān āśhīrvād karē tō maĩ ṭhīk hō jāū̃ . . . maĩ kōī yah dhandhā karnē nahī̃ āyā hū̃ .

103Do not think that when you are ill, God should give you blessings so you become all right again. 104I have not come to do that business.

90Maĩ āyā hū̃ patitō̃ kō pāvan banānē , śhrīmat dēnē .

105I have come to purify the impure and give shrimat.

91Śhrēṣhṭh tē śhrēṣhṭh hai śhivbābā phir number-vār haĩ .

106Shiv Baba is the most elevated of all, and then it is numberwise.

92Mālā bhī hai nā .

107There is also the rosary.

93Ab tum jān gayē hō ki ham īśhvarīy family haĩ .

108You now know that we are God’s family.

94Jaisē śhivbābā key|kī mahimā aparamapār hai vaisē rachnā key|kī mahimā bhī aparamapār hai , vaisē bhārat key|kī mahimā bhī aparamapār hai .

109Just as the praise of Shiv Baba is limitless, in the same way the praise of the creation is also limitless. 110In fact, even the praise of Bharat is limitless.

95Bhārat mē̃ hīrē javāharō̃ K|kē mahal thē .

111There used to be palaces studded with diamonds and jewels in Bharat.

96God creator hai tō mother bhī chāhiē .

112God is the Creator, so there also has to be a mother.

97Jab tum yahā̃ baiṭhē hō tō pahlē bāp kī yād ānī chāhiē . 98Phir brahmā viṣhṇu śhaṅkar sūkṣhmavatan vāsī key|kī .

113When you sit here, you must first remember the Father and then Brahma, Vishnu and Shankar, the residents of the subtle region.

99Brahmā dvārā sthāpanā hō rahī hai .

114Establishment is now taking place through Brahma.

100Is samay tum īśhvarīy family K|kē hō phir daivī family banē̃gē . 101Sō bhī saṅgamyug par .

115At present, you are God’s family and you will then become the deity family - that, too, at the confluence age.

102Sūryavanśhī , chandravanśhī virāṭ rūp kā chitra bhī hai .

116There is also the variety-form image of the sun and moon dynasties.

103Sirph chōṭī nahī̃ dikhāyā hai .

117It is just that they have not shown the topknot in it.

104Dēvtā , kṣhatriya . . . parantu dēvtāō̃ K|kē pahlē kyā thā  ?

118There are the deities and the warriors, but who existed before the deities?

105Ab bēhad kā bāp kahtē haĩ manmanābhav .

119The unlimited Father says: Manmanabhav!

106Mērē sāth buddhi kā yōg lagāō aur bēhad kā varsā lē lō .

120Connect your intellects in yoga to Me and claim your unlimited inheritance.

107Janm janmāntar liyā hai .

121You have claimed it for many births.

108Satyug , trētā tak 21 janm bēhad kā varsā liyā thā . 109Ab tō kuchh nahī̃ hai , phir bāp sē lēnā hai .

122You had claimed the unlimited inheritance of 21 births for the golden and silver ages.

110Vah tō kahtē paramātmā nām rūp sē nyārā hai , vah kaisē yahā̃ āyēgā .

123Now, you do not have anything and you have to claim it from the Father once again.

111Arē gītā mē̃ hai śhrīmat bhagavat gītā .

124People say God is beyond name and form. 125How could He come here?

112Bhagvānuvāch - kr̥iṣhṇa kō bhagvān nahī̃ mānē̃gē .

126It is mentioned in the Gita, the Shrimad Bhagawad Gita: God speaks.

113Yah sab drama mē̃ nūndh hai .

127Krishna cannot be called God.

114Bhagvān hai nirākār gyān kā sāgar .

128All of this is fixed in the drama.

115Phir pīchhē jō rājya kartē haĩ unkī mahimā alag hai .

129God is incorporeal, the Ocean of Knowledge.

116Sarvguṇ sampann , 16 kalā sampūrṇ . . . is samay haĩ sab hiṃsak kām kaṭārī chalānē vālē .

130The praise of those who rule afterwards is different: full of all virtues, 16 celestial degrees full.

117Lakṣhmī-nārāyaṇ kē liē aisē nahī̃ kahē̃gē .

131At present, all are violent; they use the sword of lust.

118Vah tō sampūrṇ śhrēṣhṭhāchārī thē . 119Tō bāp key|kī mahimā alag hai .

132You would not say this of Lakshmi and Narayan; they were completely righteous.

120Har ēk manuṣhya mātra kā alag-alag part hai .

133Therefore, the praise of the Father is different.

121Kitnī chhōṭī ātmā unmē̃ sārā part bharā huā hai . 122Hū̃ maĩ bhī ātmā parantu mujhē supreme kahtē haĩ .

134The part of each human being is different. 135A soul is so tiny and yet a whole part is recorded within him! 136I too am a soul, but I am called the Supreme.

123Bhakti mārg mē̃ baṛā-baṛā liṅg banātē haĩ . 124Vah bhī wrong hai .

137On the path of devotion, people create huge lingams, but that too is wrong.

125Ātmā tō sabkī ēk jaisī star hai .

138The soul of everyone is the same: they are stars.

126Gyān sūrya , gyān chandramā , gyān sitārē bhī haĩ .

139There is the Sun of Knowledge, the moon of knowledge and the stars of knowledge.

127Drama mē̃ itnē pārṭdhārī haĩ . 128Har ēk kā apnā-apnā part hai .

140There are so many actors in the drama; each one has his own individual part.

129Kaisē yah drama banā huā hai , iskō kahā jātā hai kudratī nāṭak . 130Bākī vah nāṭak tō common hai .

141How this drama is created is called the play of nature, whereas that play is common.

1314 ghaṇṭē kā reel hōgā . 132Inkā reel tō 5 hajār varṣh kā hai .

142That reel would be four hours, whereas the reel of this play is 5000 years.

133Vō lōg phir kahē̃gē kaliyug key|kī āyu 4 lākh 32 hajār varṣh hai .

143Those people say that the duration of the iron age is 432,000 years.

134Kitnē gapōṛē haĩ .

144Those are all lies.

135Maut sāmnē khaṛā hai . 136Tō bhī ghōr andhiyārē mē̃ paṛē haĩ .

145Death is standing in front of them but, in spite of that, they are in extreme darkness.

137Bāp kahtē haĩ ab jāgō , tum bhagat bhagvān kō yād kartē āyē hō .

146The Father says: Now wake up! 147You devotees have been remembering God.

138Ab bāp kahtē haĩ bhakti mārg khatm hōtā hai .

148Now the Father says: The path of devotion is ending.

139Maĩ āyā hū̃ gyān sē sōjharā karnē .

149I have come to bring enlightenment through knowledge.

140Is samay manuṣhyō̃ mē̃ dēkhō krōdh kitnā hai . 141Laṛāī hī sīkhtē rahtē haĩ .

150At present, human beings have so much anger; they simply continue to learn how to fight all the time.

142Jab rāvaṇ rājya śhurū hōtā hai tab yah sab śhurū hōtā hai .

151It all starts when the kingdom of Ravan begins.

143Satyug mē̃ tō hai hī rāmrājya .

152In the golden age, it is the kingdom of Rama.

144Ab bāp kahtē haĩ maĩ tum bachchō̃ kō rājāō̃ kā rājā banātā hū̃ .

153The Father now says: I make you children into kings of kings.

145Phir tum jab girtē hō tō pāvan rājāyē̃ phir patit ban jātē haĩ .

154Then, when you fall, the pure kings become impure.

146Abhī tō vah bhī nahī̃ haĩ .

155Even they do not exist.

147Bāp kahtē haĩ bachchē tum hamēśhā samjhō ki śhivbābā is dvārā sunā rahā hai .

156The Father says: Children, always consider it to be Shiv Baba who is speaking to you through this one.

148Jō sunkar yah mahārājā mahārānī banē thē , vahī ab patit banē haĩ .

157Those who heard this and became emperors and empresses have now become impure.

149Yah hai āsurī sr̥iṣhṭi . 150Vah hai īśhvarīy sr̥iṣhṭi .

158This is the devilish world, whereas that is the Godly world.

151Rām aur rāvaṇ nām maśhhūr hai .

159The names ‘Rama’ and ‘Ravan’ are very well known.

152Rāvaṇ kā arth|earth kōī bhī samajhtē nahī̃ .

160No one knows the meaning of the word ‘Ravan’.

153Nar aur nārī dōnō̃ mē̃ 5 vikār haĩ , tab 10 śhīśh dikhātē haĩ , isliē inkō rāvaṇrājya kahā jātā hai .

161Both males and females have the five vices in them, and this is why people have shown 10 heads. 162Therefore, this is called the kingdom of Ravan.

154Dīpmālā mē̃ pūjā kartē haĩ .

163People perform worship at Deepmala.

155Mahālakṣhmī kō 4 bhujāyē̃ dētē haĩ . 156Dō lakṣhmī key|kī , dō nārāyaṇ key|kī .

164They show Mahalakshmi with four arms: two of Lakshmi and two of Narayan, but Vishnu is not anyone else.

157Bākī viṣhṇu kōī aur chīz nahī̃ hai .

165You will become the double-crowned kings of kings.

158Ab tum rājāō̃ kā rājā banē̃gē , double sirtāj .

166At present, you become spinners of the discus of self-realization.

159Is samay tum svadarśhan chakradhārī bantē hō .

167You know you take 84 births.

160Tum jāntē hō ham 84 janma lētē haĩ . 161Bēhad K|kē bāp sē bēhad kā sukh , had K|kē bāp sē had kā sukh miltā hai .

168You receive unlimited happiness from the unlimited Father and limited happiness from limited fathers.

162Satyug hai brahmā kā din , kaliyug hai brahmā kī rāt .

169The golden age is the day of Brahma and the iron age is the night of Brahma.

163Prajāpitā bhī jarūr yahā̃ hōgā .

170The Father of People definitely has to exist here.

164Śhiv-bābā key|kī santān tō sab haĩ . 165Phir brahmā dvārā brāhmaṇ aur brāhmaṇiyā̃ rachtē haĩ .

171All are the children of Shiv Baba and then Brahma Kumars and Kumaris are created through Brahma.

166Nahī̃ tō itnē bachchē kaisē adopt hōṅgē .

172How else would so many children be adopted?

167Śhivbābā brahmā dvārā adopt kartē haĩ .

173Shiv Baba adopts you through Brahma. 174The Father says: I only have you.

168Bāp kahtē haĩ mērē tō tum hī hō .

175You now receive a new birth.

169Ab tumkō nayā janm miltā hai .

176You receive the property of the Grandfather.

170Ḍāḍē key|kī property tumkō miltī hai , viśhva key|kī rājāī milēgī brahmā dvārā .

177You receive the kingdom of the world through Brahma. 178Brahma has been shown in the subtle region, but how could you meet him there?

171Brahmā kō sūkṣhmavatan mē̃ dikhāyā hai .

179Baba definitely needs a chariot in order to conduct the murli.

172Parantu vahā̃ kaisē milē̃gē . 173Bābā kō jarūr rath chāhiē murlī chalānē kē liē .

180The Gita is the number one scripture of Bharat and all the other scriptures are the children.

174Gītā hai bhārat kā number one śhāstra . 175Bākī sab śhāstra haĩ bachchē .

181First, there is the generation of the deities, then the warriors, etc.

176Pahlē hai dēvtāō̃ key|kī birādrī phir kṣhatriyō̃ key|kī . . . jō bhī dharm sthāpan kartē haĩ vah pahlē satō phir rajō tamō mē̃ ātē haĩ .

182Those who establish a religion are at first sato and then they go through the stages of rajo and tamo, just as Christ was pure when he first came. 183No one can receive punishment until he performs a sinful act.

177Jaisē Christ āyā vah pahlē pavitra thā .

184Pure souls will go into the golden age.

178Jab tak kōī vikarma na hō tō daṇḍ mil na sakē .

185There is no Maya there, and so there is no sorrow there either.

179Satyug mē̃ pavitra ātmā āyēgī .

186Our sins begin when we go onto the path of sin.

180Vahā̃ māyā hī nahī̃ tō duḥkh bhī nahī̃ .

187These matters have to be understood.

181Hamārē vikarma tab śhurū hōtē haĩ jab vām mārg mē̃ jātē haĩ .

188There is the era of those who conquered sinful actions and then there is the era of those who perform sinful actions.

182Yah samajhnē key|kī bātē̃ haĩ .

189There are many religious stories.

183Vikarmājīt saṃvat bhī hai phir hai vikarmī saṃvat .

190There is also the story of the king who conquered attachment.

184Kathāyē̃ tō bahut haĩ . 185Mōh jīt rājā key|kī kathā , mōh jīt haĩ lakṣhmī-nārāyaṇ . 186Vah hai rāmrājya .

191Lakshmi and Narayan are conquerors of attachment. 192That is the kingdom of Rama (God), whereas it is now the kingdom of Ravan.

187Abhī hai rāvaṇrājya .

193People burn an effigy of Ravan.

188Rāvaṇ kō jalātē haĩ . 189Ādhākalp rāmrājya phir ādhākalp kē bād rāvaṇ rājya hōtā hai .

194For half a cycle it is the kingdom of Rama and, after half a cycle, it becomes the kingdom of Ravan.

190Is svadarśhan chakra kō tum jāntē hō .

195Only you know this discus of self-realization.

191Tum sab god fatherly children hō . 192Direct bāp nē brahmā dvārā adopt kiyā hai isliē tumkō sikīladhē bachchē kahtē haĩ .

196All of you are Godfatherly children; the Father has adopted you directly through Brahma and this is why you are called long-lost and now-found children.

193Achchhā  !

197Achcha.

194Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yādpyār aur good morning .

198To the sweetest, beloved, long-lost-and-now-found children, love remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

195Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

199The spiritual Father says namaste to the spiritual children.

Essence for dharna

196Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

200Essence for dharna:

1971 ) ātmā rūpī dīpak kō sadā jāgrat rakhnē kē liē yād kā ghr̥it ḍāltē rahnā hai .

201 1. In order to keep the light of the soul constantly lit, continue to pour in the oil of remembrance.

198Yād sē ātmā kō satōpradhān banānā hai .

202Make the soul satopradhan with remembrance.

1992 ) sadā gyān sōjharē mē̃ rahnā hai .

203 2. Constantly stay in the light of knowledge.

200Bēhad nāṭak ( drama ) kō buddhi mē̃ rakh svadarśhan chakradhārī bannā hai .

204Become a spinner of the discus of self-realization and keep this unlimited play in your intellect.

Blessing

201Vardān  : vyarth saṅkalpō̃ K|kē tēj bahāv kō second mē̃ stop kar nirvikalp sthiti banānē vālē śhrēṣhṭh bhāgyavān bhav

205Blessing: May you be greatly fortunate and make your stage free from sinful thoughts by stopping your fast flow of wasteful thoughts in a second.

202Yadi kōī bhī galtī hō jātī hai tō galatī|galtī hōnē kē bād kyō̃ , kyā , kaisē , aisē nahī̃ vaisē . . . yah sōchnē mē̃ samay nahī̃ ganvāō .

206 If you make a mistake, then, after making it, do not waste your time in thinking about “Why? 207What? 208How? 209Not like this!”

203Jitnā samay sōchnē svarūp bantē hō utnā dāg kē ūpar dāg lagātē hō , paper kā time kam hōtā hai lēkin vyarth sōchnē kā saṅskār paper K|kē time kō baṛhā dētā hai isliē vyarth saṅkalpō̃ K|kē tēj bahāv kō parivartan śhakti dvārā second mē̃ stop kar dō tō nirvikalp sthiti ban jāyēgī .

210For the time you spend in being an embodiment of those thoughts, you are putting stains on top of stains. 211The time of taking a paper is less, but the sanskar of having wasteful thoughts increases the time of taking the paper. 212Therefore, with transformation power, stop your fast flow of wasteful thoughts in a second and your stage will then become free from sinful thoughts.

204Jab yah saṅskār emerge hō tab kahē̃gē bhāgyavān ātmā .

213When this sanskar emerges, you will then be called a greatly fortunate soul.

Slogan

205Slōgan  : khuśhī K|kē khajānē sē sampann banō tō dūsrē sab khajānē svataḥ ā jāyēṅgē .

214Slogan: Become full of the treasure of happiness and all other treasures will automatically come to you.

215*** Om Shanti ***