बुधवार 25 मई 2022 की दैनिक मुरली

ध्यान दें: वाक्यों का संरेखण अक्षरों की संख्या पर आधारित है और पूरी तरह विश्वसनीय नहीं है।

आप पूरी मुरली या उसके किसी भाग का वाक्य संरेखण स्वयं सुधार सकते हैं।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

025-05-2022 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

0 25/05/22 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1Mīṭhē bachchē - nīnd kō jītnē vālē banō , rāt kō jāgkar gyān chintan karō , bāp kī yād mē̃ rahō tō khuśhī kā pārā chaṛhēgā

1Essence: Sweet children, become conquerors of sleep, stay awake at night and churn knowledge, stay in remembrance of the Father and your mercury of happiness will rise.

Question

2Praśhna  : bhārat mē̃ anēk chhuṭṭiyā̃ hōtī haĩ lēkin saṅgamyug par tumhē̃ ēk second key|kī bhī chhuṭṭī nahī̃ miltī kyō̃  ?

2Question: There are many holidays in Bharat, but you don't get a holiday in the confluence age for even a second; why?

Answer

3Uttar  : kyōṅki saṅgam kā ēk-ēk second most valuable hai , ismē̃ śhvāsō̃ śhvāṅs bāp kō yād karnā hai , rāt-din service karnī hai .

3Answer: Because every second of the confluence age is most valuable. 4You have to remember the Father in every breath. 5Remain engaged in doing service, day and night. 6Become obedient and faithful, have your sins absolved by having remembrance and return straight home with honour.

4Āgyākārī , vaphādār ban yād sē vikarma vināśh karkē ijjat kē sāth sīdhā ghar jānā hai , sajāō̃ sē chhūṭnā hai , ātmā aur śharīr dōnō̃ kō kañchan banānā hai isliē tumhē̃ ēk second key|kī bhī chhuṭṭī nahī̃ .

7You have to become free from punishment and make both yourself, the soul, and your body pure. 8This is why you cannot get a holiday for even a second.

Song

5Gīt  : hamārē tīrtha nyārē haĩ …

9Song: Our pilgrimage is unique.

Murli

6Ōm śhānti .

10Om shanti.

7Bachchē jāntē haĩ ki tīrtha yātrā dō prakār key|kī hōtī hai - ēk rūhānī , dūsrī jismānī . 8Ghāṭ bhī dō prakār K|kē hō gayē .

11You children know that there are two types of pilgrimage: one is spiritual and the other is physical.

9Ēk tō nadiyō̃ K|kē ghāṭ haĩ . 10Dūsrā phir tum bachchō̃ K|kē nayē-nayē centres arthāt ghāṭ bantē jātē haĩ .

12There are two types of shore: one is a river bank and the other is where new centres for you children are being created.

11Pūchhē̃gē ki kānpur mē̃ gyān amr̥it pīnē vā gyān snān karnē K|kē kitnē ghāṭ haĩ  ? 12Tō kahē̃gē 4-5 ghāṭ haĩ .

13They ask how many places you have in Kanpur where one can drink the nectar of knowledge or how many places there are for bathing in knowledge.

13Address bhī sab ghāṭō̃ kī ḍālī jātī hai .

14You say that we have four or five places.

14Yah phalānā ghāṭ hai , vahā̃ jākar jō gyān snān karē̃gē vah jīvanmukti pā saktē haĩ .

15There is an address for every centre: this is such-and-such place where you can go and claim liberation-in-life by bathing in knowledge.

15Bachchē jāntē haĩ ki mukti aur jīvanmukti kiskō kahā jātā hai .

16You children understand what liberation is and what liberation-in-life is.

16Barōbar bhārat jīvanmukt thā , unkō hī svarg kahā jātā hai phir jīvanbandh mē̃ ātē haĩ tō unkō nark kahā jātā hai .

17Bharat was definitely liberated in life; it was called heaven. 18When it enters bondage in life, it is called hell.

17Tum bachchē jāntē hō ham tīrthō̃ par jātē haĩ , gyān snān karnē sē hī sadgati hō jātī hai .

19You children know that we go on pilgrimages. 20You receive salvation by bathing in knowledge.

18Sadgati kā sākṣhātkār bhī tum bachchō̃ kō huā hai .

21Some children have also had visions of salvation.

19Sadgati kahā jātā hai svarg kō aur durgati kahā jātā hai nark kō .

22Heaven is called salvation and hell is called degradation.

20Sadgati svarg jarūr satyug hai aur durgati nark kaliyug hai .

23The golden age is definitely salvation, heaven, and the iron age is degradation, hell.

21Tum bachchē sabkō nimantraṇ dētē hō ki is kaliyugī nark sē satyugī svarg chalē̃gē  ?

24You children invite everyone, asking them whether they will go with you to golden-aged heaven from iron-aged hell.

22Svarg kē sāth satyug akṣhar jarūr ḍālnā hai tō svarg aur nark alag-alag hō jāyēgā .

25Together with the word, ‘heaven’, you definitely have to insert the name ‘The Golden Age’. 26Then, heaven and hell will become separate.

23Nahī̃ tō manuṣhya kah dētē haĩ svarg , nark yahā̃ hī hai .

27Otherwise, human beings say that heaven and hell are both here.

24Svarg aur nark kō bhāratvāsī hī jāntē haĩ .

28Only the people of Bharat know what heaven and hell are.

25Vahā̃ jāyēṅgē dēvī-dēvtā dharm vālē aur kiskō patā nahī̃ hai .

29Only those who belong to the deity religion will go there. 30No one else knows this.

26Har ēk kā apnā-apnā dharm aur apnā dharm śhāstra hai .

31Everyone has his own religion and own religious scriptures.

27Tō har ēk kō apnā dharm śhāstra hī paṛhnā chāhiē .

32Everyone should study his own religious scriptures.

28Apnā dharm-śhāstra hī kalyāṇkārī hōgā .

33There will be benefit in their own religious scriptures.

29Tum bachchē jāntē hō ki ham barōbar ūñch kul K|kē haĩ .

34You children understand that we definitely belong to the highest clan.

30Jab tak tum manuṣhyō̃ kō drama kā rāz nahī̃ samjhāyēṅgē tab tak tō vah ghōr andhiyārē mē̃ haĩ , isliē in chitrō̃ par bhī samjhānā chāhiē .

35Until you explain the secrets of the drama to human beings, they will remain in total darkness. 36Therefore, you should explain using these pictures.

31Tum bachchē sabhī yugō̃ kō jāntē hō , sivāē chitrō̃ K|kē manuṣhya samajh na sakē̃ . 32Buddhi mē̃ baiṭhēgā hī nahī̃ .

37You children know all the ages, but human beings won’t understand without the pictures; it won’t sit in their intellects.

33Tum school mē̃ bigar nakśhē kiskō batāō ki France , England yahā̃ haĩ tō bilkul samajhēgā nahī̃ .

38In a school, if you explain to someone where France and England are without using a map, they wouldn’t understand at all.

34Tō yah bāt bhī bigar chitrō̃ K|kē kuchh samajh nahī̃ sakē̃gē .

39In the same way, no one will understand these aspects without pictures.

35Chitrō̃ kē āgē lākar samjhānā chāhiē ki yah drama hai .

40You should bring them in front of the pictures and explain that this is a drama.

36Ab batāō tum kis dharm K|kē hō  ?

41Now, tell us to which religion you belong.

37Tumhārā dharm kab ātā hai  ?

42When does your religion come?

38Satyug mē̃ kaun sā dharm hai  ?

43Which religion exists in the golden age?

39Chitra mē̃ bilkul clear likhā huā hai .

44Everything is written very clearly in the pictures.

40Satyug trētā mē̃ sūryavanśhī chandravanśhī jab thē tō aur dharm thā nahī̃ .

45In the golden and silver ages, when there were the sun and moon dynasties, no other religions existed.

41Ab vah dēvtā dharm hai nahī̃ isliē jarūr vah sthāpan hōnā chāhiē .

46That deity religion doesn’t exist now and it therefore has to be established again.

42Ab duniyā purānī hai tō jarūr phir naī duniyā sthāpan hōnī chāhiē .

47The world is now old, and so a new one definitely has to be established.

43Naī duniyā mē̃ lakṣhmī-nārāyaṇ kā rājya thā .

48There was the kingdom of Lakshmi and Narayan in the new world.

44Lakṣhmī-nārāyaṇ kā chitra hī mukhya hai .

49The picture of Lakshmi and Narayan is a main one.

45Lakṣhmī-nārāyaṇ kā nām bālā hai , unkē baṛē-baṛē mandir bhī banātē haĩ .

50The names Lakshmi and Narayan are very famous. 51Many big temples are built to them.

46Śhiv K|kē bhī anēk nām rakh , anēk mandir banā diyē haĩ .

52They also have many names for Shiva and build many temples to Him.

47Unkā bhī nām bālā hai .

53His name is very famous.

48Sōmras pilātē haĩ isliē sōmnāth nām rakh diyā hai .

54They have given Him the name Somnath (Lord of Nectar) because He gives the nectar of knowledge.

49Manuṣhyō̃ nē bahut nām rakh diyē haĩ tō samjhānā paṛtā hai .

55People have given Him many names, and so you have to explain to them.

50Rūdra , śhiv , sōmnāth yah sab nām kyō̃ rakhē haĩ  ?

56Why are the names Rudra, Shiva, Somnath given?

51Badrīnāth kā arth|earth kyā hai  ?

57What is the meaning of Badrinath?

52Bahut nām binā samajh K|kē rakh diyē haĩ isliē manuṣhya mūñjhē huē haĩ .

58He has been given many names without them understanding why and this is why people are confused.

53Iskā yathārth nām hī hai rūdra gītā gyān yagya .

59The accurate name is Rudra's sacrificial fire of the knowledge of the Gita.

54Bāp kahtē haĩ is mērē gyān yagya sē yah vināśh jvālā prajjavalit huī hai .

60The Father says that the fire of destruction is ignited with this, My sacrificial fire of knowledge.

55Yah hai bhagvānuvāch .

61These are God’s versions.

56Tō pahlē jab kōī āyē tō unhē̃ gītā par bhī jarūr samjhāō .

62When people come, first definitely explain the Gita to them.

57Usmē̃ likhā huā hai bhagvānuvāch māmēkam yād karō tō vikarma vināśh hōṅgē aur tum mērē pās|pass chalē āyēṅgē .

63In it, it is written: God speaks: Remember Me and your sins will be absolved and you will come to Me. 64He is the unlimited Father.

58Vah hai bēhad kā bāp , svarg kā rachayitā , jīvanmukti kā rachayitā .

65He is the Creator of heaven and the Creator of liberation-in-life.

59Nām hī hai heavenly god father , jō heaven key|kī sthāpanā kartē haĩ .

66His name is Heavenly God, the Father, the One who establishes heaven.

60Heaven mē̃ rahtē nahī̃ haĩ . 61Heaven sthāpan karnē vālā hai bhagvān .

67God doesn’t live in heaven Himself but He is the One who establishes heaven.

62Sthāpanā , vināśh , pālnā kā kārya kartē haĩ nā .

68He also carries out the tasks of establishment, sustenance and destruction.

63Tō ab bāp kahtē haĩ mujh pārlaukik bāp kō yād karō aur apnē kō aśharīrī ātmā samjhō , nahī̃ tō mērē pās|pass kaisē āyēṅgē .

69The Father says: Now remember Me, the Father from beyond this world, and consider yourselves to be bodiless souls.

64Bāp kahtē haĩ yah tumhārā antim janm hai isliē mērē sāth yōg lagānē sē tumhārē vikarma vināśh hōṅgē .

70Otherwise, how would you come to Me? 71The Father says: This is your last birth and only by having yoga with Me will your sins be absolved.

65Iskō yōg agni kahā jātā hai .

72This is called the fire of yoga.

66Manuṣhya tō tandarūstī kē liē anēk prakār K|kē yōg sikhlātē haĩ .

73Human beings teach many types of yoga for health.

67Ab pārlaukik bāp kahtē haĩ mērē sē yōg lagāō aur is gyān key|kī dhārṇā karō tō tumhārē vikarma vināśh hōṅgē aur phir maĩ tumkō satyug , vaikuṇṭha key|kī bādśhāhī dūṅgā .

74Now, the Father from beyond this world says: Have yoga with Me and imbibe this knowledge and your sins will be absolved and I will then give you the kingdom of heaven, Paradise.

68Tō mānnā chāhiē nā .

75Therefore, you should believe this.

69Bāp kahtē haĩ hē nīnd kō jītnē vālē bachchē , nīnd kō jīt kar bāp kō yād karō kyōṅki tumkō mērē pās|pass mērī nirākārī duniyā mē̃ ānā hai .

76The Father says: O children who are conquerors of sleep, conquer sleep and remember Me because you have to come to Me in My incorporeal world.

70Agar kr̥iṣhṇa hōtā tō kahtā mērē vaikuṇṭha mē̃ ānā hai .

77If it were Krishna, he would say: You have to come to my Paradise.

71Jō jahā̃ kā vāsī hōgā vahā̃ key|kī hī mañjil dikhāyēgā nā .

78Wherever someone lives, he would show you destination.

72Nirākār bāp kahtē haĩ tum mujhē yād karō tō mērī nirākārī duniyā mē̃ āyēṅgē , mērē pās|pass ānē kā yah ēk hī rāstā hai .

79The incorporeal Father says: Remember Me and you will come to My incorporeal world; there is only one path to come to Me.

73Abhī tum bachchē hō mukh vaṅśhāvalī .

80You children are now a mouth-born creation.

74Kukh vaṅśhāvalī aur mukh vaṅśhāvalī akṣhar bilkul sahaj hai .

81The words ‘born through vice and born through the mouth’ are very easy.

75Abhī tum kahtē hō bābā maĩ tērā hū̃ , maĩ bhī kahtā hū̃ hā̃ bachchē tum mērē hō , tō ab tum mērī mat par chalō .

82You now say: Baba, I am Yours. 83Then, Baba says: Yes children, you are Mine. 84So, now follow My directions!

76Tum jāntē hō bhārat jab svarg thā , tab bākī itnī sab ātmāyē̃ kahā̃ thī  ?

85You know that Bharat was heaven; then, where were all the other souls at that time?

77Muktidhām mē̃ .

86In the land of liberation.

78Vahā̃ hai hī ēk dharm , isliē tālī bajtī nahī̃ . 79Laṛāī-jhagṛē kā nām nahī̃ .

87There, there is only one religion and there is therefore no conflict; there is no trace of fighting or quarrelling.

80Yah lōg bhal kahtē haĩ tō ham hindū chīnī bhāī-bhāī , parantu haĩ kahā̃ .

88Those people say that the Hindus and Chinese are brothers, but are they? 89They continue to fight among themselves.

81Yah tō laṛtē rahtē .

90People sing: Purifier, the Rama of Sita.

82Gātē haĩ patit-pāvan sītārām tō jarūr khud patit haĩ tab gātē haĩ .

91It is definitely because they themselves are impure that they sing that.

83Satyug mē̃ tō hai hī pāvan duniyā tō vahā̃ aisē nahī̃ gāyēṅgē .

92In heaven, there is only the one pure world and so they will not sing there in that way.

84Yah patit duniyā hai tab gātē haĩ .

93This is an impure world and it is why they sing in that way.

85Pāvan duniyā kahā jātā hai satyug kō , patit duniyā kahā jātā hai kaliyug kō .

94Heaven is called the pure world. 95The iron age is called the impure world.

86Yah bhī manuṣhya samajh nahī̃ saktē haĩ . 87Kitnē malīn buddhi haĩ .

96Human beings don’t even understand this; their intellects are totally dirty.

88Ham bhī samajhtē nahī̃ thē .

97We too didn’t understand.

89Tamōpradhān buddhi hōnē sē sab bhūl jātē haĩ .

98By having tamopradhan intellects we forgot everything.

90Bāp kahtē haĩ tum bilkul bēsamajh ban paṛē hō .

99The Father says you have become totally senseless.

91Tum kitnē samajhdār thē .

100You were so sensible!

92Tum sō dēvtā satōpradhān thē .

101You were satopradhan deities.

93Ab bēsamajh śhūdra , tamōpradhān ban paṛē hō .

102You have now become senseless and tamopradhan shudras.

94Tumnē svarg mē̃ kitnē sukh pāyē .

103You received so much happiness in heaven.

95Tum bhāratvāsiyō̃ kā ūñch tē ūñch kul thā - dēvī-dēvatāō̃ kā .

104The clan of you people of Bharat was the highest: you were deities.

96Ab tum kitnē tuchchh narkvāsī banē hō .

105You have now become impure residents of hell.

97Yah bāp hī ākar apnē bachchō̃ kō kahtē haĩ .

106The Father comes and tells this to His children.

98Bachchē feel kartē haĩ barōbar ham sō pūjya dēvtā thē phir pujārī banē .

107You children also feel you were definitely worthy-of-worship deities and that you have now become worshippers.

99Bābā nē kitnā samajhdār banāyā thā , ab phir banā rahē haĩ .

108Baba had made you so sensible and He is making you that again.

100Yah bātē̃ rāt kō chintan kar bahut khuśhī mē̃ ānā chāhiē .

109You should churn these aspects at night and experience a lot of happiness.

101Amr̥itvēlē uṭh kar bābā kō yād karō aur yah chintan karō tō khuśhī kā pārā bahut chaṛhēgā .

110Wake up at amrit vela and remember Baba. 111Churn knowledge and your mercury of happiness will rise very high.

102Kaī bachchē tō sārē din mē̃ ēk second bhī yād nahī̃ kartē .

112Some children don’t remember Baba for even a second throughout the day.

103Bhal yahā̃ suntē haĩ parantu buddhiyōg aur taraph hai .

113Even though they are listening here, their intellects’ yoga is somewhere else.

104Nirākār paramātmā kiskō kahā jātā hai , vah bhī nahī̃ samajhtē haĩ .

114They don’t even understand who the incorporeal Supreme Soul is.

105School mē̃ kōī-kōī dō tīn bār bhī nā-pass hō paṛtē haĩ .

115In a school some fail two or three times.

106Ākhir paṛh nahī̃ saktē haĩ tō phir school hī chhōṛ dētē haĩ .

116Ultimately, if they are unable to study, they have to leave that school.

107Yahā̃ bhī paṛhāī samajh mē̃ nahī̃ ātī tō chhōṛ dētē haĩ .

117Even here, if some are unable to understand knowledge, they leave.

108Māyā jōr sē thappaṛ lagā dētī hai . 109Vikār kā ghūnsā lagā aur satyānāśh .

118Maya slaps them very hard; they are punched by lust and completely destroyed.

110Māyā aisī prabal hai , baṛī duśhtar hai .

119Maya is very strong and powerful.

111Tumhārī boxing kōī manuṣhya sē nahī̃ hai parantu māyā sē hai .

120Your boxing is not against any human being, but against Maya.

112Ham māyā par jīt pātē haĩ .

121We are now gaining victory over Maya.

113Iskē liē tum bachchō̃ kō bahut purūṣhārth karnā chāhiē .

122For this, you children have to make a lot of effort.

114Jitnā hō sakē rāt kō jāgkar vichār sāgar manthan karnā chāhiē .

123To whatever extent you can, wake up at night and churn the ocean of knowledge.

115Practice hō jāyēgī .

124It will then become a practice.

116Bhagvānuvāch sabhī bachchō̃ prati hai , sirph ēk arjun prati nahī̃ .

125God’s versions are for all His children, not just for one Arjuna.

117Sabhī yuddha K|kē maidān par haĩ .

126All are on the battlefield.

118Bāp sabhī bachchō̃ kō kahtē haĩ bachchē rāt kō jāgkar most beloved bāp kō yād karō tō vikarma vināśh hōṅgē aur gyān key|kī dhārṇā bhī hōgī . 119Nahī̃ tō jarā bhī dhārṇā hōgī nahī̃ .

127The Father says to all the children: O children, wake up during the night and remember the most beloved Father and your sins will be absolved and you will be able to imbibe knowledge.

120Agar mērī āgyā kā ullaṅghan karē̃gē , mērē kō yād nahī̃ karē̃gē tō bahut sajāyē̃ khānī paṛē̃gī . 121Īśhvarīy direction miltē haĩ nā .

128Otherwise, you will not be able to imbibe any knowledge. 129If you disobey My orders and don’t remember Me, there will be a lot of punishment.

122Maĩ tumhārā bahut mīṭhā-mīṭhā bāp hū̃ , mērē kō yād karnē sē tum mērē pās|pass ā jāyēṅgē .

130You receive God’s directions: I am your sweetest Father. 131By remembering Me, you will come to Me.

123Sajā khākar phir ānā - yah tō ṭhīk nahī̃ hai .

132It is not good to come after having experienced punishment.

124Sīdhā ānē sē ijjat milēgī isliē mērī āgyā kā ullaṅghan mat karō .

133By coming directly to Me, you will be honoured. 134Therefore, do not disobey My directions.

125Āgyā na mānnē vālē kō nindak kahā jātā hai .

135Those who don’t obey directions are called the ones who cause defamation.

126Yah hai sachchā bābā , sachchā satgurū .

136This is the true Father and the true Satguru.

127Tō unkī āgyā mānnī chāhiē nā .

137Therefore, you should obey His directions.

128Śhivbābā tō bahut mīṭhā hai .

138Shiv Baba is very sweet.

129Ātmā aur śharīr dōnō̃ kō hī kañchan kar dētē haĩ .

139He makes both you souls and your bodies pure.

130Kañchan kāyā sirph tandarūstī kō nahī̃ kahā jātā hai .

140A pure body doesn’t simply refer to having good health.

131Ātmā bhī pure aur śharīr bhī pure , uskō kañchan kāyā kahā jātā hai .

141Both souls and bodies become pure; they are called pure bodies.

132Dēvtāō̃ key|kī kañchan kāyā thī .

142The deities had pure bodies.

133Abhī tō sabkī kichṛē key|kī kāyā hai .

143Now, everyone’s body is like rubbish.

1345 tatva tamōpradhān haĩ tō ussē śharīr dēkhō kaisā bantā hai .

144The five elements are tamopradhan, so just look what type of bodies are created from them!

135Śhaklē̃ dēkhō kaisī haĩ .

145Just look at their features!

136Kr̥iṣhṇa key|kī tō bahut mahimā hai .

146There is a lot of praise of Krishna.

137Aisā śharīr tō tumkō svarg mē̃ hī mil saktā hai .

147Only in heaven will you receive bodies like that.

138Abhī tum phir sō aisā dēvtā bantē hō .

148You are now becoming deities once again.

139Tō mukhya bāt hai rāt kō jāgkar yād karē̃gē tō practice paṛēgī .

149Therefore, the main thing is to stay awake at night and have remembrance and it will become a practice.

140Nīnd kō phiṭānā chāhiē . 141Practice karnē sē sab kuchh hōtā hai .

150You have to conquer sleep; you can achieve anything with practice.

142Dhandhā dhōrī , rōṭī bēlnā , pakānā ādi sab practice sē sīkhnā hōtā hai nā .

151You can learn how to run a business with practice, you can roll out and cook chapatties etc. with practice.

143Bāp kō yād karnā bhī sīkhnā hai .

152You also have to learn how to remember the Father.

144Jiskō sārā kalp bhūlē hō , ab us bāp kō yād karnā hai .

153You have to remember the Father whom you forgot throughout the whole cycle.

145Tō bābā khuśh hōgā .

154Then Baba will become pleased.

146Nahī̃ tō kahē̃gē yah vaphādār , pharmānbardār bachchā nahī̃ hai . 147Phir bahut sajā khāyēṅgē . 148Unkī takdīr mē̃ mār hai .

155Otherwise, He would say that that child is not faithful or obedient and he will experience a great deal of punishment; there are only beatings in his fortune.

149Yahā̃ kōī thōṛā bhī kiskō gussā kartē haĩ tō bigaṛtē haĩ , vahā̃ dharmarāj sajā dēgē phir thōṛēhī kuchh kar sakē̃gē .

156Here, if a person becomes angry with someone, he reacts strongly. 157However, you won’t be able to do anything at the time Dharamraj gives you punishment.

150Jaisē jēl mē̃ government bahut mupht kā kām karātī hai , kōī bigar mēhnat jēl bhōgtē haĩ , kōī kō mēhnat karnī paṛtī hai .

158The Government has a lot of work done free in jails. 159Some spend their time in jail without having to work hard, whereas others have to work very hard.

151Tō dharmarāj purī mē̃ bhī jab dharmarāj sajā dēgē tō kuchh kar nahī̃ sakē̃gē .

160In the Dharamraj region too, when Dharamraj gives punishment, you won’t be able to do anything.

152Andar samajhē̃gē ki hamārā hī dōṣh hai tab tō sajā milī hai .

161You will understand internally that it is your own fault and that is why you are receiving punishment.

153Yah bhī feel karē̃gē ki hamnē bāp kā pharmān nahī̃ mānā hai isliē sajā miltī hai isliē bābā kahtē haĩ jitnā hō sakē mujhē yād karō .

162You will also feel that you did not obey the Father’s directions which is why you are receiving punishment. 163Therefore, Baba says: To whatever extent you can, remember Me.

154Achchhā .

164Achcha.

155Dēkhō , bhārat mē̃ jitnī sabkō chhuṭṭiyā̃ miltī haĩ utnī aur kahā̃ nahī̃ miltī .

165Nowhere else do people receive as many holidays as they do in Bharat.

156Parantu yahā̃ hamkō ēk second bhī chhuṭṭī nahī̃ miltī kyōṅki bābā kahtē haĩ śhvānsō̃ śhvāṅs yād mē̃ rahō .

166However, here, we don't have even one second’s holiday, because Baba says: Remember Me in every breath.

157Ēk-ēk śhvāṅs most valuable hai .

167Each breath is most valuable.

158Bachchō̃ kō rāt-din bābā key|kī service mē̃ rahnā chāhiē .

168You children should remain engaged in doing Baba’s service, day and night.

159Tum almighty bābā kē ūpar āśhik hō yā unkē rath par  ?

169Do you love Almighty Baba or His chariot?

160Yā dōnō̃ par  ?

170Or, do you love them both?

161Jarūr dōnō̃ par āśhik hōnā paṛē .

171You definitely have to love both of them.

162Buddhi mē̃ yah rahēgā ki vah is rath mē̃ hai .

172It would then remain in your intellects that Baba is in this chariot.

163Unkē kāraṇ tum is par āśhik huē hō .

173You love this one because of that One.

164Śhiv K|kē mandir mē̃ bhī bail rakhā huā hai . 165Vah bhī pūjā jātā hai .

174They place a stone bull in the Shiva Temples and it too is worshipped.

166Kitnī guhya bātē̃ haĩ jō rōz nahī̃ suntē vah kōī na kōī bātē̃ miss kar dētē haĩ .

175These aspects of knowledge are so deep, but if you don’t listen to this knowledge every day you will miss some aspect.

167Rōz sunnē vālē kabhī fail nahī̃ hōṅgē .

176Those who listen to this knowledge every day will not fail.

168Manners bhī achchhē rahē̃gē .

177They will also have good manners.

169Bābā kō yād karnē mē̃ bahut baṛī profit ( phāydā ) hai . 170Phir unsē bhī baṛī profit bābā key|kī knowledge kō yād karnā .

178There is a lot of profit in remembering Baba and a greater profit in remembering Baba’s knowledge.

171Yōg bhī profit , gyān bhī profit .

179There is profit in knowledge as well as in yoga.

172Bābā kō yād karnē sē tō vikarma vināśh hōtē haĩ aur pad bhī ūñch miltā hai .

180By having remembrance of Baba, your sins are absolved and you also receive a high status.

173Jahā̃ bābā rahtē haĩ vah hai muktidhām , brahm lōk . 174Lēkin sabsē achchhā hai yah brāhmaṇō̃ kā lōk .

181The place where Baba resides is called the land of liberation, the brahm element, but the best place of all is where Brahmins reside.

175Brāhmaṇ janēū jarūr pahantē haĩ , chōṭī bhī rakhtē haĩ kyōṅki bābā ham brāhmaṇō̃ kō chōṭī sē pakaṛ lē jātē haĩ .

182Brahmin priests definitely wear a thread; each of them has a topknot because Baba gets hold of us Brahmins by our topknots and takes us back.

176Achchhā  !

183Achcha.

177Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yādpyār aur good morning .

184To the sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

178Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

185The spiritual Father says namaste to the spiritual children.

Essence for dharna

179Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

186Essence for dharna:

1801 ) śharīr aur ātmā dōnō̃ kō kañchan banānē kē liē bāp kō yād karnē key|kī ādat ḍālnī hai .

187 1. In order to make both you, the soul, and your body pure, instil the practice of remembering the Father.

181Kabhī bhī āgyā kā ullaṅghan nahī̃ karnā hai .

188Never disobey Baba’s directions.

1822 ) paṛhāī K|kē samay check karnā hai ki buddhi idhar-udhar bhāgtī tō nahī̃ hai  !

189 2. At the time of studying, check to see that your intellect is not wandering here and there.

183Kabhī bhī paṛhāī miss nahī̃ karnī hai .

190Never miss this study.

184Māyā key|kī boxing mē̃ hār nahī̃ khānī hai .

191Do not become defeated by Maya’s boxing.

Blessing

185Vardān  : sarv ātmāō̃ kō śhubh bhāvnā , śhubh kāmnā key|kī añchalī dēnē vālē sachchē sēvādhārī bhav

192Blessing: May you be a true server who gives all souls drops of good wishes and pure feelings.

186Sirph vāṇī key|kī sēvā hī sēvā nahī̃ hai , śhubh bhāvnā , śhubh kāmnā rakhnā bhī sēvā hai .

193 Doing service with words is not the only form of service. 194To have good wishes and pure feelings is also doing service.

187Brāhmaṇō̃ kā occupation hī hai īśhvarīy sēvā .

195The occupation of Brahmins is doing Godly service.

188Kahā̃ bhī rahtē sēvā kartē rahō .

196Wherever you may be living, continue to do service.

189Kōī kaisā bhī hō , chāhē pakkā rāvaṇ hī kyō̃ na hō , kōī āpkō gālī bhī dē tō bhī āp unhē̃ apnē khajānē sē , śhubh-bhāvnā , śhubh-kāmnā key|kī añchalī jarūr dō , tab kahē̃gē sachchē sēvādhārī .

197No matter what someone is like, even if somone is like a true Ravan, even if someone insults you, continue to give them drops of good wishes and pure feelings from your treasures and you will then be called a true server.

Slogan

190Slōgan  : pavitratā hī brāhmaṇ jīvan kā mukhya foundation hai , dharat pariyē dharm na chhōṛiyē .

198Slogan: Purity is the main foundation of Brahmin life. 199Even if the world disintegrates, you will not let go of your religion.

200*** Om Shanti ***