रविवार 29 मई 2022 की दैनिक मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
ध्यान दें: वाक्यों का संरेखण अक्षरों की संख्या पर आधारित है और पूरी तरह विश्वसनीय नहीं है।
आप पूरी मुरली या उसके किसी भाग का वाक्य संरेखण स्वयं सुधार सकते हैं।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
029-05-22 prātaḥmurlī ōm śhānti ' ' avyakt-bāpdādā ' ' revise 25-02-91 madhuban
0 29/05/22 Madhuban Avyakt BapDada Om Shanti 25/02/1991
1Sōch aur karma mē̃ samāntā lānā hī paramātma pyār nibhānā hai
1To make your thoughts and actions the same is fulfilling the responsibility of love for God.
2Āj bāpdādā apnē sarv svarājya adhikārī bachchō̃ kō dēkh harṣhit hō rahē haĩ kyōṅki svarājya adhikārī vahī anēk janm viśhva rājya adhikārī bantē haĩ .
2Today, BapDada is pleased to see all His children who have a right to self-sovereignty, because only those who have a right to self-sovereignty can claim a right to world sovereignty for many births.
3Tō āj double vidēśhī bachchō̃ sē bāpdādā svarājya kā samāchār pūchh rahē haĩ .
3So, today, BapDada is asking you double-foreign children the news of your self-sovereignty.
4Har ēk rājya adhikārī kā rājya achchhī tarah sē chal rahā hai ?
4Is the kingdom of each of you self-sovereigns functioning well?
5Āpkē rājya chalānē vālē sāthī sahyōgī sāthī , sadā samay par yathārth rīti sē sahyōg dē rahē haĩ ki bīch-bīch mē̃ kabhī dhōkhā bhī dē dētē haĩ ?
5Are your co-operative companions who rule the kingdom with you always co-operative accurately at the right time, or do they sometimes also deceive you?
6Jitnē bhī sahyōgī karmchārī karmēndriyā̃ , chāhē sthūl haĩ , chāhē sūkṣhma haĩ , sabhī āpkē order mē̃ hai ?
6However many co-operative workers you have – organs, whether physical or subtle - are they all working under your orders?
7Jiskō jis samay jō order karō usī samay usī vidhi sē āpkē madadgār bantē haĩ ?
7Whatever you order at any particular time, do they become your helpers at that time in that particular way?
8Rōz apnī rājya darbār lagātē hō ?
8Do you hold a royal court every day?
9Rājya kārōbārī sabhī 100 pratiśhat āgyākārī , vaphādār , ever ready haĩ ?
9Are all the workers in your kingdom 100% obedient, faithful and ever ready?
10Kyā hālchāl hai ?
10How is everything?
11Achchhā hai vā bahut achchhā hai vā bahut , bahut , bahut achchhā hai ?
11Is it good, very good or very, very, very good?
12Rājya darbār achchhī tarah sē sadā saphaltāpūrvak hōtī hai vā kabhī-kabhī kōī sahyōgī karmchārī halchal tō nahī̃ kartē haĩ ?
12Is the royal court always successful, or do your co-operative workers sometimes create upheaval?
13Is purānī duniyā key|kī rājya sabhā kā hālchāl tō achchhī tarah sē jāntē hō - na law hai , na order hai .
13You know the condition of the royal court (the government) of this old world very well: there is neither law nor order.
14Lēkin āpkī rājya darbār law full bhī hai aur sadā hā̃ jī , jī hājir - is order mē̃ chaltī hai .
14However, your royal court is lawful and always functions with “Ha ji” (Yes indeed) and “Ji hajir” (I am present).
15Jitnā rājya adhikārī śhaktiśhālī hai utnā rājya sahyōgī karmchārī bhī svataḥ hī sadā iśhārē sē chaltē , rājya adhikārī nē order diyā ki yah nahī̃ sunnā hai aur yah nahī̃ karnā hai , nahī̃ bōlnā hai , tō second mē̃ iśhārē pramāṇ kārya karē̃ .
15To the extent that the ones with the right to rule the kingdom are powerful, accordingly, the co-operative companions of that kingdom also always move along automatically with signals. 16As soon as the one with the right gives an order, “Do not listen to this, do not do this, do not say this,” they would work according to those signals in a second.
16Aisē nahī̃ ki āpnē order kiyā - nahī̃ dēkhō aur vah dēkh karkē phir māphī māṅgē ki mērī galtī hō gaī .
17It wouldn’t be that you give an order, “Do not look at that,” and they look at that and then ask for forgiveness, saying that they made a mistake.
17Karnē kē bād sōchē tō uskō samajhdār sāthī kahē̃gē ?
18If someone thinks about something after doing it, would you call that one a sensible companion?
18Man kō order diyā ki vyarth nahī̃ sōchō , second mē̃ full stop , dō second bhī nahī̃ lagnē chāhiē .
19When you order your mind not to have waste thoughts, and to put a full stop in a second, it should not take two seconds.
19Iskō kahā jātā hai - yuktiyukt rājya darbār . 20Aisē rājya adhikārī banē hō ?
20This is called a yuktiyukt royal court. 21Have you become those with a right to such a kingdom?
21Rōz rājya darbār lagātē hō yā jab yād ātā hai tab order dētē hō ?
22Do you hold court every day or do you only issue an order when you remember?
22Rōz din samāpt hōtē apnē sahyōgī karmchāriyō̃ kō check karō .
23Every day, at the end of the day, check your co-operative workers.
23Agar kōī bhī karmēndriyō̃ sē vā karmchārī sē bār-bār galatī|galtī hōtī rahtī hai tō galat kārya kartē-kartē saṅskār pakkē hō jātē haĩ .
24When your physical organs or workers repeatedly make a mistake, it is by your performing those wrong actions that it becomes a firm sanskar.
24Phir change karnē mē̃ samay aur mēhnat bhī lagtī hai .
25Then, it takes time and effort to change it.
25Usī samay check kiyā aur change karnē key|kī śhakti dī|the tō sadā kē liē ṭhīk hō jāyēṅgē .
26If you check it at that time and then give it that power to change, it will be put right for all time.
26Sirph bār-bār check kartē rahō ki yah wrong hai , yah ṭhīk nahī̃ hai aur uskō change karnē key|kī yukti va knowledge key|kī śhakti nahī̃ dī|the tō sirph bār-bār check karnē sē bhī parivartan nahī̃ hōtā , isliē pahlē sadā karmēndriyō̃ kō knowledge key|kī śhakti sē change karō .
27If you simply repeatedly check yourself and realise that it is wrong, that it is not right, and do not use some method to change it or do not give it the power of knowledge, then transformation doesn’t take place by repeatedly checking yourself. 28Therefore, first of all, change your physical organs with the power of knowledge.
27Sirph yah nahī̃ sōchō ki yah wrong hai . 28Lēkin right kyā hai aur right par chalnē key|kī vidhi spaṣhṭ hō .
29Do not just think that it is wrong, because you clearly know what is right and you also know the way to follow what is right.
29Agar kisī kō kahtē rahē̃gē tō kahnē sē parivartan nahī̃ hōgā lēkin kahnē K|kē sāth-sāth vidhi spaṣhṭ karō tō siddhi hō .
30If you continue to tell others, transformation will not take place by just telling them but, as well as telling them, also clarify the method they can use and there will then be success.
30Jō ātmā svarājya chalānē mē̃ saphal rahtī hai tō saphal rājya adhikārī key|kī niśhānī hai vah sadā apnē puruṣhārth sē aur sāth-sāth jō bhī samparka mē̃ ānē vālī ātmāē̃ haĩ vah bhī sadā us saphal ātmā sē santuṣhṭ hōṅgī aur sadā dil sē us ātmā kē prati śhukriyā nikaltā rahēgā .
31Those souls will then remain successful with their self-sovereignty functioning well. 32The sign of those who are successful in their sovereignty is that they will constantly be content with their effort. 33Along with that, all the souls who come into contact with such souls will constantly remain content with those souls, and thanks will always emerge for those souls from their heart.
31Sarv K|kē dil sē , sadā dil K|kē sāj sē vāh-vāh K|kē gīt bajtē rahē̃gē , unkē kānō̃ mē̃ sarv dvārā yah vāh-vāh kā śhukriyā kā saṅgīt sunāī dēgā .
34From everyone’s heart, the music of the song of “Wah, Wah” would always be emerging. 35Their ears would constantly hear the music of the thanks of “Wah, Wah” from everyone.
32Yah gīt automatic hai , iskē liē ṭēparikārḍar bajānā nahī̃ paṛtā .
36This song is automatic. 37You don’t need to play a tape recorder for this.
33Iskē liē kōī sādhanō̃ key|kī āvaśhyaktā nahī̃ .
38There is no need for any musical instruments for this.
34Yah anahad gīt hai .
39This is an endless song.
35Tō aisē saphal rājya adhikārī banē hō ?
40So, have you become such successful self-sovereigns?
36Kyōṅki abhī K|kē saphal rājya adhikārī bhaviṣhya mē̃ saphaltā kā phal viśhva kā rājya prāpt karē̃gē .
41Successful self-sovereigns of the present time will attain the kingdom of the world in the future as the fruit of their success.
37Agar sampūrṇ saphaltā nahī̃ , kabhī kaisē haĩ , kabhī kaisē haĩ , kabhī 100 pratiśhat saphaltā hai , kabhī sirph saphaltā hai . 38100 pratiśhat saphal nahī̃ haĩ tō aisē rājya adhikārī ātmā kō viśhva kā , rājya kā takht , tāj prāpt nahī̃ hōtā lēkin royal family mē̃ ā jātā hai .
42If there isn’t full success - if it is sometimes like this and sometimes like that, sometimes 100% success and sometimes just success, not 100% success - then such a self-sovereign soul would not attain the throne or the crown of a kingdom, but would become part of its royal family. 43One is to be seated on a throne and the other is to be the royal family being seated on a throne.
39Ēk haĩ takhtnaśhīn aur dūsrē haĩ takhtnaśhīn royal family . 40Takht naśhīn arthāt vartamān samay bhī sadā double takhtnaśhīn rahē .
44To be seated on the throne means that, at the present time, too, you remain constantly seated on the double throne.
41Double takht kaun sā ?
45What is the double throne?
42Ēk akāl takht aur dūsrā bāp kā dil takht .
46One is the immortal throne and the other is the Father’s heart throne.
43Tō jō abhī sadā double takht naśhīn hai , kabhī-kabhī vālā nahī̃ , aisē sadā diltakhtanaśhīn viśhva kā bhī takhtnaśhīn hōtā hai . 44Tō check karō - sārē din mē̃ double takhtnaśhīn rahē ?
47So, those who are always seated on the double throne – not those who are seated on it sometimes - those who are always seated on the heart-throne become constantly seated on the throne of the kingdom of the world.
45Agar takhtnaśhīn nahī̃ tō āpkē sahyōgī karmchārī karmēndriyā̃ bhī āpkē order par nahī̃ chal saktī̃ . 46Rājā kā order mānā jātā hai .
48So check yourself: Was I seated on the double throne throughout the day? 49If you were not seated on your throne, then your co-operative workers could not obey your orders.
47Rājya ( takht ) par nahī̃ hō aur vah order karē tō mānā nahī̃ jātā hai .
50A king’s orders are obeyed. 51If the king is not on his throne and issues an order, it is not obeyed.
48Ājkal tō takht kē bajāē kursī hō gaī hai , takht tō khatm hō gayā .
52Nowadays, instead of a throne, they have a chair; the throne system has finished.
49Yōgya nahī̃ hai tō takht gāyab hō gayā hai .
53They are not worthy and so the throne has disappeared.
50Kursī par haĩ tō sab mānē̃gē .
54If you are seated on your chair, everyone will obey you.
51Agar kursī par bhī nahī̃ haĩ tō sab nahī̃ mānē̃gē .
55If you are not seated on your chair, not everyone will obey you.
52Lēkin āp tō kursī vālē nētā nahī̃ hō .
56However, you are not politicians in a chair.
53Svarājya adhikārī rājē hō .
57You are kings who have a right to self-sovereignty.
54Sabhī rājā hō ki kōī prajā bhī hai ?
58Are all of you kings, or are some of you subjects?
55Rājyōgī arthāt rājā .
59To be a Raj Yogi means to be a king.
56Dēkhō kitnē padma padma padma bhāgyavān hō !
60Look how multi-multi-multimillion times fortunate you are!
57Duniyā , usmē̃ bhī viśhēṣh vidēśh halchal mē̃ hai .
61The world, especially the countries abroad, are in upheaval.
58Vah war|vār aur hār key|kī duvidhā mē̃ hai .
62They are in a confusion of war and defeat.
59Kōī hār rahā hai , kōī war|vār kar rahā hai aur kōī hālchāl sun karkē usī halchal mē̃ hai .
63Some are being defeated, some are at war and others are in upheaval hearing about the conditions everywhere.
60Tō vah hai hār aur war|vār key|kī halchal mē̃ aur āp hō bāpdādā K|kē pyār mē̃ .
64So, they are in an upheaval of defeat or war, whereas you are lost in BapDada’s love.
61Paramātma pyār dūr-dūr sē khīñch kar lāyā hai .
65God’s love has pulled you from far away and brought you here.
62Kaisī bhī paristhitiyā̃ hō lēkin paramātma pyār kē āgē paristhitiyā̃ rōk nahī̃ saktī̃ .
66No matter what the circumstances are, they cannot stop you in front of God’s love.
63Paramātma pyār buddhivān key|kī buddhi ban paristhiti kō śhrēṣhṭh sthiti mē̃ badal lētā hai .
67God’s love becomes the Intellect of the Wise and changes situations into an elevated stage.
64Double vidēśhiyō̃ mē̃ bhī dēkhō pahlē pōlēṇḍa vālē kitnē prayatna kartē thē , asambhav lagtā thā aur abhī kyā lagtā hai ?
68Among double foreigners too, see how those from Poland used to make so much effort, and they used to think that it was impossible! 69However, what does it feel like now?
65Russia vālē bhī asambhav samajhtē thē , chāhē 24 ghaṇṭā bhī line mē̃ khaṛā rahnā paṛā , pahũch tō gayē nā .
70Even those from Russia used to think that it was impossible; even if they had to wait in a queue for 24 hours, they reached here.
66Muśhkil sahaj hō gayā .
71The difficult became easy.
67Tō śhukriyā kahē̃gē nā .
72So, you would say “thanks”, would you not?
68Aisē hī sadā hōtā rahēgā .
73It will continue to happen like that all the time.
69Kaī sōchtē haĩ ant mē̃ vimān band hō jāyēṅgē phir ham kaisē jāyēṅgē ?
74Some think “Planes will stop flying at the end, so how will we come here?”
70Paramātma pyār mē̃ vah śhakti hai jō kisī key|kī āṅkhō̃ mē̃ aisā jādū kar dēgī jō vah āpkō bhējnē liē parvaśh hō jāyēṅgē lēkin sirph pyār karnē vālē nahī̃ , lēkin nibhānē vālē hō̃ .
75God’s love has such power that it will cast magic in someone’s eyes so that they will be compelled to send you. 76However, you mustn’t be those who just have love for God, but those who fulfil the responsibility of love.
71Nibhānē vālī ātmāō̃ sē bāp kā bhī vāydā hai - ant tak her|har samasyā kō pār karnē mē̃ prīti key|kī rīti nibhātē rahē̃gē .
77The Father has promised those who fulfil the responsibility of love that He will also continue to fulfil the responsibility of love in order for any problem to be overcome right until the end.
72Kabhī-kabhī prīt karnē vālē nahī̃ bannā . 73Sadā nibhānē vālē .
78Do not become those who have love only sometimes; be those who always fulfil the responsibility of love.
74Prīt karnā anēkō̃ kō ātā hai lēkin nibhānā kōī-kōī kō ātā hai isliē āp kōī mē̃ kōī hō .
79Many know how to love, but only a few know how to fulfil the responsibility of love and this is why you are a handful out of many.
75Bāpdādā sadaiv double vidēśhī bachchō̃ kō dēkh khuśh hōtē haĩ kyōṅki himmat sē bāp key|kī madad K|kē pātr ban anēk prakār key|kī māyā K|kē bondage aur anēk prakār K|kē rīti , rivāj aur rasm K|kē bāunḍrīz kō pār karkē pahũch gayē haĩ .
80BapDada is always pleased to see the double-foreign children, because you have become worthy of receiving His help with your courage and you have broken many types of bondage of Maya and crossed many boundaries of different customs and systems and arrived here. 81This courage is no less.
76Yah himmat bhī cum|kam nahī̃ hai .
82All of you have maintained courage well.
77Himmat sabhī nē achchhī rakhī hai .
83New and old, both are sitting here.
78Chāhē nayē haĩ , chāhē purānē haĩ , dōnō̃ baiṭhē haĩ .
84There are many who are the oldest ones of all and also those who are new in this cycle.
79Bahut purānē sē purānē bhī haĩ aur is kalp K|kē nayē bhī haĩ .
85The courage of both is good. 86All of you are number one in maintaining this courage.
80Dōnō̃ key|kī himmat achchhī hai .
87Therefore, in what respect is there a number?
81Is himmat mē̃ tō sabhī number one hō phir number kis bāt mē̃ hai ? 82Double vidēśhī viśhēṣh puruṣhārth kartē haĩ aur rūhrihān mē̃ bhī kahtē haĩ - 108 key|kī mālā mē̃ jarūr āyēṅgē .
88Double foreigners make special effort and in their heart-to-heart conversations they say that they will definitely become part of the rosary of 108. Do any of you question whether you can become part of this?
83Kōī question kartē haĩ ki ā saktē haĩ ?
89You will definitely become part of it.
84Ānē avaśhya haĩ . 85Double vidēśhiyō̃ kē liē bhī mālā mē̃ seat rijarvḍa hai . 86Lēkin kaun aur kitnē - vah āgē chal sunāyēṅgē .
90Seats in the rosary are reserved for double foreigners, but how many and who will become part of it – Baba will tell you as you progress further.
87Tō number kyō̃ bantē haĩ ?
91So, why is a number created?
88Har ēk apnē adhikār sē kahtē hō - mērā bābā hai .
92Each of you says with your right: “He is my Baba!”
89Tō adhikār bhī pūrā hai phir bhī number kyō̃ ?
93So, you have full rights, and yet, why is there a number?
90Jō number one hōgā aur number āṭh hōgā , dōnō̃ mē̃ antar tō hōgā nā !
94Of course there will be a difference between someone who is number one and someone who is number eight.
91Itnā antar kyō̃ paṛtā ?
95Why is there that much difference?
9216 hajār key|kī tō bāt chhōṛō , 108 mē̃ bhī dēkhō - kahā̃ ēk , kahā̃ 108 . 93Tō kyā antar huā ?
96Let alone the rosary of 16,000, just look at the 108: there is a vast difference between one and 108. So why is there a difference?
94Himmat mē̃ sab pās|pass hō lēkin himmat K|kē return mē̃ jō bāp aur brāhmaṇ parivār dvārā madad miltī hai , us madad kō prāpt kar kārya mē̃ lagānā aur samay par madad kō use karnā , jis samay jō madad arthāt śhakti chāhiē usī śhakti dvārā samay par kām lēnā , yah nirṇay śhakti aur kārya mē̃ lagānē key|kī kārya śhakti ismē̃ antar hō jātā hai .
97All of you have passed in courage. 98However, in return for your courage, the help that you receive from the Father and the Brahmin family – to receive that help and to use it at the right time, to be able to use the help, that is, the power that you need at that time – the difference is in the power to decide and the power to use it for a task.
95Sarvśhaktivān bāp dvārā sarv śhaktiyō̃ kā varsā sabhī kō miltā hai .
99All of you receive an inheritance from the Almighty Authority Father, the One with All Powers.
96Kōī kō 8 śhakti , kōī kō 6 śhakti nahī̃ miltī .
100It isn’t that some receive eight powers and others receive six powers.
97Sarvśhaktiyā̃ miltī haĩ .
101You all receive all powers.
98Pahlē bhī sunāyā nā ki vidhi sē siddhi hōtī hai .
102You were told earlier too that you receive success by using the right method.
99Kārya śhakti key|kī vidhi - ēk hai bāp K|kē bannē key|kī vidhi , dūsrī hai bāp sē varsā prāpt karnē key|kī vidhi aur tīsrī hai prāpt kiyē huē varsē kō kārya mē̃ lagānē key|kī vidhi .
103The method of using the power for a task – one is the method of belonging to the Father, the second is the method of receiving an inheritance from the Father and the third is the method of using that inheritance you have received from the Father.
100Kārya mē̃ lagānē key|kī vidhi mē̃ antar hō jātā hai .
104So, there is a difference in the method of using it for a task.
101Points sabkē pās|pass hai .
105All of you have points.
102Ēk topic par workshop kartē hō tō kitnī points nikāltē hō !
106When you have a workshop on one topic, you extract so many points.
103Tō ēk point buddhi mē̃ rakhnā , yah hai ēk vidhi , aur dūsrā hai point ban point kō kārya mē̃ lagānā . 104Point rūp bhī hō aur points bhī hō̃ .
107So, one method is to keep a point in your intellect and the second is to become a point and to use the point: to become a point form and also to have points.
105Dōnō̃ kā balance hō .
108Let there be a balance of the two.
106Yah hai number one vidhi sē number one siddhi prāpt karnā .
109This is receiving number one success by using the number one method.
107Kabhī point K|kē vistār mē̃ chalē jātē haĩ . 108Kabhī point rūp mē̃ ṭik jātē haĩ .
110Sometimes you go into the expansion of points and sometimes you stabilise yourself in a point form.
109Point rūp aur point sāth-sāth chāhiē .
111Being a point form and having points have to be together.
110Kārya śhakti kō baṛhāō .
112So, increase the power of using this.
111Samjhā .
113Do you understand?
112Number one ānā hai tō yah karnā paṛēgā .
114If you want to become number one, you have to do this.
113Ājkal science key|kī śhakti , science K|kē sādhanō̃ dvārā kāry-śakti kitnī tēj kar rahī hai !
115Nowadays, with the power of science, they have speeded up the method of doing something with the facilities provided by science.
114Jō chaitanya manuṣhya kārya kar saktā hai , jitnē samay aur jitnā yathārth chaitanya manuṣhya kar saktā hai utnā science K|kē sādhan computer kitnā jaldī kām kartā hai .
116The amount of work that a living person is able to do in a certain time, the facilities of science, computers, are able to do that same work so much more quickly.
115Chaitanya manuṣhya kō bhī correction kartā hai .
117A computer even corrects a living person.
116Tō jab science K|kē sādhan kāry-śakti kō tīvr banā saktē haĩ , kaī aisī invention nikalī bhī haĩ aur nikal bhī rahī haĩ , tō brāhmaṇ ātmāō̃ K|kē silence key|kī śhakti kitnā tīvr kārya yathārth saphal kar saktī hai .
118So, since the facilities of science can speed up the power of using something – many such inventions have been made and are also being made – then Brahmin souls with the power of silence can make a task successful so fast and accurately.
117Second mē̃ nirṇay hō , second mē̃ kārya kō practical mē̃ saphal karō .
119Take a decision in a second, and in a second make the task successful in a practical way.
118Sōchnā aur karnā - iskā bhī balance chāhiē .
120You also need to have a balance of thinking and doing.
119Kaī brāhmaṇ ātmāē̃ sōchtī bahut hai , lēkin karnē K|kē samay jitnā sōchtē haĩ utnā kartē nahī̃ haĩ aur kaī phir karnē mē̃ lag jātē haĩ - sōchtē pīchhē haĩ ki ṭhīk kiyā vā nahī̃ kiyā ?
121Some Brahmin souls think too much, but at the time of doing something, they don’t do as much as they think, whereas others begin to do something and then think later as to whether they did it correctly or not.
120Kyā karnā hai abhī ?
122What should be done now?
121Tō sōchnā aur karnā - dōnō̃ sāth-sāth hō .
123Thinking and doing should both be at the same time.
122Nahī̃ tō kyā hōtā hai ?
124What happens otherwise?
123Sōchtē haĩ ki yah karnā hai lēkin sōch K|kē karē̃gē aur sōchtē sōchtē kārya kā samay aur paristhiti badal jātī hai .
125You think that you are going to do something, but if you try to do it after thinking, then while thinking about it, the time or the circumstances for carrying that out changes.
124Phir kahtē haĩ karnā tō thā , sōchā tō thā … .
126You then say: I was going to do it, I had thought about it.
125Jab science K|kē sādhan tīvr gati K|kē hō rahē haĩ , ēk second mē̃ kyā nahī̃ kar lētē haĩ !
127Since instruments of science that have a fast speed are being invented, what can you not do in a second?
126Vināśh K|kē sādhan tīvr gati K|kē taraph jā rahē haĩ tō sthāpanā K|kē silence K|kē śhaktiśhālī sādhan kyā nahī̃ kar saktē !
128The instruments for destruction are moving forward at a fast speed, and so what can the powerful facilities of the silence power of establishment not do?
127Abhī tō prakr̥iti āp mālikō̃ kā āhvān kar rahī hai . 128Āp lōg unkō order nahī̃ kartē tō prakr̥iti kitnī dhamāl kar rahī hai !
129Now, matter is invoking you masters; you don’t order her and so the elements are creating so much chaos.
129Mālik taiyār hō jāō tō prakr̥iti āpkā svāgat karē .
130If you masters become ready, the elements will welcome you.
130Aisē taiyār hō ?
131Are you ready for that?
131Ki abhī taiyār kar rahē hō ?
132Or, are you now becoming ready?
132Sampūrṇ taiyārī key|kī mahimā āpkē bhakta lōg ab tak kar rahē haĩ .
133Even until now, your devotees are praising the full-scale preparations.
133Apnī mahimā kō jāntē hō ?
134Do you know your praise?
134Ab check karō ki in sabmē̃ sarvguṇ sampann bhī hō , sampūrṇ nirvikārī bhī hō , sampūrṇ ahiṃsak aur maryādā puruṣhōttam bhī hō , 16 kalā sampann bhī hō ? 135Sabhī bātō̃ mē̃ full haĩ tō samjhō mālik taiyār haĩ aur ismē̃ percentage hai tō mālik taiyār nahī̃ .
135Now check: Are you full of all virtues, completely viceless, completely non-violent, the most elevated beings following the highest code of conduct and 16 celestial degrees full? 136When you are full in everything, you can then understand that the masters are ready. 137However, if there is a percentage in this, then understand that the masters are not ready.
136Bālak hai lēkin mālik nahī̃ banē haĩ .
138You are a child, but you have not yet become a master.
137Tō prakr̥iti āp mālik kā svāgat karēgī .
139When you are, the elements will then welcome you masters.
138Bāp K|kē bālak haĩ .
140You are the children of the Father.
139Vah tō ṭhīk hai .
141That is fine.
140Ismē̃ pās|pass hō .
142You have passed in that.
141Lēkin in pāñchō̃ hī bātō̃ mē̃ sampann bannā arthāt mālik bannā .
143However, to become full of all these five things means to become a master.
142Prakr̥iti kō order karē̃ ?
144Should we order the elements?
143Achchhā .
145Achcha.
144Tapasyā varṣh mē̃ tō taiyār hō jāyēṅgē nā ?
146You will become ready in the Year of Tapasya, will you not?
145Phir tō order karē̃ nā ?
147Should we order it then?
146Yah tapasyā varṣh last chance hai yā phir kahē̃gē aur thōṛā chance dē dō .
148This Year of Tapasya is the last chance, or, will you then say, “Give us a little chance!”?
147Phir tō nahī̃ kahē̃gē nā !
149You will not ask for it then, will you?
148Achchhā .
150Achcha.
149Chārō̃ ōr K|kē sarv rājya adhikārī ātmāō̃ kō , sadā double takhtnaśhīn viśhēṣh ātmāō̃ kō , sadā sōchnā aur karnā dōnō̃ śhaktiyō̃ kō samān banānē vālī vardānī ātmāō̃ kō , sadā paramātma pyār nibhānē vālē sachchē dil vālē bachchō̃ kō dilārām bāpdādā kā yādpyār aur namastē .
151To all the souls everywhere who have a right to self-sovereignty, to all the special souls who are constantly seated on the double throne, to the souls who have been blessed and who make the powers of thinking and doing equal, to the children who are conquerors of the heart and fulfil the responsibility of love for God, love, remembrance and namaste from Dilaram (Comforter of Hearts) BapDada.
150Party kē sāth avyakt mulākāt - mahārāṣhṭra mē̃ rahtē huē sachchē svarūp mē̃ mahān ban gayē - yah khuśhī rahtī hai nā ?
152Avyakt BapDada meeting groups: 153You have the happiness, do you not, that while living in Maharashtra, you have truly become great?
151Vē|way tō nāmdhārī mahān hai , mahātmāyē̃ haĩ , lēkin āp practical svarūp sē mahātmāyē̃ hō .
154Those people are great just in name, they are mahatmas (great souls), whereas you are great souls in a practical way.
152Yah khuśhī hai nā ?
155You have this happiness, do you not?
153Tō mahān ātmāyē̃ sadaiv ūñchī sthiti mē̃ rahtī haĩ .
156Great souls constantly stay in the highest stage.
154Vō lōg tō ūñchē āsan par baiṭh jātē haĩ , śhiṣhyō̃ kō nīchē biṭhāyēṅgē , khud ūñchē baiṭhē̃gē , lēkin āp kahā̃ baiṭhtē hō ?
157Those people sit on a high seat and their disciples would sit below them. 158They themselves would be seated high, but where are you seated?
155Ūñchī sthiti K|kē āsan par .
159On the seat of a high stage.
156Ūñchī sthiti hī ūñchā āsan hai .
160The highest stage is the high seat.
157Jab ūñchī sthiti K|kē āsan par rahtē hō tō māyā nahī̃ ā saktī .
161When you stay on the seat of a high stage, Maya cannot come.
158Vō āpkō mahān samajhkar āpkē āgē jhukēgī .
162She will consider you to be great and bow down to you.
159War|vār nahī̃ karēgī , hār mānēgī .
163She will not attack you, but will consider herself to be defeated.
160Jab ūñchē āsan sē nīchē ātē hō tab māyā war|vār kartī hai .
164It is when you come down from a high seat that Maya attacks.
161Agar sadā ūñchē āsan par rahō tō māyā K|kē ānē key|kī tākat nahī̃ .
165If you constantly stay on a high seat, Maya will not dare to come to you.
162Vah ūñchē chaṛh nahī̃ saktī .
166She cannot climb up.
163Tō kitnā sahaj āsan mil gayā hai !
167So, you have received a seat so easily.
164Bhāgya kē āgē tyāg kuchh bhī nahī̃ hai .
168In front of your fortune, your renunciation is nothing.
165Chhōṛā bhī kyā ?
169What have you renounced anyway?
166Zewar paṛē haĩ , kapṛē paṛē haĩ , ghar mē̃ rahtē hō .
170You have your jewellery, you have your clothes and you are living at home.
167Agar chhōṛā hai tō kichṛē kō chhōṛā hai .
171If you have renounced anything, it is rubbish you have renounced.
168Tō sadā śhrēṣhṭh āsan par sthit rahnē vālī mahān ātmāyē̃ hō .
172So, you are the great souls who are constantly seated on an elevated seat.
169Jitnā sōchā nahī̃ thā utnā hī ati śhrēṣhṭh prāpti K|kē adhikārī ban gayē .
173You have claimed a right to elevated attainment, even more than you dreamt of.
170Is bhāgya key|kī khuśhī hai nā !
174You have the happiness of this fortune, do you not?
171Duniyā mē̃ khuśhī nahī̃ hai .
175There is no happiness in the world.
172Kālā paisā hai lēkin khuśhī nahī̃ hai .
176They have attained money illegally, but they don’t have happiness.
173Khuśhī K|kē khajānē sē sab garīb haĩ , bhikhārī haĩ .
177All are poor in terms of the treasure of happiness. 178They are beggars.
174Āp khuśhī K|kē khajānē sē bharpūr hō .
179You are full of the treasure of happiness.
175Yah khuśhī kitnā samay chalēgī ?
180How long will this happiness last?
176Sārā kalp chaltī rahēgī .
181It will continue for the whole cycle.
177Āpkē jaṛ chitrō̃ sē bhī khuśhī lē̃gē .
182They will receive happiness even from your non-living images.
178Tō check karō ki itnī khuśhī jamā huī hai ?
183So, check whether you have accumulated this much happiness.
179Aisē tō nahī̃ sirph ēk dō janm chalēgī , phir khatm hō jāyēgī !
184It isn’t that it will only last for one or two births and that it will then finish, is it?
180Itnā stock jamā karō jō anēk janm sāth rahē .
185Accumulate so much stock that it will be with you for innumerable births.
181Jiskē pās|pass jitnā jamā hōtā hai utnā uskē chēhrē par khuśhī aur naśhā rahtā hai .
186However much someone has accumulated, that much happiness and intoxication will be visible on their faces.
182Āp kahō , nā kahō , lēkin āpkī sūrat bōlēgī .
187Whether you say anything or not, your face will speak.
183Kahtē haĩ nā - brahmākumāriyā̃ sadā khuśh rahtī haĩ , patā nahī̃ kyā huā hai inkō .
188They say: The Brahma Kumaris are always happy, we don’t know what has happened to them.
184Duḥkh mē̃ bhī khuśh rahtī haĩ .
189They are happy even at times of sorrow.
185Āp bōlō , nā bōlō , āpkī sūrat , āpkē karma bōltē haĩ .
190Whether you say anything or not, your face and your actions speak.
186Brahmākumār-kumāriyō̃ key|kī niśhānī hī hai - khuśh rahnā .
191The sign of being a Brahma Kumar or Kumari is that you remain happy.
187Duḥkh K|kē din khatm hō gayē .
192Days of sorrow have finished.
188Itnā khajānā milā , phir duḥkh kahā̃ sē āyēgā ?
193You have received so many treasures, so how can you experience sorrow?
189Achchhā !
194Achcha.
Blessing
190Vardān : sampūrṇtā key|kī sthiti dvārā prakr̥iti kō order karnē vālē viśhva parivartak bhav
195Blessing: May you be a world transformer and use your stage of completion to order matter.
191Jab āp viśhva parivartak ātmāyē̃ saṅgaṭhit rūp mē̃ sampann , sampūrṇ sthiti sē viśhva parivartan kā saṅkalp karē̃gī tab yah prakr̥iti sampūrṇ halchal key|kī dance śhurū karēgī .
196 When you world transformer souls collectively have the thought of transforming the world with your complete and perfect stage, matter will then begin the dance of total upheaval.
192Vāyu , dhartī , samudra , jal … inkī halchal hī saphāī karēgī .
197Wind, earth, ocean, water, the upheaval of all of these will cleanse everything.
193Parantu yah prakr̥iti āpkā order tab mānēgī jab pahlē āpkē svayã K|kē sahyōgī karmēndriyā̃ , man-buddhi-sanskār āpkā order mānē̃gē .
198However, the elements will only obey your orders when your co-operative physical senses, your mind, intellect and sanskars, obey your orders.
194Sāth-sāth itnī powerful tapasyā key|kī ūñchī sthiti hō jō sabkā ēk sāth saṅkalp hō « parivartan ' ' aur prakr̥iti hājir hō jāē .
199Along with this, you must have such a high stage of powerful tapasya that everyone has the thought of “transformation” at the same time and the elements will then become present.
Slogan
195Slōgan : apnē śhrēṣhṭh bhāgya dvārā sabkā bhāgya banātē sadā bhagvān key|kī smr̥iti dilātē rahō .
200Slogan: Continue to create everyone’s fortune with your elevated fortune and to remind them constantly of God.
201*** Om Shanti ***