मंगलवार 5 जुलाई 2022 की दैनिक मुरली

ध्यान दें: वाक्यों का संरेखण अक्षरों की संख्या पर आधारित है और पूरी तरह विश्वसनीय नहीं है।

आप पूरी मुरली या उसके किसी भाग का वाक्य संरेखण स्वयं सुधार सकते हैं।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

005-07-2022 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

0 05/07/22 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē bachchē - amr̥itvēlē uṭh bāp kī yād kā ghr̥it rōz ḍālō , tō ātmā rūpī jyōti sadā jagī rahēgī ' '

1Essence: Sweet children, awaken in the early morning hours of nectar and pour in the oil of remembrance of the Father. 2The light of the soul will then remain constantly lit.

Question

2Praśhna  : kaun sā ēk kartavya bachchō̃ kā hai , bāp kā nahī̃  ?

3Question: Which one task is the children's, not the Father's?

Answer

3Uttar  : bachchē kahtē haĩ bābā phalānē sambandhī key|kī buddhi kā tālā khōlō … bābā kahtē yah dhandhā mērā nahī̃ .

4Answer: Children ask Baba to open the locks on the intellects of such and such relatives. 5Baba says: This is not My business; it is the duty of you children.

4Yah tō tum bachchō̃ kā kartavya hai . 5Tumhārī buddhi kā tālā khulā hai tō tum aurō̃ kā bhī tālā khōl svarg mē̃ chalnē K|kē lāyak banāō arthāt sabkō mukti aur jīvanmukti key|kī rāh batāō .

6The locks on your intellects have opened, so you must open the locks on the intellects of others and make them also worthy of going to heaven, that is, you must show everyone the path to liberation and liberation-in-life.

Song

6Gīt  : jāg sajniyā̃ jāg …

7Song: Awaken, O brides awaken! 8The new age is about to come.

Murli

7Ōm śhānti .

9Om shanti.

8Tum jagē huē bachchē baiṭhē hō phir aurō̃ kō jagānā hai . 9Agyān nīnd sē jagānā hai .

10You children who have been awakened are sitting here. 11However, you now have to awaken others; awaken them from the sleep of ignorance.

10Tum jāgē hō sō bhī number-vār kyōṅki ghaṛī-ghaṛī bhūl jātē hō .

12You have been awakened but, numberwise, because you forget again and again.

11Jagānē vālā kahtē haĩ sajniyā̃ bhūl na jāō .

13The One who has awakened you says: Brides, do not forget Me.

12Yah yād kā ghr̥it hai .

14This is the oil of remembrance.

13Manuṣhya martē haĩ tō dīvē mē̃ ghr̥it ḍāltē rahtē haĩ ki dīvā bujh na jāyē .

15When someone dies, people constantly replenish the oil in a burning lamp so that the light does not go out.

14Bāp kahtē haĩ bachchē yād kartē rahō .

16The Father says: Children, continue to remember Me.

15Yah yād karnē kē liē , ghr̥it ḍālnē kē liē savērē kā time bahut achchhā hai .

17The early morning hours are very good for staying in remembrance and for pouring oil into the lamp.

16Savērē yād karē̃gē tō vah yād bahut samay kāyam rahēgī . 17Tumhārā dīvā bujhā huā hai .

18If you stay in remembrance in the early morning hours, that remembrance stays for a long time.

18Ab yād sē apnā dīvā jagātē hō . 19Tumhārā dīvā jagtā rahtā hai .

19Your lights were extinguished, but you now ignite your lights with remembrance and they remain lit.

20Satyug sē trētā tak jagtā rahēgā , iskō dīpmālā kahtē haĩ .

20They remain lit through the golden and silver ages. 21This is known as Deepmala, the rosary of lights.

21Rudra mālā aur dīp mālā bāt ēk hī hai . 22Yād tō śhivbābā kō hī karnā hai nā .

22Whether it is called the rosary of Rudra or the rosary of lights, it is the same thing.

23Tum asul mē̃ rudra mālā K|kē mōtī tō hō nā arthāt nirvāṇdhām mē̃ rahnē vālē hō .

23You must only remember Shiv Baba. 24In reality, you are the beads of the rosary of Rudra, that is, the residents of the land of nirvana.

24Usē śhivbābā kā dhām , rūdradhām bhī kah saktē haĩ .

25That land of Shiv Baba can also be called the land of Rudra.

25Bachchē jāntē haĩ bābā kē pās hamē̃ jānā hai .

26You children understand that you have to return to Baba.

26Yād sē dīpak jagtā jāyēgā .

27By having remembrance, your lights will continue to remain ignited.

27Yah śhrī arthāt śhrēṣhṭh mat miltī hai .

28This instruction you receive is the most elevated.

28Gāyā huā bhī hai śhrīmat milī thī , tō śhrēṣhṭh satya dharm key|kī sthāpanā huī thī .

29It is said: When shrimat was given, the true elevated religion was established. 30Your crowd is huge.

29Ab tumhārā baṛā jhuṇḍ hai . 30Number-vār jitnā jāgtē haĩ utnā jagā saktē haĩ .

31The more you souls are awakened, the more you are able to awaken others, numberwise.

31Dīvē kō jagānē kē liē savērē uṭhnā paṛtā hai . 32Ghr̥it ḍālnā paṛtā hai , ismē̃ kōī taklīph nahī̃ .

32In order to ignite your light, you have to awaken in the early morning hours and pour in the oil. 33There is no difficulty in this.

33Bāp kō yād karnā yahī ghr̥it ḍāltē rahnā hai .

34To remember the Father means to pour in the oil.

34Ātmā pāvan hōtī rahtī hai .

35You souls then continue to become pure.

35Ātmā pahlē patit thī arthāt ātmā key|kī jyōti bujhī huī thī .

36You souls were previously impure, that is, the lights of you souls were extinguished.

36Ab bāp kō yād karnē sē jyōt jagēgī aur vikarma vināśh hōtē rahē̃gē arthāt pāvan bantē rahē̃gē .

37Now, by remembering the Father, your lights are ignited and your sins continue to be absolved, that is, you continue to become pure.

37Abhī ātmā par agyān kā par-chāyā paṛā huā hai .

38Souls are now in the shadow of ignorance.

38Bāp hī sabsē baṛā surgeon bhī hai .

39The Father is the greatest Surgeon of all.

39Kōī sthūl davāī ādi ḍālnē kē liē nahī̃ dētē haĩ . 40Sirph kahtē haĩ māmēkam yād karō .

40He does not give physical medicine; He simply says: Remember Me alone.

41Is yād mē̃ sab davāīyā̃ ā jātī haĩ .

41All medicines are included in this remembrance.

42Yād sē hī tandarūst ban jātē haĩ bhaviṣhya janma-janmāntar kē liē .

42Only by having remembrance do you acquire health for your future birth after birth.

43Vō yōg tō bahut kisam-kisam K|kē sikhlātē haĩ , ussē bahut pahalvān bhī bantē haĩ .

43People teach a variety of yogas, and some make effort and become very strong through those.

44Mēhnat kartē haĩ . 45Abhī tum mahāvīr bantē hō .

44You are now becoming Mahavirs (great warriors).

46Pavitratā kō hī mahāvīrtā kahā jātā hai .

45Purity is the greatness of these warriors.

47Issē āyu bhī bahut baṛī hō jātī hai .

46Your lifespan also increases through this.

48Bāp kī yād sē tākat miltī jātī hai . 49Bāp samjhātē haĩ tumkō pavitra duniyā kā mālik bannā hai tō yah antim janm pavitra banō . 50Sannyāsī bhī 5 vikārō̃ kā sannyās kartē haĩ .

47You continue to receive power by having remembrance of the Father. 48The Father explains: If you wish to become the masters of the pure world, remain pure in this last birth.

51Parantu vah tō bahut dūr jaṅgal mē̃ chalē jātē haĩ . 52Yahā̃ tumkō gr̥ihastha vyavahār mē̃ rahtē 5 vikārō̃ kā sannyās karnā hai .

49Sannyasis too renounce the five vices, but they go far into the jungles, whereas here, as well as renouncing the five vices, you must stay in your households.

53Tum jāntē hō is sannyās sē prāpti bahut bhārī hai . 54Unkō tō kuchh bhī patā nahī̃ ki hamē̃ mukti milēgī vā kyā hōgā . 55Punarjanma mē̃ tō unkō ānā hī hai .

50You understand that there is a great achievement through this renunciation, whereas they do not know whether they will receive liberation or not; they have to take rebirth.

56Tumkō tō is mr̥ityu-lōk mē̃ ānā hī nahī̃ hai . 57Tumkō jānā hai amarpurī mē̃ .

51You do not have to return to this land of death; you have to go to the land of immortality.

58Fark hō gayā nā .

52So, there is a difference.

59Bhal sannyāsī lōg kitnē bhī haṭhyōg ādi karē̃ phir bhī unhō̃ kō mr̥ityulōk mē̃ rahnā hī hai .

53No matter how much hatha yoga sannyasis do, they have to continue to remain in the land of death.

60Tum bachchō̃ kō is mr̥ityulōk sē jānā hai amarlōk mē̃ , isliē mēhnat karnī paṛtī hai , jis mēhnat sē vah ḍartē haĩ .

54You are going from the land of death to the land of immortality. 55This is why you have to make effort. 56However, others are afraid of making this effort.

61Samajhtē haĩ gr̥ihastha vyavahār mē̃ rah ham yōgī nahī̃ ban saktē .

57They believe that it is not possible for them to become yogis while staying in their households.

62Unkō kuchh patā hī nahī̃ hai , sannyās sē kyā milēgā  ?

58They do not even know what will be achieved by having this renunciation.

63Kōī aim object hī nahī̃ hai , tumhārē pās|pass aim object hai .

59They do not have any aim or objective. 60You have an aim and objective.

64Vō thōṛēhī kahē̃gē ham naī duniyā mē̃ jāyēṅgē .

61They do not say that they are going to the new world.

65Vah tō muktidhām mē̃ jāyēṅgē , parantu unkō patā hī nahī̃ hai .

62They will go to the land of liberation, but they do not know this.

66Tum tō rājāī mē̃ ūñch pad pānē kē liē puruṣhārth kartē hō .

63You are making effort to claim a high status in the kingdom.

67Ismē̃ puruṣhārth pūrā karnā hai , āśhīrvād vā kr̥ipā key|kī bāt hī nahī̃ hai .

64You must make full effort for this. 65It is not a question of blessings or mercy in this.

68Aisē nahī̃ ki hamārē pati key|kī buddhi kā tālā khulē , āśhīrvād karō .

66You should not say: Give such blessings that the lock on my husband's intellect opens.

69Kyā ham sabhī kā tālā khōl dēgē  ?

67Would I open the lock on everyone's intellect?

70Tum bachchō̃ key|kī buddhi kā tālā khul jātā hai phir bhī mēhnat tumkō karnī hai .

68The locks on the intellects of you children have opened, but you still have to make effort.

71Bābā kiskā tālā khōltē nahī̃ haĩ .

69Baba does not open anyone's lock.

72Ḍrāmānusār jin bachchō̃ kō śhūdra sē brāhmaṇ bannā hai , unhō̃ kō ānā hī hai .

70According to the drama, the children who are to change from shudras into Brahmins have to come.

73Jinkā kalp pahlē tālā khulā hōgā , unkā hī khulēgā .

71The locks of those whose locks opened last cycle will open.

74Hā̃ śhubhchintak hō rāy dī jātī hai .

72Yes, you have to have good wishes and advise them.

75Taras tō paṛtā hai nā ki yah bhī sāhūkār ban jāyē . 76Tālā khulē tō svarg mē̃ chalē jāyē̃ . 77Yah bhī svarg K|kē mālik ban jāyē̃ .

73You do have mercy for them and wish that they too become wealthy and that their locks open so that they too can go to heaven; that they too become the masters of heaven.

78Yah tumhārā dhandhā hai .

74This is your business.

79Unkā hai had kā sannyās . 80Tumhārā hai bēhad kā sannyās .

75Their renunciation is limited, whereas your renunciation is unlimited.

81Tum bēhad kā rājya māṅgtē hō . 82Vah bēhad key|kī mukti māṅgtē haĩ .

76You ask for the unlimited kingdom, whereas they ask for unlimited liberation.

83Vah mukti bhī aisī hai jaisē tumhārī jīvanmukti hai . 84Hamēśhā kē liē mukti tō hō nahī̃ saktī . 85Punarjanma lēnā hī hai .

77Their liberation is like your liberation-in-life, but they cannot be liberated for all time; everyone has to take rebirth.

86Bachchē jāntē haĩ pahlē jab vahā̃ sē ātē haĩ tō punarjanma phir bhī achchhā satōpradhān miltā hai phir rajō tamō mē̃ ā jātē haĩ .

78You children understand that when souls first come from there, their first rebirths are good, satopradhan. 79Then they go through the stages of rajo and tamo.

87Tum sabsē ūñch birādrī K|kē hō .

80You belong to the most elevated family.

88Pahlē-pahlē ādi sanātan dēvī-dēvtā dharm key|kī birādrī hai .

81First of all, there is the family of the original eternal deities.

89Phir anēk prakār K|kē dharm K|kē stambh nikaltē haĩ . 90Vah sab pīchhē ānē vālē haĩ .

82Then the heads of the various religions emerge; they all come afterwards.

91Tumhārī buddhi mē̃ yah sab bātē̃ rahnī chāhiē .

83All of these things should remain in your intellects.

92Ham brāhmaṇ haĩ , vah śhūdra haĩ .

84We are Brahmins, they are shudras.

93Ham śhikṣhā pākar tamōpradhān sē satōpradhān hō rahē haĩ .

85Having received these teachings, we are changing from tamopradhan to satopradhan.

94Kaun banātē haĩ  ?

86Who is making you this?

95Jō ever satōpradhān haĩ vah kabhī rajō tamō mē̃ nahī̃ ātē . 96Hamkō banā rahē haĩ .

87The One who is ever satopradhan. 88He never goes through the stages of rajo and tamo, and so He is making us this.

97Har ēk kō mēhnat karnī hai .

89Each of you should make effort.

98Tumhārī mēhnat sē automatically tumkō hī ūñch pad miltā hai .

90You will automatically claim a high status by your own efforts.

99Har ēk apnī rājdhānī kō sambhāltē hō .

91Each one looks after his own kingdom.

100Tumkō madad dēnē vālā ēk hī bēhad kā bāp hai .

92Only the one unlimited Father gives you help.

101Vah sahaj yukti batātē haĩ .

93He shows you an easy way.

102Iskā nām hī hai sahaj rājyōg , jissē daivī svarājya miltā hai .

94The very name is Easy Raja Yoga, and by practicing this, you claim deity self-sovereignty.

103Sva arthāt ātmā kō hī rājya miltā hai .

95It is the self, the soul that receives the kingdom.

104Ātmā kahtī hai abhī ham beggary śharīr mē̃ haĩ . 105Phir prince kā śharīr milēgā .

96The soul says: I am now in a poor body, but I will later take the body of a prince.

106Tum ātmāyē̃ yahā̃ baiṭhī hō , jiskē pās|pass jānā hai , uskō hī yād karnā hai .

97You souls are sitting here. 98You must only remember the One you are going to.

107Gurū lōg mantra dētē rahtē haĩ . 108Yahā̃ bābā kā mantra kōī aur dēnē vālā nahī̃ hai .

99Gurus give mantras but no one else gives the mantra that Baba gives here.

109Bāp ēk hī mantra dētē haĩ , maĩ tumhārā nirākār bāp hū̃ . 110Tumhārā teacher bhī hū̃ , patit-pāvan gurū bhī hū̃ .

100The Father only gives one mantra: I am your incorporeal Father; I am also your Teacher, the Purifier and the Guru; I am incorporeal.

111Hū̃ tō nirākār , yah bhī niśhchay chāhiē . 112Hamārā bāp patit-pāvan nirākār gyān kā sāgar hai .

101You need to have the faith that our Father is the Purifier, the incorporeal Ocean of Knowledge.

113Rājyōg sē hamkō mahārājā mahārānī banātē haĩ .

102Through Raja Yoga He makes us into emperors and empresses.

114Bēhad kā varsā dētē haĩ . 115100 pratiśhat sampattivān bhav , āyuśhvān bhav .

103He gives us the unlimited inheritance: May you be one hundred per cent wealthy and have a long lifespan.

116Dēvtāō̃ jitnī āyu kōī key|kī nahī̃ hōtī .

104No one has a lifespan as long as those of the deities.

117Putravān bhav , tumhārā kul chaltā hai .

105May you have many sons! 106Your clan continues.

118Tum jāntē hō vahā̃ vikār hō nahī̃ saktā .

107You understand that there cannot be vices there.

119Ātmā kō apnī knowledge hai . 120Ham abhī jākar bachchā banē̃gē phir javān hō būṛhē banē̃gē .

108The soul has knowledge of himself: I will now go and become a child; I will then become a youngster and then I will grow old.

121Phir dūsrā śharīr lē̃gē .

109After that, the soul will take another body.

122Vahā̃ key|kī rasam rivāj aur , yahā̃ key|kī rasam-rivāj aur hai . 123Bāp hī samjhā saktē haĩ .

110The customs and systems of that place are different from here; only the Father can explain these things.

124Rōz kahtē haĩ bachchō̃ jīv key|kī ātmāō̃ , jīv bigar sunāyēṅgē kaisē  ?

111Every day, Baba says: Children, embodied souls, how could I speak to you without a body?

125Yah yād rakhnā hai . 126Ham ātmāō̃ kō parampitā paramātmā samjhā rahē haĩ .

112Remember that the Supreme Father, the Supreme Soul, is explaining to you.

127Parantu yah bhī bhūl jātā hai .

113However, you even forget this.

128Abhī tum practical mē̃ baiṭhē hō .

114You are now sitting here in a practical way.

129Yah bhī jāntē hō janma-janmāntar phāltū kathāyē̃ suntē āyē haĩ . 130Kitnī gītāyē̃ pustak suntē āyē haĩ .

115You also understand that for birth after birth, you have been listening to wasteful stories; you have been listening to the Gita and to so many books.

131Abhī hai saṅgamyug .

116It is now the confluence age.

132Saṅgamyug kā arth|earth hī hai purānī duniyā kā vināśh , naī duniyā kī sthāpanā , isliē iskō auspicious , kalyāṇkārī saṅgamyug kahā jātā hai .

117The very meaning of the confluence age is that there is destruction of the old world and establishment of the new world. 118This is why it is known as the auspicious, beneficial confluence age.

133Saṅgamyug kō bhūlnē sē apnī rājdhānī kō bhūl jātē haĩ .

119By forgetting the confluence age, you also forget your kingdom.

134Bhal tum pradarśhanī ādi rakhtē hō , phir bhī kōī key|kī buddhi mē̃ nahī̃ baiṭhtā .

120Even when you have exhibitions, it does not sit in anyone's intellect.

135Itnā kahtē haĩ ki yahā̃ īśhvar kō pānē key|kī samjhānī bahut achchhī hai .

121They say this much, “A very good explanation is given here on how to meet God.”

136Bas . 137Yahī nahī̃ samajhtē ki īśhvar paṛhātē haĩ .

122However, that is all, they do not understand that God is the One who is teaching.

138Kōī virlē kō niśhchay baiṭhtā hai , jō kahtē ki barōbar ṭhīk hai . 139Ham bhī samajhtē haĩ paṛhānē vālā parampitā paramātmā hai .

123Scarcely a few develop faith and say, “Yes, we accept that the Supreme Father, the Supreme Soul, is the one who is teaching.”

140Jaisē bhīṣhmapitāmah ādi nē pichhāṛī mē̃ mānā hai ki paramātmā inhō̃ kō paṛhātē haĩ .

124At the end, Bhishampitamai (a great guru) accepted that God was definitely teaching those people.

141Pichhāṛī mē̃ yah gyān āyēgā .

125There will be this understanding at the end.

142Bhal pradarśhanī mē̃ hajārō̃ ātē haĩ parantu yah kiskō bhī samajh mē̃ nahī̃ ātā ki tumkō nirākār parampitā paramātmā paṛhātē haĩ . 143Kahtē haĩ yah bāt hamkō samajh mē̃ nahī̃ ātī .

126Thousands come to exhibitions, but no one understands that the incorporeal Supreme Father, the Supreme Soul, is teaching you. 127They say that they do not understand the aspect of how the incorporeal One can teach.

144Nirākār kaisē paṛhāyēṅgē  ?

128Achcha, we will come and understand further.”

145Achchhā ham ākar samajhē̃gē , kahkar phir āyēṅgē nahī̃ .

129They say this but they never do come again.

146Aisē bhī hōtē haĩ . 147Kitnā tum samjhātē hō chalō ham tumkō svarg kī bādśhāhī dē̃ , tō bhī māntē nahī̃ .

130Some are like this: no matter how much you tell them to come so that you can give them the kingdom of heaven, they do not accept it.

148Sapling lagtī hai .

131The sapling is being planted.

149Bāp samjhātē haĩ tumkō bhaktō̃ kō samjhānā sahaj hōgā . 150Tum sarvavyāpī kahtē hō tō pūjtē kyō̃ hō  ?

132The Father explains: It will be easy for you to explain to the devotees: If you say that God is omnipresent, why are you worshipping Him?

151Yah tō jaṛ hai , tum tō chaitanya hō . 152Tum baṛē hō gayē nā .

133Those images are non-living, whereas you are living beings, so this means you are greater.

153Samjhānā hai bēhad kā bāp tō ēk hī hai , unkī hī mahimā hai .

134Explain that there is only the one unlimited Father and only He is praised.

154Vah manuṣhya sr̥iṣhṭi kā bīj rūp patit-pāvan hai .

135He is the Seed of the human world tree, the Purifier.

155Duniyā patit hai , unkō patit sē pāvan banānē vālā ēk hī bāp hai . 156Jarūr saṅgam par hī ātā hōgā .

136The world is impure and only the one Father can purify the world, so, surely, He comes at the confluence.

157Ab āyē haĩ , kahtē haĩ mujhē yād karō tō tumhārē vikarma vināśh hōṅgē .

137He has now come and He says: Remember Me and your sins will be absolved.

158Gītā mē̃ akṣhar haĩ parantu kr̥iṣhṇa kā nām likhnē sē buddhi ṭhahartī nahī̃ haĩ .

138These words are also in the Gita, but their intellects are not able to remain on the One because they have inserted Krishna’s name.

159Tum jāntē hō yah gyān hai bahut sahaj , parantu vighna paṛtē rahtē haĩ .

139You understand that this knowledge is very easy. 140However, obstacles continue to come.

160Mitra-sambandhī ādi sab vighna ḍālē̃gē .

141Your friends and relatives also create obstacles.

161Ham inkō is taraph khīñchtē haĩ vah phir us taraph khīñchtē haĩ .

142I pull you in this direction, but they then pull you in that direction.

162Baṛī jañjīrē̃ haĩ .

143The chains are very strong.

163Bāp samjhātē haĩ yah kaisē hō saktā hai .

144The Father explains how all of this is possible.

164Śhivbābā tō gyān kā sāgar , sukh kā sāgar hai . 165Kuchh tō kiyā hōgā nā .

145Shiv Baba is the Ocean of Knowledge, the Ocean of Happiness, so He must have done something.

166Svarg sthāpan karnē vālā hai .

146He is the one who establishes heaven.

167Sirph kahtā hū̃ mērē kō yād karō .

147I simply say: Remember Me alone!

168Kr̥iṣhṇa tō kah na sakē .

148Krishna cannot say this.

169Samjhānē kē liē baṛī mēhnat chāhiē , thaknā nahī̃ hai .

149A lot of effort has to be made to explain all of this, but you must not become tired.

170Bahutō̃ sē mēhnat pahũchtī nahī̃ hai .

150Many are not able to make effort; they make many excuses.

171Bahānē bahut lagātē haĩ .

151However, Baba does not give you any difficulty.

172Bābā kōī taklīph nahī̃ dētē haĩ . 173Bhal bachchō̃ kō sambhālō , bhōjan banāō .

152By all means, look after your children and prepare food, but simply remember Shiv Baba.

174Sirph śhivbābā key|kī yād mē̃ rahō . 175Achchhā din mē̃ time nahī̃ miltā hai , amr̥itvēlē tō yād karō .

153Achcha, if you do not get time during the day, stay in remembrance in the early morning hours of nectar.

176Kahtē haĩ rām simar prabhāt mōrē man .

154They say: Remember Rama (God) in the early morning hours.

177Ātmā kahtī hai prabhāt mē̃ apnē bāp kō yād karō .

155The soul says: Remember your Father early in the morning.

178Bābā bhī yahī kahtē haĩ nīnd bhī time par karnī chāhiē .

156Baba also says this: You should go to sleep on time. 157Keep your full chart.

179Pūrā chart rakhnā hai . 180Savērē uṭh saktē hō .

158You will be able to awaken early in the morning.

181Is par ēk kahāvat bhī sindhī mē̃ hai - savērē sōnā , savērē uṭhnā . . . ( jaldī sōnā , jaldī uṭhnā ) abhī tum aklmand bantē hō .

159There is a saying in Sindhi: Early to bed, early to rise makes a man healthy, wealthy and wise. 160You are now becoming wise.

182Sārā chakra buddhi mē̃ hai .

161The entire cycle is in your intellects.

183Tumhē̃ kōī bhī duḥkh nahī̃ mil saktā .

162You cannot accept any sorrow.

184Kitnā tum śhāhō̃ K|kē śhāh ban jātē hō .

163You are becoming emperors of emperors.

185Paisē key|kī kabhī kōī taklīph nahī̃ hōtī aur healthy bhī bantē hō .

164You have no difficulty with money. 165You also become healthy.

186Yah sab guṇ abhī tum śhivbābā sē pātē hō .

166You now receive all of these virtues from Shiv Baba.

187Barōbar tum healthy wealthy aur happy bantē hō .

167You definitely become healthy, wealthy and happy.

188Yah bhī tum jāntē hō hōlī|holy , dīpāvalī ādi yah sab abhī key|kī bātē̃ haĩ , jō yādgār mē̃ ā jātī haĩ .

168You also understand that Holi and Deepawali (the festival of lights) etc. are based on this time and become memorials.

189Tō savērē uṭhkar bāp kō yād karnā baṛā achchhā hai .

169So it is very good to awaken in the early morning hours and remember the Father.

190Yād kō baṛhātē rahō .

170Continue to increase your remembrance.

191Bachchō̃ nē gīt bhī sunā - jāgō aur jagāō agyān nīnd sē .

171You children heard the song: Awaken, O brides, awaken! 172Awaken from the sleep of ignorance.

192Gr̥ihastha vyavahār mē̃ rahtē kiskō bāp kā parichay dō .

173While staying in your households, give the Father's introduction.

193Vah phir likhē bhī ki bābā , phalānē dvārā ham āpkō jān gayē haĩ . 194Abhī tō ham āpkē hī hōkar rahē̃gē , āpsē varsā jarūr lē̃gē .

174They should then write to Baba: Baba, I came to know You through so and so, and I will now belong to You alone; I will definitely claim my inheritance from You.

195Āpkē hī thē , aisī chiṭṭhī āvē tab service kā sabūt milē .

175I did belong to You. 176When such a letter comes, it gives some proof of the service you have done.

196Patra dēkh bābā khuśh hōṅgē .

177Baba will be happy when He see such letters.

197Bākī sirph class sē hī hōkar ānā yah tō purānī chāl hō gaī . 198Jaisē aur satsaṅgō̃ mē̃ niyam sē jātē haĩ .

178However, simply to go to class is just what you used to do before, just as they have a routine at any other spiritual gathering.

199Tumkō tō ēk-ēk kō achchhī rīti samjhānā hai . 200Yah bahut ūñchī paṛhāī hai . 201Yah gyān sāgar sē kitnī achchhī knowledge miltī hai .

179Therefore, you must explain to each one clearly: This is a very elevated study; you receive such good knowledge from the Ocean of Knowledge.

202Mēhnat chāhiē samjhānē key|kī .

180Effort is needed to explain.

203Achchhā  !

181Achcha.

204Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .

182To the sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

205Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

183The spiritual Father says namaste to the spiritual children.

Essence for dharna

206Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

184Essence for dharna:

2071 ) yād kā abhyās baṛhānā hai .

185 1. Increase the practice of remembrance.

208Is yātrā mē̃ kabhī thaknā vā bahānā nahī̃ dēnā hai .

186Do not become tired on this pilgrimage or make excuses.

209Yād kā pūrā-pūrā chart rakhnā hai .

187Keep a full chart of remembrance.

210Bhōjan bhī śhivbābā key|kī yād mē̃ banānā vā khānā hai .

188Prepare and eat food in remembrance of Shiv Baba.

2112 ) buddhi sē bēhad kā sannyās karnā hai .

189 2. Let your intellect have unlimited renunciation.

212Is chhī-chhī duniyā kō buddhi sē tyāg dēnā hai .

190Remove this dirty world from your intellect.

213Bāp dvārā jō mantra milā hai vahī sabkō dēnā hai .

191Give everyone the mantra you have received from the Father.

214Jagē haĩ tō jagānā bhī hai .

192Since you have awakened, you must awaken others.

Blessing

215Vardān  : her|har second , her|har kadam śhrīmat par accurate chalnē vālē īmāndār , vaphādār bhav

193Blessing: May you be honest and faithful and follow shrimat accurately at every second and at every step.

216Her|har karma mē̃ , śhrīmat K|kē iśhārē pramāṇ chalnē vālī ātmā kō hī honest arthāt īmāndār aur vaphādār kahā jātā hai .

194 A soul who acts according to the signals of shrimat at every step is called honest, that is, honest and faithful.

217Brāhmaṇ janm miltē hī divya buddhi mē̃ bāpdādā nē jō śhrīmat bhar dī hai , honest ātmā her|har second her|har kadam usī pramāṇ accurate chaltī rahtī hai .

195If you are an honest soul you continue to follow accurately the shrimat at every second and at every step that BapDada has filled your divine intellect with from the moment you took your Brahmin birth.

218Jaisē science key|kī śhakti dvārā kaī chījē̃ iśhārē sē automatic chaltī haĩ , chalānā nahī̃ paṛtā , chāhē light dvārā , chāhē vibration dvārā switch on kiyā aur chaltā rahtā hai .

196Many things work automatically by gesture with the power of science and you don’t have to do anything. 197Whether with electricity or vibrations, you just put on the switch and it continues to function.

219Aisē hī honest ātmā silence key|kī śhakti dvārā sadā aur svataḥ chaltē rahtē haĩ .

198In the same way, an honest soul continues to work constantly and automatically with the power of silence.

Slogan

220Slōgan  : jahā̃ chintā hai vahā̃ chain nahī̃ hō saktā hai .

199Slogan: Where there is worry, there cannot be any peace or rest.

200*** Om Shanti ***