मंगलवार 13 दिसंबर 2022 की दैनिक मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
ध्यान दें: वाक्यों का संरेखण अक्षरों की संख्या पर आधारित है और पूरी तरह विश्वसनीय नहीं है।
आप पूरी मुरली या उसके किसी भाग का वाक्य संरेखण स्वयं सुधार सकते हैं।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
013-12-2022 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban
0 13/12/22 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban
Essence
1 « mīṭhē bachchē - śhivjayantī kā tyōhār baṛē tē baṛā tyōhār hai , isē tum bachchō̃ kō bahut dhūmdhām sē manānā hai , jissē sārī duniyā kō bāp K|kē avataraṇ kā patā paṛē ' '
1Essence: Sweet children, the festival of the birthday of Shiva is the greatest festival of all. 2You children have to celebrate it with so much pomp and splendour that the whole world can come to know about the incarnation of the Father.
Question
2Praśhna : tum bachchō̃ kō kis bāt mē̃ sustī nahī̃ ānī chāhiē ? 3Agar sustī ātī hai tō uskā kāraṇ kyā hai ?
3Question: What should you children not be lazy about? 4If there is laziness, what is the reason for it?
Answer
4Uttar : paṛhāī vā yōg mē̃ tumhē̃ jarā bhī sustī nahī̃ ānī chāhiē .
5Answer: You mustn't have the slightest laziness in studying or in yoga.
5Lēkin kaī bachchē samajhtē haĩ sabhī tō vijay mālā mē̃ nahī̃ āyēṅgē , sab tō rājā nahī̃ banē̃gē - isliē sust ban jātē haĩ .
6However, some children think that not everyone will become part of the rosary of victory, that not everyone will become a king and they therefore become lazy.
6Paṛhāī par dhyān nahī̃ dētē . 7Lēkin jiskā bāp sē pūrā love hai vah accurate paṛhāī paṛhē̃gē , sustī ā nahī̃ saktī .
7They don't pay attention to studying, whereas those who have full love for the Father will study accurately; they cannot be lazy.
Question
8Praśhna : chaltē-chaltē kaī bachchō̃ key|kī avasthā ḍagmag kyō̃ hō jātī hai ? 9Uttar : kyōṅki bāp kō bhūl dēh-ahaṅkār mē̃ ā jātē haĩ .
8Question: Why does the stage of some children fluctuate while they are moving along? 9Answer: Because they forget the Father and become body conscious. 10Because of body consciousness, they cause a lot of distress to one another.
10Dēh-ahaṅkār K|kē kāraṇ ēk dō kō bahut taṅg kartē haĩ . 11Chalan sē aisā dikhāī paṛtā hai jaisē dēvtā bannē vālā hī nahī̃ hai . 12Kām-krōdh K|kē vaśhībhūt hō jātē haĩ .
11It seems from their behaviour that they are not going to become deities; they are influenced by lust and anger.
13Ōm śhānti .
12Om shanti.
14Sabhī brāhmaṇō̃ kō yah patā hai ki śhiv jayantī hai mukhya .
13All Brahmins know that Shiva Jayanti is the main festival.
15Ājkal birth day tō sabkā manātē haĩ . 16Parantu śhiv jayantī K|kē saṃvat kā kōī kō patā nahī̃ hai .
14Nowadays, people celebrate everyone's birthday, but no one knows about the period of Shiva Jayanti.
17Manuṣhyō̃ kā saṃvat tō gātē āyē haĩ .
15They have been remembering the periods of human beings.
18Christ kā saṃvat pūchhē̃gē tō jhaṭ batāyēṅgē . 19Unkā bhī birth day manātē haĩ .
16If you ask them about the period of Christ, they would quickly tell you about that; they even celebrate his birthday.
20Tumnē śhivjayantī pahlē itnā dhūmdhām sē nahī̃ manāī hai .
17Previously, you didn't celebrate the birthday of Shiva with as much pomp and splendour.
21Ab bachchō̃ kō vichār chalānā hai ki duniyā kō kaisē patā paṛē kyōṅki ab śhivjayantī ānē vālī hai .
18You children should now think about how the world can come to know this because Shiva Jayanti is now about to come.
22Tō aisā dhūmdhām sē jayantī manāō jō sārī duniyā kō patā paṛ jāē .
19Therefore, celebrate the birthday with such pomp and splendour that the whole world comes to know about it.
23Mēhnat karnī hai .
20You have to make effort.
24Sab bachchō̃ kō mālūm kaisē paṛē ki sārī duniyā kā jō creator hai unkī jayantī hai , vah is samay yahā̃ hai .
21How can all the children know that it is the birthday of the One who is the Creator of the whole world and that He is here at this time?
25Bachchō̃ kō mālūm kaisē paṛē .
22How can the children know?
26Akhbārē̃ tō bahut chhaptī haĩ .
23Many newspapers are printed.
27Unkō kahā jātā hai advertisement , jissē nām maśhhūr hō .
24That is called advertising through which your name can become well known.
28Akhbār kā kharchā bhī bahut hōtā hai . 29Ab śhivjayantī kā tō sabkō mālūm paṛnā chāhiē .
25There is a lot of expense involved with newspapers, but everyone should now know about Shiv Jayanti.
30Tumkō sārī duniyā kā ōnā rakhnā hai .
26You have to be concerned about the whole world.
31Bāp kā parichay sabkō dēnā hai .
27Give everyone the Father's introduction.
32Gāyā bhī huā hai ki bachchō̃ nē ghar-ghar mē̃ bāp kā sandēśh pahuñchāyā hai ki bāp āyā hai , jiskō varsā lēnā hō tō ākar lō|low .
28It is remembered that children gave the Father's message to every home saying that the Father had come: Those who want to claim their inheritance should come and do so.
33Parantu lē̃gē vahī jinhōnnē kalp pahlē liyā hōgā .
29However, only those who claimed it in the previous cycle will do so again.
34Ātmā tō jāntī hai , ab sabkō mālūm paṛēgā tō ā jāyēṅgē kyōṅki aur aur dharmō̃ mē̃ bahut convert hō gayē haĩ .
30The soul knows that. 31Now, everyone will come to know this and so they will come, because they have been converted into other religions.
35Tum bhī apnē kō dēvī-dēvtā thōṛēhī samajhtē thē .
32You too didn't consider yourselves to be deities.
36Śhūdra dharm mē̃ thē .
33You were in the shudra religion.
37Ab tumkō bāp nē samjhāyā hai .
34The Father has now explained to you.
38Tum ab samajh saktē hō ki hamkō kaun paṛhātē haĩ .
35You can now understand who is teaching you.
39Phir bhī ghaṛī-ghaṛī bhūl jātē haĩ , jis kāraṇ unhō̃ key|kī avasthā bhī aisī hī rahtī hai .
36In spite of that, some repeatedly forget this and, due to this, their stage also remains like it is.
40Dēvtā bannē K|kē jaisē lāyak hī nahī̃ bantē haĩ .
37It is as though they don't even become worthy of becoming deities.
41Kām kā bhūt vā dēh-abhimān kā bhūt hōnē sē bāp kō yād nahī̃ kar saktē .
38Because of an evil spirit of lust or body consciousness, they’re unable to remember the Father.
42Dēhī-abhimānī jab banē̃ tab bāp kō yād karē̃ .
39Only when they become soul conscious can they remember the Father.
43Bāp kē sāth love bhī rahē aur paṛhāī mē̃ bhī accurate rahē̃ .
40Have love for the Father and also remain accurate in how you study.
44Yah bahut valuable gyān ratna haĩ , jiskā bahut naśhā rahnā chāhiē .
41These are very valuable jewels of knowledge and you should have a lot of intoxication of it.
45Jismānī paṛhāī mē̃ bhī register rahtā hai .
42A register is kept in a worldly education too.
46Usmē̃ manners bhī dikhātē haĩ . 47Good , better aur best … yahā̃ bhī aisē hai .
43They also note down manners in that: Good, better, best. 44It is the same here.
48Kōī tō bilkul kuchh bhī jāntē nahī̃ haĩ . 49Bhal bachchē banē haĩ . 50Bāp kē pās rahē paṛē haĩ .
45Some don't know anything at all even though they have become children and are staying with the Father.
51Tō bhī kaīyō̃ sē ghar mē̃ rahnē vālō̃ key|kī chalan achchhī hōtī hai .
46The behaviour of some who live at home is better than those who are here.
52Phir bhī service kartē haĩ .
47At least they are doing service!
53Mukhya bāt hai service key|kī .
48The main thing is service.
54Vijay mālā mē̃ bhī vahī pirōyēṅgē , bākī tō prajā banē̃gē .
49They will be threaded in the rosary of victory. 50The rest will become subjects.
55Prajā tō bahut bantī hai .
51Many become subjects.
56Kōī baṛē ghar mē̃ janamtā hai tō sab unkō badhāīyā̃ bhējtē haĩ .
52When someone is born into a grand family, everyone sends them congratulations.
57Bākī duniyā mē̃ tō bahut janamtē rahtē haĩ .
53However, so many continue to take birth in the world.
58Tum tō bāp K|kē vāris banē hō .
54You are becoming the Father’s heirs.
59Tō us bēhad K|kē bāp kā janma-din tō manānā chāhiē .
55So, you should celebrate the birthday of the unlimited Father.
60Dhūmdhām sē trimūti śhiv jayantī manānī hai .
56Celebrate Trimurti Shiva Jayanti with a lot of pomp and splendour.
61Kyā karē̃ jō bahutō̃ kō mālūm paṛē ?
57What should you do so that many can come to know about this?
62Yah phurnā rahtā hai nā .
58You have this concern, do you not?
63Kis prakār key|kī service karē̃ jō hamārē kalp pahlē vālē brāhmaṇ kul bhūṣhaṇ phir sē ā jāē̃ .
59What type of service should we do so that the decoration of the Brahmin clan of the previous cycle can come again?
64Yuktiyā̃ rachī jātī haĩ .
60Methods have to be created.
65Bāp kahtē haĩ sivāē akhbār K|kē tō muśhkil hai .
61The Father says: It is difficult to do this without newspapers.
66Akhbār sab taraph jātī hai .
62Newspapers are distributed everywhere.
67Akhbār K|kē 2-4 page lēnā paṛē .
63You have to take two to four pages of a newspaper.
68Jab silver jubilee manātē haĩ tō akhbār mē̃ 2-4 page lē lētē haĩ .
64When a silver jubilee is celebrated, they take two to four pages.
69Ab vah tō common pāī paisē key|kī silver jubilee manātē haĩ .
65They celebrate a common silver jubilee worth only a few pennies.
70Tumhārī yah golden jubilee sabsē nyārī hai .
66This golden jubilee of yours is completely unique.
71Hamēśhā golden , silver jubilee manātē haĩ , copper iron jubilee nahī̃ manātē .
67People always celebrate their golden and silver jubilees. 68They don't celebrate copper and iron jubilees.
7250 varṣh hōtē haĩ tō unkō golden jubilee kahā jātā hai .
69When it is 50 years it is called a golden jubilee.
73Ab tumkō bāp key|kī jayantī manānī hai , jō sabkō mālūm paṛē .
70You now have to celebrate the Father's birthday so that everyone can come to know.
74Akhbār mē̃ dō page ḍālē̃ tō kōī harjā nahī̃ hai .
71If you print this in two pages of the newspapers, that is fine.
75Bahutō̃ kō patā paṛnā chāhiē .
72Many people should know.
76Samay nāzuk ātā jātā hai .
73Delicate times are coming.
77Nahī̃ tō phir dērī paṛ jāyēgī .
74It will then be too late!
78Ab śhiv jayantī kē liē pahlē sē hī taiyārī karnī chāhiē .
75You have to make preparations for Shiva Jayanti in advance.
79Akhbār K|kē dō page lēvē jismē̃ trimūti jhāṛ aur ājkal kī points likhī jāyē̃ .
76Take two pages of a newspaper in which you can write about the Trimurti, the Tree and some points from recent murlis.
80Gaṅgā snān sē sadgati nahī̃ hōtī hai .
77There cannot be salvation through the water of the Ganges.
81Jaisē 4 page vālā literature hai , vaisē āgē pīchhē bhī ḍālā jāē .
78You also have some four-paged literature. 79You can write on the front and on the back too.
82Utartī kalā aur chaṛhtī kalā vālā chitra aur jō mukhya chitra haĩ .
80Write about the picture that shows the stages of ascent and descent and the other main pictures.
83Vichār karnā chāhiē kaun-kaun sē mukhya chitra haĩ ? 84Jissē manuṣhya samajh jāyē̃ ki barōbar durgati huī hai .
81Think about from which main pictures people can understand that there truly is degradation now.
85Bābā bachchō̃ kā dhyān khiñchvātē haĩ , vichār sāgar manthan karnā chāhiē .
82Baba is drawing the attention of you children. 83You should churn the ocean of knowledge.
86Is bāt par bahut thōṛē bachchē haĩ jinkā khyāl chaltā hai .
84There are very few children who think about these things.
874-5 hajār kharcha hōgā , harjā nahī̃ .
85If it costs four or five thousand, it doesn't matter.
88Ḍhēr bachchē haĩ , bū̃d-bū̃d talāv hō jāyēgā .
86There are many children. 87A lake is created from every drop.
89Tumkō mālūm hai āgākhā̃ kō bhī hīrō̃ mē̃ vajan kiyā . 90Vah tō kuchh bhī nahī̃ .
88You know that the Aga Khan was weighed against diamonds; that is nothing.
91Yah tō kalyāṇkārī bāp hai , vah tō sab paisē jātē haĩ vikārō̃ mē̃ .
89This is the Benefactor Father. 90All of that money goes into vices.
92Tum bachchō̃ kō in vikārō̃ sē chhuṛāyā jātā hai .
91You children have been liberated from those vices.
93Manuṣhya sē dēvtā banāyā jātā hai .
92You are being made into deities from human beings.
94Tumhārē mē̃ na kām key|kī hiṅsā , na krōdh key|kī hiṅsā hai .
93You have neither the violence of lust nor the violence of anger.
95Tō akhbārō̃ mē̃ 4-5 page jarūr lēnē chāhiē jō bhī serviceable bachchē haĩ , samajhtē haĩ ham service kar rahē haĩ .
94You should definitely take four or five pages of a newspaper. 95All the serviceable children understand that they are doing service.
96Pradarśhanī , projector kē liē chitra banā rahē haĩ , jinkī buddhi chaltī hai unhō̃ kē liē bābā samjhā rahē haĩ .
96They are making pictures for the exhibitions and projectors. 97Baba is explaining to those whose intellects work on these things.
97Bāp kahtē haĩ himmatē bachchē madadē bāp baiṭhā hai .
98The Father says: When children have courage, the Father is sitting here to help.
98Jō buddhivān paṛhē likhē bachchē haĩ vah jhaṭ akhbār kē liē matter likhkar taiyār karē̃gē .
99The intelligent, educated children will quickly write some matter for the newspapers.
99Akhbār mē̃ kōī chīz ḍālī jātī hai tō unhō̃ kō dr̥iṣhṭi bhī dēnī hai .
100When things are to be printed in a newspaper, you also have to give them drishti.
100Abhī śhivjayantī mē̃ dō aṛhāī mās haĩ .
101There are now two to two and a half months until Shiva Jayanti.
101Tum bahut kām kar saktē hō .
102You can do a lot of work.
102Dō-chār akhbārō̃ mē̃ ḍālnā chāhiē - hindī aur aṅgrējī mukhya haĩ .
103You should have it printed in two to four newspapers. 104Hindi and English are the main languages.
103In dōnō̃ mē̃ chhap jāē .
105You should have it printed in both of these.
104Śhivjayantī is rīti manānā ṭhīk hōgā .
106It would be good to celebrate Shiva Jayanti in this way.
105Sārī duniyā K|kē bāp kā birth day hai , yah sabkō mālūm paṛ jāē .
107It is the birthday of the Father of the whole world. 108Everyone should know this.
106Akhbārē̃ tō dūr tak jātī haĩ .
109Newspapers are distributed over a wide area.
107Sensible editor jō hōtē haĩ , dharmī khyālāt vālē hōtē haĩ vah paisē nahī̃ lētē haĩ .
110Sensible editors who are religious minded would not take money. 111All of this is for the benefit of everyone.
108Yah tō sabkē kalyāṇ kē liē hai .
112It would perhaps cost a little.
109Karkē thōṛā kharchā hōgā . 110Himmatē bachchē madadē bāp .
113Children who have courage receive help from the Father.
111Aisē-aisē khyālāt chalnē chāhiē .
114You should have such thoughts.
112Manuṣhya yah nahī̃ jāntē kalyāṇ , akalyāṇ kiskō kahā jātā hai . 113Kalyāṇ key|kī mat kaun dē saktā hai ? 114Kuchh bhī samajhtē nahī̃ haĩ .
115People don’t know what benefit is and what is not benefit or who can give directions for benefit; they don't understand anything at all.
115Tum bachchē jāntē hō .
116You children know.
116Tumhārē mē̃ bhī bahut thōṛē haĩ jō vijay mālā mē̃ āyēṅgē .
117Among you, too, there are very few who will become part of the rosary of victory.
117Bākī prajā banē̃gē .
118The rest will become subjects.
118Yah hai rājyōg , rājāī prāpt karnē kā .
119This Raja Yoga is for attaining sovereignty.
119Paṛhāī vā yōg mē̃ sustī karnē sē rājāī nahī̃ prāpt kar sakē̃gē .
120By being lazy in studying or in yoga, you won't be able to claim a kingdom.
120Limit hai - itnē rājāyē̃ bannē haĩ . 121Jāstī ban na sakē̃ .
121There is a limit as to how many kings there will be; there cannot be any more than that.
122Jō achchhī khyālāt vālē hōṅgē unkā jhaṭ patā lag jāyēgā ki yah rājāī kul mē̃ ā saktā hai vā nahī̃ .
122Those who have good thoughts will quickly know whether they will become part of the royal family or not.
123Tō ab centres par rāy nikāltē haĩ .
123They are now making suggestions at the centres.
124Baṛē-baṛē dukān bābā K|kē bahut haĩ .
124Baba has many big shops.
125Sab centres ( dukān ) ēk jaisē tō chal na sakē̃ .
125Not all the centres (shops) can function in the same way.
126Kōī manager achchhā hōtā hai tō dukān kō achchhā chalātē haĩ .
126Some managers are good and so they run that shop very well.
127Kōī par grahachārī baiṭh jātī hai tō achchhē-achchhē bhī fail hō paṛtē haĩ .
127Some have bad omens over them and so even good ones fail.
128Bāp kahtē haĩ ab din najdīk ātē jātē haĩ .
128The Father says: The days are now coming close.
129Laṛāī kī taiyāriyā̃ bhī hōtī jātī haĩ .
129Preparations for war continue to be made.
130Āpdāyē̃ bhī ānī haĩ .
130There will also be calamities.
131Bahut thōṛā samay hai , yōg lagānē mē̃ baṛī mēhnat hai .
131There is very little time left. 132To have yoga requires a lot of effort.
132Yōg sē hī vikarma vināśh karnē haĩ .
133Only by having yoga will your sins be absolved.
133Agar yōg mē̃ rah golden age tak nahī̃ pahũchē tō royal gharānē mē̃ ā na sakē .
134If you don't stay in yoga and reach the golden age, you cannot become part of the royal family.
134Prajā mē̃ chalē jāyēṅgē .
135You will end up among the subjects.
135Achchhē puruṣhārthī jō hōṅgē vah kabhī nahī̃ kahē̃gē ki jō takdīr mē̃ hōgā .
136Good effort-makers would never say: Whatever is in my fortune!
136Drama anusār aisē-aisē khyālāt vālē prajā mē̃ jāē naukar banē̃gē .
137According to the drama, those who have such thoughts will become servants of the subjects.
137Pad ūñchā pānā hai tō advertise karnī paṛē .
138If you want to claim a high status, you have to advertise.
138Nahī̃ tō ulhanā dēgē , isliē akhbār mē̃ ḍāltē haĩ .
139Otherwise, there will be complaints. 140This is why it has to be printed in the newspapers.
139Apnā chitra aur mukhya-mukhya bātē̃ likhnī haĩ .
141You have to print the pictures and the main points.
140Trimūti gōlā bhī ḍālnā hai .
142You also have to include the Trimurti and the cycle.
141Utartī kalā , chaṛhtī kalā vālā chitra bhī ḍālnā hai .
143Also include the picture of the stages of ascent and descent.
142Bhārat dī|the heaven , bhārat dī|the hell .
144Bharat heaven and Bharat hell.
143Heaven mē̃ kitnā samay rahtē , hell mē̃ kitnā samay rahtē .
145For how long do you stay in heaven and for how long do you stay in hell?
144Ab bābā direction dē rahē haĩ .
146Baba is now giving you directions.
145Agar kōī murlī miss kar dē̃ tō direction kā patā nahī̃ paṛēgā .
147Anyone who misses a murli would not know about the directions.
146Madadgār ban nahī̃ sakē̃gē .
148In that case, such ones cannot become helpers.
147Bābā pūchhtē rahtē haĩ yah matter taiyār kiyā ?
149Baba continues to ask if you have prepared the matter.
148Sensible bachchō̃ key|kī jahā̃ tahā̃ mahimā hōtī hai .
150Sensible children are praised everywhere.
149Kōī-kōī bahut taṅg kartē haĩ . 150Dēh-abhimānī ban jātē haĩ .
151Some cause a lot of distress; they become body conscious.
151Centre K|kē head banē , dēh-abhimān āyā tō yah marā .
152If, after becoming the head of a centre, you become body conscious, you die.
152Bāp kō kabhī ahaṅkār ā na sakē .
153The Father can never have arrogance.
153Bābā kahtē haĩ ham obedient servant haĩ .
154Baba says: I am the Obedient Servant.
154Dēkhō yahā̃ bahut baṛē-baṛē ādmī ātē haĩ .
155Look, so many eminent people come here.
155Dēkhtē haĩ bartan hāth sē māñjtē haĩ tō khud bhī māñjnē lag paṛtē haĩ .
156They see that we all wash our own plates, and so they also begin to wash their own plates.
156Parantu kōī-kōī kō dēh-ahaṅkār ā jātā hai . 157Thālī kaṭōrā nahī̃ sāph kar saktē .
157However, some have body consciousness; they cannot even wash their own plates and bowls.
158Aisē dēh-abhimān vālē gir paṛtē haĩ . 159Apnā akalyāṇ kar baiṭhtē haĩ .
158Those who have such body consciousness fall; they cause themselves a loss.
160Bābā thōṛēhī kabhī service lētē haĩ .
159Baba never takes any service.
161Śhivbābā kō tō śharīr hī nahī̃ hai jō service lēvē .
160Shiv Baba doesn't have a body that He would take service.
162Vah tō service kartē haĩ .
161He does service.
163Bābā dēhī-abhimānī bannā sikhlātē haĩ .
162Baba teaches you how to become soul conscious.
164Mā̃-bāp kō bachchē kabhī allow nahī̃ karē̃gē ki bartan māñjē̃ .
163Children would never allow their parents to wash the dishes.
165Parantu mā̃-bāp sē rīs nahī̃ karnī chāhiē .
164However, you mustn’t compete with the mother and father.
166Pahlē mā̃-bāp jaisā bannā chāhiē .
165First of all, you should become like the mother and father.
167Paṛhtē tumhārē sāth vah bhī haĩ parantu kāydē anusār sākṣhātkār hōtā jātā hai ki pahlē number mē̃ yah pās|pass hōtē haĩ .
166They too study with you but, according to the law, people have visions that they are the ones who pass with the first number.
168Service kā śhauk bahut rakhnā hai .
167You have to have a keen interest in doing service.
169Ghar-ghar mē̃ gītā pāṭhśhālā khōlnī hai tō vr̥iddhi hōtī jāyēgī .
168Open a Gita pathshala in every home so that growth continues to take place.
170Likh dēnā chāhiē āō tō tumkō apnē pārlaukik bāp kā parichay dē̃ .
169You should write: Come and we will give you the introduction of our Father from beyond.
171Bēhad K|kē bāp sē bēhad kā varsā kaisē miltā hai , vah ākar samjhō . 172Ēk second mē̃ jīvanmukti kaisē mil saktī hai .
170Come and understand how you can receive the unlimited inheritance from the unlimited Father, how you can receive liberation-in-life in a second.
173Kōī aisā buddhivān hai nahī̃ jō samajh sakē .
171No one is that intelligent that he could understand this.
174Tumhārē mē̃ bhī haḍḍī gyān bahut thōṛō̃ mē̃ hai , jinkō gyān kā naśhā chaṛhā huā hai vah apnī rāy nikāltē rahtē haĩ .
172Among you too, there are very few who have deep knowledge. 173Those who are intoxicated by knowledge continue to give their own opinions.
175Slōgan key|kī samjhānī bhī likhnī paṛē .
174You also have to write an explanation of the slogans you use.
176Dēhlī bāmbē mē̃ bahut samjhū bachchē haĩ , jinkō bahutō̃ kā parichay hai , vah yah kām kar saktē haĩ .
175There are many sensible children in Delhi and Bombay who are in contact with many others and who can do this work.
177Editors kō samjhānā chāhiē . 178Unhō̃ K|kē hāth mē̃ bahut hōtā hai .
176You should explain to the editors; they have a lot of control in their hands.
179Half dām mē̃ dēvē̃ , quarter mē̃ dēvē̃ .
177They should give it to you at half cost or quarter cost.
180Religious bātē̃ free mē̃ bhī ḍāl saktē haĩ .
178They can even print religious matter free of charge.
181Bābā rāy dētē haĩ - is śhiv jayantī kō bahut dhūmdhām sē manāyā jāē , aisī prērṇā āī hai .
179Baba advises that this Shiva Jayanti should be celebrated with a lot of pomp and splendour. 180He has had such inspiration.
182Kharchē kā harjā nahī̃ .
181The cost doesn't matter!
183Chitra chhapāō .
182Print the pictures!
184Raṅgīn weekly chhōṭī hōtī hai , ismē̃ chitra baṛē clear chāhiē .
183The coloured weekly magazines are smaller. 184Very clear pictures should be printed in them.
185Bābā serviceable bachchō̃ kō rāy dētē haĩ aur serviceable bachchē hī respond karē̃gē . 186Idea likhē̃gē , matter taiyār karē̃gē .
185Baba advises the serviceable children and the serviceable children would respond; they would write their ideas and prepare the matter.
187Alag matter chhapākar bhī akhbār kē sāth bhēj saktē haĩ .
186You can also have separate sheets printed and distributed with the newspapers.
188Vah bhī akhbār vālō̃ sē prabandh karā saktē haĩ .
187You can arrange that with the newspaper people.
189Akhbār K|kē andar parchā ḍāl dēgē .
188They will insert the leaflet in the newspaper.
190Āgē aisē alag kāgaj chhapākar dūsrō̃ key|kī advertise kā akhbār mē̃ ḍāl dētē thē , abhī śhāyad band kar diyā hai .
189Earlier, they used to have a separate printed sheet of someone else's advertising inserted in each newspaper. 190Perhaps they have now stopped doing that.
191Parantu puruṣhārth karnē sē hō saktā hai .
191However, by your making effort, it is possible.
192Nahī̃ tō sabkō mālūm kaisē paṛē - trimūti śhiv jayantī kā .
192Otherwise, how would everyone come to know about Trimurti Shiva Jayanti?
193Pradarśhanī bhī 7 rōz chaltī . 194Śhivjayantī kā tō ēk din hai , vah dhūmdhām sē manānā hai .
193The exhibitions continue for seven days; Shiva Jayanti is only for one day. 194Therefore, celebrate it with a lot of pomp and splendour.
195Achchhā !
195Achcha.
196Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .
196To the sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.
197Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .
197The spiritual Father says namaste to the spiritual children.
Essence for dharna
198Dhārṇā kē liē mukhya sār :
198Essence for dharna:
1991 ) bāp kā madadgār ban , sabhī kō bāp kā parichay dēnē key|kī yukti rachnī hai .
199 1. Become a helper of the Father and create methods to give the Father's introduction.
200Vichār sāgar manthan karnā hai .
200Churn the ocean of knowledge.
201Gyān K|kē naśhē mē̃ rahnā hai .
201Maintain the intoxication of knowledge.
2022 ) dēh-anhakār chhōṛ dēhī-abhimānī bannā hai .
202 2. Renounce body consciousness and become soul conscious.
203Apnī sēvā dūsrō̃ sē nahī̃ lēnī hai .
203Don't take service from others.
204Mā̃-bāp sē rīs nahī̃ karnī hai . 205Unkē samān bannā hai .
204Don't compete with the mother and father; become equal to them.
Blessing
206Vardān : snēh key|kī śhakti dvārā mēhnat sē mukt hōnē vālē paramātma snēhī bhav
205Blessing: May you be loving to God and with that power of love, become free from having to work hard.
207Snēh key|kī śhakti mēhnat kō sahaj kar dētī hai , jahā̃ mōhabbat hai vahā̃ mēhnat nahī̃ hōtī .
206 The power of love makes hard work easy. 207Where there is love, there is no hard work.
208Mēhnat manōrañjan ban jātī hai .
208Hard work becomes a form of entertainment.
209Bhinn-bhinn bandhanō̃ mē̃ bandhī huī ātmāyē̃ mēhnat kartī haĩ lēkin paramātma snēhī ātmāyē̃ sahaj hī mēhnat sē mukt hō jātī haĩ .
209Souls who are tied in various bondages have to work hard, but souls who love God easily become free from having to work hard.
210Yah snēh kā vardān sadā smr̥iti mē̃ rahē tō kitnī bhī baṛī paristhiti hō , pyār sē , snēh sē paristhiti rūpī pahāṛ bhī parivartan hō pānī K|kē samān halkā ban jātā hai .
210Let this blessing of love be constantly in your awareness and then, no matter how big a situation may be, with love, a situation as big as a mountain will be transformed and becomes light like water.
Slogan
211Slōgan : sadā nirvighna rahnā aur dūsrō̃ kō nirvighna banānā - yahī yathārth sēvā hai .
211Slogan: To be constantly free from obstacles and to make others free is real service.
212*** Om Shanti ***