शुक्रवार 13 जनवरी 2023 की दैनिक मुरली

ध्यान दें: वाक्यों का संरेखण अक्षरों की संख्या पर आधारित है और पूरी तरह विश्वसनीय नहीं है।

आप पूरी मुरली या उसके किसी भाग का वाक्य संरेखण स्वयं सुधार सकते हैं।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

013-01-2023 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

0 13/01/23 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē bachchē - yahā̃ tumhē̃ sukh-duḥkh , mān-apmān … sab sahan karnā hai , purānī duniyā K|kē sukhō̃ sē buddhi haṭā dēnī hai , apnī mat par nahī̃ chalnā hai ' '

1Essence: Sweet children, here you have to tolerate happiness and sorrow, respect and disrespect. 2Remove the happiness of the old world from your intellects. 3Don't follow the dictates of your own minds.

Question

2Praśhna  : dēvtāī janm sē bhī yah janm bahut achchhā hai , kaisē  ?

4Question: How is this birth even better than a deity birth?

Answer

3Uttar  : is janm mē̃ tum bachchē śhivbābā K|kē bhaṇḍārē sē khātē hō .

5Answer: At this time you children are eating from Shiv Baba's bhandara. 6You earn a lot of income here. 7You have taken refuge with the Father.

4Yahā̃ tum athāh kamāī kartē hō , tumnē bāp key|kī śharaṇ lī hai . 5Is janm mē̃ hī tum apnā lōk-parlōk suhēlā ( sukhī ) kartē hō .

8It is in this birth that you make yourselves happy in this world (lok) and in the world beyond (parlok).

6Sudāmā misal dō muṭṭhī dē 21 janm key|kī bādśhāhī lētē hō .

9You give two handfuls of rice like Sudama did and claim the sovereignty for 21 births.

Song

7Gīt  : chāhē pās|pass hō chāhē dūr hō . . .

10Song: Whether you are near or far, you are the image of my dreams

Murli

8Ōm śhānti .

11Om shanti.

9Gīt kā kitnā achchhā arth|earth hai .

12The meaning of the song is very good.

10Bāp baiṭh bachchō̃ kō samjhātē haĩ - chāhē ham is tan sē najdīk haĩ vā dūr haĩ kyōṅki sammukh yōg key|kī śhikṣhā dē rahē haĩ .

13The Father sits here and explains to you children that, whether you are sitting close to this body or you are far away, He is personally giving you the teachings of yoga.

11Prērṇā sē tō nahī̃ dēgē nā .

14He does not give them through inspiration.

12Chāhē maĩ najdīk hū̃ , chāhē dūr hū̃ - yād tō mujhē hī karnā hai .

15Whether I am close or whether I am far away, you still have to remember Me.

13Bhagvān kē pās jānē kē liē hī tō bhakti kartē haĩ .

16People do devotion in order to go to God.

14Bāp baiṭh samjhātē haĩ ki hē jīv key|kī ātmāyē̃ , is śharīr mē̃ nivās karnē vālī ātmāyē̃ , ātmāō̃ sē parampitā paramātmā baiṭh bāt kartē haĩ .

17The Father sits here and says: O living beings, souls who reside in those bodies. 18The Supreme Father, the Supreme Soul, sits here and speaks to souls.

15Paramātmā kō ātmāō̃ sē milnā hai jarūr , isliē jīv ātmāyē̃ bhagvān kō yād kartī haĩ kyōṅki duḥkhī haĩ .

19The Supreme Soul definitely has to meet souls. 20Therefore, because they are unhappy, embodied souls remember God.

16Satyug mē̃ tō kōī yād nahī̃ kartē .

21No one in the golden age remembers Him.

17Abhī tum bachchē jāntē hō ham bahut purānē bhakta haĩ .

22You children now know that you are very old devotees.

18Jabsē hamkō māyā nē pakaṛā hai , tab sē bhagvān key|kī , śhiv key|kī yād śhurū huī hai kyōṅki śhivbābā nē hamkō svarg kā mālik banāyā thā , tō unkā yādgār banākar bhakti kartē haĩ .

23You began to remember God Shiva from the time Maya caught hold of you, because Shiv Baba had made you into the masters of the world. 24So, people create a memorial of Him and do devotion.

19Ab tum jāntē hō bāp sammukh āyē haĩ lēnē kē liē , kyōṅki ab bāp kē pās jānā hai .

25You know that the Father has now personally come to take you back because you now have to go back with the Father.

20Jab tak yahā̃ haĩ tab tak purānē śharīr kō , purānī duniyā kō buddhi sē bhūlnā hai aur yōg mē̃ rahnā hai .

26While you are here, you have to remove old bodies and the old world from your intellects and stay in yoga.

21Tō is yōg agni sē pāp bhasma hōṅgē .

27Your sins will be burnt in this fire of yoga.

22Ismē̃ mēhnat lagtī hai .

28This requires effort.

23Pad bhī tō jabardast hai .

29The status you receive is great.

24Viśhva kā mālik bannā hai .

30You have to become the masters of the world.

25Manuṣhya kahtē haĩ ki viśhva kā mālik tō śhivbābā hai . 26Parantu nahī̃ , viśhva kā mālik manuṣhya hī bantē haĩ .

31People say that Shiv Baba is the Master of the World, but no; it is human beings who become the masters of the world.

27Bāp baiṭh bachchō̃ kō viśhva kā mālik banātē haĩ .

32The Father sits here and makes you children into the masters of the world.

28Kahtē haĩ tum hī viśhva K|kē mālik thē , phir 84 janm lētē-lētē ab kauṛī K|kē bhī mālik nahī̃ rahē hō .

33He says: You were the masters of the world and then, having taken 84 births, you are no longer the masters of even shells.

29Pahlā number janm aur abhī kā antim janm dēkhō kitnā rāt din kā fark hai .

34There is a vast difference of day and night between your first birth and this last birth.

30Kōī kō bhī yād nahī̃ ā saktā , jab tak bāp ākar sākṣhātkār na karāyē .

35None of you is able to remember this until the Father comes and gives you a vision.

31Gyān buddhi sē bhī sākṣhātkār hōtā hai .

36You can also have a vision through the intellect of knowledge (gyan buddhi).

32Jō sayānē bachchē haĩ , nitya bāp kō yād kartē haĩ , unhō̃ kō bahut majā āyēgā .

37The children who are sensible and remember the Father every day enjoy themselves a great deal.

33Yahā̃ tum sab naī bātē̃ suntē hō .

38Everything you listen to here is new.

34Manuṣhya tō kuchh nahī̃ jāntē haĩ .

39People don't know anything at all.

35Vah tō gapōṛē lagātē rahtē aur dar-dar dhakkē khātē rahtē haĩ .

40They continue to tell lies and wander from door to door.

36Tumkō tō bhaṭaknē sē chhuṛāyā jātā hai .

41You have been liberated from wandering.

37Bāp kahtē haĩ tum ātmā hō , mujh bāp kō yād kartē rahō .

42The Father says: You souls have to remember Me, the Father.

38Buddhi mē̃ yahī vichār rahē ki ham ātmāō̃ kō bābā kē pās jānā hai , yah sr̥iṣhṭi jaisē hamārē liē hai nahī̃ .

43Let there be the thought in the intellects of you souls that you have to go to Baba. 44It is as though this world doesn't exist for you.

39Yah purānī sr̥iṣhṭi tō khatm hō jāyēgī .

45This old world is to end.

40Phir ham svarg mē̃ ākar nayē mahal banāyēṅgē .

46We will then go to heaven and build new palaces.

41Din-rāt buddhi mē̃ yah chalnā chāhiē .

47This should continue to turn around in your intellects day and night.

42Bāp apnā anubhav sunātē haĩ .

48The father tells you his own experience.

43Rāt kō sōtā hū̃ , tō yahī khyālāt chaltē haĩ . 44Yah nāṭak ab pūrā hōtā hai , yah purānā chōlā chhōṛnā hai .

49When I go to sleep at night, these are the thoughts I have: This play is now coming to an end. 50I have to shed this old body.

45Hā̃ vikarmō̃ kā bōjhā bahut hai , isliē nirantar bābā kō yād karnā hai .

51Yes, there is a lot of burden of sin. 52This is why I have to remember Baba constantly.

46Apnī avasthā kō darpaṇ mē̃ dēkhnā hai - hamārī buddhi sabsē haṭī huī hai  ?

53Check your stage in the mirror: Is my intellect removed from everyone else?

47Dhandhē ādi mē̃ rahtē huē bhī buddhi sē kām lē saktē hō . 48Bābā kē ūpar kitnā ōnā hai .

54While engaged in your business etc. you can still use your intellect for this business.

49Kitnē ḍhēr bachchē haĩ . 50Unhō̃ kā khyāl rakhnā paṛtā hai .

55Baba has so many concerns; he has so many children, he has to think about all of them.

51Bachchō̃ kō panāh ( śharaṇ ) dēnī hai .

56He has to give refuge to some children.

52Duḥkhī tō bahut haĩ nā  !

57There are many who are unhappy.

53Haṅgāmē̃ mē̃ kitnē duḥkhī hō martē haĩ .

58When there is upheaval, so many suffer and die.

54Yah samay bahut kharāb hai .

59These times are very bad.

55Tō bachchō̃ kō śharaṇ dēnē kē liē yah makān ban rahē haĩ .

60Therefore, this building is being built in order to give refuge to the children.

56Yahā̃ tō sab apnē bachchē hī rahtē haĩ .

61It is for all My children who will stay here.

57Kōī ḍar nahī̃ aur phir yōgbal bhī rahtā hai .

62There is no fear and you also have the power of yoga.

58Bachchō̃ nē sākṣhātkār bhī kiyā hai , jō bāp kō achchhī rīti yād kartē haĩ tō bāp unhō̃ key|kī rakṣhā bhī kartā hai .

63Some children have had visions. 64The Father protects those who remember Him very well.

59Duśhman kō bhayaṅkar rūp dikhākar bhagā dētē haĩ .

65He shows a fearsome form to enemies and makes them run away.

60Tumkō jab tak śharīr hai , tab tak yōg mē̃ rahnā hai .

66For as long as you have those bodies, you have to stay in yoga.

61Nahī̃ tō sajāyē̃ khānī paṛē̃gī .

67Otherwise, there will have to be punishment.

62Baṛē ādmī kā bachchā sajā khātā hai tō unkā kāndh nīchē hō jātā hai .

68When the child of an eminent person is being sentenced, he has to look down.

63Tumkō bhī kāndh nīchē karnā paṛēgā .

69You too will have to look down.

64Bachchō̃ kē liē tō aur kaṛī sajāyē̃ haĩ .

70For the children, the punishment is even more severe.

65Kōī aisē bhī haĩ jō kahtē abhī tō māyā kā sukh lē lēvē̃ , jō hōgā sō dēkhā jāyēgā .

71There are even such children who say: Well, let me take the happiness of Maya at this time. 72I will see about whatever is to happen later.

66Bahutō̃ kō is purānī duniyā K|kē sukh mīṭhē lagtē haĩ .

73Many find the happiness of this old world very sweet.

67Yahā̃ tō sukh-duḥkh , mān-apmān . . . sab sahan karnā paṛtā hai .

74Here, you have to tolerate happiness and sorrow, respect and disrespect.

68Ūñch prāpti agar chāhtē hō tō follow karnā chāhiē , mā̃ bāp K|kē pharmān par chalnā chāhiē .

75In order to achieve elevated attainments, you have follow the Mother and Father. 76You should follow the directions of the Mother and Father.

69Apnī mat mānā rāvaṇ key|kī mat .

77Your own dictates mean the dictates of Ravan.

70Sō tō takdīr kō lakīr lagānē key|kī hī nikalēgī .

78They would only be those that cross out your fortune.

71Bāp sē pūchhē̃gē tō bābā jhaṭ kahē̃gē - yah āsurī mat hai .

79If you ask the Father, Baba will quickly tell you: Those directions are devilish.

72Śhrīmat nahī̃ hai .

80That is not shrimat.

73Kadam-kadam par śhrīmat chāhiē .

81You need shrimat at every step.

74Dēkhnā hai kahā̃ ulṭā kām kar bāp key|kī nindā tō nahī̃ karātē  ?

82You should check that you are not performing wrong actions and giving the Father a bad name.

75Dēvī-dēvtā tab banē̃gē jab aisē lakṣhaṇ hōṅgē .

83You will become deities when you have such qualifications.

76Aisē nahī̃ vahā̃ automatically lakṣhaṇ ā jāyēṅgē .

84It isn't that you will automatically have those qualifications when you go there.

77Yahā̃ bahut mīṭhī chalan chāhiē .

85Your behaviour has to be very sweet here.

78Agar samjhō śhivbābā nē nahī̃ , brahmā bābā nē kahā tō bhī responsible yah rahēgā nā  !

86Even if Brahma Baba, and not Shiv Baba, said something, it is that One who is responsible.

79Agar kuchh nuksān bhī huā tō harjā nahī̃ .

87Even if there is some harm done, it doesn't matter.

80Yah drama mē̃ thā tō tumhārē par kōī dōṣh nahī̃ .

88That was fixed in the drama and so you cannot be blamed.

81Avasthā bahut achchhī chāhiē .

89A very good stage is needed.

82Bhal tum yahā̃ baiṭhē hō , buddhi mē̃ yahī rahē ki ham brahmāṇḍ K|kē mālik vahā̃ K|kē rahnē vālē haĩ .

90Although you are sitting here, let it remain in your intellects that you are the masters of Brahmand and also the residents of that place.

83Is rīti ghar mē̃ rahtē , dhandhā kartē , uparām hōtē jāyēṅgē .

91Stay at home and continue to do your business in this way and you will continue to remain beyond.

84Jaisē sannyāsī gr̥ihastha sē uparām hō jātē haĩ . 85Tum tō sārī purānī duniyā sē uparām hōtē hō .

92Just as sannyasis go beyond households, so you also go beyond the whole of the old world.

86Us haṭhyōg sannyās aur is sannyās mē̃ rāt din kā fark hai .

93There is the difference of day and night between the renunciation of hatha yoga and this renunciation.

87Yah rājyōg bāp sikhlātē haĩ .

94The Father teaches this Raja Yoga.

88Sannyāsī sikhlā na sakē̃ kyōṅki mukti-jīvanmukti dātā hai hī ēk .

95Sannyasis cannot teach it because the Bestower of liberation and liberation-in-life is only the One.

89Sabhī key|kī mukti ab hōnī hai kyōṅki sab vāpis jānē haĩ .

96Everyone is now to have liberation because you now have to return home.

90Sādhū lōg sādhnā kartē haĩ ki ham vāpis jāyē̃ .

97Sages make spiritual endeavour to go back.

91Yahā̃ duḥkhī haĩ .

98You are unhappy here.

92Kōī phir kahtē haĩ ham jyōti-jyōt mē̃ samāyē̃ . 93Anēk mat haĩ .

99Some then say that they want to merge into the light.

94Bābā nē samjhāyā hai ki kōī-kōī bachchē haĩ jinhō̃ kō purānē sambandhī bhī yād ātē haĩ .

100There are innumerable opinions. 101Baba has explained that there are some children who still remember their relatives.

95Us duniyā K|kē sukhō̃ key|kī āśh huī aur yah marā .

102When you want the happiness of this world, you die.

96Phir uskā pair yahā̃ ṭhahar na sakē .

103In that case, their feet wouldn't be able to stay here.

97Māyā bahut lālach dētī hai .

104Maya gives many temptations.

98Ēk kahāvat hai «  bhagvān kō yād karō nahī̃ tō bāj ā jāyēgā ' ' yah māyā bhī bāj misal war|vār kartī hai .

105There is a saying: "Remember God, otherwise the eagle will come.” 106Maya too will attack you like an eagle.

99Ab jabki bāp āyē haĩ tō abhī bhī puruṣhārth kar ūñch pad nahī̃ pāyā tō kalp-kalpāntar bhī nahī̃ pāyēṅgē .

107Now that the Father has come, you should make effort to claim a high status. 108Otherwise, you won't receive it cycle after cycle.

100Yahā̃ bāp kē pās tō tumkō kōī duḥkh nahī̃ hai , tō purānī duḥkh key|kī duniyā kō bhūlnā chāhiē nā .

109Here, you don't receive any sorrow from the Father. 110Therefore, you have to forget the old world of sorrow.

101Sārē din kā pōtāmēl dēkhnā chāhiē . 102Kitnā samay bāp kō yād kiyā  ?

111You should check your chart for the whole day: For how long did I remember the Father?

103Kiskō jīyadān diyā  ?

112Did I give the donation of life to anyone?

104Bāp nē tumkō bhī jīyadān diyā hai nā .

113The Father also gave you the donation of life, did He not?

105Satyug trētā tak tum amar rahtē hō .

114You remain immortal in the golden and silver ages.

106Yahā̃ kōī martā hai tō kitnā rōtē pīṭtē haĩ .

115When someone here dies, people weep and wail so much!

107Svarg mē̃ duḥkh kā nām nahī̃ .

116There is no mention of sorrow in heaven.

108Samajhē̃gē purānī khāl chhōṛ naī lētē haĩ .

117They would think that they are shedding their old skins and taking new ones.

109Yah misāl bhī tumsē lagtā hai aur kōī yah misāl dē nahī̃ saktē .

118This example applies to you. 119No one else can give this example.

110Vah thōṛēhī purānī khāl kō bhūltē haĩ .

120They do not forget their old skin.

111Vah tō paisē ikaṭṭhē kartē rahtē .

121They continue to save their money.

112Yahā̃ tum jō bāp kō dētē hō tō bāp khud thōṛēhī khātē vā apnē pās|pass rakhtē haĩ .

122Whatever you give to the Father here, He doesn’t use it or keep it for Himself; He sustains the children with it.

113Unsē bachchō̃ key|kī hī parvariśh kartē haĩ isliē yah sachchā-sachchā śhivbābā kā bhaṇḍārā hai , is bhaṇḍārē sē khānē vālē yahā̃ bhī sukhī tō janma-janmāntar sukhī rahtē haĩ .

123Therefore, this is Shiv Baba's true bhandara. 124Those who eat from this bhandara remain happy here and they will remain happy for birth after birth.

114Tumhārā yah janm bahut durlabh hai .

125This birth of yours is invaluable.

115Dēvtāī janm sē bhī tum yahā̃ sukhī hō kyōṅki bāp key|kī śharaṇ mē̃ hō .

126Here, you are even happier than in your deity birth, because you have taken refuge here with the Father.

116Yahā̃ sē hī tum athāh kamāī kartē hō jō phir janma-janmāntar bhōgē̃gē .

127You earn a lot of income here, which you will use for birth after birth.

117Sudāmē̃ kō bhī dō muṭṭhī kē badlē 21 janmō̃ kē liē mahal mil gayē .

128Sudama received a palace for 21 births in return for two handfuls of rice.

118Yah lōk bhī suhailā ( sukhī ) tō parlōk bhī suhailā , janma-janmāntar kē liē isliē yah janm bahut achchhā hai .

129He remained happy here, and also in the world beyond, for birth after birth. 130This is why this birth is very good.

119Kōī kahtē jaldī vināśh hō tō ham svarg mē̃ chalē̃ .

131Some say that if destruction takes place soon we can go to heaven.

120Parantu abhī tō bahut khajānā bāp sē lēnā hai .

132However, you still have to take many treasures from the Father.

121Abhī rājdhānī kahā̃ banī hai . 122Phir jaldī vināśh kaisē karāyēṅgē  !

133The kingdom has not yet been created, so how could destruction be made to take place soon?

123Bachchē abhī lāyak kahā̃ banē haĩ  !

134You children have not yet become worthy.

124Abhī tō bāp paṛhānē kē liē ātē rahtē haĩ .

135The Father still continues to come to teach you.

125Bābā key|kī service tō aparamapār hai .

136Baba's service is beyond limits.

126Bāp key|kī mahimā bhī aparamapār hai .

137The Father's praise is also limitless.

127Jitnā ūñch hū̃ , service bhī utnī ūñch kartā hū̃ , tab tō mērī yādgār hai .

138To the extent that I am elevated, the service I do is also just as elevated. 139That is why there is My memorial.

128Ūñch tē ūñch bābā key|kī gaddī hai jō jitnā puruṣhārth kartē haĩ , vah apnā bhāgya banātē haĩ .

140Baba's gaddi is the highest on high. 141Whatever effort each of you makes, you create your own fortune accordingly.

129Yah hai avināśhī gyān ratnō̃ key|kī kamāī , jō vahā̃ athāh dhan ban jātā hai .

142This income is that of the imperishable jewels of knowledge, which becomes limitless wealth there.

130Tō bachchō̃ kō puruṣhārth bahut achchhā karnā hai .

143Therefore, you children should make very good effort.

131Bāp kō yahā̃ bhī yād karō tō vahā̃ bhī yād karō .

144Remember the Father here and also there.

132Sīṛhī tō hai nā .

145There is this ladder.

133Dil darpaṇ mē̃ dēkhnā hai maĩ kitnā bāp kā sapūt bachchā hū̃ .

146Look in the mirror of your heart: To what extent am I a worthy child of Father?

134Andhō̃ kō rāstā batātā hū̃ .

147Do I show the path to the blind?

135Apnē sē bātē̃ karnē mē̃ khuśhī hōtī hai .

148You experience happiness talking to yourself.

136Jaisē bābā anubhav batātē haĩ - sōtā hū̃ tō bhī bātē̃ kartā hū̃ . 137Bābā āpkī tō kamāl hai .

149Baba shares his own experience: I speak to Baba even when I am sleeping: Baba, it is Your wonder.

138Bhakti mārg mē̃ phir ham āpkō bhūl hī jāyēṅgē .

150We will then forget You on the path of devotion.

139Itnā varsā āpsē pātē haĩ phir satyug mē̃ yah bhūl jāyēṅgē .

151We receive such an inheritance from You and we will then forget you in the golden age.

140Phir bhakti mārg mē̃ āpkā yādgār banāyēṅgē .

152Then we will build memorials to you on the path of devotion.

141Parantu āpkā occupation bilkul bhūl jātē haĩ .

153However, we completely forget Your occupation at that time.

142Jaisē buddhū , agyānī ban jātē haĩ .

154It is as though we become ignorant buddhus.

143Ab bāp nē kitnā gyānī banāyā hai .

155The Father has now made you so knowledgeable.

144Rāt din kā fark hai .

156There is the difference of day and night.

145Īśhvar sarvavyāpī hai , yah kōī gyān thōṛēhī hai .

157To say that God is omnipresent is not knowledge.

146Gyān tō sr̥iṣhṭi chakra kā chāhiē .

158You need the knowledge of the world cycle.

147Ab ham 84 kā chakra pūrā kar vāpis jātē haĩ phir hamkō jīvan-mukti mē̃ ānā hai .

159We are now completing the cycle of 84 births and are to return home and we will then have to go into liberation-in-life.

148Drama sē bāhar thōṛēhī nikal saktē haĩ .

160We cannot come out of the drama.

149Ham haĩ hī jīvanmukti K|kē rāhī .

161We are travellers to liberation-in-life.

150Achchhā  !

162Achcha.

151Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yādpyār aur good morning .

163Night Class: 16/12/1968 164Baba calls some children daughters and some mothers, so there definitely must be a difference.

152Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē . 153Rātri class - 16-12-68

165From the service of some, there is fragrance, whereas others are like uck flowers.

154Kiskō bābā bachchī kahtē haĩ , kiskō māiyā̃ kahtē haĩ  ; zarūr kuchh fark hōgā .

166The Father has explained: It is as though you are with Me.

155Kōī key|kī service sē khuśhbū ātī hai , kōī tō jaisē ak K|kē fool|phūl haĩ .

167The Father has come from up above to purify the world.

156Yah tō bāp nē samjhāyā hai tum jaisē hamārē sāth āyē hō .

168This is also your task. 169Those who come from there are at first pure.

157Ūpar sē bāp bhī āyē haĩ viśhva kō pāvan banānē .

170New ones who come must definitely be giving their fragrance.

158Tumhārā bhī yah kartavya hai .

171Comparison is also made to a garden.

159Vahā̃ sē jō pahlē ātē haĩ vah hai pavitra .

172As is the service, so is the fragrance of the flowers.

160Nayē ātē vah zarūr khuśhbū dētē hōṅgē . 161Bagīchē sē bhī bhēṇṭ kartē haĩ .

173The conscience says: As soon as you are called a child of Shiv Baba, you claim a right.

162Jaisī service vaisā khuśhbūdār fool|phūl .

174So, there should be that fragrance.

163Vivēk kahtā hai śhiv bābā kā bachchā kahlāyā aur hakdār banā .

175It is because you have a right that Baba says “Namaste”, to everyone.

164Tō vah khuśhbū ānī chāhiē . 165Hakdār hai tab tō sabhī kō namastē kartē haĩ .

176You definitely do become the masters of the world, but there is a lot of difference in how you study.

166Tum viśhva K|kē mālik bēśhak rahtē hō , parantu paṛhāī mē̃ phark tō bahut rahtā hai .

177There are both types of these. 178You children have the faith that this is Baba and you also have the cycle in your intellects.

167Yah hōnā bhī hai zarūr .

179So, the Father says: What more can I tell you?

168Bachchō̃ kō niśhchay hō jātā hai yah bābā hai , aur chakra bhī buddhi mē̃ hai .

180No one except the Father can make you into spinners of the discus of self-realisation.

169Tō bāp kahtē haĩ aur jāstī kyō̃ batāyē̃ .

181You become that with just a signal.

170Bāp bigar svadarśhan chakradhārī kōī banā na sakē .

182Those who became that in the previous cycle will become that again.

171Bantē haĩ iśhārē sē .

183Many children come here.

172Jō kalp pahlē banē haĩ vahī bantē haĩ .

184There is so much assault because of purity.

173Ḍhēr K|kē ḍhēr bachchē ātē haĩ . 174Pavitratā kē ūpar kitnē atyāchār hōtē haĩ  !

185The one through whom the Father speaks the Gita is insulted so much.

175Jis dvārā bāp gītā sunātē haĩ unkō kitnī gāliyā̃ dētē haĩ . 176Śhivbābā kō bhī gālī dētē haĩ .

186Shiv Baba is also insulted so much. 187To say that He incarnates in a fish and a crocodile is also insulting Him, is it not?

177Kachchha , machchha avatār kahnā bhī tō gālī hai nā  !

188Because of not having knowledge, they accuse you so much!

178Na jānnē K|kē kāraṇ bāp par , tumhārē par kitnē kalaṅk lagātē haĩ  ! 179Bachchē kitnā māthā mārtē haĩ . 180Paṛhāī sē kōī tō bahut sāhūkār hō jātē haĩ , kitnā kamātē haĩ  !

189Children beat their heads so much. 190Some become very wealthy by studying; they earn so much; they receive two to four thousand for just one operation, whereas others are not even able to take care of their family.

181Ēk-ēk operation K|kē dō hazār , 4 hazār mil jātē haĩ . 182Kōī tō kuṭumb key|kī pālnā bhī nahī̃ kar saktē . 183Phikra hai nā .

191It is something to worry about. 192Some claim a sovereignty for birth after birth, whereas others remain poor for birth after birth.

184Kōī janma-janmāntar bādśhāhī lētē haĩ .

193The Father says: I am making you sensible.

185Kōī janma-janmāntar K|kē liyē ġarīb bantē haĩ .

194Now, you would say for everything: Drama! 195It is everyone’s part.

186Bāp kahtē haĩ tumkō samajhdār banātē haĩ .

196Whatever happened in the past is the drama.

187Abhī tum sabhī bāt mē̃ kahē̃gē drama hai .

197Only that which is in the drama takes place.

188Sabhī kā part hai . 189Jō past huā sō drama .

198Whatever happens according to the drama is fine.

190Hōtā vahī hai jō drama mē̃ hai .

199No matter how much we explain, they do not understand.

191Drama anusār jō kuchh hōtā hai ṭhīk hai .

200Very good manners are needed for this.

192Tum kitnā bhī samjhāō , samajhtē hī nahī̃ haĩ , ismē̃ manners bhī achchhē chāhiē .

201Each one of you should check within yourself: Do I have any defects? 202Maya is very strong.

193Harēk apnē andar mē̃ dēkhē kōī khāmī tō nahī̃ hai  ?

203Maya has to be removed somehow. 204All defects have to be removed.

194Māyā bahut kaṛī hai . 195Unkō kaisē bhī nikālnā hai .

205The Father says: Those who are in bondage remember Me the most.

196Sabhī khāmiyā̃ nikālnī hai .

206They are the ones who claim a good status.

197Bāp kahtē haĩ bāndhēliyā̃ sabhī sē jāstī yād mē̃ rahtī haĩ .

207The more they are beaten, the more they stay in remembrance. 208“O Shiv Baba!” emerges from them.

198Vahī achchhā pad pātī haĩ .

209They remember Shiv Baba with knowledge.

199Jitnā jāstī mār khātī haĩ utnā jāstī yād mē̃ rahtī haĩ .

210Their charts are also good. 211Those who come here having been beaten also do good service.

200Hāy śhivbābā nikalēgā .

212They do very good service to make their lives good.

201Gyān sē śhivbābā kō yād kartē haĩ .

213If they don’t do service, their consciences would bite.

202Unhō̃ kā chart achchhā rahtā hai .

214The heart desires that they go out on service.

203Aisē jō mār khākar ātē haĩ vah service mē̃ bhī achchhē lag jātē haĩ . 204Apnā jīvan ūñch banānē liyē achchhī service kartē haĩ .

215Although they understand that they will have to leave their centre to go on service, there is a lot of service to be done at the exhibitions.

205Service na karē̃ tō dil khātī hai . 206Dil ṭapaktī hai ham jāvē̃ service par .

216Therefore, you should not be concerned about the centre, but run to do service.

207Bhal samajhtē haĩ centre chhōṛkar jānā paṛtā hai , parantu pradarśhanī mē̃ service bahut hai tō centre key|kī bhī parvāh na kar yah bhāgnā chāhiē .

217The more we donate, the more we will fill ourselves with power. 218You definitely have to donate. 219These are the imperishable jewels of knowledge.

208Jitnā ham dān karē̃gē utnā bal bhī bhartā rahēgā .

220Those who have them will also donate them.

209Dān bhī zarūr karnā hai nā . 210Yah haĩ avināśhī gyān ratna , jinkē pās|pass hōṅgē vahī dān karē̃gē .

221You children should now be able to remember the knowledge of the beginning, the middle and the end of the whole world.

211Bachchō̃ kō ab sārī sr̥iṣhṭi K|kē ādi , madhya , ant kā gyān yād ā jānā chāhiē .

222The whole cycle should rotate in your intellects. 223The Father also knows the beginning, middle and end of this world.

212Sārā chakra phirnā chāhiē .

224He is definitely the Ocean of Knowledge.

213Bāp bhī is sr̥iṣhṭi K|kē ādi , madhya , ant kō jānnē vālā hai .

225He knows the world cycle. 226This knowledge is completely new for the world and it never becomes old.

214Zarūr gyān kā sāgar hai . 215Sr̥iṣhṭi K|kē chakra kō jānnē vālā hai .

227It is wonderful knowledge and only the Father tells it to us.

216Yah duniyā kē liē bilkul nayā gyān hai , jō kab purānā bantā hī nahī̃ hai .

228No matter how much of a saint or great soul someone is, none of them is able to climb up the ladder.

217Wonderful knowledge hai nā jō bāp hī batātē haĩ .

229Only the Father, no human being, can grant liberation and salvation.

218Kōī kitnā bhī sādhū-mahātmā hō sīṛhī chaṛhkar ūpar tō jātā hī nahī̃ .

230Neither human beings nor deities can give those. 231Only the one Father can give those.

219Sivāy bāp K|kē manuṣhya gati-sadgati dē na sakē .

232There has to be expansion day by day.

220Na manuṣhya , na dēvtā dē saktē haĩ . 221Sirph ēk bāp hī dē saktē haĩ . 222Din-pratidin vr̥iddhi hōnī hī hai .

233Baba has said: You should have the pictures of Lakshmi and Narayan and the ladder in a “translight” form in the touring exhibition.

223Bābā nē kahā thā prabhāt-phērī mē̃ yah lakṣhmī-nārāyaṇ kā chitra , sīṛhī translight kā bhī hōnā chāhiē .

234There should be something electrical through which there is always a light shining. 235Also continue to speak the slogans.

224Bijlī key|kī aisī kōī chīz hō jissē chamak ātī rahē .

236Only the Supreme Father, the Supreme Soul, teaches Raja Yoga through the lucky chariot.

225Slōgan bhī bōltē jāō .

237You will hear such sounds. 238Achcha.

226Rājyōg parampitā paramātmā hī sikhā rahē haĩ bhāgīrath dvārā . 227Aur kōī bhī yah rājyōg sikhlā nahī̃ saktē , aisā-aisā āvāz bahut sunē̃gē .

239Good night to the sweetest children. 240To the sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

228Achchhā  ! 229Mīṭhē-mīṭhē bachchō̃ kō goodnight .

241The spiritual Father says namaste to the spiritual children.

Essence for dharna

230Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

242Essence for dharna:

2311 ) yah nāṭak ab pūrā hō rahā hai isliē is purānī duniyā sē uparām rahnā hai .

243 1. This play is now coming to an end. 244Therefore, remain beyond this old world.

232Śhrīmat par apnī takdīr ūñch banānī hai .

245Make your fortune elevated by following shrimat.

233Kabhī kōī ulṭā karma nahī̃ karnā hai .

246Never perform wrong actions.

2342 ) avināśhī gyān ratnō̃ key|kī kamāī karnī aur karānī hai .

247 2. Earn and inspire others to earn an income of the imperishable jewels of knowledge.

235Ēk bāp kī yād mē̃ rah sapūt bachchā ban anēkō̃ kō rāstā batānā hai .

248Stay in remembrance of the one Father, become a worthy child and show the path to many others.

Blessing

236Vardān  : tyāg aur tapasyā K|kē vātāvaraṇ dvārā vighna-vināśhak bannē vālē sachchē sēvādhārī bhav

249Blessing: May you be a true server and become a destroyer of obstacles and create an atmosphere of renunciation and tapasya.

237Jaisē bāp kā sabsē baṛē sē baṛā title hai world servant .

250 The Father’s biggest title is: World Servant.

238Vaisē bachchē bhī world servant arthāt sēvādhārī haĩ .

251In the same way, children are also world servants, that is, servers.

239Sēvādhārī arthāt tyāgī aur tapasvī .

252A server means a renunciate and a tapaswi.

240Jahā̃ tyāg aur tapasyā hai vahā̃ bhāgya tō unkē āgē dāsī K|kē samān ātā hī hai .

253When someone has renunciation and tapasya, fortune comes in front of that one like a servant.

241Sēvādhārī dēnē vālē hōtē haĩ , lēnē vālē nahī̃ isliē sadā nirvighna rahtē haĩ .

254Servers are those who give, not those who take and they therefore remain constantly free from obstacles.

242Tō sēvādhārī samajhkar tyāg aur tapasyā kā vātāvaraṇ banānē sē sadā vighna-vināśhak rahē̃gē .

255By considering yourself to be a server and creating an atmosphere of renunciation and tapasya, you will constantly be a destroyer of obstacles.

Slogan

243Slōgan  : kisī bhī paristhiti kā sāmnā karnē kā sādhan hai-sva sthiti key|kī śhakti .

256Slogan: The way to face any situation is to use the power of your own stage.

257*** Om Shanti ***