सोमवार 30 जनवरी 2023 की दैनिक मुरली

ध्यान दें: वाक्यों का संरेखण अक्षरों की संख्या पर आधारित है और पूरी तरह विश्वसनीय नहीं है।

आप पूरी मुरली या उसके किसी भाग का वाक्य संरेखण स्वयं सुधार सकते हैं।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

030-01-2023 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

0 30/01/23 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē bachchē - tum īśhvarīy santān hō , tumhārā yah amūlya jīvan hai , tumhārā īśhvarīy kul bahut hī śhrēṣhṭh hai .

1Essence: Sweet children, you are God’s children and this is your invaluable life. 2Your Godly clan is the most elevated.

2Svayã bhagvān nē tumhē̃ adopt kiyā hai , isī naśhē mē̃ rahō ' '

3Maintain the intoxication that God Himself has adopted you.

Question

3Praśhna  : śharīr kā bhān ṭūṭ jāē - uskē liē kis abhyās key|kī āvaśhyaktā hai  ?

4Question: What do you need to practise in order to break the consciousness of your bodies?

Answer

4Uttar  : chaltē phirtē abhyās karō ki is śharīr mē̃ ham thōṛē time kē liē nimitt mātra haĩ . 5Jaisē bāp thōṛē samay kē liē śharīr mē̃ āyē haĩ aisē ham ātmā nē bhī śhrīmat par bhārat kō svarg banānē kē liē yah śharīr dhāraṇ kiyā hai .

5Answer: 1.While walking or moving around, practise being aware that you are in your present bodies for this short time in name only. 6Just as the Father has entered a body for a short time, in the same way, you souls have also adopted those bodies in order to make Bharat into heaven by following shrimat. 7Remember the Father and the inheritance and the consciousness of your bodies will then break.

6Bāp aur varsā yād rahē tō śharīr kā bhān ṭūṭ jāyēgā , iskō hī kahā jātā hai second mē̃ jīvanmukti . 72 - amr̥itvēlē uṭh bāp sē mīṭhī-mīṭhī bātē̃ karō tō śharīr kā bhān khatm hōtā jāyēgā .

8This is called liberation-in-life in a second. 92. Wake up at amrit vela and have a sweet conversation with the Father and the consciousness of your bodies will end.

Song

8Gīt  : ōm namō śhivāē …

10Song: Salutations to Shiva.

Murli

9Ōm śhānti .

11Om shanti.

10Bhagvān hōtā hī hai ēk jō bāp bhī hai , bachchō̃ kō samjhāyā gayā hai - ātmā kā rūp kōī itnā baṛā liṅg nahī̃ hai .

12God is only One and He is also the Father. 13It has been explained to you children that the form of a soul is not a huge, oval-shaped light (lingam).

11Ātmā tō bahut chhōṭī star misal bhrakuṭī kē bīch mē̃ hai .

14A soul is a very tiny dot; it is like a star sparkling in the centre of the forehead.

12Kōī itnā baṛā jyōrtiliṅgam nahī̃ hai , jaisē mandirō̃ mē̃ rakhā huā hai .

15It is not a huge, oval-shaped light like those in the temples; no.

13Nahī̃ . 14Jaisē ātmā vaisē paramātmā bāp hai .

16As is a soul, so is the Father, the Supreme Soul.

15Ātmā kā rūp manuṣhya jaisā nahī̃ hai .

17The form of a soul is not like that of a human being.

16Ātmā tō manuṣhya tan kā ādhār lēnē vālī hai . 17Ātmā hī sab kuchh kartī hai .

18It is the soul that takes the support of a human body; the soul does everything.

18Saṅskār sab ātmā mē̃ haĩ .

19Sanskars are in each soul.

19Ātmā star hai .

20A soul is a star.

20Ātmā hī achchhē vā burē saṅskārō̃ anusār janma lētī hai .

21A soul takes birth according to his good or bad sanskars.

21Tō in bātō̃ kō achchhī rīti samajhnā hai .

22Therefore, you have to understand these things very clearly.

22Mandirō̃ mē̃ liṅg rakhā huā hai isliē samjhānē kē liē ham bhī śhivliṅg dikhātē haĩ .

23People place a lingam in the temples. 24So, in order to explain to them, we too show a Shiva lingam.

23Iskā nām śhiv hai , bigar nām K|kē kōī chīz hōtī nahī̃ .

25That One is called Shiva. 26There can be nothing without a name or form.

24Kuchh na kuchh ākār hai .

27Everything definitely has some form.

25Bāp hai paramdhām mē̃ rahnē vālā .

28The Father is the Resident of the supreme abode (paramdham).

26Paramātmā bāp kahtē haĩ jaisē ātmā śharīr mē̃ ātī hai vaisē mujhē bhī ānā paṛtā hai , nark kō svarg banānē .

29The Father, the Supreme Soul, says: Just as a soul enters a body, I too have to enter a body in order to change hell into heaven.

27Bāp key|kī mahimā sabsē nyārī hai .

30The Father’s praise is unique.

28Abhī tum bachchē jāntē hō , tum ātmāyē̃ āī hō yahā̃ part bajānē .

31You children now know that you have come here to play your parts.

29Yah bēhad kā anādi avināśhī drama hai , inkā kabhī vināśh nahī̃ hōtā .

32This is an eternal, imperishable, unlimited drama.

30Yah phirtā hī rahtā hai .

33It can never end; it continues to turn.

31Bāp rachtā bhī ēk hai , rachnā bhī ēk hai .

34There is one Creator and one creation.

32Yah bēhad sr̥iṣhṭi kā chakra hai .

35This is the cycle of the unlimited world.

334 yug haĩ .

36There are four ages.

34Dūsrā hai kalp kā saṅgamyug , jismē̃ hī bāp ākar patit duniyā kō pāvan banātē haĩ .

37The other age is the confluence of the cycles when the Father comes and changes the impure world into a pure world.

35Yah chakra phirtā rahtā hai .

38This cycle continues to turn.

36Tum bachchō̃ kō ab smr̥iti āī hai ki ham sab ātmāyē̃ paramdhām mē̃ rahnē vālī haĩ . 37Is karmakṣhētra par part bajānē āī haĩ .

39You children are now aware that all souls are residents of the supreme abode and that you came onto this field of action to play your parts.

38Is bēhad K|kē drama kō repeat hōnā hai .

40This unlimited drama has to repeat.

39Bāp hai bēhad kā mālik .

41The Father is the Master of the unlimited.

40Us bāp key|kī aparamapār mahimā hai .

42There is unlimited praise of that Father.

41Aisī mahimā aur kōī key|kī nahī̃ hai .

43This praise cannot belong to anyone else.

42Vah manuṣhya sr̥iṣhṭi kā bīj-rūp hai .

44He is also the Seed of the human world tree.

43Sabkā father hai .

45He is the Father of all.

44Bāp kahtē haĩ maĩ parāī rāvaṇ key|kī duniyā mē̃ ātā hū̃ .

46The Father says: I enter Ravan’s foreign world.

45Ēk taraph hai āsurī guṇō̃ vālī sampradāy . 46Dūsrī taraph hai daivīguṇō̃ vālī sampradāy , inkō kanspurī bhī kahtē haĩ .

47On one side, there is the community of those who have devilish traits and on the other side, there is the community of those who have divine virtues.

47Kaṅs asur kō kahā jātā hai .

48This world is called the land of Kans (devil).

48Śhrīkr̥iṣhṇa kō dēvtā kahā jātā hai .

49Kans is called a devil whereas Krishna is called a deity.

49Ab bāp āyē haĩ dēvtā banānē aur sabkō vāpis lē jānē , aur kōī key|kī tākat nahī̃ .

50The Father has now come to make you into deities and take you back. 51No one else has the strength to do this.

50Bāp hī baiṭh bachchō̃ kō śhikṣhā dē daivī guṇ dhāraṇ karātē haĩ .

52The Father sits here and gives you teachings and inspires you to imbibe divine virtues.

51Yah bāp key|kī hī farjaadāī hai .

53This is the Father’s duty.

52Bāp kahtē haĩ jab sabhī tamōpradhān hō jātē haĩ , mujhē bhūl jātē haĩ , na sirph bhūl jātē haĩ parantu mujhē patthar ṭhikkar mē̃ ṭhōk dētē haĩ , itnī glānī kar dētē haĩ tab tō maĩ ātā hū̃ .

54The Father says: When everyone becomes tamopradhan, they forget Me. 55Not only do they forget Me, they also put Me into pebbles and stones. 56It is only when they defame Me to this extent that I come.

53Mērē jaisī glānī kiskī nahī̃ kartē , tab tō maĩ ākar tumhārā liberator bantā hū̃ .

57No one else is defamed as much as I am. 58This is why I come as your Liberator.

54Sabkō machchharō̃ sadr̥iśhya lē jāūṅgā .

59I will take all of you back like a swarm of mosquitoes.

55Aur kōī aisē kah na sakē ki manmanābhav , mujh apnē parampitā paramātmā kō yād karō tō tumhārē vikarma vināśh hōṅgē .

60No one else can say: Focus your mind on Me (Manmanabhav), the Supreme Father, the Supreme Soul, and your sins will be absolved.

56Śhrīkr̥iṣhṇa tō kah na sakē .

61Shri Krishna cannot say this.

57Paramātmā key|kī mahimā tō bachchē jāntē haĩ .

62You children know the praise of the Father.

58Vah gyān kā sāgar , sukh kā sāgar hai .

63He is the Ocean of Knowledge, the Ocean of Happiness.

59Phir second number mē̃ hai brahmā , viṣhṇu , śhaṅkar .

64Then Brahma, Vishnu and Shankar are the second number.

60Brahmā dvārā sthāpanā kaun karēgā  ?

65Who carries out establishment through Brahma?

61Kyā śhrīkr̥iṣhṇa  ?

66Would it be Shri Krishna?

62Parampitā paramātmā śhiv baiṭh samjhātē haĩ ki pahlē-pahlē hamkō chāhiē brāhmaṇ . 63Tō brahmā dvārā brāhmaṇ mukh vaṅśhāvalī rachtā hū̃ .

67The Supreme Father, the Supreme Soul, sits here and explains that, first of all, He needs Brahmins, and so He creates Brahmins, the mouth-born creation, through Brahma.

64Vah haĩ kukh vaṅśhāvalī .

68Those brahmins are a creation born through sin.

65Tum ab saṅgam mē̃ brahmā key|kī santān hō .

69At the confluence age, you are the children of Brahma.

66Bāp ākar śhūdra sē brāhmaṇ banātē haĩ .

70The Father comes and changes you from shudras into Brahmins.

67Abhī tum hō īśhvarīy kul K|kē .

71At this time, you belong to God’s clan.

68Īśhvar huā nirākār , brahmā huā sākār .

72God is incorporeal whereas Brahma is corporeal.

69Bāp pahlē-pahlē brāhmaṇ phir dēvtā banātē haĩ .

73First, the Father creates Brahmins, then deities and then warriors.

70Dēvtā kē bād kṣhatriya . . . yah chakra phirtā rahtā hai .

74This cycle continues to turn. 75Other religions emerge later.

71Phir insē aur dharm nikalē haĩ .

76Bharat is the main place.

72Mūl hai bhārat , yah bhārat avināśhī khaṇḍ hai , jahā̃ bāp ākar svarg banātē haĩ .

77This Bharat is an imperishable land where the Father comes and creates heaven.

73Vah bāp bhī hai , teacher bhī hai , tumhārā satgurū bhī hai .

78He is the Father, the Teacher and also the Satguru.

74Unkō phir sarvavyāpī kaisē kah saktē .

79How could He be omnipresent?

75Vah tō tumhārā bāp hai .

80He is your Father.

76Is duniyā mē̃ sivāē tum brāhmaṇō̃ K|kē kōī trikāldarśhī hō nahī̃ saktā .

81No one in this world, apart from you Brahmins, can be a knower of the three aspects of time.

77Tum bachchē samajhtē hō parampitā paramātmā kē sāth ham paramdhām K|kē rahnē vālē haĩ .

82You children understand that you reside with the Supreme Father, the Supreme Soul, in the supreme abode.

78Phir number-vār karmakṣhētra par ātē haĩ . 79Phir pichhāṛī mē̃ ham hī jātē haĩ . 8084 janm pūrē lēnē haĩ .

83Then you come down, numberwise, onto this field of action and then, after completing your 84 births, you return there.

81Bāp samjhātē haĩ - tumnē kitnē janma liē aur kaisē varṇō mē̃ āyē . 82Yah chakra chaltā rahtā hai .

84The Father explains how you go into the different castes and how many births you take while the cycle continues to turn.

83Abhī tum hō īśhvarīy sampradāy , yah tumhārā amūlya jīvan hai jabki tum īśhvarīy santān banē hō .

85You now belong to God’s community. 86This is your invaluable life. 87You have now become God’s children.

84Brahmā dvārā bāp ākar adopt kartē haĩ .

88The Father comes and adopts you through Brahma.

85Bāp hai svarg kā rachayitā tō khud hī ākar svarg kā mālik bhī banātē haĩ .

89The Father is the Creator of heaven, so He Himself comes and makes you into the masters of the world.

86Ab sārē viśhva mē̃ śhānti sthāpan karnā - yah bāp kā hī kām hai .

90It is the task of the Father alone to establish peace over the whole world.

87Bāp kahtē haĩ mērā part hai , maĩ tumkō phir sē rājyōg sikhlātā hū̃ , jissē tum ever healthy banē̃gē .

91The Father says: This is My part. 92Once again, I have come to teach you Raja Yoga through which you become ever healthy.

88Jaisē dēvtā banē thē , phir ab repeat hōtā hai .

93You become deities and everything then repeats.

89Yah sapling lag rahā hai .

94The sapling is being planted.

90Bāp bāgvān hai , in dvārā kalam lagā rahē haĩ .

95The Father is the Master of the Garden and is planting the sapling through this one.

91Bāp sammukh baiṭh samjhātē haĩ - mērē sikīladhē bachchē , bahut samay sē bichhuṛē huē bachchē , yād hai nā - mainnē tumkō svarg mē̃ bhējā thā . 92Phir tum 84 kā chakra lagākar ab ākar milē hō .

96The Father personally sits here with you and says: My long-lost and now-found children, My children who have been separated for a long time, do you remember how I sent you to heaven and how you went around the cycle of 84 births? 97You have now come to Me.

93Ab apnē kō ātmā samajh mujh bāp kō yād karō .

98Therefore, consider yourselves to be souls and remember Me, your Father.

94Tumkō vāpis jarūr lē jānā hai .

99You definitely have to return home.

95Tum chāhō na chāhō lē jarūr jānā hai .

100Whether you want to go or not, I will definitely take you back.

96Pahlē ādi sanātan daivī rājya chalā phir āsurī rājya chalā .

101First, there was the original eternal deity religion and then there was the devilish kingdom.

97Daivī rājya kē bād pavitratā tō chalī gaī phir single tāj hō gayā , ab tō prajā kā prajā par rājya hai phir daivī rājya kī sthāpanā hō rahī hai .

102When the kingdom of the deities ended, there was no longer any purity. 103Therefore, you became those with a single crown. 104It is now the rule of people over people.

98Āsurī rājya K|kē vināśh kē liē is rūdra yagya sē yah vināśh jvālā prajvalit huī hai .

105The kingdom of the deities is being established once again. 106The flames of destruction are now being ignited from this sacrificial fire.

99Tum patit sr̥iṣhṭi par thōṛēhī rājya karē̃gē .

107You will not rule an impure world. 108It is now the confluence age.

100Abhī hai saṅgam . 101Satyug mē̃ tō aisē nahī̃ kahē̃gē .

109You will not say this in the golden age.

102Abhī tum bachchē puruṣhārth kar rahē hō .

110You children are now making effort. 111Who is inspiring you?

103Karānē vālā kaun hai  ?

112The One who gives you shrimat.

104Śhrīmat dēnē vālā samarth , śhrēṣhṭh tē śhrēṣhṭh hai hī ēk bāp .

113The One who is the most powerful and elevated is the one Father.

105Vahī brahmā dvārā sthāpanā karā rahē haĩ .

114He is carrying out establishment through Brahma.

106Bāp kahtē haĩ maĩ bhārat kā most obedient servant hū̃ .

115The Father says: I am the most Obedient Servant of Bharat.

107Bhārat kō svarg banātā hū̃ .

116I make Bharat into heaven.

108Vahā̃ yathā rājā rānī tathā prajā sab sukhī rahtē haĩ .

117There, the kings and the subjects all remain happy.

109Natural beauty rahtī hai .

118There is natural beauty there.

110Lakṣhmī-nārāyaṇ kō dēkhō kitnē sundar haĩ .

119Just look how beautiful Lakshmi and Narayan are!

111Heavenly god father hai heaven sthāpan karnē vālā .

120Heavenly God, the Father, is the One who establishes heaven.

112Sārī duniyā mē̃ gītā kē liē kahtē haĩ śhrīkr̥iṣhṇa bhagvānuvāch .

121People of the whole world say that the Gita was spoken by God Shri Krishna.

113Parantu śhrīkr̥iṣhṇa tō kah na sakē manmanābhav , māmēkam yād karō tō vikarma bhasma hō̃ .

122However, Shri Krishna cannot say: Manmanabhav, constantly remember Me alone and your sins will be burnt away.

114Aur kōī upāya bhī nahī̃ hai .

123There is no other method.

115Gaṅgā tō patit-pāvnī hai nahī̃ .

124The water of the Ganges is not the Purifier.

116Vah thōṛēhī kahēgī ki māmēkam yād karō .

125That would not say: Remember Me alone.

117Yah tō ēk bāp hī baiṭh samjhātē haĩ .

126Only the one Father sits here and says this.

118Bāp ātmāō̃ sē bāt kartē haĩ .

127The Father speaks to souls.

119Bāp hī sabkā sadgati dātā hai .

128The Father alone is the Bestower of Salvation for All.

120Unkē mandir bhī haĩ .

129There are temples to Him.

121Dvāpar sē sab yādgār bannā śhurū hōtē haĩ .

130All the memorials are built to Him from the copper age onwards.

122Sōmnāth kā mandir hai , parantu vah kyā karkē gayē haĩ - yah kōī nahī̃ jāntē .

131There is also the Somnath Temple, but no one knows what He did here or when He came here.

123Vah śhiv śhaṅkar kō milā dētē haĩ .

132They have mixed Shiva and Shankar together.

124Ab kahā̃ śhiv paramdhām K|kē nivāsī aur kahā̃ śhaṅkar sūkṣhmavatan K|kē vāsī .

133There is so much difference between Shiva, the Resident of the supreme abode and Shankar, a resident of the subtle region!

125Kuchh bhī samajhtē nahī̃ .

134They don’t understand anything.

126Bāp kahtē haĩ kitnē bhī vēd śhāstra ādi kōī paṛhē , jap tap karē parantu mērē sē mil nahī̃ saktē .

135The Father says: No matter how many scriptures and Vedas people study, or how much penance and tapasya they do, none of them can meet Me.

127Bhal maĩ bhāvnā kā bhāṛā sabkō dētā hū̃ , parantu vah tō akhaṇḍ jyōti brahm kō hī paramātmā samajh lētē haĩ .

136Although I give everyone the return of their loving devotion (bhavna), they consider God to be the infinite light of brahm.

128Brahm kā sākṣhātkār hō parantu ussē kuchh bhī hā̃sil nahī̃ hōgā .

137Even if they do have a vision of brahm, nothing is achieved through that.

129Kōī kō hanūmān kā , kōī kō gaṇēśh kā sākṣhātkār karātā hū̃ , vah tō maĩ alpkāl kē liē manōkāmanā pūrṇ kartā hū̃ .

138I grant some a vision of Hanuman, others a vision of Ganesh and fulfil their desires for a temporary period.

130Alpkāl liē khuśhī tō rahtī hai . 131Parantu phir bhī sabkō tamōpradhān tō bannā hai .

139They become happy for a short time, but everyone still has to become tamopradhan.

132Chāhē sārā din gaṅgā mē̃ jākar baiṭh jāē̃ tō bhī tamōpradhān tō sabkō bannā hī hai .

140Even if they go and sit in the Ganges all day, they still have to become tamopradhan.

133Bāp kahtē haĩ bachchē pavitra banō tō pavitra duniyā kā 21 janm kē liē mālik banē̃gē .

141The Father says: Children, become pure and you will become the masters of the pure world for 21 births.

134Aur kōī satsaṅg nahī̃ jahā̃ itnī prāpti hō .

142There is no other satsang where there can be so much attainment.

135Bāp hī ākar rājyōg sikhlātē haĩ tō kitnā śhrīmat par chalnā chāhiē .

143The Father comes to teach you Raja Yoga. 144Therefore, you should follow His shrimat.

136Paṛhāī par dhyān dēnā chāhiē .

145You should pay attention to studying.

137Bāp śhrēṣhṭh tē śhrēṣhṭh mat dētē haĩ . 138Śhrīmat sē bhārat kō svarg banānā hai .

146The Father gives you the most elevated directions and, by following His shrimat, you make Bharat into heaven.

139Tumhē̃ drama K|kē rāz kō achchhī tarah sē samajhnā hai aur puruṣhārth karnā hai .

147You have to understand the secrets of the drama very clearly and make effort.

140Puruṣhārth kar aisā lāyak bannā hai .

148You have to make effort and become worthy.

141Tum bachchō̃ kō naśhā hōnā chāhiē ki ham bāp kē sāth svarg key|kī sthāpanā karnē āyē haĩ .

149You children should have the intoxication that you have come here to establish heaven with the Father.

142Ham vahā̃ K|kē rahvāsī haĩ .

150You are the residents of that place.

143Is śharīr mē̃ ham nimitt mātra haĩ thōṛē time kē liē .

151You are in your present bodies, just in name, for a short time.

144Bābā bhī thōṛē time kē liē āyē haĩ , is śharīr kā bhān ṭūṭ jānā chāhiē .

152Baba too has only come here for a short time. 153The consciousness of these bodies has to be broken.

145Apnē bāp aur varsē kō yād karō , iskō hī second mē̃ jīvanmukti kahā jātā hai .

154Remember the Father and the inheritance. 155This is known as liberation-in-life (jeevanmukti) in a second.

146Bāp kahtē haĩ maĩ āyā hū̃ sabkō vāpis lē jānē .

156The Father says: I have come to take everyone back.

147Ab tum apnē kō ātmā samajh savērē uṭhkar bābā kō yād karō .

157Now consider yourselves to be souls and wake up early in the morning and remember Baba.

148Unsē bātē̃ karō .

158Talk to Him.

149Tum jāntē hō hamārē 84 janm pūrē huē .

159You know that your 84 births are now ending.

150Ab ham īśhvarīy santān banē haĩ . 151Phir daivī santān , phir kṣhatriya santān banē̃gē .

160We have now become the children of God and we will become children of the deities and then children of the warriors.

152Bābā hamkō viśhva kā mālik banātē haĩ .

161Baba is making us into the masters of the world.

153Bābā key|kī baiṭh mahimā karō . 154Bābā āpnē tō kamāl kī hai .

162Sit and praise the Father: Baba, You have performed wonders.

155Kalp-kalp ākar hamkō paṛhātē hō .

163You come and teach us every cycle.

156Bābā āpkā gyān baṛā wonderful hai .

164Baba, this knowledge that You give us is so wonderful!

157Svarg kitnā wonderful hai .

165Heaven is so wonderful!

158Vah haĩ jismānī wonders , yah hai rūhānī bāp kā sthāpan kiyā huā wonder .

166Those wonders are physical, whereas this wonder is established by the spiritual Father.

159Bāp āyē haĩ śhrīkr̥iṣhṇapurī sthāpan karnē .

167The Father has come to establish the land of Shri Krishna.

160In lakṣhmī-nārāyaṇ nē yah prālabdh kahā̃ sē pāī  ?

168From whom did Lakshmi and Narayan attain their reward?

161Bāp dvārā .

169From the Father.

162Jagat ambā aur jagat pitā kē sāth bachchē bhī hōṅgē . 163Vah haĩ brāhmaṇ , jagat ambā tō brāhmaṇī thī . 164Vah hai kāmdhēnu .

170Together with the World Mother and the World Father, there must also be the children; they are Brahmins. 171The World Mother (Jagadamba) is a Brahmin.

165Sabkī manōkāmanāyē̃ pūrṇ kar dētī hai .

172She is Kamdhenu (the cow who fulfils everyone’s desires).

166Yah jagat ambā hī phir svarg key|kī mahārānī bantī hai . 167Kitnā wonderful rāz hai .

173She fulfils everyone’s desires. 174This one is Jagadamba and she then becomes the empress of heaven.

168Yah bāp apnī avasthā kō jamānē kē liē bhinn-bhinn yuktiyā̃ batātē rahtē haĩ .

175It is such a wonderful secret! 176The Father gives you many different methods to make your stage strong.

169Rāt kō jāgō . 170Bābā kō yād karō tō ant matī sō gati hō jāyēgī .

177Stay awake at night and remember Baba and your final thoughts will lead you to your destination.

171Agar pūrā puruṣhārth hōgā tō yād ṭhaharēgī .

178When you make full effort, you are able to stay in remembrance.

172Pass with honour hō jānā hai . 1738 kō hī scholarship miltī hai .

179You have to return home after having passed with honours.

174Sab kahtē haĩ - ham lakṣhmī-nārāyaṇ kō varē̃ , tō pās|pass hōkar dikhānā hai .

180Only eight win this scholarship. 181You all say that you will marry Lakshmi or Narayan.

175Apnē kō dēkhnā hai ki mērē mē̃ kōī bandarpanā tō nahī̃ hai  ?

182Therefore, you definitely first have to pass. 183Check that you don’t have any monkey behaviour.

176Uskō nikāltē jāō .

184Continue to remove it.

177Dēkhō , sārē din mē̃ kiskō duḥkh tō nahī̃ diyā  ?

185Check that you didn’t make anyone unhappy throughout the whole day.

178Bāp hai sabkō sukh dēnē vālā .

186The Father is the One who grants happiness to everyone.

179Bachchō̃ kō bhī aisā bannā hai .

187You children also have to become like Him.

180Vāchā , karmaṇā sē kōī kō bhī duḥkh nahī̃ dēnā hai .

188You must not cause anyone sorrow with your words or deeds.

181Sachchā-sachchā rāstā batānā hai .

189Show everyone the true path.

182Vah hai had K|kē bāp kā varsā . 183Yah hai bēhad K|kē bāp kā varsā , sō tō jiskō miltā hōgā vahī batāyēṅgē .

190Those inheritances are from limited fathers, whereas this unlimited inheritance is from the unlimited Father. 191Only those who receive it can tell you about it.

184Jō apnē dharm K|kē hōṅgē unhō̃ kō jhaṭ touch hōgā .

192Those who belong to your religion will instantly be touched by this.

185Bāp kahtē haĩ phir sē daivī dharm sthāpan karnē maĩ brahmā K|kē tan mē̃ ātā hū̃ .

193The Father says: I enter the body of Brahma once again in order to establish the kingdom of deities.

186Tum bachchō̃ key|kī buddhi mē̃ hai ki abhī ham brāhmaṇ haĩ phir dēvtā bannā hai .

194It is in the intellects of you children that, at this time, you are Brahmins and that you will then become deities.

187Pahlē sūkṣhmavatan mē̃ jākar phir śhāntidhām mē̃ jāyēṅgē .

195First, you will go to the subtle region and then to the land of peace.

188Vahā̃ sē phir naī duniyā mē̃ , garbh mahal mē̃ āyēṅgē .

196From there you will go to the new world, through the palace of a womb.

189Yahā̃ garbhajail mē̃ ātē haĩ .

197You come here through the jail of a womb.

190Inkō kahtē haĩ jhūṭhī māyā , jhūṭhī kāyā . . . bāp kahtē haĩ kitnī dharm glānī kī hai , śhiv jayantī manātē haĩ parantu śhiv kab āyā , kismē̃ pravēśh kiyā , yah kōī kō patā nahī̃ hai .

198It is said “False Maya, false body…” 199The Father says: People have defamed religion so much! 200They celebrate the birthday of Shiva, but they don’t know when Shiva came or whom He entered.

191Jarūr kōī śharīr mē̃ ākar nark kō svarg banāyā hōgā nā .

201He must definitely have entered someone’s body in order to make hell into heaven.

192Bāp bachchō̃ kō bahut achchhī rīti samjhātē haĩ aur rāy dētē haĩ apnā chart banāō . 193Sārē din mē̃ kitnā samay bāp kō yād kiyā  !

202The Father very clearly explains and advises you children: Keep your chart as to how long you remembered the Father throughout the whole day.

194Savērē uṭhkar bāp kō , varsē kō yād karō .

203Wake up early in the morning and remember the Father and your inheritance.

195Ham bēhad K|kē bāp kē sāth āyē haĩ . 196Guptavēṣh mē̃ bhārat kō svarg banānē .

204We have come to the unlimited Father in order to change Bharat into heaven in an incognito way.

197Ab hamkō vāpis jānā hai .

205We now have to return home.

198Jānē sē pahlē apnī rājdhānī jarūr sthāpan karnī hai .

206Before going back, we must definitely establish our kingdom.

199Ab tum hō saṅgam par . 200Bākī sārī duniyā hai kaliyug mē̃ .

207You are now at the confluence age, whereas the whole world is in the iron age.

201Tum saṅgamyugī brāhmaṇ hō .

208You are confluence-aged Brahmins.

202Bāp bachchō̃ kē liē saugāt lē ātē haĩ - mukti aur jīvanmukti key|kī .

209The Father has brought the gift of liberation and liberation-in-life for you children.

203Satyug mē̃ bhārat jīvanmukt thā , bākī sab ātmāyē̃ muktidhām mē̃ thī .

210In the golden age, when all other souls were in the land of liberation, those of Bharat were liberated in life.

204Bāp hathēlī par bahiśht lē ātē haĩ tō jarūr uskē liē lāyak bhī khud hī banāyēṅgē .

211The Father brings heaven on the palm of His hand for you, and so He Himself would definitely make you worthy for that.

205Achchhā  !

212Achcha.

206Mīṭhē mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt pitā bāpdādā kā yādpyār aur good morning .

213To the sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

207Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

214The spiritual Father says namaste to the spiritual children.

Essence for dharna

208Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

215Essence for dharna:

2091 ) sadā is naśhē mē̃ rahnā hai ki ham bāp kē sāth svarg key|kī sthāpanā kē nimitt haĩ .

216 1. Constantly stay in the intoxication of being the instruments who establish heaven with the Father.

210Bāp hamē̃ viśhva kā mālik banātē haĩ .

217The Father makes you into the masters of the world.

2112 ) bāp samān sukh dēnē vālā bannā hai .

218 2. Become those who give happiness like the Father.

212Kabhī kisī kō duḥkhī nahī̃ karnā hai .

219You must not cause anyone sorrow.

213Sabkō sachchā rāstā batānā hai .

220Show everyone the true path.

214Apnī unnati kē liē apnā chart rakhnā hai .

221In order to experience self-progress, keep a chart for yourself.

Blessing

215Vardān  : nimitt aur namrachit key|kī viśhēṣhtā dvārā sēvā mē̃ fast aur first number lēnē vālē saphaltāmūrt bhav

222Blessing: May you use your speciality of an instrument and of being humble and go fast and come the first number in service and become an embodiment of success.

216Sēvā mē̃ āgē baṛhtē huē yadi nimitt aur namrachit key|kī viśhēṣhtā smr̥iti mē̃ rahtī hai tō saphaltā svarūp ban jāyēṅgē .

223 While moving forward doing service, remain aware of your speciality of being an instrument and having humility and you will become an embodiment of success.

217Jaisē sēvāō̃ key|kī bhāg-dauṛ mē̃ hōśhiyār hō aisē in dō viśhēṣhatāō̃ mē̃ bhī hōśhiyār banō , issē sēvā mē̃ fast aur first hō jāyēṅgē .

224Just as you are clever in running around doing in service, in the same way, become clever with these two specialities. 225When you do this, you will go fast and come first in service.

218Brāhmaṇ jīvan key|kī maryādāō̃ key|kī lakīr K|kē andar rahkar , svayã kō rūhānī sēvādhārī samajhkar sēvā karō tō saphaltāmūrt ban jāyēṅgē .

226Do service while staying within the line of the codes of conduct of Brahmin life and by considering yourself to be a spiritual server, you will become an embodiment of success.

219Mēhnat nahī̃ karnī paṛēgī .

227You will not have to work hard.

Slogan

220Slōgan  : jō buddhi dvārā sadā gyān ratnō̃ kō dhāraṇ kartē haĩ vahī sachchē holy hans haĩ .

228Slogan: Those whose intellects always imbibe jewels of knowledge are true holy swans.

229*** Om Shanti ***