बुधवार 29 मार्च 2023 की दैनिक मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
ध्यान दें: वाक्यों का संरेखण अक्षरों की संख्या पर आधारित है और पूरी तरह विश्वसनीय नहीं है।
आप पूरी मुरली या उसके किसी भाग का वाक्य संरेखण स्वयं सुधार सकते हैं।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
029-03-2023 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban
0 29/03/23 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban
Essence
1 « mīṭhē bachchē - tumhārī yād uncommon hai , jisē tum in āṅkhō̃ sē dēkhtē nahī̃ , usē yād kartē hō aur uskī yād sē tumhārē vikarma vināśh hō jātē haĩ ' '
1Essence: Sweet children, your remembrance is uncommon. 2You remember the One whom you can’t see with your eyes and your sins are then destroyed.
Question
2Praśhna : kis ēk ādat kā tyāg karō tō sab guṇ svataḥ ātē jāyēṅgē ?
3Question: Which habit should you renounce so that all the virtues automatically develop?
Answer
3Uttar : ādhākalp sē dēh-abhimān mē̃ ānē key|kī ādat jō pakkī hō gaī hai , ab is ādat kā tyāg karō .
4Answer: You have been body conscious for half a cycle and that habit has become firm.
4Śhivbābā jō most beloved hai , usē yād karō .
5Now renounce that habit. 6Remember Shiv Baba who is the most beloved.
5Kōī bhī dēhdhārī key|kī yād na rahē tō sab qualification ā jāyēṅgī , defect nikal jāyēṅgē .
7When you don’t have remembrance of bodily beings, all qualifications will develop and all your defects will be removed.
6Ātmā pavitratā kā sāgar ban jāyēgī . 7Khuśhī kā pārā chaṛhā rahēgā .
8You souls will then become oceans of purity and your mercury of happiness will remain high.
8Sab guṇ svataḥ ātē jāyēṅgē .
9All virtues will automatically come to you.
Song
9Gīt : ōm namō śhivāē …
10Song: Salutations to Shiva.
Murli
10Ōm śhānti .
11Om shanti.
11Bachchō̃ nē apnē bēhad K|kē bāp key|kī mahimā sunī aur bachchō̃ kē āgē vah bēhad kā bāp sammukh baiṭhā hai .
12You children heard the praise of your unlimited Father and that unlimited Father is personally sitting in front of you children.
12Har ēk bachchē key|kī buddhi mē̃ yah jarūr ānā chāhiē ki ham us śhivbābā , jiskī yah mahimā hai , uskē sammukh baiṭhē haĩ aur unsē ham 21 janmō̃ kē liē sadā sukh kā varsā lē rahē haĩ .
13It should definitely enter the intellect of each one of you children that you are sitting personally in front of Shiv Baba, whose praise this is, and that you are claiming your inheritance of constant happiness for 21 births.
13Yah yād ānē sē hī khuśhī kā pārā chaṛhnā chāhiē .
14When you remember this, your mercury of happiness will rise high.
14Aisē nahī̃ , jis samay sāmnē suntē hō us samay yād rahē aur phir bhūl jāō .
15It shouldn’t be that you remember this when you are in front of Baba and that you then forget it.
15Nahī̃ , bhūlnā nahī̃ chāhiē .
16No; you shouldn’t forget.
16Bachchē jāntē haĩ ham phir sē apnā rājya-bhāgya lē rahē haĩ .
17You children know that you are claiming your fortune of the kingdom once again.
17Tō buddhi chalī jātī hai us nirākār bāp key|kī taraph .
18Therefore, your intellects go to that incorporeal Father.
18Unkō buddhi sē jānā jātā hai .
19You can know Him with your intellects.
19Din-rāt buddhi mē̃ yah yād rahnā chāhiē - ham bēhad K|kē bāp sē bhaviṣhya 21 janmō̃ kā varsā lē rahē haĩ .
20Day and night, you should remember that you are claiming an inheritance for your future 21 births from the unlimited Father.
20Niśhchay tō pakkā hōtā hī hai .
21Faith is always firm anyway.
21Laukik mā̃-bāp mē̃ niśhchay baiṭhā phir unmē̃ sanśhay thōṛēhī hō saktā hai .
22Since you have faith in your physical parents, you don't doubt them, do you?
22Parantu yah naī bātē̃ haĩ .
23However, these are new things.
23Buddhi sē bāp kō jānā jātā hai .
24You can know the Father with your intellects.
24Bachchē jāntē haĩ ki ham śhivbābā K|kē banē haĩ unsē hī varsā milnā hai .
25You children know that you now belong to Shiv Baba and that you are to receive your inheritance from Him.
25Ham kalp-kalp us bāp sē varsā pātē haĩ .
26We receive our inheritance from that Father every cycle.
26Buddhi mē̃ yād ātā hai .
27You remember Him with your intellects.
27Bābā āp dvārā hamkō phir sē rājāī mil rahī hai .
28Baba, we are once again receiving the kingdom from You.
28Ham hakdār haĩ .
29We have a right to it.
29Jabki hakdār haĩ tō jarūr bāp kō yād karnā hōgā .
30Since we have a right to it, we must definitely remember the Father.
30Laukik bāp sē varsā lētē haĩ . 31Vah tō bahut yād paṛ jātā hai .
31You claim an inheritance from your physical father and you remember that a great deal.
32Ismē̃ uncommon bāt yah hai jō bāp kō yād karnē sē hamārē pāp bhasma hōṅgē isliē bāp kō yād karnā paṛtā hai .
32The uncommon thing here is that your sins will be burnt away by remembering the Father. 33This is why you have to remember the Father.
33Laukik bāp kī yād tō automatically rahtī hai .
34You automatically remember your physical father.
34In āṅkhō̃ sē dēkhtē haĩ .
35You can see him with your eyes.
35Bachchā paidā hōtā aur mama bābā kahtā rahtā .
36After a child is born, he calls out: “Mama, Baba”.
36Yah bāp in āṅkhō̃ sē dikhāī nahī̃ paṛtā .
37This Father is not visible with these eyes.
37Buddhi sē yād karnā hai .
38You have to remember Him with your intellect.
38Ham śhivbābā key|kī brahmā dvārā santān banē haĩ aur 21 janmō̃ kā varsā pānē kē liē śhrīmat par puruṣhārth kartē rahtē haĩ .
39You have become the children of Shiv Baba through Brahma and you continue to make effort according to shrimat to claim your inheritance for 21 births.
39Ismē̃ pahlē-pahlē mukhya hai pavitratā .
40The main thing in this is purity.
40Jitnā yād karē̃gē buddhi pavitra hōtī jāyēgī .
41To the extent that you remember Him, so your intellects will accordingly become pure.
41Aisē nahī̃ samajhnā ham tō bachchē haĩ hī haĩ .
42Don't think that you are His children anyway.
42Bāp kō yād nahī̃ karē̃gē tō vikarma vināśh nahī̃ hōṅgē .
43If you don't remember the Father, your sins won't be destroyed.
43Bahut bachchē samajhtē haĩ ham tō bachchē haĩ aur bāp kō yād nahī̃ kartē .
44Many children believe that they are His children anyway, and so they don't remember the Father.
44Kahtē haĩ nā - mukh sē rām-rām kahō . 45Parantu is rām kā ( śhivbābā kā ) chitra tō hai nahī̃ , isliē manuṣhyō̃ kā buddhiyōg chalā jātā hai us rām taraph .
45People tell you to say : “Say, ‘Rama, Rama,’ with your mouth”, but they don't have a picture of this Rama (Shiv Baba). 46This is why their intellects’ yoga goes to that Rama.
46Sadgati dātā śhiv kō tō sabhī bhūlē huē haĩ .
47Everyone has forgotten Shiva, the Bestower of Salvation.
47Abhī tum jāntē hō śhivbābā āyā huā hai .
48You now know that Shiv Baba has come.
48Pahlē tō jarūr rachayitā śhivbābā āyā hōgā tab hī svarg key|kī rachnā rachī hōgī .
49First the Creator, Shiv Baba, must have come, for only then could He have created heaven.
49Unkē bād phir rām kā rājya chalā .
50After that, there was the kingdom of Rama.
50Ab tum satyug trētā mē̃ rājya karnē kē liē bāp sē varsā lē rahē hō .
51You are now claiming your inheritance from the Father to rule in the golden and silver ages.
51Yah buddhi mē̃ chalnā chāhiē .
52Your intellects on this should continue to work.
52Parampitā paramātmā śhiv ātē hī ēk bār haĩ .
53The Supreme Father, the Supreme Soul, Shiva, comes only once.
53Rām-sītā , lakṣhmī-nārāyaṇ ādi bhī ēk hī bār ātē haĩ .
54Rama, Sita, Lakshmi and Narayan also come only once.
54Bhal punarjanma lētē haĩ parantu nām , rūp , dēśh , kāl sabhī badal jātā hai .
55Although they take rebirth, their names, forms, times and places all change.
55Rām sītā bhī prālabdh bhōgnē liē punarjanma lētē haĩ .
56Rama and Sita also take rebirth to experience their reward.
56Yah gyān sārā buddhi mē̃ ṭapaknā chāhiē tō khuśhī rahēgī .
57All of this knowledge should trickle into your intellects and you will then remain happy.
57Kōī kō bhī samjhānā bahut sahaj hai .
58It is very easy to explain to anyone.
58Svarg K|kē rachayitā bāp sē tumkō is samay varsā mil saktā hai .
59You can receive your inheritance from the Father, the Creator of heaven, at this time.
59Bēhad K|kē bāp kō yād tō sabhī kartē haĩ .
60Everyone remembers the unlimited Father.
60Bāp naī sr̥iṣhṭi rachtā hai tō sabhī sukhī hō jātē haĩ .
61The Father creates a new world and so everyone becomes happy.
61Is samay tō sabhī duḥkhī haĩ .
62At this time, everyone is unhappy.
62Yah drama hī sukh duḥkh kā banā huā hai .
63This drama is created about happiness and sorrow.
63Sukh mē̃ kaun rājya kartē haĩ ?
64Who rules when there is happiness?
64Lakṣhmī-nārāyaṇ , phir trētā mē̃ rām sītā . . tum jāntē hō itnē varṣh is gharānē kā rājya chaltā hai .
65Lakshmi and Narayan and then, Rama and Sita in the silver age. 66You know that the kingdom of this clan continues for this many years.
65Kriściyan samajhē̃gē hamārē Christ nē rājāī rachī .
67Christians believe that their Christ created their kingdom.
66Phir Edward dī|the first , Edward dī|the second rājya kartē āyē .
68Edward the first and then Edward the second continued to rule that kingdom.
67Past hōtā jātā hai nā .
69It becomes the past.
68Bhāratvāsiyō̃ kō tō kuchh bhī patā nahī̃ hai .
70The people of Bharat do not know anything at all.
69Tum bachchē jāntē hō satyug mē̃ lakṣhmī-nārāyaṇ kā rājya thā jiskō hī heaven svarg kahā jātā hai , jō bāp hī sthāpan kartē haĩ .
71You children know that there used to be the kingdom of Lakshmi and Narayan in the golden age and that it was called heaven. 72Only the Father establishes that.
70Patit duniyā mē̃ āyē tab tō pāvan banāyē .
73Only when He comes into this impure world can He purify you.
71Yah yād rahnā chāhiē . 72Ham us bāp sē bēhad kā varsā lē rahē haĩ śhrīmat par aur dhārṇā kar rahē haĩ .
74You should remember that we are claiming our unlimited inheritance from that Father by following shrimat and imbibing knowledge.
73Yah bhūlnā nahī̃ chāhiē .
75You shouldn't forget this.
74Barōbar śhivbābā kalp pahlē bhī āyā thā , jiskā yādgār bhī hai .
76Truly, Shiv Baba also came in the previous cycle for there is His memorial.
75Ab vah phir sē āyā huā hai .
77He has now come once again.
76Pahlē ātē haĩ nirākār śhivbābā , vah ākar tumkō dēvī-dēvtā banātē haĩ .
78First, incorporeal Shiv Baba comes and then He changes you into deities.
77Satyug mē̃ lakṣhmī-nārāyaṇ practical mē̃ rājya karē̃gē . 78Phir bhakti mārg mē̃ pujārī ban chitra ādi banāyēṅgē .
79Lakshmi and Narayan will rule in the golden age in a practical way, and then they will become worshippers on the path of devotion and create images etc.
79Lakṣhmī-nārāyaṇ kā is samay kōī accurate chitra tō nahī̃ hai phir practical mē̃ āyēṅgē .
80There is no accurate image of Lakshmi and Narayan. 81They will exist in practical form.
80Ab śhiv-bābā tumkō practical mē̃ paṛhā rahē haĩ brahmā dvārā .
82Shiv Baba is now teaching you through Brahma in a practical way.
81Kitnī sīdhī bāt hai .
83These matters are so straightforward.
82Aur kōī bhī school mē̃ aisē nahī̃ kahē̃gē tumhārī ātmā paṛhtī hai , teacher key|kī ātmā hamkō paṛhātī hai .
84In no other school would they say that you souls are studying or that the soul of a teacher is teaching you.
83Vah sab manuṣhya , manuṣhya kō paṛhātē haĩ .
85There, human beings teach human beings.
84Vāstav mē̃ paṛhātī ātmā hai .
86In fact, it is a soul that teaches.
85Ātmā hī organs dvārā paṛhtī hai .
87It is a soul that studies through his organs.
86Ātmā kahtī hai maĩ ab barrister ban gayā hū̃ .
88The soul says: I have now become a barrister.
87Knowledge sē barrister bantē haĩ .
89He becomes a barrister through that knowledge.
88Yahā̃ tō hai wonderful bāt .
90These things here are wonderful.
89Nirākār śhivbābā nirākār ātmāō̃ sē bāt kar rahē haĩ .
91Incorporeal Shiv Baba is speaking to incorporeal souls.
90Ātmā mē̃ saṅskār rahtē haĩ .
92The sanskars remain in each soul.
91Manuṣhya yah bhūl jātē haĩ .
93People forget that.
92Nirākār bāp in dvārā samjhātē haĩ .
94The incorporeal Father explains through this one.
93Unkā ēk hī nām śhiv hai .
95He has just the one name, Shiva.
94Tum bhī kahtē hō śhivbābā , buddhi ūpar chalī jātī hai .
96You too say: Shiv Baba, and your intellects go upwards.
95Laukik bāp kō yād karnē sē śharīr yād ā jāyēgā .
97By remembering your physical fathers, you remember their bodies.
96Śhivbābā kā śharīr tō hai nahī̃ .
98Shiv Baba does not have a body.
97Paramātmā kā mandir hī nirākārī rūp kā hai .
99The temple of God is of the One with an incorporeal image.
98Ākārī dēvtāyē̃ haĩ , sākārī manuṣhya haĩ . 99Vah hai hī nirākār śhiv , tumhārī ātmā ab knowledgeful ban rahī hai .
100The deities (Brahma, Vishnu and Shankar) are subtle beings whereas human beings are corporeal beings. 101He is incorporeal Shiva. 102You souls are now becoming knowledge-full.
100Bāp kahtē haĩ maĩ nirākār hū̃ .
103The Father says: I am incorporeal.
101Mērē mē̃ sr̥iṣhṭi K|kē ādi-madhy-ant kā knowledge hai .
104I have the knowledge of the beginning, the middle and the end of the world.
102Maĩ tumkō paṛhātā hū̃ is mukh dvārā .
105I teach you through this one's mouth.
103Tum bhī mērē samān knowledgeful ban jāō .
106You too become knowledge-full, the same as I am.
104Yah knowledge sivāē nirākār bāp K|kē kōī dē nahī̃ saktā .
107No one except the incorporeal Father can give you this knowledge.
105Nirākār paramātmā kō hī knowledgeful , blissful , patit-pāvan kahā jātā hai .
108Incorporeal God is called knowledge-full, blissful and the Purifier.
106Bābā kahtē haĩ purānī duniyā kō badal naī duniyā maĩ hī banātā hū̃ .
109Baba says: It is I alone who change the old world and make it new.
107Jaisē mujh nirākār mē̃ sārē jhāṛ key|kī knowledge hai vaisē tum ātmāō̃ kō bhī banātā hū̃ .
110Just as I, the Incorporeal, have the knowledge of the whole tree, so I make you souls the same.
108Tumhārī ātmā bhī aisī knowledgeful bantī hai , tumkō āp samān banātā hū̃ .
111You souls also become knowledge-full in the same way. 112I make you equal to Myself.
109Is sr̥iṣhṭi K|kē ādi-madhy-ant key|kī knowledge sunnē sē tum chakravartī rājā-rānī banē̃gē .
113By listening to the knowledge of the beginning, the middle and the end of this world, you become rulers of the globe, kings and queens.
110Manuṣhya , manuṣhya kō dēvtā banā na sakē̃ .
114Human beings cannot make human beings into deities.
111Bāp hai gyān kā sāgar , pavitratā kā sāgar .
115The Father is the Ocean of Knowledge and the Ocean of Purity.
112Bachchō̃ kō āp samān banātē haĩ tō sab guṇ hōnē chāhiē .
116He makes you children equal to Himself, and so you should have all the virtues.
113Phir tum dēvtā banē̃gē tō qualification badal jāyēṅgī .
117Your qualifications will then change when you become deities.
114Bāp key|kī qualification alag hai , bāp gyān kā sāgar hai , tumkō bhī bannā hai .
118The qualifications of the Father are different. 119He is the Ocean of Knowledge and you also have to become that.
115Bāp pavitratā kā sāgar hai . 116Ham ādhākalp pavitra rahtē haĩ .
120The Father is the Ocean of Purity and we remain pure for half a cycle.
117Bāp kahtē haĩ drama anusār tum patit bantē hō phir maĩ ākar pāvan banātā hū̃ 21 janma liē .
121The Father says: According to the drama, you become impure and I then come and make you pure for 21 births.
118Sirph tum śhrīmat par chalō , ēk mujhē yād karō , dūsrā na kōī .
122You simply have to follow shrimat and remember Me and none other.
119Maĩ tumkō svarg kā mālik banātā hū̃ .
123I make you into the masters of heaven.
120Bāp kō bhūl aur kōī key|kī yād mē̃ rahē̃gē tō defected hō jāyēṅgē .
124If you forget the Father and remember anyone else, you will become defective.
121Śhivbābā hai most beloved , sabsē pyārā bāp hai .
125Shiv Baba is the most beloved. 126He is the loveliest Father.
122Tumhārā nām bhī gāyā huā hai vandē mātaram .
127Your name is remembered: Salutations to the mothers.
123Tumhārī ātmā pavitra bantī hai .
128You souls are becoming pure.
124Tum pavitra ban bhārat kō svarg banātē hō isliē tumhārā nām bālā hai śhiv śhakti pāṇḍav sēnā .
129You become pure and make Bharat into heaven and this is why your name, the Shiv Shakti Pandava Army, is very well known.
125Tum pāṇḍav bhī hō kyōṅki paramdhām key|kī yātrā par yuddha K|kē maidān mē̃ khaṛē hō , māyā par jīt pānē liē .
130You are also Pandavas because, while on the pilgrimage to the supreme abode, you are on a battlefield to conquer Maya.
126Bachchē jāntē haĩ hamkō bāp jaisā master gyān sāgar , pavitratā kā sāgar bannā hai .
131You children know that you have to become master oceans of knowledge and oceans of purity, like the Father.
127Dēh kā ahaṅkār ṭūṭ jānā chāhiē .
132The arrogance of the body has to break.
128Janma-janmāntar dēh dhāraṇ kī hai tō vah ādat pakkī hō gayī hai .
133For birth after birth, you have been taking bodies, and so that habit has become very firm.
129Ab is ādat kā tyāg chāhiē .
134You now have to renounce that habit.
130Jaisē bāp nirākār hai tō dēh-abhimān kahā̃ sē āyā ?
135The Father is incorporeal, so how could He have any arrogance of a body?
131Tumkō bhī is purānī dēh kō chhōṛ mērē pās|pass ānā hai .
136You too have to shed your old bodies and come to Me.
132Vināśh hōtā hai tō kuchh kāraṇ hōgā nā .
137When destruction takes place, there must be a reason for it to happen.
133Worth not A penny chīz kā hī vināśh hōtā hai .
138Only the things that are not worth a penny are destroyed.
134Ab tumkō svarg chalnē lāyak banātē haĩ .
139Baba is now making you worthy of going to heaven.
135Vahā̃ sadaiv sukh hī sukh hai .
140There, there is constant happiness.
136Sukhdhām aur śhāntidhām , yah hai duḥkhdhām .
141There are the lands of happiness and peace and this is the land of sorrow.
137Aśhānt kiyā hai rāvaṇ nē phir śhānti dēnē vālā hai parampitā paramātmā .
142It was Ravan who made you peaceless, and then there is the Supreme Father, the Supreme Soul, who makes you peaceful.
138Kōī kahtē haĩ man key|kī śhānti chāhiē .
143Some ask for peace of mind.
139Bōlō , kaisī śhānti chāhiē ?
144Ask them what type of peace they want.
140Yah tō hai duḥkhdhām , kyā tumkō sukhdhām chalnā hai ?
145This is the land of sorrow. 146Do you want to go to the land of happiness?
141Bāp kō yād karō tō sukhdhām chalē̃gē .
147Remember the Father and you will go to the land of happiness.
142Aśhānt karnē vālā hai rāvaṇ-māyā jō yahā̃ hāzir hai .
148It is Ravan, Maya, who is present here, who makes you peaceless.
143Mukti-jīvanmukti mē̃ aśhānt karnē vālā rāvaṇ hōtā nahī̃ isliē ab chalō apnē ghar vāpis .
149Ravan who makes you peaceless doesn't exist at the time of liberation or liberation-in-life. 150This is why you now have to return to your home.
144Agar satyug mē̃ chalnā chāhtē hō tō chalō .
151If you want to go to the golden age, then come!
145Har ēk ātmā jīvanmukti jarūr chāhtī hai .
152Every soul definitely wants liberation-in-life.
146Aisē nahī̃ sab satyug mē̃ , jīvanmukti mē̃ chalē̃gē .
153It isn't that everyone will receive liberation-in-life in the golden age.
147Vah tō sirph tum bachchē hī jātē hō .
154Only you children go there.
148Bākī jō ātmāyē̃ ūpar sē ātī haĩ vah pahlē jīvanmukti mē̃ haĩ .
155However, all the other souls who come down from above are at first in their stage of liberation-in-life.
149Māyā key|kī parchhāyā nahī̃ lagtī hai .
156They do not have a shadow of Maya over them.
150Satōpradhān ban phir satō , rajō , tamō mē̃ ātē haĩ .
157You become satopradhan and then go through the stages of sato, rajo and tamo.
151Māyā K|kē hōtē huē bhī ātmā kō sukh jarūr bhōgnā hai .
158Even though Maya exists, souls (new ones) definitely first have to experience happiness.
152Duḥkh nahī̃ hō saktā kyōṅki pavitra hai nā .
159There cannot be any sorrow for those souls because they are pure.
153Phir apavitr hōnē sē duḥkh pāyēṅgē , aisē nahī̃ ānē sē hī duḥkh pātē haĩ .
160Then, when those souls become impure, they experience sorrow. 161It isn't that they experience sorrow as soon as they come here.
154Yah sukh-duḥkh kā khēl banā huā hai .
162This play has been created about happiness and sorrow.
155Bābā K|kē khyālāt chaltē rahtē haĩ - manuṣhyō̃ kō bhītī dēnē kē liē board lagānā chāhiē .
163Baba continues to think that a board should be put up in order to tempt people.
156Sirph chitra dēkh manuṣhya mūñjhtē haĩ .
164When people simply see the pictures they become confused.
157Samjhō śhivbābā kā chitra rakhtē haĩ aur nīchē likh dētē haĩ deity world sovereignty is your god fatherly birth right . 158Manuṣhya chitra dēkh kahē̃gē bhagvān aisā thōṛēhī hōtā hai .
165For instance, if you display a picture of Shiv Baba and below that, you write, "Deity World Sovereignty is your Godfatherly Birthright", people who see that image will say: God cannot be like that.
159Bhagvān kā rūp kyā hai ?
166What is the form of God?
160Phir bhī likhā huā rahtā hai bahanō̃ aur bhāiyō̃ , ākar bēhad K|kē bāp sē 21 janm sadā sukh pānē kā puruṣhārth karō .
167Nevertheless, it is written: Brothers and sisters, come and make effort to claim your inheritance of constant happiness for 21 births from the unlimited Father.
161Vah tō jab kōī sammukh āyē tab samjhāyā jāē .
168Only when they come to you personally can you explain this to them.
162Nimantraṇ dētē haĩ .
169You send invitations.
163Din-pratidin bahut short banānā hōtā hai .
170Day by day, everything has to become very short.
164Pichhāṛī mē̃ short hōtā jāyēgā .
171Towards the end, everything will continue to become very short.
165Manmanābhav , bāp kō yād karō aur unsē varsā lō|low .
172Manmanabhav! 173Remember the Father and claim your inheritance from Him.
166Tō likhnā chāhiē bahanō̃-bhāiyō̃ satyug key|kī rājāī 21 janmō̃ kē liē bāp sē ākar prāpt karō , is hōvanhār laṛāī K|kē pahlē .
174Therefore, write: Brothers and sisters, come and claim the kingdom of heaven from the Father for 21 births before the war takes place.
167Is laṛāī sē hī svarg K|kē dvār khultē haĩ .
175The gates to heaven will open through this war.
168Yah kōī duniyā nahī̃ jāntī .
176The world doesn't know this.
169Tum jāntē hō is laṛāī sē hī bhārat sukhdhām banēgā .
177You know that Bharat will become the land of happiness through this war.
170Vah kōśhiśh kartē haĩ , laṛāī na lagē .
178People are making effort to prevent the war.
171Tum jāntē hō is mahābhārī mahābhārat laṛāī sē hī mahāvināśh hōnā hai .
179You know that the great destruction will take place through this Mahabharat War.
172Sab ātmāō̃ kō vāpis jarūr jānā hai kyōṅki khēl pūrā huā phir sē part bajānē āyēṅgē .
180All souls definitely have to return home because the play is ending. 181You will all then come down to play your parts again.
173Tō yukti sē likhnā chāhiē .
182Therefore, you should write tactfully.
174Tum hō rūhānī paṇḍē , vah haĩ jismānī dēhdhārī paṇḍē .
183You are spiritual guides. 184Those are physical guides, bodily beings.
175Tum apnē kō vidēhī ātmā dēh sē alag samajhtē hō , tum jāntē hō bāp ham ātmāō̃ kō lē jāyēṅgē . 176Tō tumkō likhnā paṛē ki bēhad K|kē bāp sē ākar varsā lō|low .
185You consider yourselves to be bodiless souls, separate from the bodies. 186You know that the Father will take you souls back home, so you should write: Come and claim your inheritance from the unlimited Father.
177Nirākār akṣhar jarūr likhnā hai .
187You must definitely write the word "Incorporeal".
178Tum jāntē hō bābā āyā huā hai is karmakṣhētra par .
188You know that Baba has come on to this field of action.
179Ham bhī vahā̃ sē ātē haĩ .
189We too come from there.
180Sabhī ātmāyē̃ jō actors haĩ , imperishable , immortal ātmāyē̃ haĩ , kab martī nahī̃ .
190All souls are actors and are imperishable and immortal; they never die. 191You should develop this faith very firmly.
181Yah achchhī rīti niśhchay hō jānā chāhiē . 182Ham śhivbābā sē anēk bār varsā lē chukē haĩ , phir bhī lē̃gē .
192We have claimed the inheritance from Shiv Baba many times and will do so again by making effort.
183Puruṣhārth sē tum jāntē hō śhiv-bābā hamkō svarg kā varsā dē rahē haĩ , tō kyō̃ nahī̃ unsē varsā lētē hō ? 184Bāp aur varsē kō yād karē̃gē tō ant matī sō gati hō jāyēgī .
193You know that Shiv Baba is giving you the inheritance of heaven, and so why should you not take it from Him? 194If you remember the Father and the inheritance of heaven, your final thoughts will lead you to your destination.
185Bākī sirph rām-rām kahnē sē mukti thōṛēhī hō jāyēgī .
195However, you will not receive liberation simply by saying "Rama, Rama!"
186Akhbār mē̃ ḍāltē haĩ phalānā svargvāsī huā .
196People print in the newspapers: So-and-so became a resident of heaven.
187Unsē pūchhnā chāhiē svarg kiskō kahtē hō ?
197Ask them: What do you call heaven?
188Yah tō nark hai , tō punarjanma bhī nark mē̃ lē̃gē .
198This is hell, so rebirth would surely also be in hell.
189Svarg hai tō punarjanma bhī svarg mē̃ lē̃gē .
199If this were heaven, then rebirth would also be in heaven.
190Agar kōī śharīr chhōṛ nark sē svarg gayā , vahā̃ tō unkō bahut vaibhav milē̃gē .
200If people shed their bodies and go to heaven from hell, they would receive lots of material comforts there.
191Phir nark K|kē vaibhav khilānē unkō svarg sē nark mē̃ kyō̃ bulātē hō ?
201So, then, why do you call them back from heaven into hell to feed them things of hell?
192Unkō nark kā bhōjan khilāyēṅgē tō aisī buddhi hō jāyēgī .
202If you feed them the food of hell, their intellects would become like that.
193Jaisā ann vaisā man hō jāyēgā .
203As is the food you eat, so becomes your mind!
194Svarg mē̃ tō dūdh-ghī key|kī nadiyā̃ bahtī haĩ .
204Rivers of milk and ghee flow in heaven.
195Tum tō ghāslēṭ kā khānā khilāyēṅgē .
205Here, you eat food prepared with kerosene.
196Śhrīnāth dvārē mē̃ achchhē ghī kā bhōg lagtā hai kyōṅki vahā̃ rādhē-kr̥iṣhṇa kā chitra hai .
206In Shrinath Dware, they offer food cooked with pure ghee because they have the images of Radhe and Krishna there.
197Tō unhō̃ key|kī yād mē̃ bhōg bhī achchhē-achchhē vaibhav banākar lagātē haĩ .
207So, they prepare very good bhog in remembrance of them and offer it to them.
198Aisā bhōg aur kahā̃ nahī̃ lagtā .
208Such bhog is not offered anywhere else.
199Jagat nāth kā bhī mandir hai , vahā̃ chāval kā bhōg lagātē haĩ , vahā̃ vaibhav nahī̃ chaṛhātē .
209There is also the Jagadnath Temple. 210There, they offer bhog of rice; they don't offer any rich food.
200Ab tō nark hai tō duḥkh hai . 201Svarg mē̃ tō sukh thā .
211It is now hell and so there is sorrow; there was happiness in heaven.
202Bāp samjhātē tō bahut achchhā haĩ , parantu dhārṇā number-vār hōtī hai yah bhī drama mē̃ nūndh hai .
212The Father explains very clearly, but however much you imbibe, it is numberwise. 213This too is fixed in the drama.
203Drama anusār naukar chākar bhī bannē haĩ .
214According to the drama, maids and servants also have to be created.
204Third class ticket bhī kōī tō jarūr lē̃gē nā .
215Some will definitely claim a third-class ticket.
205First class hai sūryavanśhī rājdhānī , second class chandra-vanśhī rājdhānī , third class hai prajā .
216First class is the sun-dynasty kingdom; second class is the moon-dynasty kingdom and third class are the subjects.
206Unmē̃ bhī number-vār haĩ .
217It is numberwise for them too.
207Ab jiskō jō ticket chāhiē vah lēvē .
218Whoever wants to claim a ticket can claim whatever ticket they want.
208Achchhā !
219Achcha.
209Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yādpyār aur good morning .
220To the sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.
210Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .
221The spiritual Father says namaste to the spiritual children.
Essence for dharna
211Dhārṇā kē liē mukhya sār :
222Essence for dharna:
2121 ) bāp samān gyān kā sāgar , pavitratā kā sāgar bannā hai .
223 1. Become an ocean of knowledge and an ocean of purity, like the Father.
213Vidēhī bannē kā abhyās karnā hai .
224Practise being bodiless.
2142 ) bāp kī yād sē buddhi kō pavitra banānā hai .
225 2. Make your intellect pure by remembering the Father.
215Sadā isī naśhē mē̃ rahnā hai ki bēhad K|kē bāp sē ham 21 janmō̃ kā varsā lē rahē haĩ .
226Always keep the intoxication of claiming an inheritance for 21 births from the unlimited Father.
Blessing
216Vardān : nyārēpan K|kē abhyās dvārā pass with honour hōnē vālē brahmā bāp samān bhav
227Blessing: May you be equal to Father Brahma and pass with honours with the practice of being detached.
217Jaisē brahmā bāp nē sākār jīvan mē̃ karmātīt hōnē K|kē pahlē nyārē aur pyārē rahnē K|kē abhyās kā pratyakṣha anubhav karāyā .
228 Father Brahma gave the practical experience of being loving and detached in his physical life even before becoming karmateet.
218Sēvā vā kōī karma chhōṛā nahī̃ lēkin nyārē hōkar sēvā key|kī .
229He didn’t renounce doing service or any other actions, but did service while being detached.
219Yah nyārā pan her|har karma mē̃ saphaltā sahaj anubhav karātā hai .
230This detachment easily gives you the experience of success from every action.
220Tō sēvā kā vistār bhal kitnā bhī baṛhāō lēkin vistār mē̃ jātē sār key|kī sthiti kā abhyās cum|kam na hō tab hī double light ban karmātīt sthiti kō prāpt kar double tājdhārī , brahmā bāp samān pass with honour banē̃gē .
231No matter how much you expand service, while expanding it, make sure that your practice of the stage of the essence doesn’t decrease. 232Only then will you become double light and attain the karmateet stage. 233You will become one with a double crown and pass with honours like Father Brahma.
Slogan
221Slōgan : svayã kō aisā śhakti stambh banāō jō anēkō kō naī jīvan banānē key|kī śhakti prāpt hō .
234Slogan: Make yourself into such a tower of strength that many others receive the strength to create a new life.
235*** Om Shanti ***