मंगलवार 6 जून 2023 की दैनिक मुरली

ध्यान दें: वाक्यों का संरेखण अक्षरों की संख्या पर आधारित है और पूरी तरह विश्वसनीय नहीं है।

आप पूरी मुरली या उसके किसी भाग का वाक्य संरेखण स्वयं सुधार सकते हैं।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

006-06-2023 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

0 06/06/23 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē bachchē - aśharīrī bannē key|kī mēhnat karō , aśharīrī arthāt kōī bhī daihik dharm nahī̃ , sambandh nahī̃ , akēlī ātmā bāp kō yād kartī rahē ' '

1Essence: Sweet children, make effort to become bodiless. 2“Bodiless” means not to have any bodily religion or relationship. 3Let the soul continue to remember the Father alone.

Question

2Praśhna  : tum bachchō̃ mē̃ 100 percent bal kab āyēgā , uskā puruṣhārth kyā hai  ?

4Question: When will you children have 100% power? 5What effort must you make for that?

Answer

3Uttar  : tum bachchē jab yād kī dauṛī lagātē antim samay par pahũchēṅgē , tab 100 percent bal ā jāyēgā , us samay kiskō bhī samjhāyēṅgē tō phauran tīr lag jāyēgā .

6Answer: When you children reach the final moments of running in the race of remembrance, you will have 100 percent power. 7The arrow will instantly strike the target when you explain this knowledge to anyone at that time. 8For this, make effort to become soul conscious.

4Iskē liē dēhī-abhimānī bannē kā puruṣhārth karō , apnē dil darpaṇ mē̃ dēkhō ki purānē sab khātē yād dvārā bhasma kiyē haĩ  !

9Look in the mirror of your heart to check that all your old accounts have been burnt away by having remembrance.

Song

5Gīt  : tū pyār kā sāgar hai …

10Song: You are the Ocean of Love. 11We thirst for one drop.

Murli

6Ōm śhānti .

12Om shanti.

7Ab bachchē jāntē haĩ , alpha ( bāp ) āyā huā hai .

13You children know that Alpha (the Father) has now come.

8Gāyan bhī hai nā - bāp sē ēk second mē̃ jīvanmukti arthāt svarg kī bādśhāhī miltī hai kyōṅki bāp hai svarg kā rachayitā .

14There is the praise: We receive liberation-in-life, that is, the sovereignty of heaven, from the Father in a second, because the Father is the Creator of heaven.

9Second mē̃ jīvanmukti bāp sē hī miltī hai .

15Liberation-in-life in a second is received from only the Father.

10Manuṣhya kō manuṣhya sē nahī̃ miltī .

16Human beings cannot receive it from human beings.

11Bachchā paidā huā aur vāris banā .

17As soon as a child is born, he becomes an heir.

12Pahlē-pahlē jab kōī ātē haĩ tō unsē form bharāyā jātā hai ki ātmā kā bāp kaun hai  ?

18When someone first comes, you ask that person to fill in a form: Who is the Father of souls?

13Kahā bhī jātā hai jīvātmā , puṇya ātmā . . . . . .

19It is said: An embodied soul, a charitable soul.

14Aisē nahī̃ kahā jāyēgā - jīv paramātmā , pāp paramātmā , puṇya paramātmā .

20It is not said: Embodied Supreme Soul, Sinful Supreme Soul, Charitable Supreme Soul; no.

15Nahī̃ , mahātmā , puṇyātmā kahā jātā hai .

21It is said: a great soul, a charitable soul.

16Gāyā bhī jātā hai ātmā paramātmā alag rahē bahukāl . . . . tō jarūr paramātmā kō hī ānā hai duḥkh sē liberate karnē .

22It is remembered that souls remained separated from the Supreme Soul for a long time. 23Therefore, God surely has to come to liberate you from sorrow.

17Tō pahlē-pahlē kōī āyē tō unsē form bharāyā jātā hai - tumhārī ātmā kā bāp kaun hai  ?

24So, when people come, first ask them to fill in a form: Who is the Father of you, a soul?

18Śharīr kā bāp kaun hai  ?

25Who is the father of your body?

19Dō chīj alag-alag haĩ - maĩ aur mērā .

26There are two separate things: I and mine.

20Maĩ ātmā , mērā śharīr .

27I am a soul and this is my body.

21Aham ātmā kā rahnē kā sthān kahā̃ hai  ?

28Where is the place of residence of me, a soul?

22Phir tumhārī ātmā kā bāp kaun hai  ?

29Who is the Father of you, a soul?

23Aisē nahī̃ kahā jāyēgā paramātmā kā bāp kaun hai  ?

30It would not be asked: Who is the Father of the Supreme Soul?

24Pahlē alpha kō jānnā hai .

31First of all, you have to know Alpha.

25Vah hai truth . 26Gyān kā sāgar .

32He is the Truth, the Ocean of Knowledge.

27Vah sabkā bāp hai .

33He is the Father of all.

28Kōī manuṣhya , judge ādi kō bhī patā nahī̃ ki ham ātmā haĩ .

34No human beings or judges etc. know that they are souls.

29Ātmā hī śharīr K|kē organs dvārā kahtī hai - maĩ judge hū̃ , maĩ surgeon hū̃ .

35It is the soul that speaks with the organs of a body: I am a judge, I am a surgeon.

30Ātma-abhimānī ēk bāp hī banātē haĩ .

36Only the one Father makes you soul conscious.

31Abhī tum jāntē hō ham ātmā haĩ .

37You now know that you are souls.

32Bākī yah sab śharīr K|kē sambandh haĩ .

38All the rest are relatives of your bodies.

33Śharīr K|kē sambandh mē̃ bhī yah mā̃ , yah bāp . . . . lagtē haĩ .

39It is in terms of relationships of bodies that someone is a mother, someone is a father etc.

34Ātmā K|kē sambandh mē̃ bhāī haĩ .

40In terms of souls, we are brothers.

35Pahlē tō yah samjhānā chāhiē .

41This has to be explained first.

36Gāyā bhī jātā hai second mē̃ jīvanmukti kā varsā .

42The inheritance of liberation-in-life in a second is remembered.

37Jīvanmukti kaun dēnē vālā hai  ?

43Who is the One who gives liberation-in-life?

38Satyug mē̃ hai jīvanmukti , kaliyug mē̃ hai jīvan-bandh .

44In the golden age there is liberation-in-life and in the iron age there is a life of bondage.

39Yah bhī samjhānā paṛē .

45This too has to be explained.

40Tō yahā̃ form bharānē kā kāydā baṛā achchhā hai .

46The system here of filling in a form is very good.

41Tum bachchē jāntē hō ham ātmāō̃ K|kē bāp kā yahā̃ yādgār hai .

47You children know that the memorial of the Father of us souls is here.

42Vah nirākār ham ātmāō̃ kā bāp hai .

48That incorporeal One is the Father of us souls.

43Ham sākār haĩ .

49We are corporeal.

44Nirākār kā bhī yādgār hai .

50There is the memorial of the incorporeal One.

45Tō jarūr āyā hōgā nā .

51Therefore, He must also surely have come.

46Patit kō pāvan banānē vālā , purānē kō nayā banānē vālā .

52He is the One who makes impure ones pure, old ones new.

47Duniyā naī sē phir purānī hōtī hai .

53The world changes from new to old.

48Duniyā ēk hī hai .

54There is just the one world.

49Jarūr duniyā kā rachayitā ēk hōgā , dō nahī̃ hō saktē . 50God is creator .

55Therefore, the Creator of the world must definitely be One; there cannot be two of them.

51Vah purānī duniyā kō nayā banātē haĩ .

56God is the Creator. 57He makes this old world new.

52Naī duniyā athavā bhārat svarg thā .

58The new world that was Bharat was heaven. 59God is One.

53God is one .

60The world is one.

54World is one . 55Satyug thā , ab kaliyug hai .

61There was the golden age and it is now the iron age.

56Prāchīn bhārat thā tō jarūr naī duniyā rachnē vālē nē bhārat kō nayā banāyā hai .

62There was ancient Bharat. 63Therefore, the One who made the world new would have made Bharat new.

57Pahlē jab kōī ātē haĩ tō unkō yah rāz samjhānā hai . 58Tum ātmā hō , ātmā punarjanma lētī rahtī hai .

64When people come here for the first time, explain this secret to them: You are a soul. 65Souls continue to take rebirth.

59Bāp ākar dēhī-abhimānī banātē haĩ .

66The Father comes and makes you soul conscious.

60Maĩ judge hū̃ , barrister hū̃ athavā maĩ kriściyan dharm kā hū̃ .

67I am a judge, I am a barrister, or, I belong to the Christian religion.

61Yah sab śharīr K|kē dharm haĩ .

68All of those are bodily religions.

62Ātmā aśharīrī hai tō kōī sambandh nahī̃ hai . 63Kōī dharm nahī̃ hai .

69Souls are bodiless and so they don't have any relationships or religions.

64Ātmā alag karmātīt hō jātī hai .

70A soul by himself becomes karmateet.

65Phir nayē sir mā̃-bāp ādi sambandh bantē haĩ .

71Then, once again, souls have the relationships of mothers and fathers etc.

66Chōlā badalā|badlā , part badalā|badlā , mā̃-bāp sab nayē ban jātē haĩ .

72They change their costumes. 73They change their parts and have new parents.

67Ātmā punarjanma lētī rahtī hai .

74Souls continue to take rebirth.

68Vāstav mē̃ ātmā nirākār hai , nirākārī duniyā mē̃ rahtī hai .

75In fact, souls are incorporeal and reside in the incorporeal world.

69Phir ātmā śharīr dhāraṇ kartī hai tō kahtē haĩ yah mērā nām rūp hai .

76Then, when a soul adopts a body, he says: This is my name and form.

70Ab bāp baiṭh bachchō̃ kō samjhātē haĩ - tum apnē kō ātmā samjhō .

77The Father sits here and says to you children: Consider yourselves to be souls.

71Tumkō vāpis jānā hai .

78You have to return home.

72Tumnē 84 janmō̃ kā part bajāyā , tum barrister banē , rājā banē .

79You have played your parts for 84 births. 80You became a barrister; you became a king.

73Ab tum viśhva K|kē mālik bantē hō .

81You are now becoming the masters of the world.

74Ātmāō̃ sē bāt parampitā paramātmā hī kar saktē haĩ .

82Only the Supreme Father, the Supreme Soul, can say this to souls.

75Yah bātē̃ kōī key|kī buddhi mē̃ nahī̃ haĩ .

83These things are not in the intellect of anyone else.

76Vah tō kah dētē ātmā sō paramātmā hai .

84They say that each soul is the Supreme Soul.

77Bāp ākar sr̥iṣhṭi K|kē chakra kā rāz samjhātē haĩ .

85The Father comes and explains to you the secrets of the world cycle.

78Abhī tum jāntē hō ki barōbar hamnē 84 janmō̃ kā chakra lagāyā hai .

86You now know that you truly have been around the cycle of 84 births.

79Ab yah antim janm hai , vāpas ghar jānā hai .

87This is now your final birth and you have to return home.

80Manuṣhya kōśhiśh bhī muktidhām mē̃ jānē key|kī kartē haĩ .

88People make effort to go to the land of liberation.

81Ham ātmā muktidhām key|kī rahvāsī haĩ . 82Parantu dēh-abhimān hōnē K|kē kāraṇ jāntē nahī̃ .

89I, a soul, am a resident of the land of liberation but, because of having body consciousness, you don't know this.

83Ham ātmā nirākārī duniyā mē̃ rahtē haĩ .

90We souls reside in the incorporeal world.

84Vahā̃ sē āyē haĩ part bajānē .

91We have come here from there to play our parts.

85Ab bhagvān kō yād kartē haĩ , bhagvān kē pās jānē kē liē .

92All remember God in order to go to God.

86Tō pahlē-pahlē yah samjhānā hai - ātmā aur śharīr dō chīzē̃ haĩ .

93Therefore, first of all, explain that a soul and a body are two different things.

87Ātmā mē̃ man-buddhi hai , chaitanya hai .

94Each soul has a mind and intellect in him; he is living.

88Ātmā avināśhī hai .

95Souls are imperishable.

89Śharīr tō vināśhī hai .

96Bodies are perishable.

90Sab ātmāō̃ kā bāp vah nirākār parampitā paramātmā hai knowledgeful .

97The Father of all souls is that incorporeal Supreme Father, the Supreme Soul, the Knowledge-full One.

91Unkō hī gītā kā bhagvān kahā jātā hai .

98He alone is called the God of the Gita.

92Sab bhaktō̃ kā pyār hai , pyār K|kē sāgar paramātmā sē .

99All devotees have love for God, the Ocean of Love.

93Bhaktō̃ kō kitnā khaiñchtē haĩ .

100He pulls the devotees so much.

94Bhagvān tō ēk hōnā chāhiē .

101There can only be one God.

95Itnē sab bhakta haĩ .

102There are so many devotees.

96Sabhī patit haĩ .

103All are impure.

97Patit-pāvan kō yād kartē haĩ , tō jarūr ēk nirākār hōgā nā .

104They all remember the Purifier, and so there must be the one incorporeal One.

98Bākī sab unkī rachnā haĩ .

105All the rest are His creation.

99Brahmā , viṣhṇu , śhaṅkar bhī rachnā haĩ .

106Brahma, Vishnu and Shankar are also a creation.

100Manuṣhya sr̥iṣhṭi bhī rachnā hai .

107The human world, too, is a creation.

101Ūñch tē ūñch bāp paramdhām kā rahnē vālā hai .

108The highest-on-high Father is the Resident of the supreme abode.

102Jaisē ātmā star hai , vaisē parampitā paramātmā bhī star hai .

109Just as a soul is a star, so the Supreme Father, the Supreme Soul, is a star.

103Bachchō̃ kō samjhāyā hai world bhī ēk hai , unkō repeat karnā hai .

110It has been explained to you children that there is only one world and that it has to repeat.

104Jō bhī dharm haĩ sabkō chakra lagānā hai .

111All the religions have to go around the cycle.

105Sab actor pārṭdhārī haĩ .

112All actors are playing their parts.

106Kōī kā bhī part badal nahī̃ saktā .

113No one's part can be changed.

107Tō part bajānā hī hai .

114Each part has to be played.

108Pahlē-pahlē yah samjhānā bahut jarūrī hai ki ātmā kā bāp kaun hai  ?

115First of all, it is essential to explain who the Father of souls is.

109Kahtē haĩ ō god father .

116They say: O God, the Father!

110Yah kisnē kahā  ?

117Who said this?

111Ātmā śharīr dvārā bōltī hai .

118Souls speak through their bodies.

112Ātmā kā bāp parampitā paramātmā hai . 113Yah hai mukhya bāt .

119The Father of souls is the Supreme Father, the Supreme Soul.

114Tumhē̃ kōī sē jāstī debate ādi nahī̃ karnī hai .

120This is the main thing. 121You mustn't debate with anyone too much.

115Hai hī second mē̃ jīvanmukti .

122There is liberation-in-life in a second.

116Bāp bachchō̃ kō samjhātē haĩ - bachchē , tum dēhī-abhimānī banō .

123The Father explains to you children: Children, become soul conscious!

117Is samay yah patit duniyā hai , god father kō na jānnē kāraṇ orphan ban paṛē haĩ .

124At this time, this world is impure. 125Because of not knowing God, the Father, they have become orphans.

118Satyug mē̃ tō prālabdh bhōgtē haĩ .

126In the golden age they experience the reward.

119Vahā̃ bāp kō yād karnē key|kī kōī darkār hī nahī̃ .

127There is no need to remember the Father there.

120Duniyā kō yah patā nahī̃ ki bhāratvāsiyō̃ kō bāp sē prālabdh miltī hai .

128People of the world don't know that the people of Bharat receive this reward from the Father.

121Bhārat svarg ban jātā hai .

129Bharat becomes heaven.

122Nark banānē vālī hai māyā ( rāvaṇ ) .

130It is Maya (Ravan) that makes it into hell.

123Bhārat kō nayē sē phir purānā hōnā hī hai .

131Bharat has to become old from new.

124Samjhō makān key|kī āyu 100 varṣh hōgī tō 50 varṣh kē bād purānā kahē̃gē .

132For instance, if a building is going to be 100 years old, it would be said to be old after 50 years.

125Vaisē duniyā nayē sē purānī bantī hai .

133In the same way, the world becomes old from new.

126Phir naī kaun banāyēṅgē  ?

134Then who will make it new again?

127Repeat kaisē hōtī hai  ?

135How will it repeat?

128Duniyā pāvan thī , kisnē tō banāyā hōgā .

136The world was pure. 137Someone must have made it pure.

129Patit-pāvan ēk hī bāp hai .

138Only the one Father is the Purifier.

130Vahī pāvan banāyēṅgē .

139He alone would make it pure.

131Patit kaun banātē haĩ  ?

140Who makes it impure? 141Who makes it pure?

132Pāvan kaun banātē haĩ  ?

142No one can understand this.

133Yah kōī bhī samajh nahī̃ saktē .

143You now belong to the Father.

134Abhī tum bāp K|kē banē hō .

144The Father means the Father.

135Bāp mānā bāp . 136Bāp kō ādhā paunā thōṛē-hī mānā jātā hai .

145You don't only half believe or three quarters believe in the Father.

137Parantu māyā dēh-abhimān mē̃ lē ātī hai .

146However, Maya brings you into body consciousness.

138Mēhnat sārī aśharīrī ban bāp kō yād karnē mē̃ hai .

147All your efforts are required to become bodiless and to belong to the Father.

139Nahī̃ tō māyā baṛī duśhman hai .

148In fact, Maya is a great enemy.

140Yād K|kē bal sē hī tum rājya lētē hō .

149You claim the kingdom with the power of yoga.

141Yād dvārā hī tum bāp sē varsā lētē hō . 142Yād kā hī bal hai .

150Only by having remembrance do you receive your inheritance from the Father.

143Bāp kahtē haĩ dēh sahit sabhī sambandhō̃ kō bhūl mērē kō yād karō kyōṅki mērē pās|pass vāpis ānā hai .

151The power is that of remembrance alone. 152The Father says: Forget your bodies and all bodily relations and remember Me because you have to come back to Me.

144Satyug hai jīvanmukt , kaliyug hai jīvan bandh .

153The golden age is liberation-in-life and the iron age is bondage-in-life.

145Pañch vikārō̃ rūpī rāvaṇ kā bandhan hai .

154There is the bondage of Ravan, the five vices.

146Vahā̃ yah hōtā nahī̃ .

155It doesn't exist there.

147Bāp ākar liberate kartē haĩ .

156The Father comes and liberates you.

148Tum jāntē hō - bhārat mē̃ supreme peace-prosperity thī .

157You know that there was supreme peace and prosperity in Bharat.

149Ab nahī̃ hai .

158It isn't there now.

150Tō jarūr supreme father nē sthāpan kiyā hōgā .

159Therefore, the Supreme Father must surely have established it.

151Āyā hōgā .

160He would have come.

152Saṅgam par ākar bhārat kō jīvanmukt banātē haĩ .

161He comes at the confluence age and makes Bharat liberated-in-life.

153Bākī sab dharm tō by-plots haĩ .

162All the rest of the religions are “by-plots.”

154Yah bhārat old hai .

163This Bharat is old.

155Nayē bhārat mē̃ dēvī-dēvatāō̃ kā rājya thā , ēk dharm thā .

164When there was the kingdom of deities in new Bharat, there was one religion.

156Uskō svarg kahā jātā hai .

165That is called heaven.

157Tō pahlē-pahlē bāp kā parichay dēnē sē phir argue nahī̃ karē̃gē .

166Therefore, when you give the Father's introduction first, they won't argue.

158Bāp tō sat hī batātē haĩ .

167The Father only tells the truth.

159Unkī hai śhrīmat .

168Shrimat is from Him.

160Next hai brahmā key|kī mat .

169Next are the instructions of Brahma.

161Jarūr bāp sē brahmā kō mat miltī hai .

170Brahma definitely receives instructions from the Father.

162Brahmā ab rāt mē̃ hai .

171Brahma is now in the night.

163Din mē̃ thā .

172He was in the day.

164Brahmā kā din aur rāt tō brahmākumār aur kumāriyō̃ kā bhī din aur rāt .

173“The day of Brahma and the night of Brahma” means the day and night of the Brahma Kumars and Kumaris.

165Prajāpitā brahmā key|kī rāt tō jarūr bachchō̃ key|kī bhī rāt hōgī .

174The night of Prajapita Brahma would also definitely be the night of the children.

166Bāp samjhātē haĩ maĩ ātā hū̃ , brahmā K|kē mukh sē pahlē-pahlē brāhmaṇō̃ kō rachtā hū̃ .

175The Father explains: I come and first of all create Brahmins through the mouth of Brahma. 176The Brahmin clan is needed.

167Brāhmaṇ varṇa chāhiē .

177This sacrificial fire has been created.

168Yah yagya rachā hai nā . 169Śhrīkr̥iṣhṇa yagya nahī̃ kahē̃gē .

178It would not be said to be the sacrificial fire of Shri Krishna.

170Yah hai rudra gyān yagya . 171Rudra mālā .

179This is the sacrificial fire of the knowledge of Rudra, this is the rosary of Rudra.

172Bāp śhiv nē is samay yagya rachā hai .

180Father Shiva created the sacrificial fire at this time.

173Yah bāp baiṭh paṛhātē haĩ .

181The Father sits here and teaches this.

174Bachchē , ham tumkō nar sē nārāyaṇ , rājāō̃ kā rājā banātā hū̃ .

182Children, I change you from ordinary humans into Narayan, into kings of kings.

175Yah hai rājyōg .

183This is Raj Yoga.

176Śhrīkr̥iṣhṇa kō paramātmā nahī̃ kahē̃gē .

184Shri Krishna would not be called God.

177Paramātmā rājyōg sikhātē haĩ jissē tum śhrīkr̥iṣhṇa K|kē samān bantē hō .

185God teaches Raj Yoga through which you become like Shri Krishna.

178Mukhya bāt hai pahlē-pahlē bachchō̃ kō dēhī-abhimānī bannā hai .

186The main thing is that you children first have to become soul conscious.

179Nahī̃ tō kiskō tīr lagā nahī̃ sakē̃gē .

187Otherwise, you won't be able to strike anyone with an arrow.

180Dēhī-abhimānī hō bāp kō yād karnē sē hī bal milēgā .

188Only by becoming soul conscious and remembering the Father will you receive power.

181Jab tum achchhī rīti pahalvān hō jāyēṅgē tō bhīṣhma pitāmah ādi kō bāṇ lagē̃gē .

189When you become really strong, the arrow will be shot at Bhishampitamai.

182Dhīrē-dhīrē hōnā hai .

190It has to happen gradually.

183Abhī tumhārē mē̃ bal ātā jātā hai .

191You now continue to receive power.

184Ant tak 100 percent bannā hai .

192You have to become 100 percent by the end.

185Dauṛī lagānī hai .

193You have to run the race.

186Abhī tum paṛh rahē hō .

194You are now studying.

187Bahut pahalvān hō jāyēgē .

195You will become very strong.

188Samjhānā chāhiē tum tō jīv ātmā hō , paramātmā tō father ēk hai .

196You should explain that you are living souls and that God, the Father, is One.

189Phir tum lōg ātmā sō paramātmā kyō̃ kahtē hō  ?

197Ask those people why they say that each soul is the Supreme Soul.

190Patit-pāvan paramātmā tō ēk hī hai .

198God, the Purifier, is only One.

191Tum tō punarjanma lēnē vālē hō .

199You are the ones who take rebirth.

192Paramātmā kō tō apnā śharīr nahī̃ hai .

200God doesn't have a body of His own.

193Vah hai rudra śhiv .

201He is Rudra, Shiva.

194Manuṣhya kō paramātmā kah nahī̃ saktē .

202Human beings cannot be called God.

195Ātmā K|kē śharīr kā nām paṛtā hai .

203A name is given to the body of a soul.

196Ātmā tō sabkī ēk jaisī hai .

204Souls are all the same.

197Kahā̃ ātmā nē barrister kā śharīr liyā hai .

205Sometimes a soul has the body of a barrister.

198Bākī aisē nahī̃ ātmā kuttā , billī ādi bantī hai .

206It isn't that a soul becomes a dog or a cat etc.

199Bāp kahtē haĩ - lāḍlē bachchē , manuṣhya , manuṣhya hī bantē haĩ .

207The Father says: Beloved children, human beings only become human beings.

200Jānvarō̃ key|kī variety alag hai .

208Animals are of different varieties (species).

201Is samay manuṣhya jaisē jānvar sē bhī badtar haĩ .

209At this time it is as though human beings are worse than animals.

202Māyā nē khānā kharāb kar diyā hai drama anusār , ab bāp ākar khānā ābād kartē haĩ .

210Maya has ruined everyone's life according to the drama. 211The Father now comes and makes everyone's life worthwhile.

203Paramātmā kō māt-pitā bhī bhāratvāsī kahtē haĩ .

212The people of Bharat call God the Mother and Father.

204Bāhar vālē kahtē haĩ ō god father .

213People abroad say: O God, the Father!

205Achchhā , father hai tō sāth mē̃ mother bhī hōnī chāhiē .

214Achcha, if He is the Father, the Mother is also needed with Him.

206Eve kahtē haĩ . 207Parantu vah kaun hai  ?

215They speak of Eve, but who is she?

208Eve kiskō kahā jāyē  ?

216Who has been called Eve?

209Mama kō Eve nahī̃ kahē̃gē .

217Mama would not be called Eve.

210Mama tō jagadambā hai .

218Mama is Jagadamba.

211Eve inkō ( brahmā ) hī kahē̃gē kyōṅki inkē mukh dvārā rachē , tab tō tum māt-pitā siddha hō .

219This one (Brahma) is called Eve because He creates through this one's mouth and this is why the saying: You are the Mother and Father can be proved.

212Ēk kō hī māt-pitā kahā jātā hai .

220Only the One is called the Mother and Father.

213Jagat ambā key|kī bhī mā̃ hōnī chāhiē .

221There also has to be the mother of Jagadamba.

214Vah bhī human hai .

222She is also a human.

215Yah sab bātē̃ dhāraṇ tab hō̃ , jab nirantar dēhī-abhimānī bannē kā puruṣhārth karē .

223All of these things can be imbibed when you make constant effort to become soul conscious.

216Yād nahī̃ tō dhārṇā hō nahī̃ saktī .

224If you don’t have remembrance, you cannot imbibe these things.

217Māyā baṛī jabardast hai , yād nahī̃ karē̃gē tō ghūnsā mārtī rahēgī .

225Maya is very powerful. 226If you don't stay in remembrance, she will continue to punch you.

218Das-bārah varṣh vālē kō bhī māyā ghūnsā mār dētī hai .

227Maya even punches those who have been here for 10 to 12 years.

219Mũh phirā dētī hai .

228She turns their faces away.

220Bhūl jātē haĩ . 221Phir kahtē haĩ takdīr mē̃ nahī̃ thā .

229They forget and then say that it wasn't in their fortune.

222Gīt hai nā - āyē haĩ takdīr banā karkē . . kaunsī takdīr banākar āyē hō  ?

230There is a song: I have come to create my fortune. 231Which fortune did you create when you came?

223Lakṣhmī kō varnē key|kī .

232That of marrying Lakshmi.

224Bāpdādā kahtē haĩ dil darpaṇ mē̃ dēkhō - tum lāyak hō  ?

233BapDada says: Look in the mirror of your heart: Am I worthy?

225Bāp misal mīṭhē banē hō  ?

234Have I become as sweet as the Father?

226Bāp kahtē haĩ dēhī-abhimānī banō .

235The Father says: Become soul conscious!

227Jitnā mujh bāp kō yād karē̃gē , utnā jamā hōgā .

236The more you remember Me, the Father, the more you will accumulate.

228Yād nahī̃ karē̃gē tō jamā nahī̃ hōgā .

237If you don't remember, you won't accumulate.

229Yād sē hī purānā khātā bhasma hōtā jāyēgā . 230Yōg agni mānā yād .

238It is only by having remembrance that your old accounts will continue to be burnt away.

231Aham ātmā paramātmā kō yād kartī haĩ .

239The fire of yoga means remembrance. 240I, a soul, am remembering God.

232Bāp bhī kahtē haĩ apnē kō ātmā niśhchay kar mujhē yād karō .

241The Father also says: Have the faith that you are souls and remember Me.

233Ātmā sō paramātmā kahnā bhūl hai .

242It is a mistake to say that souls are the Supreme Soul.

234Paramātmā kabhī punarjanma nahī̃ lētē haĩ .

243God never takes rebirth. 244You constantly take rebirth.

235Tum tō sadā punarjanma lētē hō .

245My birth is divine and unique. 246I enter an ordinary body.

236Mērā janm divya alaukik hai .

247Otherwise, where would Brahmins come from?

237Maĩ sādhāraṇ tan mē̃ pravēśh kartā hū̃ .

248A mature Prajapita Brahma is needed. 249A young child is not needed.

238Nahī̃ tō brāhmaṇ kahā̃ sē āyē̃ .

250They always show Radhe and Krishna as young.

239Prajāpitā brahmā bhī bujurg chāhiē .

251How could so many people call a young child, ‘Prajapita’?

240Chhōṭā bachchā tō nahī̃ chāhiē . 241Rādhē-kr̥iṣhṇa kō chhōṭā hī dikhātē haĩ .

252How could you call Shri Krishna, the Mother and Father?

242Chhōṭē bachchē kō itnē sab prajāpitā kaisē kah saktē haĩ .

253The Supreme Father, the Supreme Soul, has now come as the Guide.

243Tum māt-pitā śhrīkr̥iṣhṇa kō kaisē kahē̃gē .

254He will take all souls back with Him.

244Abhī parampitā paramātmā guide bankar āyā hai , sab ātmāō̃ kō lē jāyēṅgē .

255The Father explains very clearly. 256First of all, ask them to fill in a form.

245Bāp tō achchhī rīti samjhātē haĩ .

257The main thing is: Who is the God of the Gita?

246Pahlē-pahlē form bharāō .

258Who created this sacrificial fire?

247Mūl bāt hai gītā kā bhagvān kaun hai  ? 248Yah yagya kisnē rachā  ?

259This is called the sacrificial fire of Rudra or the sacrificial fire of knowledge.

249Rudra yagya vā gyān yagya kahē̃gē . 250Paramātmā tō hai gyān sāgar , sabkā father .

260The Supreme Father, the Supreme Soul, is the Ocean of Knowledge, the Father of all.

251Achchhā  !

261Achcha.

252Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād , pyār aur good morning .

262To the sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

253Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

263The spiritual Father says namaste to the spiritual children.

Essence for dharna

254Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

264Essence for dharna:

2551 ) dēhī-abhimānī ban , dēh K|kē sab dharm bhūl ham ātmā bhāī haĩ - yah pakkā karnā hai .

265 1. Become soul conscious, renounce bodily religions and make it firm that we souls are brothers.

256Bāp misal mīṭhā bannā hai .

266Become as sweet as the Father.

2572 ) dēhī-abhimānī ban bāp kā parichay dēnā hai .

267 2. Become soul conscious and give the Father's introduction.

258Second mē̃ jīvanmukti kā varsā bāp sē miltā hai .

268You receive the inheritance of liberation-in-life from the Father in a second.

259Debate kissē bhī nahī̃ karnī hai .

269You must never debate with anyone.

Blessing

260Vardān  : himmat aur utsāh dvārā her|har kārya mē̃ saphaltā prāpt karnē vālē mahān śhaktiśhālī ātmā bhav

270Blessing: May you be a greatly powerful soul and achieve success in every task with your courage and enthusiasm.

261Bhakti mē̃ kahtē haĩ - himmat , utsāh dhūl kō bhī dhan banā dētā hai .

271 On the path of devotion, it is said: Courage and enthusiasm can change dust into wealth.

262Āpmē̃ yadi himmat aur utsāh hai tō dūsrē bhī āpkē sahyōgī ban jāyēṅgē .

272When you have courage and enthusiasm, others will co-operate with you.

263Dhan key|kī kamī hōgī tō utsāh kahā̃ na kahā̃ sē dhan kō bhī khīñchkar lāyēgā , saphaltā kō bhī khīñchkar lāyēgā .

273Even if you lack wealth, your enthusiasm will attract wealth from somewhere or other; it will even bring you success.

264Tō jō nimitt mahān ātmāyē̃ haĩ unkā kām hai svayã utsāh mē̃ rahnā aur dūsrō̃ kō utsāh dilānā .

274It is the duty of great instrument souls to remain enthusiastic and to give enthusiasm to others too.

265Jab abhī āp aisē utsāh mē̃ rahē hō tab jaṛ chitrō̃ mē̃ sadā muskarātā huā , śhaktiśhālī chēhrā dikhātē haĩ .

275It is because you have enthusiasm now that they show those non-living images as constantly smiling and powerful.

Slogan

266Slōgan  : bhāgyavān ātmā vah hai jis par bāpdādā K|kē snēh key|kī chhatrachhāyā hai .

276Slogan: Fortunate souls are those who have the canopy of BapDada’s love over them.

277*** Om Shanti ***