बुधवार 5 जुलाई 2023 की दैनिक मुरली

ध्यान दें: वाक्यों का संरेखण अक्षरों की संख्या पर आधारित है और पूरी तरह विश्वसनीय नहीं है।

आप पूरी मुरली या उसके किसी भाग का वाक्य संरेखण स्वयं सुधार सकते हैं।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

005-07-2023 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

0 05/07/23 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē bachchē - yah almighty government hai , bāp kē sāth dharmarāj bhī hai , isliē bāp kō apnē kiyē huē pāp batāō tō ādhā māph hō jāyēgā ' '

1Essence: Sweet children, this is the Almighty Government. 2Dharamraj is with the Father. 3Therefore, tell the Father about the sins you have committed and half will be forgiven.

Question

2Praśhna  : rājdhānī kā mālik aur prajā mē̃ sāhūkār kis ādhār par bantē haĩ  ?

4Question: On what basis are the masters of the kingdom and the wealthy subjects created?

Answer

3Uttar  : rājdhānī kā mālik bannē kē liē paṛhāī par pūrā dhyān chāhiē .

5Answer: In order to become a master of the kingdom, you have to pay full attention to this study. 6A status is attained on the basis of how you study.

4Paṛhāī sē hī pad key|kī prāpti hōtī hai . 5Sāhūkār prajā bannē vālē knowledge lē̃gē , bīj bhī bōyēṅgē ( sahyōgī banē̃gē ) , pavitra bhī rahē̃gē lēkin paṛhāī par pūrā dhyān nahī̃ dēgē .

7Those who are to become wealthy subjects will take knowledge, sow seeds (become co-operative) and also remain pure, but they will not pay full attention to studying.

6Paṛhāī par dhyān tab hō jab pahlē pakkā niśhchay hō ki hamē̃ svayã bhagvān paṛhānē ātē haĩ .

8You can pay attention to this study when you first have the firm faith that God Himself has come to teach you.

7Agar pūrā niśhchay nahī̃ tō yahā̃ baiṭhē bhī jaisē bhuṭṭū haĩ .

9If there isn't this faith, then, even while you are sitting here, it is as though you are dull.

8Agar niśhchay hai tō regular paṛhnā chāhiē . 9Dhāraṇ karnā chāhiē .

10If you have faith, you have to study regularly and imbibe this knowledge.

Song

10Gīt  : nayan hīn kō rāh dikhāō prabhū …

11Song: Show the path to the blind, dear God!

Murli

11Ōm śhānti .

12Om shanti.

12Kaliyug kō andhēr nagarī kahā jātā hai kyōṅki sab ātmāyē̃ ujhāī huī haĩ , aisē nahī̃ ki āṅkhō̃ sē andhē haĩ .

13The iron age is called the city of darkness because all souls have become dull. 14It isn't that their eyes are blind.

13Andhērī nagarī mē̃ sab gyān nētra hīn andhē key|kī aulād andhē haĩ . 14Tamōpradhān ban gayē haĩ .

15In the city of darkness, all the children of blind parents are blind, without the eye of knowledge; they have become tamopradhan.

15Ham sab ātmāō̃ kā bāp vah paramātmā hai , jab ham sab ātmāyē̃ vahā̃ mūlvatan mē̃ rahtī haĩ tō jāgtī jyōt haĩ .

16The Father of all of us souls is the Supreme Soul. 17When all of us souls reside there, in the supreme abode, we are ignited lights.

16Pahlē-pahlē satōpradhān sachchē sōnē thē .

18At first we were satopradhan, real gold.

17Satyug kō kahā hī jātā hai golden age .

19Satyug is called the golden age.

18Hindī mē̃ pāraspurī kahā jātā hai .

20In Hindi, it is called Paraspuri (Land of Divinity).

19Ab tō hai iron age arthāt tamōpradhān patthar buddhi .

21It is now the iron age which is tamopradhan; everyone has a stone intellect.

20Satyug mē̃ hai ghar-ghar sōjharā , kaliyug mē̃ hai ghar-ghar andhiyārā .

22In the golden age, there is light in every home. 23In the iron age, there is darkness in every home.

21Dēvī-dēvtā dharm prāyaḥlōp hō gayā hai .

24The deity religion has disappeared.

22Sab dharm bhraṣhṭa , karma bhraṣhṭa haĩ .

25All have become corrupt in their religion and their actions.

23Apnē kō dēvtā kahlā nahī̃ saktē kyōṅki vikārī haĩ .

26They cannot call themselves deities because they are vicious.

24Bābā nē sāvarkar kā misāl batāyā thā .

27Baba has given the example of a person called Savarkar.

25Unkō kahā gayā ki ādi sanātan tō dēvtā dharm thā .

28He was told that the deity religion was the original and eternal religion.

26Tum phir ādi sanātan hindū mahāsabhā kyō̃ kahtē hō  ?

29He was asked: Why do you say ‘The original eternal Hindu Mahasabha’?

27Bōlā - dādā jī , ham lōg apnē kō dēvtā kah nahī̃ saktē kyōṅki ham apavitr haĩ .

30He replied: Dadaji, we cannot call ourselves deities because we are impure.

28Tō ab dēvtā dharm key|kī sthāpanā hō rahī hai kyōṅki yah missionary hai nā .

31Therefore, the deity religion is now being established because this is a missionary.

29Jaisē Christ āyā tō kriściyan thē nahī̃ . 30Is samay bhī dēvtā dharm hai nahī̃ .

32Just as when Christ came, there were no Christians, so, at this time too, the deity religion doesn't exist.

31Ab brāhmaṇō̃ key|kī sthāpanā huī hai .

33The Brahmin religion has now been established.

32Brāhmaṇ phir dēvī-dēvtā hōnē haĩ .

34You Brahmins will then become deities.

33Parampitā paramātmā kahtē haĩ - maĩ hū̃ dēvī-dēvtā dharm key|kī sthāpanā karnē vālā .

35The Supreme Father, the Supreme Soul, says: I am the One who establishes the deity religion.

34Maĩ tum ātmāō̃ kā pārlaukik pitā hū̃ , jō maĩ tum sabkō bhēj dētā hū̃ .

36I am the parlokik Father of you souls and I sent all of you here.

35Jaisē vah kriściyan key|kī missionary hai , vaisē yah dēvtā dharm key|kī missionary haĩ .

37Just as that is a Christian mission, so this is the mission of the deity religion.

36Svayã pārlaukik parampitā paramātmā kahtē haĩ - bachchē , tum jō bhī suntē āyē hō sab jhūṭh .

38The parlokik Supreme Father, the Supreme Soul, Himself, says: Children, everything you have been hearing has been lies.

37Bhal drama anusār phir bhī yah hōnā hai . 38Parantu is māyā key|kī bondage sē chhuṛānē kalp-kalp maĩ ākar samjhātā hū̃ aur ākar brahmā dvārā dēvtā dharm key|kī sthāpanā karātā hū̃ .

39Although it is all going to happen again according to the drama, I come every cycle to explain to you and to liberate you from the bondage of this Maya and I inspire the deity religion to be established through Brahma.

39Dvāpar sē phir aur anēk dharm sthāpan hōtē haĩ .

40Then, from the copper age onwards, many other religions are established.

40Us samay dēvtā dharm hai nahī̃ .

41The deity religion doesn't exist at that time.

41Uskō kahā jātā hai - rāvaṇ rājya .

42It is the kingdom of Ravan.

42Gītā tō hai bhārat kā sarvōttam śhāstra kyōṅki bhagvān kā gāyā huā hai .

43The Gita is the most elevated scripture of Bharat because it was spoken by God.

43Aur sabhī śhāstra manuṣhyō̃ K|kē gāyē huē haĩ .

44All other scriptures are spoken by human beings.

44Śhrīkr̥iṣhṇa nē tō satyug mē̃ prālabdh pāī hai .

45Shri Krishna received his reward in the golden age.

45Ab bābā kahtē haĩ - maĩ āyā hū̃ lakṣhmī-nārāyaṇ kā rājya sthāpan karnē , bhārat mē̃ .

46Baba says: I have now come to establish the kingdom of Lakshmi and Narayan in Bharat.

46Aisē aur kōī gītā sunānē vālā kah na sakē .

47None of the others who relate the Gita can say this.

47Bhagvān hī kahtē haĩ - hē bhāratvāsī bachchē , maĩ āyā hū̃ , brahmā dvārā dēvtā dharm sthāpan karnē .

48God alone says: O children, people of Bharat, I have come to establish the deity religion through Brahma.

48Pahlē tō brahmā dvārā brāhmaṇ chāhiē .

49First of all, Brahmins are needed through Brahma.

49Dēvtāyē̃ tō prālabdh bhōgtē haĩ .

50Deities receive the reward.

50Vah kiskā kalyāṇ nahī̃ kartē .

51They don't benefit anyone.

51Vah tō rājē lōg haĩ .

52They themselves are royal people.

52Vahā̃ sampatti bahut hai .

53There is a lot of wealth there.

53Māyā hōtī nahī̃ isliē unkō svarg kahā jātā hai .

54Maya doesn't exist there and that is why it is called heaven.

54Ab bhārat nark hai .

55Bharat is now hell.

55Aur kōī bhī gītā sunānē vālē aisē kah na sakē̃ ki kām mahāśhatru hai , in par vijay pānē sē tum svarg K|kē mālik banōgē .

56None of the others who relate the Gita can say that lust is the greatest enemy and that by conquering it you will become the masters of heaven.

56Bhal tum sārē bhārat mē̃ jāō , kōī bhī aisā kah nahī̃ saktā kyōṅki khud hī vikārī hai .

57You might travel throughout the whole of Bharat, but no one would be able to say this because they are vicious themselves.

57Un bichārō̃ kō bhī yah patā nahī̃ ki sabkā antim janm hai .

58The poor helpless people don't even know that this is everyone's final birth.

58Bābā batlātē haĩ ki pahlē tō inkā yah bahut janmō̃ K|kē ant kā janm hai , jismē̃ maĩ pravēśh kartā hū̃ arthāt ab sārē sr̥iṣhṭi kā hī ant hai .

59Baba first tells you that it is the body of this one's final birth of many births I enter, that is, it is now the end of the whole world.

59Is ēk janm kē liē tum pavitratā kā bīṛā uṭhāō .

60You take the responsibility of purity in this one birth.

60Yah kōī jhūṭh bāt tō nahī̃ .

61This is not a lie.

61Mahābhārī laṛāī bhī dēkh rahē hō .

62You can also see the Great War ahead.

62Thōṛī-thōṛī rehearsal hōtī rahēgī .

63Small rehearsals will continue to take place.

63Bachchō̃ nē vināśh-sthāpanā kā sākṣhātkār kiyā hai .

64Some children have had visions of establishment and destruction.

64Issē siddha hōtā hai - antim janm hai .

65This proves that this is the final birth.

65Aur gītā sunānē vālē aisā kah na sakē̃ ki yah antim janm hai isliē pavitratā kā bīṛā uṭhāō .

66None of the others who relate the Gita would say that you have to take the responsibility of becoming pure because this is the final birth.

66Tumhārā yah rājyōg hai .

67Yours is Raj Yoga.

67Tum tapasyā kartē hō , rājāī kē liē .

68You are doing tapasya in order to claim a kingdom.

68Ab yah sachchī kamāī karnī hai .

69You now have to earn this true income.

69Is antim janm mē̃ pattharnāth sē pārasnāth bantē hō . 70Bilkul ūñch pad pātē hō .

70In this final birth, you are becoming lords of divinity from being lords of stone.

71Jō hamārē purānē bachchē haĩ , jinkō māyā nē bhasmībhūt kiyā hai , unhō̃ kō ākar jagāyā hai .

71You claim a very high status. 72I have come and awoken My old children who have been burnt by Maya.

72Yah gōrā thā .

73This one was beautiful.

73Ab sab ātmāyē̃ kālī tamōpradhān haĩ .

74Now, all souls are ugly and tamopradhan.

74Ātmā hī kālī aur gōrī bantī hai .

75It is souls that become ugly and beautiful.

75Ātmā kō nirlēp kahnā bilkul sāph jhūṭh hai .

76It is clearly a lie to say that souls are immune to the effect of actions.

76Ātmā saṅskār lē jātī hai .

77Souls carry their sanskars.

77Ab bābā kahtē haĩ tum bachchē hō īśhvarīy mat par .

78Baba says: You children are now following God's directions.

78European lōg bhī kahtē haĩ - bhārat mē̃ god-goddess key|kī rājdhānī thī .

79Europeans say that there was the kingdom of gods and goddesses in Bharat.

79Bhagvān rām , bhagvatī sītā , parantu unkō bhagvān kah nahī̃ sakē̃gē .

80People speak of God Rama and Goddess Sita, but they cannot be called God.

80Vah tō deityism hai .

81That is deityism.

81Vahā̃ bhagvān kōī nahī̃ hai .

82There is no God there.

82Bhagvān tō ēk hai . 83Dēvtāyē̃ tīn haĩ .

83God is only One and there are three subtle deities.

84Bākī hai manuṣhya sr̥iṣhṭi .

84All the rest is the human world.

85Jaisē Christ nē ākar dharm sthāpan kiyā , kriściyan thē nahī̃ .

85Christ came and established the Christian religion. 86Christians didn’t exist before that.

86Vaisē ab dēvtā dharm prāyaḥ lōp hai .

87In the same way, the deity religion has now disappeared.

87Sabsē uttam dharm hai dēvtāō̃ kā .

88The most elevated religion is that of the deities.

88Bābā kahtē haĩ pahlē-pahlē yah rūhānī brāhmaṇ dharm rachtā hū̃ .

89Baba says: First of all, I establish this spiritual Brahmin religion.

89Yah rūhānī brāhmaṇ paramdhām kā rāstā batānē vālē haĩ .

90You spiritual Brahmins show the way to the supreme abode.

90Kahtē haĩ bhaktō̃ kō ghar baiṭhē bhagvān miltā hai .

91It is said that devotees find God while sitting at home.

91Tō bābā batlātē haĩ pahlē number mē̃ bhakta jarūr dēvtāyē̃ hōṅgē .

92So, Baba says: Those who were deities would definitely become the first number devotees.

92Lakṣhmī-nārāyaṇ nē pahlē-pahlē bhakti mārg śhurū kiyā .

93Lakshmi and Narayan are the ones who started the path of devotion.

93Sōmnāth kā mandir unhō̃ nē banāyā , kitnā sāph-sāph batlātē haĩ .

94They first built the Somnath Temple. 95It is explained so clearly.

94Yah knowledge uṭhāyēṅgē bhī vah jō rājdhānī K|kē mālik bannē hōṅgē .

96Those who are to become the masters of the kingdom will take this knowledge.

95Phir jō prajā mē̃ sāhūkār bannē hōṅgē vah gyān bhī sunē̃gē .

97Then, those who are to become wealthy subjects will also listen to this knowledge.

96Bīj bhī bōyēṅgē lēkin paṛhāī jyādā nahī̃ paṛhē̃gē .

98They will sow seeds too, but they will not study a great deal.

97Pavitra rahē̃gē .

99They will remain pure.

98Bābā kahtē haĩ - bachchē , yah paṛhāī hai .

100Baba says: Children, this is a study.

99Paṛhāī sē hī pad milnā hai .

101Only by studying do you receive a status.

100Bahut ūñch tē ūñch pad hai .

102The status is the highest.

101Pahlē tō yah niśhchay chāhiē ki bhagvān ham bachchō̃ kō paṛhānē āyē haĩ , na ki śhrīkr̥iṣhṇa .

103First of all, let there be the faith that God, not Shri Krishna, has come to teach you children.

102Bākī hā̃ , is paṛhāī sē ham śhrīkr̥iṣhṇa banē̃gē . 103Prince-princess tō tum sab bantē hō .

104However, we will become Shri Krishna through this study; all of you will become princes and princesses.

104Jinkō yah pūrā niśhchay nahī̃ vah is school mē̃ aisē baiṭhē rahtē jaisē kōī bhuṭṭū .

105Those who don't have full faith sit in this school as though they are dull.

105Agar niśhchay hai tō regular paṛhnā hai .

106If you have faith, you have to study regularly.

106Nahī̃ tō kuchh samjhā nahī̃ hai .

107Otherwise, it is as though you haven't understood anything.

107Yah avināśhī prālabdh miltī hai , avināśhī bābā dvārā .

108You receive this imperishable reward from imperishable Baba.

108Bākī sab kabradākhil hō jāyēṅgē .

109All the rest will be buried in the graveyard.

109Bākī thōṛē rahē̃gē , jab tak ham taiyār hō jāyē̃ .

110However, until we become ready, only a few will remain.

110Phir vah ḵẖalās hō jāyēṅgē .

111Then, they too will finish.

111Ham-tumnē kalp pahlē yah sab dēkhā thā .

112You and I saw all of this in the previous cycle.

112Ab dēkh rahē haĩ .

113We are now seeing it again.

113Abhī kahē̃gē ki 5 hajār varṣh bād phir yah dharm sthāpan kar rahā hū̃ kyōṅki unmē̃ brahmāṇḍ aur sr̥iṣhṭi K|kē ādi-madhy-ant kā gyān hō nahī̃ saktā .

114It would now be said that I am once again establishing this religion after 5000 years because those people cannot have the knowledge of Brahmand or of the beginning, middle and end of the cycle.

114Yah gyān bābā hī ākar dētē haĩ .

115Baba alone comes and gives you this knowledge.

115Brahmāṇḍ arthāt jahā̃ ātmāyē̃ aṇḍē misal rahtī haĩ .

116Brahmand is the place where souls reside like egg.

116Vah sannyāsī lōg phir brahm kō īśhvar kah dētē haĩ .

117Those sannyasis say that the brahm element is God.

117Ab brahm tō hai tatva . 118Parampitā paramātmā tō hai śhiv .

118However, brahm is an element whereas Shiva is the Supreme Father, the Supreme Soul.

119Vah lōg tō brahmōham bhī kahtē , śhivōham bhī kahtē rahtē .

119Those people say, "Brahmohum, Shivohum" (I am Brahm, I am Shiva).

120Parantu śhiv tō hai brahmā-viṣhṇu-śhaṅkar kā rachayitā .

120However, Shiva is the Creator of Brahma, Vishnu and Shankar.

121Kahtē haĩ nā - bhāgīrath nē gaṅgā lāī . 122Vah yah bhāgīrath manuṣhya hai .

121It is said that Bhagirath (the lucky chariot) brought the Ganges; that Bhagirath is this human being.

123Nandīgaṇ tō phir jānvar hō gayā .

122Nandigan, the bull, is an animal.

124Unhōnnē gaūśhālā akṣhar sunā hai tō phir bail kō rakh diyā hai .

123They have heard of the cowshed and so they have kept a bull.

125Mandirō̃ mē̃ bhī right chitra haĩ - lakṣhmī-nārāyaṇ , sītā-rām K|kē .

124In the temples too, there are the right pictures of Lakshmi and Narayan and of Rama and Sita.

126Bas , yah hai ūñch tē ūñch jō prālabdh bhōgtē haĩ .

125They are the highest on high who experience their reward.

127Prajā bhī prālabdh bhōgtī hai .

126Even subjects experience their reward.

128Lakṣhmī-nārāyaṇ dī|the first , dī|the second , third . . . . . . . . 8 bādśhāhī chaltī haĩ .

127There are Lakshmi and Narayan the First, the Second, the Third; there are eight in the dynasty.

129Bachchē rājya kartē haĩ .

128Children rule the kingdom.

130Sītā-rām kā bhī aisē chaltā hai .

129It is the same with Rama and Sita.

131Phir gāyā jātā hai jagadambā ādi dēvī aur brahmā ādi dēv .

130It is said: Jagadamba is Adi Devi and Brahma is Adi Dev.

132Adam-eve - yah dōnō̃ ab kālē haĩ phir gōrē bannē haĩ .

131Adam and Eve are both ugly at this time and are to become beautiful.

133Duniyā in bātō̃ kō nahī̃ jāntī .

132The world doesn't know these things.

134Kālī , durgā , ambā - sab ēk K|kē hī nām haĩ .

133Kali, Durga, Amba are all names of the same one.

135Sachchā nām sarasvatī hai .

134Her real name is Saraswati.

136Tō ātmā kālī hōtī hai , bākī kōī kālā mũh thōṛēhī hōtā hai .

135Therefore, it is the soul that becomes ugly. 136It isn't that someone dirties his or her face.

137Is samay sab ātmāyē̃ kālī haĩ .

137At this time, all souls are ugly.

138Ham sab bandar thē .

138We were all like monkeys.

139Ab bābā nē hamkō apnī sēnā banāyā hai .

139Baba has now made us His army.

140Ab rāvaṇ par jīt pā rahē haĩ .

140You are now conquering Ravan.

141Bābā kahtē haĩ maĩ tumkō sab śhāstrō̃-vēdō̃ kā sār brahmā dvārā sunātā hū̃ .

141Baba says: I tell you the essence of all the Vedas and scriptures through Brahma.

142Brahmā kō hāth mē̃ śhāstra dikhātē haĩ .

142They have portrayed scriptures in the hands of Brahma.

143Śhāstra tō ēk hōnā chāhiē nā .

143There should only be one scripture.

144Tō ab brahmā K|kē hāth mē̃ hai - śhirōmaṇī gītā .

144So there is now the most elevated Gita in the hands of Brahma.

145Bābā baiṭh brahmā dvārā sab vēdō̃-granthō̃ kā sār batātē haĩ .

145Baba sits here and tells you the essence of all the Vedas and the Granth etc. through Brahma.

146Unkō gītā kahā jātā hai . 147Bākī kōī śhāstra nahī̃ haĩ .

146This is called the Gita but there isn't a scripture here.

148Buddhi mē̃ gītā hai .

147You have the Gita in your intellects.

149Gītā mē̃ bhagvānuvāch hai ki kām mahāśhatru hai tō gītā sunānē vālō̃ kō bhī kahnā chāhiē ki in par jīt pahanō tō svarg K|kē mālik banē̃gē .

148In the Gita, God speaks: Lust is the greatest enemy. 149Therefore, this has to be told to those who relate the Gita: Conquer this and you will become the masters of heaven.

150Vah tō aisē kabhī nahī̃ kahē̃gē .

150They would never say this.

151Sab jhūṭh bōltē rahtē haĩ .

151They all continue to tell lies.

152Ham bhī jhūṭh bōltē thē .

152We too used to tell lies.

153Hamnē bhī bahut gurū kiyē .

153We also adopted many gurus.

154Arjun kō bhī kahā hai nā in sabkō bhūlō .

154Arjuna too was told: Forget everyone else.

155Tumhārē in gurūō̃ kō bhī pāvan karnē vālā maĩ hū̃ .

155I am the One who purifies all those gurus of yours.

156Ab tum jō paṛhē hō vah bhūl jāō .

156You now have to forget everything you have studied.

157Na sunā huā ab maĩ sunātā hū̃ .

157I am now telling you things that you have never heard before.

158Ab tum kauṛī sē hīrē jaisā bantē hō .

158You are now becoming like diamonds from shells.

159Ab yah sab ḵẖalās hōnā hai .

159All of that is now to end.

160Tum bachchō̃ nē vināśh-sthāpanā dēkhī hai , isliē puruṣhārth kar rahē haĩ , bābā kē pās sabkā pōtāmēl rahtā hai .

160You children have seen destruction and establishment and this is why you are making effort. 161Baba has everyone's chart.

161Likhkar dētē haĩ - maĩ aisā pāpī thā , yah kiyā kyōṅki dharmarāj bābā kahtē haĩ - hamkō sunānē sē ādhā māph kar dēgē .

162Some write it and give it to Baba: I was a sinner like this and I did this. 163Dharamraj Baba says: By telling Me about it, half will be forgiven.

162Vah sab private rahtā hai .

164All of that stays private.

163Paṛhā aur phir phāṛ diyā .

165Baba would read it and tear it up.

164Yah almighty government hai .

166This is the Almighty Government.

165Abhī ajun chhōṭā jhāṛ hai , iskā mālī khud bhagvān hai .

167The tree is very small as yet, and the Gardener of this is God Himself.

166Dhīrē-dhīrē vr̥iddhi hōgī .

168Growth will take place slowly.

167Māyā jhaṭ murjhā dētī hai .

169Maya quickly makes you wilt.

168Kahā̃ key|kī bāt kahā̃ kahānī K|kē rūp mē̃ banā dī hai .

170They have taken the situation of one time and made it into a story of another time.

169Kahā̃ hamārē lakṣhmī-nārāyaṇ maryādā puruṣhōttam aur puruṣhōtmanī mahān pavitra thē .

171Lakshmi and Narayan were the most elevated human beings who followed the highest code of conduct. 172They were extremely pure.

170Yahā̃ tō sab apavitr haĩ .

173Here, all are impure.

171Vah thā pavitra gr̥ihasth āśhram dharm .

174That was the religion of pure ashram-like households.

172Yahā̃ apavitr gr̥ihastha adharm hai .

175Here, there is irreligion of impure households.

173Pūchhtē haĩ phir duniyā kaisē chalēgī  ?

176People ask: How would the world then continue?

174Bābā kahtē haĩ yah duniyā rahnī hī nahī̃ hai .

177Baba says: This world is not going to remain; it is to be destroyed.

175Ḵẖalās hōnī hai .

178This is your final birth.

176Yah antim janm hai isliē kām kaṭārī chalānā chhōṛ dō .

179This is why you have to stop using the sword of lust.

177Tumkō janma-janmāntar vikārī mā̃-bāp sē viṣh kā varsā miltā āyā .

180You have been receiving the inheritance of poison from vicious parents for birth after birth.

178Ab maĩ ordinance nikāltā hū̃ - viṣh kā varsā band karō .

181I now issue this ordinance: Stop giving the inheritance of poison.

179Nahī̃ tō vaikuṇṭha jā nahī̃ sakē̃gē .

182Otherwise, you won't be able to go to Paradise.

180Vikārō̃ par jīt pahanē̃gē tō svarg mē̃ jāyēṅgē , nahī̃ tō pātāl . 181Rām rājya ākāśh tō rāvaṇ rājya pātāl .

183By conquering the vices, you will go to heaven, otherwise, to hell. 184If the kingdom of Rama were in the sky, the kingdom of Ravan would be down in the depths of hell.

182Yah drama hai .

185This is a drama.

183Is samay dēvtā dharm vālē aur dharmō̃ mē̃ convert hō gayē haĩ . 184Apnē aslī dharm kō nahī̃ jāntē haĩ .

186At this time, those of the deity religion have been converted to other religions; they don't know their original religion.

185Kōī dharm mē̃ thōṛā sukh dēkhā tō jhaṭ convert hō jātē haĩ , iskō kahtē hai half caste .

187Once they experience a little happiness in another religion, they soon become converted.

186Yahā̃ bhī jō brāhmaṇ caste mē̃ āyē lēkin puruṣhārth mē̃ kamjōr haĩ tō prajā pad milēgā .

188Here, too, those who come into the Brahmin caste but whose efforts are weak will receive the status of subjects.

187Sāph bāt batlātē haĩ .

189Baba tells you everything very clearly.

188Yah jō kahtē haĩ r̥iṣhi-muni ādi trikāldarśhī thē , lēkin jab jagat mithyam kahtē haĩ tō phir trikāldarśhī kaisē hōṅgē  ?

190Rishis and munis used to say that they are trikaldarshi. 191Then, they also used to say that the world is an illusion. 192In that case, how could they be trikaldarshi?

189Bahut gapōṛē lagāyē haĩ .

193They have told so many lies.

190Kahtē haĩ phalānā nirvāṇdhām gayā - yah bhī gapōṛā .

194When they say, "So-and-so went to the land of nirvana”, that too is a lie.

191Sabkō part bajākar yahā̃ hājir hōnā hai .

195They all have to play their parts and remain present here.

192Sabkā guide bābā hai .

196Baba is everyone's Guide.

193Bābā kisī sē bhakti chhuṛātē nahī̃ .

197Baba doesn't tell anyone to renounce devotion.

194Jab tak paripakva avasthā nahī̃ hai tō bhal bhakti kartē rahē̃ .

198Until they reach a mature stage, let them continue to perform devotion.

195Yād rakhnā - ham kōī kā gurū nahī̃ .

199Remember, I (Brahma) am not anyone's guru.

196Jaisē tum suntē hō vaisē ham bhī sun rahē haĩ śhivbābā sē .

200Just as you are listening to Shiv Baba, I too am listening to Shiv Baba.

197Ham sabkā gurū vah ēk nirākār hai .

201That one incorporeal One is the Guru of us all.

198Achchhā  !

202Achcha.

199Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād , pyār aur good morning .

203To the sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

200Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

204The spiritual Father says namaste to the spiritual children.

Essence for dharna

201Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

205Essence for dharna:

2021 ) is antim janm mē̃ pavitratā key|kī pratigyā kar pān kā bīṛā uṭhānā hai .

206 1. Make a promise for purity in this last birth and take responsibility for that.

203Ātmā kō kālē sē gōrā satōpradhān banānē kā puruṣhārth karnā hai .

207Endeavour to make your soul beautiful and satopradhan from ugly.

2042 ) avināśhī prālabdh banānē kē liē niśhchaybuddhi ban paṛhāī regular paṛhnī hai .

208 2. In order to create your imperishable reward, your intellect must have faith and study regularly.

205Bākī jō ab tak paṛhā hai vah buddhi sē bhūl jānā hai .

209Remove from your intellect everything you have studied so far.

Blessing

206Vardān  : vijay K|kē umaṅg-utsāh dvārā nāummīndī kō ummīdō̃ mē̃ parivartan karnē vālē niśhchaybuddhi bhav

210Blessing: May your intellect have faith and you will transform hopelessness into hope with the zeal and enthusiasm of victory.

207Agar niśhchay aṭūṭ hai tō vijay sadā hai hī , vijay kā umaṅg-utsāh sadā rahē , nāummīndī K|kē saṅskār na hō̃ .

211 If you have unbroken faith, you are always victorious. 212Constantly have zeal and enthusiasm of your victory and do not have any sanskars of hopelessness.

208Kōī bhī muśhkil kārya itnā sahaj anubhav hō jaisē kōī baṛī bāt hī nahī̃ hai kyōṅki anēk bār kārya kar chukē haĩ , kōī naī bāt nahī̃ kar rahē haĩ , isliē nāummīdī̃ kā nāmniśhān bhī na rahē , kōī bhī svabhāv-sanskār mē̃ yah saṅkalp na āyē ki patā nahī̃ yah parivartan hōgā yā nahī̃ , haĩ hī sadā K|kē vijayī .

213Experience any difficult task to be easy, as though it is not a big deal. 214You have accomplished that task countless times before, you are not doing anything new, so let there not be any name or trace of hopelessness. 215Do not have any thought in your nature or sanskars to whether you will change or not, you are constantly victorious.

Slogan

209Slōgan  : śhaktiśhālī bannā hai tō sadā khajānō̃ key|kī smr̥iti aur simraṇ mē̃ rahō .

216Slogan: In order to become powerful, remain constantly aware of, and remember your treasures.

217*** Om Shanti ***