गुरुवार 3 अगस्त 2023 की दैनिक मुरली

ध्यान दें: वाक्यों का संरेखण अक्षरों की संख्या पर आधारित है और पूरी तरह विश्वसनीय नहीं है।

आप पूरी मुरली या उसके किसी भाग का वाक्य संरेखण स्वयं सुधार सकते हैं।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

003-08-2023 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

0 03/08/23 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē bachchē - yād kī yātrā mē̃ time dētē rahō tō vikarma vināśh hōtē jāyēṅgē , sabsē mamatva miṭ jāyēgā , bāp K|kē galē kā hār ban jāyēṅgē ' '

1Essence: Sweet children, continue to give time to the pilgrimage of remembrance and your sins will continue to be absolved. 2Attachment to everyone will end and you will become the garland around the Father's neck.

Question

2Praśhna  : god father dvārā tum bachchē kin dō śhabdō̃ key|kī paṛhāī paṛhtē hō  ? 3Un dō śhabdō̃ mē̃ kaun-sā rāz samāyā huā hai  ?

3Question: Which few words do you study with God, the Father? 4What secrets are merged in thosefew words?

Answer

4Uttar  : god father tumhē̃ itnā hī paṛhātā ki - hē ātmāyē̃ , ' śharīr kā bhān chhōṛō ' aur ' mujhē yād karō ' - yah dō śhabdō̃ key|kī paṛhāī isīliē paṛhāī jātī hai kyōṅki ab tumhē̃ is purānī duniyā mē̃ purānī khāl nahī̃ lēnī hai .

5Answer: God, the Father, is just teaching you this much: O souls, renounce the consciousness of your bodies and remember Me. 6This study of just few words is taught to you, because you are not going to take old skins (costumes) in the old world now. 7You have to go to the new world.

5Tumhē̃ naī duniyā mē̃ jānā hai .

8I have come to take you back with Me.

6Maĩ tumhē̃ sāth lē chalnē āyā hū̃ isliē dēh sahit sab kuchh bhūltē jāō .

9Therefore, continue to forget everyone as well as your bodies.

Song

7Gīt  : tumhī̃ hō mātā , pitā tumhī̃ hō …

10Song: You are the Mother and the Father.

Murli

8Ōm śhānti .

11Om shanti.

9Bachchē sāligrām jāntē haĩ ki kōī manuṣhya dvārā ham śhāstra nahī̃ suntē haĩ .

12You saligram children know that you are not listening to any scriptures of human beings.

10Iskō satsaṅg nahī̃ kahā jātā hai , paṛhāī kahā jātā hai .

13This is not called a spiritual gathering (satsang), but a study.

11Agar manuṣhyō̃ sē pūchhā jāē tō kahē̃gē ki ham satsaṅg mē̃ jātē haĩ vā kahē̃gē ki ham college mē̃ jātē haĩ .

14If you ask people, they would say that they go to a spiritual gathering or to a college.

12Yah tō jāntē hō satsaṅg mē̃ sādhū , sant , vidvān ādi sunānē vālē hōṅgē .

15You know that there would be scholars, sages and holy men in a spiritual gathering who give them knowledge.

13School mē̃ bhī manuṣhya teacher , professor ādi hōṅgē , yahā̃ manuṣhya nahī̃ haĩ .

16At school, human beings are professors and teachers etc. 17Here, it is not a human being.

14Yah hai bēhad kā rūhānī bāp , jiskō kahā jātā hai - tvamēv mātāśhcha pitā . . . . . yah mahimā dēvtāō̃ key|kī bhī nahī̃ , brahmā , viṣhṇu , śhaṅkar key|kī bhī nahī̃ .

18That One is the unlimited spiritual Father to whom you say: You are the Mother and the Father. 19This cannot be the praise of deities or even of Brahma, Vishnu or Shankar.

15Yah mahimā hai nirākār parampitā paramātmā key|kī .

20This is the praise of the incorporeal Supreme Father, the Supreme Soul.

16Ab bachchē jāntē haĩ ki nirākār parampitā paramātmā yah śharīr dhāraṇ kar part bajā rahē haĩ .

21You children now know that, having adopted this body, the incorporeal Supreme Father, the Supreme Soul, is playing a part.

17Sivāē is nirākār parampitā paramātmā K|kē kōī bhī brahmākumār-kumāriyō̃ kō paṛhā nahī̃ saktē .

22No one, except this incorporeal Supreme Father, the Supreme Soul, can teach you Brahma Kumars and Kumaris.

18Brahmā kō bhī gyān sāgar nahī̃ kahē̃gē .

23Even Brahma cannot be called the Ocean of Knowledge.

19Iskō prajāpitā kahē̃gē , gyān sāgar ēk hī nirākār parampitā paramātmā kō kahā jātā hai .

24He is called Prajapita (Father of Humanity). 25Only the one incorporeal Supreme Father, the Supreme Soul, is called the Ocean of Knowledge.

20Vahī patitō̃ kō pāvan banānē vālā hai kyōṅki gyān sāgar sē hī sadgati hōtī hai .

26He alone is the One who makes impure ones pure, salvation can only be received from the Ocean of Knowledge.

21Yah hai naī bāt .

27These are new things.

22Gītā mē̃ śhrīkr̥iṣhṇa kā nām ḍālnē sē khaṇḍan kar diyā hai .

28By writing Shri Krishna's name in the Gita, they have falsified the Gita.

23Ab manuṣhyō̃ kō kaisē patā paṛē ki knowledgeful parampitā paramātmā ākar knowledge dētē haĩ .

29How can human beings know that the knowledge-full Supreme Father, the Supreme Soul, comes and enters a human body and gives knowledge?

24Yah manuṣhya bhūl jātē haĩ .

30People forget this.

25Aisē nahī̃ ki śhāstra ādi dvāpar K|kē ādi mē̃ hī bantē haĩ .

31It isn't that the scriptures are written at the beginning of the copper age; no!

26Nahī̃ , samjhāyā jātā hai pahlē bāp kā chitra , mandir ādi bantē haĩ , jissē bhakti śhurū hōtī hai .

32It is explained that they first create the Father's image and the temples etc. through which devotion begins.

27Bhakti bhī bahut samay paramātmā key|kī hōnī chāhiē kyōṅki ūñch tē ūñch vah hai .

33The devotion of the Supreme Soul should last for a long time because He is the Highest on High.

28Unkī pūjā pahlē śhurū hōtī hai .

34Worship of Him begins first.

29Pūjā lāyak hai hī ēk śhiv .

35Shiva alone is worthy of worship.

30Aisē nahī̃ ki brahmā , viṣhṇu , śhaṅkar vā jagat ambā , jagat pitā pūjā kē liē lāyak haĩ .

36It isn't that Brahma, Vishnu or Shankar, Jagadamba or Jagadpita are worthy of worship.

31In sabkō pūjya banānē vālā ēk hī bāp hai .

37It is just the one Father who makes all of them worthy of worship.

32Unkī bhakti bhī jarūr adhik hōgī .

38He would definitely be worshipped a lot more.

33Yah ( brahmā ) tō kuchh nahī̃ . 34Inmē̃ parampitā paramātmā na āyē tō inkī pūjā kyā hōgī  ?

39This one (Brahma) is nothing; how could he be worshipped unless the Supreme Father, the Supreme Soul, entered him?

35Sabkā sadgati dātā ēk hī bāp hai .

40The Bestower of Salvation for All is just the one Father.

36Yah vichār sāgar manthan karnā hōtā hai .

41These things have to be churned.

37Bhakti kaisē śhurū hōgī  ?

42How does devotion begin?

38Śhivbābā tō vichār sāgar manthan nahī̃ kartē .

43Shiv Baba doesn't churn the ocean of knowledge.

39Bachchō̃ kō vichār sāgar manthan karnā hai .

44Children have to churn the ocean of knowledge.

40Sarasvatī , jō brahmā key|kī mukh vaṅśhāvalī hai , unkō bhī vichār sāgar manthan karnā hai .

45Saraswati, who is a mouth-born creation of Brahma, also has to churn the ocean of knowledge.

41Ūñch tē ūñch hai ēk , agar vah na āyē tō duniyā kō patit sē pāvan kaun banāyē  ?

46The Highest on High is the One and if He didn't come, who would make the world pure from impure?

42Sab manuṣhya mātra patit haĩ .

47All human beings are impure.

43Ab śhivbābā na āyē tō svarg kā varsā kaun dēvē  ?

48If Shiv Baba didn't come, who would give you the inheritance of heaven?

44Niśhchaybuddhi nahī̃ haĩ tō vijay mālā mē̃ pirō na sakē̃ .

49If your intellects don't have faith, you cannot be threaded in the rosary of victory.

45Sapūt bachchē sadaiv galē kā hār bantē haĩ .

50Worthy children always become the garland around the neck.

46Bāp bhī khuśh hōtē haĩ - yah bachchā baṛā sapūt āgyākārī hai .

51A father would also be pleased if his child is very worthy and obedient.

47Bahut mā̃-bāp hōtē haĩ jinkō 12-14 bachchē bhī hōtē haĩ , jinmē̃ kōī kapūt , kōī sapūt bhī hōtē haĩ .

52Many parents have 12 to 14 children and some are worthy and others are unworthy.

48Patit-pāvan bāp K|kē sivāē patitō̃ kā uddhār kōī kar nahī̃ saktē haĩ .

53No one, apart from the Purifier Father, can uplift impure ones.

49Tum jāntē hō ki gaṅgā nadī par bhī gaṅgā kā mandir hai .

54You know that there is a temple to the Ganges on the banks of the River Ganges.

50Tō samjhānā chāhiē ki yah gaṅgā phir kaun hai  ?

55So, you should explain what the Ganges is.

51Kyā yah kōī śhakti hai , jissē patit sē pāvan bantē haĩ vā pānī sē pāvan bantē haĩ  ?

56Is it some power through which you become pure from impure or do you become pure through water?

52Bāp kahtē haĩ ki gaṅgā patit-pāvnī nahī̃ .

57The Father says: The Ganges is not the Purifier.

53Sivāē yōg K|kē kōī bhī pāvan ban nahī̃ saktē , isliē tumhē̃ kōī gaṅgā snān nahī̃ karnā hai .

58No one can become pure without having yoga. 59This is why you don't have to bathe in the Ganges.

54Yōg kā arth|earth hai yād .

60Yoga means remembrance.

55Buddhi kā yōg lagānā hai .

61You have to connect your intellects in yoga.

56Vah tō bahut yōg āsan ādi lagātē haĩ .

62Those people have many different yoga positions etc.

57Anēk prakār K|kē haṭhyōg kartē haĩ , unkō yōg nahī̃ kahā jātā hai .

63They perform many different types of hatha yoga. 64That is not called yoga.

58Mātāyē̃-ablāyē̃ haṭhyōg kō kyā jānē̃  ?

65What would mothers and poor innocent women know about hatha yoga?

59Manuṣhya school mē̃ paṛhtē haĩ , usmē̃ dhakkē khānē key|kī kōī bāt nahī̃ rahtī hai .

66When people are studying at school, there is no question of stumbling around in that.

60Kōī na kōī imtahān pās|pass kartē haĩ . 61Jāntē haĩ yah imtahān pās|pass karkē yah banē̃gē .

67They pass one examination or another and they know what they will become after passing that examination.

62Yahā̃ bhī tum jāntē hō - yah bhī imtahān hai , god father paṛhātē haĩ .

68Here, too, you know that this is an examination and that God, the Father, is teaching you.

63Vah hai patit-pāvan .

69He is the Purifier.

64Tumhārī hai god fatherly student life .

70Yours is a Godfatherly student life.

65Bāp patit sē pāvan kaisē banātē haĩ  ?

71How does the Father make you pure from impure?

66Kahtē haĩ - hē ātmāyē̃ , is śharīr kā bhān chhōṛō .

72He says: O souls, renounce the consciousness of those bodies.

67Is purānē śharīr kō chhōṛnā hai .

73You have to renounce those old bodies.

68Pahlē-pahlē tumhārā śharīr gōrā thā , ab iron aged hō gayā hai .

74First of all, your bodies were beautiful, but they have now become iron aged.

69Abhī tumkō naī khāl tō yahā̃ lēnī nahī̃ hai kyōṅki yahā̃ tō 5 tatva hī tamōpradhān haĩ .

75You are not going to receive new skins (bodies) here because the five elements are tamopradhan.

70Abhī maĩ tum bachchō̃ kō apnē sāth lē jāūṅgā .

76I will now take you children back with Me.

71Kalp pahlē bhī lē gayā thā .

77I also took you back in the previous cycle.

72Maĩ kālō̃ kā kāl hū̃ .

78I am the Death of all Deaths.

73Sabkō vāpis lē jāūṅgā .

79I will take everyone back.

74Phir tumkō amarpurī mē̃ bhēj dū̃gā .

80Then, I will send you to the land of immortality.

75Yah hai mr̥ityulōk , chhī-chhī duniyā , isliē saṅgamyug kō 100 varṣh chāhiē .

81This is a land of death, a dirty world. 82This is why the confluence age has to have a duration of 100 years.

76Aur tō har ēk yug 1250 sāl kā hōtā hai .

83All the other ages have a duration of 1250 years.

77Is pichhāṛī K|kē saṅgamyug key|kī āyu bahut chhōṭī hai .

84The duration of this confluence age, at the end, is very short.

78Jaisē brāhmaṇō̃ key|kī chōṭī chhōṭī hōtī hai vaisē saṅgamyug key|kī āyu bhī chhōṭī hai .

85Just as the topknots of brahmins are very short, in the same way, the duration of the confluence age is also very short.

79Phir yah duniyā ḵẖatm hō jāyēgī , tō nayē makān ādi banānē śhurū karē̃gē .

86Then, this world will end and you will then begin to construct new buildings etc.

80Usmē̃ pahlē śhrīkr̥iṣhṇa ātā hai .

87Shri Krishna comes first in that.

81Vah śhaukīn hai mahal ādi banvānē kā .

88He is very keen and interested to have palaces etc. built.

82Kōī tō bahut śhaukīn thā nā jisnē sōmnāth kā mandir banvāyā .

89There must have been someone who was very keen and therefore had the Somnath Temple built.

83Birlā bhī śhaukīn hai , kaisā achchhā mandir banāyā hai  !

90Birla was also so keen that he built such a beautiful temple.

84Number one mē̃ pūjya hai śhivbābā , phir bhakti mārg mē̃ bhī pahlē sōmnāth kā mandir bantā hai .

91The foremost worthy-of-worship One is Shiv Baba. 92On the path of devotion, the first temple to be built is the Somnath Temple (Temple to the Lord of Nectar).

85Sō bhī kuchh samay bād mē̃ bantā hōgā . 86Phir pūjā śhurū hōgī .

93It must have been built after a little time (into the copper age), when worshipping began.

87Abhī tō hai ghōr andhiyārā .

94Now, there is extreme darkness.

88Rāt pūrī hō phir din ātā hai .

95The night will end and then the day will come.

89Bāp kahtē haĩ maĩ rāt aur din K|kē bīch mē̃ ātā hū̃ .

96The Father says: I come in-between the night and the day.

90Mahābhārī laṛāī bhī hai .

97There is also the great war.

91Likhā huā hai ki yādavō̃ K|kē pēṭ sē vah chījē̃ nikalī jissē sārē kul kā vināśh huā .

98It is written: Such things will emerge from their stomachs that they destroy the whole clan.

92Tum dēkh rahē hō barōbar vināśh kē liē taiyārī kar rahē haĩ .

99You can see that they are really making preparations for destruction.

93Samajhtē haĩ kōī prērak haĩ .

100They believe that someone is inspiring them.

94Dōnō̃ nē vināśh kē liē bombs banākar rakhē haĩ .

101Both sides have manufactured bombs for destruction.

95Āphatē̃ bhī ānī haĩ .

102Calamities too will come.

96Tum tō practical mē̃ dēkh rahē hō - sthāpanā bhī hō rahī hai , vināśh bhī sāmnē khaṛā hai .

103You see in a practical way that establishment is taking place and destruction is also just ahead.

97Samjhō , kōī nē vināśh nahī̃ dēkhā hai , achchhā , vaikuṇṭha tō dēkhtē haĩ nā .

104If someone has not seen destruction, no matter, he can still see Paradise.

98Achchhī tarah paṛhkar bāp sē pūrā bēhad kā varsā lēnā hai .

105Study well and claim the full unlimited inheritance from the Father.

99Tumkō sākār nahī̃ paṛhātē haĩ .

106This isn't a corporeal being teaching you.

100Śhāstrō̃ ādi key|kī bāt nahī̃ hai .

107There is no question of scriptures etc.

101Yah tō gyān sāgar svayã paṛhātē haĩ .

108This is the Ocean of Knowledge, Himself, who is teaching you.

102Tum apnē kō dēhī samajh bāp kō yād kartē hō .

109Consider yourselves to be bodiless souls and remember the Father.

103Bhagvānuvāch - apnē bachchō̃ prati kahtē haĩ maĩ tum bachchō̃ K|kē sammukh hōtā hū̃ .

110God speaks. 111He says to His children: I am personally in front of you children.

104Jō mērē bachchē bantē haĩ unmē̃ sē kōī sautēlē haĩ , kōī mātēlē haĩ .

112Out of those who become My children, some are stepchildren and others are real children.

105Mātēlē bachchō̃ kō hī varsē kā hak hai .

113Only real children have a right to the inheritance.

106Sanśhay buddhi kō sautēlā kahā jātā hai . 107Unkō varsā nahī̃ mil saktā .

114Those who have intellects with doubt are called stepchildren; they cannot receive the inheritance.

108Vah phir puruṣhārth anusār prajā mē̃ chalē jātē haĩ .

115They then become part of the subjects according to their efforts.

109Mātēlē rājāī mē̃ ā jātē haĩ .

116Real ones go into the kingdom.

110Vah bāp kō pyār kartē haĩ , bāp unkō pyār kartē haĩ .

117They love the Father and the Father loves them.

111Gātē bhī haĩ nā tum par balihār jāūṅgā , vārī jāūṅgā .

118You sing: I will sacrifice myself to You. 119I will surrender myself to You.

112Bāp kahtē haĩ mujhē yād karē̃gē tō maĩ tumkō madad dū̃gā .

120The Father says: If you remember Me, I will help you. 121When children maintain courage, God helps.

113Himmatē mardā , madadē khudā . 114Aur sabsē buddhiyōg tōṛ ēk sē jōṛnā hai .

122Break your intellects’ yoga away from everyone else and connect it to the One alone.

115Tum kahtē hō ham bābā K|kē haĩ . 116Yah sab kuchh bābā kā hai .

123You say that you belong to Baba and that all of this belongs to Baba.

117Bābā kō ham kakhpan dētē haĩ aur badalē|badlē mē̃ svarg K|kē bēhad key|kī bādśhāhī kā varsā lētē haĩ .

124Everything we give to Baba is worth straws and we claim our inheritance of the unlimited sovereignty of heaven in return.

118Is purānī dēh sē hamārā mamatva nahī̃ hai .

125We don't have attachment to these old bodies.

119Yah tō tamōpradhān rōgī śharīr hai .

126These are tamopradhan, diseased bodies.

120Hamārē pās|pass aur kyā hai  ?

127What else do we have?

121Manuṣhya martē haĩ , sab kuchh chhūṭ jātā hai .

128When a person dies, everything is left behind.

122Phir unkā sab kuchh karnīghōr kō diyā jātā hai . 123Ham sab kuchh āpkō dētē haĩ .

129Then, everything of his is given to a Karnighor (brahmin priest): We are giving you everything.

124Mamatva miṭānē kē liē ham nirantar bābā kō yād karnē kā puruṣhārth kartē haĩ .

130In order to end our attachment, we constantly make effort to remember Baba.

125Māyā phir vighna ḍāltī hai isliē dhīrē-dhīrē jitnā mērī yād mē̃ time dētē rahē̃gē tō vikarma vināśh hōṅgē .

131Maya then creates obstacles. 132Therefore, by your gradually continuing to give time to remembering Me, your sins are absolved.

126Vahī mērē galē kā hār banē̃gē . 127Kitnā sahaj samjhātē haĩ .

133You are the ones who will become the garland around My neck.

128Bāp samjhātē haĩ yah rath bhī drama anusār mērā mukarar kiyā huā hai .

134Baba explains so easily. 135The Father says: According to the drama, this chariot is also fixed for Me.

129Aur kisī mē̃ maĩ ā bhī nahī̃ saktā hū̃ .

136I cannot enter anyone else.

130Tum bhī kahtē hō - bābā , kalp pahlē bhī ham āpsē is hī makān mē̃ , isī dress mē̃ milē thē aur āpsē varsā liyā thā .

137You say: Baba, we also met You in this building, in this dress and claimed our inheritance from You in the previous cycle.

131Tō kitnā sahaj hai .

138Therefore, this is so easy.

132Bāp kahtē haĩ ki sirph mujhē yād karō aur kōī bhī taraph buddhi na jāyē .

139The Father says: Simply remember Me alone. 140Let your intellects not go to anyone else.

133Yād rakhnā - antkāl jō putra simarē , agar kisī kō bhī yād kiyā tō phir vahā̃ janma lēnā paṛēgā .

141Remember: Those who remember their sons at the end…. 142If you remember anyone, you will have to take birth to them.

134Kahā̃ bhī mamatva nahī̃ rahnā chāhiē .

143Let there not be attachment to anyone.

135Antkāl jō strī simarē . . . . . bāp ātē haĩ patitō̃ kō pāvan banānē , unkī kitnī mahimā kartē haĩ .

144Those who remember a woman at the end…. 145The Father comes to purify the impure. 146He is praised so much: The One Oval Image ("Ek Omkar").

136Ēkōaṅkār . . . . . unkā ēk hī nām hai .

147He has just the one name.

137Unkō dūsrā śharīr miltā hī nahī̃ hai , jō nām badalī hō .

148He doesn't take any other body that His name could change.

138Tum tō 84 janma lētē hō tō nām bhī 84 paṛtē haĩ .

149You take 84 births and so you also have 84 names.

139Bāp key|kī mahimā mē̃ gātē haĩ nirbhay , nirvair , akālmūrt . . . . . . vahī kālō̃ kā kāl hai , unhē̃ kāl khā nahī̃ saktā .

150The praise sung of Baba is: Fearless, free from animosity, the Immortal Image. 151He is the Death of all Deaths. 152Death cannot come to Him.

140Maĩ sabhī kō muktidhām mē̃ lē jāūṅgā .

153I will take everyone back to the land of liberation.

141Nirvair , mērā kōī sē vair nahī̃ hai .

154I am free from animosity. 155I don’t hold a grudge against anyone.

142Akālmūrt , ajōni , maĩ janm-maraṇ mē̃ nahī̃ ātā hū̃ .

156I am the Immortal Image, I am beyond birth, I don't enter the cycle of birth and death.

143Unkī kitnī mahimā gātē haĩ .

157He is praised so much.

144Gāyā bhī jātā hai duḥkh hartā , sukh kartā . . . . . kaliyug K|kē duḥkh hartē haĩ . 145Satyug K|kē sukh dētē haĩ .

158It is remembered: He is the Remover of Sorrow and the Bestower of Happiness. 159He removes the sorrow of the iron age and gives the happiness of the golden age.

146Bachchē jāntē haĩ bhārat mē̃ satyug mē̃ jīvan-mukti thī .

160You children know that there was liberation-in-life in Bharat in the golden age.

147Bākī sabhī ātmāyē̃ śhāntidhām mē̃ thī , yād paṛtā hai nā .

161All the rest of the souls were in the land of peace. 162Do you remember this?

148Tō jarūr bāp jab saṅgam par āyē , tab sabhī kō śhāntidhām lē jāyē aur tumkō phir sukhdhām bhēj dē . 149Kitnī sahaj bāt hai .

163So, it surely is only at the confluence age when the Father comes that He can take everyone back to the land of peace and then send you to the land of happiness.

150Parantu māyā aisī hai jō yahā̃ sē bāhar gayā tō bhūl jāyēṅgē .

164These things are so easy, but Maya is such that, as soon as you go out from here, you forget.

151Jaisē garbh jēl mē̃ dharmarāj K|kē dvārā tumkō sajā dilātā hū̃ , trāhi-trāhi kartē hō ki ham māphī māṅgtē haĩ phir aisē pāp nahī̃ karē̃gē .

165I inspire punishment to be given by Dharamraj in the jail of a womb, you cry out in distress and ask for forgiveness and say: I will not commit such sin again.

152Bāhar nikalnē sē phir bhī pāp karnē lag paṛtē haĩ .

166Then, as soon as you come out of the womb, you begin to commit sin again.

153Yah hai hī māyā kā rājya .

167This is the kingdom of Maya.

154Satyug-trētā mē̃ māyā hōtī nahī̃ .

168Maya doesn't exist in the golden and silver ages.

155Vahā̃ tō sukh hī sukh rahtā hai .

169There, there is nothing but happiness.

156Abhī tum paṛh rahē hō .

170You are now studying.

157Ismē̃ gharbār chhōṛnē key|kī bāt nahī̃ .

171There is no question of leaving your home and family in this.

158Bāp kahtē haĩ - dēh sahit sab kuchh bhūl jāō .

172Baba says: Forget everything including your bodies.

159Tumhārā yah bēhad kā sannyās hai .

173This is your unlimited renunciation.

160Un sannyāsiyō̃ kā hai had kā sannyās .

174Those sannyasis have limited renunciation.

161Jaṅgal mē̃ jākar phir lauṭ ātē haĩ śhahar mē̃ .

175They go to the forests and then return to the cities.

162Nām kitnē baṛē-baṛē rakhvātē haĩ .

176They give themselves such big names.

163Bāp kahtē haĩ maĩ kitnā sahaj samjhātā hū̃ .

177The Father says: I explain everything so easily.

164Buṛhiyāyē̃ kitnī haĩ , kahtī haĩ hamkō dhārṇā nahī̃ hōtī .

178There are so many old mothers who say: We are unable to imbibe anything.

165Achchhā , yah tō jāntī hō ki paramātmā paṛhātē haĩ  ?

179Achcha, you know that God is teaching you, do you not?

166Vah kahtē haĩ sirph mujhē yād karō .

180He says: Simply remember Me.

167Ismē̃ tō kōī taklīph nahī̃ hai .

181There is no difficulty in this.

168Abhī hamnē 84 kā chakra pūrā kiyā hai .

182We have now completed the cycle of 84 births.

169Yah huā svadarśhan chakra .

183This is the discus of self-realisation.

170Ātmā kō chakra kā darśhan hōtā hai .

184The soul receives a vision of the cycle.

171Yahā̃ hī nirōgī kāyā bantī hai .

185The body becomes free from disease here.

172Chakra kō jānnē sē tum ūñch pad pāyēṅgē isliē bābā kahtē haĩ ki svadarśhan chakradhārī banō .

186By knowing the cycle, you will claim a high status. 187This is why Baba says: Become a spinner of the discus of self-realisation.

173Kitnā sahaj samjhātē haĩ  !

188He explains to you so easily.

174Sahaj yād , sahaj sr̥iṣhṭi chakra , kōī taklīph nahī̃ .

189Remembrance is easy. 190Spinning the world cycle is easy.

175Yah hai sachchī kamāī .

191There is no difficulty.

176Bākī dhan māl tō sab ḵẖatm hō jānā hai , sab chhūṭ jātā hai .

192This is a true income. 193All the wealth and possessions are going to finish.

177Sāgar kō uthal khānī hai .

194Everything is to be left behind.

178Natural calamities bhī ānī hai . 179Bhārat sachkhaṇḍ thā , aur kōī bhī khaṇḍ nahī̃ thā .

195There will be tidal waves from the oceans and natural calamities will also come.

180Bhārat hai śhivbābā key|kī janm bhūmi .

196Bharat was the land of truth; there were no other lands.

181Baṛē tē baṛā tīrtha hai .

197Bharat is the birthplace of Shiv Baba.

182Bhārat mē̃ hī sōmnāth kā mandir kitnā achchhā banā huā hai  !

198It is the greatest pilgrimage place. 199Such a beautiful temple to Somnath is built in Bharat.

183Abhī tō ḍhēr K|kē ḍhēr banātē haĩ .

200Now they build so many temples.

184Bābā kahtē haĩ ki is samay key|kī śhādī pūrī barbādī hai . 185Śhivbābā sē sagāī pūrī ābādī hai .

201Baba says: To get married at this time is to ruin yourself completely, whereas to get married to Shiv Baba is to make yourself successful.

186Śhivbābā sājan bhī hai , svarg mē̃ bhēj dētē haĩ .

202Shiv Baba is also the Bridegroom. 203He sends you to heaven.

187Tum yahā̃ āyē hō , jāntē hō ham yahā̃ barōbar nar sē nārāyaṇ , nārī sē lakṣhmī banē̃gē .

204You have come here and you know that you will truly become Narayan from an ordinary man and Lakshmi from an ordinary woman.

188Aisē nahī̃ ki puruṣh jākar puruṣh hī banē̃gē . 189Badaltē rahtē haĩ . 190Kōī chōlā puruṣh kā , kōī strī kā .

205It isn't that souls in male costumes will always be in male costumes; they continue to change: sometimes, they have male costumes and sometimes, female costumes.

191Phir satyug sē trētā kaisē bantā hai - vah bhī samjhāyā gayā hai .

206It has also been explained to you how the golden age changes into the silver age.

192Abhī tum bachchō̃ kō knowledgeful god father paṛhātē haĩ .

207Knowledge-full God, the Father, is teaching you children.

193Manuṣhya tō father , teacher , satgurū hō na sakē̃ .

208A human being can’t be a father, teacher and satguru.

194Father aur teacher hō saktē haĩ , gurū hō nahī̃ saktē haĩ .

209He could be a father and teacher, but not a guru at the same time.

195Sō bhī vah jismānī vidyā .

210However, that too is only a worldly education he gives.

196Yah bābā tō ēkdam svarg kā mālik banātē haĩ .

211This Baba makes you into the complete masters of heaven.

197Kōī bhī bāt na samjhō tō hajār bār pūchhō .

212If you don't understand something, then ask a thousand times.

198Achchhā  !

213Achcha.

199Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .

214To the sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

200Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

215The spiritual Father says namaste to the spiritual children.

Essence for dharna

201Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

216Essence for dharna:

2021 ) sapūt āgyākārī ban vijay mālā mē̃ pirōnā hai .

217 1. Become worthy and obedient and be threaded in the rosary of victory.

203Bāp kō apnā kakhpan dē , balihār hō , sabsē mamatva miṭā dēnā hai .

218Give everything worth straws that you have to the Father, surrender yourself and end your attachment to everyone.

2042 ) antkāl mē̃ ēk bāp hī yād rahē uskē liē aur sabsē buddhiyōg tōṛ nirantar bāp kī yād mē̃ rahnē kā puruṣhārth karnā hai .

219 2. In order that you only have remembrance of the one Father at the end, break your intellect's yoga away from everyone else and make effort to stay constantly in remembrance of the Father.

Blessing

205Vardān  : sarv khajānō̃ kō svayã mē̃ samākar , dilśhikast-pan vā īrṣhyā sē mukt rahnē vālē sadā prasannchit bhav

220Blessing: May you be constantly happy hearted and remain free from being disheartened or jealousy by merging all the treasures in yourself.

206Bāpdādā nē sabhī bachchō̃ kō samān rūp sē sab khajānē diyē haĩ lēkin kōī un prāptiyō̃ kō svayã mē̃ samā nahī̃ saktē va samay par kārya mē̃ lagānā nahī̃ ātā tō saphaltā dikhāī nahī̃ dētī phir svayã sē dilśhikasta hō jātē haĩ , sōchtē haĩ śhāyad mērā bhāgya hī aisā hai .

221 BapDada has given all of you children all the treasures equally, but some are unable to accommodate those attainments in themselves nor are able to use them on time, so they do not see success and they then become disheartened with themselves. 222They think that perhaps their fortune is like that.

207Unhē̃ phir dūsrō̃ key|kī viśhēṣhtā vā bhāgya kō dēkh īrṣhyā utpanna hōtī hai .

223Then, seeing the specialities and fortune of others, they become jealous.

208Aisē dilśhikasta hōnē vā īrṣhyā karnē vālē kabhī prasann nahī̃ rah saktē .

224Those who become disheartened or are jealous can never be happy.

209Sadā prasann rahnā hai tō in dōnō̃ bātō̃ sē mukt rahō .

225To be constantly happy, become free from both of those.

Slogan

210Slōgan  : svārtha K|kē binā sachchē dil sē sēvā karnē vālē hī svachchha ātmā haĩ .

226Slogan: Those who serve with a true heart and without any selfish motives are clean and pure souls.

227*** Om Shanti ***