शुक्रवार 11 अगस्त 2023 की दैनिक मुरली

ध्यान दें: वाक्यों का संरेखण अक्षरों की संख्या पर आधारित है और पूरी तरह विश्वसनीय नहीं है।

आप पूरी मुरली या उसके किसी भाग का वाक्य संरेखण स्वयं सुधार सकते हैं।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

011-08-2023 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

0 11/08/23 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē baccē-abhī tum kauṛī sē hīrē jaisā banē hō , īśhvar key|kī gōd pānā hī hīrē jaisā bannā hai , śhrīmat tumhē̃ hīrē jaisā banā dētī hai ' '

1Essence: Sweet children, you have now become like diamonds from shells. 2To attain God’s lap means to become like a diamond. 3Following shrimat makes you become like diamonds.

Question

2Praśhna  : satyug mē̃ kisī kō tō tāusī-takht ( bādśhāhī ) aur kisī kō dās-dāsī yā prajā pad miltā hai , iskā kāraṇ kyā hai  ?

4Question: What is the reason why some receive a royal status in the golden age whereas others receive the status of a servant or a subject?

Answer

3Uttar  : satyug mē̃ tāusī takht unhē̃ miltā jō saṅgam par gyān sāgar key|kī paṛhāī kō achchhī rīti paṛhtē haĩ aur dhāraṇ kartē haĩ , gyān ratnō̃ kā dān kar bahutō̃ kō āp samān banātē haĩ aur jō ġaphlat kartē , dēh-abhimān mē̃ ākar haṅgāmē̃ machātē , unhē̃ prajā pad mil jātā hai .

5Answer: Those who study this knowledge with the Ocean of Knowledge very well and imbibe it, those who donate the jewels of knowledge to others and make them similar to themselves at the confluence age receive a royal status in the golden age. 6Those who are careless or create chaos by coming into body consciousness claim the status of a subject.

4Paṛhāī par dhyān na dēnē vālē hī dās-dāsī ban jātē haĩ .

7Those who do not pay attention to this study become servants.

Murli

5Ōm śhānti .

8Om shanti.

6Kauṛī sē hīrē jaisā bannē vālē sikīladhē , puruṣhārthī bachchē yah jāntē haĩ ki māyā kā tūphān lagtā hai .

9Those who are becoming like diamonds from shells, who are My long-lost and now-found effort-making children, know that they can be attacked by storms of Maya.

7Bachchē kauṛī sē hīrē jaisā bannē kā puruṣhārth kartē haĩ , parantu śhrīmat par na chalnē K|kē kāraṇ phir sē māyā kā tūphān lagnē sē jyōt bujh jātī hai .

10You children make effort to become like diamonds from shells. 11However, by not following shrimat, you are attacked again by the storms of Maya and your lights are blown out.

8Is par bhī gīt hai .

12There is also a song about this.

9Bachchō̃ kō ab mālūm paṛā hai ki ham sō pūjya dēvī-dēvtā thē .

13You children have now come to know that you used to be worthy-of-worship deities.

10Yah ātmā suntī hai bēhad K|kē most beloved bāp dvārā .

14The soul hears this from the most beloved, unlimited Father.

11Unkī yah mahimā gāī jātī hai . 12Vah ūñch tē ūñch bhagvān hai .

15It is the praise of Him being God, the Highest on High, that is sung.

13Sārī sr̥iṣhṭi mē̃ unkō hī yād kartē haĩ kyōṅki is duniyā mē̃ tō barōbar duḥkh hī duḥkh hai .

16Everyone in the world remembers Him because there is definitely nothing but sorrow in this world.

14Aisā mat samjhō ki sab manuṣhya bēsamajh haĩ .

17Don’t think that all human beings are senseless.

15Samajhtē bhī haĩ ki prāchīn bhārat bahut ūñch thā aur sabhī khaṇḍ athavā dharm thē nahī̃ isliē bhārat kō prāchīn kahtē haĩ .

18They understand that ancient Bharat was very elevated and that there were no other lands or religions at that time. 19This is why Bharat is called an ancient land.

16Itnā samajhtē haĩ parantu vah kaisē huā , kab huā  ? 17Bhārat phir hīrē jaisā kab aur kaisē banēgā - yah nahī̃ jāntē .

20They understand this much, but how and when that happened or how and when Bharat will become like a diamond again, they do not know.

18Abhī tum bachchē sammukh baiṭhē hō aur jō pardeśh arthāt bāhar centre par rahtē haĩ , vah bhī suntē haĩ .

21You children are now sitting personally in front of Baba and those who live abroad or at other centres also listen.

19Hīrē jaisā banānē vālā bēhad kā bāp kahtē haĩ - yah tumhārā antim īśhvarīy janm hai jabki bhagvān baiṭh hīrē jaisā banānē liē tumkō paṛhātē haĩ , tō aisē bāp kā kitnā na regard rakhnā hai .

22The unlimited Father, who makes you become like a diamond, says: This is your last Godly birth in which God sits here and teaches you to become like diamonds. 23Therefore, you should have so much regard for such a Father.

20Sat bāp , sat teacher , satgurū kā regard rakhā jātā hai .

24Regard is given to the true Father, the true Teacher and the Satguru.

21Bāp kahtē haĩ bachchō̃ kō sukh dēnē vālā maĩ hī hū̃ .

25The Father says: I am the One who gives you children happiness.

22Is samay tum bachchō̃ kō sukh dēnē kē liē ākar apnī mat dētā hū̃ .

26I come at this time and give you children teachings to make you happy.

23Bhagvān nē jō śhrīmat dī thī vah phir manuṣhyō̃ nē gītā mē̃ likhā hai , parantu yathārth nahī̃ .

27The shrimat that God gave was written later by human beings in the Gita. 28However, it was not written accurately.

24Ab yah tumkō ūñch tē ūñch hīrē jaisā banātē haĩ .

29He is now making you the highest on high, like diamonds.

25Svarg mē̃ tō tum hī ā saktē hō nā . 26Yū̃ tō sārī duniyā key|kī ātmāyē̃ bachchē haĩ bāp K|kē .

30Although all the souls of the whole world are children of the Father, it is only you who go into the golden age.

27Prajāpitā brahmā tō hai nā .

31There is also Brahma, the Father of Humanity.

28Is samay śhivbābā K|kē pōtrē kahlātē hō . 29Phir par-pōtrē , tar-pōtrē bhī kahlātē hō .

32At this time, you are called the grandchildren of Shiv Baba and you are also called the great, great-grandchildren.

30Vr̥iddhi tō hōtī jātī hai nā .

33Expansion continues to take place.

31Vāstav mē̃ sabhī kā rachayitā maĩ bāp hī hū̃ .

34In fact, I, the Father, am the Creator of everyone.

32Pūchhtē haĩ nā ki tumkō kisnē paidā kiyā  ? 33Tō kahtē haĩ allāh vā khudā nē .

35If you ask people who created you, they would reply: Allah or Khuda (God).

34Itnā samajhtē haĩ parantu kaisē paidā kartē haĩ , kaisē itnā sab vr̥iddhi kō pātē haĩ - yah kuchh bhī patā nahī̃ hai .

36They do understand this much, but how He creates them or how the population increases, they don’t know any of that.

35Yah tō tum jāntē hō ki satyug mē̃ bahut thōṛī rachnā hōtī hai .

37It is you who understand that the creation is very small in the golden age.

36Jarūr rachayitā bhī hōgā jō naī duniyā rachtē haĩ .

38There must surely be the Creator who creates the new world.

37Naī duniyā mē̃ dēvī-dēvtā pad prāpt karātē haĩ tō jarūr purānī duniyā kā vināśh bhī karātē hōṅgē - yah kōī bhī nahī̃ jāntē .

39He enables you to attain a deity status in the new world, so He must definitely have the old world destroyed. 40No one knows this.

38Athāh kitāb śhāstra ādi likhtē haĩ .

41People write many books and scriptures.

39Samajhtē haĩ yah philosophy K|kē śhāstra haĩ .

42They think that those are scriptures of philosophy.

40Philosophy gyān kō kahtē haĩ .

43Knowledge is called philosophy.

41Parantu yah kiskō patā nahī̃ hai ki gyān kā sāgar tō ēk hī parampitā paramātmā hai .

44However, no one knows that only the one Supreme Father, the Supreme Soul, is the Ocean of Knowledge.

42Tum is dvārā knowledge pākar hīrē jaisā bantē hō .

45You attain knowledge from that One and become like diamonds.

43Īśhvar key|kī gōd pānā hī hīrē jaisā janm hai .

46To attain God’s lap means to have a birth like a diamond.

44Hīrē jaisā banānē vālā bāp hamkō hīrē jaisā banā rahā hai .

47The Father who makes everyone become like diamonds is making us like diamonds.

45Balihārī inkī gāī jātī hai .

48His greatness is remembered.

46Satyug mē̃ tō balihārī key|kī bāt hī nahī̃ .

49There is no question of greatness in the golden age.

47Vahā̃ tō yah khyāl bhī nahī̃ rahtā .

50This thought doesn’t even arise there.

48Tum abhī jāntē hō ham abhī na śhūdra haĩ , na dēvtā haĩ . 49Abhī ham brāhmaṇ haĩ .

51You now understand that, at this time, you are neither shudras nor deities, but that you are Brahmins.

50Tumkō hī svadarśhan chakradhārī kahā jātā hai .

52You are called spinners of the discus of self-realisation.

51Yahā̃ tum svadarśhan chakradhārī ban viṣhṇu kul mē̃ jākar rājya karē̃gē .

53You become spinners of the discus of self-realisation here and you then go and rule in the kingdom of the clan of Vishnu.

52Svadarśhan chakradhārī , kamal fool|phūl samān tumkō yahā̃ hī bannā hai .

54It is here that you have to become spinners of the discus of self-realisation and like a lotus flower.

53Yahā̃ hai puruṣhārth , vahā̃ hai prālabdh .

55Here, you have to make effort whereas there, you have the reward.

54Aisī bātē̃ duniyā mē̃ kōī nahī̃ jāntē .

56No one in the world knows about these things.

55Bāp kahtē haĩ - māyā nē tumkō tuchchh buddhi banāyā hai .

57The Father says: Maya has made you into those with degraded intellects.

56Tum hīrē jaisē dēvī-dēvtā thē .

58You were deities, like diamonds.

57Pahlē tumkō patā nahī̃ thā .

59At first, you didn’t know this.

58Duniyā mē̃ tō anēk matē̃ haĩ - kōī kyā kahtē , kōī kyā kahtē .

60There are many opinions in the world; some say one thing and others say something else.

59Kōī kahtē haĩ manuṣhya martē haĩ phir nayē paidā hōtē haĩ .

61Some say that when human beings die, they are reborn.

60Kōī kahtē haĩ ki jaisā saṅkalp kartē vaisā ban jātē haĩ .

62Others say that whatever your thoughts are, that is what you become.

61Anēk prakār key|kī mat vālē haĩ .

63There are people with many different opinions.

62Tum hō śhrīmat par chalnē vālē .

64You are the ones who follow shrimat.

63Śhrīmat sē tumhārī bhī śhrēṣhṭh mat bantī hai .

65By following shrimat, your ideas become elevated.

64Tum hī jāntē hō , sab tō nahī̃ jānē̃gē .

66Only you understand these aspects; not everyone can understand them.

65Bhal kōī lakhpati , padmapati haĩ parantu is gyān mē̃ ānā baṛā muśhkil hai .

67Although someone may be a millionaire or billionaire, he finds it difficult to accept this knowledge.

66Kōṭō̃ mē̃ kōī hī ātā hai kyōṅki sāhūkārō̃ par laphaṛē bahut haĩ .

68Hardly any wealthy ones come because they have a lot of complications.

67Drama mē̃ nūndh hī aisī hai jō garīb hī īśhvar key|kī gōd lētē haĩ .

69It is fixed in the drama for only the poor to come into God’s lap.

68Yah rath tō unkā hai nā .

70This chariot belongs to that One.

69Bāpdādā dōnō̃ ikṭṭhē haĩ - yah tum hī samajhtē hō .

71Bap and Dada are both together. 72Only you know this.

70Nirākār bhagvān kō apnā śharīr nahī̃ hai tō jarūr loan par śharīr lēnā paṛē , tab tō bhagvānuvāch hō nā .

73Incorporeal God does not have a body of His own, and so He surely has to take a body on loan, because only then can God speak.

71Śhrīkr̥iṣhṇa bhagvānuvāch hō nahī̃ saktā .

74There cannot be the versions of God Shri Krishna.

72Unkō tō jhaṭ sab jān lētē .

75People would instantly recognise him.

73Yah hai nirākār , isliē inkō kōī jāntē nahī̃ .

76This One is incorporeal which is why no one knows Him.

74Ājkal bahut manuṣhya vēṣh badalkar kr̥iṣhṇa kā rūp dhāraṇ kartē haĩ . 75Paisē kamātē haĩ .

77Nowadays, many human beings change their clothes and dress up as Krishna in order to earn money.

76Sab māyā K|kē murīd ban gayē haĩ .

78They have all become followers of Maya.

77Abhī tum īśhvar K|kē murīd bantē hō .

79You have now become the followers of God.

78Kōī tō 100 pratiśhat īśhvar K|kē murīd banē haĩ , unkī śharaṇ lī hai . 79Bākī sab māyā rāvaṇ key|kī śharaṇ mē̃ phansē huē haĩ .

80Some become 100% followers of God and seek asylum with Him, whereas everyone else is trapped in the asylum of Maya, Ravan.

80Bābā nē samjhāyā hai ki ḵẖās bhāratvāsī sab śhōkvāṭikā mē̃ haĩ .

81Baba has explained that the people of Bharat in particular are all in the cottage of sorrow.

81Sārī duniyā hī laṅkā hai .

82The whole world is Lanka.

82Unhōnnē tō śhāstrō̃ mē̃ had key|kī bātē̃ likh dī haĩ .

83People have only written limited things in the scriptures.

83Bēhad kā bāp bēhad key|kī bātē̃ sunātē haĩ .

84The unlimited Father speaks unlimited things.

84Tum jāntē hō ki abhī ham īśhvar key|kī gōd mē̃ haĩ . 85Phir ham naī duniyā K|kē mālik dēvī-dēvtā banē̃gē .

85You understand that you are now in the lap of God and that you will become deities, masters of the new world.

86Vahā̃ tō māyā hōtī nahī̃ .

86Maya does not exist there.

87Sūryavanśhī-chandravanśhī baṛē sāhūkār hōtē haĩ .

87Those who belong to the sun dynasty and the moon dynasty are very wealthy.

88Phir jab vaiśhya vãnśhī bantē tab hīrē javāharāt K|kē mandir banātē haĩ .

88Then, when you go into the merchant clan, you build temples of gold and diamonds.

89Pahlē-pahlē jō hīrē javāharāt K|kē mandir banātē haĩ vē|way aisē mahalō̃ mē̃ rahtē haĩ isliē gāyā jātā hai ki bhārat hīrē jaisā thā .

89The first ones to build such temples of gold and diamonds used to live in such palaces. 90This is why it is remembered that Bharat was like a diamond.

90Ab tō kauṛī misal haĩ .

91Now it is like a shell.

91Yah hai hī patit duniyā .

92This is an impure world.

92Bhārat hī sachkhaṇḍ pāvan thā .

93Bharat was the pure land of truth.

93Bhārat hī abhī patit khaṇḍ hai , bhārat kō abhī ham pāvan nahī̃ kahē̃gē .

94Bharat is now an impure land; we couldn’t call Bharat pure now.

94Abhī ham pāvan ban rahē haĩ .

95We are now becoming pure.

95Vahā̃ tō hai hī sampūrṇ nirvikārī duniyā .

96That world was completely viceless.

96Kr̥iṣhṇa key|kī kitnī bhārī mahimā hai  !

97Krishna’s praise is very high.

97Unkō jhūlē mē̃ jhulātē haĩ parantu unkī biography kō nahī̃ jāntē .

98People show an image of him in a swing, but they do not know his biography.

98Tum jāntē hō abhī kaliyug hai .

99You understand that it is now the iron age.

99Bhārat hī satyug thā .

100Bharat used to be in the golden age.

100Barōbar 84 janm bhāratvāsī lē saktē haĩ .

101It is only the people of Bharat who can take 84 births.

101Tum jab achchhī rīti samjhātē hō tō mān lētē haĩ .

102People accept these things when you explain to them properly.

102Is īśhvarīy gōd sē bhārat hīrē jaisā bantā hai .

103The people of Bharat become like diamonds by going into God’s lap.

103Yathā rājā-rānī tathā prajā .

104As are the king and queen, so the subjects.

104Prajā kō bhī hīrē jaisā kahē̃gē .

105The subjects, too, are said to be like diamonds.

105Abhī yathā rājā-rānī tathā prajā kauṛī misal hai .

106Now kings, queens and subjects are like shells.

106Ab hīrē jaisā banānē vālā bāp āyā hai tō pūrā puruṣhārth karnā hai .

107The Father who makes you become like diamonds has now come, and so you should make full effort.

107Hīrē jaisā banānē vālē bāp sē hī pūrā yōg lagānā hai .

108You have to have full yoga with the Father who makes you into diamonds.

108Tum jāntē hō śhivbābā sē ham vaikuṇṭha kā mālik bantē haĩ .

109You understand that you are being made into the masters of Paradise by Shiv Baba.

109Paṛhāī par hī sārā madār hai .

110Everything depends on how you study.

110Paṛhāī kā khyāl tō sabkō karnā chāhiē nā .

111Everyone should have the thought of studying.

111Ghar mē̃ kām-kāj kartē bhī aisā samjhō ki ham god father K|kē student haĩ .

112Even while doing work at home, consider yourselves to be students of God, the Father.

112Hamārī paṛhāī bilkul hī sahaj hai .

113Your study is very easy.

113Ēk ghaṛī bhī ākar sunnā jarūr hai .

114It is necessary to come and listen if even for a moment.

114Points aisī achchhī-achchhī nikaltī haĩ jō kōī samay achānak hī kiskō tīr lag jātā hai isliē murlī tō kaisē bhī jarūr sunnī hai .

115Such very good points continue to emerge so that someone can be struck by an arrow at any time. 116Therefore, no matter what happens, you definitely have to listen to the murlis.

115Nahī̃ sun saktē haĩ tō kaisē bhī karkē paṛhāī paṛhnī hai . 116Prabandh hō saktā hai .

117If you cannot listen to the murlis, you should study this knowledge in whatever way you can; arrangements can be made.

117Pahlē tō ēk haphtā bhī achchhī rīti samajhnā hai phir naī-naī points samajhnē liē paṛhnā bhī jarūr hai .

118First, you should spend a week in understanding these things very well. 119After that, you have to study in order to understand the new points.

118Bābā paṛhātē rahtē haĩ .

120Baba continues to teach you.

119Points nikaltī rahtī haĩ .

121Many points continue to emerge.

120Board par bhī likh saktē hō ki bahanō̃ aur bhāiyō̃ , āō , tum sabkō is sahaj gyān aur sahaj rājyōg sē hīrē jaisā banāvē̃ .

122You should also write on the board outside: Brothers and sisters, come in. 123We can enable you to become like diamonds through this easy knowledge and easy Raj Yoga.

121Tumhārē pās|pass tō chitra bhī sab haĩ .

124You have all the posters.

122Un par samjhānā bahut sahaj hai . 123Jaisē chhōṭē bachchē kō khilaunē dikhākar batāyā jātā hai , paṛhātē haĩ - yah hāthī hai , aisē-aisē kartā hai  ; yah ūṇṭ hai … .

125It is very easy to explain them, just as little children are shown pictures and taught, “This is an elephant, this is what an elephant does and this is a camel etc.”

124Manuṣhya kō bhī paramātmā kā patā nahī̃ hai , na hī yah jāntē ki vah kyā kartē haĩ .

126Human beings don’t know the Supreme Soul or what He does.

125Unkē kartavya kō na jānē̃ tō bākī mahatva kyā rahā  ?

127If they don’t know what tasks He performs, He then has no importance left.

126Tō chitra par samjhānā hōtā hai - yah parampitā paramātmā śhiv hai , yah hīrē jaisā banānē vālā hai , insē varsā miltā hai brahmā dvārā .

128Therefore, you have to use the pictures to explain to them: This is the Supreme Father, the Supreme Soul, Shiva. 129He is the One who makes everyone become like a diamond.

127Brahmākumār-kumāriyō̃ kō śhivbābā paṛhākar aisā dēvī-dēvtā banātē haĩ .

130We receive our inheritance from Him through Brahma. 131Shiv Baba teaches Brahma Kumars and Kumaris and makes them into deities.

128Paṛhāyā hai tab tō ham samjhā saktē haĩ nā .

132It is because you have been taught, that you can explain to others.

129Āgē nahī̃ jāntē thē ki parampitā paramātmā ākar paṛhātē haĩ .

133Previously, you did not know that the Supreme Father, the Supreme Soul, comes and teaches you.

130Samjhānī tō baṛī sahaj hai ki bhārat hīrē jaisā thā , ab kauṛī jaisā hai .

134The explanation of how Bharat was like a diamond and how it has now become like a shell is very easy.

131Phir kauṛī pichhāṛī dhakkē kyō̃ khātē hō  ?

135Therefore, why do you chase after shells?

132Yah sab dhan māl ādi miṭṭī mē̃ mil jānā hai .

136All of that wealth etc. is going to turn to dust.

133Ab tum sachkhaṇḍ kē liē sachchī kamāī karō .

137You should now earn a true income for the land of truth.

134Pūrī kamāī na karnē K|kē kāraṇ bilkul sādhāraṇ prajā mē̃ chalē jātē haĩ .

138If you don’t earn a full income, you will become ordinary subjects.

135Prajā K|kē bhī naukar ban jātē haĩ .

139You will become servants of the subjects.

136Bāp kā bankar phir bāp kō phārkatī dē dētē haĩ .

140You belong to the Father and you then divorce Him!

137Tō bābā samjhātē haĩ ki bachchē ghar mē̃ bhī murlī maṅgākar paṛh saktē hō .

141Therefore, Baba explains: Children, you can ask for murlis and read them at home.

138Murlī miltī rahēgī .

142You will continue to receive murlis.

139Kahā̃ bhī hō tumkō paṛhnā jarūr hai .

143Wherever you are, you definitely have to study the murlis.

140Paṛhō aur paṛhāō .

144Study them and teach others.

141Vilāyat mē̃ bhī rahtē tum service kar saktē hō .

145You can do service even while living abroad.

142Bāp kā parichay dēnā hai .

146You have to give the Father’s introduction.

143Prabhāv tō ant mē̃ hī nikalnā hai .

147It is only at the end that your influence will spread.

144Samajhē̃gē ki barōbar prāchīn bhārat heaven thā .

148They will understand that ancient Bharat used to be heaven.

145Kitnā dhan yahā̃ sē lūṭkar lē gayē haĩ  !

149A great deal of wealth was looted from here.

146Satyug mē̃ chaitanya mē̃ sārī sr̥iṣhṭi K|kē tum mālik bantē hō , yānī rājya kartē hō .

150In the golden age, you become the living masters of the world, that is, you rule the kingdom.

147Phir bhakti mārg mē̃ jaṛ chitrō̃ kō ēk kōṭhrī mē̃ band kar rakhtē hō , yādgār banātē hō .

151Then, on the path of devotion, you keep non-living images in a little corner of a room and make a memorial.

148Pūjā kā sāmān bhī tō chāhiē nā .

152Equipment for performing worship is also needed.

149Ab tum sab kuchh jān gayē hō ki ham sab pūjya thē , ab pujārī ban gayē haĩ .

153You have now come to know everything about how you were worthy of worship and how you have now become worshippers.

150Pūjya sē pujārī bannē mē̃ hamkō kitnā samay lagtā hai  ?

154How long does it take for us to become worthy of worship from worshippers?

151Kaisē mandir banē̃  ?

155How were the temples created?

152Hamnē hī tō mandir banavāyē haĩ .

156We are the ones who had those temples built.

153Hamnē apnē jaṛ chitra banākar apnī hī pūjā śhurū key|kī .

157We created non-living images of ourselves and started worshipping ourselves.

154Kitnī wonderful bātē̃ haĩ  !

158These are such wonderful things!

155Bāp samjhātē haĩ - bachchē , ab kōī ġaphlat na karō .

159The Father explains: Children, now don’t be careless!

156Dēhī-abhimānī bannē sē hī tum hīrē jaisē banē̃gē .

160It is by becoming soul conscious that you will become like diamonds.

157Dēh-abhimān mē̃ nahī̃ ānā hai .

161Don’t become body conscious.

158Dēh-abhimān mē̃ ākar baṛē-baṛē haṅgāmē̃ machātē haĩ tō apnī bhī satyānāśh aur aurō̃ key|kī bhī satyānāśh kartē haĩ .

162By becoming body conscious, you create a great deal of chaos and you not only destroy yourselves, but you also destroy others.

159Ēk hī gyān sāgar sē kōī tō paṛhkar tāusī takht par baiṭhtē haĩ aur kōī dās dāsī .

163By studying with just the one Ocean of Knowledge, some claim the peacock throne, whereas others become maids and servants.

160Dēkhō , lakṣhmī-nārāyaṇ svarg K|kē bādśhāh thē .

164Just look, Lakshmi and Narayan were the emperors of heaven.

161Kitnī unhō̃ key|kī mahimā , pūjā hōtī hai , mandir banātē haĩ .

165They are praised and worshipped a great deal. 166Temples are built to them.

162Ab tum jāntē hō ki ham phir sē sūryavanśhī lakṣhmī-nārāyaṇ ban rahē haĩ .

167You understand that you are now once again becoming like Lakshmi and Narayan of the sun dynasty.

163Phir sūryavanśhī sē chandravanśhī mē̃ āyēṅgē .

168Then, from the sun dynasty, you will go into the moon dynasty.

164Rājāī lēnā kitnā ūñch pad hai .

169To claim a kingdom means to attain such a high status.

165Puruṣhārth aisā karnā aur karānā hai .

170You have to make such effort and inspire others to do so.

166Agar karānā nahī̃ jāntē tō gōyā puruṣhārth karnā hī nahī̃ sīkhē haĩ .

171If you do not know how to inspire others, it means you have not learnt to make effort yourself.

167Āp samān nahī̃ banā saktē hō tō rājā-rānī ban nahī̃ saktē .

172You cannot become a king or queen if you cannot make others similar to yourself.

168Avināśhī gyān ratnō̃ kā dān karnā hai .

173You have to donate the imperishable jewels of knowledge.

169Yah naśhā bahut thōṛō̃ kō rahtā hai .

174Very few of you have this intoxication.

170Dēhī-abhimānī hō rahnē sē khuśhī kā pārā chaṛhēgā .

175By remaining soul conscious, your degree of happiness will rise.

171Mama bābā kō dēkhō kitnē khyālāt rahtē haĩ .

176Just look how much concern Mama and Baba have.

172Bāp kō taras paṛtā hai ki is bachchī kō mār miltī hai tō kaisē bachāyā jāyē  ?

177The Father feels compassion when a daughter is being beaten; he thinks about how she can be saved.

173Asylum dēnē mē̃ kitnē haṅgāmē̃ haĩ .

178There is a great deal of chaos created when asylum is given.

174Sarvśhaktimān śhivbābā dvārā bhārat kō hīrē jaisā bannē key|kī lottery miltī hai .

179Bharat wins a lottery from the Almighty Authority Shiv Baba, in order to become like a diamond.

175Yahā̃ tum sammukh suntē hō , achchhā lagtā hai .

180You are now listening personally and you enjoy it.

176Bābā dose chaṛhātē rahtē haĩ .

181Baba continues to inject a dose into you.

177Bachchō̃ kō kadam-kadam śhrīmat par chalnā chāhiē .

182You children have to follow shrimat at every step.

178Achchhā  !

183Achcha.

179Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .

184To the sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

180Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

185The spiritual Father says namaste to the spiritual children.

Essence for dharna

181Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

186Essence for dharna:

1821 ) sukh dēnē vālē bāp , teacher , satgurū kā regard jarūr rakhnā hai .

187 1. Definitely have regard for the Father, the Teacher and the Satguru, who gives you happiness.

183Unkī mat par chalnā hī unkā regard hai .

188To follow His instructions means to have regard for Him.

1842 ) ghar kā kāmkāj kartē svayã kō god father kā student samajhnā hai .

189 2. While doing your housework, consider yourself to be a student of God, the Father.

185Paṛhāī par pūrā dhyān dēnā hai , murlī miss nahī̃ karnī hai .

190Pay full attention to this study. 191Never miss a murli.

186Sachkhaṇḍ kē liē sachchī kamāī karnī hai .

192Earn a true income for the land of truth.

Blessing

187Vardān  : past , present aur future kō jān māyājīt bannē vālē master trikāldarśhī bhav

193Blessing: May you become a conqueror of Maya by knowing the past, present and future as a master trikaldarshi.

188Jō bachchē tīnō̃ kālō̃ kō jāntē haĩ vē|way kabhī bhī māyā sē hār nahī̃ khā saktē kyōṅki vartamān kyā hai aur bhaviṣhya mē̃ kyā hōnē vālā hai , dōnō̃ hī trikāldarśhī ātmā key|kī buddhi mē̃ spaṣhṭ rahtā hai .

194 The children who know all three aspects of time can never be defeated by Maya because the intellect of a trikaldarshi soul clearly knows what the present is and what is going to happen in the future.

189Kyā hū̃ aur kyā bannē vālā hū̃ , vartamān aur bhaviṣhya dōnō̃ kā unhē̃ naśhā rahtā hai .

195“What I am and what I am going to become.” 196He has the intoxication of both the present and the future.

190Usī naśhē key|kī khuśhī mē̃ uṛtē rahtē haĩ isliē unkē pāṅw dharnī sē ūñchē hōtē haĩ .

197With this intoxication, he continues to fly in happiness and this is why his feet are above the ground.

191Vah dēh , dēh K|kē sambandh , dēh K|kē purānē padārthō key|kī ākarṣhaṇ mē̃ nahī̃ ātē .

198He doesn’t become attracted to bodies, to relations of bodies or old possessions of bodies.

Slogan

192Slōgan  : jinkē pās|pass saraltā kā guṇ hai unkē liē saṅgaṭhan mē̃ chalnā bahut sahaj hai .

199Slogan: Those who have the virtue of easiness find it very easy to move along in a gathering.

200*** Om Shanti ***