सोमवार 21 अगस्त 2023 की दैनिक मुरली

ध्यान दें: वाक्यों का संरेखण अक्षरों की संख्या पर आधारित है और पूरी तरह विश्वसनीय नहीं है।

आप पूरी मुरली या उसके किसी भाग का वाक्य संरेखण स्वयं सुधार सकते हैं।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

021-08-2023 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

0 21/08/23 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē bachchē - yah purānī duniyā ab miṭṭī mē̃ mil dhūlachāī hō jāyēgī , isliē is dhūl mē̃ milnē vālī duniyā sē apnā buddhiyōg nikāl dō ' '

1Essence: Sweet children, this old world is to turn to dust and become completely useless. 2Therefore, remove your intellects’ yoga from the world that is going to turn to dust.

Question

2Praśhna  : manuṣhyō̃ key|kī kaun-sī chāhnā ēk bāp hī pūrī kar saktē haĩ  ?

3Question: What desire do people have that only the one Father can fulfil?

Answer

3Uttar  : manuṣhya chāhtē haĩ śhānti hō .

4Answer: People desire peace, but they don’t know who made them peaceless. 5You tell them that the five vices have made them peaceless.

4Lēkin aśhānt kisnē banāyā hai , yah nahī̃ jāntē haĩ .

6When there was purity in Bharat, there was peace.

5Tum unhē̃ batlātē hō ki 5 vikārō̃ nē hī tumhē̃ aśhānt kiyā hai . 6Bhārat mē̃ jab pavitratā thī tō śhānti thī .

7The Father is now once again establishing the pure family household path where there will be peace, happiness; everything.

7Ab bāp phir sē pavitra pravr̥itti mārg sthāpan kartē haĩ , jahā̃ sukh-śhānti sab hōgī . 8Mukti-jīvanmukti key|kī rāh bāp K|kē sivāē kōī batlā nahī̃ saktā .

8No one, except the Father, can show the path to liberation and liberation-in-life.

Song

9Gīt  : is pāp key|kī duniyā sē …

9Song: Take us away from this world of sin to a place of rest and comfort.

Murli

10Ōm śhānti .

10Om shanti.

11Yah kiskā satsaṅg hai  ?

11Whose spiritual gathering (satsang) is this?

12Manuṣhya satsaṅgō̃ mē̃ jab jātē haĩ tō kōī na kōī sādhū sant mahātmā ādi gaddī par baiṭh śhāstra ādi sunātē haĩ parantu vahā̃ aim object kuchh bhī nahī̃ rahtī .

12When people go to a spiritual gathering, there is always one or another holy man or great soul sitting on a gaddi and speaking knowledge from the scriptures, etc.

13Satsaṅg sē kyā prāpti hai , yah kōī kō patā nahī̃ .

13However, they have no aim or objective there.

14Aisē bhī nahī̃ gurū K|kē sirph followers hī unkē pās|pass ātē haĩ .

14No one knows what attainment they can have from a spiritual gathering.

15Nahī̃ , jō chāhē jākar baiṭh jātē haĩ , followers hō yā kōī bhī hō , kisī bhī dharm vālā hō .

15It isn't just the guru’s followers who go to him. 16No, anyone can go and sit there. 17They can be followers or anyone else of any religion.

16Samajhtē haĩ phalānā mahātmā āyā hai , jhaṭ bhāgtē haĩ .

18They believe that such-and-such a great soul has come and so they quickly run there.

17Uskō kahā jātā hai satsaṅg .

19That is called a spiritual gathering.

18Mahātmā ādi kōī na kōī vēd-śhāstra key|kī hī bātē̃ samjhātē haĩ .

20The mahatma would explain something from one or other Veda or scripture.

19Vāstav mē̃ sat paramātmā tō ēk hī hai .

21In fact, the Truth, the Supreme Soul, is only the One.

20Bākī hai manuṣhyō̃ kā saṅg .

22All the rest is the company of human beings.

21Sat paramātmā hī nar sē nārāyaṇ bannē key|kī satya kathā sunātē haĩ .

23Only the Supreme Soul, the Truth, tells you the true story of becoming Narayan from an ordinary man.

22Satya nārāyaṇ kī kathā hōtī hai pūrṇmāsī K|kē din .

24The true story of Narayan is told on the day of the full moon.

23Abhī tum jāntē hō ki sachchī-sachchī pūrṇmāsī yah hai jabki rāt sē din hōtā hai . 24Tum 16 kalā sampūrṇ bantē hō .

25You now know that the true full moon is when night changes into day; you become sixteen celestial degrees full.

25Vāstav mē̃ gyān sūrya kō kabhī grahaṇ nahī̃ lag saktā .

26In fact, the Sun of Knowledge can never be eclipsed.

26Grahaṇ tō in sūrya-chānd ādi kō lagtā hai , jō pr̥ithvī kō rōśhnī dētē haĩ .

27It is this sun and moon etc. which give light to the earth that become eclipsed.

27Gyān sūrya tō hai hī sabkō rōśhnī dēnē vālā .

28The Sun of Knowledge is the One who gives light to everyone.

28Uskī hī mahimā gātē haĩ gyān sūrya pragaṭā … yahā̃ tō tum sab bachchē baiṭhē hō .

29His praise is sung: When the Sun of Knowledge rises, the darkness of ignorance is dispelled.

29Bāhar vālē kō allow nahī̃ kiyā jātā hai .

30All of you sitting here are the children.

30Vah tō kuchh samajhē̃gē nahī̃ .

31Outsiders are not allowed here; they wouldn't understand anything.

31Bāp kahtē haĩ - maĩ tum bachchō̃ K|kē hī sammukh ātā hū̃ , pāp ātmāō̃ kō ākar puṇya ātmā banātā hū̃ , mandir mē̃ rahnē lāyak banātā hū̃ .

32The Father says: I only come personally in front of you children and change you from sinful souls into charitable souls and make you worthy of living in a temple.

32Vah hai pāvan duniyā śhivālay .

33That is the pure world of Shivalaya (Temple of Shiva).

33Śhiv nē svarg key|kī rachnā key|kī , usmē̃ kaun rahtē haĩ  ?

34Shiva created heaven. 35Who resides there?

34Dēvī-dēvtāyē̃ , jinhō̃ K|kē chitra mandirō̃ mē̃ rakhtē haĩ .

36The deities, whose images are placed in the temples.

35Tum jāntē hō ki 5 hajār varṣh pahlē yah dēvī-dēvtāyē̃ bhārat mē̃ rahtē thē , svarg mē̃ rājya kartē thē .

37You know that 5000 years ago those deities lived in Bharat and that they ruled in heaven.

36Kab rājya kiyā , kaisē rājya pāyā - yah duniyā nahī̃ jāntī .

38No one in the world knows when they ruled the kingdom or how they attained their kingdom.

37Tum bachchē jāntē hō - vah naī duniyā thī , yah purānī duniyā hai .

39You children know that that was a new world and that this is an old world.

38Bhāratvāsī kahtē haĩ naī duniyā , nayā bhārat hō , world almighty rājya hō .

40The people of Bharat say: There should be a new world and a new Bharat; there should be a World Almighty kingdom.

39Ātmā kō buddhi mē̃ ātā hai - yahā̃ dēvī-dēvatāō̃ kā rājya thā . 40Parantu yah bichārō̃ kō patā nahī̃ ki yah almighty authority kā rājya kab aur kisnē sthāpan kiyā  ?

41It enters the intellects of souls that it used to be the kingdom of deities here, but those poor people don’t know when and who established the kingdom of the Almighty Authority.

41Kōī samay tō thā jarūr .

42It definitely existed at some point in time.

42Jāntē hō ki bhārat sōnē key|kī chiṛiyā thā .

43You know that Bharat was the Golden Sparrow.

43Tum ab kiskē saṅg mē̃ baiṭhē hō  ?

44In whose company are you now sitting?

44Kaun-sā mahātmā āyā huā hai  ?

45Which great soul has come?

45Śhrīkr̥iṣhṇa tō nahī̃ kahē̃gē ki bhagvānuvāch , maĩ tumhē̃ rājyōg sikhlātā hū̃ .

46Shri Krishna would not say: God speaks: I teach you Raj Yoga.

46Tum bachchō̃ key|kī buddhi kā tālā ab khul gayā hai , jāntē hō itnī sārī purānī duniyā miṭṭī mē̃ mil dhūlchhāī hō jāyēgī .

47The locks on the intellects of you children have now opened. 48You know that the whole of this old world is to turn to dust and become completely useless.

47Manuṣhya śhānti chāhtē haĩ parantu śhānti kaun sthāpan kar saktā hai  ?

49People want peace, but who can establish peace?

48Pahlē tō pūchhā jātā hai ki tumkō aśhānt kisnē kiyā  ?

50First of all, ask them: Who made you peaceless?

49Kuchh batā nahī̃ saktē ki in pañch vikārō̃ nē hī aśhānt kiyā hai .

51They won't be able to tell you anything about how the five vices made them peaceless.

50Bhārat mē̃ śhānti tab thī jabki pavitratā thī .

52There was peace in Bharat when there was purity.

51Pavitra pravr̥itti mārg mē̃ hī manuṣhya bahut-bahut sukhī thē .

53They were very, very happy on the pure family household path.

52Abhī apavitr , patit pravr̥itti mārg hō gayā hai .

54It has now become an impure household path.

53Niśhāniyā̃ bhī haĩ - mandir mē̃ dēvtāō̃ key|kī mahimā kartē haĩ ham nīñch pāpī haĩ , ham nirguṇ hārē mē̃ kōī guṇ nāhī̃ .

55There are its signs. 56They sing praise in the temples: We are degraded sinners. 57We are without virtues; we do not have any virtues.

54Manuṣhya gātē haĩ parantu jāntē nahī̃ .

58People sing this, but they don't know anything.

55Jab bāp ātē haĩ tab bachchō̃ par mēhnat kartē haĩ .

59When the Father comes, He makes effort on you children.

56Bāp ātē hī haĩ bachchō̃ kē pās .

60The Father comes to you children.

57Yahā̃ kōī sādhū-santa ādi nahī̃ baiṭhā hai .

61Here, there isn’t any sage or holy person.

58Yah tō dēh-dhārī hai .

62This one is a bodily being.

59Tumhārī nazar ūpar mē̃ hai .

63Your vision goes up above.

60Ham śhivbābā sē suntē haĩ .

64We are listening to Shiv Baba.

61Kisī dēhdhārī taraph dr̥iṣhṭi nahī̃ hai .

65Our vision is not on any bodily being.

62Kr̥iṣhṇa bhī dēhdhārī bachchā hai , garbh sē janma lētā hai .

66Krishna was a child, a bodily being, who took birth through a womb.

63Har ēk ātmā kō apnī dēh hai .

67Each and every soul has his own body.

64Śhivbābā kō apnī dēh hai nahī̃ .

68Shiv Baba doesn't have a body of His own.

65Nām tō dēh ( śharīr ) par paṛtā hai .

69A name is given to each body.

66Ātmā kā nām tō ātmā hī hai .

70The name of each soul is “soul”.

67Kahtē bhī haĩ mahān ātmā , pāp ātmā . 68Pāp paramātmā tō kabhī nahī̃ kahā jātā hai .

71It is said: A great soul, a sinful soul. ‘Sinful Supreme soul’ would never be said.

69Phir apnē kō paramātmā kaisē kahlā saktē  ?

72In that case, how can they call themselves God?

70Parampitā paramātmā tō ēk hī hai .

73The Supreme Father, the Supreme Soul, is only One.

71Vah hai supreme bāp , paramdhām mē̃ rahtē haĩ .

74He is the Supreme Father who resides in the supreme abode.

72Tum kahtē hō param ātmā , supreme , vah hai nirākār .

75You say: The Supreme Soul. 76The Supreme is the incorporeal One.

73Unkō milākar nām paṛ gayā hai - paramātmā .

77They have confused this and given Him the name: The Supreme Soul.

74Unkō hī sabhī yād kartē haĩ . 75Nayan-hīn kō rāh dikhāō prabhu , buddhi ūpar chalī jātī hai parampitā taraph .

78Everyone remembers Him: “God, show the path to the blind ones.” 79Your intellects go up above to the Supreme Father.

76Jabki sab rāz batānē vālā vah parampitā paramātmā hī hai .

80The One who tells you all the secrets is the Supreme Father, the Supreme Soul.

77Nirvāṇdhām kō muktidhām kahā jātā hai .

81The land of nirvana is called the land of liberation.

78Jō-jō ātmāyē̃ pahlē ātī haĩ vah jīvanmukti mē̃ haĩ , pīchhē phir jīvanmukti sē jīvanbandh mē̃ ātī haĩ .

82The souls who come first have liberation-in-life and then, from a life of liberation, they go into a life of bondage.

79Bachchē jāntē haĩ pavitratā , sukh , śhānti hai hī satyug mē̃ , jabki ēk rājya hōtā hai .

83You children know that there is purity, peace and happiness in the golden age when there is one kingdom.

80Uskō hī advēt rājya kahā jātā hai .

84That is called the undivided kingdom.

81Phir dvēt rājya arthāt devil kā rājya hōtā hai .

85Then there are the divided kingdoms, that is, the devil's kingdoms.

82Pahlē tō ēk dharm thā , abhī tō anēkānēk dharm haĩ .

86First of all, there was just the one religion and now there are innumerable religions.

83Bachchē is sārē sr̥iṣhṭi chakra kō achchhī rīti number-vār puruṣhārth anusār jāntē haĩ .

87You children know this whole world cycle very well, numberwise, according to your efforts.

84Aur kahā̃ aim object nahī̃ hai .

88Nowhere else do they have an aim or objective.

85Tum bachchē jāntē hō ki is jhāṛ kā bījrūp paramātmā ūpar mē̃ hai .

89You children know that the Seed of this tree, the Supreme Soul, is up above.

86Pahlē-pahlē satyug key|kī rachnā hōtī hai .

90First, there is the creation of the golden age.

87Phir satyug sē trētā bantā hai .

91Then, from the golden age, it becomes the silver age.

88Sārī sr̥iṣhṭi purānī tamōpradhān bannī hī hai .

92The whole world has to become old and tamopradhan.

89Ab tum purānī duniyā mē̃ hō . 90Naī nahī̃ kahē̃gē .

93You are now in the old world; it would not be called new.

91Naī sr̥iṣhṭi tō satyug thī , kaliyug kō purānī sr̥iṣhṭi kahā jātā hai .

94The golden age was the new world. 95The iron age is called the old world.

92Purānī hōnē mē̃ bhī time lagtā hai .

96It takes time for it to become old.

93Pahlē naī thī ab purānī hai .

97At first, it was new and now it is old.

94Bhārat mē̃ ājkal sab chāhtē haĩ naī duniyā hō , usmē̃ nayā bhārat hō . 95World almighty authority rājya hō .

98Nowadays, everyone in Bharat wants there to be a new world and a new Bharat within it, a World Almighty Authority kingdom.

96Dēvī dēvtāō̃ kā rājya almighty authority nē hī sthāpan kiyā thā . 97Us samay dūsrā kōī rājya hō na sakē .

99When the Almighty Authority established the kingdom of deities, there was no other kingdom at that time.

98Har ēk manuṣhya almighty authority arthāt gyān kā sāgar hō na sakē .

100No human being can be the Almighty Authority, that is, human beings cannot be the Ocean of Knowledge.

99Gyān kā sāgar , sukh kā sāgar . . . . . yah mahimā ēk paramātmā kī hai .

101The praise, ‘Ocean of Knowledge, Ocean of Happiness’, is only of the one God.

100Varsā bhī tumkō unsē hī miltā hai .

102It is from Him alone that you receive the inheritance.

101Bāp khud kahtē haĩ ki maĩ kalp-kalp ātā hū̃ , ākar is bhārat kō svarg banātā hū̃ .

103The Father Himself says: I come every cycle. 104I come and make this Bharat into heaven.

102Phir ādhākalp bād tum vah rājya bhāgya gavā̃tē hō , māyā sē hār khā lētē hō .

105Then, after half a cycle, you lose your fortune of that kingdom. 106You are then defeated by Maya.

103Man sē hārnē key|kī bāt nahī̃ hai .

107It is not a question of your minds being defeated.

104Man tō bilkul ghōṛā ban jātā hai , māyā man kō uṛā dētī hai .

108The mind becomes completely like a horse. 109Maya blows your minds away.

105Māyā bhī kahtī hai - vāh , hamārī sēnā sē kōī vahā̃ kaisē jā saktā hai  ?

110Maya too says: It is a wonder! 111How can anyone from my army go to the other side?

106Achchhē-achchhē mahārathiyō̃ kō bhī jīt lētī hai .

112She even conquers very good maharathis.

107Tumhārī māyā kē sāth yuddha hai .

113You battle against Maya.

108Bākī yah kōī sthūl hathiyārō̃ key|kī laṛāī kī bāt nahī̃ .

114This is not a question of a war with physical weapons.

109Yah tō māyā par jīt pānē key|kī laṛāī hai .

115This is the war to conquer Maya.

110Bākī vah laṛāīyā̃ tō chaltī āī haĩ .

116Those wars have always gone on.

111Pahlē talvārē̃ thī , phir bandūkē̃ nikalī , ab tō bombs nikalē haĩ .

117At first, they waged war with swords, and then guns were invented and now there are bombs.

112Tō ab tum bachchō̃ key|kī buddhi mē̃ hai ham sō dēvī-dēvtā thē .

118It is now in the intellects of you children that you were deities.

113Aur satsaṅgō̃ mē̃ kōī aisē nahī̃ kahē̃gē ki ham sō dēvtā thē , hamnē 84 janma liē . 114Abhī ham patit ban gayē haĩ , ab phir pāvan ban rahē haĩ .

119No one in other spiritual gatherings would say that they were deities and that they have taken 84 births, that they have now become impure and are now once again becoming pure.

115Tum bhī nayanhīn thē , in ôkhō̃ key|kī bāt nahī̃ hai .

120You too were without sight. 121This is not a question of your physical eyes.

116Yah gyān K|kē divya chakṣhu key|kī bāt hai .

122This is a matter of your divine eyes of knowledge.

117Ātmā tō apnē bāp kō bhūl gaī hai .

123Souls have forgotten their Father.

118Sannyāsiyō̃ nē tō ātmā sō paramātmā kah diyā hai .

124Sannyasis have said that each soul is the Supreme Soul.

119Bāp hī ākar tīsrā nētra khōltē haĩ .

125The Father Himself comes and opens your third eye.

120Vah phir dēvtāō̃ kō tīsrā nētra dikhātē haĩ , jaisē viṣhṇu kō alaṅkār dikhāyē haĩ vaisē dēvtāō̃ kō tīsrā nētra dē diyā hai .

126They have then portrayed the deities with a third eye. 127Just as they have shown Vishnu with those ornaments, similarly they have shown the deities with a third eye.

121Parantu unkā gyān kā tīsrā nētra tō khultā nahī̃ .

128However, their third eyes of knowledge never open.

122Satyug mē̃ agar yah gyān hōtā ki ham aisē girtē jāyēṅgē , phir ham narkvāsī ban paṛē̃gē tō rājya-bhāgya key|kī khuśhī hī chalī jātī .

129If they had this knowledge in the golden age of how they would descend and how they would then become residents of hell, they would lose the happiness of their fortune of the kingdom.

123Yah knowledge abhī hī rahtī hai .

130This knowledge only exists at this time.

124Tum mīṭhē-mīṭhē sikīladhē lāḍlē bachchē jāntē hō ki ham bābā kē pās 5 hajār varṣh bād āyē haĩ phir sē apnā rājya-bhāgya lēnē .

131You sweetest, beloved, long-lost and now-found children know that you have come to Baba after 5000 years to claim your fortune of the kingdom once again.

125Phir 5 hajār varṣh bād hamkō ānā hai .

132We will then come again after 5000 years.

126Ham all-round actors haĩ .

133We are all-round actors.

127Ham sō dēvtā banē thē , ham sō kṣhatriya banē̃ , abhī ham sō phir brāhmaṇ banē haĩ .

134We became deities and then we became warriors. 135We have now become Brahmins once again.

128Yah gyān kiskō nahī̃ hai .

136No one has this knowledge.

129Gītā pāṭhśhālā mānā bhagvān key|kī pāṭhśhālā .

137“Gita Pathshala” means God’s pathshala.

130Bhagvānuvāch hai .

138There are the versions of God.

131Un lōgō̃ nē phir śhrīkr̥iṣhṇa kā nām ḍāl diyā hai .

139Those people have then inserted Shri Krishna’s name.

132Phir śhrīkr̥iṣhṇa par kitnē kalaṅk lagā diyē haĩ , kah dētē haĩ unkō itnē bachchē thē , itnī rāniyā̃ churāī  !

140There cannot be versions spoken by God Shri Krishna. 141He was a small child. 142People have accused him of so many things: he had so many children, he abducted so many queens etc.

133Yahā̃ tō tum sab āpēhī bhāg kar āyē hō , kōī nē bhagāyā nahī̃ .

143All of you came running here by yourselves; no one abducted you.

134Government K|kē rājya mē̃ agar kōī kiskō bhagāyē tō bhī case chal jāyē .

144If anyone in the Government were to abduct anyone, there would be a case brought against that one.

135Inhō̃ kā wonder huā , kitnē bachchē āyē , bhaṭṭhī bannī thī .

145It was a wonder that so many children came. 146A bhatti had to be created.

136Buṛhē , javān , bachchē sab variety bhāgkar ā gayē .

147Old people, young people, children, all varieties, came running here by themselves.

137Kōī jhāṛ K|kē jhāṛ bhī āyē .

148Some whole trees (families) came.

138Tō yahā̃ key|kī bāt śhrīkr̥iṣhṇa kē sāth lagākar ulṭā-sulṭā likh diyā hai .

149They have confused the things that happened here with Shri Krishna and written all wrong things.

139Akhbārō̃ mē̃ baṛī dhūmdhām huī .

150There was sensational news in the newspapers.

140America K|kē akhbār mē̃ bhī paṛ gayā ki ēk kalkattē kā javāharī kahtā hai ki mujhē 16108 rāniyā̃ chāhiē , abhī 400 milī haĩ . 141Tō yah sab khēl hai .

151It was printed in the newspapers in America that a jeweller in Calcutta said that he wanted 16,108 queens and that he had so far found 400. All of this is a game.

142Nothing new .

152Nothing new!

143Kalp bād phir bhī aisē hōgā .

153The same thing will happen after a cycle.

144Aisē hī tumhārī bhaṭṭhī banēgī .

154Your bhatti will be created in the same way.

145Tum dēkh rahē hō ki kaisē sthāpanā hōtī hai .

155You can see how establishment is taking place.

146Tum manuṣhya sē dēvtā ban rahē hō .

156You are changing from human beings into deities.

147Jīvanmukti dātā kō apnā banānē sē second mē̃ tum varsā pānē K|kē hakdār bantē hō .

157By making the Bestower of Liberation-in-Life belong to you, you claim a right to attaining your inheritance in a second.

148Janak kō bhī second mē̃ sākṣhātkār huā .

158Janak also had a vision in a second.

149Kahtē bhī haĩ hamkō janak misal gyān dō .

159People say: Give us the same knowledge that Janak received.

150Janak nē tō trētā mē̃ rājāī pāī .

160Janak attained his kingdom in the silver age.

151Bābā nē pahlē-pahlē samjhāyā abhī tum bachchō̃ key|kī buddhi mē̃ hai ki hamārē sāmnē kaun baiṭhā hai  ?

161Baba first of all explained to you: It is now in the intellects of you children who it is sitting in front of you.

152Śhiv K|kē mandir kē āgē bail rakh diyā hai .

162They have placed a bull in front of the Shiva Temple.

153Bail par tō manuṣhya baiṭhēgā , nirākār śhiv kaisē baiṭhē̃gē  ?

163A human being would sit on a bull; how could incorporeal Shiva ride it?

154Tō phir śhaṅkar kō biṭhā diyā hai .

164Therefore, they have shown Shankar sitting on it.

155Kuchh bhī samajhtē nahī̃ .

165They don’t understand anything.

156Gīt mē̃ bhī sunā ki nain hīn kō rāh dikhāō . . . sab buddhihīn andhē haĩ .

166You heard in the song: Show the path to the blind, dear God! 167All are blind, without intellects.

157Prajā kā prajā par rājya hai .

168It is the rule of the people over the people.

158Āgē rājya rājā chalātē thē .

169In earlier days, each kingdom was ruled by a king.

159Kōī kaṛā vikarma kartē thē tō rājā phaĩslā kartē thē .

170When anyone committed a great crime, the king would pass judgment.

160Abhī tō prajā kā prajā par rājya hai . 161Ēk-dō kō kē ūpar judge haĩ .

171It is now the rule of the people over the people; they are all judges of one another.

162Wonder hai nā .

172It is a wonder.

163Yah bēhad kā nāṭak hai .

173This is an unlimited play.

164Yah tum jāntē hō , aur kōī kah na sakē .

174Only you know this; no one else can say this.

165Jū̃ misal yah drama chaltā hī rahtā hai .

175This drama continues to move like a louse; it continues to tick away.

166Ṭik-ṭik hōtī hī rahtī hai .

176The world cycle continues to turn.

167Duniyā kā chakra phirtā hī rahtā hai .

177No one knows the world history and geography.

168Yah world key|kī history-geography kōī nahī̃ jāntē .

178They say that even each leaf moves on the directions of God.

169Kahtē haĩ pattā bhī īśhvar K|kē hukm par chaltā hai .

179However, that is in the drama: if a fly passes through here, it will repeat after a cycle.

170Parantu yah tō drama hai .

180This drama has to be understood.

171Makkhī yahā̃ sē pās|pass huī phir kalp bād repeat hōgā .

181Only human beings would understand.

172Drama kō samajhnā hai .

182Baba explains so clearly.

173Manuṣhya hī samajhē̃gē .

183Baba is the World Almighty Authority.

174Bābā kitnā achchhī rīti samjhātē haĩ .

184He says: I too am bound by the bondage of the drama.

175Bābā world almighty authority hai .

185I Myself come and make impure ones pure.

176Kahtē haĩ maĩ bhī drama K|kē bandhan mē̃ bāndhā huā hū̃ .

186You are now receiving power from the Father in order to conquer Maya.

177Maĩ khud ākar patit kō pāvan banātā hū̃ .

187Maya, the enemy, has made you completely poverty-stricken; there is no health or wealth.

178Abhī tum bāp sē śhakti lētē hō māyā par jīt pānē liē .

188You now understand that you are becoming the masters of the world.

179Māyā duśhman nē tumkō bilkul kaṅgāl banā diyā hai , na health , na wealth hai .

189There, you will have health, wealth and happiness; you will have everything.

180Abhī tum samajhtē hō ki ham viśhva K|kē mālik bantē haĩ .

190You say to God: Come and show us the path! 191Have mercy!

181Vahā̃ tō health , wealth , happy sab hōgā .

192Come and give us liberation and liberation-in-life!

182Paramātmā kō hī kahtē haĩ ki ākar rāh batāō , rahm karō , ākar mukti-jīvanmukti dō .

193Souls call out: O Baba, come and liberate us from sorrow and make us happy in heaven!

183Ātmā hī pukārtī hai - ō bābā , ākar hamē̃ duḥkh sē chhuṛāē svarg mē̃ sukhī banāō .

194He is remembered as the Remover of Sorrow and the Bestower of Happiness.

184Gāyā bhī hai duḥkh hartā , sukh kartā .

195The Father gives you happiness.

185Bāp nē sukh diyā phir unkō svarg mē̃ yād karnē key|kī darkār nahī̃ rahtī .

196There is then no need to remember Him in heaven.

186Sab bachchō̃ kō sukhī banā dētē haĩ .

197He makes all of you the children happy.

187Āgē 60 varṣh key|kī āyu mē̃ bachchō̃ kō rājya-bhāgya dē khud vānaprasth mē̃ chalē jātē thē .

198In earlier days, they would give everything to their children when they reached the age of 60 and go into retirement.

188Tō bēhad kā bāp bhī kahtē haĩ - maĩ jāntā hū̃ tum sabkō māyā nē bahut duḥkhī kiyā hai , tō ab lē chalnē āyā hū̃ .

199The unlimited Father says: I know that Ravan has made you very unhappy. 200Therefore, I have now come to take you back.

189Nirvāṇdhām vā vānaprasth ēk hī bāt hai .

201The land of nirvana and the stage of retirement are the same thing.

190Vānaprasth arthāt vāṇī sē parē sthān sweet silence home .

202The stage of retirement, which is beyond sound, is the sweet silence home.

191Phir jāyēṅgē apnī sweet rājdhānī mē̃ .

203You will then go into your sweet kingdom.

192Abhī tō duḥkhdhām hai .

204It is now a land of sorrow.

193Tum kahtē hō ham svadarśhan chakradhārī bantē haĩ aur banātē rahtē haĩ .

205You say that you are becoming spinners of the discus of self-realisation and are continuing to make others that too.

194Sampūrṇ tō ant mē̃ hī banē̃gē .

206Only at the end will you become perfect.

195Kahtē haĩ svadarśhan chakradhārī viṣhṇu vā śhrīkr̥iṣhṇa hai .

207They say that Vishnu or Shri Krishna is a spinner of the discus of self-realisation.

196Yah kaisē hō saktā hai  ?

208How could that be possible?

197Yah bātē̃ tō tum hī samajh saktē hō .

209Only you can understand these things.

198Svadarśhan pādhāriyō̃ kō naśhā hōnā chāhiē - śhivbābā hamkō svadarśhan chakradhārī banātē haĩ .

210Those who are spinners of the discus of self-realisation should have this intoxication: Shiv Baba is making us into spinners of the discus of self-realisation.

199Ham sampūrṇ ant mē̃ banē̃gē , isliē alaṅkār dēvtāō̃ kō dē diyē haĩ kyōṅki tum abhī sampūrṇ nahī̃ banē hō .

211We will become perfect by the end. 212It is because you have not yet become perfect that those ornaments have been given to the deities.

200Tumkō alaṅkār śhōbhē̃gē hī nahī̃ .

213It wouldn’t seem right to give you those ornaments at this time.

201Dēvtāyē̃ haĩ sampūrṇ , isliē unhō̃ kō dē diyē haĩ .

214Deities are perfect and this is why those ornaments have been given to them.

202Achchhā  !

215Achcha.

203Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .

216To the sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

204Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

217The spiritual Father says namaste to the spiritual children.

Essence for dharna

205Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

218Essence for dharna:

2061 ) bēhad drama K|kē rāz kō buddhi mē̃ rakh nothing new kā pāṭh pakkā karnā hai .

219 1. Keep the secret of this unlimited drama in your intellect and make the lesson of ‘nothing new’ firm.

207Vāṇī sē parē rah vānaprasth avasthā mē̃ jānā hai .

220Stay beyond sound and go into the stage of retirement.

2082 ) māyā duśhman par jīt pānē kē liē sarvśhaktimān bāp sē śhakti lēnī hai .

221 2. In order to conquer Maya, the enemy, take power from the Almighty Authority Father.

209Gyān nayan hīn ātmāō̃ kō gyān nētra dēnā hai .

222Give the eye of knowledge to souls who don’t have the eye of knowledge.

Blessing

210Vardān  : man kō aman vā daman karnē kē bajāē su-man banānē vālē dūrādēśhī bhav

223Blessing: May you become far-sighted and make your mind positive instead of suppressing it.

211Bhakti mē̃ bhakta lōg kitnī mēhnat kartē haĩ , prāṇāyām chaṛhātē haĩ , man kō aman kartē haĩ .

224 On the path of devotion, the devotees make so much effort to make their minds peaceful and quiet with breathing exercises.

212Āp sabnē man kō sirph ēk bāp key|kī taraph lagā diyā , busy kar diyā , bas .

225All of you have directed and kept your minds busy on the one Father and that is all.

213Man kō daman nahī̃ kiyā , su-man banā diyā .

226You have not suppressed your mind, but you have made it positive.

214Abhī āpkā man śhrēṣhṭh saṅkalp kartā hai isliē su-man hai , man kā bhaṭaknā band hō gayā .

227Now, your mind has elevated thoughts and this is why it is a positive mind. 228The wandering of your mind has stopped and it has found its destination.

215Ṭhikānā mil gayā . 216Ādi-madhy-ant tīnō̃ kālō̃ kō jān gayē tō dūrādēśhī , viśhāl buddhi ban gayē isliē mēhnat sē chhūṭ gayē .

229You now know the beginning, the middle and the end, the three aspects of time, and so you have become far-sighted and have a broad and an unlimited intellect. 230This is why you are free from having to labour.

Slogan

217Slōgan  : jō sadā khuśhī key|kī khurāk khātē haĩ vē|way sadā tandarūst aur khuśanumaḥrahatē haĩ .

231Slogan: Those who always eat the fruit of happiness always remain constantly healthy and happy.

232*** Om Shanti ***