बुधवार 23 अगस्त 2023 की दैनिक मुरली

ध्यान दें: वाक्यों का संरेखण अक्षरों की संख्या पर आधारित है और पूरी तरह विश्वसनीय नहीं है।

आप पूरी मुरली या उसके किसी भाग का वाक्य संरेखण स्वयं सुधार सकते हैं।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

023-08-2023 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

0 23/08/23 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē bachchē - jis māt-pitā sē tumhē̃ bēhad kā varsā miltā hai us māt-pitā kā hāth kabhī chhōṛnā nahī̃ , paṛhāī chhōṛī tō chhōrā-chhōrī ban jāyēṅgē ' '

1Essence: Sweet children, never let go of the hand of the Mother and Father from whom you receive your unlimited inheritance. 2If you leave your study you become like street orphans.

Question

2Praśhna  : khuśhnasīb bachchō̃ kā puruṣhārth kyā rahtā , unkī niśhānī sunāō  ?

3Question: What are the efforts and signs of the fortunate children?

Answer

3Uttar  : jō khuśhnasīb bachchē haĩ - vah dēhī-abhimānī rahnē kā puruṣhārth kartē haĩ .

4Answer: Fortunate children make effort to remain soul conscious.

4Jō suntē haĩ uskā aurō̃ kō dān dētē haĩ .

5They donate to others whatever they hear.

5Vah śhaṅkhdhvani karnē bigar rah nahī̃ saktē .

6They cannot stay without blowing the conch shell.

6Dhārṇā bhī tab hō jab dān karē̃ .

7Only when you donate can you imbibe.

7Khuśhnasīb bachchē din-rāt sēvā mē̃ first class mēhnat kartē haĩ .

8Fortunate children make first-class efforts doing service day and night.

8Kabhī bhī dharmarāj sē don't care nahī̃ rahtē .

9They never have a "don't care" attitude towards Dharamraj.

9Sirph achchhā-achchhā khāyā , achchhā-achchhā pahanā|pahnā , service nahī̃ key|kī , śhrīmat par nahī̃ chalē tō māyā bahut burī gati kar dētī hai .

10If you simply eat good food, wear good clothes, don't do service and don't follow shrimat, Maya will make your condition very bad.

Song

10Gīt  : bhōlēnāth sē nirālā …

11Song: No one is unique like the Innocent Lord.

Murli

11Ōm śhānti .

12Om shanti.

12Bigaṛī kō sudhārnē vālā tō ēk hī hai - yah duniyā nahī̃ jāntī .

13The world doesn't know that there is only the One who can put right that which has gone wrong.

13Tum bachchē samajhtē hō , jō yahā̃ baiṭhē hō .

14You children who are sitting here understand this.

14Tumhārē mē̃ bhī number-vār puruṣhārth anusār jāntē haĩ . 15Bigāṛnē vālī hai māyā .

15You also know, numberwise, according to the efforts you make, that it is Maya that spoils everything.

16Āsurī mat par chalnē vālē hī bigaṛtē haĩ .

16Those who follow devilish directions are spoilt.

17Ab tum bachchē jāntē hō bhōlānāth śhiv kō hī kahā jātā hai .

17You children now understand that Shiva is called the Innocent Lord.

18Śhaṅkar kō bhōlānāth nahī̃ kahtē haĩ .

18Shankar cannot be called the Innocent Lord.

19Bhōlānāth unkō kahā jātā hai jō bigaṛī kō banānē vālā hai , baṛā bhōlā hai , garībō̃ kō akhuṭ khajānā dēnē vālā hai .

19The Innocent Lord is the One who rectified that which has been spoilt. 20He is very innocent. 21He is the One who gives limitless treasures to the poor.

20Bachchō̃ kō ādi-madhy-ant kā gyān dētē haĩ , jiskē yah chitra banē huē haĩ .

22He gives you children the knowledge of the beginning, the middle and the end. 23Pictures have been made of this.

21Aur kōī aisā nahī̃ samjhātē ki yah ulṭā vr̥ikṣha hai .

24No one else explains that this is an inverted tree.

22Bhagvānuvāch hai ki is jhāṛ aur drama kā gyān aur kōī bhī vēd śhāstra mē̃ nahī̃ hai .

25God speaks: The knowledge of this tree and the drama is not written in any of the Vedas or scriptures.

23Bhagvān nē hī diyā hai .

26God alone has given it.

24Unkā hī śhāstra hai , jiskē liē kahā jātā hai sarv śhāstra śhirōmaṇī bhagavat gītā .

27It is His scripture that is also called the jewel of all scriptures, the Bhagwad Gita.

25Parampitā paramātmā kitnā mīṭhā bābā hai parantu uskī yād māyā bhulā dētī hai .

28The Supreme Father, the Supreme Soul, is such a sweet Baba, but Maya makes you forget Him.

26Tum śhivbābā kō yād karnē key|kī kōśhiśh kartē hō , lēkin māyā baṛī jabardast hai , vah tumkō yād karnē nahī̃ dēgī .

29You try to remember Shiv Baba, but Maya is very powerful. 30She does not allow you to remember Him.

27Ab bābā tumkō is rōnē key|kī duniyā sē dūr lē jātē haĩ , jahā̃ 21 janm tumkō rōnē key|kī darkār hī nahī̃ rahtī hai .

31Baba will now take you far away from this world of crying where you won't need to cry for 21 births.

28Tumnē 63 janm tō rōyā hai . 2984 janm nahī̃ kahē̃gē .

32You have been crying for 63 births; you wouldn’t say 84 births.

30Yah bhī tum bachchē hī jāntē hō .

33Only you children know this.

31Bhōlānāth baiṭh samjhātē haĩ .

34The Innocent Lord sits here and explains to you.

32Jabsē rāvaṇ bigāṛnā śhurū kartē haĩ , tab sē tum rōnē lagtē hō .

35You began to cry the moment Ravan began to spoil everything.

33Manuṣhyō̃ kō samjhānē kē liē hī yah baṛā jhāṛ aur gōlā banvāyā jātā hai kyōṅki baṛē chitrō̃ par achchhī rīti samjhāyā jā saktā hai .

36Big pictures of the tree and the cycle are made in order to explain to people because you can explain very clearly using big pictures.

34Bhal kōī bachchē apnē karmō̃ anusār itnā nahī̃ bhī dhāraṇ kar saktē haĩ .

37Some children are unable to imbibe that much because of their karma. 38However, not everyone will become a king or queen.

35Sabhī tō rājā-rānī nahī̃ banē̃gē . 36Achchhē karma kiyē haĩ tō uskā phal āgē jarūr miltā hai .

39When someone has performed good actions, he definitely receives the fruit of that in his future births.

37Karmō̃ kī gati hai nā .

40This is the philosophy of karma.

38Bāp kahtē haĩ maĩ karma-akarma-vikarma kī gati kō jāntā hū̃ aur samjhātā hū̃ .

41The Father says: I know the philosophy of karma, neutral karma and sinful karma and I explain it to you.

39Teacher tō sabhī kō ēk jaisā hī paṛhātē haĩ .

42A teacher would teach everyone in the same way.

40Phir kōī achchhē number sē pās|pass hōtē haĩ , kōī nā-pass hōtē haĩ .

43Some pass with good marks whereas others fail. 44They would say: What can we do?

41Kahē̃gē kyā karē̃ , karmō̃ kā aisā hī hisāb-kitāb hai jō ham paṛhtē nahī̃ .

45The account of karma is such that we are unable to study.

42Yahā̃ bhī aisā hai .

46It is the same here.

43Kōī tō achchhā paṛhtē haĩ , kōī tō paṛhāī athavā college kō hī chhōṛ dētē haĩ .

47Some study very well whereas others leave their studies and college.

44College chhōṛā gōyā bāp-teacher-satgurū kō chhōṛā .

48To leave college means to leave the Father, Teacher and Satguru.

45Chhōṛnē sē chhōrā ban jātē haĩ .

49Those who leave college are said to be street orphans.

46Chhōrā unkō kahā jātā hai jinkē mā̃-bāp nahī̃ hōtē haĩ .

50Street orphans are those who don't have parents.

47Tō māt-pitā , jinsē svarg kā varsā miltā hai unkō chhōṛā tō chhōrā-chhōrī ban jātē haĩ .

51So, when you leave the Mother and Father from whom you receive the inheritance of heaven, you become like street orphans.

48Yahā̃ bhī kaī samajhtē haĩ - yahā̃ sē chhūṭ purānī duniyā mē̃ jāyē̃ . 49Lēkin vahā̃ gyān tō uṭhā nahī̃ saktē .

52Here, too, some think that they will leave here and go back to the old world, but they won't be able to receive this knowledge there.

50Vahā̃ tō nāṭak , bioscope , ghūmnā-phirnā , achchhā kapṛā ādi milēgā .

53There, you will have dramas, films, sightseeing, touring around, wearing good clothes etc.

51Jinkī takdīr mē̃ nahī̃ hai tō phir aisē khyālāt chaltē haĩ .

54Those who don't have it in their fortune have such thoughts.

52Vināśh kālē viparīt buddhi hōtī hai tō phir purānī duniyā taraph chalē jātē haĩ .

55Those who have non-loving intellects at the time of destruction go back to the old world.

53Tum jāntē hō purānī duniyā tō jald ḵẖatm hōnī hai .

56You know that the old world is going to end very soon.

54Sāth mē̃ tō kuchh nahī̃ chalnā hai .

57You are not going to take anything with you.

55Tumkō is dēh-abhimān kō bhī chhōṛnā hai .

58You have to renounce that body consciousness.

56Dēh-abhimān K|kē kāraṇ hī aur sab vikār ātē haĩ .

59It is because of body consciousness that all the other vices come.

57Dēhī-abhimānī bannē mē̃ bahut mēhnat hai .

60It requires a lot of effort to become soul conscious.

58Bāp kahtē haĩ apnē kō ātmā samjhō .

61The Father says: Consider yourselves to be souls.

59Maĩ bhī tempory is tan mē̃ āyā hū̃ .

62I too have entered this body temporarily.

60Ham sō dēvtā thē , ab phir ham sō śhūdra banē haĩ .

63We were deities and have now become shudras.

61Śhrīmat par chal ham viśhva kō svarg banātē haĩ .

64We are making the world into heaven by following shrimat.

62Tum bachchē kitnē khuśhnasīb hō  !

65You children are so fortunate.

63Jab śhivbābā ātē haĩ tab tum bhārat mātāō̃ kō hī śhakti sēnā banātē haĩ isliē hī tumhārā nām paṛā hai śhiv śhakti sēnā .

66When Shiv Baba comes, He creates the Shakti Army of you mothers of Bharat. 67This is why your name is the Shiv Shakti Army.

64Tum śhiv sē śhakti lē apnā svarājya sthāpan kar rahē hō .

68You are taking power (shakti) from Shiva and establishing your self-sovereignty.

65Ūñch tē ūñch hai śhivbābā .

69Shiv Baba is the Highest on High.

66Duniyā tō bilkul hī ghōr andhiyārē mē̃ hai .

70The world is in complete darkness.

67Tumhārē mē̃ bhī number-vār puruṣhārth anusār sōjharē mē̃ haĩ .

71You, too, are in the light, numberwise, according to the efforts you make.

68Kōī-kōī key|kī jyōt jagtī hī nahī̃ hai .

72The lights of some are not ignited at all.

69Vah bhī drama mē̃ nūndh hai .

73That too is fixed in the drama.

70Kisī key|kī jyōt jagtī bhī hai tō phir māyā bujhā dētī hai .

74The lights of some are ignited and then Maya extinguishes them.

71Chaltē-chaltē māyā kā tūphān lagnē sē phir vaisē kā vaisā ban jātē haĩ .

75While moving along, they have storms of Maya and they become the same as they were before.

72Is duniyā mē̃ kōī tō bahut sāhūkār haĩ , kōī 10 rūpayā bhī nahī̃ kamātē .

76In this world, some are very wealthy and others don't even earn ten rupees.

73Kaī manuṣhyō̃ kō bhōjan bhī muśhkil sē miltā hai . 74Khānē kē liē kitnā pukārtē haĩ .

77Some people are hardly able to get food; they cry out so much for food.

75Bābā un dvārā ( vidēśhō̃ dvārā ) sahāyatā karvā rahē haĩ .

78Baba is inspiring them, that is, the foreign countries, to give help.

76Yah manuṣhya tō nahī̃ jāntē .

79People don't know this.

77Yah bhī drama mē̃ rāz hai .

80This too is a secret in the drama.

78Tum jab bahut duḥkhī hōtē hō tab bāp ātē haĩ .

81The Father comes when you become very unhappy.

79Agar unhō̃ kō prērṇā nahī̃ miltī tō tumkō madad nahī̃ kartē .

82If they didn't receive that inspiration, they wouldn’t help you.

80Abhī tumhārī complete rājdhānī sthāpan nahī̃ huī hai .

83Your kingdom is not completely established yet.

81Tō yah chitra haĩ kiskō samjhānē kē liē .

84So this picture is for explaining to anyone.

82Inkā bahut mahatva hai . 83Jaisē maps ( nakśhē ) hōtē haĩ , map K|kē sivāē kaisē patā paṛē phalānā śhahar kahā̃ hai .

85It is very important, just as you have maps, because you couldn't tell where particular cities are without maps.

84Yah maps vahā̃ nahī̃ hōṅgē .

86These maps won't exist there.

85Yahā̃ tō bhārat kitnā baṛā hai .

87Here, Bharat is so large.

86Vāstav mē̃ bhārat key|kī sabsē jāstī saṅkhyā hōnī chāhiē .

88In fact, Bharat should have the largest population.

87Tō rahnē liē kitnī jagah chāhiē .

89They need so much space in order to live here.

88Svarg mē̃ tō bahut thōṛē rahē̃gē .

90There will be very few people in heaven.

89Tumhārī buddhi mē̃ yah bātē̃ haĩ .

91These things are in your intellects.

90Vināśh hōgā tō ham bākī bahut thōṛē rahē̃gē .

92When destruction takes place, very few of us will remain.

91Jhāṛ kā foundation hai nā . 92Phir bād mē̃ jhāṛ vr̥iddhi kō pātā rahēgā .

93There is the foundation of the tree and the tree later continues to grow.

93Phir number-vār aur jhāṛ lagtē rahē̃gē .

94Then, numberwise, other trees also begin to grow.

94Tumhārē mē̃ bhī bahut thōṛē haĩ jō in bātō̃ kō samajhtē haĩ aur naśhē mē̃ rahtē haĩ . 95Ham bābā dvārā knowledgeful bantē haĩ .

95Amongst you, too, there are very few who understand these things and have the intoxication of becoming knowledge-full through Baba.

96Bābā tō bahut sahaj batlātē haĩ .

96Baba explains to you very easily.

97Kahtē haĩ sirph is sr̥iṣhṭi chakra kō dhyān mē̃ rakhō . 98Sr̥iṣhṭi chakra aur śhaṅkh .

97He says: Simply pay attention to this world cycle: the world cycle and the conch shell.

99Jō gyān kā śhaṅkh bajānē vālē nahī̃ hōṅgē tō unkō gītā sunānē vālā brāhmaṇ kaisē kahē̃gē  ?

98If you are not someone who blows the conch shell of knowledge, how could you be called a Brahmin who speaks the Gita?

100Gītā sunānē vālē bhī number-vār hōtē haĩ .

99Those who relate the Gita are also numberwise.

101Jō achchhē pakkē vidvān hōṅgē unhō̃ kō naśhā rahēgā .

100Those who are very clever scholars would have that intoxication.

102Kitnē hajārō̃ manuṣhya baiṭh suntē haĩ .

101So many thousands of people sit there to listen to them.

103Tumhārī tō haĩ naī bātē̃ .

102Everything of yours is new.

104Kahtē haĩ inhō̃ kā gyān na hinduō̃ kā hai , na musalmānō̃ kā hai , patā nahī̃ kahā̃ sē lāyā hai .

103They say: Their knowledge is neither that of the Hindus nor of the Muslims. 104You can't tell where they got their knowledge from.

105Phir bhī kaī tō samajhtē haĩ nā - bhōlānāth bābā , bhaktō̃ kā rakṣhak bhagvān , patit-pāvan āyā hai .

105Nevertheless, some think that Baba, the Innocent Lord, God, the Protector of the Devotees, the Purifier, has come.

106Unkō ānā jarūr hai .

106He definitely has to come.

107Bāp kahtē haĩ mērī yādgār K|kē bhī mandir haĩ .

107The Father says: There are also temples as memorials to Me.

108Maĩ āyā hī hū̃ patitō̃ kō pāvan banānē .

108I have come to make impure ones pure.

109Yah tum bachchē jāntē hō - bābā ākar hamkō 5 hajār varṣh pahlē samān samjhā rahē haĩ .

109You children know that Baba has come and is explaining to us as He did 5000 years ago.

110Tum kahtē hō - bābā , ham bhī 5 hajār varṣh pahlē āyē thē , āpsē varsā liyā thā .

110You say: Baba, we also came here 5000 years ago and claimed our inheritance from You.

111Itnē ḍhēr bachchē kahtē haĩ , ismē̃ andhaśhradhā key|kī kōī bāt hī nahī̃ .

111So many children say this and so there is no question of blind faith.

112Sabhī kahtē haĩ - bābā , ham āpkē pōtrē , brahmā K|kē bachchē haĩ .

112All of you say: Baba, we are Your grandchildren, the children of Brahma.

113Kōī sē bhī pūchhō tō kahē̃gē - hā̃ , śhivbābā K|kē bachchē tō sab bhāī haĩ .

113When any of you are asked, you would say: Yes, the children of Shiv Baba are all brothers.

114Phir sākār mē̃ brahmā key|kī aulād hōnē sē bahan-bhāī brahmākumār-kumārī hō gayē .

114Then, in the corporeal form, because we are the children of Brahma, we are brothers and sisters, Brahma Kumars and Kumaris.

115Tō yah buddhi mē̃ rahnā chāhiē . 116Ham brahmā K|kē bachchē brahmākumār-kumāriyā̃ ṭhaharē , ismē̃ vikār key|kī kōī bāt nahī̃ .

115Therefore, it should remain in your intellects that we children of Brahma are Brahma Kumars and Kumaris, and so there can be no question of vice here.

117Ēk hī kul hō gayā .

116There is just this one clan.

118Prajāpitā brahmā rachayitā hai .

117Prajapita Brahma is the creator.

119Jarūr yah prajā hai nā .

118So all of you are definitely his people.

120Śhivbābā ākar brahmā dvārā bachchē banātē haĩ , tō jarūr satyug K|kē pahlē āyē hōṅgē .

119Shiv Baba comes and makes you His children through Brahma. 120Therefore, He would definitely have come before the golden age.

121Jō brāhmaṇ phir dēvtā bantē haĩ vah jarūr pavitra rahē̃gē .

121Those who become Brahmins and then deities would definitely remain pure.

122Jō-jō pavitra bantē haĩ vah apnā rājya-bhāgya lētē haĩ .

122Those who become pure claim their fortune of the kingdom.

123Śhivbābā brahmā dvārā yah rachnā rach rahē haĩ .

123Shiv Baba is creating this creation through Brahma.

124Tum jāntē hō ham 5 hajār varṣh pahlē bhī saṅgam par thē , ab bhī haĩ phir ham dēvtā banē̃gē .

124You know that we were at the confluence age 5000 years ago, that we are there now and will then become deities.

125Satyug mē̃ vā kaliyug mē̃ kōī brahmākumār-kumāriyā̃ nahī̃ hōtē haĩ , saṅgam par hī hōtē haĩ .

125There are no Brahma Kumars or Kumaris in the golden age or the iron age; they only exist at the confluence age.

126Brahmākumār-kumāriyā̃ bhāī-bahan bantē haĩ - yah pavitra rahnē key|kī yukti hai .

126Brahma Kumars and Kumaris are brothers and sisters; this is the way to remain pure.

127Jō pavitra nahī̃ bantē vah tō viśhva kā rājya lē na sakē .

127Those who don't become pure cannot claim the kingdom of the world.

128Brāhmaṇ hī dēvtā bannē vālē haĩ .

128Only Brahmins will become deities.

129Bāp samjhātē haĩ - bachchē , puruṣhārth karkē dhāraṇ karō aur dūsrō̃ kō karāō .

129The Father explains: Children, make effort and imbibe knowledge and inspire others to imbibe it.

130Jab dēvtā bannē lāyak ban jāyēṅgē tab vināśh hōgā .

130When you are worthy of becoming deities, destruction will take place.

131Vināśh sāmnē khaṛā hai .

131Destruction is just ahead.

132Jō achchhē serviceable bachchē haĩ unhō̃ key|kī buddhi mē̃ ṭhahartā hai .

132This will remain in the intellects of those who are good, serviceable children.

133Dān nahī̃ kartē tō buddhi mē̃ ṭhahartā hī nahī̃ hai .

133If you don't donate anything, it doesn't remain in your intellect.

134Kaī brahmākumār-kumāriyā̃ achchhī first class mēhnat kartē haĩ , kōī second , kōī third class kartē haĩ , tō milēgā bhī aisā hī .

134Some Brahma Kumars and Kumaris make very good first-class efforts. 135Some make second and third-class efforts and so they receive their rewards accordingly.

135Sabhī kahtē haĩ hamkō first class brahmākumārī bhējō .

136Everyone says: Send us a first-class Brahma Kumari.

136Ab itnī kahā̃ sē lāyēṅgē  ?

137Where would we get so many of them from?

137Yah bhī śhivbābā jāntē haĩ ki first class kaun haĩ  ?

138Shiv Baba knows who first class is. 139He knows each one's stage.

138Har ēk key|kī avasthā kō jāntē haĩ .

140Many daughters do very good service.

139Bahut bachchiyā̃ achchhī service kartī haĩ .

141Worldly brahmins are very interested in their food.

140Brāhmaṇō̃ ( laukik brāhmaṇ ) kō khānē kā bahut rahtā hai , jagah-jagah dhāmā khātē rahtē haĩ .

142They go to different places for their meals. 143Among you children too, there are some who aren’t able to rest if they don't have good food.

141Bachchō̃ mē̃ bhī kōī-kōī haĩ , achchhā bhōjan na milē tō ārām na āyē .

144They defame the names of Mama and Baba. 145Then, when you explain to them, they become angry.

142Bābā-mammā kā nām badnām kar dētē haĩ . 143Phir samjhāō tō gussā ā jātā haĩ .

146There are some who even have a “don't care” attitude towards Dharamraj.

144Kaī dharmarāj kō bhī don't care karnē vālē haĩ .

147They become those who are amazed by knowledge and then run away.

145Vah phir āśhcharyavat bhāgantī hō jātē haĩ .

148Maya makes their condition so bad that they don't follow shrimat.

146Māyā aisī burī gati karā dētī hai , jō śhrīmat par nahī̃ chaltē . 147Phir vikār kē liē ablāō̃ par kitnē atyāchār kartē haĩ .

149They then assault innocent ones so much for vice. 150It is great fortune for those who are assaulted because they can at least claim their inheritance from the Father.

148Atyāchār bhī ahō saubhāgya hai . 149Bāp sē varsā tō lē lē̃gē nā .

151Many are assaulted because those people cannot stay without vice.

150Bahutō̃ par atyāchār hōtē haĩ kyōṅki viṣh bigar rah nahī̃ saktē .

152This is a world of degradation and no one can receive salvation here.

151Yah hai durgati key|kī duniyā . 152Ismē̃ kiskī sadgati hō nahī̃ saktī .

153No one knows the land of death or the land of immortality.

153Mr̥ityulōk aur amarlōk kō kōī nahī̃ jāntē . 154Amarlōk satyug mē̃ hai ādi , madhya , ant sukh .

154The land of immortality is in the golden age where there is happiness from the beginning through the middle to the end.

155Dikhātē haĩ amarnāth nē pārvatī kō kathā sunāī .

155They show the Lord of Immortality telling Parvati the story of immortality.

156Ab sūkṣhmavatan mē̃ tō kathā sunnē key|kī darkār nahī̃ .

156There is no need to listen to religious stories in the subtle region.

157Tō yah kathāyē̃ ādi kahā̃ sē I|āī|eye  ?

157So, where did those religious stories come from?

158Amarkathā sunāī phir sūkṣhmavatan sē kahā̃ gayē  ?

158He told the story of immortality, but to where did He then go from the subtle region?

159Kuchh bhī patā nahī̃ .

159They don’t know anything at all.

160Tō in bātō̃ kō achchhī rīti samjhānā chāhiē .

160Therefore, you should explain these things very clearly.

161Kathā sunānē vālē tō bahut haĩ , pahlē unhō̃ key|kī bāt sunkar phir samjhānā chāhiē .

161There are many who tell these stories, so you should first listen to them and then explain to them.

162Daśhaharē par baṛē-baṛē ādmī rāvaṇ kō dēkhnē jātē haĩ .

162Eminent people go to see an effigy of Ravan at Dashera.

163Sensible manuṣhya samajhē̃gē ki bandar kaisē rām kō sahāyatā karē̃gē  ?

163Sensible people would wonder how monkeys could help Rama.

164Kuchh bhī nahī̃ samajhtē .

164They don't understand anything at all.

165Is samay tō nation ( dēśh ) , nation sē laṛtē rahtē haĩ .

165At this time, nations are fighting nations.

166Ēk Christ K|kē bachchē āpas mē̃ laṛtē haĩ .

166Children of the one Christ are fighting among themselves.

167Bāp kahtē haĩ yah bhī drama key|kī bhāvī hai .

167The Father says: This too is destined in the drama.

168Drama kā mālūm paṛā hai tab tō tum ab puruṣhārth kartē hō .

168It is because you now know about the drama that you are making effort.

169Jāntē hō ab khēl pūrā hōtā hai , bābā sē varsā lēnā hai .

169You know that the play is now finishing and that you are to claim your inheritance from Baba.

170Yah drama kā rāz aur kōī key|kī buddhi mē̃ nahī̃ haĩ .

170No one else has this secret of the drama in his intellect.

171Bābā nē ākar sab rāz samjhāyē haĩ .

171Baba has come and explained all the secrets to you.

172Paṛhānē vālā , patit-pāvan vah bāp hai .

172The One who is teaching you is the Purifier Father.

173Balihārī unkī hai .

173It is His greatness.

174Māyā nīñch banātī hai .

174Maya makes you degraded.

175Ūñch tē ūñch bāp hī ākar ūñch banātē haĩ .

175The highest-on-high Father comes and makes you elevated.

176Kahtē haĩ - bachchē , ab mērē sē sunō , purānī dēh kā bhān chhōṛnē kā puruṣhārth kartē rahō .

176He says: Children, now listen to Me. 177Continue to make effort to renounce the awareness of your old bodies.

177Abhī tō tumkō patiyō̃ kā pati mil gayā hai , jō svarg kī bādśhāhī dētē haĩ .

178You have now found the Husband of all husbands who gives you the sovereignty of heaven.

178Vahā̃ hai hī sampūrṇ nirvikārī .

179There, you are completely viceless.

179Yah hai sampūrṇ vikārī duniyā .

180This is a completely vicious world.

180Duniyā ēk hī hai .

181The world is the same one.

181Vahī sampūrṇ nirvikārī phir sampūrṇ vikārī bantē haĩ .

182Those same completely viceless ones become completely vicious.

182Pahlē bhārat svarg thā , ab nark hai .

183At first, Bharat was heaven and it is now hell.

183Yah chitra baṛē valuable haĩ .

184These pictures are very valuable.

184Vilāyat mē̃ kōī kō samjhākar dō tō kahē̃gē ki yah chīz tō baṛī achchhī hai .

185When you explain to those abroad and give them these pictures, they will say that these pictures are very good.

185Kaisē sr̥iṣhṭi kā chakra phirtā hai , kis-kis key|kī dynasty chaltī hai , sabkē chitra inmē̃ haĩ .

186Everything about how the world cycle turns and whose dynasty continues is shown in these pictures.

186Kōī bhī dharm vālē kō samjhānē sē khuśh hōṅgē .

187When you explain to anyone of any religion they will be happy.

187Hā̃ , āgē chal ēk-dō sē sab sunē̃gē - yah tō bahut achchhī knowledge hai .

188Yes, as you progress further, people will hear from each other that this knowledge is very good.

188Vilāyat mē̃ kōī sensible jāyē tō bahut service hō saktī hai .

189When anyone sensible goes abroad, he can do very good service.

189Achchhā  !

190Achcha.

190Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .

191To the sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

191Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

192The spiritual Father says namaste to the spiritual children.

Essence for dharna

192Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

193Essence for dharna:

1931 ) karma-akarma-vikarma kī gati kō buddhi mē̃ rakh śhrēṣhṭh karma karnē haĩ .

194 1. While keeping the philosophy of action, neutral action and sinful action in your intellect, perform elevated actions.

194Paṛhāī kabhī nahī̃ chhōṛnī hai .

195Never stop studying.

1952 ) gyān dān karnē sē hī dhārṇā hōgī isliē dān jarūr karnā hai .

196 2. You will only be able to imbibe knowledge by donating it. 197Therefore, you should definitely donate it.

196Kabhī bhī bāp key|kī āgyāō̃ kō don't care nahī̃ karnā hai .

198Never have a “don't care” attitude towards the Father's directions.

Blessing

197Vardān  : sab vyarth chakrō̃ sē mukt rah nirvighna sēvā karnē vālē akhaṇḍ sēvādhārī bhav

199Blessing: May you be a non-stop server who does service that is free from obstacles by remaining free from spinning anything wasteful.

198Sēvā tō sab kartē haĩ lēkin jō sēvā kartē bhī sadā nirvighna rahtē haĩ , uskā bahut mahatva hai .

200 You all do service, but the importance is of those who remain free from obstacles while doing service.

199Sēvā K|kē bīch mē̃ kōī bhī prakār kā vighna na āyē .

201Let there not be any type of obstacle while doing service.

200Vāyumaṇḍal kā , saṅg kā , ālasya kā … yadi kōī bhī vighna āyā tō sēvā khaṇḍit hō gaī .

202If there is any obstacle in the atmosphere, in the company or of laziness, then that service isn’t right.

201Akhaṇḍ sēvādhārī kabhī kisī vighna mē̃ nahī̃ ā saktē .

203A non-stop server never gets caught by any type of obstacle.

202Jarā saṅkalp mātra bhī vighna na hō .

204Let there not be any obstacle, even in your thoughts.

203Sab vyarth chakrō̃ sē mukt rahō tab saphal aur akhaṇḍ sēvādhārī kahē̃gē .

205Stay free from spinning anything wasteful and you will be said to be a successful and a constant server.

Slogan

204Slōgan  : jō dil aur dimāg sē honest haĩ , vahī bāp vā parivār K|kē pyār K|kē pātr haĩ .

206Slogan: Those who are honest in their heads and hearts are worthy of the Father’s and the family’s love.

207*** Om Shanti ***