गुरुवार 28 सितंबर 2023 की दैनिक मुरली

ध्यान दें: वाक्यों का संरेखण अक्षरों की संख्या पर आधारित है और पूरी तरह विश्वसनीय नहीं है।

आप पूरी मुरली या उसके किसी भाग का वाक्य संरेखण स्वयं सुधार सकते हैं।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

028-09-2023 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

0 28/09/23 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē bachchē - bāp sē love aur regard rakhō tō bāp key|kī āśhīrvād miltī rahēgī , māyā key|kī junk utartī jāyēgī ' '

1Essence: Sweet children, by having love and regard for the Father, you will continue to receive the Father's blessings and the rust of Maya will continue to be removed.

Question

2Praśhna  : is chaitanya bagīchē mē̃ kaī fool|phūl khiltē hī nahī̃ , kalī K|kē kalī rah jātē haĩ - kyō̃  ?

2Question: Why is it that some buds in this living garden do not come into bloom at all, but remain buds all the time?

Answer

3Uttar  : kyōṅki puruṣhārth mē̃ sustī hai , yād karnē kā jō samay hai usmē̃ sōyē rahtē haĩ .

3Answer: Because there is laziness in their efforts. 4They remain sleeping at the time of remembrance. 5Those who remain sleeping waste their time like that.

4Sōnē vālē apnā samay aisē hī ganvā dētē haĩ .

6Those who remain sleeping lose everything.

5Jin sōyā tin khōyā .

7They remain closed buds.

6Band kalī hī rah jātī . 7Sadā gulāb K|kē fool|phūl vah haĩ jō dēvī-dēvtā dharm K|kē all-round pārṭdhārī haĩ .

8Constantly blooming roses are those who have all-round parts in the deity religion.

Song

8Gīt  : yah vakt jā rahā hai …

9Song: This time is passing by.

Murli

9Ōm śhānti .

10Om shanti.

10Yah kisnē samjhāyā  ?

11Who explained this?

11Bēhad K|kē bāp nē samjhāyā bachchō̃ kō .

12The unlimited Father explained to you children.

12Bēhad key|kī jō ghaṛī hai usmē̃ abhī bākī thōṛā time athavā kuchh minute rahē haĩ .

13Only a short time, that is, only a few more minutes of the unlimited time remains.

13Ghaṇṭē gayē , bākī kuchh minute rahē haĩ .

14The hours have gone by; now only a few minutes remain.

14Jō achchhē sensible bachchē haĩ vah jāntē haĩ , number-vār tō haĩ nā .

15The good sensible children know this; it is numberwise. 16Roses are also numberwise.

15Gulāb K|kē fool|phūl hōtē haĩ unmē̃ bhī number-vār hōtē haĩ .

17There are roses here, too, but some are closed buds and some have opened a little.

16Yahā̃ bhī gulāb K|kē fool|phūl haĩ lēkin usmē̃ kōī band kalī haĩ , kōī thōṛā khilē huē haĩ .

18Your deity religion is like roses in bloom; they are the ones who always play all-round parts.

17Tumhārā dēvī-dēvtā dharm bhī jaisē sadā gulāb hai , sadā all-round part bajānē vālē .

19You are constantly the roses in bloom of the highest of all religions. 20Those of other religions are numberwise.

18Tum sabhī dharmō̃ mē̃ ūñch tē ūñch dharm vālē sadā gulāb hō . 19Dūsrē dharm vālē phir number-vār haĩ , kōī champā haĩ , kōī chamēlī haĩ , kōī ṭāṅgar haĩ , kōī ak hai .

21Some are like magnolias, some like jasmine, some like tangars (other fragrant flowers) and others are like ucks (those with a bitter smell).

20Bagīchā tō hai nā .

22There is this garden.

21Sabhī dharmō̃ kā bagīchā hai .

23This is a garden of all religions.

22Bachchiyā̃ jāntī haĩ ūñch tē ūñch dharm hai hī dēvī-dēvatāō̃ kā .

24You daughters know that the highest-on-high religion is that of the deities.

23Jab season nahī̃ hōtī hai tab mukhṛī bhī nahī̃ rahtī , kalī fool|phūl bhī nahī̃ rahtē haĩ .

25When it is not the season, there aren't even tightly closed buds nor any buds nor flowers.

24 ( bābā nē āj bagīchē sē ēk baṛā gulāb kā fool|phūl , ēk chhōṭā fool|phūl , ēk ādhā khilā huā fool|phūl , ēk kalī , ēk band kalī , ēk mukhṛī . . . aisē variety lākar sandlī par rakhā hai ) ab dēkhō , mukhṛī bhī kōī kachchī hai , kōī ādhā khilī huī hai .

26(Baba had brought various flowers from the garden – a big rose, a small rose, another small flower, one half opened bud, one bud, a closed bud and a newly-born bud – and placed them on the gaddi.) 27Look, among the closed buds, some are still weak, some have only half opened.

25Kōī fool|phūl hai , kōī band kaliyā̃ haĩ .

28Some are flowers and others are closed buds.

26Kōī murjhā jātē haĩ , bilkul khiltē hī nahī̃ .

29Some wilt and they don't bloom at all.

27Barōbar aisā hai nā .

30It is truly like that, is it not?

28Tō bāp kahtē haĩ puruṣhārth mē̃ sustī na karō .

31So, the Father says: Don't be lazy in your efforts.

29Aisē kalī K|kē kalī na rah jāō .

32Make sure you don't just remain a bud.

30Kōī ādhā mē̃ rah jātē , number-vār haĩ .

33Some only reach half-way; it is numberwise.

31Samjhā jātā hai is hālat mē̃ yah kyā pad pāyēṅgē  ?

34It is understood what status someone would claim in that situation.

32Samay bahut thōṛā hai .

35There is very little time.

33Ghaṛī banāī hai , kāṇṭē kō ab badal tō nahī̃ saktē haĩ .

36A clock has been made, but the hands of the clock cannot be changed.

34Yukti sē aisē banānā chāhiē , jō niśhānī rahē .

37You should create it cleverly so that that sign remains.

35Yahā̃ sē śhurū hō kāṇṭā ab yahā̃ tak ākar pahuñchā hai .

38The hands began here and have now reached here.

36Zero sē śhurū hō phir kāṇṭā 12 tak ākar pūrā hōtā hai . 37Tō is chakra mē̃ bhī pahlē dēvī-dēvtā dharm nikalā , abhī hai ant .

39The hands start at zero and will finish at 12. So, in this cycle too, the deity religion emerged first and it is now the end.

38Jab sē bāp āyā hai tab sē ginā jātā hai .

40You would begin to count from the time the Father came.

39Tō bāp kahtē haĩ - bachchē , time west|waste mat karō .

41Therefore, the Father says: Children, don’t waste your time.

40Bāp kō yād kartē rahō .

42Continue to remember the Father.

41Jitnā yād karē̃gē utnā vikarma vināśh hōṅgē .

43To the extent that you remember Him, so your sins will be absolved.

42Vikarma tō sabsē hōtē rahtē haĩ .

44Everyone continues to commit sin.

43Aisē kōī mat samajhē ki hamsē nahī̃ hōtā hai . 44Itnā ahaṅkār kōī mat rakhē .

45None of you should think that you don’t commit sin; no one should have that much arrogance.

45Vikarma tō bahut hī gupta bhī bantē haĩ .

46There are many incognito sins committed.

46Unsē baṛī sambhāl rakhnī hai .

47You have to be very cautious about these.

47Is ghaṛī sē tumkō time kā tō patā lag hī jātā hai .

48From this clock, you become aware of the time.

48Manuṣhya tō samajhtē kaliyug abhī bachchā hai .

49People think that the iron age is still a child.

49Bilkul ghōr andhiyārē mē̃ paṛē huē haĩ .

50They are totally in extreme darkness.

50Abhī tumkō murdō̃ kō jagānā hai .

51You now have to revive the corpses.

51Savērē uṭhkar bāp kō yād karnā chāhiē . 52Jin sōyā tin khōyā .

52You should wake up early in the morning and remember the Father.

53Yānī yād karnē kā jō samay hai vah khōnā nahī̃ hai , nahī̃ tō murdē K|kē murdē rah jāyēṅgē .

53Those who remain sleeping lose out, that is, you mustn’t waste time that is for remembrance.

54Kōī tō kalī hī rah jātē haĩ .

54Otherwise, you will remain like corpses.

55Bas , tūphān mē̃ achchhī-achchhī kaliyā̃ bhī gir jātī haĩ .

55Some remain buds. 56In storms, even good buds fall.

56Fool|phūl bhī girtē haĩ tō kaliyā̃ bhī girtī haĩ .

57Flowers as well as buds fall.

57Phir jaisē ki kāṇṭē K|kē kāṇṭē rah jātē haĩ .

58They remain as they were, like thorns.

58Daivī gharānē mē̃ tō āyēṅgē parantu prajā mē̃ āyēṅgē .

59They will become part of the deity dynasty, but as subjects.

59Tum hō hī gulāb K|kē jhāṛ K|kē , parantu ismē̃ khuśh nahī̃ hōnā chāhiē .

60You belong to the rose tree, but you mustn’t become happy with just that.

60Bhal manuṣhya gātē haĩ phalānā svarg padhārā , parantu kyā banā  ?

61Although people say that so-and-so went to heaven, what did he become?

61Yah bhī kāraṇ hōgā nā .

62There must be a reason for that.

62Yah tō bachchē samajh saktē haĩ jitnā bābā kā most serviceable bachchā hōgā utnā vah beloved bhī most hōgā .

63You children understand that you will become most beloved to the extent you are a most serviceable child of Baba’s.

63Yah tō common bāt hai .

64This is something common.

64Sapūt , āgyākārī , imāndār bachchē mā̃-bāp kō pyārē lagtē haĩ .

65Worthy, obedient and honest children are loved by their parents. 66Maya makes you completely dishonest.

65Māyā bilkul hī bē-imāndār banā dētī hai .

67You are not able to realise when you make a big mistake.

66Patā bhī nahī̃ paṛtā hai ki hamsē baṛī bhārī ġaphlat hōtī hai .

68The Father says: Those who do something definitely have to receive the reward of that.

67Bāp kahtē haĩ jō karē̃gē unkō pānā hī hai .

69You mustn’t commit any sin for which you would have to experience punishment.

68Aisā vikarma nahī̃ karnā jō sajā khānī paṛē .

70Some experience the punishment of their sins here.

69Kōī vikarmō̃ key|kī yahā̃ bhī sajā pā lētē haĩ .

71There is the suffering of karma.

70Karmabhōg hai . 71Garbhajail mē̃ bhī karmabhōg hai .

72There is the suffering of karma in the jail of a womb.

72Unsē baṛā ḵẖabardārī sē chhūṭnā hai , māyā baṛī śhaitān hai isliē beloved most bāp kō tō her|har vakt yād kartē rahnā chāhiē .

73You have to be liberated from that by taking great caution. 74Maya is very devilish and this is why you should continue to remember the most beloved Father at every moment.

73Jaisē laukik bāp apnē bachchō̃ kō jāntē haĩ vaisē pārlaukik bāp bhī har ēk bachchē kō jāntē haĩ .

75Just as a physical father knows his children, in the same way, the spiritual Father also knows each and every child.

74Bāp khud baiṭh batlātē haĩ - maĩ ēk hī is tan mē̃ ātā hū̃ .

76The Father Himself sits here and tells you: I only come into this one body.

75Kitnē ḍhēr bachchē haĩ . 76Ajun tō ḍhēr āyēṅgē .

77There are so many children, and many more will come.

77Jhāṛ baṛhtā hai .

78The tree continues to grow.

78Bhagvān kē āgē bhaktō̃ key|kī bhīṛ hōgī .

79There will be a crowd of devotees in front of God.

79Śhiv K|kē mandir mē̃ itnī bhīṛ nahī̃ hōtī .

80There wouldn’t be as great a crowd in the Shiva Temple.

80Yahā̃ tō tum samajhtē hō kitnī bhīṛ hōgī .

81Here, you understand how many crowds there will be.

81Sūryavanśhī , chandra-vanśhī rājdhānī sthāpan hōnī hai .

82The sun and moon dynasty kingdoms are to be established.

82In bātō̃ mē̃ buddhi baṛī viśhāl chāhiē .

83You need a very broad and unlimited intellect for these things.

83Barōbar bhakta jō itnī bhakti kartē haĩ , unkē sammukh bhagvān āyēṅgē tō kitnī bhīṛ hōgī .

84When God truly comes in front of the devotees who perform so much devotion, there will be such great crowds.

84Tum jāntē hō bābā hamkō rājyōg sikhlā rahē haĩ parantu ghar mē̃ rahtē huē phir bhī bhūl jātē haĩ .

85You know that Baba is teaching us Raj Yoga, though you still forget Him while living at home.

85Yah aisī vichitr bāt hai jō sāth rahtē bhī phir bhūl jātē haĩ . 86Itnā love regard nahī̃ rahtā .

86This is so unique, even though you live together, you forget, there isn’t that much love and regard.

87Suī kō kaṭ lagī huī hōgī tō vah chumbak kō khīñch nahī̃ saktī .

87If a needle is rusty, a magnet couldn’t pull it.

88Yōg aur gyān bhī hō tab kaṭ nikal sakē aur paramātmā key|kī āśhīrvād bhī chāhiē nā .

88Only when there is knowledge and yoga can the rust be removed. 89You also need God’s blessings.

89Māyā key|kī junk lagī huī hai , kōī chīz kō junk lagī huī hai tō ghāslēṭ mē̃ ḍāltē haĩ .

90Souls are covered with the rust of Maya. 91Anything that is rusty is immersed in kerosene.

90Tumhārī bhī yōg sē junk nikaltī hai . 91Ātmā pure hō jātī hai .

92Your rust is removed by yoga and you souls also become pure.

92Tō bāp samjhātē haĩ - bachchē , fool|phūl bankar dikhāō .

93Therefore, the Father explains: Children, make yourselves into flowers.

93Vah samay bhī jaldī āyēgā jō tum kiskē sāmnē baiṭhē̃gē aur jhaṭ uskō sākṣhātkār hōnē lagē̃gē .

94The time will come soon when whoever you sit in front of will begin to have visions.

94Brahmā aur viṣhṇu kā sākṣhātkār tō bahutō̃ kō hōtā hai .

95So many have visions of Brahma or Vishnu.

95Direction dētē haĩ - jāō be|B . K|kē . kē pās .

96They give them a direction to go to the BKs.

96Brahmā bhī baiṭhē haĩ , brahmākumār-kumāriyā̃ bhī baiṭhē haĩ .

97Brahma is sitting there along with the Brahma Kumars and Brahma Kumaris.

97Āgē chalkar bahutō̃ kō sākṣhātkār hōgā .

98As you progress further, many will have visions.

98Bābā sākṣhātkār karātē haĩ tum vahā̃ jāō , maĩ vahā̃ rājyōg sikhlā rahā hū̃ , issē tum yah pad pā saktē hō .

99Baba gives a vision: Go there. 100I am teaching Raja Yoga there and, through that, you can claim such-and-such a status.

99Hai bhī second key|kī bāt .

101This is a matter of a second.

100Manmanābhav . 101Mujhē yād karō tō tum sūryavanśhī ban jāyēṅgē .

102Manmanbhav, remember Me and you will become part of the sun dynasty.

102Vahā̃ haĩ daivī vãnśhī aur yahā̃ haĩ asur vãnśhī .

103There, it is the deity clan whereas here, it is the devilish clan.

103Kitnā achchhī rīti samjhāyā jātā hai .

104This is explained to you so clearly.

104Kōī chīz kō mahīn karnē kē liē kūṭā jātā hai nā .

105In order to make something fine, it is ground.

105Makān kā foundation pakkā karnē kē liē kitnī mēhnat kartē haĩ .

106They make so much effort to make the foundation of a building strong.

106Bāp bhī kahtē haĩ jitnā hō sakē mujhē yād karō .

107The Father also says: Remember Me as much as possible.

107Śhivpurī aur viṣhṇupurī kō yād karō .

108Remember the land of Shiva and the land of Vishnu.

108Yah andar apnē sāth bātē̃ karnī chāhiē .

109Continue to talk to yourself internally in this way.

109Pahlē apnē sē chintan kar phir bāt karnī hōtī hai - samjhānē kē liē . 110Tumkō bhī samjhānā hai .

110First think about these things, then talk to yourself about them in order to understand and explain to others.

111Ab bachchē exhibition mē̃ kitnī mēhnat kartē haĩ .

111Some children make so much effort for exhibitions.

112Hai sārī samjhānē key|kī bāt .

112It’s a matter of explaining.

113Sirph slōgan sē tō kōī samajh na sakē .

113No one would be able to understand with just slogans.

114Bāp baiṭh samjhātē haĩ dēvī-dēvatāō̃ kō rājya kaisē milā  ?

114The Father sits here and explains how the deities received their kingdom.

115Kisnē rājyōg sikhāyā  ?

115Who taught them Raj Yoga?

116Bhagvānuvāch - maĩ rājyōg sikhlātā hū̃ , kahtā hū̃ mujhē yād karō .

116God speaks: I teach Raj Yoga. 117I tell you to remember Me.

117Śhivpurī aur viṣhṇupurī kō yād karō .

118Remember the land of Shiva and the land of Vishnu.

118Ab pradarśhanī mē̃ bhī bachchō̃ kō achchhī rīti samjhānā hai .

119You children now have to explain very clearly at the exhibitions.

119Meditation par bhī samjhānā hai .

120You also have to explain about meditation.

120Ham bhī meditation kartē haĩ .

121We also practise meditation.

121Chaltē-phirtē bāp kō yād kartē bāp sē bātē̃ kartē rahtē haĩ .

122While walking and moving around, we remember the Father and continue to talk to Him.

122Jaisē kōī programme sē kahā̃ jānā hōtā hai tō buddhi mē̃ rahtā hai āj phalānē kē pās hamkō jānā hai .

123When you go to a programme, your intellect is aware: Today, I have to go to so-and-so.

123Programme milā aur buddhi dauṛtī rahēgī .

124As soon as you receive a programme, your intellect runs there.

124Samay nazdīk āyēgā , samajhē̃gē abhī hamkō jānā hai .

125When the time comes close, you will understand that you now have to go there.

125Tumkō bhī andar mē̃ yah rahnā chāhiē - bas , abhī hamkō jānā hai bābā kē pās .

126You should also feel internally: That’s it! 127We now have to go to Baba.

126Yah purānī khāl chhōṛnī hai .

128We have to shed these old skins.

127Śhivpurī mē̃ jānā hai . 128Is rāvaṇpurī kō chhōṛnā hai .

129We have to leave this land of Ravan and go to the land of Shiva.

129Yah baṛī chhī-chhī gandī duniyā hai .

130This world is very dirty.

130Abhī ham saṅgam par baiṭhē haĩ .

131We are now sitting at the confluence age.

131Yah iron aged śharīr hai .

132These are iron-aged bodies.

132Bābā kahtē haĩ mujhē yād kartē rahō tō tum ātmāō̃ kō śhivpurī lē jāūṅgā .

133Baba says: Remember Me and I will take you souls to the land of Shiva.

133Śhrīkr̥iṣhṇa tō nahī̃ lē jāyēgā .

134Shri Krishna will not take you there.

134Tō yah samjhānē key|kī bāt hai .

135These matters have to be explained.

135Ab bāp kahtē haĩ mujh śhivbābā kō yād karō .

136Now the Father says: Remember Me, Shiv Baba.

136Abhī tum rājyōg sīkh rahē hō .

137You are now studying Raj Yoga.

137Tumkō śhivpurī mē̃ ānā hai , phir viṣhṇupurī mē̃ chalē āyēṅgē .

138You have to go to the land of Shiva and you will then automatically go to the land of Vishnu.

138Yah samjhānā tō sahaj hai nā .

139It is easy to explain this.

139Śhiv purī mukti sē hōkar viṣhṇupurī ( jīvanmukti ) mē̃ jānā hai .

140You will go from the land of Shiva, the land of liberation, to the land of Vishnu, the land of liberation-in-life.

140Sabhī kā bāp ēk hai .

141The Father of all is the One.

141Mukhya yah samjhānā hai .

142You have to explain this main thing.

142Bākī kitnā bhī slōgan ādi banāyēṅgē , mupht kharchā hōtā hai .

143No matter how many slogans etc. you make, that is unnecessary expense.

143Chitra tō sab tumhārē pās|pass haĩ .

144You have all the pictures etc.

144Karāchī mē̃ tumhārē pās|pass kitnē ātē thē .

145In Karachi, so many used to come to you.

145Baṛē maidān mē̃ table-kursī rakhī rahtī thī .

146You used to keep a table and chair outside on the big area of ground.

146Jō ātē thē unkō baiṭh samjhātē thē .

147You would sit and explain to whoever came there.

147Āgē tō itnā gyān nahī̃ thā .

148Previously, there wasn’t that much knowledge.

148Abhī tō bilkul sahaj gyān milā hai .

149You have now received easy knowledge.

149Bāp kō bhī jāntē hō .

150You also know the Father.

150Bāp hai svarg kā rachayitā .

151The Father is the Creator of heaven.

151Unkā farmān hai - mujhē aur varsē kō yād karō .

152His order is: Remember Me and the inheritance. 153Show them the picture and explain.

152Chitra dikhākar is par samjhāō . 153Āgē tō samjhānē sē suntē-suntē dhyān mē̃ chalē jātē thē .

154Previously, when you used to explain the pictures, while they were listening to you they would go into trance.

154Usī samay tō tum chhōṭī-chhōṭī kaliyā̃ thī .

155At that time, you were small buds.

155Bābā kā sārā chamatkār thā .

156All of that was Baba’s magic.

156Rassī khīñch lētē thē .

157He used to pull the strings.

157Abhī tō samjhānē key|kī bahut jarūrat hai .

158There is now a great need to explain everything.

158Ājkal tō ādmī bhī baṛē ḵẖarāb haĩ .

159Nowadays, people are very bad.

159Form bharānē bigar occupation kā patā paṛ na sakē .

160You cannot tell what someone’s occupation is unless you ask him to fill in a form.

160Jaisē vah bairisṭarī ādi paṛhānē vālē teachers hōtē haĩ nā . 161Yah bēhad kā bāp kitnā baṛā teacher hai .

161Just as there are those teachers etc. who teach you how to become a barrister, so too, this unlimited Father is such a great Teacher.

162Vah teacher tō karkē barrister banāyēgā .

162Those teachers would perhaps make you into a barrister.

163Bīch mē̃ śharīr chhūṭ gayā tō bairisṭarī bhī ḵẖatm . 164Aisē thōṛēhī dūsrē janm mē̃ vah chalēgī .

163However, if you shed your body while studying, everything you had studied to become a barrister would finish.

165Yahā̃ tum jō kuchh kartē hō , vah sāth lē jātē hō .

164It isn’t that that study will continue in the next birth.

166Ātmā mē̃ saṅskār rahtē haĩ .

165Whatever you do here, you take that with you.

167Hā̃ , chhōṭē bachchē kō organs chhōṭē haĩ isliē bōl nahī̃ saktē haĩ .

166A soul has sanskars within him. 167Yes, little children have small organs and are therefore unable to speak.

168Karmēndriyō̃ sē kuchh kar nahī̃ saktē parantu saṅskār tō lē jātē haĩ nā .

168They are unable to do anything with their physical organs, though they do carry those sanskars with them.

169Yah hai avināśhī gyān , baṛā hōkar phir āē gyān lē̃gē .

169This knowledge is imperishable, therefore they will come and take knowledge when they grow older.

170Vah ātmā phir sē āyēgī jarūr .

170Those souls will definitely come here again.

171Kahā̃ na kahā̃ kiskā kalyāṇ karēgī .

171They will bring benefit to someone, somewhere.

172Apnē māt-pitā kō bhī is taraph khīchēṅgī .

172They will pull their parents in this direction.

173Bhal chhōṭā bachchā hōgā tō bhī mammā-bābā kō dēkhnē sē hī unkā pyār kaśhiśh karēgā .

173Although they will be small children, as soon as they see Mama and Baba, there will be a pull of that love.

174Organs chhōṭē hōnē kāraṇ bāt tō nahī̃ kar sakē̃gē , parantu love jāyēgā hamjins taraph .

174Because their physical organs are small, they wouldn’t be able to speak, but there would be that love for their equals.

175Tō yah knowledge baṛī vichitr , ramaṇīk aur simple hai .

175So, this knowledge is very unique, entertaining and simple.

176Kōī tō bilkul hī aisē haĩ jō kāṇṭē kā kāṇṭā rah jātē haĩ .

176Some are such that they remain as they are, like thorns.

177Satyug hai gulāb kā jhāṛ .

177The golden age is a rose tree.

178Abhī tō kāṇṭē haĩ .

178You are now thorns.

179Phir unsē kōī mukhṛiyā̃ nikal rahī haĩ .

179Some closed buds will emerge.

180Sadā gulāb tō haĩ phir unmē̃ number-vār haĩ .

180There are those who are constant roses, they are still numberwise.

181Prajā mē̃ bhī āyēṅgē nā .

181They will become part of the subjects.

182Kalī ban phir murjhākar ḵẖatm hō jāyē̃ , yah kōī paṛhāī thōṛēhī huī .

182To become a bud and then wilt and die is as though you have not studied.

183Mukhṛī band key|kī band rahēgī tō prajā mē̃ chalē jāyēṅgē .

183If a bud remains closed, that one will end up among the subjects.

184Jō fool|phūl bantē haĩ vah rājāī mē̃ āyēṅgē .

184Those who become flowers will become part of the kingdom.

185Bābā bagīchē mē̃ jātē haĩ tō bachchō̃ kō samjhānē kē liē fool|phūl bhī lē ātē haĩ .

185When Baba goes into the garden, He brings back flowers in order to explain to you children.

186Agar abhī puruṣhārth kar fool|phūl na banē̃ tō bād mē̃ bahut pachhtānā paṛēgā .

186If you don’t make effort and become a flower now, you will have a lot of repentance later on.

187Ēk tō vikarmō̃ kā bōjhā sir par hai hī phir aur hī sajā khākar prajā mē̃ pad pānā , vah kis kām kā huā .

187Firstly, there is already the burden of the sins you have committed on your heads. 188Of what use is it to experience punishment and claim a status among the subjects?

188Yah tō samajhtē hō hamārī daivī rājdhānī sthāpan hō rahī hai .

189You understand that your deity kingdom is being established.

189Har ēk kō samajh saktē haĩ kaun-kaun kyā banē̃gē  ?

190Baba can understand what each one of you will become.

190Dil mē̃ rahēgā yah kahā̃ tak paṛh rahē haĩ , kyā banē̃gē  ?

191It will remain in His heart to what extent you study and what you will become.

191Achchhā paṛhnē vālā hōgā tō andar pyār kartē rahē̃gē .

192If someone studies well, He will continue to have that love internally.

192Samajhē̃gē , yah rājāī mē̃ āyēṅgē .

193He would understand that you will become part of the kingdom.

193Āgē chalkar tumkō bahut sākṣhātkār hōṅgē .

194As you progress further, you will have many visions.

194Na paṛhnē vālē phir bahut pachhatāyēṅgē .

195Those who don’t study will repent a lot at that time.

195Samay bahut thōṛā hai .

196There is very little time left.

196Phir itnā gallop bhī kaisē karē̃gē .

197How will you be able to gallop sufficiently?

197Bāp kahtē haĩ bachchē bankar aur phir agar vikarma karē̃gē tō sauguṇā daṇḍ bhōgnā paṛēgā .

198The Father says: If you perform sinful actions after becoming a child, there will have to be one hundred-fold punishment.

198Jēl mē̃ jānē vālē kaī chōrō̃ kā dhandhā hī yah hō jātā hai - sazā khānā , jēl jānā .

199It becomes the business of many thieves who go to jail: to experience punishment and go to jail.

199Abhī tum puruṣhārth kar rahē hō ūñch tē ūñch mahārājā-mahārānī sūryavanśhī bannē kā .

200You are now making effort to become the highest-on-high sun-dynasty emperors and empresses.

200Number-vār tō haĩ nā .

201It is numberwise.

201Jō bhāgantī hō jāyēṅgē unkā kyā hall|hāl hō jāyēgā  !

202What will the condition be of those who run away?

202Bāp kitnā achchhī rīti samjhātē haĩ parantu takdīr mē̃ nahī̃ hai tō samajhtē nahī̃ phir tō tadbīr karānē vālā kyā kar saktā hai  ?

203The Father explains to you so well, but if it is not in your fortune and you don’t understand, what can the One who inspires you to make effort do?

203Bāp tō kahtē haĩ fool|phūl banō , bāp kō bhūlō mat .

204The Father says: Become a flower. 205Don’t forget the Father.

204Aisē bāp kā hāth kabhī nahī̃ chhōṛnā .

206Never let go of the hand of such a Father.

205Māyā ajgar kachchā khā jāyēgā .

207Maya, the snake, will swallow you raw.

206Aisī ġaphlat nahī̃ karnī hai jō apnā rājya-bhāgya ganvā baiṭhō .

208Don’t become careless so that you lose your fortune of the kingdom.

207Phir kalp-kalpāntar aisī chalan dēkhnē mē̃ āyēgī jaisē abhī dēkhtē haĩ .

209Your activity of every cycle would then be seen to be the same as your activity of this time.

208Kōī key|kī satōpradhān chalan hai , kōī key|kī rajō , kōī key|kī tamō . . . . . .

210Some have satopradhan, some have rajo and others have tamo behaviour.

209Grahachārī bhī achchhē-achchhē bachchō̃ par baṛī kaṛī baiṭhtī hai .

211Some very good children have very severe omens over them.

210Andar K|kē kālē , bāhar K|kē achchhē .

212Internally, they are ugly whereas externally they look good.

211Ġaphlat hōgī tō ātmā kālī hō paṛēgī .

213If you souls become careless, you will become ugly.

212Parchhāyā kālā paṛtā hai isliē bābā kahtē haĩ - ēk kān sē sun , dūsrē kān sē phir nikāl dō , evil bātō̃ kē liē kān band kar dō .

214There will then be dark shadows. 215This is why Baba says: Hear it through one ear and let it out through the other: close your ears to anything evil.

213Achchhā  !

216Achcha.

214Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .

217To the sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

215Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

218The spiritual Father says namaste to the spiritual children.

Essence for dharna

216Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

219Essence for dharna:

2171 ) sadā vikarma vināśh karnē key|kī lagan mē̃ rahnā hai .

220 1. Constantly have the deep desire to have your sins absolved.

218Kōī bhī vikarma abhī na hō , iskī sambhāl karnī hai .

221Take care that you don’t commit any sins now.

2192 ) māyā key|kī grahachārī sē bachnē kē liē evil bātō̃ sē kān band kar lēnē haĩ .

222 2. In order to remain safe from the eclipse of the omens of Maya, close your ears to evil things.

220Apnī chalan satōpradhān banānī hai .

223Make sure your behaviour is satopradhan.

221Andar bāhar sāph rahnā hai .

224Remain clean inside and out.

Blessing

222Vardān  : balance dvārā blissful jīvan kā sākṣhātkār karānē vālē sarv key|kī blessing K|kē pātr bhav

225Blessing: May you reveal your blissful life and become worthy of receiving everyone’s blessings by keeping a balance.

223Balance sabsē baṛī kalā hai .

226 To keep your balance is the greatest skill.

224Yād aur sēvā kā balance hō tō bāp key|kī blessing miltī rahēgī .

227When you have the balance of remembrance and service, you will continue to receive the Father’s blessings.

225Her|har bāt K|kē balance sē sahaj hī number one ban jāyēṅgē .

228By keeping your balance in everything, you will easily become number one.

226Balance hī anēk ātmāō̃ kē āgē blissful jīvan kā sākṣhātkār karāyēgā .

229Your balance will reveal to many souls a blissful life.

227Balance kō sadā smr̥iti mē̃ rakhtē huē sarv prāptiyō̃ kā anubhav kartē rahō tō svayã bhī āgē baṛhtē rahē̃gē aur anya ātmāō̃ kō bhī āgē baṛhāyēṅgē .

230Continue to experience all attainments while constantly having this balance in your awareness and you will continue to move forward and also enable other souls to move forward.

Slogan

228Slōgan  : mahāvīr vah hai jō her|har muśhkil kō sahaj kar , pahāṛ kō rāī va ruī banā dē .

231Slogan: A mahavir is one who makes anything difficult easy and a makes mountain into a mustard seed or cotton wool.

232*** Om Shanti ***