मंगलवार 24 अक्टूबर 2023 की दैनिक मुरली

ध्यान दें: वाक्यों का संरेखण अक्षरों की संख्या पर आधारित है और पूरी तरह विश्वसनीय नहीं है।

आप पूरी मुरली या उसके किसी भाग का वाक्य संरेखण स्वयं सुधार सकते हैं।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

024-10-2023 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

0 24/10/23 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē bachchē - tumhē̃ baṛā vichitr ustād milā hai , tum uskī śhrīmat par chalō tō double sirtāj dēvtā ban jāyēṅgē ' '

1Essence: Sweet children, you have found the unique Master. 2Follow His shrimat and you will become double-crowned deities.

Question

2Praśhna  : paṛhāī mē̃ kabhī bhī thakāvaṭ na āyē uskā sahaj puruṣhārth kyā hai  ?

3Question: What easy effort do you make so that you never get tired of studying?

Answer

3Uttar  : paṛhāī K|kē bīch mē̃ jō kabhī nindā-stuti , mān-apmān hōtā hai , usmē̃ sthiti samān rahē , usē ēk khēl samjhō tō kabhī thakāvaṭ nahī̃ āyēgī .

4Answer: Keep your stage equanimous in the praise and defamation, the regard and disregard that happens in this study. 5Consider all of that to be a game and you will never get tired.

4Sabsē jāstī nindā tō śhrīkr̥iṣhṇa key|kī huī hai , kitnē kalaṅk lagāyē haĩ , phir aisē śhrīkr̥iṣhṇa kō pūjtē bhī haĩ .

6Krishna has been defamed the most. 7People have accused him of so many things and yet they also worship such a Krishna.

5Tō yah gālī milnā kōī naī bāt nahī̃ hai isliē paṛhāī mē̃ thaknā nahī̃ hai , jab tak bāp paṛhā rahē haĩ , paṛhtē rahnā hai .

8Therefore, taking insults is not a new thing, so never get tired of studying. 9Continue to study for as long as the Father teaches you.

Song

6Gīt  : banvārī rē jīnē kā sahārā tērā nām …

10Song: O Dweller of the Forest, Your name is the support of my life!

Murli

7Ōm śhānti .

11Om shanti.

8Yah kisnē kahā  ?

12Who said this?

9Kisnē farmāyā aur kiskō  ?

13Who spoke and to whom?

10Yah tō tum bachchē hī jāntē hō , jinkō hī gōp-gōpiyā̃ kahā jātā hai .

14Only you children, who are called gopes and gopis, know this.

11Tō unhōnnē apnē bāp gōpīvallabh kō yād kiyā .

15So, they remembered their Father, Gopi Vallabh.

12Aisā bāp sivāē parampitā paramātmā K|kē kōī hō nahī̃ saktā .

16No one, apart from the Supreme Father, the Supreme Soul, can be such a Father.

13Tō yād unkō kartē haĩ , jō hōkar jātē haĩ .

17So, they remember those who have been here and gone.

14Unkā phir bād mē̃ gāyan hōtā hai .

18They are later praised.

15Misāl - jaisē Christ āyā , kriściyan dharm sthāpan karkē kahā̃ chalā nahī̃ gayā , unkō pālnā tō jarūr karnī hai , punarjanma mē̃ ānā hai .

19For example, Christ came but, after establishing the Christian religion, he didn't go away anywhere. 20He definitely had to sustain it; he had to take rebirth.

16Parantu jō dharm sthāpan karkē gayē haĩ unkā varṣh-varṣh birth day manātē haĩ .

21However, every year, people celebrate the birthdays of those who leave after establishing their religion.

17Bhakti mārg mē̃ unkō yād kiyā jātā hai .

22They are remembered on the path of devotion.

18Vaisē hī ājkal daśhaharē kā bhī utsav manātē haĩ .

23In the same way, people celebrate the festival of Dashera nowadays.

19Manānā hōtā hai tō jarūr śhubh hī hōgā .

24It is celebrated, so it must definitely be something auspicious.

20Kōī achchhā karkē jātē haĩ tō unkā utsav manāyā jātā hai .

25When someone leaves after doing something good, his festival is celebrated.

21Dīpmālā kā bhī utsav manāyā jātā hai .

26Even the festival of Deepmala is celebrated.

22Śhrīkr̥iṣhṇa jayantī manāī jātī hai .

27Krishna’s birthday is also celebrated.

23Jō hōkar jātē haĩ unkā phir utsav manātē haĩ .

28They celebrate the festivals of those who have been and gone.

24Ab bhāratvāsiyō̃ kō tō yah patā hai nahī̃ ki yah rākhī utsav ādi kyō̃ manātē haĩ .

29The people of Bharat don't know why the festivals of Rakhi, etc. are celebrated.

25Kyā huā thā  ?

30What happened?

26Christ-Buddha ādi kō jāntē haĩ ki yah dharm sthāpan karnē āyē thē .

31They know that Christ and Buddha came to establish their religions.

27Is samay sabhī āsurī sampradāy haĩ . 28Tum hō īśhvarīy sampradāy .

32At this time, all are the devilish community whereas you are the Godly community.

29Ab bāp rām ākar daivī śhrēṣhṭhāchārī banā rahē haĩ athavā aisē kahē̃ ki parampitā ākar svarg kā udghāṭan kar rahē haĩ athavā foundation ḍāl rahē haĩ .

33The Father, Rama, has now come and is making you divine and elevated. 34Or, it can be said that the Supreme Father has come and is having heaven inaugurated, that is, He is laying the foundation for it.

30Opening ceremony bhī kah saktē haĩ .

35It can also be called the opening ceremony.

31Bhārat mē̃ śhrēṣhṭhāchārī mahārājā-mahārānī hōkar gayē haĩ , satyugī dēvī-dēvtāyē̃ double sirtāj thē .

36The elevated emperors and empresses in Bharat have been and gone. 37The golden-aged deities were double crowned.

32Pavitratā kā tāj bhī thā aur ratnajaṛit tāj bhī thā .

38They had crowns of purity and also crowns studded with jewels.

33Vikārī rājāō̃ kō sirph ratnajaṛit tāj hōtā hai .

39Vicious kings only have crowns studded with jewels.

34Double tāj vālō̃ key|kī single tāj vālē pūjā kartē haĩ .

40Those with single crowns worship those with double crowns.

35Parantu kab hōkar gayē , kaisē rājya pāyā yah kiskō patā nahī̃ hai .

41However, no one knows when they came and left or how they received their kingdom.

36Lakṣhmī-nārāyaṇ itnē śhrēṣhṭh double sirtāj dēvī-dēvtā thē , unhō̃ kō aisā śhrēṣhṭh banānē vālā kaun , yah bāp baiṭh samjhātē haĩ .

42Lakshmi and Narayan were such elevated, double-crowned deities. 43The Father sits here and explains who made them so elevated. 44People celebrate Dashera.

37Abhī daśhaharā manātē haĩ , tum jāntē hō jarūr kuchh huā hai jis kāraṇ daśhaharā manātē haĩ , rāvaṇ kō jalātē haĩ , parantu vah jalnē key|kī chīz hai nahī̃ .

45You know that something must have happened that caused people to celebrate Dashera and burn an effigy of Ravan. 46However, he is not something that will be burnt.

38Abhī unkā rājya pūrā hōtā hai .

47His kingdom is now coming to an end.

39Jab tak rāmrājya sthāpan hō jāē tab tak yah bhraṣhṭāchārī rājya chalnā hai .

48Until the kingdom of Rama is established, the corrupt kingdom has to continue.

40Rāvaṇ rājya ḵẖatm hō rāmrājya sthāpan huā thā , uskī ceremony manātē rahtē haĩ .

49People continue to celebrate the ceremony of when the kingdom of Ravan ended and the kingdom of Rama was established.

41Rāvaṇ kō jalātē haĩ , issē siddh kartē haĩ barōbar bhraṣhṭāchārī āsurī rājya hai .

50They burn an effigy of Ravan which proves that this truly is the corrupt devilish kingdom.

42Bhraṣhṭāchār key|kī bhī grades rahtī haĩ .

51There are also grades of corruption.

43Bhraṣhṭāchār dvāpar sē śhurū hōtā hai .

52Corruption begins in the copper age.

44Pahlē dō kalā bhraṣhṭāchār rahtā hai phir 4 kalā , phir 8 kalā , 10 kalā , baṛhtē-baṛhtē 16 kalā bhraṣhṭāchār hō gayā hai .

53At first, there are two degrees of corruption, then four degrees, then eight degrees, then ten degrees and, having gradually increased, it has now become 16 degrees of corruption.

45Abhī phir 16 kalā bhraṣhṭāchār kō badlāē 16 kalā śhrēṣhṭhāchārī banānā ēk bāp kā hī kām hai .

54Now, to change those who are 16 degrees corrupt to 16 degrees elevated is the task of the one Father alone.

46Bāp samjhātē haĩ is samay rāvaṇrājya hai , rāmrājya śhrēṣhṭh rājya thā .

55The Father explains: At this time, it is the kingdom of Ravan.

47Abhī vah bhraṣhṭa ban gayē haĩ .

56The kingdom of Rama was the elevated kingdom.

48Śhrēṣhṭhāchārī bhārat kō svarg kahā jātā hai .

57That has now become corrupt. 58The elevated Bharat is called heaven.

49Vahī rājya ab bhraṣhṭāchārī hō gayā hai .

59That same kingdom has now become corrupt.

50Ab bāp kahtē haĩ - maĩ āyā hū̃ bhraṣhṭāchārī rājya kō śhrēṣhṭhāchārī rājya banānē liē .

60The Father says: I have now come to make the corrupt kingdom into an elevated kingdom.

51Yādav kul bhī hai , kaurav kul bhī hai .

61There are the Yadava and the Kaurava clans.

52Yādav kul mē̃ bhī anēk dharm haĩ .

62There are innumerable religions in the Yadava clan.

53Jō śhrēṣhṭhāchārī daivī dharm K|kē thē vah dharm bhraṣhṭa , karma bhraṣhṭa ban paṛē haĩ . 54Phir bāp śhrēṣhṭh karma sikhlātē haĩ .

63Those who belonged to the elevated deity religion have become corrupt in their religion and their actions.

55Bhakti mārg mē̃ utsav manātē āyē haĩ .

64The Father now teaches them how to perform elevated actions.

56Jarūr bhagvān āyā thā , 5 hazār varṣh key|kī bāt hai .

65They have been celebrating festivals on the path of devotion.

57Bāp nē ākar bhraṣhṭāchārī kō śhrēṣhṭhāchārī banāyā thā .

66God definitely came; it is a matter of 5000 years.

58Sārī duniyā kō śhrēṣhṭhāchārī banānā bāp kā hī kām hai , phir unkī pālnā karnē liē tumkō ūpar sē bhēj dētē haĩ .

67The Father came and made the corrupt beings elevated. 68It is the Father's task alone to make the whole world elevated.

59Tumnē jō daivī dharm key|kī sthāpanā kī hai , uskī phir jākar pālnā karō .

69Then, He sends you down from above to sustain it: Go and sustain the deity religion that you established.

60Aisē kōī kahtē nahī̃ , automatically yah drama anusār hōtā hai .

70It isn't that anyone says this; it happens automatically according to the drama.

61Tum śhrēṣhṭhāchārī ban jāyēṅgē phir sr̥iṣhṭi bhī satōpradhān śhrēṣhṭhāchārī ban jāyēgī .

71When you become elevated, even the world will become satopradhan and elevated.

62Abhī tō 5 tatva bhī tamōpradhān haĩ .

72Now, even the five elements are tamopradhan.

63Kitnī uthal-pāthal hōtī rahtī hai . 64Manuṣhya kitnē duḥkhī hōtē haĩ .

73There is so much upheaval and people are so unhappy.

65Karōṛō̃ kā nuksān hō jātā hai .

74Damage costing millions is caused.

66Satyug mē̃ yah kōī bhī upadrav nahī̃ hōtē .

75In the golden age, there won't be any of these calamities.

67Upadrav hōtē haĩ nark mē̃ .

76Calamities take place in hell.

68Upadrav bhī pahlē dō kalā vālē thē , abhī 16 kalā vālē ban gayē haĩ .

77Even the calamities are at first only two degrees whereas they have now become 16 degrees.

69Yah sab detail mē̃ samjhānē key|kī bātē̃ haĩ aur haĩ bahut sahaj , parantu samajhtē nahī̃ , na samjhā saktē haĩ .

78All of these things have to be explained in detail. 79They are very easy, but people are unable to understand them or explain to others.

70Tō yah rāvaṇ kō jalānā dvāpar sē śhurū hōtā hai .

80So, this burning of Ravan began in the copper age.

71Aisē thōṛēhī kahē̃gē 5 hazār varṣh huē .

81You cannot say that it started 5000 years ago.

72Bhakti mārg śhurū hōtā hai tō yah upadrav bhī śhurū hōtē haĩ .

82When the path of devotion begins, all of these calamities also begin.

73Ab phir rāvaṇ rājya kā vināśh , rāmrājya key|kī sthāpanā kaisē hōtī hai sō tum jāntē hō .

83You now know how the kingdom of Ravan is destroyed and how the kingdom of Rama is established.

74Manuṣhya nahī̃ jāntē rāvaṇ kyā hai .

84People don't know what Ravan is.

75Bāp kahtē haĩ laṅkā tō kōī thī nahī̃ .

85The Father says: There wasn't anything such as Lanka.

76Satyug mē̃ laṅkā hōtī nahī̃ .

86There is no Lanka in the golden age.

77Bahut thōṛē manuṣhya hōtē haĩ .

87There are very few people there.

78Jamunā kā kaṇṭhā hai .

88They live by the banks of the River Jamuna.

79Ajmēr mē̃ vaikuṇṭha kā model bhī dikhātē haĩ parantu samajhtē nahī̃ .

89In Ajmer, they show a model of Paradise, but they don't understand it.

80Sōnē K|kē mahal ādi banānē mē̃ vahā̃ kōī dēr nahī̃ lagtī hai .

90It doesn't take long to build golden palaces there.

81Machinery par jhaṭ galākar tiles banātē haĩ .

91They use machinery to melt gold quickly and make tiles etc.

82Tum bachchē jāntē hō yah jō science hai , jissē vināśh hōtā hai , vahī phir tumkō vahā̃ kām mē̃ āyēgī .

92You children know that this science through which destruction takes place will be useful to you later on.

83Abhī yah aeroplane ādi baṛī khuśhī kē liē banātē haĩ , unsē hī vināśh karē̃gē .

93They make aeroplanes etc. now for great happiness, but they will also carry out destruction with them.

84Tō yah aeroplane sukh kē liē bhī hai tō duḥkh kē liē bhī hai .

94So, these aeroplanes are for sorrow as well as happiness.

85Alpkāl liē sukh hai .

95That is temporary happiness.

86100 varṣh K|kē andar yah sab chījē̃ nikalī haĩ .

96All of these things have been invented in the last hundred years.

87Tō 100 varṣh K|kē andar itnā sab huā hai .

97So, so much has happened in the last hundred years.

88Tō tum vichār karō jab vināśh hōgā phir naī duniyā mē̃ kitnē thōṛē samay mē̃ sab chīzē ban jāyēṅgī .

98So, just think: after destruction takes place, all of these things will be created in such a short time in the new world.

89Vahā̃ tō jhaṭ sōnē K|kē mahal ban jātē haĩ .

99There, the golden palaces are built very quickly.

90Bhārat mē̃ sōnē chāndī K|kē kitnē mahal jaṛit sē jaṛē huē bantē haĩ .

100In Bharat, so many palaces are studded with gold and silver.

91Vahā̃ darbār baṛī bantī hai .

101They have big royal courts there.

92Rājē rajvāṛē āpas mē̃ miltē hōṅgē .

102Royal people would meet there.

93Uskō pāṇḍav sabhā nahī̃ kahē̃gē .

103They would not be called Pandava gatherings.

94Uskō kahē̃gē lakṣhmī-nārāyaṇ K|kē rājdhānī key|kī sabhā .

104They would be called gatherings of the kingdom of Lakshmi and Narayan.

95Prince-princess sab ākar baiṭhtē haĩ .

105All the princes and princesses also go and sit there.

96British government thī tō prince-princess mahārājāō̃ key|kī baṛī sabhā lagtī thī .

106When it was the British Government, there used to be great royal court gatherings of princes, princesses and Maharajas.

97Sab rājāī tāj lagākar baiṭhtē thē .

107All the kings would be sitting there wearing their crowns.

98Nēpāl mē̃ bābā jātē thē tō vahā̃ rāṇā family key|kī sabhā lagtī thī .

108When Baba used to go to Nepal, they would hold a gathering of the Rana (king) family.

99Baṛē tāj vālē rāṇē baiṭhtē thē .

109Kings with big crowns would sit there.

100Unkō mahārājā-mahārānī kahtē haĩ , phir unmē̃ bhī number-vār hōtē haĩ .

110They were called emperors and empresses and they were all numberwise.

101Rāniyā̃ nahī̃ baiṭhtī haĩ . 102Vah pardēnaśhīn hōtī haĩ .

111The queens wouldn’t sit there; they remained behind curtains.

103Baṛē bhabhkē sē baiṭhtē haĩ .

112They sat with a lot of grandeur.

104Ham kahtē thē yah tō pāṇḍav rājya hai .

113We used to say that that was the Pandava Government.

105Vah apnē kō kahtē bhī sūryavanśhī haĩ .

114They called themselves the sun dynasty. 115They used to exist here too.

106Yahā̃ thē parantu single tāj vālē . 107Unsē pahlē double sirtāj thē .

116However, they had single crowns, because it was before them that there were those with double crowns.

108Śhrīkr̥iṣhṇa kē liē anēk bātē̃ likh dī haĩ - phalānī kō bhagāyā , yah kiyā .

117They have written so many things about Krishna: He abducted so-and-so and did such-and-such.

109Parantu aisī bāt tō hai nahī̃ .

118However, there was nothing like that.

110Jō utsav past hō jātē haĩ vah phir manātē ātē haĩ .

119People continue to celebrate the festivals of things that took place in the past.

111Yah bhī utsav manātē haĩ . 112Jabki rāvaṇ rājya kō ḵẖalās kar rāmrājya key|kī sthāpanā key|kī , yah tō varṣh-varṣh manātē haĩ .

120They also celebrate the festival of when the kingdom of Ravan ended and the kingdom of Rama was established. 121They celebrate it every year.

113Tō siddha hōtā hai āsurī rāvaṇ rājya 5 hajār varṣh pahlē bhī thā .

122So, this proves that the devilish kingdom of Ravan also existed 5000 years ago.

114Bāp āyā thā , ākar rāvaṇ rājya kā vināśh karāyā thā .

123The Father came and inspired the destruction of the kingdom of Ravan.

115Vahī mahābhārat laṛāī khaṛī hai .

124That same Mahabharat War is just ahead.

116Bākī rāvaṇ kōī chīz nahī̃ hai .

125However, there is no such thing as Ravan.

117Rāvaṇ key|kī strī madōdarī dikhātē haĩ . 118Unkō phir 10 śhīśh nahī̃ dikhātē haĩ .

126They show Madodri as the wife of Ravan, but they don't show her with ten heads.

119Rāvaṇ kō 10 śhīśh dikhātē haĩ .

127They show Ravan with ten heads.

120Viṣhṇu kō 4 bhujā dikhātē haĩ . 121Dō lakṣhmī key|kī , dō nārāyaṇ key|kī .

128They show Vishnu with four arms: two arms of Lakshmi and two arms of Narayan.

122Vaisē rāvaṇ kō 10 śhīśh dikhātē haĩ - 5 vikār unkē , 5 vikār madōdarī K|kē .

129They show Ravan with ten heads: five vices of his and five vices of Madodri.

123Viṣhṇu chaturbhuj bhī arth|earth sahit dikhāyā hai . 124Pūjā bhī mahālakṣhmī key|kī kartē haĩ .

130They have also shown the significance of the four-armed image of Vishnu.

125Mahālakṣhmī kō kabhī dō bhujā vālā nahī̃ dikhāyēṅgē .

131They also worship Mahalakshmi. 132They never show Mahalakshmi with two arms.

126Dīpmālā mē̃ lakṣhmī kā āhvān kartē haĩ .

133At Deepmala, they invoke Lakshmi.

127Kyō̃ , nārāyaṇ nē kōī gunāh kiyā kyā  ?

134Why? 135Did Narayan commit a crime?

128Lakṣhmī kō bhī dhan tō nārāyaṇ hī dētā hōgā nā . 129Half partner hōṅgē .

136After all, Lakshmi receives her wealth from Narayan anyway; she is a half-partner.

130Tō nārāyaṇ nē kyā gunāh kiyā  ?

137So, what crime did Narayan commit?

131Vāstav mē̃ dhan kōī lakṣhmī sē nahī̃ miltā , dhan tō jagadambā sē miltā hai .

138In fact, wealth is not received from Lakshmi. 139Wealth is received from Jagadamba.

132Tum jāntē hō jagat ambā sō hī phir lakṣhmī bantī hai .

140You know that Jagadamba then becomes Lakshmi.

133Tō unhōnnē alag-alag kar diyā hai .

141So, they have separated the two of them.

134Jagat ambā sē her|har chīz māṅgtē haĩ .

142They ask Jagadamba for everything.

135Kōī bhī duḥkh hōgā , bachchā mar jāyēgā tō jagat ambā kō kahē̃gē rakṣhā karō , bachchā dō , yah bīmārī dūr karō .

143If they have any sorrow, if their son dies, they pray to Jagadamba: “Protect us.” 144“Give me a child!” 145“Remove this illness of mine!”

136Bahut kāmanāyē̃ rakhtē haĩ .

146They have many such desires.

137Lakṣhmī kē pās ēk hī kāmnā rakhkar jātē haĩ - dhan key|kī . 138Bas .

147They go to Lakshmi and only place one desire in front of her and that is for wealth; that’s all!

139Jagat ambā sabhī kāmanāyē̃ pūrī karnē vālī hai .

148Jagadamba is the one who fulfils all your desires.

140Dhanvān tō yah banātī hai .

149She is the one who makes you wealthy.

141Is samay tumhārī sab kāmanāyē̃ pūrī hōtī haĩ .

150At this time, all your desires are being fulfilled.

142Kōī dhan nahī̃ dētē haĩ , sirph paṛhātē haĩ - jissē tum kyā sē kyā ban jātē hō aur phir lakṣhmī bantī hō tō dhanvān ban jātī hō .

151They don't give wealth; they simply teach you through which, from nothing, you become great. 152Then, when you become Lakshmi, you become wealthy.

143Tākat is samay tumhārē mē̃ hai jō tum sab kāmanāyē̃ pūrī kar saktī hō .

153At this time, you have the power to fulfil all desires. 154Jagadamba gives donations.

144Jagat ambā dān dētī hai , lakṣhmī dān thōṛēhī dēgī .

155Lakshmi does not give donations. 156Donations are not given there.

145Vahā̃ dān dētē nahī̃ .

157There is no starvation there.

146Bhūkh hōtī hī nahī̃ .

158No one is poverty-stricken there.

147Kaṅgāl kōī hōtē nahī̃ .

159Ravan doesn't exist in the golden age.

148Satyug mē̃ rāvaṇ hōtā nahī̃ .

160Here, they burn Ravan.

149Yahā̃ rāvaṇ kō jalātē haĩ .

161After Dashera, they celebrate Deepmala.

150Daśhaharē kē bād phir dīpmālā manātē haĩ , khuśhiyā̃ manātē haĩ kyōṅki rāvaṇ rājya vināśh hō rāmrājya sthāpan hōgā tō khuśhiyā̃ hōṅgī .

162They celebrate in happiness. 163The kingdom of Ravan has been destroyed and the kingdom of Rama is established and so there would be happiness; there is light in every home.

151Ghar-ghar mē̃ rōśhnī hō jātī hai .

164You souls receive enlightenment.

152Tumhārī ātmā mē̃ rōśhnī ā jātī hai . 153Jō chīz saṅgam par hai vah satyug mē̃ nahī̃ hōgī .

165The things that exist at the confluence age do not exist in the golden age.

154Tum trikāldarśhī hō , vahā̃ tō tum prālabdh bhōgtē hō .

166You are trikaldarshi and you experience the reward there.

155Yah knowledge sārī bhūl jātē hō .

167There, you will have forgotten all of this knowledge.

156Saṅgam par hai hī sthāpanā aur vināśh . 157Sthāpanā hō gaī phir bas .

168At the confluence age, there is establishment and destruction.

158In sab utsavō̃ ādi kā tumkō hī gyān hai .

169Once establishment has taken place, that’s it.

159Agyānī manuṣhya tō kuchh bhī nahī̃ samajhtē .

170Only you know about all of these festivals.

160Baṛē bakhērē banā dētē haĩ , hai kuchh bhī nahī̃ .

171Ignorant people don't understand anything. 172They make a lot out of nothing.

161Tum practical mē̃ dēkh rahē hō satyug mē̃ yah bātē̃ nahī̃ hōtī haĩ .

173You can see in a practical way that those things do not exist in the golden age.

162Nārad key|kī bhī bāt śhāstrō̃ mē̃ hai .

174The story of Narad is also mentioned in the scriptures.

163Tumsē bhī pūchhā jātā hai - tum kahtē hō bābā ham lakṣhmī kō varē̃gē athavā nārāyaṇ kō varē̃gē .

175When you are asked, you reply: Baba, I will marry either Lakshmi or Narayan.

164Tō bāp kahtē haĩ apnē mē̃ dēkhō kōī vikār tō nahī̃ hai .

176So, the Father says: Check yourself to see that you don't have any vices.

165Agar krōdh ādi hōgā tō kaisē var sakē̃gē  ?

177If you have anger etc., how would you be able to marry them?

166Hā̃ , abhī sampūrṇ tō kōī banē nahī̃ hai .

178Yes, no one has yet become perfect, but you do have to become that.

167Parantu bannā hai , in bhūtō̃ kō bhagānā hai tab hī itnā martabā pā sakē̃gē .

179You have to chase away those evil spirits, because only then will you be able to claim a status.

168Ustād bhī baṛā vichitr milā hai .

180You have found the unique Master.

169Bāp tō sarvguṇ sampann , gyān kā sāgar , ānand kā sāgar hai tō jō ākar bachchē bantē haĩ unkō bhī sarvguṇ sampann , double sirtāj dēvtā banātē haĩ .

181The Father is full of all virtues. 182He is the Ocean of Knowledge and the Ocean of Bliss and so He also makes those who come and become His children full of all virtues and double-crowned deities.

170Barōbar tum ban rahē hō .

183You are truly becoming that.

171Dēvtāō̃ kō dōnō̃ tāj rahtē haĩ . 172Tum āyē hō bāp sē varsā lēnē .

184Deities have both crowns. 185You have come here to claim your inheritance from the Father.

173Varsā lēnā hai , paṛhnā hai . 174Points tō bahut nikaltī rahtī haĩ .

186You have to claim your inheritance; you have to study. 187Many points continue to emerge.

175Agar paṛhē̃gē nahī̃ tō aurō̃ kō kaisē samjhā sakē̃gē  ?

188If you don't study, how would you be able to explain to others?

176Drama hūbahū repeat hō rahā hai .

189The drama is repeating identically.

177Yah knowledge abhī tum samajhtē hō phir yah gum hō jāyēgī .

190You understand this knowledge at this time and it will then disappear.

178Yah jō laṅkā ādi dikhātē haĩ , vah bhī hai nahī̃ .

191The Lanka etc. that they show doesn't really exist.

179Rāvaṇ kā janm kab huā  ?

192When was Ravan born?

180Likhā huā hai dvāpar sē dēvtāyē̃ vām mārg mē̃ jātē haĩ tō vikārī bannā śhurū hōtē haĩ .

193It is written that the deities go on to the path of sin in the copper age and that they begin to become vicious.

181Bhakti bhī pahlē avyabhichārī thī phir vyabhichārī ban jātī hai .

194Devotion was at first unadulterated and it then became adulterated.

182Abhī tō manuṣhya apnī pūjā karānē lag paṛē haĩ .

195People have now begun to have themselves worshipped.

183Bāp kahtē haĩ maĩ ātā hī hū̃ bhraṣhṭāchārī duniyā kā vināśh aur śhrēṣhṭhāchārī duniyā key|kī sthāpanā karnē .

196The Father says: I come to carry out the establishment of an elevated world and destruction of the corrupt world.

184Jarūr pahlē sthāpanā karē̃gē phir vināśh karē̃gē . 185Yah hamārā part kalp-kalp kā hai .

197Surely, establishment would be carried out first and then destruction.

186Bhraṣhṭāchārī sē śhrēṣhṭhāchārī banānē mē̃ bhī time lagtā hai .

198This is My part every cycle. 199It takes time to make it elevated from corrupt.

187Jab tak bāp baiṭh paṛhā rahē haĩ , paṛhnā hai .

200You have to study for as long as the Father teaches you.

188Kalp pahlē jinhōnnē jitnā paṛhā hai vahī paṛhē̃gē .

201However much those who studied in the previous cycle studied, they will study the same now.

189Bahut bachchē chaltē-chaltē kahtē - bas , ham chal nahī̃ sakē̃gē .

202While moving along, many children say: That's it! 203I am not able to continue any more.

190Arē , stuti-nindā , mān-apmān yah tō sab hōgā .

204Oh! 205There will be praise and defamation, regard and disregard.

191Tum paṛhāī kō kyō̃ chhōṛtē hō .

206Why do you stop studying because of that?

192Sabsē jāstī nindā tō śhrīkr̥iṣhṇa key|kī huī hai . 193Kitnē kalaṅk lagāyē haĩ .

207It was Krishna who was defamed the most; he was accused of so many things.

194Phir aisē śhrīkr̥iṣhṇa kō pūjtē kyō̃ haĩ  ?

208So, why do people then worship such a Krishna?

195Vāstav mē̃ gālī abhī inkō ( brahmā kō ) miltī hai .

209In fact, it is this one (Brahma) who takes all the insults at this time.

196Sārē sindh mē̃ nindā huī phir kar tō kuchh bhī nahī̃ sakē .

210He was defamed throughout the whole of Sindh. 211However, those people were unable to do anything.

197Yah bhī sab khēl hai .

212All of this is a game.

198Naī bāt nahī̃ , kalp pahlē bhī gālī khāī thī , nadī pār kī thī .

213It is nothing new. 214He took insults in the previous cycle too. 215He crossed the river.

199Tum sindh sē nikal is pār chalē āyē nā .

216You came away from the shore of Sindh to this side.

200Śhrīkr̥iṣhṇa tō nahī̃ thē , yah dādā ātā-jātā thā .

217It wasn't Krishna, but this Dada, who used to come and go.

201Tum jāntē hō abhī ham rājya pātē haĩ phir ganvātē haĩ .

218You know that you are now claiming the kingdom and that you will then lose it.

202Yah bhī khēl hai .

219This too is a game.

203Achchhā  !

220Achcha.

204Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .

221To the sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

205Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

222The spiritual Father says namaste to the spiritual children.

Essence for dharna

206Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

223Essence for dharna:

2071 ) sarv key|kī manōkāmanāyē̃ pūrṇ karnē vālī kāmdhēnu ( jagadambā ) bannā hai .

224 1. You have to become a Kamdhenu (Jagadamba - one who fulfils everyone's desires).

208Dān dētē rahnā hai .

225Continue to donate.

2092 ) stuti-nindā mē̃ sthiti samān rakhnī hai .

226 2. Keep your stage in equanimity in praise and defamation.

210Yah sab hōtē paṛhāī nahī̃ chhōṛnī hai .

227While all of that happens, you mustn't stop studying.

211Isē khēl samajh pār karnā hai .

228Consider all of it to be a game and overcome it.

Blessing

212Vardān  : apnē śhakti svarūp dvārā alaukiktā kā anubhav karānē vālē jvālā rūp bhav

229Blessing: May you become an intense form of fire and give the experience of spirituality through your form of Shakti (power).

213Abhī tak bāp śhamā key|kī ākarṣhaṇ hai , bāp kā kartavya chal rahā hai , bachchō̃ kā kartavya gupta hai . 214Lēkin jab āp apnē śhakti svarūp mē̃ sthit hōṅgē tō samparka mē̃ ānē vālī ātmāyē̃ alaukiktā kā anubhav karē̃gī .

230 Until now, the Father has attracted everyone in the form of the Flame. 231The Father’s duty has been taking place and the children’s duty has been incognito. 232However, when you become stable in your form of power, the souls who come into contact with you will experience your spirituality.

215Achchhā-achchhā kahnē vālō̃ kō achchhā bannē key|kī prērṇā tab milēgī jab saṅgaṭhit rūp mē̃ āp jvālā svarūp , light house banē̃gē .

233Those who say, “This is good, this is good”, will be inspired to become good when you all collectively become intense forms of fire and lighthouses.

216Master sarvśhaktimān key|kī stage , stage par ā jāē tō sabhī āpkē āgē parvānē samān chakra lagānē lag jāyē̃ .

234When the stage of a master almighty authority is visible in your stage, everyone will continue to circle around you like moths.

Slogan

217Slōgan  : apnī karmēndriyō̃ kō yōg agni mē̃ tapānē vālē hī sampūrṇ pāvan bantē haĩ .

235Slogan: Those who burn their physical senses in the fire of yoga become completely pure.

236*** Om Shanti ***