शनिवार 11 नवंबर 2023 की दैनिक मुरली

ध्यान दें: वाक्यों का संरेखण अक्षरों की संख्या पर आधारित है और पूरी तरह विश्वसनीय नहीं है।

आप पूरी मुरली या उसके किसी भाग का वाक्य संरेखण स्वयं सुधार सकते हैं।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

011-11-2023 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

0 11/11/23 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē bachchē - jitnā tum bāp kō yād karē̃gē utnā tumhārī buddhi kā tālā khulēgā , jinhē̃ ghaṛī-ghaṛī bāp kī yād bhūl jātī hai , vah haĩ unlucky bachchē ' '

1Essence: Sweet children, the more you remember the Father, the more the locks on your intellects will open. 2Those who repeatedly forget to have remembrance of the Father are unlucky children.

Question

2Praśhna  : khātā jamā karnē kā ādhār kyā hai  ? 3Sabsē baṛī kamāī kismē̃ hai  ?

3Question: What is the basis of accumulating in your account? 4What brings the greatest income?

Answer

4Uttar  : khātā jamā hōtā hai dān karnē sē .

5Answer: You accumulate in your account by donating. 6To whatever extent you give the Father’s introduction to others, to that extent your income increases.

5Jitnā tum dūsrō̃ kō bāp kā parichay dēgē utnā āmdanī vr̥iddhi kō pātī jāyēgī .

7You earn a huge income by studying the murlis.

6Murlī sē tumhārī bahut baṛī kamāī hōtī hai .

8These murlis change you from ugly to beautiful.

7Yah murlī sānvarē sē gōrā banānē vālī hai .

9There is Godly magic in each murli.

8Murlī mē̃ hī khudāī jādū hai . 9Murlī sē hī tum mālāmāl bantē hō .

10It is by studying the murli that you become very wealthy.

Song

10Gīt  : hamē̃ un rāhō̃ par chalnā hai …

11Song: We have to follow the path on which we may fall and so have to be cautious.

Murli

11Ōm śhānti .

12Om shanti.

12Rūhānī bāp samjhā rahē haĩ bachchō̃ kō ki bachchē girnā aur sambhalnā hai .

13The spiritual Father explains to you children: Children, you have to fall and so we have to be cautious.

13Ghaṛī-ghaṛī bāp kō bhūltē hō arthāt girtē hō .

14To forget the Father repeatedly means to fall and to remember the Father is to be cautious.

14Yād kartē hō tō sambhaltē hō .

15Maya makes you forget the Father.

15Māyā bāp kī yād bhulavā dētī hai kyōṅki naī bāt hai nā .

16This is a new aspect. 17In fact, no one can ever forget his father.

16Aisē tō kōī bāp kō kabhī bhūltē nahī̃ .

18A wife would never forget her husband.

17Strī kabhī apnē pati kō bhūltī nahī̃ . 18Sagāī huī aur buddhiyōg laṭakā|laṭkā .

19As soon as they become engaged, their intellects’ yoga is connected to one another.

19Bhūlnē key|kī bāt nahī̃ hōtī .

20There is no question of forgetting.

20Pati , pati hai . 21Bāp , bāp hai .

21A husband is a husband and a father is a father.

22Ab yah tō hai nirākār bāp , jiskō sājan bhī kahtē haĩ .

22Now, this one is the incorporeal Father and is also called the Bridegroom.

23Sajnī kahā jātā hai bhaktō̃ kō .

23Devotees are called brides.

24Is samay sab haĩ bhakta . 25Bhagvān ēk hai .

24At this time, all are devotees, whereas there is only the one God.

26Bhaktō̃ kō sajniyā̃ , bhagvān kō sājan yā bhaktō̃ kō bālak , bhagvān kō bāp kahā jātā hai .

25Devotees are called brides and God is called the Bridegroom. 26Similarly, devotees are called children and God is called the Father.

27Ab patiyō̃ kā pati vā pitāō̃ kā pitā vah ēk hai .

27Now, the Husband of all husbands and the Father of all fathers is One.

28Har ēk ātmā kā bāp paramātmā tō hai hī . 29Vah laukik bāp har ēk kā alag-alag hai .

28The Supreme Soul is in fact the Father of every single soul, whereas each one has their own individual physical father.

30Yah pārlaukik parampitā sabhī ātmāō̃ kā bāp ēk hī god father hai , unkā nām hai śhivbābā .

29That Supreme Father from beyond is the only one God, the Father, of all souls. 30His name is Shiv Baba.

31Sirph god father , mount ābū likhnē sē batāō chiṭṭhī pahũchēgī  ?

31If you simply address an envelope: God, the Father, Mount Abu, would your letter arrive here?

32Nām tō likhnā paṛē nā .

32You have to write the name on it.

33Yah tō bēhad kā bāp hai .

33That one is the unlimited Father.

34Unkā nām hai śhiv .

34His name is Shiva.

35Śhivkāśhī kahtē haĩ nā .

35People talk about Shiva Kashi.

36Vahā̃ śhiv kā mandir hai .

36There is a Shiva Temple there.

37Jarūr vahā̃ bhī gayē hōṅgē .

37Surely, He must have been there too.

38Dikhātē haĩ nā rām yahā̃ gayā , vahā̃ gayā , gāndhī yahā̃ gayā . . . . . . . tō barōbar śhivbābā kā bhī chitra hai .

38They show that Rama went here and there and that Gandhi went here and there. 39So, it is true that there is an image of Shiv Baba here and there.

39Parantu vah tō hai nirākār .

40However, He is incorporeal.

40Unkō father kahā jātā hai , aur kiskō sabkā father kah nahī̃ saktē .

41He is called the Father. 42No one else can be called the Father of all.

41Brahmā , viṣhṇu , śhaṅkar kā bhī vah father hai .

43He is also the Father of Brahma, Vishnu and Shankar.

42Unkā nām hai śhiv .

44His name is Shiva.

43Kāśhī mē̃ bhī mandir haĩ , ujjain mē̃ bhī śhiv kā mandir hai .

45There is the temple to Him at Kashi and there is also a temple in Ujjain.

44Itnē mandir kyō̃ banē haĩ , kōī bhī nahī̃ jāntē .

46No one knows why so many temples have been built to Him.

45Jaisē lakṣhmī-nārāyaṇ key|kī pūjā kartē haĩ , kahtē haĩ yah svarg K|kē mālik thē parantu svarg kab thā , yah mālik kaisē banē , yah kōī nahī̃ jāntē .

47Similarly, those who worship Lakshmi and Narayan say that they were the masters of heaven, but no one knows when heaven existed or how they became the masters of it.

46Pujārī jiskī pūjā karē unkē hī occupation kō na jānē tō iskō andhaśhradhā kahā jāyēgā nā .

48If worshippers do not know the occupation of the ones they worship, they are called those with blind faith.

47Yahā̃ bhī bābā kahtē haĩ parantu pūrā parichay nahī̃ hai .

49Here, too, although some of you say “Baba”, you still don’t have full recognition.

48Māt-pitā kō jāntē nahī̃ .

50You don’t know the Mother and Father.

49Lakṣhmī-nārāyaṇ K|kē pujārī pūjā kartē haĩ , śhiv K|kē mandir mē̃ jākar mahimā kartē haĩ , gātē haĩ tum māt-pitā . . . . . . . parantu vah kaisē māt-pitā hai , kab banē thē - kuchh bhī nahī̃ jāntē .

51The worshippers of Lakshmi and Narayan worship them. 52They also go to the temples of Shiva and praise Him and sing: You are the Mother and Father. 53However, they don’t know how He is their Mother and Father or when He became that.

50Bhāratvāsī hī bilkul nahī̃ jāntē .

54The people of Bharat do not understand anything at all.

51Kriściyan , bauddhī ādi apnē Christ kō , buddha kō yād kartē haĩ .

55Christians and Buddhists, etc. remember Christ and Buddha.

52Jhaṭ unkī biography kō batāyēṅgē - Christ phalānē samay par kriściyan dharm key|kī sthāpanā karnē āyā thā . 53Bhāratvāsī kiskō bhī pūjtē haĩ , unkō patā nahī̃ hai ki yah kaun haĩ  ?

56They can instantly tell you their biography - that Christ came at such-and-such a time to establish the Christian religion, whereas the people of Bharat do not know anything about the ones they worship.

54Na śhiv kō , na brahmā-viṣhṇu-śhaṅkar kō , na jagat ambā , jagatpitā kō , na lakṣhmī-nārāyaṇ kō jāntē , sirph pūjā kartē rahtē haĩ .

57They don’t know anything about Shiva, nor do they know Brahma, Vishnu or Shankar, or the World Mother (Jagadamba) or the World Father, or Lakshmi or Narayan; they just continue to worship them.

55Unhō̃ key|kī biography kyā hai , kuchh bhī nahī̃ jāntē .

58They don’t know anything about their biographies.

56Bāp ātmāō̃ kō baiṭh samjhātē haĩ - tum jab svarg mē̃ thē tō tumhārī ātmā aur śharīr dōnō̃ pavitra thē , tum rājya kartē thē .

59The Father sits here and explains to souls: When you were in the golden age, you souls and your bodies were both pure; you used to rule there. 60You know that you truly ruled there.

57Tum jāntē hō barōbar ham rājya kartē thē , hamnē punarjanma liyē , 84 janm bhōgtē-bhōgtē bādśhāhī ganvā dī .

61Then, while taking rebirth and experiencing 84 births, you lost that kingdom, and from being beautiful, you became ugly. 62You were beautiful but have now become ugly.

58Gōrē sē kālē ban gayē haĩ . 59Sundar thē , ab śhyām ban gayē haĩ .

63Nowadays, they make Narayan's picture dark blue too, to show that Krishna was Narayan.

60Ājkal nārāyaṇ kō bhī sāṅvarā dikhātē haĩ tō siddha hōtā hai vahī śhrīkr̥iṣhṇa , śhrīnārāyaṇ thā . 61Parantu in bātō̃ kō bilkul samajhtē nahī̃ .

64However, people don’t understand these things at all. 65The Yadavas were the ones who invented the missiles and the Kauravas and the Pandavas were brothers.

62Yādav haĩ mūsal invent karnē vālē aur kaurav-pāṇḍav bhāī thē .

66Those brothers were devilish, whereas these brothers are divine.

63Vah āsurī bhāī aur yah daivī bhāī thē .

67These brothers also used to be devilish.

64Yah bhī āsurī thē , inhō̃ kō bāp nē ūñch banākar daivī bhāī banāyā hai .

68However, the Father made them elevated and made them divine brothers.

65Dōnō̃ bhāiyō̃ kā kyā huā  ?

69So, what happened to the two sets of brothers?

66Barōbar pāṇḍavō̃ key|kī jīt huī , kaurav vināśh hō gayē .

70There was definitely victory for the Pandavas whereas the Kauravas were destroyed.

67Yahā̃ baiṭhē huē bhī bhal mammā-bābā kahtē haĩ parantu jāntē nahī̃ haĩ .

71While sitting here, although some say “Mama” and “Baba”, they don’t know them.

68Bāp key|kī śhrīmat par nahī̃ chaltē haĩ .

72They do not follow the Father’s shrimat.

69Jāntē nahī̃ haĩ ki bābā hamkō rājyōg sikhlā rahē haĩ .

73They don’t know that Baba is teaching them Raja Yoga.

70Niśhchay nahī̃ rahtā .

74They are not able to maintain that faith.

71Dēh-abhimānī hōnē kāraṇ , dēh K|kē mitr-sambandhiyō̃ ādi kō yād kartē haĩ .

75Because of being body conscious, they remember their bodily friends and relatives, etc.

72Yahā̃ tō dēhī bāp kō yād karnā hai .

76Here, you have to remember the bodiless Father.

73Yah naī bāt hō gaī . 74Manuṣhya kōī samjhā na sakē .

77This is a new aspect that no human being is able to explain.

75Yahā̃ māt-pitā kē pās baiṭhē huē bhī unkō jāntē nahī̃ .

78Even while sitting here with the Mother and Father, some of you don’t recognise Him.

76Yah wonder hai nā .

79This is a wonder.

77Janm hī yahā̃ huā . 78Phir bhī jāntē nahī̃ kyōṅki nirākār hai .

80Although they have taken birth here, they don’t recognise Him because He is incorporeal.

79Unkō achchhī rīti samajh nahī̃ saktē .

81They are not able to understand Him clearly.

80Uskī mat par nahī̃ chaltē tō phir āśhcharyavat bhāgantī hō jātē haĩ .

82Then, because they don't follow His directions, they become those who run away, even after having been amazed by the knowledge.

81Jissē svarg kā 21 janmō̃ kā varsā miltā hai , unkō nahī̃ jānnē sē bhāg jātē haĩ .

83If they do not recognise the One who gives them the inheritance of heaven for 21 births, they run away.

82Jō bāp kō jāntē haĩ unkō bakhtāvar kahā jātā hai .

84Those who recognise the Father are said to be fortunate.

83Duḥkh sē liberate karnē vālā tō ēk hī bāp hai .

85It is only the one Father who liberates everyone from sorrow.

84Duniyā mē̃ duḥkh tō bahut hai nā .

86There is a great deal of sorrow in the world.

85Yah hai hī bhraṣhṭāchārī rājya .

87In any case, this kingdom is corrupt.

86Drama anusār phir bhī 5 hajār varṣh bād aisī hī bhraṣhṭāchārī sr̥iṣhṭi hōgī , phir bāp ākar satyugī śhrēṣhṭhāchārī svarājya sthāpan karē̃gē .

88According to the drama, after 5000 years, there will again be the same corrupt world. 89The Father will then come again to establish the pure and elevated kingdom of self-sovereignty of the golden age.

87Tum manuṣhya sē dēvtā bannē āyē hō .

90You have come here to become deities from human beings.

88Yah hai manuṣhyō̃ key|kī duniyā .

91This is a world of human beings.

89Dēvtāō̃ key|kī duniyā satyug mē̃ hōtī hai .

92The world of deities exists in the golden age.

90Yahā̃ haĩ patit manuṣhya , pāvan dēvtāyē̃ satyug mē̃ hōtē haĩ .

93Here, there are impure human beings. 94Pure deities exist in the golden age.

91Yah tumkō hī samjhāyā jātā hai jō tum brāhmaṇ banē hō .

95Only those who become Brahmins have this explained to them.

92Jō brāhmaṇ bantē jāyēṅgē unkō samjhātē jāyēṅgē .

96Those who become Brahmins will continue to receive explanations.

93Sab tō brāhmaṇ nahī̃ banē̃gē .

97Not everyone will become a Brahmin.

94Jō brāhmaṇ bantē haĩ vahī phir dēvtā banē̃gē .

98Those who become Brahmins are the ones who will later become deities.

95Brāhmaṇ na banā tō dēvtā ban na sakē .

99If they don’t become Brahmins, they cannot become deities.

96Bābā-mammā kahā tō brāhmaṇ kul mē̃ āyā .

100Once they say “Mama” and “Baba,” they enter the Brahmin clan.

97Phir hai sārā paṛhāī K|kē puruṣhārth par madār .

101Everything else then depends on how much effort they make to study.

98Yah kingdom sthāpan hō rahī hai aur Abraham|ibrāham , buddha ādi kōī kingdom sthāpan nahī̃ kartē haĩ .

102A kingdom is being established. 103Abraham and Buddha etc. do not establish a kingdom.

99Christ akēlā āyā . 100Kisī mē̃ pravēśh kar kriściyan dharm sthāpan kiyā phir jō kriściyan dharm key|kī ātmāyē̃ ūpar mē̃ haĩ , vah ātī rahtī haĩ .

104Christ came alone and entered someone’s body to establish the Christian religion. 105Then the souls who belong to the Christian religion continued to follow him down from up above.

101Abhī sab christians key|kī ātmāyē̃ yahā̃ haĩ .

106All the Christian souls are now here.

102Abhī ant mē̃ sabkō vāpis jānā hai .

107Now, at the end, everyone has to go back home.

103Bāp sabhī kā guide ban sabkō duḥkh sē liberate kartē haĩ .

108The Father becomes the Guide for everyone and liberates them from sorrow.

104Bāp hī hai sārī humanity kā liberator aur guide .

109The Father is the Liberator and the Guide for the whole of humanity.

105Sab ātmāō̃ kō vāpas lē jāyēṅgē .

110He will take all souls back.

106Ātmā patit hōnē kāraṇ vāpis jā nahī̃ saktī hai .

111Souls cannot return home because they are impure.

107Nirākārī duniyā tō pāvan hai nā .

112The incorporeal world is pure.

108Abhī yah sākārī sr̥iṣhṭi patit hai .

113This corporeal world is now impure.

109Ab in sabkō pāvan kaun banāyē , jō nirākārī duniyā mē̃ jā sakē̃  ?

114Now, who can purify them all, so that they can return to the incorporeal world?

110Isliē bulātē haĩ ō god father āō .

115This is why they call out: O God, the Father, come!

111God father ākar batlātē haĩ ki maĩ ēk hī bār ātā hū̃ , jab sārī duniyā bhraṣhṭāchārī ban jātī hai .

116God, the Father, comes and tells us that He only comes once, when the whole world has become corrupt.

112Kitnī gōliyā̃ , bārud ādi banātē rahtē haĩ - ēk-dō kō mārnē kē liē .

117They continue to make so many bullets and bombs, etc. in order to kill one another.

113Ēk tō bombs banā rahē haĩ dūsrē phir natural calamities , floods , earth quake ādi hōṅgī , bijlī chamakēgī , bīmār paṛ jāyēṅgē kyōṅki khād tō bannī hai nā .

118On the one hand, they are making bombs, and on the other hand, there will be natural calamities, floods and earthquakes, etc. 119Lightning will flash, and people will fall ill, because fertiliser has to be made!

114Ganda key|kī hī khād bantī hai nā .

120Fertiliser is usually made out of rubbish.

115Tō is sārī sr̥iṣhṭi kō khād chāhiē jō phir first class utpatti hō .

121The whole of this world is going to need manure in order to produce first-class crops.

116Satyug mē̃ sirph bhārat hī thā .

122Only Bharat existed in the golden age.

117Ab itnē sabkā vināśh hōnā hai .

123So many are now going to be destroyed.

118Bāp kahtē haĩ maĩ ākar daivī rājdhānī sthāpan kartā hū̃ aur sab ḵẖatm hō jāyēṅgē , bākī tum svarg mē̃ jāyēṅgē .

124The Father says: I come to establish the deity kingdom; everything else is to be destroyed and you will then go to heaven.

119Svarg kō tō sab yād kartē haĩ nā .

125Everyone remembers heaven, but no one knows what heaven is.

120Parantu svarg kahā kiskō jātā hai - yah kōī kō patā nahī̃ .

126When someone dies, they say that he has gone to heaven.

121Kōī bhī marēgā kahē̃gē svargvāsī huā . 122Arē , kaliyug mē̃ jō marē̃gē tō jarūr punarjanma kaliyug mē̃ hī lē̃gē nā .

127Oh! but if someone dies in the iron age, he would surely take rebirth in the iron age. 128Some don’t even have this much sense.

123Itnā bhī akla kōī mē̃ nahī̃ hai . 124Doctor of|off philosophy ādi nām rakhātē haĩ , samajhtē kuchh nahī̃ .

129Although they give themselves such titles as Doctor of Philosophy, etc., they don’t understand anything.

125Manuṣhya mandir mē̃ rahnē vālē thē .

130Human beings used to be worthy of living in a temple.

126Vah hai kṣhīr sāgar , yah hai viṣhay sāgar .

131That was the ocean of milk, whereas it is now the ocean of poison.

127Yah sab bātē̃ bāp hī samjhātē haĩ .

132It is the Father who explains all of these things.

128Paṛhāyēṅgē tō manuṣhyō̃ kō , jānvar kō tō nahī̃ paṛhāyēṅgē .

133He teaches human beings. 134He doesn’t teach animals.

129Bāp samjhātē haĩ yah drama banā huā hai .

135The Father explains: This drama is predestined.

130Jaisā sāhūkār manuṣhya vaisā furniture hōgā .

136As is a wealthy person, so is his furniture.

131Garīb kē pās ṭhikkar-ṭhōbar hōgā , sāhūkār kē pās tō itnē vaibhav hōṅgē .

137The poor have clay pots, whereas the wealthy would have so many material possessions.

132Tum satyug mē̃ sāhūkār bantē hō tō tumhārē hīrē-javāharō̃ K|kē mahal hōtē haĩ .

138You are wealthy in the golden age and so you have palaces of gold and diamonds.

133Vahā̃ par kōī gandgī ādi nahī̃ hōtī , bāns nahī̃ hōtī .

139There is neither dirt, etc. there, nor any bad odours.

134Yahā̃ tō bāns hōtī hai isliē agarbattī ādi jagāī jātī hai .

140Here, there are bad odours. 141This is why incense sticks are lit.

135Vahā̃ tō phūlō̃ ādi mē̃ natural khuśhbū rahtī hai .

142There, there is the natural fragrance of flowers, etc.

136Agarbattī jalānē key|kī darkār nahī̃ paṛtī , unkō heaven kahā jātā hai .

143There is no need to light incense sticks there. 144It is called heaven!

137Bāp heaven kā mālik banānē kē liē paṛhātē haĩ .

145The Father is teaching you in order to make you into the masters of heaven.

138Dēkhō , kaisē sādhāraṇ hai .

146Just look how ordinary He is!

139Aisē bāp kō yād karnā bhī bhūl jātē haĩ  !

147You even forget to remember such a Father.

140Niśhchay pūrā nahī̃ tō bhūl jātē haĩ .

148You forget Him because you don’t have full faith.

141Jissē svarg kā varsā miltā hai , aisē māt-pitā kō bhūl jānā kaisī badakismatī hai .

149It is a matter of such misfortune to forget the Mother and Father from whom you receive your inheritance of heaven.

142Bāp ākar ūñch tē ūñch banātē haĩ .

150The Father comes and makes you the highest of all.

143Aisē māt-pitā key|kī mat par na chalē tō 100 percent most unlucky kahē̃gē .

151If you do not follow the directions of such a Mother and Father, you would be considered to be 100% most unlucky.

144Number-vār tō hōṅgē nā .

152Everyone will be numberwise.

145Kahā̃ paṛhāī sē viśhva kā mālik bannā , kahā̃ naukar chākar bannā  !

153There is such a huge difference between becoming a master of the world by studying and becoming a maid or servant.

146Tum samajh saktē hō ham kahā̃ tak paṛhtē haĩ .

154You can understand to what extent you are studying.

147Vahā̃ sirph dharm pitāyē̃ ātē haĩ dharm sthāpan karnē , yahā̃ māt-pitā hai kyōṅki pravr̥itti mārg hai nā .

155Elsewhere, founders of religions come to establish their religions, whereas here, there is the Mother and Father because this is a family path.

148Pavitra pravr̥itti mārg thā . 149Abhī hai apavitr pravr̥itti mārg .

156It used to be a pure family path and it is now an impure family path.

150Lakṣhmī-nārāyaṇ pavitra thē tō unhō̃ key|kī santān bhī pavitra thī .

157When Lakshmi and Narayan were pure, their children were also pure.

151Tum jāntē hō ham kyā banē̃gē  ?

158You understand what you will become.

152Māt-pitā kitnā ūñch banātē haĩ tō follow karnā chāhiē nā  !

159The Mother and Father makes you so elevated and so you should follow Him.

153Bhārat kō hī mother father country kahā jātā hai .

160It is Bharat that is called the Mother Father country.

154Satyug mē̃ sab pavitra thē , yahā̃ patit haĩ .

161In the golden age, everyone was pure whereas here, everyone is impure.

155Kitnā achchhī rīti samjhāyā jātā hai parantu bāp kō yād nahī̃ kartē tō buddhi kā tālā band hō jātā hai .

162Everything is explained so clearly to you, yet you do not remember the Father, and so the locks on your intellects remain closed.

156Suntē-suntē paṛhāī chhōṛ dētē haĩ tō tālā ēkdam band hō jātā hai .

163Although you listen, you renounce this study; the locks on your intellects become completely locked.

157School mē̃ bhī number-vār haĩ .

164In schools, too, they are numberwise.

158Pattharbuddhi aur pārasbuddhi kahā jātā hai .

165Reference is made to a stone intellect and a divine intellect.

159Pattharbuddhi kuchh bhī samajhtē nahī̃ , sārē din mē̃ 5 minute bhī bāp kō yād nahī̃ kartē . 1605 minute yād karē̃gē tō itnā hī tālā khulēgā .

166Those with stone intellects do not understand anything, because they don’t remember the Father for even five minutes out of the whole day.

161Jāstī yād karē̃gē tō achchhī rīti tālā khul jāyēgā . 162Sārā madār yād par hai .

167If they were to remember Him for five minutes, the locks on their intellects would open that much.

163Kōī-kōī bachchē bābā kō patra likhtē haĩ - priya bābā vā priya dādā .

168If they were to remember Him more, the locks would open fully. 169Everything depends on remembrance.

164Ab sirph priya dādā post mē̃ chiṭṭhī ḍālō tō milēgī  ?

170Some children write a letter to Baba addressed: “Dear Baba” or “Dear Dada”.

165Nām tō chāhiē nā  ! 166Dādā-dādiyā̃ tō duniyā mē̃ bahut haĩ .

171Now, if you simply address the letter to “Dear Dada” and post it, would it arrive here?

167Achchhā  ! 168Āj dīpāvalī hai .

172You definitely need to write the name.

169Dīpāvalī par nayā khātā rakhtē haĩ .

173There are many Dadas and Dadis in the world. 174Achcha.

170Tum sachchē sachchē brāhmaṇ hō .

175Today is Deepawali. 176People open new accounts at Deepawali.

171Vah brāhmaṇ lōg vyāpāriyō̃ sē nayā khātā rakhātē haĩ .

177You are true Brahmins. 178Those brahmin priests make businessmen open new accounts.

172Tumkō bhī apnā nayā khātā rakhnā hai . 173Parantu yah hai naī duniyā kē liē .

179You also have to keep new accounts, but these are for the new world.

174Bhakti mārg kā khātā hai bēhad ghāṭē kā .

180The accounts of the path of devotion are of unlimited loss.

175Tum bēhad kā varsā pātē hō , bēhad key|kī sukh-śhānti pātē hō .

181You attain the unlimited inheritance and you attain unlimited peace and happiness.

176Yah bēhad key|kī bātē̃ bēhad kā bāp baiṭh samjhātē haĩ aur bēhad kā sukh pānē vālē bachchē hī yah sab samajh saktē haĩ . 177Bāp kē pās kōṭō̃ mē̃ kōī hī ātē haĩ .

182The unlimited Father sits here and explains these unlimited aspects, but only the children who are to receive unlimited happiness are able to understand all of these things.

178Chaltē-chaltē kamāī mē̃ ghāṭā paṛtā hai tō jō jamā kiyā hai vah bhī nā hō jātī hai .

183Only a handful out of multimillions come to the Father. 184Some, while moving along, start to lose their income.

179Tumhārā khātā vr̥iddhi kō tab pātā hai jab kōī kō dān dētē hō .

185Then, whatever they have accumulated is cancelled. 186Your account increases when you donate to others.

180Dān nahī̃ dētē hō tō āmdanī key|kī vr̥iddhi nahī̃ hōtī hai .

187If you do not donate, your income does not increase.

181Tum puruṣhārth kartē hō āmdanī key|kī vr̥iddhi hō .

188You are making effort to increase your income.

182Vah tab hōgī jab kiskō dān karē̃gē , phāydā prāpt karāyēṅgē .

189That will only happen when you donate to others and enable them to receive benefit.

183Kōī kō bāp kā parichay diyā , gōyā jamā huā .

190To give the Father’s introduction to someone means to accumulate.

184Parichay nahī̃ dētē hō tō jamā bhī nahī̃ hōtā hai .

191If you do not give the Father’s introduction, you do not accumulate anything.

185Tumhārī kamāī bahut-bahut baṛī hai .

192Your income is extremely great.

186Murlī sē tumhārī sachchī kamāī hōtī hai , sirph yah mālūm paṛ jāē ki murlī kiskī hai  ?

193You can earn a true income by studying the murlis, but you need to know whose murlis they are.

187Yah bhī tum bachchē jāntē hō jō sānvarē ban gayē haĩ unhō̃ kō hī gōrā bannē kē liē murlī sunnī hai .

194You children also know that those who have become ugly have to listen to the murlis in order to become beautiful.

188Murlī tērī mē̃ hai jādū .

195“There is magic in Your murli”.

189Khudāī jādū kahtē haĩ nā .

196They speak of God's magic.

190Tō is murlī mē̃ khudāī jādū hai .

197So, there is Godly magic in these murlis.

191Yah gyān bhī tumkō abhī hai .

198It is now that you have this knowledge.

192Dēvtāō̃ mē̃ yah gyān nahī̃ thā .

199Deities did not have this knowledge.

193Jab unmē̃ hī gyān nahī̃ thā tō pichhāṛī vālō̃ mē̃ gyān kaisē hō saktā  ?

200Since they didn’t have this knowledge, how could those who came after them have this knowledge?

194Śhāstra ādi bhī jō bād mē̃ bantē haĩ vah sab ḵẖatm hō jāyēṅgē .

201All the scriptures that were written later on will also be destroyed.

195Tumhārī yah sachchī gītāyē̃ tō bahut thōṛī haĩ . 196Duniyā mē̃ tō vah gītāyē̃ lākhō̃ key|kī andāj mē̃ hōṅgī .

202There are very few of your true Gitas, whereas those in the world must number hundreds of thousands.

197Vāstav mē̃ yah chitra hī sachchī gītā haĩ .

203In fact, it is these pictures that are the true Gita.

198Us gītā sē itnā nahī̃ samajh sakē̃gē jitnā in chitrō̃ sē samajh sakē̃gē .

204People are not able to understand as much from those Gitas as they can from these pictures.

199Achchhā  !

205Achcha.

200Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .

206To the sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

201Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

207The spiritual Father says namaste to the spiritual children.

Essence for dharna

202Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

208Essence for dharna:

2031 ) achchhī rīti paṛhāī paṛhkar svayã kō bakhtāvar ( takdīrvān ) banānā hai .

209 1. Study very well and make yourself fortunate.

204Dēvtā bannē kē liē pakkā brāhmaṇ bannā hai .

210In order to become a deity, become a firmBrahmin.

2052 ) dēhī bāp kō yād karnē kē liē dēhī-abhimānī bannā hai .

211 2. In order to remember the bodiless Father, become soul conscious.

206Dēh kō bhī bhūlnē kā abhyās karnā hai .

212Practise forgetting your body.

Blessing

207Vardān  : sadā apnē kō sārathī aur sākṣhī samajh dēh-bhān sē nyārē rahnē vālē yōgyukt bhav

213Blessing: May you be yogyukt and remain beyond body consciousness by constantly considering yourself to be a co-charioteer and a detached observer.

208Yōgyukt rahnē key|kī saral vidhi hai - sadā apnē kō sārathī aur sākṣhī samajhkar chalnā .

214 The easy way to become yogyukt is to move along while constantly considering yourself to be a co-charioteer and a detached observer.

209Is rath kō chalānē vālī ham ātmā sārathī haĩ , yah smr̥iti svataḥ is rath athavā dēh sē vā kisī bhī prakār K|kē dēh-bhān sē nyārā banā dētī hai .

215“I, this soul, am the one who drives this chariot.” 216This awareness automatically makes you detached from your chariot, your body and from any type of body consciousness.

210Dēh-bhān nahī̃ tō sahaj yōgyukt ban jātē aur her|har karma bhī yuktiyukt hōtā hai .

217When you do not have any body consciousness, you easily become yogyukt and every action you perform will be yuktiyukt.

211Svayã kō sārathī samajhnē sē sarv karmēndriyā̃ apnē control mē̃ rahtī haĩ .

218By considering yourself to be a co-charioteer, all your physical senses will stay under your control.

212Vah kisī bhī karmēndriy K|kē vaśh nahī̃ hō saktē .

219Such a soul is not controlled by his physical senses.

Slogan

213Slōgan  : vijayī ātmā bannā hai tō attention aur abhyās - isē nizī saṅskār banā lō .

220Slogan: In order to be a victorious soul, make “paying attention” and “practising this” your original sanskars.

221*** Om Shanti ***