रविवार 17 दिसंबर 2023 की दैनिक मुरली

ध्यान दें: वाक्यों का संरेखण अक्षरों की संख्या पर आधारित है और पूरी तरह विश्वसनीय नहीं है।

आप पूरी मुरली या उसके किसी भाग का वाक्य संरेखण स्वयं सुधार सकते हैं।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

017-12-23 prātaḥmurlī ōm śhānti ' ' avyakt-bāpdādā ' ' revise 06-03-97 madhuban

0 17/12/23 Madhuban Avyakt BapDada Om Shanti 06/03/1997

1Śhiv jayantī key|kī gift - mēhnat kō chhōṛ muhabbat K|kē jhūlē mē̃ jhūlō

1A gift for Shiv Jayanti: Stop labouring and swing in the swing of love.

2Āj svayã śhiv pitā apnē chārō̃ ōr K|kē āyē huē bachchō̃ sē apnī jayanti manānē āyē haĩ .

2Today, Father Shiva, Himself, has come to celebrate His own birthday with the children from all directions.

3Kitnā bachchō̃ kā bhāgya hai jō svayã bāp milnē aur manānē āyē haĩ .

3The children’s fortune is so great that the Father Himself has come to meet you and celebrate it with you.

4Duniyā vālē tō pukārtē rahtē haĩ - āō , kab āyēṅgē , kis rūp mē̃ āyēṅgē , āhvān kartē rahtē haĩ aur āp bachchō̃ sē svayã bāp manānē kē liē āyē haĩ .

4People of the world continue to call out, “When will He come?” 5“In which form will He come?” and they continue to invoke Baba in this way, whereas the Father Himself has come to celebrate it with you children.

5Aisā vichitr dr̥iśhya kabhī svapn mē̃ bhī nahī̃ sōchā hōgā , lēkin āj sākār rūp mē̃ manānē kē liē bhāg-bhāg kar pahuñch gayē hō .

6Even in your dreams, you would never have thought of such a unique scene. 7However, all of you have come running here in order to celebrate it in your corporeal forms.

6Bāp bhī chārō̃ ōr K|kē bachchō̃ kō dēkh harṣhit hōtē haĩ - vāh śhāligrām bachchē vāh  !

8The Father is pleased to see the children from all directions and says: Wah! 9My saligram children, wah!

7Vāh sākār svarūpadhārī hōvanhār phariśhtā sō dēvtā bachchē vāh  !

10Wah! 11My children who have adopted corporeal forms and are to become angels who will then become deities, wah!

8Bhakta bachchō̃ aur āp gyānī tū ātmā bachchō̃ mē̃ kitnā antar hai .

12There is such a vast difference between all of you, My knowledgeable children, and My devotee children.

9Bhagat bhāvnā kā , alpkāl kā phal pākar khuśh hō jātē haĩ .

13Devotees become very happy when they receive some temporary fruit of their love and devotion.

10Vāh-vāh K|kē gīt gātē rahtē haĩ aur āp gyānī tū ātmāyē̃ bachchē thōṛā sā alpkāl kā phal nahī̃ pātē lēkin bāp sē pūrā varsā lē , varsē K|kē adhikārī ban jātē hō .

14They continue to sing songs of “Wah! wah!”, whereas you knowledgeable children do not just receive some temporary fruit, but you claim the full inheritance from the Father and become the ones who have all rights.

11Tō bhakta ātmāyē̃ aur gyānī tū ātmā bachchō̃ mē̃ kitnā antar hai  !

15There is such a vast difference between you knowledgeable children and the devotees.

12Manātē bhakta bhī haĩ aur manānē āp bhī āyē haĩ lēkin manānē mē̃ kitnā antar hai  ! 13Śhiv jayantī manānē āyē hō nā  !

16The devotees celebrate Shiv Jayanti and you have also been celebrating it, but there is so much difference in the way you celebrate.

14Bhāg-bhāg kar āyē haĩ kōī America sē , kōī london sē , kōī Australia sē , kōī ēśhiyā sē , kitnā snēh sē ākar pahuñchē haĩ .

17All of you have come to celebrate Shiv Jayanti, have you not? 18All of you have come running, some from America, some from London, Australia and Asia.

15Tō bāpdādā , bāp key|kī jayantī sāth mē̃ bachchō̃ key|kī bhī jayantī hai , tō bāp kē sāth bachchō̃ K|kē bhī jayantī key|kī mubārak hō , mubārak hō , mubārak hō kyōṅki akēlā bāp is sākār duniyā mē̃ sivāē bachchō̃ K|kē kōī bhī kārya kar nahī̃ saktā .

19You have come here with so much love. 20So, today, it is Baba’s jayanti and also the children’s jayanti. 21So congratulations, congratulations, congratulations for the jayanti of the Father and also of the children. 22The Father on His own, without the children, cannot do anything in this corporeal world.

16Itnā bachchō̃ sē pyār hai .

23He has this much love for the children.

17Akēlā kar hī nahī̃ saktā .

24He just cannot do anything without the children.

18Pahlē bachchō̃ kō nimitt banātē phir backbone hōkar vā combined hōkar , karāvanhār hōkar nimitt bachchō̃ sē kārya karātē haĩ .

25He first makes the children His instruments and then He Himself becomes the Backbone, He remains combined and, as Karavanhar, inspires you children to do everything.

19Sākār duniyā mē̃ akēlā , bachchō̃ K|kē binā nahī̃ pasand kartā .

26He doesn’t like doing anything in the corporeal world without the children.

20Nirākārī duniyā mē̃ tō āp bachchē bāp kō akēlā chhōṛkar chalē jātē hō .

27You children leave the Father behind all by Himself in the incorporeal world.

21Bāp key|kī āgyā sē hī jātē hō lēkin sākār duniyā mē̃ bāp bachchō̃ K|kē binā rah nahī̃ saktē .

28Of course, you come down on the Father’s instructions, but He cannot stay in the corporeal world without you children.

22Bachchē jarūr sāth chāhiē .

29You children are definitely needed with the Father.

23Bachchō̃ kā bhī vāydā hai sāth rahē̃gē , sāth chalē̃gē - sirph nirākārī duniyā tak .

30You children have also made a promise: “We will stay with You, we will return home with You.”

24Bāpdādā dēkh rahē thē ki sabhī bachchō̃ kō bāp key|kī jayantī manānē kā kitnā umaṅg-utsāh hai .

31That is just to the incorporeal world! 32BapDada saw that all you children have so much zeal and enthusiasm for celebrating the Father’s birthday.

25Tō bāp bhī dēkhō bachchō̃ K|kē snēh mē̃ āpkē sāth sākār śharīr kā loan lēkar pahuñch gayē haĩ .

33So, because of the children’s love, Baba Himself has also come here and taken the support of a corporeal body.

26Iskō kahtē haĩ alaukik pyār .

34This is called spiritual love.

27Bachchē bāp K|kē binā nahī̃ rah saktē aur bāp bachchō̃ K|kē binā nahī̃ rah saktē .

35You children cannot stay without the Father and the Father cannot stay without you children.

28Pyār bhī ati hai aur phir nyārē bhī ati haĩ , isīliē bāp key|kī mahimā hī hai nyārā aur pyārā .

36Baba has so much love, but then He is also extremely detached, and this is why His praise is “the loving and detached One.”

29Bachchē bāp kē liē bahut prakār key|kī gift chāhē card , chāhē kōī chīzē̃ , chāhē dil K|kē umaṅg K|kē patra , jō bhī lāyē haĩ bāp kē pās āj K|kē din vatan mē̃ sab gift kā museum lagā huā hai .

37You children have brought a lot of gifts, cards, and letters written with hopes in your hearts especially for this day. 38A museum has been set up in the subtle region to display all of them.

30Āpkā museum hai sēvā kā aur bāp kā museum hai snēh kā .

39Your museum is for service and the Father’s museum is of love.

31Tō jō bhī sabhī lāyē haĩ vā bhējē haĩ sabkā snēh sampann gift bāp kē pās abhī bhī museum lagā huā hai .

40Whatever each one has brought or sent; all the gifts filled with love are put in BapDada’s museum.

32Jinhō̃ kō dēkh-dēkh bāp harṣhit rahtē haĩ .

41Seeing all of them, the Father is very pleased.

33Chīz baṛī nahī̃ hai lēkin jab chīz mē̃ snēh bhar jātā hai tō vah chhōṭī chīz bhī bahut mahān ban jātī hai .

42A gift may not be big, but when it is filled with love, even a tiny gift becomes very elevated.

34Tō bāpdādā chīj kō nahī̃ dēkhtē haĩ , kāgaj K|kē card kō yā patra kō nahī̃ dēkhtē haĩ lēkin usmē̃ samāyē huē dil K|kē snēh kō dēkhtē haĩ , isīliē kahā ki bāp kē pās snēh kā museum hai .

43So BapDada is not looking at the object, He is not looking at the paper of the card or the letter, but He is looking at the love of the heart that is merged within it. 44This is why Baba said that He has a museum of love.

35Aisā museum āpkē world mē̃ nahī̃ hai .

45There isn’t a single museum like this one in your entire world.

36Hai aisā museum  ?

46Do you have such a museum?

37Nahī̃ hai .

47You don’t, do you?

38Jab bāp ēk-ēk pyār key|kī gift kō dēkhtē haĩ tō dēkhtē hī bachchē key|kī sūrat usmē̃ dikhāī dētī hai .

48When Baba sees each gift with a lot of love, the image of the child also appears in front of Him.

39Aisā camera hai āpkē pās|pass  ?

49Do you have such a camera?

40Nahī̃ hai .

50You don’t, do you?

41Gift kō dēkhtē huē bāpdādā kō ēk śhubh saṅkalp uṭhā , batāyē̃  ?

51Seeing these gifts, BapDada has a pure thought. 52Should Baba tell you?

42Karnā paṛēgā .

53You will then have to do that.

43Karē̃gē , taiyār haĩ  ?

54Will you fulfil that?

44Sōchnā nahī̃ .

55Are you ready for it?

45Bāpdādā kō saṅkalp uṭhā yah gift tō bāp kē pās pahuñch gaī lēkin sāth mē̃ bāpdādā kō ēk aur bhī gift chāhiē .

56Do not think about it! 57BapDada has the thought that all these gifts have reached Him, but, together with these, BapDada also wants another gift.

46Āp lōgō̃ key|kī gift bahut achchhī hai lēkin bāpdādā kō aur bhī chāhiē .

58The gifts that all of you have given are very good, but BapDada wants something else.

47Tō dēgē gift  ?

59So, will you give this gift?

48Vaisē bhī yah jō yādgār manātē haĩ , śhiv jayantī arthāt kuchh na kuchh arpaṇ kartē haĩ .

60In any case, when people celebrate Shiv Jayanti, they offer something or other.

49Balihār jātē haĩ .

61They surrender themselves.

50Tō bāpdādā nē sōchā , balihār tō sab bachchē gayē haĩ .

62So BapDada thought that all of you children have surrendered yourselves already.

51Balihār hō gayē haĩ yā abhī thōṛā-thōṛā apnē pās|pass sambhālkar rakhā hai  ?

63Have you totally surrendered everything, or have you still kept something with yourselves?

52Āj K|kē din vrat bhī lētē haĩ .

64Have you kept some things with yourselves to look after?

53Tō bāpdādā kō saṅkalp āyā ki bachchē jō kabhī-kabhī thōṛā sā chaltē-chaltē thak jātē haĩ , mēhnat bahut mahsūs kartē haĩ yā nirantar yōg lagānā muśhkil anubhav kartē haĩ , sōchtē haĩ hō tō jāyēgā … bāp kō dilāsē dētē haĩ - āp phikar nahī̃ karō , hō jāyēgā .

65People also observe a fast today. 66So, BapDada has the thought that sometimes not always, but sometimes - whilst moving along, some children get a little tired; they feel that they have to work very hard, and when it comes to having constant yoga, they think: “It will happen, it will happen.” 67In this way, you give hope to Baba: Baba, don’t worry, it will happen.

54Lēkin bāpdādā kō bachchō̃ key|kī thakāvaṭ vā akēlāpan yā kabhī-kabhī , kōī-kōī thōṛā sā dilśhikasta bhī hō jātē haĩ , patā nahī̃ hamārā bhāgya hai yā nahī̃ hai … kabhī-kabhī aisā sōchtē haĩ tō yah bāp kō achchhā nahī̃ lagtā .

68However, Baba does not like it when you children get tired or begin to feel lonely. 69Sometimes, they even become disheartened and think: “I don’t know whether it is in my fortune or not.” 70When you sometimes think in that way, BapDada doesn’t like it.

55Sabsē jyādā bāp kō bachchō̃ key|kī mēhnat achchhī nahī̃ lagtī .

71The thing that Baba likes the least is to see the children having to labour.

56Mālik aur mēhnat  !

72Masters having to labour!

57Bāp K|kē bhī bālak sō mālik haĩ .

73You are the masters who are the children of the Father.

58Bhagvān K|kē bhī mālik aur phir mēhnat karē̃  ! 59Tō achchhā lagēgā  ?

74You are even the masters of God, and so, why are you labouring?

60Sunnā bhī achchhā nahī̃ lagtā .

75Would Baba like this?

61Tō bāp kō saṅkalp āyā ki bachchē birth day key|kī gift tō jarūr dētē hī haĩ tō kyō̃ nahī̃ āj K|kē din sabhī bachchē yah gift K|kē rūp mē̃ dē̃ .

76Baba doesn’t like even hearing about it. 77So Baba had the thought: Why should the children not give a gift today, just as you give birthday gifts?

62Vah sthūl gift jō dī|the vah tō vatan mē̃ emerge hō gaī , lēkin nirākārī duniyā mē̃ tō yah gift emerge nahī̃ hōgī .

78However, although physical gifts can be brought into the subtle region, those gifts cannot be made to emerge in the incorporeal world.

63Vahā̃ tō saṅkalp key|kī gift pahuñchtī hai .

79Only gifts of thoughts will reach there.

64Tō bāp kō saṅkalp āyā ki āj K|kē din sab bachchō̃ sē gift lēnī hai .

80So, today, BapDada has the thought of taking a gift from every child. 81Should Baba take these?

65Tō gift dēgē yā dēkar phir vahā̃ jākar vāpas lē lē̃gē  ? 66Kahē̃gē , madhuban kā madhuban mē̃ rahā aur apnē dēśh mē̃ apnā dēśh hai , aisē tō nahī̃ karē̃gē  ?

82Will each of you give this gift? 83Would you say: “Whatever happened in Madhuban is left behind in Madhuban, for everything in our land is of this land.” 84You will not do this, will you?

67Bachchē baṛē chatur hō gayē haĩ .

85Some children have become very clever.

68Bāp kō kahtē haĩ ki ham chāhtē tō nahī̃ haĩ vāpas āyē , lēkin ā jātī hai .

86What do you tell Baba? 87“We do not wish for it to come back, but it comes back by itself.”

69Ā jātī hai tō āp svīkār kyō̃ kartē hō  ?

88If it comes back, why do you accept it? 89It is right that it comes back.

70Ā jātī hai yah right hai , lēkin kōī chīz āpkō pasand nahī̃ hai aur kōī jabardastī bhī dē tō āp lē̃gē yā vāpas dē dēgē  ?

90However, if someone is forcing you to take something that you do not like, would you accept it or would you give it back? 91You would return it, would you not?

71Vāpas dēgē nā  ?

92So why do you accept it?

72Tō svīkār kyō̃ kartē hō  ? 73Māyā tō vāpas lāyēgī lēkin āp svīkār nahī̃ karō .

93Maya will bring it back to you, but you must not accept it. 94Do you have this courage?

74Aisī himmat hai  ? 75Sōchkar kahō .

95Reply after considering it carefully.

76Phir vahā̃ jākar nahī̃ kahnā - bābā kyā karū̃ , chāhtē nahī̃ haĩ lēkin hō gayā .

96Then, when you return home, do not say: “Baba, what can I do? 97I didn’t want it to happen, but it came back.”

77Aisē patra tō nahī̃ likhē̃gē  ?

98You will not write such letters, will you?

78Āpkī himmat aur bāp key|kī madad .

99No. 100Keep your courage and take Baba’s help.

79Himmat cum|kam nahī̃ karnā phir dēkhō bāp key|kī madad miltī hai yā nahī̃ .

101Do not let go of your courage and then see whether you receive Baba’s help or not.

80Sabhī kō anubhav bhī hai ki himmat rakhnē sē bāp key|kī madad samay par miltī hai aur milnī hī hai , guarantee hai .

102All of you have experienced that, by keeping your courage whenever it is needed, Baba definitely helps and you will continue to receive help. 103This is guaranteed.

81Himmat āpkī madad bāp key|kī .

104It has to be your courage and there will then be Baba’s help.

82Tō saṅkalp kyā huā  ?

105So, what was the thought?

83Chēhrē dēkh rahē haĩ - himmat hai yā nahī̃ hai  !

106Baba is seeing all of your faces and seeing whether you have courage or not.

84Himmat vālē tō hō , kyōṅki agar himmat nahī̃ hōtī tō bāp K|kē bantē nahī̃ .

107All of you do have courage. 108Why? 109If you didn’t have courage, you would not have belonged to Baba.

85Ban gayē - issē siddha hōtā hai ki himmat hai .

110You now belong to Baba and this proves that you have courage.

86Sirph chhōṭī see|sī|C bāt kartē hō ki samay par himmat kō thōṛā sā bhūl jātē hō .

111You just make a small mistake and that is, at a time of need, you forget to have courage.

87Jab kuchh hō jātā hai nā tō pīchhē himmat vā madad yād ātī hai .

112After something happens, you remember your courage and the help you get when the situation has passed.

88Samay par sab śhaktiyā̃ , samay pramāṇ use karnā iskō kahā jātā hai gyānī tū ātmā , yōgī tū ātmā .

113To be able to use all the powers at the right time, according to the time, is known as being a gyani soul and a yogi soul.

89Bāpdādā kō ēk bāt key|kī bahut khuśhī hai , patā hai kis bāt key|kī  ?

114BapDada is very pleased about one thing: Do you know what that is?

90Bōlō .

115Speak!

91 ( bahutō̃ nē sunāyā ) sab ṭhīk bōl rahē hō lēkin bāp kā saṅkalp aur hai .

116(Many spoke.) 117What all of you are saying is right, but BapDada’s thought is something else.

92Āp bahut guhya sunā rahē hō , knowledgeful hō gayē hō nā .

118What all of you are saying is very deep, since all of you have become knowledge-full, haven’t you?

93Bāpdādā khuśh hō rahē thē ki kaī bachchō̃ nē patra aur chiṭkī likhī hai ki ham 108 mē̃ āyēṅgē , bahut chiṭkiyā̃ āī haĩ .

119BapDada is pleased that some children have sent letters and cards stating that they will become part of the 108. Many little notes like this have come.

94Bāpdādā nē sōchā jab itnē 108 mē̃ āyēṅgē , tō 108 key|kī mālā pāñch laṛiyō̃ key|kī banānī paṛēgī .

120BapDada thought that, since so many have sent their names, the garland of 108 will have to be prepared with five strings.

95Tō 5-6-7-8 laṛiyō̃ key|kī mālā banāyē̃ nā  ?

121Should we make the garland of five, six, seven or eight strings?

96Jinhōnnē saṅkalp kiyā hai , lakṣhya rakhā hai bahut achchhā hai .

122It is very good that you have had this thought and kept the aim.

97Lēkin sirph is saṅkalp kō bīch-bīch mē̃ dr̥iṛh kartē rahnā .

123However, continue to make this thought firm every now and then. 124Do not let it become slack.

98Ḍhīlā nahī̃ karnā .

125You will not say, “Maya has come,” will you?

99Aisē tō nahī̃ kahē̃gē māyā ā gaī - ab patā nahī̃ āyēṅgē yā nahī̃  !

126Don’t say: “I don’t know whether I will enter that or not? 127Will I become part of the rosary or not?

100Patā nahī̃ , patā nahī̃ … nahī̃ karnā .

128Do not say, “I don’t know...., I don’t know....”

101Patā kar liyā , ānā hī hai .

129You now know that you will enter it (the rosary of 108).

102Dr̥iṛhtā kā ṭhappā lagātē rahnā .

130Continue to stamp the thought with determination.

103Hā̃ mujhē ānā hī hai , kuchh bhī hō jāē , mērā niśhchay aṭal hai , akhaṇḍ hai .

131“Yes, I have to become part of this rosary, no matter what happens. 132My faith is unshakable and unbreakable.”

104Aisā aṭal-akhaṇḍ niśhchay hai  ?

133Do you have such unshakeable and unbreakable faith?

105Tō māyā kō hilānē kē liē bhējē̃  ?

134Should Baba send Maya to shake you?

106Nahī̃  ?

135No?

107Ḍartē hō  ?

136Are you afraid?

108Māyā āpsē ḍartī hai aur āp māyā sē ḍartē hō  ?

137You are afraid of Maya and Maya is afraid of you.

109Māyā apnē darvājē dēkhtī hai , yahā̃ khulā huā hai , yahā̃ khulā huā hai .

138Maya looks at your doors to see which doors are open. 139This door is open, that door is open.

110Ḍhūṇḍhtī rahtī hai .

140She continues to look for open doors.

111Āp ghabrātē kyō̃ hō  ?

141So, why are you afraid?

112Māyā kuchh nahī̃ hai .

142Maya is nothing.

113Kuchh nahī̃ kahō tō kuchh nahī̃ hō jāyēgī .

143If you say, Maya is nothing, it will become nothing.

114Ā nahī̃ saktī , ā nahī̃ saktī , tō ā nahī̃ saktī .

144If you say, Maya cannot come, Maya cannot come, she will not be able to come.

115Kyā karē̃ …  ? 116Tō māyā kā darvājā khōlā , āhvān kiyā .

145“What should I do?” - in this way, you open the door to Maya and invite her in.

117Tō achchhī bāt hai ki bahut bachchō̃ nē 108 mē̃ ānē key|kī promise kiyā hai . 118Kiyā hai nā  ?

146It is a good thing that many children have made a promise to the Father to become part of the 108. You have made this promise, have you not?

119Jinhōnnē kahā hai ki ham 108 mē̃ āyēṅgē - vah lambā hāth uṭhāō .

147Out of all of you sitting here, all of you who said that you will enter the 108, raise your hands.

120Achchhī tarah sē drill karō .

148Raise your hands high. 149Perform this drill very well.

121Bahut achchhā , mubārak hō .

150Very good. 151Congratulations.

122Yah nahī̃ sōchō ki 108 mē̃ kitnē āyēṅgē , ham kahā̃ āyēṅgē - yah nahī̃ sōchō .

152Do not think: “How many will come in the 108? 153How will it be possible for me to come in this?”

123Pahlē gintī karnē lag jātē haĩ - dādī āyēṅgī , dīdī āyēṅgī , phir dādē bhī āyēṅgē , advance party vālē bhī āyēṅgē .

154Do not think in this way. 155You start to count: “First, the Dadis will come in this, then there will be the Didis, then the Dadas, then those of the advance party.

124Hamārā number āyēgā yā nahī̃ , patā nahī̃  !

156I don’t know whether my number will come or not.”

125Bāpdādā nē kahā ki bāpdādā 8-10 laṛō̃ key|kī mālā banā dēgē , isliē āp yah chintā nahī̃ karō .

157BapDada has told you that He would then make a rosary of eight to ten strings. 158Therefore, you should not worry about this.

126Aurō̃ kō nahī̃ dēkhō , āpkō number mil hī jānā hai , yah bāp key|kī guarantee hai .

159Do not look at others, you will receive your number. 160This is the Father’s guarantee.

127Āp kinārā nahī̃ karnā .

161Do not step aside by thinking in this way.

128Mālā K|kē bīch mē̃ dhāgā khālī nahī̃ karnā .

162Do not let the thread of the rosary remain empty somewhere in the middle.

129Ēk dānā bīch sē ṭūṭ jāē , nikal jāē tō mālā achchhī nahī̃ lagēgī .

163If a bead were to break and be removed from the middle, the garland would not be good.

130Sirph yah nahī̃ karnā , bākī bābā key|kī guarantee hai āp jarūr āyēṅgē .

164Do not do this. 165However, Baba guarantees that you will definitely come in the rosary.

131Āj tō manānē āyē haĩ , murlī chalānē thōṛēhī āyē haĩ .

166Today, Baba has come to celebrate, He has not come to conduct a murli, Baba has come to celebrate today.

132Tō aur jō bhī hō vah mālā mē̃ ā jāō , 108 key|kī mālā mē̃ sabkō welcome hai . 133Yah tō bhakti mārg vālō̃ nē 108 key|kī mālā banā lī . 134Bāpdādā tō kitnī bhī baṛhā saktā hai . 135Sirph ismē̃ gift tō bāp jarūr lēgā , gift kō nahī̃ chhōṛēgā .

167Anyone else who also wants to become part of the rosary can do so; all of you are welcome in the rosary of 108. It is the people of the path of devotion who have created the rosary of 108. BapDada can increase it as much as He wants, but Baba will definitely take a gift from you for this.

136Chhōṭī see|sī|C gift hai kōī baṛī nahī̃ hai , kyōṅki bāp nē sabhī bachchō̃ kā 6 mās kā chart dēkhā .

168He will not leave without the gift. 169It is just a little gift. 170It is not a big thing, because Baba has seen the charts for the last six months of all the children.

137Tō kyā dēkhā  ?

171So what did Baba see?

138Agar kōī bhī bachchē thōṛā bhī nīchē-ūpar hōtē haĩ , achal sē halchal mē̃ ātē haĩ tō uskā kāraṇ sirph 3 bātē̃ mukhya haĩ , vahī tīn bātē̃ bhinn-bhinn samasyā yā paristhiti bankar ātī haĩ .

172If some children fluctuate even a little, if they start to fluctuate from being completely unshakable, there are three main reasons for this. 173The same three things come in front of you as different problems or situations. 174What are those three things?

139Vah tīn bātē̃ kyā haĩ  ? 140Aśhubh vā vyarth sōchnā . 141Aśhubh vā vyarth bōlnā aur aśhubh vā vyarth karnā .

175To think of anything impure or wasteful, to speak of anything impure or wasteful and to do anything impure or wasteful. 176To think, to speak and to do.

142Sōchnā , bōlnā aur karnā - ismē̃ time west|waste bahut hōtā hai .

177Now, there aren’t as many sinful actions being performed; they are being performed, but fewer.

143Abhī vikarma kam hōtē haĩ , vyarth jyādā hōtē haĩ .

178The number of wasteful actions being performed is greater.

144Vyarth kā tūphān hilā dētā hai aur pahlē sōch mē̃ ātā hai , phir bōl mē̃ ātā hai , phir karma mē̃ ātā hai aur result mē̃ dēkhā tō kisī kā bōl aur karma mē̃ nahī̃ ātā hai lēkin sōchnē mē̃ bahut ātā hai .

179The storms of waste make you fluctuate; they first enter your thoughts, then your words and then they enter your actions. 180As a result, Baba saw that some of you do not do this in your words or actions, but that you do think in this way a great deal. 181A lot of time is wasted in this.

145Jō samay banānē kā hai , vah sōchnē mē̃ bīt jātā hai .

182The time that you have for accumulating is spent thinking.

146Tō bāpdādā āj yah tīn bātē̃ sōchnā , bōlnā aur karnā - inkī gift sabhī sē lēnē chāhtē haĩ .

183So today, BapDada wants the gift of these three things from everyone: of thinking, speaking and doing.

147Taiyār haĩ  ? 148Jinhōnnē dē dī vah hāth uṭhāō .

184Those of you who have already given this, raise your hands!

149Hāth kā video achchhī tarah sē ēk-ēk side kā nikālō .

185Take a very clear video of the raised hands. 186Take a video from every side!

150Baṛā hāth uṭhāō .

187Raise your hands high!

151Drill nahī̃ kartē hō isīliē mōṭē hō jātē hō .

188You do not perform drill enough and this is why you put on weight.

152Achchhā , sabhī nē yah dē diyā .

189Achcha, has everyone given this gift?

153Vāpas nahī̃ lēnā .

190Do not take it back.

154Yah nahī̃ kahnā ki mukh sē nikal gayā , kyā karē̃  ?

191Do not say, it just emerged from my lips, so what can I do?

155Mukh par dr̥iṛh saṅkalp kā button lagā dō .

192Put a button of determined thought on your lips.

156Dr̥iṛh saṅkalp kā button tō hai nā  ?

193You have this button of determined thoughts, do you not?

157Kyōṅki bāpdādā kō bachchō̃ sē pyār hai nā .

194BapDada has great love for the children.

158Tō pyār key|kī niśhānī hai , pyār vālē key|kī mēhnat dēkh nahī̃ saktē .

195So a sign of love is that you cannot bear to see the one you love having to labour.

159Bāpdādā tō us samay yahī sōchtē ki bāpdādā sākār mē̃ jākar inkō kuchh bōlē , lēkin ab tō ākārī , nirākārī hai .

196At that time, BapDada has the thought that He should go into the corporeal world and say something to that child, but then He is in a subtle or incorporeal form.

160Bilkul sabhī mēhnat sē dūr muhabbat K|kē jhūlē mē̃ jhūltē rahō .

197All of you should constantly continue to swing in the swing of love and distance yourself from having to labour.

161Jab muhabbat K|kē jhūlē mē̃ jhūltē rahē̃gē tō mēhnat samāpt hō jāyēgī .

198When you continually swing in the swing of love, all labouring will finish.

162Mēhnat kō khatm karē̃ , khatm karē̃ nahī̃ sōchō .

199Do not continue to think: “I want to stop having to labour, I want to stop this.”

163Sirph muhabbat K|kē jhūlē mē̃ baiṭh jāō , mēhnat āpēhī chhūṭ jāyēgī .

200Simply sit in the swing of love and your labouring will automatically stop.

164Chhōṛnē key|kī kōśhiśh nahī̃ karō , baiṭhnē key|kī , jhūlnē key|kī kōśhiśh karō .

201Do not try to stop it, but try to sit in the swing and swing instead.

165Śhiv jayantī arthāt bachchō̃ K|kē mēhnat samāpt kī jayantī .

202Shiv Jayanti means the jayanti of children stopping working hard.

166Ṭhīk hai nā  ?

203That is right, isn’t it?

167Bāp kō bhī bachchō̃ par faith hai .

204The Father has faith in the children.

168Patā nahī̃ kaisē kōī-kōī kinārā kar lētē haĩ jō bāp kō bhī patā nahī̃ paṛtā .

205Sometimes, some of you step away from Baba, but even Baba cannot understand how you stepped away.

169Chhatrachhāyā K|kē andar baiṭhē rahō .

206Simply remain seated under the canopy.

170Brāhmaṇ jīvan kā arth|earth hī hai jhūlnā , māyā mē̃ nahī̃ .

207Brahmin life means to swing with Baba: not with Maya. 208Maya also makes you swing.

171Māyā bhī jhulātī hai .

209At amrit vela, see how Maya makes you swing.

172Amr̥itvēlē dēkhō māyā aisē jhulātī hai jō sūkṣhmavatan mē̃ ānē kē bajāē , nirākārī duniyā mē̃ ānē kē bajāē nidrālōk mē̃ chalē jātē haĩ .

210Instead of coming to the subtle region, instead of coming to the incorporeal world, you go to the land of sleep. 211It is said that yoga makes you double light, but your head becomes heavy instead.

173Kahtē haĩ yōg double light banātā hai lēkin māthā bhārī hō jātā hai .

212So, Maya also makes you swing, but do not swing in Maya’s swings.

174Tō māyā bhī jhūlā jhulātī hai lēkin māyā K|kē jhūlē mē̃ nahī̃ jhūlnā .

213You have been swinging a lot in those swings for half a cycle.

175Ādhākalp tō māyā K|kē jhūlē mē̃ khūb jhūlkar dēkhā hai nā .

214You have all experienced swinging in Maya’s swings, have you not?

176Kyā milā  ?

215What did you receive?

177Milā kuchh  ?

216Did you receive anything?

178Thak gayē nā  !

217You got tired.

179Abhī atīndriya sukh K|kē jhūlē mē̃ jhūlō , khuśhī K|kē jhūlē mē̃ jhūlō . 180Śhaktiyō̃ key|kī anubhūtiyō̃ K|kē jhūlē mē̃ jhūlō .

218Now, continue to swing in the swing of supersensuous joy, swing in the swing of happiness, swing in the swing of the experience of all powers.

181Itnē jhūlē āpkō milē haĩ jō yahā̃ K|kē prince-princess kō bhī nahī̃ hōṅgē .

219You have so many swings that even the princes and princesses here do not have that many swings.

182Chāhē jis jhūlē mē̃ jhūlō .

220Swing in whichever swing you want.

183Abhī prēm K|kē jhūlē mē̃ jhūlō , abhī ānand K|kē jhūlē mē̃ jhūlō . 184Abhī gyān K|kē jhūlē mē̃ jhūlō .

221One moment, swing in the swing of love, one moment, swing in the swing of bliss, one moment in the swing of knowledge.

185Kitnē jhūlē haĩ  !

222You have so many swings!

186Anginat .

223Countless.

187Tō jhūlē sē utarō nahī̃ .

224So, do not come down from the swings.

188Jō lāḍlē hōtē haĩ nā tō mā̃-bāp yahī chāhtē haĩ ki bachchē kā pāṅw miṭṭhī mē̃ nahī̃ paṛē yā gōdī mē̃ hō yā jhūlē mē̃ hō yā galīchō̃ mē̃ hō .

225Parents always want the feet of their beloved children not to go into the mud; they want the children’s feet always to be either in their laps, on the swing or on the carpet.

189Miṭṭī mē̃ pāṅw nahī̃ jāyē .

226They feel that the children’s feet should not go into the mud.

190Aisē hōtā hai nā  ?

227It is like that, isn’t it?

191Tō āp kitnē lāḍlē hō  !

228So you are such beloved children!

192Āp jaisā lāḍlā kōī hai  ?

229Is there anyone more loved than you?

193Paramātma lāḍlē bachchē agar dēhbhān mē̃ ātē haĩ tō dēh kyā hai  ? 194Miṭṭī hai nā  !

230You children are extremely loved by God, and so, if you become body conscious, what is that?

195Dēh kō kyā kahtē haĩ  ?

231Bodies are mud, are they not?

196Miṭṭī , miṭṭī mē̃ mil jāyēgī .

232What is a body said to be? 233Dust being turned to dust.

197Tō yah miṭṭī hai nā .

234So, this is also dust.

198Miṭṭī mē̃ pāṅw kyō̃ rakhtē hō  ?

235Therefore, why do you put your feet in the dust?

199Miṭṭī achchhī lagtī hai  ?

236Do you like the dust?

200Kaī bachchō̃ kō miṭṭī achchhī lagtī hai , kaī miṭṭī khātē bhī haĩ .

237Some children like dust so much they even eat it. 238But you must not eat it.

201Lēkin āp nahī̃ khānā , pāṅw bhī nahī̃ rakhō .

239Do not even put your feet in it.

202Saṅkalp ānā arthāt pāṅw rakhnā .

240To have even a thought means to put your feet in it.

203Saṅkalp mē̃ bhī dēh-bhān nahī̃ āvē .

241You should not have any body consciousness even in your thoughts.

204Sōchō , yād rakhō ki ham kitnē lāḍlē haĩ , kiskē lāḍlē haĩ  !

242Think about it and remember how beloved you are. 243Of whom are you the beloved?

205Satyug mē̃ bhī paramātma lāḍlē nahī̃ hōṅgē .

244There won’t be anyone dearly loved by God even in the golden age.

206Divya ātmāō̃ K|kē lāḍlē hōṅgē .

245You will be loved by divine souls.

207Lēkin is samay paramātma bāp K|kē lāḍlē hō .

246However, at this time, you are loved by God.

208Tō bachchō̃ nē himmat K|kē hāth sē gift dī|the isliē bāpdādā uskī thanks kartē haĩ , śhukriyā , dhanyavād .

247BapDada is giving thanks to the children for giving their hands of courage. 248Shukriya, dhanyavad.

209Achchhā .

249(Thanks).

210Chārō̃ ōr K|kē ati-ati bhāgyavān bachchē jō svayã śhiv bāp sē śhivjayantī manā rahē haĩ , aisē padamguṇā tō kyā lēkin jitnā bhī jyādā mē̃ jyādā kahō vah bhī thōṛā hai . 211Aisē mahān bhāgyavān ātmāyē̃ , sadā bāp key|kī āgyā par her|har kadam rakhnē vālē bāp K|kē snēhī aur samīp ātmāyē̃ , sadā mālikpan K|kē achal āsan nivāsī sō bhaviṣhya siṃhāsan nivāsī śhrēṣhṭh ātmāō̃ kō , sadā bāp K|kē sāth-sāth mauj sē muhabbat K|kē jhūlē mē̃ jhūltē huē sāth chalnē vālē aisē bāpdādā K|kē sāthī bachchō̃ kō bāpdādā kā birth day key|kī mubārak aur yādpyār svīkār hō , bāp kā sabhī mālikō̃ kō namastē .

250Achcha. 251To the extremely fortunate children in all directions who are celebrating Shiv Jayanti with Father Shiva Himself, to such multimillion times, in fact, even multimillion is nothing, even if you say the greatest number, that is very little, to such greatly fortunate souls, to Baba’s close and loving children who follow Baba’s directions and place their steps on Baba’s footsteps, to the elevated souls who are constantly seated on the unshakeable seat of a master and thereby claim a throne in the future, to those who constantly swing with BapDada in swings of pleasure and who will return home with the Father, to BapDada’s companion children, congratulations and love and remembrance on BapDada’s birthday. 252Namaste from Baba to all the masters.

Blessing

212Vardān  : brāhmaṇ jīvan mē̃ sadā mēhnat sē mukt rahnē vālē sarv prāpti sampann bhav

253Blessing: May you be filled with all the attainments and remain constantly free from having to work hard in your Brahmin life.

213Is brāhmaṇ jīvan mē̃ dātā , vidhātā aur vardātā - tīnō̃ sambandh sē itnē sampann ban jātē hō jō binā mēhnat rūhānī mauj mē̃ rah saktē hō .

254 In this Brahmin life, you become filled with the three relationships of the Bestower, the Bestower of Fortune and the Bestower of Blessings, so that you stay in spiritual pleasure without having to make any effort.

214Bāp kō dātā K|kē rūp mē̃ yād karō tō rūhānī adhikārīpan kā naśhā rahēgā .

255Remember the Father in the form of the Bestower and you will have the intoxication of having spiritual rights.

215Śhikṣhak K|kē rūp mē̃ yād karō tō godly student hū̃ , is bhāgya kā naśhā rahēgā aur satgurū her|har kadam mē̃ vardānō̃ sē chalā rahā hai .

256Remember Him in the form of the Teacher and you will have the intoxication of the fortune of being a Godly student. 257The Satguru is making you move along with blessings at every moment.

216Her|har karma mē̃ śhrēṣhṭh mat-varadātā kā vardān hai .

258The elevated directions for everything you do are blessings from the Bestower of Blessings.

217Aisē sarv prāptiyō̃ sē sampann rahō tō mēhnat sē mukt hō jāyēṅgē .

259Remain filled with all these attainments and you will become free from having to work hard.

Slogan

218Slōgan  : buddhi kā halkāpan va mahīntā hī sabsē sundar personality hai .

260Slogan: Lightness and subtlety in the intellect form the most beautiful personality.

261*** Om Shanti *** Notice: Today is the 3rd Sunday International World Meditation Hour from 6.30 – 7.30 pm.

262Let all brothers and sisters practise this yoga: I, a tapaswi soul, am sitting at the roots of the kalpa tree with the Seed, Father Shiva.

263All powers are emerging from Baba, the Seed and are reaching all the leaves of the tree, all souls, through me.

264Through this, each one will experience divine powers.