शुक्रवार 19 जनवरी 2024 की दैनिक मुरली

ध्यान दें: वाक्यों का संरेखण अक्षरों की संख्या पर आधारित है और पूरी तरह विश्वसनीय नहीं है।

आप पूरी मुरली या उसके किसी भाग का वाक्य संरेखण स्वयं सुधार सकते हैं।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

019-01-2024 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

0 19/01/24 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

1 «  mīṭhē bachchē - sadā khuśhī mē̃ rahō aur dūsrō̃ kō bhī khuśhī dilāō , yahī hai sab par kr̥ipā karnā , kisī kō bhī rāstā batānā yah sabsē baṛā puṇya hai .

1Essence: Sweet children, remain constantly happy and give happiness to others. 2This is having mercy for everyone.

2' '

3To show anyone this path is the greatest charity.

3Praśhna  : sadā khuśhmizāz kaun rah saktē haĩ  ? 4Khuśhmizāz bannē kā sādhan kyā hai  ? 5Uttar  : sadā khuśhmizāz vahī rah saktē jō gyān mē̃ bahut hōśhiyār haĩ , jō drama kō kahānī kī tarah jāntē aur simraṇ kartē haĩ .

4Question: Who can remain constantly happy and what is the way to become happy? 5Answer: Only those who are very clever in this knowledge and who know how to remember the drama in the form of a story can remain constantly happy.

6Khuśhmizāz bannē kē liē sadā bāp key|kī śhrīmat par chaltē rahō .

6In order to remain constantly happy, continue to follow the Father’s shrimat.

7Apnē kō ātmā samjhō aur bāp jō bhī samjhātē haĩ uskā achchhī tarah manthan karō .

7Consider yourself to be a soul and churn very well everything that the Father explains to you.

8Vichār sāgar manthan kartē-kartē khuśhmizāz ban jāyēṅgē .

8By churning the ocean of knowledge, you will become happy.

9Ōm śhānti .

9Om shanti.

10Rūhānī bāp rūhānī bachchō̃ kē sāth rūhrihān kar rahē haĩ .

10The spiritual Father is having a heart-to-heart conversation with the spiritual children.

11Yah tō ātmāyē̃ jāntī haĩ ki ēk hī hamārā bāp hai aur śhikṣhā bhī dētē haĩ , teacher kā kām haĩ śhikṣhā dēnā . 12Gurū kā kām hai mañjil batānā .

11You souls know that only the One is our Father and that He also gives us teachings. 12It is the duty of a teacher to give teachings and the duty of a guru to show you your destination.

13Mañjil kō bhī bachchē samajh gayē haĩ .

13You children have understood your destination.

14Mukti jīvanmukti kē liē yād kī yātrā bilkul zarūrī hai . 15Haĩ dōnō̃ sahaj .

14The pilgrimage of remembrance is absolutely necessary for liberation and liberation-in-life; both are easy.

1684 janmō̃ kā chakra bhī phirtā rahtā hai .

15The cycle of 84 births continues to turn.

17Yah yād rahnā chāhiē abhī hamārā 84 kā chakra pūrā huā hai , ab vāpis jānā hai .

16You should also remember that our cycle of 84 births is now ending and that we now have to return home.

18Parantu pāp ātmāyē̃ mukti jīvanmukti mē̃ vāpis jā nahī̃ saktī .

17However, sinful souls cannot go to liberation or liberation-in-life.

19Aisē-aisē vichār sāgar manthan karnā hai .

18You have to churn the ocean of knowledge in this way.

20Jō karē̃gē sō pāyēṅgē .

19Those who do this will receive the reward.

21Khuśhī mē̃ bhī vahī āyēṅgē aur dūsrō̃ kō bhī khuśhī mē̃ vahī lāyēṅgē .

20They are the ones who will remain happy and also make others happy.

22Aurō̃ par bhī kr̥ipā karnī hai - rāstā batānē key|kī .

21You have to have mercy for others to show them this path.

23Tum bachchē jāntē hō yah purūṣhōttam saṅgamyug hai .

22You children know that this is the most auspicious confluence age.

24Yah bhī kōī kō yād rahtā hai , kōī kō nahī̃ .

23Some remember this, whereas others don’t; they forget it.

25Bhūl jātā hai . 26Yah bhī yād rahē tō khuśhī kā pārā chaṛhā rahē .

24If you even remember this much, the mercury of your happiness will remain high.

27Bāp teacher gurū K|kē rūp mē̃ yād rahē tō bhī khuśhī kā pārā chaṛhā rahē .

25If you also remember the Father in the form of the Teacher and the Guru, too, the mercury of your happiness will remain high.

28Parantu chaltē-chaltē kuchh rōlā paṛ jātā hai .

26However, while you are moving along, there is some confusion.

29Jaisē pahāṛō̃ par nīchē ūpar chaṛhnā hōtā hai , vaisē bachchō̃ key|kī avasthā bhī aisē hōtī hai .

27Just as you have to come up and go down the mountain, so the children’s stage is also the same.

30Kōī bahut ūñch chaṛhtē haĩ phir girtē haĩ tō āgē sē bhī jāstī gir paṛtē haĩ .

28Some climb up very high and then they fall. 29So, they fall down even further than they were before.

31Key|kī kamāī chaṭ hō jātī hai .

30Everything they had earned is then lost.

32Bhal kitnā bhī dān puṇya kartē haĩ parantu phir puṇya kartē-kartē agar pāp karnē lag paṛtē haĩ tō sab puṇya khatm hō jātē haĩ .

31No matter how much they have donated or how much charity they have performed, if they begin to commit sin while performing charity, all the charity is finished.

33Sabsē baṛā puṇya hai - bāp kō yād karnā .

32The greatest charity is to remember the Father.

34Yād sē hī puṇya ātmā banē̃gē .

33It is only by having remembrance that you will become a charitable soul.

35Agar saṅg K|kē raṅg sē bhūl hī bhūl kartē jāyē̃ tō āgē sē bhī jāstī nīchē gir jātē .

34If you continue to make mistakes by being coloured by the company you keep, you will fall even further than you were before.

36Phir vah khātā jamā nahī̃ rahēgā . 37Nā ( ghāṭā ) hō jāyēgā .

35Then, nothing will be accumulated in that account; there will be a loss.

38Pāp kā kām karnē sē nā hō jātā . 39Bahut pāp kā khātā chaṛh jātā hai .

36When you do something sinful, a loss is incurred; a lot of sin is accumulated in your account.

40Murādī sambhālī jātī hai nā .

37Accounts have to be looked after.

41Bāp bhī kahtē haĩ tumhārā khātā puṇya kā thā , pāp karnē sē vah sau guṇā hō jātā hai aur hī ghāṭē mē̃ ā jāyēgā .

38The Father also says: You had an account of charity, and by then committing sin, that became an account of one hundred-fold sin; you incurred a further loss.

42Pāp bhī kōī bahut baṛā , kōī halkā hōtā hai .

39Some sins are very big and others are lighter.

43Kām hai bahut kaṛā , krōdh hai second number , lōbh unsē cum|kam .

40Lust is very severe. 41Anger is the second number and greed is less than that.

44Sabsē jāstī kām vaśh hōnē sē jō jamā huā vah nā hō jātā hai .

42Whatever you have accumulated, it is reduced the most by lust.

45Phāydē kē badlē nuksān hō jātā hai .

43Instead of a profit, there is a loss.

46Satgurū kā nindak ṭhaur na pāyē .

44Those who defame the Satguru cannot receive a status.

47Bāp kā bankar phir chhōṛ dētē haĩ .

45Some belong to the Father and then leave Him.

48Kyā kāraṇ huā  ?

46What is the reason for that?

49Aksar karkē kām key|kī chōṭ lagtī hai .

47Usually, they are hurt by lust.

50Yah hai kaṛā duśhman .

48That is a very severe enemy.

51Unkā hī but banākar jalātē haĩ .

49They make an effigy of it and burn it.

52Krōdh , lōbh kā but nahī̃ banāyēṅgē .

50They don’t create effigies of anger or greed.

53Kām par hī pūrī jīt pānī hai tab jagatjīt banē̃gē . 54Bulātē bhī haĩ ki ham jō rāvaṇ rājya mē̃ patit banē haĩ , hamkō ākar pāvan banāō .

51You have to gain total victory over lust, for only then will you become the conquerors of the world. 52You call out: Come and make us, who have become impure in the kingdom of Ravan, pure.

55Gātē tō sab haĩ patit-pāvan . 56Hē patitō̃ kō pāvan banānē vālē sītāō̃ K|kē rām āō .

53They all sing: O Purifier, o Purifier, the One who purifies the impure, the Rama who belongs to Sita, come!

57Parantu arth|earth nahī̃ samajhtē haĩ .

54However, they don’t understand the meaning of that.

58Yah bhī jāntē haĩ ki bāp zarūr naī duniyā sthāpan karnē āyēṅgē . 59Parantu bahut time dēnē sē ghōr andhiyārā hō gayā hai .

55You know that the Father would surely come to establish the new world but, because they have lengthened its duration, there is now extreme darkness.

60Gyān aur agyān hai nā .

56There is knowledge and ignorance.

61Agyān hai bhakti jiskī pūjā kartē unkō jāntē hī nahī̃ .

57Devotion is ignorance because they don’t know the One whom they worship.

62Tō unkē pās|pass pahũchēṅgē kaisē  ?

58So, how can they attain Him?

63Isliē dān puṇya ādi niṣhphal hō jātā hai .

59This is why their donations and charity etc. are fruitless.

64Karkē kuchh alpkāl kē liē kāg viṣhṭā K|kē samān sukh miltā hai . 65Bākī tō duḥkh hī duḥkh hai .

60Perhaps they receive a little temporary happiness like the droppings of a crow but, otherwise, there is nothing but sorrow.

66Ab bāp kahtē haĩ māmēkam yād karō tō tumhārē sab duḥkh dūr hō jāyēṅgē .

61The Father now says: Constantly remember Me alone and all your sorrow will be removed.

67Ab dēkhnā hai ham kitnā yād kartē haĩ , jō purānā khatm hō nayā jamā hō .

62You now have to see how much you remember Him so that the old finishes and the new accumulates.

68Kōī tō kuchh bhī jamā nahī̃ kartē .

63Some don’t accumulate anything.

69Sārā madār hai yād par .

64Everything depends on remembrance.

70Yād bigar pāp kaisē miṭē athavā kaṭē̃ .

65How can your sins be erased or cut away without you having remembrance?

71Pāp tō bahut haĩ - janma-janmāntar K|kē .

66There are many sins of birth after birth.

72Is janm key|kī jīvan kahānī sunānē sē kōī janma-janmāntar K|kē pāp kaṭ nahī̃ jāyēṅgē .

67Your sins of many births will not be cut away by telling Baba your life story of this birth.

73Sirph is janm key|kī halkāī hō jātī hai . 74Bākī tō mēhnat bahut karnī hai , itnē janmō̃ kā jō hisāb kitāb hai - vō yōg sē hī chuktū hōnē vālā hai .

68The sins of this birth become a little lighter, but you have to make a lot of effort. 69Only with yoga will all the karmic accounts of so many births be settled. 70You should think about how much yoga you have.

75Vichār karnā chāhiē ki hamārā yōg kitnā hai  ?

71Will I be able to take birth at the beginning of the golden age?

76Hamārā janm satyug K|kē ādi mē̃ hō sakēgā  ? 77Jō bahut purūṣhārth karē̃gē vahī satyug K|kē ādi mē̃ janma lē̃gē .

72Only those who make a lot of effort will take birth at the beginning of the golden age; they cannot remain hidden.

78Vah chhipē nahī̃ rah saktē .

73Not everyone will go to the golden age.

79Sab tō satyug mē̃ nahī̃ āyēṅgē .

74Others would claim a low status at the end.

80Pichhāṛī mē̃ jākar thōṛā pad pātē haĩ .

75If they do come at the beginning, they would have to serve.

81Agar pahlē ātē bhī haĩ tō naukrī kartē haĩ .

76This is something common that has to be understood.

82Yah tō common bāt hai samajhnē key|kī , isliē bāp kō bahut yād karnā hai .

77This is why you have to remember the Father a great deal.

83Tum jāntē hō ham naī duniyā kē liē viśhva kā mālik bannē āyē haĩ .

78You know that we have come here to become the masters of the world in the new world.

84Jō yād karē̃gē unkō zarūr khuśhī rahēgī .

79Those who remember Baba will definitely remain happy.

85Agar rājā bannā hai tō prajā bhī banānī paṛē .

80If you want to become a king, you also have to create your subjects.

86Nahī̃ tō kaisē samajhē̃gē ki ham rājā bannē vālē haĩ .

81How else could it be understood that you are going to become a king?

87Jō centre khōltē haĩ , service kartē haĩ unkī bhī kamāī hōtī .

82Those who open centres and do service also earn an income.

88Unkō bhī bahut phāydā miltā hai .

83They receive a lot of benefit.

89Unkō bhī ujūrā mil jātā hai .

84They receive a reward too.

90Kōī 3-4 centre bhī khōltē haĩ nā .

85Some even open three or four centres.

91Jō jō kartē haĩ unkā hissā tō ātā hai nā .

86Whatever they do, they definitely receive a share of that.

92Milkar māyā K|kē duḥkh kā chhappar uṭhātē haĩ tō ismē̃ kandhā sab dētē haĩ .

87The burden of Maya’s sorrow is now being lifted by all of you together and so everyone gives a shoulder.

93Tō sabkō ujūrā miltā hai .

88Therefore, everyone receives a reward.

94Jō bahutō̃ kō rāstā batātē haĩ , jitnī mēhnat kartē haĩ utnā ūñch pad pātē haĩ .

89Those who make effort and show this path to many will accordingly receive a high status.

95Unkō khuśhī bahut hōtī hai .

90They will have a lot of happiness.

96Dil jāntī hai hamnē kitnō̃ kō rāstā batāyā hai  ? 97Kitnō̃ kā uddhār kiyā hai  ?

91Your heart knows how many you have shown the path to and how many you have uplifted.

98Sab kuchh karnē kā samay tō yahī hai .

92This is the time to do everything.

99Khān-pān tō sabkō miltā hī hai .

93You all receive food and drink.

100Kōī tō kuchh bhī kām nahī̃ kartē haĩ .

94Some don’t do any work at all.

101Jaisē mama nē kitnī service key|kī .

95Look how much service Mama did!

102Service sē unkā bahut kalyāṇ hō gayā .

96She benefited a lot from doing service.

103Ismē̃ bhī service bahut chāhiē .

97A lot of service is needed here too.

104Yōg key|kī bhī service hai nā .

98Service is done by having yoga too.

105Kitnē deep direction miltē rahtē haĩ .

99You receive such deep directions.

106Abhī tō āgē chalkar kyā-kyā points nikalē̃gī .

100Now, as you move forward, many different points will emerge.

107Din pratidin unnati hōtī jāyēgī . 108Naī-naī points nikalēgī .

101Day by day, there will continue to be progress; new points will emerge.

109Jō service mē̃ tatpar rahtē haĩ , vah jhaṭ pakaṛ lētē haĩ .

102Those who remain engaged in doing service are quickly able to grasp them.

110Jō service nahī̃ kartē unkī buddhi mē̃ kuchh baiṭhēgā nahī̃ .

103Nothing will sit in the intellects of those who don’t do service.

111Bindī rūp kaisē samajhē̃  ?

104How can they understand the form of a point?

112Tum kōī sē pūchhō ātmā kitnī baṛī hai  ?

105You can ask anyone: How big is a soul?

113Ātmā kā dēśh kāl batāō tō kabhī nahī̃ batā sakē̃gē .

106Tell us what the land and time period of souls are! 107No one would be able to tell you.

114Manuṣhya paramātmā kā nām rūp dēśh kāl pūchhtē haĩ .

108People ask about the name, form, land and time of the Supreme Soul.

115Tum ātmā kā pūchhō tō mūnjh jāyēṅgē .

109If you ask them this about souls, they become confused.

116Kiskō bhī mālūm nahī̃ hai .

110No one knows this.

117Ātmā itnī chhōṭī bindī usmē̃ itnā sārā part bharā huā hai .

111A soul is such a tiny point and such a huge part is recorded in it.

118Yahā̃ bhī bahut haĩ jō ātmā paramātmā kō jāntē hī nahī̃ .

112Here, too, there are many who don’t know about souls or the Supreme Soul.

119Sirph vikārō̃ kā sanyās kiyā hai , vah bhī kamāl hai .

113They have just renounced the vices and that, too, is a wonder!

120Sannyāsiyō̃ kā dharm alag hai .

114The religion of sannyasis is separate.

121Yah gyān tumhārē liē hai .

115This knowledge is for you.

122Bāp samjhātē haĩ tum pavitra thē phir apavitr banē , ab phir pavitra bannā hai .

116The Father explains: You were pure and you then became impure. 117You now have to become pure again.

123Tum hī 84 kā chakra lagātē hō .

118Only you go around the cycle of 84 births.

124Duniyā mē̃ zarā bhī in bātō̃ kō nahī̃ jāntē .

119No one in the world knows these things.

125Gyān alag , bhakti alag hai .

120Knowledge is separate from devotion.

126Gyān chaṛhātā hai bhakti girātī hai .

121Knowledge makes you ascend and devotion makes you descend.

127Tō rāt din kā fark hai .

122So, there is the difference of day and night.

128Manuṣhya bhal kitnā bhī apnē kō vēdō̃ śhāstrō̃ key|kī authority samajhtē haĩ parantu jāntē kuchh nahī̃ .

123No matter how much people consider themselves to be authorities of the Vedas and scriptures, they don’t know anything at all.

129Tumkō bhī abhī mālūm paṛā hai .

124You too now know them.

130Tumhārē mē̃ bhī number-vār haĩ .

125Amongst you too, it is numberwise.

131Bhūlnē kāraṇ hī khuśhī gum hōtī hai .

126Because you forget your happiness disappears.

132Nahī̃ tō athāh khuśhī hōnī chāhiē .

127Otherwise, you would have a lot of happiness.

133Bābā sē tumkō yah varsā mil rahā hai .

128You are receiving this inheritance from Baba.

134Bābā sākṣhātkār karā dētē haĩ .

129Baba grants you visions.

135Parantu sākṣhātkār kiyā , śhrīmat par nahī̃ chalē tō phāydā hī kyā  !

130However, if you have visions, but you don’t follow shrimat, what is the benefit in that?

136Bāp kō duḥkh mē̃ simraṇ kartē haĩ .

131People remember the Father when they are in sorrow.

137Bāp kō kahtē haĩ liberator , hē rām , hē prabhū kahtē haĩ .

132They call out to the Father: Liberator! 133Oh Rama!

138Parantu vah kaun hai , jāntē nahī̃ .

134O Prabhu! 135However, they don’t know who He is.

139Bhakti mē̃ kōī aisē nahī̃ kahtē haĩ ki apnē kō ātmā samajh bāp kō yād karō .

136No one on the path of devotion says: Consider yourself to be a soul and remember the Father.

140Bilkul nahī̃ .

137Not at all!

141Agar kahtē hōtē tō paramparā chalā ātā . 142Bhakti tō chalī ātī hai nā .

138If they were to say this, it would have continued from time immemorial.

143Bhakti athāh hai .

139Devotion has continued.

144Gyān hai ēk . 145Manuṣhya samajhtē haĩ bhakti sē bhagvān milēgā .

140There is a lot of devotion whereas this knowledge is of One.

146Parantu kaisē , kab  ? 147Yah nahī̃ jāntē . 148Bhakti kab śhurū hōtī hai , kaun jāstī bhakti kartē haĩ - yah kōī nahī̃ jāntē .

141People think that they will find God by performing devotion, but they don’t know how or when. 142No one knows when devotion begins or who does the most devotion.

149Kyā itnā 40 hazār varṣh aur bhakti kartē rahē̃gē  ?

143Will they continue to perform devotion for another 40,000 years?

150Ēk taraph manuṣhya bhakti kar rahē haĩ dūsrē taraph tum gyān pā rahē hō .

144On the one side, people are doing devotion and on the other side, you are receiving this knowledge.

151Manuṣhyō̃ sē kitnā māthā mārnā paṛtā hai .

145You have to beat your heads so much with human beings.

152Itnī pradarśhanī kartē hō phir bhī nikaltē kōṭō̃ mē̃ kōī haĩ .

146You hold so many exhibitions but, in spite of that, only a handful out of multimillions emerges.

153Kitnō̃ kō āp samān banākar lē ātē haĩ .

147How many do you make the same as yourselves and bring here?

154Sachchē-sachchē brāhmaṇ kitnē haĩ - yah hisāb abhī nikāl nahī̃ saktē .

148You cannot calculate at this time how many true Brahmins there are.

155Bahut jhūṭhē bachchē bhī haĩ .

149There are many false children too.

156Brāhmaṇ lōg kathā sunātē haĩ . 157Bābā gītā key|kī kathā sunātē haĩ .

150Brahmin priests tell religious stories whereas Baba is telling you the story of the Gita.

158Tum bhī sunātē hō yathā bābā tathā bachchē .

151You too relate it. 152Just as Baba speaks it, so do you children.

159Bachchō̃ kā bhī kām hai sachchī-sachchī gītā sunānā .

153It is the duty of you children to relate the true Gita.

160Śhāstra tō sabkē haĩ .

154Everyone has scriptures.

161Vāstav mē̃ jō bhī śhāstra ādi haĩ vah sab haĩ bhakti mārg K|kē .

155In fact, all the scriptures etc. belong to the path of devotion.

162Gyān kā pustak ēk hī gītā hai . 163Gītā hai māī|my bāp .

156Only the one Gita is the religious book of knowledge.

164Bāp hī ākar sabkī sadgati kartē haĩ .

157The Gita is the mother and father.

165Manuṣhya phir aisē bāp key|kī hī glāni kartē haĩ .

158The Father Himself comes and grants salvation to everyone.

166Śhivbābā key|kī jayantī hai hīrē tulya .

159People then defame such a Father.

167Ūñch tē ūñch bhagvān hī sadgati dātā hai .

160Shiv Baba’s birthday is worth diamonds.

168Bākī aur kisī key|kī mahimā kaisē hō saktī hai .

161God, Himself, the Highest on High, is the Bestower of Salvation.

169Dēvtāō̃ key|kī mahimā kartē haĩ parantu dēvtā banānē vālā ēk bāp hī hai . 170Hamārā construction bhī hōtā hai tō destruction bhī hōtā hai .

162How can there be praise of anyone else? 163People praise the deities, but it is only the one Father who makes them into deities. 164Our construction and destruction are taking place.

171Bahut haĩ jō kuchh samjhā nahī̃ saktē tō sthūl kām karō .

165There are many who are unable to explain anything, and so they do physical work.

172Military mē̃ sab kām karnē vālē hōtē haĩ .

166In the military, there are those who do all the work.

173Kahā bhī jātā hai paṛhē kē āgē anpaṛhē kō bharī ḍhōnī paṛē .

167It is said: The uneducated ones will have to bow down in front of the educated ones.

174Mama bābā jō kartē haĩ unsē sīkhō .

168Learn from what Mama and Baba do.

175Tum bhī samajh saktē hō ananya bachchē kaun haĩ .

169You can also understand who the especially beloved children are.

176Bābā sē pūchhē̃gē tō bābā bhī nām batāyēṅgē ki phalānē kō follow karō .

170If you ask Baba, Baba would give you a name and say: Follow so-and-so.

177Jō serviceable nahī̃ vah aurō̃ kō kyā sikhlāyēṅgē .

171What would those who are not serviceable teach others?

178Vah tō aur hī time west|waste kar dēgē .

172They would waste even more time.

179Bābā samjhātē haĩ apnī unnati karnē chāhtē hō tō yahā̃ kar saktē hō .

173Baba explains: If you want to make progress, you can do that here.

180Chitra rakhē haĩ hamnē 84 janm kaisē liyē , yah ab samjhā hai tō dūsrō̃ kō samjhāō .

174There is the picture here of how you have taken 84 births. 175You have understood this and so you can now explain it to others.

181Kitnā sahaj hai - yah bannā hai .

176It is so easy! 177You have to become this.

182Kal inkī bhakti kartē thē , āj nahī̃ .

178Yesterday, you worshipped them.

183Knowledge mil gaī . 184Aisē bahut ākar knowledge lē̃gē .

179Today, you don’t because you have received this knowledge.

185Jitnā tum sēnṭarō̃ kā jāstī ghērāv ḍālē̃gē tō bahut ākar samajhē̃gē .

180Many will come and take this knowledge. 181As you open more centres, many people will come and understand it.

186Sunnē sē unkō khuśhī kā pārā chaṛh jāyēgā . 187Nar sē nārāyaṇ bannā hai .

182The mercury of their happiness will rise as soon as they hear it.

188Sachchī satya nārāyaṇ kī kathā bhī hai , bhakti sē tō girtē hī jātē haĩ .

183You have to change from an ordinary humans into Narayan. 184There is also the story of the true Narayan.

189Unkō patā hī nahī̃ paṛtā - gyān kyā chīz hai .

185People continue to descend by doing devotion. 186They don’t know what knowledge is.

190Tumkō bēhad kā bāp yathārth samjhātē haĩ .

187The unlimited Father is explaining to you accurately.

191Bābā kahtē haĩ kal tumkō rājāī dī|the phir tumhārī rājāī kahā̃ gaī  ?

188Baba says: Yesterday, I gave you the kingdom, so where did that kingdom go?

192Yah tō khud jāntē haĩ . 193Yah tō khēl hai .

189You yourselves know that this is a play.

194Ēk hī bāp hai jō sārē khēl kā rāz batātē haĩ .

190Only the one Father tells you the secrets of the whole play.

195Ham kahtē haĩ bābā āp bāndhēlē hō drama mē̃ , āpkō ānā hī paṛē , patit duniyā aur patit śharīr mē̃ .

191We say: Baba, You are bound by the drama, and You therefore have to come into the impure world and enter an impure body.

196Īśhvar key|kī bahut mahimā kartē haĩ .

192People praise God a great deal.

197Bachchē kahē̃gē bābā hamnē āpkō bulāyā tō āpkō ānā hī paṛā - hamārī service karnē athavā hamkō patit sē pāvan banānē .

193You children say: Baba, we called You and so You had to come to serve us, that is, to make us pure from impure.

198Kalp-kalp hamkō sō dēvtā banākar āp chalē jātē hō .

194Every cycle, You make us into deities and then depart.

199Yah jaisē ēk kahānī hai , jō hōśhiyār haĩ unhō̃ kē liē tō ēk kahānī hai .

195This is like a story; it is a story for those who are clever.

200Tum bachchō̃ kō khuśhmijāz hōnā chāhiē .

196You children should remain happy.

201Bābā bhī drama anusār servant banā hai .

197Baba has also become the Servant according to the drama.

202Bāp kahtē haĩ mērī mat par chalō .

198The Father says: Follow My directions.

203Apnē kō ātmā samjhō .

199Consider yourselves to be souls.

204Dēh-abhimān chhōṛō .

200Renounce body consciousness.

205Naī duniyā mē̃ tumkō nayā śharīr milēgā .

201You will receive new bodies in the new world.

206Bāp jō samjhātē haĩ unkō achchhī tarah manthan karō .

202Churn very well the things that the Father explains to you.

207Buddhi sē samajhtē hō ham āyē haĩ - yah bannē kē liē .

203Use your intellects to understand that you have come here to become this.

208Aim object sāmnē khaṛī hai .

204Your aim and objective is in front of you.

209Bhagvānuvāch , vō lōg bhagvān kō manuṣhya samajh lētē haĩ yā nirākār kahtē haĩ .

205Those people consider God to be a human being or they say that He is incorporeal. 206All of you souls are also incorporeal.

210Tum ātmāyē̃ bhī sab nirākārī hō .

207You adopt bodies and play your parts.

211Śharīr lēkar part bajātī hō , bābā bhī part bajātē haĩ . 212Jō achchhī service karē̃gē unkō hī niśhchay hōgā ki ham mālā kā dānā avaśhya banē̃gē .

208Baba too is playing a part. 209Only those who do service well have the faith that they will definitely become a bead of the rosary. 210You have to change from an ordinary human into Narayan.

213Nar sē nārāyaṇ bannā hai .

211When you fail, you automatically become Rama or Sita.

214Bhagvān paṛhātē haĩ tō achchhī tarah paṛhnā chāhiē .

212God is teaching you and so you should study very well.

215Parantu māyā kā opposition bahut hōtā hai .

213However, there is also a lot of opposition from Maya.

216Māyā tūphān mē̃ lātī hai .

214Maya brings storms. 215Achcha.

217Achchhā  ! 218Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yādpyār aur good morning .

216To the sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

219Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

217The spiritual Father says namaste to the spiritual children.

220Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

218Essence for dharna:

2211 ) vichār sāgar manthan kar apār khuśhī kā anubhav karnā hai .

219 1. Churn the ocean of knowledge and experience limitless happiness.

222Aurō̃ kō bhī rāstā batānē key|kī kr̥ipā karnī hai .

220Have the mercy to show this path to others.

223Saṅg K|kē raṅg mē̃ ākar kōī bhī pāp karma nahī̃ karnā hai .

221Don’t be coloured by the company you keep and thereby perform sinful acts.

2242 ) māyā K|kē duḥkhō̃ kā chhappar uṭhānē kē liē mil karkē kandhā dēnā hai .

222 2. In order to lift the burden of Maya’s sorrow, you all have to give your shoulders.

225Centres khōl anēkō̃ K|kē kalyāṇ kē nimitt bannā hai .

223Open centres and become instruments for the benefit of many.

226Vardān  : apnē bōl key|kī value kō samajh uskī economy karnē vālē mahān ātmā bhav

224Blessing: May you understand the value of your words and be economical with them and thereby become a great soul. 225 It is said of great souls: “Sat vachan maharaj” (Whatever great souls speak is the truth).

227Jaisē mahān ātmāō̃ kō kahtē haĩ - sat vachan mahārāj .

226So, let your words always be versions, words that enable everyone to have one attainment or another.

228Tō āpkē bōl sadā sat vachan arthāt kōī na kōī prāpti karānē vālē vachan hō .

227Never let there be words spoken by Brahmins that would curse anyone. 228Therefore, only speak tactful and useful words.

229Brāhmaṇō̃ K|kē mukh sē kabhī kisī kō śhrāpit karnē vālē bōl nahī̃ nikalnē chāhiē .

229Understand the value of words. 230Speak pure words that give happiness, do not say anything flippantly.

230Isliē yuktiyukt bōlō aur kām kā bōlō .

231Be economical with your words and you will become a great soul.

231Bōl key|kī value kō samjhō . 232Śhubh śhabda sukh dēnē vālē śhabda bōlō , hãsīmajāk K|kē bōl nahī̃ bōlō , bōl key|kī economy karō tō mahān ātmā ban jāyēṅgē . 233Slōgan  : yadi śhrīmat kā hāth sadā sāth hai tō sārā hī yug hāth mē̃ hāth dēkar chaltē rahē̃gē . 234Avyakti silence dvārā double light phariśhtā sthiti kā anubhav karō

232Slogan: When you have the hand of shrimat constantly with you, you will continue to walk hand in hand around the whole cycle.

235Jaisē light K|kē connection sē baṛī-baṛī machinery chaltī hai .

233*** Om Shanti *** 234With avyakt silence, experience the double light angelic stage

236Āp sabhī her|har karma kartē connection K|kē ādhār sē svayã bhī double light ban chaltē rahō . 237Jahā̃ double light key|kī sthiti hai , vahā̃ mēhnat aur muśhkil śhabda samāpt hō jātā hai .

235Big machines function with an electric connection. 236All of you also continue to perform every action on the basis of having a connection and being double light. 237When you have a double light stage, the words “hard work” and “difficult” finish.

238Apnē-pan kō samāpt kar ṭrasṭīpan kā bhāv aur īśhvarīy sēvā key|kī bhāvnā hō tō double light ban jāyēṅgē .

238When you have finished the consciousness of “I” and have the awareness of being a trustee and doing Godly service, you will become double light