शनिवार 1 जून 2024 की दैनिक मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
बिना इंटरनेट सुनने के लिए ।
दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
001-06-2024 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban
0 01/06/24 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban
Essence
1 « mīṭhē bachchē - tum sab āpas mē̃ rūhānī bhāī hō , tumhārā rūhānī pyār hōnā chāhiē , ātmā kā pyār ātmā sē hō , jism sē nahī̃ ' '
1Essence: Sweet children, all of you are spiritual brothers. 2You should have spiritual love for one another. 3You souls have to love souls not their bodies.
Question
2Praśhna : bāp nē apnē ghar key|kī wonderful bāt kaun-sī sunāī hai ?
4Question: What wonderful aspect has the Father explained about His home?
Answer
3Uttar : jō bhī ātmāyē̃ mērē ghar mē̃ ātī haĩ , vah apnē-apnē section mē̃ apnē number par fix hōtī haĩ .
5Answer: All the souls who come to My home are fixed, numberwise, in their own sections.
4Vah kabhī bhī hiltī ḍultī nahī̃ .
6Souls do not move from there.
5Vahā̃ par sabhī dharm key|kī ātmāyē̃ mērē nazdīk rahtī haĩ .
7There, all the souls of all religions stay close to Me.
6Vahā̃ sē number-vār apnē-apnē samay par part bajānē ātī haĩ yah wonderful knowledge isī samay kalp mē̃ ēk bār hī tumhē̃ miltī hai .
8Souls go down from there, numberwise, at their own time, to play their parts. 9Only once, at this time of the cycle, do you receive this wonderful knowledge.
7Dūsrā kōī yah knowledge nahī̃ dē saktā .
10No one else can give this knowledge.
Murli
8Ōm śhānti .
11Om shanti.
9Bāp baiṭh bachchō̃ kō samjhātē haĩ .
12The Father sits here and explains to you children.
10Bachchē jāntē haĩ ham ātmāō̃ kō bāp samjhātē haĩ aur bāp apnē kō ātmāō̃ kā bāp samajhtē haĩ .
13You children have to understand that the Father of us souls is explaining to us and that the Father considers Himself to be the Father of souls.
11Aisē kōī samajhtē nahī̃ aur na kōī kabhī samjhātē haĩ ki apnē kō ātmā samjhō .
14No one else has this consciousness, nor can anyone else ever tell you to consider yourselves to be souls.
12Yah bāp hī ātmāō̃ kō baiṭh samjhātē haĩ .
15The Father sits here and explains this to you souls.
13Is gyān kī prālabdha tum naī duniyā mē̃ lēnē vālē hō number-vār purūṣhārth anusār .
16You are to claim your reward of this knowledge in the new world, numberwise, according to your efforts.
14Yah bhī kōī sabhī kō yād nahī̃ rahtā ki yah duniyā badalnē vālī hai , badlānē vālā bāp hai .
17Not everyone is able to remember that this world is to be transformed and that it is the Father who will transform it.
15Yahā̃ tō sammukh baiṭhē haĩ , jab ghar mē̃ jātē haĩ tō sārā din apnē dhandhē ādi mē̃ hī lag jātē haĩ .
18You are sitting here personally in front of Him, but when you go back home you become busy in your business, etc. throughout the whole day.
16Bāp key|kī śhrīmat hai - bachchē , kahā̃ bhī rahtē tum mujhē yād karō .
19The Father’s shrimat is: Children, wherever you live, remember Me!
17Jaisē kanyā hōtī hai tō vah jāntī nahī̃ ki hamkō kaun pati milēgā , chitra dēkhtī hai tō unkī yād ṭhahar jātī hai .
20A kumari does not know who her husband is going to be, but, when she sees his photograph, that remembrance becomes fixed.
18Kahā̃ bhī rahtē ēk-dō kō dōnō̃ yād kartē haĩ , iskō kahā jātā hai jismānī pyār . 19Yah hai rūhānī pyār .
21They remember each other wherever they are. 22That is called physical love, whereas this is spiritual love.
20Rūhānī pyār kiskē sāth ?
23For whom do you have spiritual love?
21Bachchō̃ kā rūhānī bāp kē sāth aur bachchō̃ kā bachchō̃ kē sāth .
24You children have love for the spiritual Father, and the children also have love for each other.
22Tum bachchō̃ kā āpas mē̃ bhī bahut pyār hōnā chāhiē yānī ātmāō̃ kā ātmāō̃ kē sāth bhī pyār chāhiē .
25You children should have a great deal of love for one another, that is, souls should have love for souls.
23Yah śhikṣhā bhī abhī tum bachchō̃ kō miltī hai .
26It is now that you children receive these teachings.
24Duniyā K|kē manuṣhyō̃ kō kuchh bhī patā nahī̃ .
27People of the world do not know anything.
25Tum sab bhāī hō tō āpas mē̃ jarūr pyār hōnā chāhiē kyōṅki ēk bāp K|kē bachchē hō nā .
28All of you are brothers and so, because you are children of the one Father, you surely have love for one another.
26Iskō kahā jātā hai rūhānī pyār .
29This is called spiritual love.
27Drama plan anusār sirph purūṣhōttam saṅgamyug par hī rūhānī bāp ākar rūhānī bachchō̃ kō sammukh samjhātē haĩ .
30According to the drama plan, the spiritual Father only comes at this most auspicious confluence age and explains to you spiritual children personally.
28Aur bachchē jāntē haĩ ki bāp yahā̃ āyē huē haĩ .
31You children understand that the Father has come here.
29Ham bachchō̃ kō gul-gul , pavitra patit sē pāvan banākar sāth lē jāyēṅgē .
32He will make you children beautiful. 33He will make you pure from impure and take you back home with Him.
30Aisē nahī̃ ki kōī hāth sē pakaṛ kar lē jātē haĩ . 31Sabhī ātmāyē̃ aisē uṛē̃gī jaisē ṭiḍḍiyō̃ kā jhuṇḍ jātā hai .
34It is not that He will take you by the hand; all souls will fly together like a swarm of locusts.
32Unhō̃ kā bhī kōī guide hōtā hai .
35They too have a guide.
33Guide kē sāth aur bhī guides hōtē haĩ jō front mē̃ rahtē haĩ .
36They have other guides along with that one guide, and they remain at the front.
34Sārā jhuṇḍ jab ikaṭṭhā jātā hai tō bahut āvāz hōtī hai .
37When the whole swarm flies together, they make a lot of noise.
35Sūrya key|kī rōśhnī kō bhī ḍhak dētē haĩ , itnā baṛā jhuṇḍ hōtā hai .
38A swarm is so huge that it can even block out the light of the sun.
36Tum ātmāō̃ kā tō kitnā baṛā anginat jhuṇḍ hai .
39The swarm of souls is also huge; you cannot count them.
37Kabhī gintī nahī̃ kar saktē . 38Yahā̃ manuṣhyō̃ key|kī gintī nahī̃ kar saktē .
40They cannot count the number of human beings, here even though they conduct a population census.
39Bhal ādamśhumārī nikāltē haĩ , vah bhī accurate nahī̃ nikāltē haĩ .
41However, that too is not calculated accurately.
40Ātmāyē̃ kitnī haĩ , vah hisāb kabhī nikāl nahī̃ saktē .
42You cannot calculate how many souls there are.
41Andāj lagāyā jātā hai ki satyug mē̃ kitnē manuṣhya hōṅgē kyōṅki sirph bhārat hī rah jātā hai .
43It can be estimated roughly how many human beings there will be in the golden age, because only Bharat remains at that time.
42Tumhārī buddhi mē̃ hai ki ham viśhva K|kē mālik ban rahē haĩ .
44It is in your intellects that you are becoming the masters of the world.
43Ātmā jab śharīr mē̃ hai tō jīvātmā hai , tō dōnō̃ ikaṭṭhē sukh athavā duḥkh bhōgtē haĩ .
45When a soul is in a body, that is a human being, and so the two of them together experience happiness or sorrow.
44Aisē bahut lōg samajhtē haĩ ki ātmā hī paramātmā hai , vah kabhī duḥkh nahī̃ bhōgtī , nirlēp hai .
46There are many who believe that each soul is the Supreme Soul and that he never experiences sorrow, that he is immune to the effect of action.
45Bahut bachchē is bāt mē̃ bhī mūñjhtē haĩ ki ham apnē kō ātmā niśhchay tō karē̃ lēkin bāp kō kahā̃ yād karē̃ ?
47Many children also become confused about this aspect and think: We can consider ourselves to be souls but where should we remember the Father?
46Yah tō jāntē hō bāp paramdhām nivāsī hai .
48You know that the Father is the Resident of the supreme abode.
47Bāp nē apnā parichay diyā huā hai .
49The Father has given you His introduction.
48Kahā̃ bhī chaltē-phirtē bāp kō yād karō .
50Wherever you walk or move around, remember the Father.
49Bāp rahtē haĩ paramdhām mē̃ .
51The Father resides in the supreme abode.
50Tumhārī ātmā bhī vahā̃ rahnē vālī hai phir yahā̃ part bajānē ātī hai .
52You souls also reside there, and you later come down to play your parts.
51Yah bhī gyān abhī milā hai .
53It is now that you receive this knowledge.
52Jab tum dēvtā hō vahā̃ tumkō yah yād nahī̃ rahtā hai ki phalānē-phalānē dharm key|kī ātmāyē̃ ūpar mē̃ haĩ .
54When you were deities, you did not remember that souls of such-and-such a religion were up above.
53Ūpar sē ākar yahā̃ śharīr dhāraṇ kar part bajātī haĩ , yah chintan vahā̃ nahī̃ chaltā .
55You also didn’t think about how souls come from up above and adopt bodies and play their parts.
54Āgē yah patā nahī̃ thā ki bāp bhī paramdhām mē̃ rahtē haĩ , vahā̃ sē yahā̃ ākar śharīr mē̃ pravēśh kartē haĩ .
56Previously, you did not know that the Father resides in the supreme abode, that He comes here from up above and enters a body.
55Ab vah kis śharīr mē̃ pravēśh kartē haĩ , vah apnī address tō batātē haĩ .
57Which body does He enter? 58He tells you His address.
56Tum agar likhō ki śhivbābā care of paramdhām , tō paramdhām mē̃ tō chiṭṭhī jā nahī̃ saktī isliē likhtē hī hō śhivbābā care-of brahmā , phir yahā̃ key|kī address ḍāltē hō kyōṅki tum jāntē hō bāp yahā̃ hī ātē haĩ , is rath mē̃ pravēśh kartē haĩ .
59If you were to write: Shiv Baba c/o the supreme abode, your letter would not reach the supreme abode. 60This is why you write: To Shiv Baba c/o Brahma. 61Then you write the address of this place, because you know that the Father comes here and that He enters this chariot.
57Yū̃ tō ātmāyē̃ bhī ūpar rahnē vālī haĩ . 58Tum bhāī hō .
62In fact, you souls also reside up above; you are brothers.
59Sadaiv yahī samjhō yah ātmā hai , inkā phalānā nām hai .
63Constantly be aware that everyone is a soul and that this is their name.
60Ātmā kō yahā̃ dēkhtē haĩ parantu manuṣhya dēh-abhimān mē̃ ā jātē haĩ .
64You look at the souls, whereas human beings become body conscious.
61Bāp dēhī-abhimānī banātē haĩ .
65The Father makes you soul conscious.
62Bāp kahtē haĩ tum apnē kō ātmā samjhō aur phir mujhē yād karō .
66The Father says: Consider yourselves to be souls and remember Me.
63Is samay bāp samjhātē haĩ jab maĩ yahā̃ āyā hū̃ , ākar bachchō̃ kō gyān bhī dētā hū̃ .
67The Father explains now: I have come, and I give you children knowledge.
64Purānē organs liē haĩ , jismē̃ mukhya yah mukh hai , āṅkhē̃ bhī haĩ , gyān amr̥it mukh sē miltā hai .
68I adopt these old organs and this mouth is the main one. 69There are also the eyes. 70The nectar of knowledge is given through the mouth.
65Gaūmukh kahtē haĩ nā arthāt mātā kā yah mukh hai .
71There is the memorial of the cow’s mouth, that is, it represents the mouth of a mother.
66Baṛī mātā dvārā tumkō adopt kartē haĩ .
72I adopt you through this senior mother.
67Kaun ?
73Who adopts you?
68Śhivbābā .
74Shiv Baba.
69Vah yahā̃ hai nā .
75He is here.
70Yah gyān sārā buddhi mē̃ rahnā chāhiē .
76All of this knowledge should remain in your intellects.
71Maĩ tumkō prajāpitā brahmā dvārā adopt kartā hū̃ .
77I adopt you through Brahma, the Father of Humanity.
72Tō yah mātā bhī hō gaī .
78Therefore, this one is also your mother.
73Gāyā bhī jātā hai tum māt-pitā ham bālak tērē … tō vah sab ātmāō̃ kā bāp hai .
79It is remembered: You are the Mother and Father and we are Your children. 80Therefore, that One is the Father of all souls.
74Unkō mātā nahī̃ kahē̃gē . 75Vah tō bāp hī hai .
81He cannot be called the Mother; He is only the Father.
76Bāp sē varsā miltā hai phir mātā chāhiē .
82You receive your inheritance from the Father and you then need a mother.
77Vah yahā̃ ātē haĩ .
83He comes here.
78Abhī tumkō mālūm paṛā hai bāp ūpar mē̃ rahtē haĩ . 79Ham ātmāyē̃ bhī ūpar rahtī haĩ . 80Phir yahā̃ ātī haĩ part bajānē .
84You have now come to know that the Father resides up above, that we souls also reside up above and that we then come down here to play our parts.
81Duniyā kō in bātō̃ kā kuchh bhī patā nahī̃ .
85People of the world do not know any of this.
82Vah tō ṭhikkar bhittar mē̃ paramātmā kō kah dētē haĩ , phir tō anginat hō jāyē̃ .
86They say that the Supreme Soul is in the pebbles and stones, which would mean that He is infinite.
83Iskō kahā jātā hai ghōr andhiyārā .
87That is called immense darkness.
84Gāyan bhī hai gyān sūrya pragaṭā , agyān andhēr vināśh .
88There is a saying: When the sun of knowledge rises, the darkness of ignorance is dispelled.
85Is samay tumkō gyān hai - yah hai rāvaṇ rājya , jis kāraṇ andhiyārā hai .
89You now have the knowledge that this is the kingdom of Ravan and that there is darkness because of this.
86Vahā̃ tō rāvaṇ rājya hōtā nahī̃ isliē kōī vikār nahī̃ . 87Dēh-abhimān bhī nahī̃ .
90There, there is no kingdom of Ravan. 91That is why there are no vices or body consciousness there.
88Vahā̃ ātma-abhimānī rahtē haĩ .
92There, you remain soul conscious.
89Ātmā kō gyān hai - ab chhōṭā bachchā haĩ , ab ham javān banē haĩ , ab vr̥iddha śharīr huā hai isliē ab yah śharīr chhōṛ dūsrā lēnā hai .
93There, you souls know when you are infants and when you are adolescents and when your bodies become old, you are aware that you will renounce them and take others.
90Vahā̃ aisē nahī̃ kahtē phalānā mar gayā .
94There, you will not say: “So and so has died.”
91Vah tō hai hī amarlōk .
95That is the land of immortality.
92Khuśhī sē ēk śharīr chhōṛ dūsrā lētē haĩ .
96Souls happily shed their bodies and take others.
93Abhī āyu pūrī huī hai , yah chhōṛ nayā lēnā hai isliē sannyāsī lōg sarp kā misāl dētē haĩ .
97Each of them understands that the lifespan of that body is now over and that they have to leave that body and take a new one. 98This is why sannyasis give the example of a snake.
94Misāl vāstav mē̃ bāp kā diyā huā hai . 95Vah phir sannyāsī lōg uṭhātē haĩ .
99In fact, this example was given by the Father; it was taken up by the sannyasis afterwards.
96Tab bāp kahtē haĩ yah jō gyān maĩ tumkō dētā hū̃ , yah prāyaḥlōp hō jātā hai .
100Therefore, the Father says: The knowledge I give you disappears.
97Bāp K|kē akṣhar bhī haĩ , tō chitra bhī haĩ parantu jaisē āṭē mē̃ namak .
101Some words and pictures that the Father uses also exist later, but they are just like a pinch of salt in a sackful of flour.
98Tō bāp baiṭh arth|earth samjhātē haĩ - jaisē sarp purānī khāl chhōṛ dētā hai aur naī khāl ā jātī hai .
102Therefore, the Father sits here and explains the meaning of how a snake sheds its skin and has a new skin.
99Unkē liē aisē nahī̃ kahē̃gē ēk śharīr chhōṛ dūsrē mē̃ pravēśh kartē haĩ . 100Nahī̃ .
103You would not say that a snake leaves its body and enters its next one; no.
101Khāl badalnē kā ēk sarp kā hī misāl hai .
104The example of changing the skin only applies to a snake.
102Vah khāl unkī dēkhnē mē̃ bhī ātī hai .
105That skin of the snake is also visible.
103Jaisē kapṛā utārā jātā hai vaisē sarp bhī khāl chhōṛ dētā hai , dūsrī mil jātī hai .
106Just as you remove your clothes, in the same way, a snake grows a new skin and sheds its old one.
104Sarp tō jindā hī rahtā hai , aisē bhī nahī̃ sadaiv amar rahtā hai .
107The snake remains alive; it is not that it is immortal.
1052-3 khāl badalī kar phir mar jāyēṅgē .
108After shedding its skin two or three times, it dies.
106Vahā̃ bhī tum samay par ēk khāl chhōṛ dūsrī lē lētē hō .
109There, you too will shed your skins at the appropriate time and take others.
107Jāntē hō abhī hamkō garbh mē̃ jānā hai .
110Each of you will know that you then have to enter a womb.
108Vahā̃ tō hai hī yōgbal key|kī bāt .
111There, it is a question of the power of yoga.
109Yōgbal sē tum janamtē hō , isliē amar kahā jātā hai .
112You take birth through the power of yoga; this is why you are called immortal.
110Ātmā kahtī hai ab ham būṛhā hō gayā hū̃ , śharīr purānā huā hai .
113The soul says: I have now become old; my body has become old.
111Sākṣhātkār hō jātā hai . 112Ab ham jākar chhōṭā bachchā banūṅgā .
114You have a vision of how you will go and become a baby again.
113Āpēhī śharīr chhōṛ ātmā bhāg-kar jāē chhōṭē bachchē mē̃ pravēśh kartī hai .
115A soul leaves his body automatically and runs and enters a baby.
114Us garbh kō jēl nahī̃ , mahal kahā jātā hai .
116That womb is not called a jail; it is called a palace.
115Pāp tō kōī hōtē nahī̃ haĩ jō bhōgnā paṛē .
117There are no sins committed there for which you would have to experience punishment.
116Garbh mahal mē̃ ārām sē rahtē haĩ , duḥkh key|kī kōī bāt nahī̃ . 117Na kōī aisī gandī chīz khilātē haĩ jissē bīmār hō jāyē̃ .
118You live very comfortably in the palace of a womb. 119There is no question of sorrow, nor are you fed anything dirty to eat through which you would become sick.
118Ab bāp kahtē haĩ - bachchē , tumkō nivārṇdhām mē̃ jānā hai , yah duniyā badalnī hai .
120The Father says: Children, this world is now to be transformed and you will have to return to the land of nirvana.
119Purānī sē phir naī hōgī .
121This world will change from old to new.
120Har ēk chīj badaltī hai .
122Everything changes.
121Jhāṛ sē bīj nikaltē haĩ , phir sē bīj lagāō tō kitnā phal miltā hai .
123A seed emerges from a tree. 124Then, when that seed is planted, the tree bears so much fruit.
122Ēk bīj sē kitnē dānē nikaltē haĩ .
125One seed produces many other seeds.
123Satyug mē̃ ēk hī bachchā paidā hōtā hai - yōgbal sē .
126In the golden age, through the power of yoga, there will only be one child at a time.
124Yahā̃ vikār sē 4-5 bachchē paidā kartē haĩ .
127Here, through lust, there are four or five children born together.
125Satyug aur kaliyug mē̃ bahut fark hai jō bāp batlātē haĩ .
128The Father explains how vast the difference is between the golden age and the iron age.
126Naī duniyā phir purānī kaisē hōtī hai , usmē̃ ātmā kaisē 84 janma lētī hai - yah bhī samjhāyā hai .
129He has also explained how the new world becomes old and how, within that, souls take 84 births.
127Har ēk ātmā apnā-apnā part bajākar phir jab jāyēgī tō apnī-apnī jagah par jākar khaṛī rahēgī .
130All souls play their own individual parts and then, when they all return home, each one goes to his own particular position.
128Jagah badaltī nahī̃ hai .
131They do not change their positions.
129Apnē-apnē dharm mē̃ apnī jagah par number-vār khaṛē hōṅgē , phir number-vār hī nīchē ānā hai isliē chhōṭē-chhōṭē models banākar rakhtē haĩ mūlvatan K|kē .
132Each soul has to return to his own position, numberwise, in his own religion, and he then has to come down again, numberwise. 133This is why a small model of the supreme region has been made.
130Sab dharmō̃ kā apnā-apnā section hai .
134Each religion has its own section.
131Dēvī-dēvtā hai pahlā dharm , phir number-vār ātē haĩ .
135The deity religion is the first one and then others come down, numberwise.
132Number-vār hī jākar rahē̃gē .
136You will go and reside there, numberwise.
133Tum bhī number-vār pās|pass hōtē hō , un marks K|kē hisāb sē jagah lētē hō .
137You pass, numberwise, and so you will take your position according to the marks given to you.
134Yah bāp key|kī paṛhāī kalp mē̃ ēk hī bār hōtī hai .
138This study of the Father’s only takes place once in a cycle.
135Tum ātmāō̃ kā kitnā chhōṭā sijarā hōgā .
139The genealogical tree of you souls is very tiny.
136Jaisē tumhārā itnā baṛā jhāḍ hai .
140Here, you have such a huge tree.
137Tum bachchō̃ nē divya dr̥iṣhṭi sē dēkhkar phir yahā̃ baiṭhkar chitra ādi banāyē haĩ .
141Some children had divine visions and then sat here and created these pictures.
138Ātmā kitnī chhōṭī hai , śharīr kitnā baṛā hai .
142Souls are very tiny but their bodies are huge.
139Sab ātmāyē̃ vahā̃ jākar baiṭhē̃gī .
143All souls will go and sit there.
140Bahut thōṛī jagah mē̃ najdīk mē̃ jākar rahtī haĩ . 141Manuṣhyō̃ kā jhāṛ kitnā baṛā hai .
144They all go and reside very closely together in a very small space, whereas the tree of human beings is huge.
142Manuṣhyō̃ kō tō jagah chāhiē nā - chalnē , phirnē , khēlnē , paṛhnē , naukrī karnē key|kī . 143Sab kuchh karnē kī jagah chāhiē .
145Human beings need space to walk, move, play, study and work; they need space to do everything.
144Nirākārī duniyā mē̃ ātmāō̃ key|kī chhōṭī jagah hōgī isliē in chitrō̃ mē̃ bhī dikhāyā hai .
146The souls in the incorporeal world have a very small space. 147This is why it is portrayed like that in the pictures.
145Banā-banāyā nāṭak hai , śharīr chhōṛkar ātmāō̃ kō vahā̃ jānā hai .
148This play is predestined. 149You souls have to return there after renouncing your bodies.
146Tum bachchō̃ key|kī buddhi mē̃ hai ki ham vahā̃ kaisē rahtē haĩ aur dūsrē dharm vālē kaisē rahtē haĩ . 147Phir kaisē alag-alag hōtē haĩ number-vār .
150It is now in the intellects of you children how you and those of other religions reside there and how you become separated from the Father, numberwise.
148Yah sab bātē̃ tumkō kalp-kalp ēk hī bāp ākar sunātē haĩ .
151The Father only comes once, cycle after cycle, and explains all of these things to you.
149Bākī tō sabhī haĩ jismānī paṛhāī .
152All other studies are worldly.
150Unkō rūhānī paṛhāī nahī̃ kah saktē haĩ .
153They shouldn’t be called spiritual studies.
151Abhī tum jāntē hō ham ātmā haĩ .
154You now know: I am a soul.
152I|āī|eye mānā ātmā , māī|my mānā mērā yah śharīr hai .
155“I” means: soul. 156“My” means: This is my body.
153Munaṣhya yah nahī̃ jāntē .
157Human beings don’t know this.
154Unhō̃ kā tō sadaiv daihik sambandh rahtā hai .
158Their relationships are always bodily.
155Satyug mē̃ bhī daihik sambandh hōgā . 156Parantu vahā̃ tum ātma-abhimānī rahtē hō .
159In the golden age, your relationships will also be bodily, but you remain soul conscious there.
157Yah patā paṛtā hai ki ham ātmā haĩ , yah hamārā śharīr ab vr̥iddha huā hai , isliē ham ātmā ēk śharīr chhōṛ dūsrā lētē haĩ .
160Each of you is aware that you are a soul, and that your body has become old and that this is why you, the soul, have to shed that body and take another.
158Ismē̃ mūñjhnē key|kī bhī kōī bāt nahī̃ hai .
161There is no need to be confused about this.
159Tum bachchō̃ kō tō bāp sē rājāī lēnī hai .
162You children have to claim your kingdom from the Father.
160Jarūr bēhad kā bāp hai nā .
163He is definitely the unlimited Father.
161Manuṣhya jab tak gyān kō pūrā nahī̃ samajhtē haĩ tab tak anēk praśhna pūchhtē haĩ .
164People will continue to ask many questions until they understand this knowledge fully.
162Gyān hai tum brāhmaṇō̃ kō .
165You Brahmins have knowledge.
163Tum brāhmaṇō̃ kā vāstav mē̃ mandir bhī ajmēr mē̃ hai .
166In fact, the temple to you Brahmins is in Ajmer.
164Ēk hōtē haĩ puṣhkarṇī brāhmaṇ , dūsrē sārsiddha .
167One type of brahmin is the Pushkarni brahmins and the other type is the Sarsidh.
165Ajmēr mē̃ brahmā kā mandir dēkhnē jātē haĩ .
168People go to Ajmer to see the Brahma Temple.
166Brahmā baiṭhā hai , dāṛhī ādi dī|the huī hai .
169Brahma is portrayed sitting there with a long beard.
167Unkō manuṣhya K|kē rūp mē̃ dikhāyā hai .
170He is portrayed in a human form.
168Tum brāhmaṇ bhī manuṣhya K|kē rūp mē̃ hō .
171You Brahmins are also in human forms.
169Brāhmaṇō̃ kō dēvtā nahī̃ kahā jātā hai .
172Brahmins cannot be called deities.
170Sachchē-sachchē brāhmaṇ tum hō brahmā key|kī aulād .
173You are true Brahmins, the children of Brahma.
171Vah kōī brahmā key|kī aulād nahī̃ haĩ , pīchhē ānē vālō̃ kō yah mālūm nahī̃ paṛtā hai .
174Those people are not the children of Brahma. 175They come later and so they do not understand this.
172Tumhārā yah virāṭ rūp hai .
176That is your variety-form image.
173Yah buddhi mē̃ yād rahnā chāhiē .
177Keep all of this in your intellects.
174Yah sārī knowledge hai jō tum kōī kō achchhī rīti samjhā saktē hō . 175Ham ātmā haĩ , bāp K|kē bachchē haĩ , yah yathārth rīti samajhkar , yah niśhchay pakkā-pakkā hōnā chāhiē .
178You can explain this knowledge very clearly to anyone: We are souls; we are the children of the Father. 179Understand this accurately and make your faith firm.
176Yah tō yathārth bāt hai , sabhī ātmāō̃ kā bāp ēk paramātmā hai .
180This is an accurate aspect. 181Only the one Supreme Soul is the Father of all souls.
177Sabhī unkō yād kartē haĩ .
182Everyone remembers Him.
178' hē bhagvān ' manuṣhyō̃ K|kē mukh sē jarūr nikaltā hai .
183The words “O God!” definitely emerge from the lips of human beings.
179Paramātmā kaun hai - yah kōī bhī nahī̃ jāntē haĩ , jab tak ki bāp ākar samjhāyē .
184However, no one can know who God is until the Father comes and explains who He is.
180Bāp nē samjhāyā hai yah lakṣhmī-nārāyaṇ jō viśhva K|kē mālik thē , yahī nahī̃ jāntē thē tō r̥iṣhi-muni phir kaisē jān saktē !
185The Father has explained: If Lakshmi and Narayan, who were the masters of the world, did not know this, how could those rishis and munis know?
181Abhī tumnē bāp dvārā jānā hai .
186You have now come to know this from the Father.
182Tum hō āstik , kyōṅki tum rachayitā aur rachnā K|kē ādi , madhya , ant kō jāntē hō .
187You are theists because you know the Creator and the beginning, the middle and the end of His creation.
183Kōī achchhī rīti jāntē haĩ , kōī cum|kam .
188Some understand this clearly and some less so.
184Bāp sammukh ākar paṛhātē haĩ phir kōī achchhī rīti dhāraṇ kartē haĩ , kōī cum|kam dhāraṇ kartē haĩ .
189The Father comes personally to teach you. 190Then, some imbibe this very well and others imbibe it less well.
185Paṛhāī bilkul simple bhī hai , baṛī bhī hai .
191This study is very simple and it is also very great.
186Bāp mē̃ itnā gyān hai jō sāgar kō syāhī banāō tō bhī ant nahī̃ pāyā jā saktā .
192The Father has so much knowledge that if you were to turn the whole ocean into ink, you would not reach the end of it.
187Bāp sahaj karkē samjhātē haĩ .
193The Father explains it in an easy way.
188Bāp kō jānnā hai , svadarśhan chakradhārī bannā hai .
194You have to know who the Father is and become spinners of the discus of self realisation.
189Bas !
195That’s all.
190Achchhā !
196Achcha.
191Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .
197To the sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.
192Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .
198The spiritual Father says namaste to the spiritual children.
Essence for dharna
193Dhārṇā kē liē mukhya sār :
199Essence for dharna:
1941 ) sadā yād sahaj banī rahē uskē liē chaltē phirtē yah chintan karnā ki ham ātmā haĩ , paramdhām nivāsī ātmā yahā̃ part bajānē āī haĩ .
200 1. In order to have constant remembrance easily, always think as you walk and move around: I am a soul. 201I, this soul, a resident of the supreme abode, have come here to play my part.
195Bāp bhī paramdhām mē̃ rahtē haĩ .
202The Father also resides in the supreme abode.
196Vah brahmā tan mē̃ āyē haĩ .
203He has entered the body of Brahma.
1972 ) jaisē rūhānī bāp sē ātmā kā pyār hai , aisē āpas mē̃ bhī rūhānī pyār sē rahnā hai .
204 2. Just as souls have love for the spiritual Father, so you have to live with one another with spiritual love.
198Ātmā kā ātmā sē pyār hō , śharīr sē nahī̃ .
205You souls should have love for souls, not bodies.
199Ātma-abhimānī bannē kā pūrā-pūrā abhyās karnā hai .
206Make full effort to practise soul consciousness.
Blessing
200Vardān : had key|kī kāmnāō̃ sē mukt rah sarv praśhnō̃ sē pār rahnē vālē sadā prasannchit bhav
207Blessing: May you remain constantly happy and beyond all questions by remaining free from all limited desires.
201Jō bachchē had key|kī kāmnāō̃ sē mukt rahtē haĩ unkē chēhrē par prasannatā key|kī jhalak dikhāī dētī hai .
208 The children who remain free from limited desires have a sparkle of happiness visible on their faces.
202Prasannchit kōī bhī bāt mē̃ praśhnachit nahī̃ hōtē .
209Those who are happy never have any questions in their hearts.
203Vō sadā niḥsvārthī aur sadā sabhī kō nirdōṣh anubhav karē̃gē , kisī aur kē ūpar dōṣh nahī̃ rakhē̃gē .
210They are always altruistic and always experience everyone to be blameless; they would not blame others for anything.
204Chāhē kōī bhī paristhiti ā jāē , chāhē kōī ātmā hisāb-kitāb chuktū karnē vālī sāmnā karnē ātī rahē , chāhē śharīr kā karmabhōg sāmnā karnē ātā rahē lēkin santuṣhṭatā K|kē kāraṇ vē|way sadā prasannchit rahē̃gē .
211No matter what situation arises, whether it is a soul who keeps coming in front of you to settle your karmic accounts, or the suffering of karma of your body that continues to come in front of you, it is because of your contentment that you remain constantly happy.
Slogan
205Slōgan : vyarth key|kī checking attention sē karō , albēlē rūp mē̃ nahī̃ .
212Slogan: Check all wastage with attention, not in a careless way.
213*** Om Shanti ***