मंगलवार 4 जून 2024 की दैनिक मुरली

दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

004-06-2024 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

0 04/06/24 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē bachchē - ab is chhī-chhī gandī duniyā kō āg lagnī hai isliē śharīr sahit jisē tum mērā-mērā kahtē hō - isē bhūl jānā hai , issē dil nahī̃ lagānī hai ' '

1Essence: Sweet children, this dirty world is now to be set on fire. 2Therefore, forget everything that you call yours, including your bodies. 3Do not attach your hearts to this world.

Question

2Praśhna  : bāp tumhē̃ is duḥkhdhām sē naphrat kyō̃ dilātē haĩ  ?

4Question: Why does the Father inspire you to have distaste for this land of sorrow?

Answer

3Uttar  : kyōṅki tumhē̃ śhāntidhām-sukhadhām jānā hai .

5Answer: Because you have to go to the land of peace and the land of happiness.

4Is gandī duniyā mē̃ ab rahnā hī nahī̃ hai .

6You no longer have to stay in this dirty world.

5Tum jāntē hō ātmā śharīr sē alag hōkar ghar jāyēgī , isliē is śharīr kō kyā dēkhnā .

7You understand that souls will separate from their bodies and return home, therefore why should you look at those bodies?

6Kisī K|kē nām-rūp taraph bhī buddhi na jāyē .

8Your intellects should not be drawn to anyone’s name or form.

7Gandē khyālāt bhī ātē haĩ tō pad bhraṣhṭa hō jāyēgā .

9Even by having dirty thoughts, your status will be destroyed.

Murli

8Ōm śhānti .

10Om shanti.

9Śhivbābā apnē bachchō̃ , ātmāō̃ sē bāt kartē haĩ .

11Shiv Baba speaks to His children, to you souls.

10Ātmā hī suntī hai .

12It is you souls that listen.

11Apnē kō ātmā niśhchay karnā hai .

13Each of you has the faith that you are a soul.

12Niśhchay karkē phir yah samjhānā hai ki bēhad kā bāp āyā huā hai , sabkō lē jānē liē .

14After having this faith, you have to explain to others that the unlimited Father has come to take everyone back home.

13Duḥkh K|kē bandhan sē chhuṛāē sukh K|kē sambandh mē̃ lē jātē haĩ .

15He frees you from the bondages of sorrow and takes you into relationships of happiness.

14Sambandh sukh kō , bandhan duḥkh kō kahā jātā hai .

16Relationship is called happiness and bondage is called sorrow.

15Ab yahā̃ K|kē kōī bhī nām-rūp ādi mē̃ dil nahī̃ lagāō .

17Do not now attach your hearts to anyone’s name or form etc. here.

16Apnē ghar jānē liē taiyārī karnī hai .

18Prepare to return to your home.

17Bēhad kā bābā āyā huā hai , sabhī ātmāō̃ kō lē jānē isliē yahā̃ kōī sē dil nahī̃ lagānī hai .

19Unlimited Baba has come to take all souls back home. 20Therefore, do not allow your heart to be drawn to anyone here.

18Yah sab yahā̃ K|kē chhī-chhī bandhan haĩ .

21All of the bondages here are dirty.

19Tum samajhtē hō ham ab pavitra banē haĩ tō hamārē śharīr kō kōī bhī hāth na lagāyē , chhī-chhī khyālāt sē .

22You understand that you now have become pure, that no one should touch your bodies with dirty thoughts.

20Vah khyālāt hī nikal jātē haĩ .

23Those thoughts are removed.

21Pavitra bannē sivāē vāpis ghar tō jā na sakē̃ .

24You cannot return home without becoming pure.

22Phir sajāyē̃ khānī paṛē̃gī , agar na sudharē tō .

25You will have to experience punishment if you do not reform yourselves.

23Is samay sabhī ātmāyē̃ ansudharēlī haĩ . 24Śharīr kē sāth chhī-chhī kām kartī haĩ .

26At this time, all souls are unreformed; they perform dirty acts through their bodies.

25Chhī-chhī dēhdhāriyō̃ sē dil lagī huī hai .

27Their hearts are attached to dirty bodily beings.

26Bāp ākar kahtē haĩ - yah sab gandē khyāl chhōṛō .

28The Father comes and says: Stop all of those dirty thoughts.

27Ātmā kō śharīr sē alag hōkar ghar jānā hai .

29You souls have to separate from your bodies and return home.

28Yah tō bahut chhī-chhī gandī duniyā hai , ismē̃ tō ab hamkō rahnā nahī̃ hai .

30This world is very dirty; you no longer want to stay in it.

29Kōī kō dēkhnē key|kī bhī dil nahī̃ hōtī .

31You have no desire to look at anyone.

30Abhī tō bāp āyē haĩ svarg mē̃ lē jānē .

32The Father has now come to take you to heaven.

31Bāp kahtē haĩ - bachchē , apnē kō ātmā samjhō .

33The Father says: Children, consider yourselves to be souls.

32Pavitra bannē liē bāp kō yād karō .

34In order to become pure, remember the Father.

33Kōī bhī dēhdhārī sē dil nahī̃ lagāō .

35Do not attach your hearts to any bodily beings.

34Bilkul mamatva miṭ jānā chāhiē .

36All your attachments should end completely.

35Strī-purūṣh kā bahut pyār hōtā hai . 36Ēk-dō sē alag hō nahī̃ saktē .

37A husband and wife love each other a lot; they cannot be separated from one another.

37Ab tō apnē kō ātmā bhāī-bhāī samajhnā hai .

38You now have to consider yourselves to be souls, brothers.

38Gandē khyāl nahī̃ rahnē chāhiē .

39No dirty thoughts should remain.

39Bāp samjhātē haĩ - abhī yah vēśhyālay hai .

40The Father explains: This world is now a brothel.

40Vikārō̃ K|kē kāraṇ hī tumnē ādi , madhya , ant duḥkh kō pāyā hai .

41It is because of the vices that you have experienced sorrow from their beginning, through the middle to the end.

41Bāp bahut hī naphrat dilātē haĩ .

42The Father inspires you to have distaste.

42Abhī tum steamer par baiṭhē hō jānē kē liē .

43You are now sitting in a steamer and ready to return home.

43Ātmā samajhtī hai abhī ham jā rahē haĩ bāp kē pās .

44The soul understands that he is now to return to the Father.

44Is sārī purānī duniyā sē vairāgya hai .

45You have disinterest in this entire old world.

45Is chhī-chhī duniyā , nark vēśhyālay mē̃ hamkō rahnā nahī̃ hai .

46You no longer want to stay in this dirty world of hell, this brothel.

46Tō phir viṣh kē liē gandē khyālāt ānā bahut kharāb hai . 47Pad bhī bhraṣhṭa hō jāyēgā .

47Therefore, it is very bad to have dirty thoughts of poison; your status would also be destroyed.

48Bāp kahtē haĩ maĩ tumkō gul-gul duniyā mē̃ , sukhdhām mē̃ lē jānē āyā hū̃ .

48The Father says: I have come to take you to the beautiful world, the land of happiness.

49Maĩ tumkō is vēśhyālay sē nikāl śhivālay mē̃ lē jāūṅgā tō ab buddhi kā yōg rahnā chāhiē naī duniyā mē̃ .

49I will take you away from this brothel to the Shiva Temple. 50Therefore, your intellects should now remain in yoga with the new world.

50Kitnī khuśhī hōnī chāhiē .

51You should have so much happiness.

51Bēhad kā bābā hamkō paṛhātē haĩ , yah bēhad sr̥iṣhṭi chakra kaisē phirtā hai , vah tō buddhi mē̃ hai .

52Unlimited Baba is teaching you. 53It is in your intellects how the unlimited cycle of the world turns.

52Sr̥iṣhṭi chakra kō jānnē sē arthāt svadarśhan chakradhārī hōnē sē tum chakravartī rājā banē̃gē .

54By knowing the cycle of the world, that is, by spinning the discus of self-realisation, you become rulers of the globe.

53Agar dēhdhārī sē buddhiyōg lagāyā tō pad bhraṣhṭa hō paṛēgā .

55If your intellects are connected in yoga to bodily beings, your status will be destroyed.

54Kōī bhī dēh K|kē sambandh yād na āyē̃ .

56You should not remember any bodily relationships.

55Yah tō duḥkh key|kī duniyā hai , ismē̃ sab duḥkh hī dēnē vālē haĩ .

57This is a world of sorrow in which everyone causes sorrow.

56Bāp dirty duniyā sē sabkō lē jātē haĩ , isliē ab buddhiyōg apnē ghar sē lagānā hai .

58The Father takes everyone away from this dirty world. 59Therefore, connect your intellects in yoga to your home.

57Manuṣhya bhakti kartē haĩ - mukti mē̃ jānē liē .

60Human beings perform devotion in order to go into liberation.

58Tum bhī kahtē hō - ham ātmāō̃ kō yahā̃ rahnā nahī̃ hai .

61You also say: We souls do not want to stay here.

59Ham yah chhī-chhī śharīr chhōṛkar apnē ghar jāyēṅgē , yah tō purānī juttī hai .

62We will renounce these dirty bodies and return to our home. 63These are old shoes.

60Bāp kō yād kartē-kartē phir yah śharīr chhūṭ jāyēgā .

64You will renounce those bodies while remembering the Father.

61Antkāl bāp K|kē sivāē aur kōī dūsrī chīz yād na rahē .

65In your final moments, you should not remember anyone except the Father.

62Yah śharīr bhī yahā̃ hī chhōṛnā hai .

66You also have to leave your bodies here.

63Śharīr gayā tō sab kuchh gayā . 64Dēh sahit jō kuchh bhī hai , tum jō mērā-mērā kahtē hō yah sab bhūl jānā hai .

67When you leave your bodies, you also leave everything else. 68You have to forget everything that you say is yours, including your own bodies.

65Is chhī-chhī duniyā kō āg lagnī hai , isliē insē ab dil nahī̃ lagānī hai .

69This dirty world is to be set on fire. 70This is why you must not attach your hearts to it.

66Bāp kahtē haĩ mīṭhē-mīṭhē bachchō̃ , maĩ tumhārē liē svarg key|kī sthāpanā kar rahā hū̃ .

71The Father says: Sweetest children, I am establishing heaven for you.

67Vahā̃ tum hī jākar rahē̃gē .

72You are the ones who will go and live there.

68Abhī tumhārā mũh us taraph hai .

73Your faces are now in that direction.

69Bāp kō , ghar kō , svarg kō yād karnā hai .

74You have to remember the Father, the home and heaven.

70Duḥkhdhām sē naphrat ātī hai .

75You have distaste for this land of sorrow.

71In śharīrō̃ sē naphrat ātī hai .

76You have distaste for those bodies.

72Śhādī karnē key|kī bhī kyā darkār hai .

77What need is there to get married?

73Śhādī karnē sē phir dil lag jātī hai śharīr sē .

78By getting married, your heart becomes attached to a body.

74Bāp kahtē haĩ is purānī juttiyō̃ sē kuchh bhī snēh nahī̃ rakhō .

79The Father says: Do not love those old shoes.

75Yah hai hī vēśhyālay . 76Sab patit hī patit haĩ .

80This is a brothel; all are impure.

77Rāvaṇ rājya hai .

81It is the kingdom of Ravan.

78Yahā̃ kōī sē bhī dil nahī̃ lagānī hai , sivāē bāp K|kē .

82You must not attach your hearts to anyone here except the Father.

79Bāp kō yād nahī̃ karē̃gē tō janma-janmāntar K|kē pāp kaṭē̃gē nahī̃ .

83If you do not remember the Father, your sins of innumerable births cannot be cut away.

80Phir sajāyē̃ bhī bahut kaṛī haĩ . 81Pad bhī bhraṣhṭa hō jāyēgā .

84In that case, you will have to experience a great deal of punishment and your status will also be destroyed.

82Tō kyō̃ na is kaliyugī bandhan kō chhōṛ dē̃ .

85Therefore, why not renounce those iron-aged bondages?

83Bābā sabkē liē yah bēhad key|kī bāt samjhātē haĩ .

86The Father explains these unlimited things to everyone.

84Jab rajōpradhān sannyāsī thē tō duniyā gandī nahī̃ thī .

87When sannyasis were rajopradhan, the world was not so dirty.

85Jaṅgal mē̃ rahtē thē . 86Sabkō ākarṣhaṇ hōtī thī .

88They used to live in a jungle and everyone would be attracted to them.

87Manuṣhya vahā̃ jākar unhō̃ kō khānā pahuñchā ātē thē .

89People would take food to them there.

88Niḍar hō rahtē thē .

90They lived there without any fear.

89Tumkō bhī niḍar bannā hai , ismē̃ baṛī viśhāl buddhi chāhiē .

91You also have to remain fearless. 92You need broad and unlimited intellects for that.

90Bāp kē pās ātē haĩ , tō bachchō̃ kō khuśhī rahtī hai .

93You children become happy when you come to the Father.

91Ham bēhad bāp sē sukhdhām kā varsā lētē haĩ .

94You are claiming the inheritance of the land of happiness from the unlimited Father.

92Yahā̃ tō kitnā duḥkh hai .

95There is so much sorrow here.

93Kaī gandī-gandī bīmāriyā̃ ādi hōtī haĩ .

96There are many dirty diseases etc.

94Bāp tō guarantee kartē haĩ - tumkō vahā̃ lē jātē haĩ , jahā̃ duḥkh , bīmārī ādi kā nām nahī̃ .

97The Father gives you a guarantee that He will take you to a place where there is no sorrow or any trace of sickness etc.

95Ādhākalp kē liē tumkō healthy banātē haĩ .

98He makes you healthy for half a cycle.

96Yahā̃ kōī sē bhī dil lagāī tō bahut sajāyē̃ khānī paṛēgī .

99You will have to experience a great deal of punishment if you attach your hearts to anyone here.

97Tum samjhā saktē hō , vō lōg kahtē haĩ 3 minute silence . 98Bōlō , sirph silence sē kyā hōgā .

100Explain to those who speak of three minutes’ silence and ask them: What will happen with just silence?

99Yah tō bāp kō yād karnā hai , jissē vikarma vināśh hō̃ .

101Here, you have to remember the Father through which your sins can be absolved.

100Silence kā var dēnē vālā bāp hai .

102The Father is the One who gives you the blessing of silence.

101Unkō yād karnē bigar śhānti milēgī kaisē  ?

103How can you receive peace without remembering Him?

102Unkō yād karē̃gē tab hī varsā milēgā .

104Only by remembering Him can you receive your inheritance.

103Teachers kō bhī bahut śhabk ( pāṭh ) paṛhānā hai .

105You teachers should teach these lessons.

104Khaṛā hō jānā chāhiē , kōī kuchh bhī kahēgā nahī̃ .

106You should become alert and no one will then say anything.

105Bāp K|kē banē hō tō pēṭ kē liē tō milēgā hī , śharīr nirvāh kē liē bahut milēgā .

107Since you belong to the Father, you will receive food for your stomach. 108You will receive a great deal for your livelihood.

106Jaisē Vēdāntī bachchī hai , usnē imtahān diyā , usmē̃ ēk point thī - gītā kā bhagvān kaun  ?

109Daughter Vedanti took an exam in which there was the question: Who is the Sermoniser of the Gita?

107Usnē parampitā paramātmā śhiv likh diyā tō unkō nā-pass kar diyā .

110She replied: The Supreme Father, the Supreme Soul, Shiva.

108Aur jinhōnnē śhrīkr̥iṣhṇa kā nām likhā thā , unkō pās|pass kar diyā .

111So she failed, whereas those who wrote Shri Krishna's name passed.

109Bachchī nē sach batāyā tō uskō na jānnē kāraṇ nā-pass kar diyā .

112The child told the truth but, because they do not know this, they failed her.

110Phir laṛnā paṛē mainnē tō yah sach-sach likhā .

113Then, she had to argue with them and tell them that she wrote the truth.

111Gītā kā bhagvān hai hī nirākār parampitā paramātmā .

114The incorporeal Supreme Father, the Supreme Soul, is the God of the Gita.

112Śhrīkr̥iṣhṇa dēhdhārī tō hō na sakē .

115It cannot be Shri Krishna, the bodily being.

113Parantu bachchī key|kī dil thī is rūhānī service karnē key|kī tō chhōṛ diyā .

116However, this child had the desire to do spiritual service, and so she stopped studying.

114Tum jāntē hō ab bāp kō yād kartē-kartē apnē is śharīr kō bhī chhōṛ silence duniyā mē̃ jānā hai .

117You now know that, while remembering the Father, you have to renounce your bodies and go to the world of silence.

115Yād karnē sē health-wealth dōnō̃ hī miltī haĩ .

118By staying in remembrance you receive both health and wealth.

116Bhārat mē̃ peace prosperity thī nā .

119There used to be peace and prosperity in Bharat.

117Aisī-aisī bātē̃ tum kumāriyā̃ baiṭh samjhāō tō tumhārā kōī bhī nām nahī̃ lē̃gē .

120If you kumaris were to sit and explain these things to people, no one would criticise you.

118Agar kōī sāmnā karē tō tum kāydēsir laṛō , baṛē-baṛē officers kē pās jāō .

121If any of them oppose you, you can put your case to them according to the law. 122Go and see the important officers.

119Kyā karē̃gē  ?

123What can they do to you?

120Aisē nahī̃ ki tum bhūkh marē̃gī .

124It’s not that you will starve.

121Kēlē sē , dahī sē bhī rōṭī khā saktē hō .

125You can eat a chappati with a banana or yogurt.

122Manuṣhya pēṭ kē liē kitnē pāp kartē haĩ .

126Human beings commit so many sins for the sake of their stomachs.

123Bāp ākar sabkō pāp ātmā sē puṇya ātmā banātē haĩ .

127The Father comes and changes everyone from a sinful soul to a charitable soul.

124Ismē̃ pāp karnē , jhūṭh bōlnē key|kī kōī darkār nahī̃ hai .

128There is no need to commit sin or tell lies.

125Tumkō tō 3/4 sukh miltā hai , bākī 1/4 duḥkh bhōgtē hō .

129You receive happiness for three quarters of the cycle and sorrow for only one quarter of the cycle.

126Ab bāp kahtē haĩ - mīṭhē bachchō̃ , mujhē yād karō tō tumhārē janma-janmāntar K|kē pāp bhasma hō jāyēṅgē .

130The Father now says: Sweetest children, now remember Me, and your sins of many births will be burnt away.

127Aur kōī upāya nahī̃ .

131There is no other way.

128Bhakti mārg mē̃ tō bahut dhakkē khātē hō .

132People stumble a great deal on the path of devotion.

129Śhiv key|kī pūjā tō ghar mē̃ bhī kar saktē haĩ parantu phir bhī bāhar mandir mē̃ jarūr jātē haĩ .

133They could worship Shiva at home, but they still definitely go to a temple.

130Yahā̃ tō tumkō bāp milā hai .

134Here, you have found the Father.

131Tumkō chitra rakhnē key|kī darkār nahī̃ hai .

135There is no need for you to keep an image of Him.

132Bāp kō tum jāntē hō .

136You know the Father.

133Vah hamārā bēhad kā bāp hai , bachchō̃ kō svarg kī bādśhāhī kā varsā dē rahē haĩ .

137He is your unlimited Father. 138He is giving you children your inheritance of the kingdom of heaven.

134Tum ātē hō bāp sē varsā lēnē .

139You have come here in order to claim your inheritance from the Father.

135Yahā̃ kōī śhāstra ādi paṛhnē key|kī bāt nahī̃ .

140Here, there is no question of studying any scriptures etc.

136Sirph bāp kō yād karnā hai .

141You simply have to remember the Father.

137Bābā bas ham āyē ki āyē .

142Baba, we are about to come to You.

138Tumkō ghar chhōṛē kitnā samay huā hai  ?

143How long has it been since you left that home?

139Sukhdhām kō chhōṛē 63 janm huē haĩ .

144After leaving the land of happiness, you took 63 births.

140Ab bāp kahtē haĩ śhāntidhām , sukhdhām mē̃ chalō .

145The Father now says: You have to go to the land of peace and the land of happiness.

141Is duḥkhdhām kō bhūl jāō .

146Continue to forget this land of sorrow.

142Śhāntidhām , sukhdhām kō yād karō aur kōī difficult bāt nahī̃ hai .

147Remember the land of happiness and the land of peace. 148There is nothing difficult about this.

143Śhivbābā kō kōī śhāstra ādi paṛhnē key|kī darkār nahī̃ hai .

149Shiv Baba doesn’t need to study any scriptures etc.

144Yah brahmā paṛhā huā hai .

150This Brahma has studied them.

145Tumkō tō abhī śhivbābā paṛhātē haĩ .

151Shiv Baba is now teaching you.

146Yah brahmā bhī paṛhā saktē haĩ .

152This Brahma can also teach.

147Parantu tum sadaiv samjhō śhivbābā kē liē .

153However, you must always consider it to be Shiv Baba who is teaching you.

148Unkō yād karnē sē vikarma vināśh hōṅgē .

154By remembering Him, your sins will be absolved.

149Bīch mē̃ yah bhī hai .

155This one is in between.

150Ab bāp kahtē haĩ time thōṛā hai , jāstī nahī̃ hai .

156The Father says: There is now very little time left, not a great deal.

151Aisā khyāl mat karō ki jō nasīb mē̃ hōgā , vah milēgā .

157Don't think that you will receive whatever is in your fortune.

152School mē̃ paṛhāī kā purūṣhārth kartē haĩ nā .

158In a school, you have to make effort to study.

153Aisē thōṛēhī kahē̃gē jō nasīb mē̃ hōgā … yahā̃ nahī̃ paṛhtē haĩ tō vahā̃ janma-janmāntar naukrī chākrī kartē rahē̃gē .

159You wouldn’t just say that you will receive whatever is in your fortune. 160If you do not study here, you will have to work there for innumerable births.

154Rājāī mil na sakē .

161You will not be able to claim a kingdom.

155Karkē pichhāṛī mē̃ tāj rakh dēgē , vah bhī trētā mē̃ .

162Later on, in the silver age, you might receive a crown.

156Mūl bāt hai - pavitra ban aurō̃ kō banānā .

163The main thing is to become pure and inspire others to become pure.

157Satya nārāyaṇ key|kī sachchī kathā sunānā hai bahut sahaj .

164Tell others the true story of becoming the true Narayan. 165This is very easy.

158Dō bāp haĩ , had K|kē bāp sē had kā varsā miltā hai , bēhad K|kē bāp sē bēhad kā .

166Explain that you have two fathers. 167You receive limited inheritances from your limited fathers and you receive the unlimited inheritance from your unlimited Father.

159Bēhad bāp kō yād karō tō yah dēvtā banē̃gē .

168By remembering your unlimited Father, you become a deity.

160Parantu phir usmē̃ bhī ūñch pad pānā hai .

169However, within that, you have to claim a high status.

161Pad pānē kē liē hī kitnā mārā-mārī kartē haĩ .

170People fight hard to claim a status.

162Pichhāṛī mē̃ bombs key|kī bhī ēk-dō kō madad dēgē .

171At the end, they will help one another with bombs.

163Yah itnē sab dharm thē thōṛēhī . 164Phir nahī̃ rahē̃gē .

172There never used to be so many religions, but they will no longer remain.

165Tum rājya karnē vālē hō tō apnē ūpar rahm karō nā - kam sē kam ūñch pad tō pāyē̃ .

173You are the ones who are to rule the kingdom. 174Therefore, have mercy for yourselves! 175At least claim a high status!

166Bachchiyā̃ 8 ānā bhī dētī haĩ - hamārī ēk īṭ lagā dēnā .

176Some children even give eight annas (half a rupee) and say: Place one brick for me for heaven.

167Sudāmā kā misāl sunā hai nā . 168Chāval muṭṭhī badalē|badlē mahal mil gayā .

177You have heard of the example of Sudama: in return for a handful of rice he received a palace.

169Garīb kē pās haĩ hī 8 ānē tō vahī dēgē nā .

178The poor only have eight annas, so they can only give that much.

170Kahtē haĩ bābā ham garīb haĩ .

179They say: Baba, we are poor.

171Abhī tum bachchē sachchī kamāī kartē hō .

180You children are now earning a true income.

172Yahā̃ sabkī hai jhūṭhī kamāī .

181The income of everyone else here is false.

173Dān-puṇya ādi jō kartē haĩ , vah pāp ātmāō̃ kō hī kartē haĩ .

182When they donate and perform charity, they are only donating to sinful souls.

174Tō puṇya kē badlē pāp hō jātā hai .

183Therefore, instead of it becoming charity, it becomes a sin.

175Paisā dēnē vālē par hī pāp hō jātā hai .

184It also becomes a sin for the one who gave the money.

176Aisē-aisē kartē sab pāp ātmā ban jātē haĩ .

185By doing such things, everyone has become a sinful soul.

177Puṇya ātmā hōtē hī haĩ satyug mē̃ . 178Vah hai puṇya ātmāō̃ key|kī duniyā .

186Charitable souls only exist in the golden age; that is the world of charitable souls.

179Vah tō bāp hī banāyēṅgē .

187Only the Father can create that world.

180Pāp ātmā rāvaṇ banātē , gandē ban paṛtē haĩ .

188It is Ravan who makes souls sinful. 189People become very dirty.

181Ab bāp kahtē haĩ gandē karma nahī̃ karō .

190The Father now says: Don't perform dirty acts.

182Naī duniyā mē̃ gand hōtā nahī̃ .

191There is no dirt in the new world.

183Nām hī hai svarg tō phir kyā , svarg kahnē sē hī mukh mē̃ pānī ā jātā hai .

192Its name is heaven, so there cannot be anything else there. 193One’s mouth begins to water as soon as the word “heaven” is said.

184Dēvtā hōkar gayē haĩ tab tō yādgār haĩ .

194The deities must have existed which is why their memorials exist.

185Ātmā avināśhī hai .

195Souls are imperishable.

186Kitnē ḍhēr actors haĩ .

196There are countless actors.

187Kahā̃ tō baiṭhē hōṅgē , jahā̃ sē part bajānē ātē haĩ .

197They must have been sitting somewhere from where they came to play their parts.

188Abhī kaliyug mē̃ kitnē ḍhēr manuṣhya haĩ .

198There are now countless human beings in the iron age.

189Dēvī-dēvatāō̃ kā rājya hai nahī̃ .

199The kingdom of the deities no longer exists.

190Kōī kō samjhānā tō bahut sahaj hai .

200It is very easy to explain to others.

191Ēk dharm key|kī abhī phir sthāpanā hō rahī hai , bākī sab khatm hō jāyēṅgē .

201One religion is being established again and all the others are to be destroyed.

192Tum jab svarg mē̃ thē tō aur kōī dharm nahī̃ thā .

202When you were in heaven, there was no other religion.

193Chitra mē̃ rām kō bāṇ dē diyā hai .

203In the picture of Rama, they have portrayed him with a bow and arrow.

194Vahā̃ bāṇ ādi key|kī tō bāt nahī̃ .

204There is no question of a bow and arrow there.

195Yah bhī samajhtē haĩ . 196Jisnē jō service kī hai kalp pahlē , vahī abhī kartē haĩ .

205You understand that the service someone does now is the service he did in the previous cycle.

197Jō bahut service kartē haĩ , bāp kō bhī bahut pyārē lagtē haĩ .

206Those who do a great deal of service are loved by the Father a great deal.

198Laukik bāp K|kē bachchē bhī jō achchhī rīti paṛhtē haĩ , un par bāp kā pyār jāstī rahtā hai . 199Jō laṛtē khātē rahē̃gē tō unkō thōṛēhī pyār karē̃gē , service karnē vālē bahut pyārē lagtē haĩ .

207When a physical father’s children study very well, he has more love for them than he has for those who just keep quarrelling and eating. 208Those who do service are loved a great deal.

200Ēk kahānī hai - dō billē laṛē , mākhan kr̥iṣhṇa khā gayā .

209There is a story about the two cats that fought while Shri Krishna took the butter from between them and ate it.

201Sārē viśhva kī bādśhāhī rūpī mākhan tumkō miltā hai .

210You are the ones who receive the butter of the kingdom of the whole world.

202Tō ab ġaphlat nahī̃ karnī hai . 203Chhī-chhī nahī̃ bannā hai .

211Therefore, now don’t become careless and become dirty.

204Iskē pīchhē rājāī mat ganvāō .

212Do not lose your kingdom because of that.

205Bāp K|kē direction miltē haĩ , yād nahī̃ karē̃gē tō pāp kā bōjhā chaṛhtā jāyēgā , phir bahut sajāyē̃ khānī paṛē̃gī .

213You receive the Father's directions. 214If you do not remember Him, your burden of sin will continue to increase and you will then have to experience a great deal of punishment.

206Zār-zār rōyēṅgē .

215You will cry a lot in repentance.

20721 janm key|kī bādśhāhī miltī hai .

216You can receive a kingdom for 21 births.

208Ismē̃ fail huē tō bahut rōyēṅgē .

217However, if you fail in this, you will cry a lot.

209Bāp kahtē haĩ na piyarghar , na sasurghar kō yād karnā hai .

218The Father says: Don't remember your father's home or your in-laws' home.

210Bhaviṣhya nayē ghar kō hī yād karnā hai .

219Simply remember your future new home.

211Bāp samjhātē haĩ kōī kō dēkh laṭṭū nahī̃ ban jānā hai .

220The Father says: Don't go crazy on seeing someone.

212Fool|phūl bannā hai .

221You have to become a flower.

213Dēvtāyē̃ fool|phūl thē , kaliyug mē̃ kāṇṭē thē .

222The deities were flowers. 223There are thorns in the iron age.

214Abhī tum saṅgam par fool|phūl ban rahē hō .

224Now, at the confluence age, you are becoming flowers.

215Kiskō duḥkh nahī̃ dēnā hai .

225You must not cause sorrow for anyone.

216Yahā̃ aisē banē̃gē tab satyug mē̃ jāyēṅgē .

226It is only when you become like that here that you will go to the golden age.

217Achchhā  !

227Achcha.

218Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .

228To the sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

219Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

229The spiritual Father says namaste to the spiritual children.

Essence for dharna

220Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

230Essence for dharna:

2211 ) antkāl mē̃ ēk bāp K|kē sivāē dūsrā kōī yād na āyē uskē liē is duniyā mē̃ kisī sē bhī dil nahī̃ lagānī hai .

231 1. You must not remember anyone except the one Father in your final moments. 232In order to achieve this, do not allow your heart to become attached to this world.

222Chhī-chhī śharīrō̃ sē pyār nahī̃ karnā hai .

233Do not have love for impure bodies.

223Kaliyugī bandhan tōṛ dēnē haĩ .

234Break your iron-aged bondages.

2242 ) viśhāl buddhi ban niḍar bannā hai .

235 2. Make your intellect broad and unlimited and become fearless.

225Puṇya ātmā bannē kē liē kōī bhī pāp ab nahī̃ karnā hai .

236In order to become a charitable soul, do not commit any sin now.

226Pēṭ kē liē jhūṭh nahī̃ bōlnā hai .

237Don't tell lies for the sake of your stomach.

227Chāval muṭṭhī saphal kar sachchī-sachchī kamāī jamā karnī hai , apnē ūpar rahm karnā hai .

238Use your handful of rice in a worthwhile way and accumulate a true income. 239Have mercy for yourself.

Blessing

228Vardān  : paramātma lagan sē svayã kō vā viśhva kō nirvighna banānē vālē tapasvīmūrt bhav

240Blessing: May you be an image of tapasya and with your love for God free yourself and the world from obstacles.

229Ēk paramātma lagan mē̃ rahnā hī tapasyā hai .

241 To have love for the one God is tapasya.

230Is tapasyā kā bal hī svayã kō aur viśhva kō sadā kē liē nirvighna banā saktā hai .

242It is with this power of tapasya that you can free yourself and the world from obstacles for all time.

231Nirvighna rahnā aur nirvighna banānā hī āpkī sachchī sēvā hai , jō anēk prakār K|kē vighnō̃ sē sarv ātmāō̃ kō mukt kar dētī hai .

243To be free from obstacles and to free others from obstacles is your true service of liberating all souls from many types of obstacles.

232Aisē sēvādhārī bachchē tapasyā K|kē ādhār par bāp sē jīvanmukti kā vardān lēkar aurō̃ kō dilānē kē nimitt ban jātē haĩ .

244On the basis of your tapasya, you serviceable children claim from the Father the blessing of having liberation in life and of becoming instruments to give this to others.

Slogan

233Slōgan  : bikharē huē snēh kō samēṭ kar ēk bāp sē snēh rakhō tō mēhnat sē chhūṭ jāyēṅgē .

245Slogan: Gather together the love that has been scattered everywhere and have love for the one Father and you will then be liberated from having to work hard.

246*** Om Shanti ***