बुधवार 5 जून 2024 की दैनिक मुरली

दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

005-06-2024 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

0 05/06/24 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē bachchē - tum sāhēbjādē sō śhahjādē bannē vālē hō , tumhē̃ kisī bhī chīz key|kī ichchhā nahī̃ rakhnī hai , kisī sē kuchh bhī māṅgnā nahī̃ hai ' '

1Essence: Sweet children, you are children of the Lord and Master and are to become princes.Therefore, you should not desire anything or ask anyone for anything.

Question

2Praśhna  : tabiyat kō ṭhīk rakhnē kē liē kaun-sā ādhār nahī̃ chāhiē  ?

2Question: What should you not depend on to remain healthy?

Answer

3Uttar  : kaī bachchē samajhtē haĩ vaibhavō̃ K|kē ādhār par tabiyat ṭhīk rahēgī .

3Answer: Some children think that they will remain healthy by depending on worldly comforts.

4Parantu bābā kahtē haĩ bachchē yahā̃ tumhē̃ vaibhavō̃ key|kī ichchhā nahī̃ rakhnī chāhiē .

4However, Baba says: Children, you should not have any desire here for worldly comforts.

5Vaibhavō̃ sē tabiyat ṭhīk nahī̃ hōgī .

5Worldly comforts will not enable you to remain healthy.

6Tabiyat ṭhīk rakhnē kē liē tō yād kī yātrā chāhiē .

6In order to keep yourselves healthy, you have to stay on the pilgrimage of remembrance.

7Kahā jātā hai khuśhī jaisī khurāk nahī̃ .

7It is said that there is no nourishment like the nourishment of happiness.

8Tum khuśh rahō , naśhē mē̃ rahō .

8Remain happy and intoxicated.

9Yagya mē̃ dadhīchi r̥iṣhi K|kē misal haḍḍiyā̃ dō tō tabiyat ṭhīk hō jāyēgī .

9Give your bones to the yagya like Dadichi Rishi did and your health will become good.

Murli

10Ōm śhānti .

10Om shanti.

11Bāp kō kahā jātā hai karankarāvanhār .

11The Father is called Karankaravanhar.

12Tum sāhēbjādē hō .

12You are the children of the Lord and Master.

13Tumhārā is sr̥iṣhṭi mē̃ ūñchē tē ūñchā position hai .

13You have the highest position in this world.

14Tum bachchō̃ kō naśhā rahnā chāhiē ki ham sāhēbjādē , sāhēb key|kī mat par ab phir sē apnā rājya-bhāgya sthāpan kar rahē haĩ .

14You children should have the intoxication that you children of the Lord and Master and are once again establishing your fortune of the kingdom by following the directions of the Lord and Master.

15Yah bhī kiskī buddhi mē̃ yād nahī̃ rahtā hai .

15This does not remain in any of your intellects.

16Bābā sabhī centres K|kē bachchō̃ kē liē kahtē haĩ .

16Baba is saying this to all you children in all the centres.

17Anēk centres haĩ , anēk bachchē ātē haĩ .

17There are many centres and many children come here.

18Har ēk key|kī buddhi mē̃ sadaiv yād rahē ki ham bābā key|kī śhrīmat par phir sē viśhva mē̃ śhānti-sukh kā rājya sthāpan kar rahē haĩ .

18It should constantly remain in the intellect of each one of you that you are once again establishing the kingdom of peace and happiness in the world by following Baba’s shrimat.

19Sukh aur śhānti yah dō akṣhar hī yād karnē haĩ .

19You just have to remember two words: Happiness and peace.

20Tum bachchō̃ kō kitnā gyān miltā hai , tumhārī buddhi kitnī viśhāl hōnī chāhiē , ismē̃ jāmṛī buddhi nahī chal saktī .

20You children receive so much knowledge. 21Therefore, your intellects should be very broad and unlimited. 22A midget intellect is of no use here.

21Apnē kō sāhēbjādē samjhō tō pāp khatm hō jāē̃ .

23Consider yourselves to be children of the Lord and Master and your sins will be absolved.

22Bahut haĩ jinkō sārā din bāp kī yād nahī̃ rahtī hai .

24There are many who do not remember the Father throughout the whole day.

23Bābā kahtē tumhārī buddhi dull kyō̃ hō jātī hai  ?

25Baba says: Why do your intellects become dull?

24Centres par aisē-aisē bachchē ātē haĩ , jinkī buddhi mē̃ hai hī nahī̃ ki ham śhrīmat par viśhva mē̃ apnā daivī rājya sthāpan kar rahē haĩ .

26It is not in the intellects of many children who go to the centres that they are establishing their deity kingdom in the world on the basis of shrimat.

25Andar mē̃ vah naśhā , phalak hōnī chāhiē .

27They should have that sparkle and intoxication inside them.

26Murlī sunnē sē rōmāñch khaṛē hō jānē chāhiē .

28While listening to the murli you should experience goose pimples.

27Yahā̃ tō bābā dēkhtē haĩ bachchō̃ K|kē aur hī rōmāñch dead rahtē haĩ , ḍhēr bachchē haĩ jinkī buddhi mē̃ yah yād nahī̃ rahtā hai ki ham śhrīmat par bābā key|kī yād sē vikarma vināśh kar apnī rājdhānī sthāpan kar rahē haĩ .

29Here, Baba sees that the children’s goose pimples remain dead. 30There are countless children who don’t have it in their intellects that they can have their sins absolved by having remembrance of Baba and that they can create their kingdom by following shrimat.

28Rōz bābā samjhātē haĩ - bachchē , tum warriors hō , rāvaṇ par jīt pānē vālē hō .

31Every day, Baba explains: Children, you are warriors, those who conquer Ravan.

29Bāp tumhē̃ mandir lāyak banātē haĩ parantu itnā naśhā vā khuśhī bachchō̃ kō rahtī thōṛēhī hai , kōī chīz nahī̃ milī tō bas rūṭh paṛē̃gē .

32The Father is making you children worthy of being in a temple, but you children are not able to maintain that intoxication and happiness. 33If you don’t receive something, you begin to sulk.

30Bābā kō tō wonder lagtā hai bachchō̃ key|kī avasthā par . 31Māyā key|kī jañjīrō̃ mē̃ phans paṛtē haĩ .

34Baba is amazed at the stage of some children; they become trapped in the chains of Maya.

32Tumhārā mān , tumhārī kārōbār , tumhārī khuśhī tō wonderful hōnī chāhiē .

35Your honour, your activities, your happiness: they should all be wonderful.

33Jō mitr sambandhiyō̃ kō nahī̃ bhūltē haĩ vah kabhī bāp kō yād kar nahī̃ sakē̃gē .

36Those who cannot forget their friends and relatives will never be able to remember the Father.

34Phir kyā pad pāyēṅgē  !

37So, what status will they claim?

35Wonder lagtā hai .

38It is a wonder!

36Tum bachchō̃ mē̃ tō baṛā naśhā chāhiē .

39You children should have great intoxication.

37Apnē kō sāhēbjādē samjhō tō kuchh bhī māṅgnē key|kī parvāh na rahē .

40Consider yourselves to be the children of the Lord and Master and you will have no need to ask for anything.

38Bābā tō hamkō itnā athāh khajānā dētē haĩ jō 21 janm tak kuchh bhī māṅgnē kā hī nahī̃ hai , itnā naśhā rahnā chāhiē .

41Baba gives you such limitless treasures that you won’t need to ask for anything for 21 births. 42You should have that much intoxication.

39Parantu bilkul hī dull , jāmṛī buddhi hai .

43However, some of you have completely dull, stagnant, midget intellects.

40Tum bachchō̃ key|kī buddhi tō 7 foot lambī hōnī chāhiē .

44The intellects of you children should be seven feet tall.

41Manuṣhya key|kī lambāī adhik sē adhik 6-7 foot hōtī hai .

45The height of human beings is at the most six to seven feet. 46Baba inspires you children to become enthusiastic.

42Bābā bachchō̃ kō kitnā hullās mē̃ lātē haĩ - tum sāhēbzādē hō , duniyā K|kē lōg tō kuchh bhī samajhtē nahī̃ .

47You are the children of the Lord and Master. 48People of the world don’t understand anything.

43Unkō tum samjhātē hō ki sirph tum yah samjhō ham bāp K|kē sāmnē baiṭhē haĩ , bāp kō yād kartē rahē̃gē tō vikarma vināśh hōṅgē .

49You explain to them: Simply think that you are sitting in front of the Father. 50Keep remembering the Father and your sins will be absolved.

44Bāp samjhātē haĩ bachchē , māyā tumhārā bahut kaṛā duśhman hai , dūsrō̃ kā itnā duśhman nahī̃ hai , jitnā tumhārā hai .

51The Father explains: Children, Maya is your strongest enemy. 52She is not such an enemy to other people as she is to you.

45Manuṣhya tō jāntē hī nahī̃ , tuchchh buddhi haĩ .

53Human beings don’t know this; their intellects are degraded.

46Bābā rōz-rōz tum bachchō̃ kō kahtē haĩ tum sāhēbjādē hō , bāp kō yād karō aur dūsrō̃ kō āp-samān banātē rahō .

54Baba tells you children every day: You are children of the Lord and Master. 55Remember the Father and continue to make others the same as yourselves.

47Tum sabkō yah bhī samjhā saktē hō ki bhagvān tō sachchā sāhēb hai nā . 48Tō ham unkē bachchē sāhēbjādē ṭhaharē , tum bachchō̃ kō chaltē-phirtē buddhi mē̃ yahī yād rakhnā hai .

56You can also explain to others how God is the true Master and how you, His children, are the children of the Lord and Master. 57The intellects of you children have to keep remembering this as you walk and move along.

49Service mē̃ dadhīchi r̥iṣhi misal haḍḍiyā̃ bhī dē dēnī chāhiē .

58You also have to give your bones in service like Dadichi Rishi did.

50Yahā̃ haḍḍī dēnā tō kyā aur hī athāh sukh vaibhav chāhiē .

59Never mind giving their bones in service, some want even more comforts.

51Tabiyat kōī in chījō̃ sē thōṛēhī achchhī hōtī hai .

60Your health cannot improve with those things.

52Tabiyat kē liē chāhiē yād kī yātrā .

61In order to become healthy, you need the pilgrimage of remembrance.

53Vah khuśhī rahnī chāhiē .

62You should have that happiness: Oh!

54Arē , ham tō kalp-kalp māyā sē hārtē āyē , abhī māyā par jīt pātē haĩ .

63We have been defeated by Maya cycle after cycle and we are now conquering Maya.

55Bāp ākar jīt pahnātē haĩ .

64The Father comes and enables you to gain victory.

56Abhī bhārat mē̃ kitnā duḥkh hai , athāh duḥkh dēnē vālā hai rāvaṇ .

65There is now a great deal of sorrow in Bharat. 66It is Ravan that brings limitless sorrow.

57Vō lōg samajhtē haĩ aeroplane haĩ , mōṭarē̃ mahal haĩ , bas , yahī svarg hai .

67Because they have aeroplanes, motor cars and palaces, those people think that they are in heaven.

58Yah nahī̃ samajhtē ki yah tō duniyā hī khalās hōnī hai .

68However, they don’t understand that this world is going to be destroyed.

59Lākhō̃ , karōṛō̃ kharchā kartē , dam ādi banātē , laṛāī kā sāmān bhī kitnā lē rahē haĩ .

69They spend hundreds of thousands building dams etc. 70So many armaments are also being bought.

60Yah ēk-dō kā khātmā karnē vālē haĩ , nidhankē haĩ nā .

71They are going to destroy one another. 72They are orphans.

61Kitnā laṛāī jhagaṛā|jhagṛā kartē haĩ , bāt mat pūchhō .

73They fight and quarrel so much, don’t even ask.

62Kitnā kichṛā lagā paṛā hai .

74There is so much rubbish.

63Iskō kahā jātā hai nark .

75This is called hell.

64Svarg key|kī tō baṛī mahimā hai .

76There is great praise of heaven.

65Baṛaudā key|kī mahārānī sē pūchhō mahārājā kahā̃ gayā  ? 66Tō kahē̃gē svargvāsī huā .

77Ask the Maharani of Baroda where her Maharaja went to and she would reply that he has become a resident of heaven.

67Svarg kiskō kahā jātā hai - yah kōī jāntē nahī̃ , kitnā ghōr andhiyārā haĩ .

78No one knows what heaven is. 79They are in immense darkness.

68Tum bhī ghōr andhiyārē mē̃ thē .

80You too were in immense darkness.

69Ab bāp kahtē haĩ tumkō īśhvarīy buddhi dētā hū̃ .

81The Father says: I now give you Godly intellects.

70Apnē kō īśhvarīy santān sāhēb-jādē samjhō .

82Consider yourselves to be children of God, the Lord and Master.

71Sāhēb paṛhātē haĩ śhahzādā banānē kē liē .

83The Lord and Master is teaching you and making you into princes.

72Bābā kahāvat sunātē haĩ nā riṛh chhā jānē … ( bhēṛ kyā samajhē ) abhī tum samajhtē hō - manuṣhya bhī sab bhēṛ bakriyō̃ kī tarah haĩ , kuchh bhī nahī̃ jāntē haĩ .

84Baba quotes the saying: What could a sheep or goat understand about the celestial sounds of heaven? 85You now have understanding whereas human beings are like sheep and goats; they do not understand anything.

73Kyā-kyā baiṭh upmā kartē haĩ .

86They just continue to sing all sorts of praise.

74Tumhārī buddhi mē̃ ādi-madhy-ant kā rāz hai .

87The secrets of the beginning, the middle and the end are now in your intellects.

75Achchhī rīti yād karō ki ham viśhva mē̃ sukh-śhānti sthāpan kar rahē haĩ .

88You have to remember very clearly that you are establishing peace and happiness in the world.

76Jō madadgār banē̃gē vahī ūñch pad pāyēṅgē .

89Those who become helpers in this will claim a high status.

77Vah bhī tum dēkhtē hō ki kaun-kaun madadgār bantē haĩ .

90You can also see who become helpers.

78Apnī dil sē har ēk pūchhē ki ham kyā kar rahē haĩ  ? 79Ham bhēṛ-bakrī tō nahī haĩ  ?

91Each of you should ask your own heart what you do and whether you are like a sheep or a goat.

80Manuṣhyō̃ mē̃ ahaṅkār dēkhō kitnā hai , gurr-gurr karnē lag paṛtē haĩ .

92Look how much arrogance human beings have. 93They keep growling.

81Tumkō tō bāp kī yād rahnī chāhiē .

94You should remember the Father.

82Service mē̃ haḍiḍyā̃ dēnī hai , kisī kō nārāz nahī̃ karnā hai , na hōnā hai .

95You have to give your bones in service. 96You must not upset anyone or allow yourself to be upset by anyone.

83Ahaṅkār bhī nahī̃ ānā chāhiē . 84Ham yah kartē , ham itnē hōśhiyār haĩ , yah khyāl ānā bhī dēh-abhimān hai .

97You should not have any arrogance: I do this, or: I am very clever. 98To have such thoughts is also body consciousness.

85Uskī chalan hī aisī hō jātī , jō śharm ā jāyēgī .

99Such souls behave in such a way that they should be ashamed of themselves.

86Nahī̃ tō tumhārē jaisā sukh aur kōī kō hō na sakē .

100Otherwise, no one has as much happiness as you.

87Yah buddhi mē̃ yād rahē tō tum chamaktē rahō .

101If you kept this in your intellects, you would be sparkling.

88Centre mē̃ kōī tō achchhē mahārathī haĩ , kōī ghōṛēsavār , pyādē bhī haĩ .

102There are some very good maharathis at the centres as well as some cavalry and also some infantry.

89Ismē baṛī viśhāl buddhi hōnī chāhiē .

103You need a broad and unlimited intellect to understand this.

90Kaisī-kaisī brāhmaṇiyā̃ haĩ , kōī tō baṛī madadgār haĩ , service mē̃ kitnī khuśhī rahtī hai .

104There are different types of teachers. 105Some are very good helpers and they remain very happy while doing service.

91Tumkō naśhā chaṛhnā chāhiē .

106You should have intoxication.

92Service bigar kyā pad pāyēṅgē .

107What status would you attain by not doing service?

93Mā̃-bāp kō tō bachchō̃ kē liē regard rahtā hai . 94Parantu vah apnā khud regard nahī̃ rakhtē tō bābā kyā kahē̃gē .

108The Mother and Father have regard for the children, but what can Baba do if you don’t have regard for yourselves?

95Tum bachchō̃ kō thōṛē mē̃ hī sabkō bāp kā sandēśh dēnā hai .

109You children have to give the Father’s message in brief.

96Bōlō , bāp kahtē haĩ manmanābhav .

110Tell them: The Father says: Manmanabhav!

97Gītā mē̃ kuchh akṣhar hai āṭē mē̃ lūn ( namak ) .

111Some words in the Gita are correct, but they are like a pinch of salt in a sackful of flour.

98Yah huge duniyā kitnī baṛī hai , buddhi mē̃ ānā chāhiē . 99Kitnī baṛī duniyā hai , kitnē manuṣhya haĩ , yah phir kuchh bhī nahī̃ rahē̃gē .

112This human world is so huge. 113It should enter your intellects how big this world is and how many human beings there are and that none of this will remain.

100Kōī khaṇḍ kā nām niśhān nahī̃ hōgā .

114There will be no trace left of some lands.

101Ham svarg K|kē mālik bantē haĩ yah din-rāt khuśhī rahnī chāhiē .

115You should be happy day and night that you are becoming the masters of heaven.

102Knowledge tō bahut sahaj hai , samjhānē vālē baṛē ramazbāz chāhiē .

116This knowledge is very easy. 117The ones who explain it should be very entertaining.

103Anēk prakār key|kī yuktiyā̃ haĩ .

118There are many different methods of explaining.

104Bāp kahtē haĩ maĩ tumkō bahut diplomat banātā hū̃ .

119The Father says: I am making you into great diplomats.

105Vah diplomat ambassador kō kahtē haĩ .

120An ambassador is called a diplomat.

106Tō bachchō̃ key|kī buddhi mē̃ yād rahnā chāhiē . 107Ōhō  !

121It should be in the intellects of you children: Oh!

108Bēhad kā bāp hamkō direction dētē haĩ , tum dhāraṇ kar aurō̃ kō bhī bāp kā parichay dētē hō .

122The unlimited Father is giving us directions. 123Imbibe this and then give the Father’s introduction to others.

109Sivāē tumhārē bākī sārī duniyā nāstik hai .

124Apart from you, everyone in the world is an atheist.

110Tumhārē mē̃ bhī number-vār haĩ .

125However, you are also numberwise.

111Kōī tō nāstik bhī haĩ nā . 112Bāp kō yād hī nahī̃ kartē .

126Some of you are still atheists; you do not remember the Father.

113Khud kahtē haĩ bābā hamkō yād bhūl jātī hai , tō nāstik ṭhaharē nā .

127Some of you say: Baba, I forget to remember You. 128This means that you are atheists.

114Aisā bāp jō sāhēbzādā banātē , vah yād nahī̃ ātā hai  !

129Are you not able to remember such a Father who makes you into princes?

115Yah samajhnē mē̃ bhī baṛī viśhālbuddhi chāhiē .

130You need a broad and unlimited intellect to understand this.

116Bāp kahtē haĩ maĩ her|har 5 hazār varṣh bād ātā hū̃ .

131The Father says: I come every 5000 years.

117Tumhārē dvārā hī kārya karātā hū̃ .

132I carry out My task through you.

118Tum warriors kitnē achchhē hō .

133You warriors are very good.

119' vandē mātaram ' tum gāyē jātē hō .

134“Salutations to the mothers” refers to you.

120Tum hī pūjya thē phir pujārī banē hō .

135You are the ones who were worthy of worship and who then became worshippers.

121Ab śhrīmat par phir sē pūjya ban rahē hō .

136You are once again becoming worthy of worship on the basis of shrimat.

122Tō tum bachchō̃ kō baṛā śhānti sē service karnī hai .

137Therefore, you children have to do service in a very peaceful manner.

123Tumhē̃ aśhānti nahī̃ hōnī chāhiē .

138You should not have any peacelessness.

124Jinkī rag-rag mē̃ bhūt bharē huē haĩ , vah kyā pad pāyēṅgē .

139What status would someone who has evil spirits in his every vein claim?

125Lōbh bhī baṛā bhūt hai .

140Greed too is an evil spirit.

126Bābā sab dēkhtē rahtē haĩ har ēk key|kī chalan kaisī hai .

141Baba continues to observe how each one of you behaves.

127Bābā kitnā naśhā chaṛhātē haĩ , kōī service nahī̃ kartē , sirph khātē-pītē rahtē tō phir 21 janm service karnī paṛēgī .

142Baba makes your intoxication rise. 143Some don’t do service; they simply carry on eating and drinking. 144Therefore, they will have to serve others for 21 births.

128Dās-dāsiyā̃ bhī tō banē̃gē nā .

145Some will also become maids and servants.

129Pichhāṛī mē̃ sabkō sākṣhātkār hōnā hai .

146At the end, everyone will receive a vision (of what they are to become).

130Dil par tō serviceable hī chaṛhē̃gē .

147It is only the serviceable ones who win Baba’s heart.

131Tumhārī service hī yah hai - kiskō amarlōk kā vāsī banānā .

148Your service is to make others into residents of the land of immortality.

132Bābā himmat tō bahut dilātē haĩ , dhārṇā karō , dēh-abhimāniyō̃ kō dhārṇā hō nahī̃ saktī .

149Baba inspires you to have a great deal of courage and to imbibe virtues. 150Those who remain body conscious are not able to imbibe virtues.

133Tum jāntē hō bāp kō yād kar ham vēśhyālay sē śhivālay mē̃ jātē haĩ , tō aisā bankar bhī dikhānā hai .

151You know that it is by remembering the Father that you go from this brothel to Shivalaya (Temple of Shiva). 152So, you have to become like that now.

134Bābā tō chiṭṭhiyō̃ mē̃ likhtē haĩ - lāḍlē rūhānī sāhēbjādō̃ , ab śhrīmat par chalē̃gē , mahārathī banē̃gē tō śhahzādē jarūr banē̃gē .

153Baba writes in the letters: Beloved, spiritual princes and princesses of the Lord and Master, you will definitely become princes if you follow shrimat and become maharathis.

135Aim object hī yah hai .

154This is your aim and objective.

136Ēk hī sachchā bābā tumkō sab bātē̃ achchhī rīti samjhā rahē haĩ .

155Only the one true Father explains everything very clearly to you.

137Service kar aurō̃ kā kalyāṇ bhī kartē rahō .

156Do service and continue to bring benefit to others.

138Yōgbal nahī̃ tō phir ichchhāyē̃ hōtī haĩ , yah chāhiē , vah chāhiē .

157When you don’t have any power of yoga, that happiness does not remain and you have desires, “I want this and that”.

139Vah khuśhī nahī̃ rahtī , kahā jātā khuśhī jaisī khurāk nahī̃ .

158It is said “There is no nourishment like the nourishment of happiness”.

140Sāhēbjādō̃ kō tō bahut khuśhī rahnī chāhiē .

159You princes and princesses should have a great deal of happiness.

141Vah nahī̃ hai tō phir anēk prakār key|kī bātē̃ ātī haĩ .

160When you don’t have this, many other types of things arise in you.

142Arē , bāp viśhva kī bādśhāhī dē rahē haĩ , bākī aur kyā chāhiē  !

161Oh! 162The Father is giving you the kingdom of the world. 163So, what more do you want?

143Harēk apnī dil sē pūchhē ki ham itnē mīṭhē bābā key|kī kyā service kartē haĩ  ?

164Each one of you should ask your own heart what service you do for such a sweet Baba.

144Bāp kahtē haĩ sabkō message dētē jāō - sāhēb āyā huā hai .

165The Father says: Continue to give the message to everyone that the Lord has come.

145Vāstav mē̃ tō tum sab brothers hō .

166In fact, all of you are brothers.

146Bhal kahtē haĩ ham sab bhāī-bhāī kō madad karnī chāhiē . 147Is khyāl sē bhāī kah dētē haĩ .

167Although people say that they are all brothers, they simply say this with the idea that brothers should help brothers.

148Yahā̃ tō bāp kahtē haĩ - tum ēk bāp K|kē bachchē bhāī hō .

168Here, the Father says: You brothers are children of the one Father.

149Bāp hai hī svarg key|kī sthāpanā karnē vālā .

169The Father is the One who establishes heaven.

150Heaven banātē haĩ bachchō̃ dvārā .

170He establishes heaven through you children.

151Service key|kī yuktiyā̃ tō bahut samjhātē haĩ .

171He explains many ways to do service.

152Mitr-sambandhiyō̃ kō bhī samjhānā hai .

172You also have to explain to your friends and relatives.

153Dēkhō , bachchē vilāyat mē̃ haĩ vah bhī service kar rahē haĩ .

173Just look at the children abroad who also do service.

154Din-pratidin lōg āphatē̃ dēkhkar samajhē̃gē - marnē K|kē pahlē varsā tō lē lē̃ .

174Day by day, as people see calamities taking place, they will think that they should claim their inheritance before they die.

155Bachchē apnē mitr-sambandhiyō̃ kō bhī uṭhā rahē haĩ . 156Pavitra bhī rahtē haĩ .

175You children are uplifting your friends and relatives and you also remain pure.

157Bākī nirantar bhāī kī avasthā rahē , vah muśhkil hai .

176However, it is difficult to maintain the consciousness of brotherhood constantly.

158Bāp nē tō bachchō̃ kō sāhēbzādē kā title kitnā achchhā diyā hai .

177The Father has given you a very good title: “Princes and Princesses of the Lord and Master”.

159Apnē kō dēkhnā chāhiē . 160Service nahī̃ karē̃gē tō ham kyā banē̃gē  ?

178Therefore, each of you should check yourself: What will you become if you don’t do service?

161Agar kōī nē jamā kiyā tō vah khātē-khātē chuktū hō gayā aur hī unkē khātē mē̃ chaṛhtā hai .

179If someone accumulates something but then uses it all up by just eating all the time, that soul would then incur further debt.

162Service karnē vālē kō kabhī yah khyāl bhī na āyē ki hamnē itnā diyā , unsē sabkī parvariśh hōtī hai isliē madad karnē vālō̃ key|kī khātirī bhī kī jātī hai , samjhānā chāhiē vah khilānē vālē haĩ .

180Those who do service should never think that they have given this much or that others are being sustained from that. 181This is why those who help are also being taken care of. 182You should explain that He is the One who is feeding you.

163Rūhānī bachchē tumkō khilātē haĩ . 164Tum unkī sēvā kartē hō , yah baṛā hisāb hai .

183You spiritual children are fed and so you then serve Him. 184This is a huge account.

165Mansā , vāchā , karmaṇā unhō̃ key|kī service hī nahī̃ karē̃gē tō vah khuśhī kaisē hōgī .

185If you do not do service with your mind, words and deeds, how then can you have that happiness?

166Śhivbābā kō yād kar bhōjan banātē haĩ tō unkī tākat milēgī .

186By preparing food in remembrance of Shiv Baba, you receive power from it.

167Dil sē pūchhnā hai ham sabkō rāzī kartē haĩ  ?

187Ask your heart: Do I make everyone happy?

168Mahārathī bachchē kitnī service kar rahē haĩ .

188The maharathi children do a great deal of service.

169Bābā raigjīn par chitra banvātē haĩ , yah chitra kabhī ṭūṭēṅgē-phūṭēṅgē nahī̃ .

189Baba is having the pictures printed on oilcloth, so that they don’t tear.

170Bābā K|kē bachchē baiṭhē haĩ , āpēhī bhēj dēgē .

190Baba’s children everywhere send money.

171Bāp phir paisē kahā̃ sē lāyēṅgē .

191Where would the Father get money from?

172Yah sab centres kaisē chaltē haĩ  ?

192How are all these centres run?

173Bachchē hī chalātē haĩ nā .

193It is the children who run them.

174Śhivbābā kahtē haĩ mērē pās|pass tō ēk kauṛī bhī nahī̃ hai .

194Shiv Baba says: I don’t even have a single shell.

175Āgē chalkar tumkō āpēhī ākar kahē̃gē hamārē makān tum kām mē̃ lagāō .

195As you make progress, people will come and say: Please use our house.

176Tum kahē̃gē ab too late .

196However, you will then say: It’s too late!

177Bāp hai hī garīb nivāj .

197The Father is the Lord of the Poor.

178Garībō̃ kē pās kahā̃ sē āyē .

198Where can the poor get money from?

179Kōī tō karōṛpati , padampati bhī haĩ .

199Some people are millionaires and some are multimillionaires.

180Unhō̃ kē liē yahā̃ hī svarg hai .

200For them, it is heaven here.

181Yah hai māyā kā pomp . 182Unkā fall hō rahā hai .

201That is the pomp of Maya and it is about to fall.

183Bāp kahtē haĩ tum pahlē sāhēbjādē banē hō phir śhahjādē jākar banē̃gē .

202The Father says: You first become children of the Lord and Master and you then become princes.

184Parantu itnī service bhī karkē dikhāō nā .

203However, you also have to do sufficient service for that.

185Bahut khuśhī mē̃ rahnā chāhiē . 186Ham sāhēbjādē haĩ phir śhahjādē bannē vālē haĩ .

204Remain in great happiness that you are now the children of the Lord and Master and that you are to become princes again.

187Śhahjādē tab banē̃gē jab bahutō̃ key|kī service karē̃gē .

205Only when you have served many will you become princes.

188Kitnī khuśhī kā pārā chaṛhnā chāhiē .

206Your mercury of happiness should rise a great deal.

189Achchhā  !

207Achcha.

190Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .

208To the sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

191Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

209The spiritual Father says namaste to the spiritual children.

Essence for dharna

192Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

210Essence for dharna:

1931 ) kisī kō kabhī na tō nārāz karnā hai , na nārāz hōnā hai .

211 1. Never upset anyone or let yourself be upset by anyone.

194Apnī hōśhiyārī kā yā sēvā karnē kā ahaṅkār nahī̃ dikhānā hai .

212Do not be arrogant about your cleverness or of any service you do.

195Jaisē bāp bachchō̃ kā regard rakhtē haĩ aisē svayã kā regard svayã hī rakhnā hai .

213Just as the Father has regard for you children, so each of you should also have regard for yourself.

1962 ) yōgbal sē apnī sab ichchhāyē̃ samāpt karnī hai .

214 2. Finish all your desires with the power of yoga.

197Sadā isī khuśhī vā naśhē mē̃ rahnā hai ki ham sāhēbjādē sō śhahjādē bannē vālē haĩ .

215Stay constantly intoxicated in the happiness that you children of the Lord and Master are to become princes.

198Sadā śhānti mē̃ rah service karnī hai .

216Stay constantly peaceful while doing service.

199Rag-rag mē̃ jō bhūt bharē huē haĩ , unhē̃ nikāl dēnā hai .

217Remove any evil spirit that may still be within your veins.

Blessing

200Vardān  : brāhmaṇ jīvan mē̃ bāp dvārā light kā tāj prāpt karnē vālī mahān bhāgyavān ātmā bhav

218Blessing: May you be a greatly fortunate soul and receive a crown of light from the Father for your Brahmin life.

201Saṅgamyugī brāhmaṇ jīvan key|kī viśhēṣhtā «  pavitratā ' ' hai .

219 The speciality of the confluence-aged Brahmin life is purity.

202Pavitratā key|kī niśhānī - light kā tāj hai jō her|har brāhmaṇ ātmā kō bāp dvārā prāpt hōtā hai .

220A symbol of purity is a crown of light that every Brahmin soul receives from the Father.

203Pavitratā key|kī light kā yah tāj us ratna-jaṛit tāj sē ati śhrēṣhṭh hai .

221This crown of the light of purity is even more elevated than a jewel-studded crown.

204Mahān ātmā , paramātma bhāgyavān ātmā , ūñchē sē ūñchī ātmā key|kī yah tāj niśhānī hai .

222This crown is a sign of a great soul, a highest-on-high soul and a soul with Godly fortune.

205Bāpdādā har ēk bachchē kō janm sē «  pavitra bhav ' ' kā vardān dētē haĩ , jiskā sūchak light kā tāj hai .

223BapDada gives every child at birth, the blessing, “May you be pure!” 224The symbol of that is a crown of light.

Slogan

206Slōgan  : bēhad key|kī vairāgya vr̥itti dvārā ichchhāō̃ K|kē vaśh parēśhān ātmāō̃ key|kī parēśhānī dūr karō .

225Slogan: With an attitude of unlimited disinterest, remove any distress from souls who are being distressed by their desires.

226*** Om Shanti ***