शनिवार 29 जून 2024 की दैनिक मुरली

दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

029-06-2024 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

0 29/06/24 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē bachchē - śharīr sahit jō kuchh bhī dēkhnē mē̃ ātā hai , yah sab vināśh hōnā hai , tum ātmāō̃ kō ab ghar lauṭnā hai isliē purānī duniyā kō bhūl jāō ' '

1Essence: Sweet children, everything you can see, including your bodies, is to be destroyed. 2You souls now have to return home and you must therefore forget this old world.

Question

2Praśhna  : tum bachchē kin śhabdō̃ mē̃ sabhī kō bāp kā message sunā saktē hō  ?

3Question: With which words can you give the Father's message to everyone?

Answer

3Uttar  : sabhī kō sunāō ki bēhad kā bāp bēhad kā varsā dēnē āyā hai .

4Answer: Tell everyone that the unlimited Father has come to give the unlimited inheritance.

4Ab had K|kē varsē kā samay pūrā huā arthāt bhakti pūrī huī .

5The time of limited inheritances has now come to an end, that is, devotion has now come to an end.

5Ab rāvaṇ rājya samāpt hōtā hai .

6The kingdom of Ravan is now ending.

6Bāp āyā hai tumhē̃ rāvaṇ 5 vikārō̃ key|kī jēl sē chhuṛānē .

7The Father has come to liberate you from Ravan’s jail of the five vices.

7Yah purūṣhōttam saṅgamyug hai , ismē̃ tumhē̃ purūṣhārth kar daivī guṇō̃ vālā bannā hai .

8This is the most auspicious confluence age and you therefore have to make effort and become those with divine virtues.

8Sirph purūṣhōttam saṅgamyug kō bhī samajh lē̃ tō sthiti śhrēṣhṭh ban saktī hai .

9If you only understand that this is the most auspicious confluence age, your stage can become elevated.

Murli

9Ōm śhānti .

10Om shanti.

10Ab rūhānī bachchē kyā kar rahē haĩ  ?

11What are you spiritual children doing now?

11Avyabhichārī yād mē̃ baiṭhē haĩ .

12You are sitting in unadulterated remembrance.

12Ēk hōtī hai avyabhichārī yād , dūsrī hōtī hai vyabhichārī yād .

13One is unadulterated remembrance and the other is adulterated remembrance.

13Avyabhichārī yād athavā avyabhichārī bhakti jab pahlē śhurū hōtī hai tō sab śhiv key|kī pūjā kartē haĩ .

14When unadulterated remembrance or unadulterated devotion first begins, everyone worships Shiva.

14Ūñch tē ūñch bhagvān vahī hai , vah bāp bhī hai phir śhikṣhak bhī hai .

15He alone is God, the Highest on High. 16He is also the Father and the Teacher.

15Paṛhātē haĩ .

17He teaches you.

16Kyā paṛhātē haĩ  ?

18What does He teach you?

17Manuṣhya sē dēvtā banātē haĩ .

19He changes you from human beings into deities.

18Dēvtā sē manuṣhya bannē mē̃ tum bachchō̃ kō 84 janm lagē haĩ . 19Aur manuṣhya sē dēvtā bannē mē̃ ēk second lagtā hai .

20It takes you children 84 births to change from deities into human beings and it takes only a second to change from human beings into deities.

20Yah tō bachchē jāntē haĩ - ham bāp kī yād mē̃ baiṭhē haĩ .

21You children know that you are sitting in remembrance of the Father.

21Vah hamārā teacher bhī hai , satgurū bhī hai .

22He is also our Teacher and Satguru.

22Yōg sikhātē haĩ ki ēk key|kī yād mē̃ rahō .

23The yoga He teaches us is to stay in the remembrance of One.

23Vah khud kahtē haĩ - hē ātmāō̃ , hē bachchē , dēh K|kē sab sambandh chhōṛō , ab vāpis jānā hai .

24He Himself says: O souls, o children, renounce all bodily relationships, because you now have to return home.

24Yah purānī duniyā badal rahī hai .

25This old world is now changing.

25Abhī yahā̃ rahnā nahī̃ hai .

26You no longer have to stay here.

26Purānī duniyā K|kē vināśh liē hī yah bārūd ādi banāyē huē haĩ .

27They have created armaments, etc. to destroy the old world.

27Natural calamities bhī madad kartī hai .

28Natural calamities will also help.

28Vināśh tō hōnā hai jarūr .

29Destruction definitely has to take place.

29Tum purūṣhōttam saṅgamyug par hō .

30You are at the most auspicious confluence age.

30Yah ātmā jāntī hai . 31Ham abhī lauṭ rahē haĩ isliē bāp kahtē haĩ is purānī duniyā , purānī dēh kō bhī chhōṛnā hai .

31You souls know that we are now to return home. 32This is why the Father says: You have to renounce this old world and these old bodies.

32Dēh sahit jō bhī is duniyā mē̃ dēkhnē mē̃ ātā hai , yah sab vināśh hō jānā hai .

33Everything you see in this world, including your bodies, is to be destroyed.

33Śharīr bhī khatm hōnā hai .

34Even bodies have to be destroyed.

34Ab ham ātmāō̃ kō ghar lauṭnā hai .

35We souls now have to return home.

35Lauṭnē bigar naī duniyā mē̃ ā nahī̃ sakē̃gē .

36We will not be able to go to the new world without first going back home.

36Ab tum purūṣhōttam bannē kā purūṣhārth kar rahē hō .

37You are now making effort to become the most elevated human beings.

37Purūṣhōttam haĩ yah dēvtāyē̃ .

38Deities are the most elevated human beings.

38Sabsē ūñch tē ūñch hai nirākār bāp .

39The highest of all is the incorporeal Father.

39Phir manuṣhya sr̥iṣhṭi mē̃ āō tō ismē̃ haĩ ūñch dēvtā .

40Then, in the human world, the deities are the highest.

40Vah bhī manuṣhya haĩ parantu daivīguṇō̃ vālē .

41They too are human beings, but they have divine virtues.

41Phir vahī āsurī guṇō̃ vālē bantē haĩ .

42Then, they become those with devilish traits.

42Ab phir āsurī guṇō̃ sē daivī-guṇō̃ mē̃ jānā paṛē .

43You now have to change from having devilish traits to having divine virtues.

43Satyug mē̃ jānā paṛē .

44You have to go to the golden age.

44Kiskō  ?

45Who has to go there?

45Tum bachchō̃ kō .

46You children have to go there.

46Tum bachchē paṛh rahē hō aurō̃ kō bhī paṛhātē hō .

47You children are studying and also teaching others.

47Sirph bāp kā hī message dēnā hai .

48You just have to give the Father's message.

48Bēhad kā bāp bēhad kā varsā dēnē āyē haĩ .

49The unlimited Father has come to give the unlimited inheritance.

49Ab had kā varsā pūrā hōtā hai .

50Limited inheritances are now coming to an end.

50Bāp nē samjhāyā hai - 5 vikārō̃ rūpī rāvaṇ key|kī jēl mē̃ sab manuṣhya haĩ .

51The Father has explained that all human beings are in Ravan’s jail of the five vices.

51Sab duḥkh hī uṭhātē haĩ .

52All continue to take sorrow.

52Sūkhī rōṭī miltī hai .

53They just receive dry chappatis.

53Bāp ākarkē sabkō rāvaṇ key|kī jēl sē chhuṛāē sadā sukhī banātē haĩ .

54The Father comes and liberates you all from Ravan’s jail and makes you constantly happy.

54Bāp K|kē sivāē manuṣhya kō dēvtā kōī banā na sakē .

55No one, apart from the Father, can change human beings into deities.

55Tum yahā̃ baiṭhē hō , manuṣhya sē dēvtā bannē kē liē .

56You are sitting here to change from human beings into deities.

56Abhī hai kaliyug . 57Bahut dharm hō gayē haĩ .

57It is now the iron age and there are many religions.

58Tum bachchō̃ kō rachtā aur rachnā kā parichay khud bāp baiṭh dētē haĩ .

58The Father Himself sits here and gives you children the introduction of the Creator and the creation.

59Tum sirph īśhvar , paramātmā kahtē thē .

59You just used to say: “God” and “Supreme Soul”.

60Tumkō yah patā nahī̃ thā ki vah bāp bhī hai , teacher bhī hai , gurū bhī hai .

60You didn't know that He is also your Father, Teacher and Guru.

61Unkō kahā jātā hai satgurū .

61He is called the Satguru.

62Akālmūrt bhī kahā jātā hai .

62He is called the Immortal Image too.

63Tumkō ātmā aur jīv kahā jātā hai .

63You are called souls and human beings.

64Vah akālmūrt is śharīr rūpī takht par baiṭhē haĩ .

64That Immortal Image is now sitting on the throne of this body.

65Vah janm nahī̃ lētē haĩ .

65He doesn't take birth.

66Tō vah akālmūrt bāp bachchō̃ kō samjhātē haĩ - mērā apnā rath nahī̃ hai , maĩ tum bachchō̃ kō pāvan kaisē banāū̃  !

66So, the Immortal Image, the Father, explains to you children: I do not have a chariot of My own. 67So, how can I purify you children?

67Mujhē tō rath chāhiē nā .

68I need a chariot.

68Akālmūrt kō bhī takht tō chāhiē .

69Even the Immortal Image needs a throne.

69Akāl takht manuṣhya kā hōtā hai , aur kōī kā nahī̃ hōtā hai .

70It is human beings who have immortal thrones. 71No one else has this throne.

70Tum har ēk kō takht chāhiē .

72Each one of you needs a throne.

71Akālmūrt ātmā yahā̃ virājmān hai .

73That Soul, the Immortal Image, is present here.

72Vah sabhī kā bāp hai , unkō kahā jātā hai mahākāl , vah punarjanma mē̃ nahī̃ ātē haĩ .

74He is the Father of all. 75He is called the Great Death. 76He does not enter into rebirth.

73Tum ātmāyē̃ punarjanma mē̃ ātī hō .

77You souls enter into rebirth.

74Maĩ ātā hū̃ kalp K|kē saṅgam-yugē .

78I come at the confluence age of the cycle.

75Bhakti kō rāt , gyān kō din kahā jātā hai .

79Devotion is called the night and this knowledge is called the day.

76Yah pakkā yād karō .

80Remember this very firmly.

77Mukhya haĩ hī dō bātē̃ - alpha aur bē , bāp aur bādśhāhī .

81There are just two main things: Alpha and beta, the Father and the sovereignty.

78Bāp ākar bādśhāhī dētē haĩ aur bādśhāhī kē liē paṛhātē haĩ isliē iskō pāṭhśhālā bhī kahā jātā hai .

82The Father comes and gives you the sovereignty. 83He teaches you how to attain it. 84This is why this is also called a school.

79Bhagvānuvāch , bhagvān tō hai nirākār .

85God speaks: God is incorporeal.

80Unkā bhī part hōnā chāhiē .

86There also has to be His part.

81Vah hai ūñch tē ūñch bhagvān , unkō sabhī yād kartē haĩ .

87He is God, the Highest on High, and everyone remembers Him.

82Bāp kahtē haĩ aisā kōī manuṣhya nahī̃ hōgā jō bhakti mārg mē̃ yād na kartā hō .

88The Father says: There isn't a human being on the path of devotion who doesn't remember Me.

83Dil sē hī sab pukārtē haĩ - hē bhagvān , hē liberator , ō god father kyōṅki vah hai sabhī ātmāō̃ kā father , jarūr bēhad kā hī sukh dēgē .

89Everyone remembers Me in his or her heart: O God! 90O Liberator! 91O God, the Father! 92He is the Father of all souls. 93He must definitely give unlimited happiness.

84Had kā bāp had kā sukh dētē haĩ .

94Limited fathers give limited happiness.

85Kōī kō patā nahī̃ . 86Ab bāp āyē haĩ , kahtē haĩ - bachchō̃ , aur saṅg tōṛ mujh ēk bāp kō yād karō .

95No one knows that the Father has now come and that He says: Children, break away from everyone else and remember Me, your Father, alone.

87Yah bhī bāp nē batāyā hai tum dēvī-dēvtā naī duniyā mē̃ rahtē hō .

96The Father has also told you that you reside as deities in the new world.

88Vahā̃ tō apār sukh haĩ .

97There is limitless happiness there.

89Un sukhō̃ kā ant nahī̃ pāyā jātā hai .

98There is no end to that happiness there.

90Nayē makān mē̃ sadaiv sukh hōtā hai , purānē mē̃ duḥkh hōtā hai .

99In a new house, there is always happiness, whereas in an old house, sorrow is experienced.

91Tab tō bāp bachchō̃ kē liē nayā makān banvātē haĩ .

100This is why a father has a new house built for his children.

92Bachchō̃ kā buddhiyōg nayē makān mē̃ chalā jātā hai .

101The intellects’ yoga of his children is diverted to the new house.

93Yah tō huī had key|kī bāt .

102That is something limited.

94Abhī tō bēhad kā bāp naī duniyā banā rahē haĩ .

103The unlimited Father is now creating the new world.

95Purānī duniyā mē̃ jō kuchh dēkhtē hō vah kabristān hōnā hai , abhī paristān sthāpan hō rahā hai .

104Whatever you see in the old world is to turn into a graveyard. 105The land of angels is now being established.

96Tum saṅgamyug par hō .

106You are at the confluence age.

97Kaliyug key|kī taraph bhī dēkh saktē hō , satyug key|kī taraph bhī dēkh saktē hō . 98Tum saṅgamyug par sākṣhī hō dēkhtē hō .

107You can see the iron age and also the golden age. 108At the confluence age, you see everything as detached observers.

99Pradarśhanī mē̃ athavā museum mē̃ ātē haĩ tō vahā̃ bhī tum saṅgam par khaṛā kar dō .

109When people come to the exhibitions or museums, make them aware of the confluence age.

100Is taraph hai kaliyug , us taraph hai satyug . 101Ham bīch mē̃ haĩ .

110On this side is the iron age and on the other side is the golden age and we are in the middle.

102Bāp naī duniyā sthāpan kartē haĩ . 103Jahā̃ par bahut thōṛē manuṣhya hōtē haĩ .

111The Father is establishing the new world, where there are very few human beings.

104Aur kōī bhī dharm vālā nahī̃ ātā hai .

112None of those of other religions go there.

105Sirph tum hī pahlē-pahlē ātē hō .

113Only you go there first of all.

106Abhī tum svarg mē̃ jānē kā purūṣhārth kar rahē hō .

114You are now making effort to go to heaven.

107Pāvan bannē kē liē hī mujhē pukārā hai ki hē bābā , hamkō pāvan banākar pāvan duniyā mē̃ lē chalō .

115You called out to be made pure by Me, saying: “O Baba, purify us and take us to the pure world!”

108Aisē nahī̃ kahtē ki śhāntidhām mē̃ lē chalō .

116You don't say: “Take us to the land of peace.”

109Paramdhām kō kahā jātā hai sweet home .

117The supreme abode is called the sweet home.

110Abhī hamkō ghar jānā hai , jiskō mukti-dhām kahā jātā hai , jiskē liē hī sannyāsī ādi śhikṣhā dētē haĩ .

118We now have to return to the home, which is also called the land of liberation. 119It is for this that sannyasis, etc. give teachings.

111Vah sukhdhām kā gyān dē nahī̃ saktē . 112Vah haĩ nivr̥itti mārg vālē .

120They cannot give any knowledge of the land of happiness; they belong to the path of isolation.

113Tum bachchō̃ kō samjhāyā gayā hai - kaun-kaun dharm kab-kab ātē haĩ .

121You children have been told which religion comes at what time.

114Manuṣhya sr̥iṣhṭi rūpī jhāṛ mē̃ pahlē-pahlē foundation tumhārā hai .

122In the human world tree, there is first your foundation.

115Bīj kō kahā jātā hai vr̥ikṣhapati .

123The Seed is called the Lord of the Tree.

116Bāp kahtē haĩ maĩ vr̥ikṣhapati ūpar mē̃ nivās kartā hū̃ .

124The Father says: I, the Lord of the Tree, reside up above.

117Jab jhāṛ ēkdam jaṛjaṛī-bhūt hō jātā hai , tab maĩ ātā hū̃ dēvtā dharm sthāpan karnē .

125When the tree reaches a state of complete decay, I come to establish the deity religion.

118Banyan tree kā baṛā wonderful jhāṛ hai . 119Bigar foundation bākī sārā jhāṛ khaṛā hai .

126There is a wonderful banyan tree which is standing without any foundation.

120Is bēhad K|kē jhāṛ mē̃ bhī ādi sanātan dēvī-dēvtā dharm hai nahī̃ .

127In this unlimited tree too, the original, eternal, deity religion doesn't exist.

121Bākī sab dharm khaṛē haĩ .

128All the other religions exist here.

122Tum mūlvatan nivāsī thē . 123Yahā̃ part bajānē āyē hō .

129You were residents of the incorporeal world and you came down here to play your parts.

124Tum bachchē all-round part bajānē vālē hō isliē 84 janm haĩ maximum . 125Phir minimum ēk janm .

130You children play all-round parts. 131Therefore, there is a maximum of 84 births and a minimum of one birth.

126Manuṣhya phir kah dētē 84 lākh janm .

132People then speak of 8.4 million births.

127Vah bhī kiskē hōṅgē - yah bhī samajh nahī̃ saktē .

133They don't understand who would have these births.

128Bāp ākar tum bachchō̃ kō samjhātē haĩ - 84 janm tum lētē hō .

134The Father comes and explains to you children that you take 84 births.

129Pahlē-pahlē mērē sē tum bichhuṛtē hō .

135You are the ones who become separated from Me first.

130Satyugī dēvtāyē̃ hī pahlē hōtē haĩ .

136At first, golden-aged deities exist.

131Jab vah ātmāyē̃ yahā̃ part bajātī haĩ tō bākī sab ātmāyē̃ kahā̃ chalī jātī haĩ  ?

137When those souls are playing their parts here, where have all the other souls gone?

132Yah bhī tum jāntē hō - bākī sab ātmāyē̃ śhāntidhām mē̃ hōtī haĩ .

138Only you know that all the rest of the souls are in the land of peace at that time.

133Tō śhāntidhām alag huā nā .

139So, the land of peace is separate.

134Bākī duniyā tō yahī hai .

140However, there is just this world.

135Part yahā̃ bajātē haĩ .

141The parts are enacted here.

136Naī duniyā mē̃ sukh kā part , purānī duniyā mē̃ duḥkh kā part bajānā paṛtā hai .

142In the new world, you have to play parts of happiness, whereas in the old world you have to play parts of sorrow.

137Sukh aur duḥkh kā yah khēl hai .

143This is a play about happiness and sorrow.

138Vah hai rāmrājya .

144That is the kingdom of Rama.

139Duniyā mē̃ kōī bhī manuṣhya yah nahī̃ jāntē ki sr̥iṣhṭi kā chakra kaisē phirtā hai .

145No human being in the world knows how the world cycle turns.

140Na rachayitā kō , na rachnā K|kē ādi , madhya , ant kō jāntē haĩ .

146They neither know the Creator nor the beginning, the middle nor the end of creation.

141Gyān kā sāgar ēk bāp kō hī kahā jātā hai .

147Only the one Father is called the Ocean of Knowledge.

142Rachayitā aur rachnā K|kē ādi , madhya , ant kā gyān kōī śhāstra mē̃ hai nahī̃ .

148The knowledge of the Creator and the beginning, middle and end of creation is not mentioned in any of the scriptures.

143Maĩ tumkō sunātā hū̃ . 144Phir yah prāyaḥ lōp hō jātā hai . 145Satyug mē̃ yah rahtā nahī̃ .

149I tell you this and it then disappears; it doesn't remain in the golden age.

146Bhārat kā hī prāchīn sahaj rājyōg gāyā huā hai .

150Only the ancient easy Raja Yoga of Bharat has been remembered.

147Gītā mē̃ bhī rājyōg nām ātā hai .

151The name “Raja Yoga” is also mentioned in the Gita.

148Bāp tumhē̃ rājyōg sikhlākar rājāī kā varsā dētē haĩ .

152The Father teaches you Raja Yoga and gives you the inheritance of the kingdom.

149Bākī rachnā sē varsā mil na sakē .

153You cannot receive the inheritance from the creation.

150Varsā miltā hī hai rachtā bāp sē .

154You receive the inheritance from the Father, the Creator.

151Har ēk manuṣhya creator hai , bachchō̃ kō rachtē haĩ .

155Each human being is a creator, because each one creates children.

152Vah haĩ had K|kē brahmā , yah hai bēhad K|kē brahmā .

156They are limited Brahmas and this one is the unlimited Brahma.

153Vah hai nirākār ātmāō̃ K|kē pitā , vah laukik pitā , yah phir hai prajāpitā .

157That One is the Father of incorporeal souls. 158A physical father is a worldly father, whereas this one is Prajapita (Father of Humanity).

154Prajāpitā kab hōnā chāhiē  ?

159When does Prajapita have to exist?

155Kyā satyug mē̃  ?

160In the golden age?

156Nahī̃ .

161No.

157Purūṣhōttam saṅgamyug par hōnā chāhiē .

162He has to exist at the most auspicious confluence age.

158Manuṣhyō̃ kō yah bhī patā nahī̃ hai ki satyug kab hōtā hai .

163People don't know when the golden age exists.

159Unhōnnē tō satyug , kaliyug ādi kō lākhō̃ varṣh dē diyē haĩ .

164They have said that the golden and iron ages, etc. last for hundreds of thousands of years.

160Bāp samjhātē haĩ 1250 varṣh kā ēk yug hōtā hai .

165The Father explains: Each age is 1250 years.

16184 janmō̃ kā bhī hisāb chāhiē nā .

166There has to be the account of 84 births.

162Sīṛhī kā bhī hisāb chāhiē nā - ham kaisē utartē haĩ .

167There also has to be the account of the ladder showing how you come down.

163Pahlē-pahlē foundation mē̃ haĩ dēvī-dēvtā .

168First, there are the deities as the foundation.

164Unkē bād phir ātē haĩ islāmī , bauddhī .

169After them come those of Islam and the Buddhist religion.

165Bāp nē jhāṛ kā rāz bhī batāyā hai .

170The Father has also explained to you the secrets of the tree.

166Bāp K|kē sivāē tō kōī sikhlā na sakē .

171No one, except the Father, can teach you this.

167Tumkō kahē̃gē yah chitra ādi kaisē banāyē̃  ?

172People ask you: “How were these pictures made?

168Kisnē sikhāyā  ?

173Who taught you that?”

169Bōlō , bābā nē hamē̃ dhyān mē̃ dikhāyā , phir ham yahā̃ banātē haĩ .

174Tell them: Baba showed them to us in trance and we then created them here.

170Phir unkō bāp hī is rath mē̃ ākar correct kartē haĩ ki aisē-aisē banāō .

175Then, the Father enters this chariot and corrects them by saying: Do it like this and that.

171Khud hī correct kartē haĩ .

176He corrects them Himself.

172Śhrīkr̥iṣhṇa kō śhyām-sundar kahtē haĩ , parantu manuṣhya tō samajh nahī̃ saktē ki kyō̃ kahā jātā hai  ?

177Shri Krishna is called Shyam Sundar, but people cannot understand why he is called that.

173Yah vaikuṇṭha kā mālik thā tō gōrā thā phir gānvaṛē kā chhōrā sāṅvarā banā , isliē unkō hī śhyām-sundar kahtē haĩ .

178When he was the master of Paradise, he was beautiful and then, when he became a village urchin, he became ugly and this is why he is called Shyam Sundar.

174Yahī pahlē ātē haĩ .

179He is the one who comes first.

175Tattvam .

180The same applies to you.

176In lakṣhmī-nārāyaṇ key|kī rājāī chaltī hai .

181The kingdom of Lakshmi and Narayan continues.

177Ādi sanātan dēvī-dēvtā dharm key|kī sthāpanā kaun kartē haĩ  ?

182Who establishes the original, eternal, deity religion?

178Yah bhī kiskō patā nahī̃ hai .

183No one knows that.

179Bhārat kō bhī bhulāē hindustān K|kē rahvāsī hindū kah dētē haĩ .

184They have forgotten Bharat and said that the Hindus are residents of Hindustan.

180Maĩ bhārat mē̃ hī ātā hū̃ .

185I only come in Bharat.

181Bhārat mē̃ dēvtāō̃ kā rājya thā jō ab prāyaḥlōp hō gayā hai .

186There used to be the kingdom of the deities in Bharat and that has now disappeared.

182Maĩ ātā hū̃ phir sē sthāpanā karnē .

187I come to establish it once again.

183Pahlē-pahlē hai hī ādi sanātan dēvī dēvtā dharm .

188First of all, there is the original, eternal, deity religion.

184Yah jhāṛ vr̥iddhi kō pātā rahtā hai .

189This tree continues to grow.

185Nayē-nayē pattē , maṭh-panth pichhāṛī mē̃ ātē haĩ .

190New leaves, sects and cults come at the end.

186Tō unkī bhī śhōbhā hō jātī hai .

191So, they also add to the beauty.

187Phir ant mē̃ jab sārā jhāṛ jaṛjaṛībhūt avasthā kō pātā hai , tab phir maĩ ātā hū̃ .

192Then, at this time, when the whole tree reaches a state of total decay, I come once again.

188Yadā yadā hi … .

193It is said: “Whenever there is extreme irreligiousness, I come…”

189Ātmā apnē kō bhī nahī̃ jāntī , tō bāp kō bhī nahī̃ jāntī .

194Souls do not know themselves or the Father.

190Apnē kō bhī gālī dētē , bāp kō aur dēvtāō̃ kō bhī gālī dētē rahtē haĩ .

195You continue to insult yourselves, the Father and the deities.

191Tamōpradhān , bēsamajh ban jātē haĩ tab maĩ ātā hū̃ .

196When you become tamopradhan and senseless, I come.

192Patit duniyā mē̃ hī ānā paṛē .

197I have to come into the impure world.

193Tum manuṣhyō̃ kō jīyadān dētē hō arthāt manuṣhya sē dēvtā banātē hō .

198You give human beings the donation of life, that is, you change human beings into deities.

194Sab duḥkhō̃ sē dūr kar dētē hō , sō bhī ādhākalp kē liē .

199You remove them from all sorrow, and that, too, for half a cycle.

195Gāyan bhī hai nā vandē mātaram .

200It is remembered: “Salutations to the mothers.”

196Kaun-sī mātāyē̃ , jinkī vandanā kartē haĩ  ?

201Who are the mothers whom you praise?

197Tum mātāyē̃ hō , sārī sr̥iṣhṭi kō bahiśht banātī hō .

202You mothers are the ones who make the whole world into heaven.

198Bhal purūṣh bhī haĩ , lēkin majority mātāō̃ kī hai isliē bāp mātāō̃ key|kī mahimā kartē haĩ .

203Although there are men here too, the majority of you are mothers. 204This is why the Father praises you mothers.

199Bāp ākar tumkō itnī mahimā lāyak banātē haĩ .

205The Father comes and makes you worthy of so much praise.

200Achchhā  !

206Achcha.

201Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .

207To the sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

202Rūhānī bāp key|kī rūhānī bachchō̃ kā namastē .

208The spiritual Father says namaste to the spiritual children.

Essence for dharna

203Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

209Essence for dharna:

2041 ) apār sukhō̃ key|kī duniyā mē̃ chalnē kē liē saṅgam par khaṛā hōnā hai .

210 1. In order to go to the world of limitless happiness, stand at the confluence.

205Sākṣhī hō sab kuchh dēkhtē huē buddhiyōg naī duniyā mē̃ lagānā hai .

211Become a detached observer and, while seeing everything, connect your intellect in yoga to the new world.

206Buddhi mē̃ rahē abhī ham vāpas ghar lauṭ rahē haĩ .

212Let it remain in your intellect that you are now to return home.

2072 ) sabhī kō jīyadān dēnā hai , manuṣhya sē dēvtā banānē key|kī sēvā karnī hai .

213 2. Give everyone the donation of life and do the service of changing human beings into deities.

208Bēhad K|kē bāp sē paṛhkar dūsrō̃ kō paṛhānā hai .

214Study with the unlimited Father and also teach others.

209Daivī guṇ dhāraṇ karnē aur karānē haĩ .

215Imbibe and inspire others to imbibe divine virtues.

Blessing

210Vardān  : sadā śhrēṣhṭh samay pramāṇ śhrēṣhṭh karma kartē vāh-vāh K|kē gīt gānē vālē bhāgyavān ātmā bhav

216Blessing: May you be a fortunate soul and constantly sing songs of “Wah! wah!”, while performing elevated acts according to the elevated time.

211Is śhrēṣhṭh samay par sadā śhrēṣhṭh karma kartē «  vāh-vāh ' ' K|kē gīt man sē gātē rahō .

217 At this elevated time, constantly sing songs of “Wah! wah!” in your mind while performing elevated acts.

212 «  vāh mērā śhrēṣhṭh karma yā vāh śhrēṣhṭh karma sikhlānē vālē bābā ' ' .

218“Wah my elevated acts!” or “Wah Baba who teaches me to perform elevated acts!”

213Tō sadā vāh-vāh  ! 214K|kē gīt gāō .

219So, constantly sing songs of “Wah! wah!”

215Kabhī galatī|galtī sē bhī duḥkh kā nazārā dēkhtē bhī hāy śhabda nahī̃ nikalnā chāhiē .

220Do not let words of desperation emerge even by mistake out of sorrow, even when you see any scenes of sorrow.

216Vāh drama vāh  !

221“Wah drama! wah!”

217Aur vāh bābā vāh  !

222“Wah Baba, wah!”

218Jō svapn mē̃ bhī nahī̃ thā vah bhāgya ghar baiṭhē mil gayā .

223The fortune you never thought or dreamt about you received while sitting at home.

219Isī bhāgya K|kē naśhē mē̃ rahō .

224Maintain the intoxication of this fortune.

Slogan

220Slōgan  : man-buddhi kō śhaktiśhālī banā dō tō kōī bhī halchal mē̃ achal aḍōl rahē̃gē .

225Slogan: Make your mind and intellect so powerful that you remain unshakeable and immovable in any upheaval.

226*** Om Shanti ***