मंगलवार 20 अगस्त 2024 की दैनिक मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
बिना इंटरनेट सुनने के लिए ।
दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
020-08-2024 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban
0 20/08/24 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban
Essence
1 « mīṭhē bachchē - kāmkāj kartē huē bhī ēk bāp kī yād rahē , chaltē-phirtē bāp aur ghar kō yād karō , yahī tumhārī bahādurī hai ' '
1Essence: Sweet children, stay in remembrance of the one Father while working. 2Remember the Father and the home while walking and moving around. 3This is your act of courage.
Question
2Praśhna : bāp kā regard aur dis regard kab aur kaisē hōtā hai ?
4Question: When and how is there regard and disregard for the Father?
Answer
3Uttar : jab tum bachchē bāp kō achchhī tarah yād kartē hō tab regard dētē hō .
5Answer: When you children remember the Father very well, you are giving Him regard.
4Agar kahtē yād karnē key|kī phursat nahī̃ hai tō yah bhī jaisē disregard hai .
6If you say that you don’t have time to remember the Father, you are disregarding Him.
5Vāstav mē̃ yah bāp kā disregard nahī̃ kartē , yah tō apnā hī disregard kartē hō isliē nāmīgrāmī kēval bhāṣhaṇ mē̃ nahī̃ lēkin yād kī yātrā mē̃ banō , yād kā chart rakhō .
7Actually, you are disregarding yourself and not the Father. 8Do not only become well known for giving lectures but become well known for having the pilgrimage of remembrance. 9Keep a chart of your remembrance.
6Yād sē hī ātmā satō-pradhān banēgī .
10It is by having remembrance that you souls will become satopradhan.
Murli
7Ōm śhānti .
11Om shanti.
8Rūhānī bachchō̃ prati rūhānī bāp samjhātē haĩ , yah jō 84 K|kē chakra kā gyān samjhāyā jātā hai yah tō ēk knowledge hai .
12The spiritual Father explains to you spiritual children. 13The cycle of 84 births is explained to you.
9Jō tō ham bachchō̃ nē janma-janmāntar paṛhī hai aur dhārṇā kartē āyē haĩ .
14This is the knowledge that you children have studied for many births and have continued to imbibe.
10Yah tō bilkul sahaj hai , yah kōī naī bāt nahī̃ .
15This is absolutely easy; it is not something new.
11Bāp baiṭh samjhātē haĩ - satyug sē lēkar kaliyug ant tak tumnē kitnē punarjanma liē haĩ .
16The Father sits here and explains how many births and rebirths you have taken from the golden age till the end of the iron age.
12Yah gyān tō sahaj rīti buddhi mē̃ hai hī .
17This knowledge is already in your intellects in an easy way.
13Yah bhī ēk paṛhāī hai , rachnā K|kē ādi , madhya , ant kō samajhnā hai .
18This is a study. 19You also have to understand the beginning, middle and end of creation.
14Sō bāp K|kē sivāē aur kōī samjhā nahī̃ saktā .
20No one, except the Father, can explain this.
15Bāp kahtē haĩ is gyān sē bhī ūñch bāt hai yād kī yātrā , jiskō yōg kahā jātā hai .
21The Father says: The pilgrimage of remembrance, which is also called yoga, is even more elevated than this knowledge.
16Yōg akṣhar maśhhūr hai . 17Parantu yah hai yād kī yātrā .
22The word “yoga” is very famous, but this yoga is the pilgrimage of remembrance.
18Jaisē manuṣhya yātrā par jātē haĩ , kahē̃gē ham phalānē tīrtha yātrā par jātē haĩ .
23People who go on pilgrimages say that they are going on a pilgrimage to such-and-such a pilgrimage place.
19Śhrīnāth yā amarnāth jātē haĩ tō vah yād rahtā hai .
24They go to Shrinath or Amarnath and they remember those places.
20Abhī tum jāntē hō rūhānī bāp tō baṛī lambī yātrā sikhlātē haĩ ki mujhē yād karō .
25Similarly, you now understand that the spiritual Father teaches you a very long pilgrimage of remembrance. 26He says: Remember Me!
21Un yātrāō̃ sē tō phir lauṭ ātē haĩ .
27People return from those pilgrimages.
22Yah vah yātrā hai jō muktidhām mē̃ jākar nivās karnā hai .
28This is a pilgrimage where you have to go and reside in the land of liberation.
23Bhal part mē̃ ānā hai parantu is purānī duniyā mē̃ nahī̃ .
29Although you will have to play your parts, they will not be in this old world.
24Is purānī duniyā sē tumkō vairāgya hai .
30You have disinterest in this old world.
25Yah tō chhī-chhī rāvaṇ rājya hai .
31This is the dirty kingdom of Ravan.
26Tō mūl bāt hai yād kī yātrā .
32Therefore, the main aspect is the pilgrimage of remembrance.
27Kaī bachchē yah bhī samajhtē nahī̃ haĩ ki kaisē yād karnā hai .
33Some children don’t even understand how to have remembrance.
28Kōī yād kartē haĩ vā nahī̃ kartē haĩ - yah dēkhnē mē̃ tō kōī chīz nahī̃ ātī hai .
34Whether someone has remembrance or not is not visible.
29Bāp kahtē haĩ apnē kō ātmā samajh mujh bāp kō yād karnā hai .
35The Father says: Consider yourselves to be souls and remember Me, your Father.
30Dēkhnē key|kī tō chīj nahī̃ .
36This is not something that is visible.
31Na mālūm paṛ saktā hai . 32Yah us avasthā mē̃ kahā̃ tak yād kī yātrā mē̃ kāyam rahtē haĩ , yah tō khud hī jānē̃ .
37It cannot be known to what extent someone stays in the stage of the pilgrimage of remembrance. 38Only that individual would know that.
33Yukti tō bahutō̃ kō batātē haĩ .
39This method has been shown to many.
34Kalyāṇkārī bāp nē samjhāyā hai - apnē kō ātmā samajh śhivbābā kō yād karō .
40The Benefactor Father has explained: Consider yourselves to be souls and remember Shiv Baba.
35Bhal apnī service bhī kartē rahō .
41By all means, continue to do your service.
36Jaisē misāl - pahrē par bachchē haĩ , chakkar lagātē rahtē haĩ , inkō yād mē̃ rahnā tō baṛā sahaj hai .
42For example, there are children on security duty: they walk around, and it’s very easy for them to stay in remembrance.
37Sivāē bāp kī yād K|kē aur kuchh yād nahī̃ ānā chāhiē .
43You should not remember anything other than the Father.
38Bābā misāl dē batātē haĩ , us yād kī yātrā mē̃ hī āyē , jāyē .
44The Father explains to you using examples. 45You have to keep coming and going on this pilgrimage of remembrance.
39Jaisē pādrī lōg jātē haĩ , kitnā silence mē̃ jātē haĩ . 40Tō tum bachchō̃ kō bhī baṛā prēm sē bāp aur ghar kō yād karnā hai .
46Just as Christian priests walk in silence, so you children also have to remember the Father and the home with a lot of love.
41Yah mañjil baṛī bhārī hai .
47This destination is very high.
42Bhakta lōg bhī yahī purūṣhārth kartē rahtē haĩ .
48Devotees also continue to make this effort.
43Parantu unkō yah patā nahī̃ hai ki hamkō vāpis jānā hai .
49However, they don’t know that they have to return home.
44Vah tō samajhtē haĩ jab kaliyug pūrā hōgā , tab jāyēṅgē .
50They think that they will return when the iron age finishes.
45Unkō bhī aisē sikhlānē vālā tō kōī hai nahī̃ . 46Tum bachchō̃ kō tō sikhlāyā jātā hai .
51There is no one to teach them, whereas you children are being taught.
47Jaisē pahrā dētē hō tō ēkānt mē̃ jitnā bāp kō yād karē̃gē utnā achchhā hai .
52When you are on security duty, the more you remain in solitude and remember the Father, the better it will be.
48Yād sē pāp kaṭtē haĩ .
53It is by having remembrance that your sins are cut away.
49Janm janmāntar K|kē pāp sir par haĩ .
54There are burdens of the sins of many births on your heads.
50Jō pahlē satōpradhān bantē haĩ , rāmrājya mē̃ bhī pahlē vah jātē haĩ .
55Those who become satopradhan first are also the ones who go into the kingdom of Rama first.
51Tō unkō hī sabsē jāstī yād kī yātrā mē̃ rahnā hai .
56Therefore, they are the ones who have to remain on the pilgrimage of remembrance the most.
52Kalp-kalp key|kī bāt hai . 53Tō inkō yād kī yātrā mē̃ rahnē kā achchhā chance haĩ .
57This is a matter of each and every cycle and so they have a good chance to stay on the pilgrimage of remembrance.
54Yahā̃ tō kōī laṛāī-jhagṛē key|kī bāt hī nahī̃ hai .
58There is no question here of fighting or quarrelling.
55Ātē-jātē athavā baiṭhtē ēk panth , dō kārya - pahrā bhī dō , bāp kō bhī yād karō .
59As you come and go and as you sit, you can carry out the two tasks at the same time: keeping watch and also remembering the Father.
56Karma kartē bāp kō yād kartē rahō .
60Continue to remember the Father while performing actions.
57Pahrē vālē kō tō sabsē jāstī phāydā hai .
61Those on security duty can experience the most benefit.
58Chāhē din kō , chāhē rāt kō jō pahrā dētē haĩ , unhō̃ kē liē bahut phāydā hai . 59Agar yah yād rahnē key|kī ādat paṛ jāē tō .
62Whether it is day or night, those on security duty can benefit a great deal if they imbibe the habit of staying in remembrance.
60Bāp nē yah service bahut achchhī dī hai , pahrā aur yād kī yātrā .
63The Father has given you a very good service to do: security duty and the pilgrimage of remembrance.
61Yah bhī chance miltā hai bāp kī yād mē̃ rahnē kā .
64You receive a chance to stay in remembrance of the Father.
62Yah bhinn-bhinn yuktiyā̃ batāī jātī haĩ - yād kī yātrā mē̃ rahnē key|kī .
65You are shown many different ways to stay on the pilgrimage of remembrance.
63Yahā̃ tum jitnā yād mē̃ rah sakē̃gē utnā bāhar dhandhē ādi mē̃ nahī̃ isliē madhuban mē̃ ātē haĩ refresh hōnē .
66You are not able to stay in remembrance outside, in your business etc., as much as you are able to here. 67Therefore, you come to Madhuban to be refreshed.
64Ēkānt mē̃ jākar ēk pahāṛī par baiṭh yād kī yātrā mē̃ rahē̃ phir ēk jāē va 2-3 jāyē̃ .
68So, go into solitude in the mountains, sit on a rock and stay on the pilgrimage of remembrance. 69It does not matter if one goes or if two or three others go.
65Yahā̃ chance bahut achchhā hai .
70There is a very good chance here to do this.
66Yahī mukhya hai bāp kī yād .
71The main thing is to have remembrance of the Father.
67Bhārat kā prāchīn yōg maśhhūr bhī bahut hai .
72The ancient yoga of Bharat is very famous.
68Abhī tum samajhtē hō is yād kī yātrā sē pāp kaṭtē haĩ . 69Ham satōpradhān ban jāyēṅgē .
73You now understand that your sins are cut away with this pilgrimage of remembrance; you will become satopradhan.
70Tō ismē̃ purūṣhārth bahut achchhā karnā hai , bahādurī tō ismē̃ haĩ jō kām kartē bāp kō yād kar dikhlāō .
74Therefore, you have to make very good effort for this. 75To demonstrate staying in remembrance of the Father while working is an act of courage.
71Karma tō karnā hī hai kyōṅki tum hō pravr̥itti mārg vālē .
76You definitely have to perform actions because you belong to the household path.
72Gr̥ihastha vyavahār mē̃ rahtē dhandhā ādi kartē buddhi mē̃ bāp kī yād rahē , ismē̃ tumhārī bahut-bahut kamāī hai .
77Let there be remembrance of the Father while living at home with your families and doing business etc. 78There is a great deal of income in this for you.
73Bhal abhī kaī bachchō̃ key|kī buddhi mē̃ nahī̃ ātā hai . 74Bāp kahtē rahtē haĩ chart rakhō .
79Although it does not enter the intellects of some children, the Father continues to tell you to keep a chart.
75Thōṛā bahut kōī likhtē haĩ .
80Some write their charts for a little while.
76Bāp yuktiyā̃ tō bahut batātē haĩ .
81The Father shows you many methods.
77Bachchē chāhtē haĩ bābā kē pās jāyē̃ .
82Children want to come to Baba.
78Yahā̃ bahut kamāī kar saktē haĩ .
83You can earn a great deal of income here.
79Ēkānt bahut achchhī hai .
84The solitude here is very good.
80Bāp sammukh baiṭh samjhātē haĩ mujhē yād karō tō pāp kaṭ jāyē̃ kyōṅki janma-janmāntar K|kē pāp sir par haĩ .
85The Father sits here and personally explains to you: Remember Me and your sins will be cut away, because there are the sins of many births on your heads.
81Vikār kē liē kitnē jhagaṛē|jhagṛē chaltē haĩ , vighna paṛtē haĩ .
86Many fights and quarrels take place due to vice; there are many obstacles.
82Kahtē haĩ bābā hamkō pavitra rahnē nahī̃ dētē .
87Some say: Baba they won’t let us remain pure.
83Bāp kahtē haĩ - bachchē , tum yād kī yātrā mē̃ rah janma-janmāntar K|kē pāp jō sir par haĩ , vah bōjhā utārō .
88The Father says: Child, stay on the pilgrimage of remembrance and remove the burden of your sins of many births from your head.
84Ghar baiṭhē śhivbābā kō yād kartē rahō .
89Continue to remember Shiv Baba while sitting at home.
85Yād tō kahā̃ bhī baiṭh kar saktē hō .
90You can have remembrance wherever you are sitting.
86Kahā̃ bhī rahtē yah practice karnī hai .
91You can practise this wherever you live.
87Jō bhī āyē unkō bhī paigām dō . 88Bāp kahtē haĩ apnē kō ātmā samajh bāp kō yād karō , inkō hī yōgbal kahā jātā hai .
92Whoever comes, give them this message: The Father says: Consider yourself to be a soul and remember the Father. 93This is called the power of yoga.
89Bal mānā tākat , śhakti .
94Power means strength, shakti.
90Bāp kō sarvśhaktimān kahtē haĩ nā .
95The Father is called the Almighty Authority.
91Tō vah śhakti bāp sē kaisē milēgī ?
96So, how can you receive that power from the Father?
92Bāp khud kahtē haĩ mujhē yād karō .
97The Father Himself says: Remember Me!
93Tum nīchē utartē-utartē tamōpradhān ban gayē hō tō vah śhakti bilkul khatm hō gaī hai .
98While coming down, you have became tamopradhan, and so that power has now completely finished.
94Pāī kī bhī nahī̃ rahī hai .
99There is not even a pennyworth left.
95Tumhārē mē̃ bhī kōī haĩ jō achchhī rīti samjhātē haĩ , bāp kō yād kartē haĩ .
100There are some among you who explain this very well and who remember the Father.
96Tō apnē sē pūchhnā hai hamārā chart kaisā rahtā hai ?
101Therefore, each of you has to ask yourself what your chart is like.
97Bāp tō sab bachchō̃ kō kahtē haĩ , yād kī yātrā mukhya hai .
102The Father tells all the children that the pilgrimage of remembrance is the main thing.
98Yād sē hī tumhārē pāp kaṭē̃gē .
103It is by having remembrance that your sins will be cut away.
99Bhal kōī sāvdhān karnē vālā bhī nahī̃ hō tō bhī bāp kō yād kar saktē hō nā .
104Even if there is no one to caution you, you can still remember the Father.
100Bhal vilāyat mē̃ akēlē rahō , tō bhī yād mē̃ rah saktē hō .
105Even if you live alone abroad, you can still stay in remembrance.
101Samjhō kōī śhādī kiyā huā hai , strī aur kōī jagah hai , tō unkō bhī likh saktē hō - tum ēk bāt sirph yād karō - bāp kō yād karō tō janma-janmāntar K|kē pāp bhasma hō jāyēṅgē .
106For instance, if you are a married couple and your wife is elsewhere, you can write and tell her: Simply remember one thing: remember the Father and your sins of many births will be burnt.
102Vināśh sāmnē khaṛā hai .
107Destruction is standing ahead.
103Bāp yuktiyā̃ tō bahut achchhī samjhātē rahtē haĩ phir kōī karē , na karē , unkī marjī .
108The Father continues to explain many good methods, but whether you do it or not is up to you.
104Bachchē bhī samajhtē hōṅgē ki bāp rāy tō bahut achchhī dētē haĩ .
109You children understand that the advice the Father gives is very good.
105Hamārā kām hai mitra-sambandhī ādi jō bhī milē̃ , sabkō paigām dēnā .
110Our duty is to give the message to everyone, our friends, relatives etc. and whomsoever we meet.
106Dost hō yā kōī bhī hō , service kā śhauk chāhiē .
111Whether they are your friends or whoever they are, you should be interested in doing service.
107Tumhārē pās|pass chitra tō haĩ , badge bhī hai .
112You have pictures as well as a badge.
108Yah baṛī achchhī chīz hai .
113They are very good things.
109Badge kiskō bhī lakṣhmī-nārāyaṇ banā saktā hai .
114This badge can make anyone into Lakshmi or Narayan.
110Trimūrti K|kē chitra par achchhī tarah samjhānā hai , inkē ūpar śhiv hai .
115You have to explain the picture of the Trimurti very well. 116The One above them is Shiva.
111Vō lōg trimūrti banātē haĩ , ūpar mē̃ śhiv dikhātē nahī̃ .
117Those people make an image of the Trimurti; they do not show an image of Shiva above it.
112Śhiv kō na jānnē kāraṇ bhārat kā bēṛā ḍūbā huā hai .
118Because of them not knowing Shiva, the boat of Bharat has sunk.
113Ab śhivbābā dvārā hī bhārat kā bēṛā pār hōtā hai .
119Now, only by remembering Shiv Baba can the boat of Bharat go across.
114Pukārtē haĩ patit-pāvan ākar ham patitō̃ kō pāvan banāō phir bhī sarvavyāpī kah dētē haĩ .
120They call out: “O Purifier, come and purify us impure ones”. 121Yet they say that He is omnipresent.
115Kitnī pāī paisē key|kī bhūl hai .
122This mistake is worth pennies.
116Bāp baiṭh samjhātē haĩ tumkō aisē-aisē bhāṣhaṇ karnā hai .
123The Father sits here and explains to you the way to give lectures.
117Bāp bhī direction dētē rahtē haĩ - aisē museum khōlō , service karō tō bahut āyēṅgē .
124The Father continues to give you directions about how to do service and open museums. 125Then, many will come.
118Circus bhī baṛē-baṛē śhaharō̃ mē̃ khōltē haĩ nā .
126A circus goes to many big cities.
119Kitnā unhō̃ kē pās sāmān rahtā hai .
127They have so much equipment.
120Gānv-gānv sē dēkhnē kē liē lōg ātē haĩ isliē bābā kahtē haĩ tum bhī aisā ḵẖūbṣhūrat museum banāō , jō dēkhkar khuśh hō jāyē̃ phir aurō̃ kō jākar sunāyē̃ .
128People from many villages go to see them. 129This is why the Father says: Build such a beautiful museum that people become happy when they see it and tell others about it.
121Yah bhī samjhātē haĩ jō kuchh service hōtī hai , kalp pahlē misal hōtī hai , parantu satōpradhān bannē kā ōnā bahut rakhnā hai .
130It is also explained that whatever service takes place, it happened as it did in the previous cycle. 131However, you have to have a great deal of concern about becoming satopradhan.
122Ismē̃ hī bachchē ġaphlat kartē haĩ .
132It is in this that some children become careless and make mistakes.
123Māyā vighna bhī is yād kī yātrā mē̃ hī ḍāltī hai .
133Maya also creates obstacles on this pilgrimage of remembrance.
124Apnē dil sē pūchhnā hai - itnā hamkō śhauk hai , mēhnat kartē haĩ ?
134Ask your heart: Do I have that much interest? 135Do I make effort?
125Gyān tō common bāt hai .
136This knowledge is a common matter.
126Bāp bigar 84 kā chakra kōī samjhā na sakē . 127Bākī yād kī yātrā hai mukhya .
137Although no one except the Father, can explain the cycle of 84 births, the pilgrimage of remembrance is the main thing.
128Pichhāṛī mē̃ kōī bhī yād na āyē sivāē ēk bāp K|kē .
138At the end, no one except the one Father has to be remembered.
129Direction tō bāp pūrē dētē rahtē haĩ .
139The Father continues to give you full directions.
130Mukhya bāt hai yād karnē key|kī .
140The main aspect is to remember Baba.
131Tum kōī kō bhī samjhā saktē hō .
141You can explain to anyone.
132Bhal kōī bhī hō tum sirph badge par samjhāō .
142Whoever they are, you can explain the badge to them.
133Aur kōī kē pās aisē arth|earth sahit medal nahī̃ hōtē .
143No one else has such a meaningful medal.
134Military vālē achchhā kām kartē haĩ tō unkō medal miltē haĩ .
144Those in the military receive a medal when they do something good.
135Rāy sāhēb kā medal , sab dēkhē̃gē inkō viceroy sē title milā hai .
145Anyone who sees the medal of Rai Sahab would see that he received the title from the Viceroy.
136Āgē viceroy hōtē thē . 137Abhī tō unkē pās|pass kōī power nahī̃ hai .
146Previously, there used to be viceroys, but they don’t have any power now.
138Abhī tō kitnē jhagaṛē|jhagṛē lagē paṛē haĩ .
147There are so many quarrels now.
139Manuṣhya bahut hō gayē haĩ , tō unkē liē jamīn chāhiē śhahar mē̃ .
148The number of Human beings has increased so much and so land is needed for them in the cities.
140Abhī bābā svarg key|kī sthāpanā kar rahē haĩ , itnē sab khalās hō bākī kitnē thōṛē jākar rahē̃gē .
149The Father is now establishing heaven. 150So many will be destroyed and very few will remain.
141Jamīn ḍhēr hōgī . 142Vahā̃ tō sab kuchh nayā hōgā .
151There will be so much land there and everything will be new there.
143Us naī duniyā mē̃ chalnē kē liē phir achchhī rīti purūṣhārth karnā hai .
152You have to make very good effort in order to go to that new world.
144Har ēk manuṣhya purūṣhārth kartē haĩ bahut ūñch pad pānē kā .
153Every human being makes effort to claim a very high status.
145Kōī pūrā purūṣhārth nahī̃ kartē tō samajhtē haĩ nā-pass hō jāyēṅgē .
154It is understood that if someone does not make effort fully, he will fail.
146Khud bhī samajhtē haĩ ham fail hō jāyēṅgē phir paṛhāī ādi kō chhōṛ-kar naukrī mē̃ lag jātē haĩ .
155He himself understands that he will fail and so he stops studying and finds employment.
147Ājkal tō naukriyō̃ mē̃ bhī bahut kaṛē kāydē nikāltē rahtē haĩ .
156Nowadays, they have many strong employment laws.
148Manuṣhya bahut duḥkhī haĩ .
157Human beings are very unhappy.
149Ab bābā tumkō aisā rāstā batātē haĩ jō 21 janm kabhī duḥkh kā nām nahī̃ rahēgā .
158Baba now shows you such a path that there will be no trace of sorrow for 21 births.
150Bāp kahtē haĩ sirph yād kī yātrā mē̃ rahō .
159The Father says: Simply stay on the pilgrimage of remembrance to whatever extent you can.
151Jitnā hō sakē rāt kō bahut achchhā hai .
160Night time is very good.
152Bhal lēṭē huē yād karō .
161By all means, remember Baba while lying down.
153Kōī kō phir nīnd ā jātī hai .
162However, some fall asleep.
154Buṛhā hōgā , jāstī baiṭh nahī̃ sakēgā tō jarūr sō jāyēgā .
163An old person would not be able to sit for long. 164Therefore, he would surely go to sleep.
155Lēṭē huē bāp kō yād kartē rahē̃gē .
165He would continue to remember the Father while lying down.
156Baṛī khuśhī andar mē̃ hōtī rahēgī kyōṅki bahut-bahut kamāī hai .
166He would experience great internal happiness because there is a great deal of income in this.
157Yah tō samajhtē haĩ - time paṛā hai parantu maut kā kōī ṭhikānā nahī̃ .
167You think that there is still time left, but it is not known when death will come.
158Tō bāp samjhātē haĩ mūl hai yād kī yātrā .
168Therefore, the Father explains: The main thing is the pilgrimage of remembrance.
159Bāhar śhahar mē̃ tō muśhkil hai .
169It is difficult to have this outside in the cities.
160Yahā̃ ātē haĩ tō baṛā achchhā chance miltā hai .
170When you come here, you have a very good chance.
161Kōī phikarāt key|kī bāt nahī̃ isliē yahā̃ chart baṛhātē rahō .
171There is nothing to worry about here. 172This is why you must continue to increase your chart here.
162Tumhārē characters bhī issē sudhartē jāyēṅgē .
173Your character will also continue to be reformed through this.
163Parantu māyā baṛī duśhtar hai .
174However, Maya is very powerful.
164Ghar mē̃ rahnē vālō̃ kō itnā kadar nahī̃ rahtā hai , jitnā bāhar vālō̃ kō hai .
175Those who live in this home do not give it as much value as those who live outside do.
165Phir bhī is samay gōpō̃ key|kī result achchhī hai .
176However, at the moment, the result of the gopes (brothers who are lost in love of God), is still good.
166Kaī bachchiyā̃ likhtī haĩ śhādī kē liē bahut taṅg kartē haĩ , kyā karē̃ ?
177Some daughters write: They harass us a great deal to get married. 178What can we do?
167Jō majbūt sensible bachchiyā̃ hōṅgī vah kabhī aisē likhē̃gī nahī̃ .
179Strong and sensible daughters would never write in this way.
168Likhtī haĩ tō bābā samajh jātē haĩ - riṛh bakrī haĩ .
180If someone writes in this way, Baba understands that she is like a goat or a sheep.
169Yah tō apnē hāth mē̃ hai jīvan kō bachānā .
181It is in your own hands to protect your life.
170Is duniyā mē̃ anēk prakār K|kē duḥkh haĩ .
182There are many types of sorrow in this world.
171Ab bābā tō sahaj batātē haĩ .
183Baba now explains to you in a very easy way.
172Tum bachchē tō mahān bhāgyaśhālī hō , jō ākar sāhēbjādē banē hō .
184You children are greatly fortunate because you have become the children of the Lord and Master.
173Bāp kitnā ūñch banātē haĩ . 174Phir bhī tum bāp kō gālī dētē hō , sō bhī kachchī gālī .
185The Father makes you so elevated, yet you defame the Father. 186That too is false defamation.
175Itnē tamōpradhān banē hō jō bāt mat pūchhō .
187You have become so tamopradhan, don’t even ask!
176Issē jāstī aur kyā sahan karē̃gē .
188How much more can one tolerate?
177Kahtē haĩ nā - jāstī taṅg karē̃gē tō khatm kar dēgē .
189People threaten one another and say: If you cause any more distress, I will put an end to you.
178Tō yah bāp baiṭh samjhātē haĩ .
190The Father sits here and explains this.
179Śhāstrō̃ mē̃ tō kahāniyā̃ likh dī haĩ .
191Only stories have been written in the scriptures.
180Bābā yukti tō bahut sahaj batātē haĩ .
192Baba shows you very easy methods.
181Karma kartē huē yād karō , ismē̃ bahut-bahut phāydā hai .
193Have remembrance while performing actions. 194There is a great deal of benefit in this.
182Savērē ākar yād mē̃ baiṭhō . 183Bahut mazā āyēgā .
195Come here early in the morning and sit in remembrance; you will experience great pleasure.
184Parantu itnā śhauk nahī̃ hai .
196However, you don’t have much interest in doing this.
185Teacher student key|kī chalan sē samajh jātē haĩ - yah fail hō jāyēṅgē .
197A teacher is able to understand from the behaviour of his students which ones will fail.
186Bāp bhī samajhtē haĩ - yah fail hō jāyēṅgē , sō bhī kalp-kalpāntar kē liē .
198The Father also understands which ones will fail and that too is for cycle after cycle.
187Bhal bhāṣhaṇ mē̃ tō bahut hōśhiyār haĩ , pradarśhanī bhī samjhā lētē haĩ parantu yād hai nahī̃ , ismē̃ fail hō paṛtē haĩ .
199Although they may be very clever at giving lectures and be able to explain at exhibitions, they don’t have remembrance; they fail in this.
188Yah bhī jaisē disregard kartē haĩ .
200This shows a great deal of disregard.
189Apnā hī kartē haĩ , śhivbābā kā tō disregard hōtā nahī̃ .
201They are in fact disregarding themselves. 202Shiv Baba cannot be disregarded.
190Aisē kōī kah na sakē ki hamkō phursat hī nahī̃ yād karnē key|kī . 191Bābā mānē̃gē nahī̃ .
203None of you can say that you don’t have time for remembrance; Baba would not believe you.
192Snān par bhī yād kar saktē hō .
204You can have remembrance while bathing.
193Bhōjan kartē samay bāp kō yād karō , ismē̃ bahut-bahut kamāī hai .
205Remember the Father at the time of eating. 206You can earn a great deal of income in this.
194Kaī bachchē sirph bhāṣhaṇ mē̃ nāmīgrāmī haĩ , yōg hai nahī̃ .
207Some children are only very well known for giving lectures; they have no yoga.
195Vah ahaṅkār bhī girā dētā hai .
208That arrogance also makes them fall.
196Achchhā !
209Achcha.
197Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .
210To the sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.
198Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .
211The spiritual Father says namaste to the spiritual children.
Essence for dharna
199Dhārṇā kē liē mukhya sār :
212Essence for dharna:
2001 ) sarvśhaktimān bāp sē śhakti lēnē kē liē yād kā chart baṛhānā hai .
213 1. In order to take power from the Almighty Authority Father, increase your chart of remembrance.
201Yād kī bhinn-bhinn yuktiyā̃ rachnī hai .
214Create different ways to have remembrance.
202Ēkānt mē̃ baiṭh viśhēṣh kamāī jamā karnī hai .
215Sit in solitude and accumulate extra income for yourself.
2032 ) satōpradhān bannē kā ōnā rakhnā hai .
216 2. Be concerned about becoming satopradhan.
204Ġaphlat nahī̃ karnī hai .
217Do not become careless and make mistakes.
205Ahaṅkār mē̃ nahī̃ ānā hai .
218Do not become arrogant.
206Service kā śhauk bhī rakhnā hai , sāth-sāth yād kī yātrā par bhī rahnā hai .
219Be interested in doing service. 220Together with that, stay on the pilgrimage of remembrance.
Blessing
207Vardān : sab kuchh bāp havālē kar kamal puṣhp samān nyārē pyārē rahnē vālē double light bhav
221Blessing: May you be double light and remain as detached and loving as a lotus by handing over everything to the Father.
208Bāp kā bannā arthāt sab bōjh bāp kō dē dēnā .
222 To belong to the Father means to give all your burdens to the Father.
209Double light kā arth|earth hī hai sab kuchh bāp havālē karnā .
223To be double light means to hand over everything to the Father.
210Yah tan bhī mērā nahī̃ .
224“Even this body is not mine”.
211Tō jab tan hī nahī̃ tō bākī kyā .
225Since even that body does not belong to you, what else remains?
212Āp sabkā vāydā hī hai tan bhī tērā , man bhī tērā , dhan bhī tērā - jab sab kuchh tērā kahā tō bōjh kis bāt kā isliē kamal puṣhp kā dr̥iṣhṭānt smr̥iti mē̃ rakh sadā nyārē aur pyārē rahō tō double light ban jāyēṅgē .
226All of you have made a promise: This body is Yours, this mind is Yours and all the wealth is Yours. 227Since everything belongs to the Father, how can there be any burdens? 228Therefore, keep the example of the lotus in your awareness and remain constantly loving and detached and you will become double light.
Slogan
213Slōgan : rūhāniyat sē rōb kō samāpt kar , svayã kō śharīr key|kī smr̥iti sē galānē vālē hī sachchē pāṇḍav haĩ .
229Slogan: True Pandavas are those who finish bossiness and who melt away all their awareness of the body with spirituality.
230*** Om Shanti ***