मंगलवार 27 अगस्त 2024 की दैनिक मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
बिना इंटरनेट सुनने के लिए ।
दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
027-08-2024 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban
0 27/08/24 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban
Essence
1 « mīṭhē bachchē - chaitanya avasthā mē̃ rah bāp kō yād karnā hai , sunn avasthā mē̃ chalē jānā yā nīnd karnā - yah kōī yōg nahī̃ hai ' '
1Essence: Sweet children, remain in a conscious state and remember the Father. 2To go into the stage of nothingness or to sleep is not having yoga.
Question
2Praśhna : tumhē̃ āṅkhē band karkē baiṭhnē key|kī manā kyō̃ kī jātī hai ?
3Question: Why are you not allowed to sit here with your eyes closed?
Answer
3Uttar : agar tum āṅkh band karkē baiṭhē̃gē tō dukān kā sārā sāmān hī chōr chōrī karkē lē jāyēṅgē .
4Answer: If you sit with your eyes closed, a thief can steal all the goods in your shop.
4Māyā chōr buddhi mē̃ kuchh bhī dhārṇā hōnē nahī̃ dēgī .
5Maya, the thief, will not allow your intellects to imbibe anything.
5Āṅkh band karkē yōg mē̃ baiṭhē̃gē tō nīnd ā jāyēgī . 6Patā hī nahī̃ chalēgā isliē āṅkhē khōlkar baiṭhnā hai .
6If you sit in yoga with your eyes closed, you will fall asleep and you will not know anything. 7Therefore, sit with your eyes open.
7Kāmkāj kartē buddhi sē bāp kō yād karnā hai .
8While doing your work, remember the Father with your intellects.
8Ismē̃ haṭhyōg key|kī bāt nahī̃ hai .
9There is no question of hatha yoga in this.
Murli
9Ōm śhānti .
10Om shanti.
10Rūhānī bāp kahtē haĩ bachchō̃ kō , yah bhī bachchā hai nā .
11The spiritual Father tells you spiritual children: This one is also a child.
11Dēhdhārī sab bachchē haĩ .
12All bodily beings are His children.
12Tō rūhānī bāp ātmāō̃ kō kahtē haĩ , ātmā hī mukhya hai .
13So, the spiritual Father says to souls: The main thing is the soul.
13Yah tō achchhī rīti samjhō .
14Understand this very well.
14Yahā̃ jab sāmnē baiṭhtē hō tō aisē nahī̃ śharīr sē nyārā hō gum hō jānā hai .
15When you are sitting here in front, you should not detach yourself from your body and disappear.
15Śharīr sē nyārā hō gum hō jānā , yah kōī yād K|kē yātrā key|kī avasthā nahī̃ hai .
16To detach yourself from your body and disappear is not the stage of the pilgrimage of remembrance.
16Yahā̃ tō sujāg hō baiṭhnā hai .
17You have to sit here while alert.
17Chaltē phirtē , uṭhtē baiṭhtē apnē kō ātmā samajh bāp kō yād karnā hai .
18As you walk and move around or sit, consider yourselves to be souls and remember the Father.
18Bāp aisē nahī̃ kahtē yahā̃ baiṭhē bēhōśh hō jāō .
19The Father does not tell you to become unconscious as you sit here.
19Aisē bahut baiṭhē-baiṭhē gum hō jātē haĩ .
20There are many who disappear while sitting here.
20Tumhē̃ tō sujāg hōkar baiṭhnā hai aur phir pavitra bhī bannā hai .
21You have to sit here and remain alert. 22You also have to become pure.
21Pavitratā bigar dhārṇā nahī̃ hōgī , kiskā kalyāṇ nahī̃ kar sakē̃gē , kiskō kah nahī̃ sakē̃gē .
23You will not be able to imbibe this knowledge without having purity. 24You will neither be able to bring benefit to anyone nor will you be able to tell this to others.
22Khud pavitra rahtē nahī̃ aur dūsrē kō kahtē haĩ , vah tō paṇḍit hō gayā .
25Those who do not remain pure themselves but tell others to do so are like pundits.
23Miyā miṭṭhū bhī nahī̃ bannā hai , phir vah dil andar khātā rahēgā .
26You must not consider yourselves to be clever. 27Otherwise, your consciences will bite you.
24Aisē mat samjhō ham sunn mē̃ chalē jātē haĩ .
28Don’t think that you can close your eyes and go into a state of nothingness.
25Āṅkhē band hō jātī haĩ , yah kōī yād kī avasthā nahī̃ hai , ismē̃ chaitanya avasthā mē̃ rah bāp kō yād karnā hai .
29That is not the stage of remembrance. 30Here, you have to remain in a conscious state and remember the Father.
26Nīnd karnā kōī yād karnā nahī̃ hai .
31To fall asleep is not having remembrance.
27Bachchō̃ kō kaī points samjhāī jātī haĩ .
32Many points are explained to you children.
28Śhāstrō̃ mē̃ dikhāyā gayā hai - sātvī̃ bhūmikā mē̃ chalē jātē haĩ , unkō duniyā kā patā nahī̃ paṛtā hai .
33It is shown in the scriptures that they go into the seventh world (stage of consciousness) and they are not aware of this world at all.
29Tumkō tō duniyā kā patā hai nā . 30Yah chhī-chhī duniyā hai .
34You know about the world; this is a dirty world.
31Bāp kō kōī jāntē nahī̃ haĩ .
35No one knows the Father.
32Agar bāp kō jāntē tō sr̥iṣhṭi chakra kō bhī jān jāē̃ .
36If they were to know the Father, they would also know the cycle of the world.
33Bāp batlātē haĩ yah chakra kaisē phirtā hai . 34Manuṣhya punarjanma kaisē lētē haĩ .
37The Father tells you how this cycle turns and how human beings take rebirth.
35Satyug mē̃ bhal baṛī āyu hō jātī tō bhī badsūrat nahī̃ hōṅgē .
38In the golden age, even though you become old, your face does not become ugly.
36Bākī sanyāsiyō̃ kā tō hai haṭhyōg .
39Sannyasis do hatha yoga.
37Āṅkhē band karnā , guphāō̃ mē̃ baiṭhē-baiṭhē badsūrat ban jānā … .
40They close their eyes and, while sitting in caves, they become old and ugly.
38Tumkō tō bāp kahtē haĩ gr̥ihastha vyavahār mē̃ rahtē sujāg rahnā hai .
41The Father tells you: While living at home with your families, you have to remain alert.
39Sunn mē̃ chalē jānā , yah kōī avasthā nahī̃ hai .
42To go into the stage of nothingness is not really a stage.
40Dhandhā ādi bhī karnā hai , gr̥ihastha vyavahār bhī sambhālnā hai .
43You have to carry on with your business etc. and also look after your household.
41Sunn mē̃ nahī̃ jānā hai .
44You must not go into the stage of nothingness.
42Kām-kāj kartē buddhi sē bāp kō yād karnā hai .
45While doing your work, remember the Father with your intellects.
43Jarūr kām karē̃gē , āṅkhē khōl-kar karē̃gē nā .
46When you do your work, you surely do it with your eyes open.
44Dhandhā ādi sab kuchh kartē rahō . 45Buddhi yōg bāp kē sāth hō .
47Continue to attend to your business etc., but let your intellects be in yoga with the Father.
46Ismē̃ gaphlat nahī̃ karnī hai .
48You must not become careless about this.
47Dukān par baiṭhē āṅkhē band hō jāyēgī tō kōī sāmān hī lē jāyēṅgē aur patā bhī nahī̃ paṛēgā .
49If you closed your eyes while sitting in your shop, someone would steal your stock and you would not even know.
48Yah kōī avasthā nahī̃ .
50That stage is not accurate.
49Ham dēh sē nyārē hō jātē haĩ , yah sab haṭhyōgiyō̃ key|kī bātē̃ haĩ .
51To become detached from one’s body is the practice of hatha yogis.
50Riddhi siddhi vālē kartē haĩ .
52It is those with occult power who do that.
51Bāp tō achchhī rīti baiṭh samjhātē haĩ , ismē̃ āṅkhē nahī̃ band karnī hai .
53The Father sits here and explains to you very clearly; you must not close your eyes for this.
52Bāp kahtē haĩ mitr sambandhiyō̃ kō jō baiṭh yād kartē hō , vah sab bhūl jāō . 53Ēk bāp kō yād karnā hai .
54The Father says: You must now forget all your friends and relatives that you have been remembering, but you must remember the one Father.
54Sivāē yād kī yātrā K|kē pāp kaṭ nahī̃ saktē .
55Without having the pilgrimage of remembrance, your sins cannot be cut away.
55Bhōg lē jātē haĩ , gum hō jātē haĩ sūkṣhmavatan mē̃ .
56When they take bhog to the subtle region, they get lost.
56Ismē̃ kyā hōtā hai ?
57What happens?
57Jitnā samay vahā̃ haĩ vikarma vināśh hō na sakē̃ .
58For as long as they are there, their sins cannot be absolved.
58Śhivbābā kō yād kar na sakē̃ . 59Na bābā key|kī vāṇī sun sakē̃gē . 60Tō ghāṭā paṛ jātā hai .
59They can neither remember Shiv Baba nor can they hear Baba’s murli, and so there is a loss.
61Parantu yah drama mē̃ nūndh hai isliē jātē haĩ .
60However, it is fixed in the drama and this is why they go there.
62Phir ākar murlī suntē haĩ isliē bābā kahtē haĩ jāō , phauran āō , baiṭhō nahī̃ .
61They then come down and listen to the murli. 62This is why Baba says: Go and return quickly! 63Don’t stay there!
63Khēlpāl karnā bābā nē band kar diyā hai .
64Baba put a stop to all of those entertaining games.
64Yah bhī ghūmnā phirnā rulanā huā nā .
65To go around in this way is like wandering and wailing.
65Bhakti mārg mē̃ rulanā piṭanā bahut hōtā hai kyōṅki andhiyārā mārg hai nā .
66There is a great deal of wandering and wailing on the path of devotion, because it is the path of darkness.
66Mīrā dhyān mē̃ vaikuṇṭha mē̃ chalī jātī thī .
67Meera used to go to Paradise in trance.
67Vah yōg va paṛhāī thōṛēhī thī .
68That was neither yoga nor a study.
68Kyā usnē sadgati kō pāyā ?
69Did she attain salvation through that?
69Svarg jānē lāyak banī ?
70Did she become worthy of going to heaven?
70Janma-janmāntar K|kē pāp kaṭē ?
71Were her sins of many births cut away?
71Bilkul nahī̃ .
72Absolutely not!
72Janma-janmāntar K|kē pāp tō bāp kī yād sē hī kaṭtē haĩ .
73The sins of many births can only be cut away by having remembrance of the Father.
73Bākī sākṣhātkār ādi sē kōī phāydā nahī̃ hōtā .
74There is no benefit in having visions etc.
74Yah tō sirph bhakti hai .
75That is simply devotion.
75Na yād hai , na gyān hai .
76It is neither remembrance nor this knowledge.
76Bhakti mārg mē̃ yah sikhlānē vālā kōī hōtā hī nahī̃ tō sadgati kō bhī pātē nahī̃ . 77Bhal kitnā bhī sākṣhātkār hō , śhurū mē̃ tō bachchiyā̃ āpēhī chalī jātī thī .
77There is no one on the path of devotion who teaches these things and so they are not able to attain salvation, no matter how many visions they may have. 78In the beginning, children used to go into trance by themselves.
78Mammā-bābā thōṛēhī jātē thē .
79Mama and Baba did not go into trance.
79Yah tō śhurū mē̃ bābā kō sirph sthāpanā aur vināśh kā sākṣhātkār huā .
80In the beginning, Baba simply had a vision of establishment and destruction.
80Pīchhē tō kuchh nahī̃ huā .
81Nothing happened after that.
81Ham kiskō bhī bhējtē nahī̃ haĩ .
82I do not send anyone up there.
82Hā̃ , biṭhākar kah dētē bābā inkī rassī khīñchō . 83Vah bhī drama mē̃ hōgā tō rassī khīñchē̃gē , nahī̃ tō nahī̃ .
83Yes, I (Brahma) sit them down and say: “Baba, pull the thread of this one,” and if it is in the drama, her thread will be pulled. 84Otherwise, it won’t be.
84Sākṣhātkār tō ḍhēr hōtē haĩ .
85Many receive visions.
85Jaisē śhurū mē̃ bahut sākṣhātkār kartē thē , pichhāṛī mē̃ bhī bahut sākṣhātkār karē̃gē , mirūā maut malūkā śhikār . . . . . itnē ḍhēr manuṣhya haĩ , vah sab śharīr chhōṛ dēgē .
86Many used to have visions in the beginning and many will have visions at the end. 87It will be death for the prey and victory for the hunter. 88There are countless human beings and they will all leave their bodies here.
86Śharīr sahit kōī satyug mē̃ vā śhāntidhām mē̃ nahī̃ jāyēṅgē .
89No one will take his body or anything else to the golden age or to the land of silence.
87Kitnē ḍhēr manuṣhya haĩ , sab vināśh kō prāpt karē̃gē .
90There are countless human beings. 91All are to be destroyed.
88Bākī ēk ādi sanātan dēvī-dēvtā dharm key|kī sthāpanā hō rahī hai brahmā dvārā .
92The one original, eternal, deity religion is now being established through Brahma.
89Tum bachchiyā̃ gānv-gānv mē̃ jākar kitnī service kartī hō .
93You daughters go to the villages and do so much service.
90Yahī kahtī hō ki apnē kō ātmā samajh bāp kō yād karō .
94You say to them: Consider yourselves to be souls and remember the Father.
91Sanyāsī tō rājyōg sikhlānā jāntē nahī̃ .
95Sannyasis don’t know how to teach Raja Yoga.
92Bāp bigar rājyōg sikhlāvē kaun ?
96Who, apart from the Father, can teach Raja Yoga?
93Tum bachchō̃ kō bāp abhī rājyōg sikhlā rahē haĩ .
97The Father is now teaching you children Raja Yoga.
94Phir rājāī mil jātī hai . 95Tum apār sukhō̃ mē̃ rahtē hō .
98You will then receive your kingdom and you will remain in limitless happiness.
96Vahā̃ tō phir yād karnē key|kī darkār hī nahī̃ . 97Riñchak bhī duḥkh nahī̃ hōtā hai .
99There will be no need to have remembrance there; there will not be the slightest trace of sorrow.
98Āyu bhī baṛī , kāyā bhī nirōgī hōtī hai .
100Your lifespans will be long and your bodies will be free from disease.
99Yahā̃ kitnē duḥkh haĩ .
101Here, there is a great deal of sorrow.
100Aisē tō nahī̃ bāp nē duḥkh kē liē khēl rachā hai .
102It is not that the Father has created this play to cause you sorrow.
101Yah tō khēl sukh-duḥkh , hār-jīt kā ādi anādi hai .
103This is an original and eternal play of happiness and sorrow, victory and defeat.
102In sab bātō̃ kō sanyāsī jāntē hī nahī̃ tō samjhā kaisē saktē .
104Sannyasis do not know these things and so how could they explain anything?
103Vah tō bhakti mārg K|kē śhāstra ādi paṛhnē vālē haĩ .
105They study the scriptures etc. of the path of devotion.
104Tumkō kahā jātā hai - apnē kō ātmā samajh bāp kō yād karō .
106You are each told: Consider yourself to be a soul and remember the Father.
105Vah sanyāsī phir ātmā samajh brahm kō yād kartē haĩ .
107Those sannyasis consider themselves to be part of the soul and they remember the brahm element.
106Brahm kō paramātmā samajhtē haĩ , brahm gyānī haĩ .
108They consider the brahm element to be the Supreme Soul. 109They only have knowledge of the brahm element.
107Vāstav mē̃ brahm hai rahnē kā sthān . 108Jahā̃ tum ātmāyē̃ rahtī hō vah phir kahtē ham unmē̃ līn hōṅgē .
110In fact, the brahm element is the place of residence, where you souls reside, but they say that they will merge into the element.
109Unkā gyān hī sārā ulṭā hai .
111Their knowledge is totally upside-down.
110Yahā̃ tō bēhad kā bāp tum bachchō̃ kō paṛhātē haĩ .
112Here, the unlimited Father teaches you children.
111Vah kahtē bhagvān 40 hazār varṣh bād āyēgā , iskō kahā jātā hai agyān andhiyārā .
113They say that God will come after forty thousand years. 114That is called the darkness of ignorance.
112Bāp kahtē haĩ naī duniyā kī sthāpanā aur purānī duniyā kā vināśh karnē vālā tō maĩ hū̃ .
115The Father says: I am the One who establishes the new world and who has the old world destroyed.
113Maĩ sthāpanā kar rahā hū̃ , vināśh bhī sāmnē khaṛā hai .
116I am carrying out the task of establishment; destruction is also standing ahead.
114Ab jaldī karō .
117Now, hurry up and become pure!
115Pāvan banō tab hī pāvan duniyā mē̃ jāyēṅgē .
118Only then will you be able to go to the pure world.
116Yah tō purānī tamōpradhān duniyā hai . 117Lakṣhmī-nārāyaṇ kā rājya thōṛēhī hai .
119This is an old tamopradhan world; it is not the kingdom of Lakshmi and Narayan.
118Inkā rājya naī duniyā mē̃ thā , ab nahī̃ hai .
120Their kingdom existed in the new world; it no longer exists.
119Yah punarjanma lētē āyē haĩ .
121They have continued to take rebirth.
120Śhāstrō̃ mē̃ tō kyā-kyā likh diyā hai .
122All sorts of things have been written in the scriptures.
121Kr̥iṣhṇa kō dikhāyā hai arjun K|kē ghōṛē gāṛī mē̃ baiṭhā hai .
123They have shown Shri Krishna sitting in Arjuna’s horse chariot.
122Aisē nahī̃ ki arjun K|kē andar kr̥iṣhṇa baiṭhā hai .
124It was not that Shri Krishna was sitting inside Arjuna.
123Kr̥iṣhṇa tō dēhdhārī thā nā , na kōī laṛāī ādi key|kī bāt hai .
125Shri Krishna was a bodily being. 126There was no question of a war etc.
124Unhōnnē tō pāṇḍavō̃ aur kauravō̃ kā laśhkar alag-alag kar diyā hai .
127They have divided the armies of the Pandavas and the Kauravas.
125Yahā̃ tō vah bāt nahī̃ .
128However, those things do not happen here.
126Yah bhakti mārg K|kē athāh śhāstra haĩ .
129Those are the limitless scriptures of the path of devotion.
127Satyug mē̃ yah hōtē nahī̃ .
130They do not exist in the golden age.
128Vahā̃ tō gyān kī prālabdha rājdhānī hai .
131There, it is your kingdom, your reward of this knowledge.
129Vahā̃ sukh hī sukh hai .
132There, there is nothing but happiness.
130Bāp naī duniyā sthāpan kartē haĩ tō jarūr naī duniyā mē̃ sukh hōgā nā .
133The Father establishes a new world, and so there would definitely be happiness in a new world.
131Bāp kabhī purānā makān banātē haĩ kyā !
134Would the Father build an old home?
132Bāp tō nayā makān banātē haĩ , us duniyā kō hī satōpradhān duniyā kahā jātā hai .
135The Father would build a new home. 136That world is called the satopradhan world.
133Abhī tō sab tamōpradhān apavitr haĩ , parāyē rāvaṇ rājya mē̃ baiṭhē haĩ .
137This world is now impure, tamopradhan. 138You are now sitting in the foreign kingdom of Ravan.
134Rām tō kahā jātā hai śhivbābā kō , rām-rām kah rām nām kā dān dētē haĩ .
139Shiv Baba is called Rama. 140They make donations in the name of Rama, chanting, “Rama, Rama”.
135Ab kahā̃ rām , kahā̃ śhivbābā .
141Now, there is a vast difference between Rama and Shiv Baba.
136Ab śhivbābā tum bachchō̃ kō kahtē haĩ māmēkam yād karō .
142Shiv Baba now tells you children: Remember Me alone.
137Jahā̃ sē āyē hō vahā̃ hī phir jānā hai , jab tak bāp kō yād kar pavitra nahī̃ banē̃gē tō vāpis bhī jā nahī̃ sakē̃gē .
143You now have to return to the place you came from. 144Until you remember the Father and become pure, you will not be able to return home.
138Tumhārē mē̃ bhī kōī virlē haĩ jō achchhī rīti bāp kō yād kartē haĩ .
145There are very few among you who remember the Father accurately.
139Mukh sē tō kahnē key|kī bāt nahī̃ .
146It is not a question of saying anything through your lips.
140Bhakti mē̃ rām-rām mukh sē kahtē haĩ .
147On the path of devotion, people say, “Rama, Rama”, with their lips.
141Kōī nahī̃ kahē̃gē tō samajhē̃gē yah nāstik haĩ .
148If someone doesn’t chant this, they call him an atheist.
142Kitnā āvāz karkē gātē haĩ .
149They sing very loudly.
143Jitnā jhāṛ baṛā hōtā hai , utnī bhakti key|kī sāmagrī baṛī hōtī jātī hai .
150As the tree grows, so the paraphernalia of the path of devotion also grows.
144Bīj kitnā chhōṭā hōtā hai .
151The Seed is very tiny.
145Tumkō kōī chīz nahī̃ , kōī āvāz nahī̃ .
152You do not have anything nor do you make any sound.
146Sirph kahtē haĩ - apnē kō ātmā samajh mujhē yād karō .
153You are simply told to consider yourselves to be souls and remember Me.
147Mukh sē kahnā bhī nahī̃ hai .
154You do not have to say anything with your lips.
148Laukik bāp kō bhī bachchē buddhi sē yād kartē haĩ .
155Children remember their physical fathers with their intellects.
149Bābā-bābā baiṭhkar kahtē thōṛēhī haĩ .
156They do not sit and say: Baba, Baba.
150Tum abhī jāntē hō ātmāō̃ kā bāp kaun hai .
157You now understand who the Father of souls is.
151Ātmāyē̃ tō sab bhāī haĩ .
158All souls are brothers.
152Ātmā kō aur kōī nām nahī̃ .
159Souls do not have any other name.
153Bākī śharīr kā nām badaltā hai .
160However, the names of bodies change.
154Ātmā tō ātmā hī hai . 155Vah bhī param ātmā .
161A soul is a soul and that One is the Supreme Soul.
156Unkā nām hai śhiv .
162His name is Shiva.
157Unkō apnā śharīr hai nahī̃ .
163He does not have a body of His own.
158Bāp kahtē haĩ mujhē bhī agar śharīr hōtā tō punarjanma mē̃ ānā paṛtā .
164The Father says: If I had a body of My own, I would also have to take birth and rebirth.
159Tumkō phir sadgati kaun dētē ?
165Who would then grant you salvation?
160Bhakti mārg mē̃ mujhē yād kartē haĩ .
166People remember Me on the path of devotion.
161Anēk chitra haĩ .
167There are many images.
162Abhī tum narkvāsī sē svargvāsī bantē hō nā .
168You are now becoming residents of heaven from residents of hell.
163Janm tō nark mē̃ liyā hai . 164Marē̃gē svarg kē liē .
169You have taken birth in hell but you will have to die in order to go to heaven.
165Yahā̃ tum āyē hī hō svarg mē̃ jānē kē liē .
170You have come here in order to go to heaven.
166Jaisē kōī bridge ādi banātē haĩ , tō pahlē foundation ceremony kar lētē haĩ phir bridge bantī rahtī hai .
171Before a bridge etc. is constructed, they hold a foundation ceremony and then the bridge continues to be constructed.
167Svarg key|kī sthāpanā kā udghāṭan ( foundation ceremony ) bāp nē kar liyā hai , ab taiyārī hōtī rahtī hai .
172The Father has already performed the inauguration (foundation ceremony) of the establishment of heaven. 173Preparations are now taking place.
168Makān bannē mē̃ time lagtā hai kyā ?
174Does it take time to build a building?
169Government karnē par āyē tō ēk mās mē̃ makān khaṛā kar lē .
175Once the Government begins to build one, they are able to construct it within a month.
170Vilāyat mē̃ tō makān taiyār miltē haĩ .
176Abroad, you can buy ready-made homes.
171Svarg mē̃ tō bahut viśhāl buddhi satōpradhān hōtē haĩ .
177In heaven your intellects will be broad, unlimited and satopradhan.
172Science key|kī buddhi tīkhī hōtī hai .
178Scientists have very clever intellects.
173Jhaṭ banātē jāyēṅgē , makānō̃ mē̃ jaṛit bhī lagtī jāyēgī .
179They will build things very quickly. 180There, the walls will be studded with jewels.
174Ājkal imitation dēkhō kitnā jaldī banātē rahtē haĩ . 175Vah tō phir real sē bhī jāstī chamaktā hai .
181Nowadays, they make imitation jewellery very quickly and it sparkles even more than the real thing.
176Aur ājkal kī machinery sē jhaṭ banā lētē haĩ .
182Nowadays, they also have machines to manufacture things very quickly.
177Vahā̃ makān bannē mē̃ dērī nahī̃ lagtī , saphāī ādi hōnē mē̃ time lagtā hai .
183There, it does not take long to build a house. 184It takes time to clean everything.
178Aisē nahī̃ ki sōnē key|kī dvārikā samudra sē nikal āyēgī .
185It is not that the golden city of Dwaraka will rise from beneath the sea.
179Tō bāp kahtē haĩ khāō piō bhal , sirph bāp kō yād karō tō vikarma vināśh hō̃ , aur kōī upāya nahī̃ .
186Therefore, the Father says: Eat and drink, but simply remember the Father so that your sins can be absolved. 187There is no other way.
180Janma-janmāntar yah gaṅgā snān ādi kartē āyē hō parantu kōī bhī mukti-jīvanmukti kō tō pātē hī nahī̃ .
188You have been bathing in the Ganges for birth after birth, but no one has been able to attain liberation or liberation-in-life.
181Yahā̃ tō bāp pāvan bannē key|kī yukti batātē haĩ .
189Here, the Father shows you the way to become pure.
182Bāp kahtē haĩ maĩ hī patit-pāvan hū̃ .
190The Father says: I am the Purifier.
183Tumnē bulāyā hai hē patit-pāvan bābā āō , ākarkē hamkō pāvan banāō .
191You called out: O Purifier, Baba come! 192Come and make us pure.
184Drama pūrā huā tō phir sab actors stage par hōnē chāhiē . 185Creator bhī hōnā chāhiē . 186Sab khaṛē hō jātē haĩ nā .
193When a drama comes to an end, all the actors, as well as the creator, appear on the stage; they all stand on the stage.
187Yah bhī aisē hai .
194The same thing happens here too.
188Sabhī ātmāyē̃ ā jāyēṅgī phir vāpis jānā hōgā .
195When all souls have come down, you will then start returning.
189Abhī tum taiyār nahī̃ huē hō .
196You are not ready yet.
190Karmātīt avasthā hī nahī̃ huī hai tō vināśh kaisē hōgā .
197You have not reached your karmateet stage and so how can destruction take place?
191Bāp ātē hī haĩ tumkō naī duniyā kē liē paṛhānē , vahā̃ kāl hōtā hī nahī̃ . 192Tum kāl par jīt pātē hō .
198The Father only comes in order to teach you for the new world. 199There, there is no death; you are conquering death.
193Kaun jīt pahnātē haĩ ?
200Who enables you to conquer death?
194Kālō̃ kā kāl .
201The Death of all Deaths.
195Vah kitnō̃ kō sāth lē jātē haĩ !
202He takes so many back with Him.
196Tum khuśhī sē jātē hō .
203You return in great happiness.
197Ab bāp āyē haĩ sabkā duḥkh dūr karnē isliē unkī mahimā gātē hai , god father liberate karō , duḥkh sē .
204The Father has now come to remove everyone’s sorrow. 205This is why people sing His praise: God, the Father, liberate us from sorrow!
198Śhāntidhām-sukhadhām mē̃ lē chalō .
206Take us to the land of peace and the land of happiness!
199Parantu yah tō manuṣhyō̃ kō patā nahī̃ ki abhī bāp svarg key|kī rachnā rach rahē haĩ .
207However, human beings don’t know that the Father is now creating heaven.
200Tum svarg mē̃ jāyēṅgē vahā̃ jhāṛ bahut chhōṭā hōgā phir vr̥iddhi kō pāyēgā .
208When you go to heaven, the tree will be very small and expansion will then take place later.
201Abhī aur sab dharm haĩ , vah ēk dharm hai nahī̃ .
209All the other religions now exist whereas that one religion does not exist.
202Nām , rūp , rājāī ādi badal jātī hai .
210The name, form, kingdom etc. all change.
203Pahlē double tāj , phir single tāj vālē hōtē haĩ .
211To begin with, you had a double crown and you then became those with a single crown.
204Sōmnāth kā mandir banāyā hai , kitnā dhan thā .
212When the Somnath Temple was built, there was so much wealth.
205Sabsē baṛā mandir ēk hai jiskō lūṭkar lē gayē .
213That is the biggest temple and it was looted.
206Bāp kahtē haĩ tum padmāpadma bhāgyaśhālī bantē hō .
214The Father says: You are becoming multimillion times fortunate.
207Kadam-kadam par bāp kō yād kartē rahō tō padma ikaṭṭhē hōṅgē .
215Continue to remember the Father at every step and you will accumulate multimillions.
208Itnī kamāī bāp kō yād karnē sē hōtī hai .
216You are able to earn so much income by remembering the Father.
209Phir aisē bāp kō yād karnā tum bhūltē kyō̃ hō ?
217In that case, why do you forget to remember such a Father?
210Jitnā bāp kō yād karē̃gē , service karē̃gē utnā ūñch pad pāyēṅgē .
218The more you remember the Father and the more service you do, the higher the status you will claim.
211Achchhē-achchhē bachchē chaltē-chaltē gir paṛtē haĩ .
219Many good children fall as they move along.
212Kālā mũh kiyā tō key|kī kamāī chaṭ hō jātī hai .
220If you dirty your faces, all the income you have earned will be lost.
213Jabardast lottery ganvā dētē haĩ .
221You will lose a big lottery.
214Achchhā !
222Achcha.
215Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .
223To the sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.
216Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .
224The spiritual Father says namaste to the spiritual children.
Essence for dharna
217Dhārṇā kē liē mukhya sār :
225Essence for dharna:
2181 ) gr̥ihastha vyavahār sambhāltē huē buddhiyōg bāp kē sāth rakhnā hai .
226 1. While looking after your household, keep your intellect in yoga with the Father.
219Ġaphlat nahī̃ karnī hai .
227Do not become careless and make mistakes.
220Pavitratā key|kī dhārṇā sē apnā aur sarv kā kalyāṇ karnā hai .
228You have to bring benefit to yourself and others by imbibing purity.
2212 ) yād kī yātrā aur paṛhāī mē̃ hī kamāī hai , dhyān dīdār tō ghūmnā hai isliē ussē kōī phāydā nahī̃ .
229 2. There is an income to be earnt in the pilgrimage of remembrance and in this study. 230Trance is just wandering around: there is no benefit in that.
222Jitnā hō sakē sujāg hō , bāp kō yād kar apnē vikarma vināśh karnē hai .
231To whatever extent possible, remain alert. 232Remember the Father and have your sins absolved.
Blessing
223Vardān : śhrēṣhṭh smr̥iti dvārā śhrēṣhṭh sthiti aur śhrēṣhṭh vāyumaṇḍal banānē vālē sarv K|kē sahyōgī bhav
233Blessing: May you be co-operative with everyone by making your stage and the atmosphere elevated with your elevated awareness.
224Yōg kā arth|earth hai śhrēṣhṭh smr̥iti mē̃ rahnā . 225Maĩ śhrēṣhṭh ātmā śhrēṣhṭh bāp key|kī santān hū̃ , jab aisī smr̥iti rahtī hai tō sthiti śhrēṣhṭh hō jātī hai .
234 Yoga means to stay in an elevated awareness: “I, an elevated soul, am a child of the elevated Father”. 235When you have this awareness, your stage becomes elevated.
226Śhrēṣhṭh sthiti sē śhrēṣhṭh vāyumaṇḍal svataḥ bantā hai jō anēk ātmāō̃ kō apnī ōr ākarṣhit kartā hai .
236An elevated atmosphere is automatically created in an elevated stage and that attracts many souls towards themself.
227Jahā̃ bhī āp ātmāyē̃ yōg mē̃ rahkar karma kartī hō vahā̃ kā vātāvaraṇ , vāyumaṇḍal aurō̃ kō bhī sahyōg dētā hai .
237Wherever you souls do anything while staying in yoga, the atmosphere is also made to give co-operation to others.
228Aisī sahyōgī ātmāyē̃ bāp kō aur viśhva kō priya hō jātī haĩ .
238Such co-operative souls are loved by the Father and the world.
Slogan
229Slōgan : achal sthiti K|kē āsan par baiṭhnē sē hī rājya kā siṃhāsan milēgā .
239Slogan: By sitting on the seat of an unshakeable stage, you will receive the throne of a kingdom.
240*** Om Shanti ***