मंगलवार 10 सितंबर 2024 की दैनिक मुरली

दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

010-09-2024 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

0 10/09/24 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē bachchē - māyā kō vaśh karnē kā mantra hai manmanābhav , isī mantra mē̃ sab khūbiyā̃ samāī huī haĩ , yahī mantra tumhē̃ pavitra banā dētā hai ' '

1Essence: Sweet children, the mantra to control Maya is: Manmanabhav. 2All specialities are merged in this mantra. 3This mantra makes you pure.

Question

2Praśhna  : ātmā key|kī safety kā number one sādhan kaun-sā hai aur kaisē  ?

4Question: What is the number one method of safety for souls and how?

Answer

3Uttar  : yād kī yātrā hī safety kā number one sādhan hai kyōṅki is yād sē hī tumhārē character sudhartē haĩ . 4Tum māyā par jīt pā lētē hō .

5Answer: The pilgrimage of remembrance is the number one method of safety, because it is by having this remembrance that your character is reformed and you conquer Maya.

5Yād sē patit karmēndriyā̃ śhānt hō jātī haĩ .

6By having remembrance, your impure, physical organs become quiet.

6Yād sē hī bal ātā hai .

7It is by having remembrance that you receive power.

7Gyān talvār mē̃ yād kā jauhar chāhiē .

8There has to be the power of remembrance in the sword of knowledge.

8Yād sē hī mīṭhē satōpradhān banē̃gē . 9Kōī kō bhī nārāz nahī̃ karē̃gē isliē yād kī yātrā mē̃ kamzōr nahī̃ bannā hai .

9It is only by having remembrance that you become sweet and satopradhan and do not upset anyone. 10Therefore, do not become weak in the pilgrimage of remembrance.

10Apnē āpsē pūchhnā hai ki ham kahā̃ tak yād mē̃ rahtē haĩ  ?

11Ask yourself to what extent you stay in remembrance.

Murli

11Ōm śhānti .

12Om shanti.

12Mīṭhē-mīṭhē rūhānī bachchō̃ kō rōz-rōz sāvadhānī jarūr dēnī hōtī hai .

13You sweetest spiritual children definitely have to be cautioned every day.

13Kaun see|sī|C  ?

14Which caution?

14Safety first .

15Safety first.

15Safety kyā hai  ?

16What is your safety?

16Yād kī yātrā sē tum bahut-bahut safe rahtē hō .

17You keep very safe by having the pilgrimage of remembrance.

17Mūl bāt hī bachchō̃ kē liē yah hai .

18This is the main thing for you children.

18Bāp nē samjhāyā hai - tum bachchē jitnā yād kī yātrā mē̃ tatpar rahē̃gē utnī khuśhī bhī rahēgī aur manners bhī ṭhīk hōṅgē kyōṅki pāvan bhī bannā hai .

19The Father has explained: You will have happiness and very good manners to the extent that you children remain engaged in the pilgrimage of remembrance, because you have to become pure.

19Characters bhī sudhārnā hai .

20Each of you also has to reform your character.

20Apnī jāñch karnī hai - mērā character kiskō duḥkh dēnē jaisā tō nahī̃ hai  !

21Check yourself: Is my character such that it causes sorrow for others?

21Mujhē kōī dēh-abhimān tō nahī̃ ā jātā hai  ?

22Do I have any type of body consciousness?

22Yah achchhī rīti apnī jāñch rakhnī hai .

23Check yourself in this very carefully.

23Bāp baiṭh bachchō̃ kō paṛhātē haĩ .

24The Father sits here and teaches you children.

24Tum bachchē paṛhtē bhī hō tō phir paṛhātē bhī hō .

25You children study and then also teach others.

25Bēhad kā bāp sirph paṛhātē haĩ . 26Bākī tō sab haĩ dēhdhārī .

26The unlimited Father just teaches you; all the rest are bodily beings.

27Ismē̃ sārī duniyā ā jātī hai .

27The whole world is included in this.

28Ēk bāp hī vidēhī hai .

28Only the one Father is bodiless.

29Vah tum bachchō̃ kō kahtē haĩ ki tumkō bhī vidēhī bannā hai .

29He says to you children that you too have to become bodiless.

30Maĩ āyā hū̃ tumkō vidēhī banānē .

30I have come to make you bodiless.

31Pavitra bankar hī vahā̃ jāyēṅgē .

31Only after becoming pure will you go back there.

32Chhī-chhī kō tō sāth lē nahī̃ jāyēṅgē isliē pahlē-pahlē mantra hī yah dētē haĩ .

32He will not take back those who are dirty. 33That is why it is this mantra that He first gives to you.

33Māyā kō vaśh karnē kā yah mantra hai .

34This is the mantra with which to control Maya.

34Pavitra hōnē kā yah mantra hai .

35It is also the mantra with which you become pure.

35Is mantra mē̃ bahut khūbiyā̃ bharī huī haĩ , insē hī pavitra bannā hai .

36Many specialities are merged in this mantra. 37It is through this mantra that you will become pure.

36Manuṣhya sē dēvtā bannā hai .

38You have to change from human beings into deities.

37Jarūr ham hī dēvtā thē isliē bāp kahtē haĩ - apnī safety chāhō , majbūt mahāvīr bannā chāhō tō yah purūṣhārth karō .

39We definitely were deities. 40Therefore, the Father says: If you want to remain safe, if you want to become strong mahavirs, then make this effort.

38Bāp tō śhikṣhā dētē rahē̃gē . 39Bhal drama bhī kahtē rahē̃gē .

41The Father continues to give you teachings, even though He continues to say that it is the drama.

40Drama anusār bilkul ṭhīk hī chal rahā hai phir āgē kē liē bhī samjhātē rahē̃gē .

42Everything is moving along absolutely accurately according to the drama, and He will continue to explain to you in the future too.

41Yād kī yātrā mē̃ kamjōr nahī̃ bannā hai .

43You mustn't become weak in the pilgrimage of remembrance.

42Bāhar rahnē vālī bāndhēlī gōpikāē̃ jitnā yād kartī haĩ , utnā sāmnē rahnē vālē bhī yād nahī̃ kartē haĩ kyōṅki unkō taṛaphan hōtī hai śhivbābā sē milnē key|kī .

44Gopikas in bondage who live outside remember the Father even more than those who live with the Father do, because they are desperate to meet Shiv Baba.

43Jō mil jātē haĩ unhō̃ kā pēṭ jaisēki bhar jātā hai .

45The stomachs of those who have already met Him become full (satisfied).

44Jō bahut yād kartē haĩ , vah ūñch pad pā saktē haĩ .

46Those who stay in remembrance a great deal can claim a high status.

45Dēkhā jātā hai - achchhē-achchhē , baṛē-baṛē centres sambhālnē vālē mukhya bhī yād kī yātrā mē̃ kamzōr haĩ .

47It has been seen that the main ones who look after very big centres are weak in the pilgrimage of remembrance.

46Yād kā jauhar bahut achchhā chāhiē .

48There has to be very good power of remembrance.

47Gyān talvār mē̃ yād kā jauhar na hōnē kāraṇ kiskō tīr lagtā hī nahī̃ , pūrā martē nahī̃ .

49Because there is no power of remembrance in the sword of knowledge, the arrow doesn't strike anyone; they don't die completely.

48Bachchē kōśhiśh kartē haĩ gyān kā bāṇ lagākar bāp kā banāyē̃ vā marjīvā banāyē̃ .

50You children try to shoot arrows of knowledge at people and make them die alive and belong to the Father.

49Parantu martē nahī̃ , tō jarūr gyān talvār mē̃ gaṛbaṛ hai .

51However, if they don't die, there must definitely be something wrong with the sword of knowledge.

50Bābā bhal jāntē haĩ - drama bilkul accurate chal rahā hai , parantu āgē kē liē tō samjhātē rahē̃gē nā .

52Although Baba knows that the drama is moving along absolutely accurately, He still continues to explain to you for the future.

51Harēk apnī dil sē pūchhō - ham kahā̃ tak yād kartē haĩ  ?

53Each one of you can ask your heart: To what extent do I stay in remembrance?

52Yād sē hī bal āyēgā isliē kahā jātā hai - gyān talvār mē̃ jauhar chāhiē .

54It is only by having remembrance that you will receive power. 55This is why it is said that there has to be power in the sword of this knowledge.

53Gyān tō bahut sahaj rīti samjhā saktē haĩ .

56This knowledge can be explained very easily.

54Jitnā-jitnā yād mē̃ rahē̃gē utnā baṛē mīṭhē bantē jāyēṅgē .

57The more you stay in remembrance, the sweeter you will continue to become.

55Tum satōpradhān thē tō bahut mīṭhē thē .

58When you were satopradhan, you were very sweet.

56Ab phir satōpradhān bannā hai .

59You now have to become satopradhan again.

57Tumhārā svabhāv bhī bahut mīṭhā chāhiē .

60Your natures have to be very sweet.

58Kabhī rañj ( nārāz ) nahī̃ hōnā chāhiē .

61You must never get upset.

59Aisā vātāvaraṇ na hō jō kōī rañj hō .

62Let the atmosphere not be such that someone gets upset.

60Aisī kōśhiśh karnī chāhiē kyōṅki yah īśhvarīy college sthāpan karnē key|kī service bahut ūñchī hai .

63Make effort for this, because the service of establishing a Godly college is very elevated.

61Viśhva vidyālay tō bhārat mē̃ bahut gāyē jātē haĩ .

64There are many world universities remembered in Bharat.

62Vāstav mē̃ vah haĩ nahī̃ .

65In fact, they are not that.

63Viśhva vidyālay tō ēk hī hōtā hai .

66There is only the one world university.

64Bāp ākar sabkō mukti-jīvanmukti dētē haĩ .

67The Father comes and gives everyone liberation and liberation-in-life.

65Bāp jāntē haĩ sārī duniyā K|kē jō bhī manuṣhya mātra haĩ , sab khatm hōnē haĩ .

68The Father knows that all the human beings of the whole world are to die.

66Bāp kō bulāyā bhī isliē hai ki chhī-chhī duniyā kā khātmā aur naī duniyā kī sthāpanā karō .

69You have invited the Father to come and finish the dirty world and establish the new world.

67Bachchē bhī samajhtē haĩ barōbar bāp āyā huā hai .

70You children also understand that the Father truly has come.

68Abhī māyā kā pomp kitnā hai .

71There is so much pomp of Maya now.

69Fall of Pompey kā khēl bhī dikhātē haĩ .

72They show the play, "The Fall of Pompei".

70Baṛē-baṛē makān ādi banā rahē haĩ - yah hai pomp .

73They build so many big buildings etc. 74That too is pomp.

71Satyug mē̃ itnē mañjil K|kē makān bantē nahī̃ haĩ .

75In the golden age, they won't build buildings with so many storeys.

72Yahā̃ bantē haĩ kyōṅki rahnē K|kē liyē jamīn cum|kam hai .

76They build such buildings here because there is very little land where people can live.

73Vināśh jab hōtā hai tab sab baṛē-baṛē makān bhī gir paṛtē haĩ .

77When destruction takes place, all the tall buildings will fall.

74Āgē itnī baṛī-baṛī building nahī̃ bantī thī .

78Previously, they didn't make such tall buildings.

75Bombs jab chhōṛē̃gē tō aisē girē̃gē jaisē tāśh K|kē pattē girtē haĩ .

79When the bombs are released, buildings will fall like a pack of cards.

76Iskā matlab yah nahī̃ ki vahī marē̃gē bākī dūsrē rah jāyēṅgē .

80This doesn't mean that only those in the buildings will die and that others will still remain.

77Nahī̃ , jō jahā̃ hōgā chāhē samudra par hō , pr̥ithvī par hō , ākāśh mē̃ hō , pahāṛō̃ par hō , uṛ rahā hō … sab khatm hō jāyēṅgē .

81No, wherever they are, whether they are at sea, on land, in the sky, on the mountains or flying, everyone will be destroyed.

78Yah purānī duniyā hai nā .

82This is an old world.

79Jō bhī 84 lākh yōniyā̃ haĩ , yah sab khatm hō jānī haĩ .

83All the 8.4 million species will end.

80Vahā̃ naī duniyā mē̃ yah kuchh bhī hōgā nahī̃ .

84There, in the new world, none of this will remain.

81Na itnē manuṣhya hōṅgē , na machchhar , na jīv jantu ādi hōṅgē .

85There won't be so many human beings or mosquitoes or germs and insects etc.

82Yahā̃ tō ḍhēr K|kē ḍhēr haĩ .

86Here, there are so many of them.

83Ab tum bachchē bhī dēvtā bantē hō tō vahā̃ her|har chīz satōpradhān hōtī hai .

87You children are now becoming deities, and so everything there will be satopradhan.

84Yahā̃ bhī baṛē ādmī K|kē ghar mē̃ jāyēṅgē tō baṛī saphāī ādi rahtī hai .

88Here, too, when you go to a wealthy person's home, you find great cleanliness.

85Tum tō sabsē jāstī baṛē dēvtā bantē hō .

89You are becoming the greatest deities of all.

86Baṛē ādmī bhī nahī̃ kahē̃gē .

90You cannot be called important people now.

87Tum bahut ūñch dēvtāyē̃ bantē hō , yah kōī naī bāt nahī̃ hai .

91You become very elevated deities but this is not something new.

885 hazār varṣh pahlē bhī tum yah banē thē number-vār .

92You also became this, numberwise, 5000 years ago.

89Yah itnā kichṛā ādi vahā̃ kuchh bhī nahī̃ hōgā .

93There won't be so much rubbish etc. there.

90Bachchō̃ kō baṛī khuśhī hōtī hai - ham bahut ūñch dēvtā bantē haĩ .

94You children should be very happy that you are becoming very elevated deities.

91Ēk hī bāp hamkō paṛhānē vālā hai jō hamkō bahut ūñch banātē haĩ .

95Only the one Father is teaching us and making us very elevated.

92Paṛhāī mē̃ hamēśhā number-vār position vālē hōtē haĩ . 93Kōī cum|kam paṛhtē haĩ , kōī jāstī paṛhtē haĩ .

96In studying, people always have a numberwise position; some study less and others study more.

94Ab bachchē purūṣhārth kar rahē haĩ , baṛē-baṛē centres khōl rahē haĩ isliē ki baṛō̃-baṛō̃ kō mālūm paṛē .

97You children are now making effort and opening big centres, so that eminent people can find out about this.

95Bhārat kā prāchīn rājyōg bhī gāyā huā hai .

98“Ancient Raja Yoga of Bharat” has also been remembered.

96Khās vilāyat vālō̃ kō jāstī utsuktā hōtī hai - rājyōg sīkhnē key|kī .

99People abroad especially are very keen to study Raja Yoga.

97Bhāratvāsī tō tamōpradhān buddhi haĩ .

100It is the people of Bharat who have tamopradhan intellects.

98Vah phir bhī tamō buddhi haĩ isliē unhō̃ kō śhauk rahtā hai bhārat kā prāchīn rājyōg sīkhnē kā .

101Those others have tamo intellects. 102This is why they are keen to study the ancient Raja Yoga of Bharat.

99Bhārat kā prāchīn rājyōg nāmīgrāmī hai , jissē hī bhārat svarg banā thā .

103Ancient Raja Yoga of Bharat is very well known for it was through this that Bharat became heaven.

100Bahut thōṛē ātē haĩ , jō pūrī rīti samajhtē haĩ .

104Of those who come, very few understand fully.

101Svarg heaven pās|pass hō gayā sō phir hōgā jarūr .

105Heaven has passed and it will definitely exist again.

102Heaven athavā paradise hai sabsē wonder of world .

106Heaven, that is, Paradise, is the greatest wonder of the world.

103Svarg kā kitnā nām bālā hai .

107Heaven is glorified so much.

104Svarg aur nark , śhivālay aur vēśhyālay .

108Heaven and hell, the Temple of Shiva and the brothel.

105Bachchō̃ kō ab number-vār yād hai ki hamkō ab śhivālay mē̃ jānā hai .

109You children now remember, numberwise, that you now have to go to Shivalaya.

106Vahā̃ jānē kē liē śhivbābā kō yād karnā hai .

110In order to go there, you have to remember Shiv Baba.

107Vahī paṇḍā hai sabkō lē jānē vālā .

111He is the Guide who will take everyone back.

108Bhakti kō kahā jātā hai rāt . 109Gyān kō kahā jātā hai din .

112Devotion is called the night and this knowledge is called the day.

110Yah bēhad key|kī bāt hai .

113This is an unlimited matter.

111Naī chīz aur purānī chīz mē̃ bahut phark hōtā hai .

114There is a lot of difference between something new and something old.

112Ab bachchō̃ key|kī dil hōtī hai - itnī ūñch tē ūñch paṛhāī , ūñchē tē ūñchē makān mē̃ ham paṛhāyē̃ tō baṛē-baṛē lōg āyēṅgē .

115Some children have the desire to teach such an elevated study in big buildings, so that eminent people will come.

113Ēk-ēk kō baiṭh samjhānā paṛtā hai .

116You have to sit and explain to each one individually.

114Vāstav mē̃ paṛhāī vā śhikṣhā kē liē ēkānt mē̃ sthān hōtē haĩ .

117In fact, there are places of solitude for studying.

115Brahm-gyāniyō̃ K|kē bhī āśhram śhahar sē dūr-dūr hōtē haĩ aur nīchē hī rahtē haĩ .

118The ashrams of the brahm gyanis are always far away from the cities and they always live on the ground floor.

116Itnē ūpar key|kī mañjil par nahī̃ rahtē haĩ .

119They don't live on the higher floors of such tall buildings.

117Abhī tō tamōpradhān hōnē sē śhahar mē̃ andar ghus paṛē haĩ .

120Now, because they are tamopradhan, they have pushed their way into the cities.

118Vah tākat khatm hō gaī hai .

121That power has now finished.

119Is samay sabkī battery khālī hai .

122At this time, everyone's battery is empty.

120Ab battery kō kaisē bharnā hai - yah bāp K|kē sivāē kōī bhī battery charge kar na sakē .

123How can the batteries now be charged? 124No one, except the Father, can charge the batteries.

121Bachchō̃ kō battery charge karnē sē hī tākat ātī hai .

125It is only by charging your batteries that you children receive strength.

122Uskē liē mukhya hai yād .

126For that, the main thing is remembrance.

123Usmē̃ hī māyā K|kē vighna paṛtē haĩ .

127It is in this that there are obstacles of Maya.

124Kōī tō surgeon kē āgē sach batlātē haĩ , kōī chhipā lētē haĩ .

128Some tell the Surgeon the truth, whereas others hide things.

125Andar mē̃ jō khāmiyā̃ haĩ , vah tō bāp kō batlānī paṛē .

129Each of you has to tell the Father about the weaknesses within you.

126Is janm mē̃ jō pāp kiyē haĩ , vah avināśhī surgeon kē āgē varṇan karnā chāhiē , nahī̃ tō vah dil andar khātā rahēgā .

130You should tell the imperishable Surgeon the sins that you have committed in this birth. 131Otherwise, your conscience will continue to bite you.

127Sunānē kē bād phir khāyēgā nahī̃ .

132After telling Baba about them, your conscience will not bite.

128Andar rakh lēnā - yah bhī nuksān-kārak hai .

133To keep them inside you is also harmful.

129Jō sachchē-sachchē bachchē bantē haĩ , vah sab bāp kō batlā dētē haĩ - is janm mē̃ yah-yah pāp kiyē haĩ .

134Those who become true children tell the Father everything: These are the sins I have committed in this birth.

130Din-pratidin bāp zōr dētē rahtē haĩ , yah tumhārā antim janm hai .

135Day by day, the Father continues to emphasise that this is your final birth.

131Tamōpradhān sē pāp tō jarūr hōtē hōṅgē nā .

136Those who are tamopradhan must surely be committing sin.

132Bāp kahtē haĩ maĩ bahut janmō̃ K|kē ant mē̃ jō number one patit banā hai , unmē̃ hī pravēśh kartā hū̃ kyōṅki unkō hī phir number one mē̃ jānā hai .

137The Father says: I enter the one who has become number one impure at the end of his many births, because he is the one who then has to claim number one.

133Bahut mēhnat karnī paṛtī hai .

138A lot of effort has to be made.

134Is janm mē̃ pāp huē tō haĩ nā .

139You have committed sins in this birth too.

135Kaiyō̃ kō patā hī nahī̃ paṛtā hai ki ham yah kyā kar rahē haĩ . 136Sach nahī̃ batlātē haĩ .

140Some don't even realise what they are doing; they don’t tell the truth.

137Kōī-kōī sach batlā dētē haĩ .

141Some do tell the truth.

138Bāp nē samjhāyā hai - bachchē , tumhārī karmēndriyā̃ śhānt tab hōtī haĩ , jab karmātīt avasthā bantī haĩ . 139Jaisē manuṣhya būṛhē hōtē haĩ tō karmēndriyā̃ automatically śhānt hō jātī haĩ .

142The Father has explained: Children, your physical organs will become quiet when you reach your karmateet stage, just as when people become old, their physical organs automatically quieten down.

140Ismē̃ tō chhōṭēpan mē̃ hī sab śhānt hō jānā chāhiē .

143Here, all the physical organs have to be quietened at a young age.

141Yōgbal mē̃ achchhī tarah rahē tō in sab bātō̃ key|kī end hō jāē .

144If you keep the power of yoga with you very well, all of those things will end.

142Vahā̃ kōī aisī gandī bīmārī , kichaṛpaṭṭī ādi kuchh nahī̃ hōtā hai .

145There, there are no dirty illnesses or rubbish or anything like that.

143Manuṣhya baṛē sāph-śuddha rahtē haĩ .

146People are very clean and tidy there.

144Vahā̃ hai hī rām rājya . 145Yahā̃ hai rāvaṇ rājya , tō anēk prakār key|kī gandgī key|kī bīmāriyā̃ ādi haĩ .

147There, it is the kingdom of Rama, whereas here, it is the kingdom of Ravan. 148So, there are many types of bad illnesses etc. here.

146Satyug mē̃ yah kuchh hōtī nahī̃ .

149In the golden age, none of them will exist.

147Bāt mat pūchhō .

150Don't even ask!

148Nām hī kitnā first class hai - svarg , naī duniyā .

151The very name is so first class: heaven, the new world.

149Baṛī saphāī rahtī hai .

152There is a lot of cleanliness there.

150Bāp samjhātē haĩ - is purūṣhōttam saṅgamyug par hī tum yah sab bātē̃ suntē hō .

153The Father explains: It is only at this most auspicious confluence age that you hear all of these things.

151Kal nahī̃ suntē thē .

154Yesterday, you didn't hear any of this.

152Kal mr̥ityulōk K|kē mālik thē , āj amar-lōk K|kē mālik bantē hō .

155Yesterday, you were the masters of the land of death whereas today, you are becoming the masters of the land of immortality.

153Niśhchay hō jātā hai kal mr̥ityulōk mē̃ thē , abhī saṅgamyug par ānē sē amarlōk mē̃ jānē kē liē tum purūṣhārth kar rahē hō .

156You have the faith that you were in the land of death yesterday and that, by coming into the confluence age, you are now making effort to go to the land of immortality.

154Paṛhānē vālā bhī ab milā hai .

157You have now found the One who can teach you.

155Jō achchhī rīti paṛhtē haĩ tō paisā ādi bhī achchhā kamātē haĩ .

158Those who study well can also earn a good income.

156Balihārī paṛhāī kī kahē̃gē .

159It would be said that their greatness is in their studying.

157Yah bhī aisē hai .

160It is the same here, too.

158Is paṛhāī sē tum bahut ūñch pad pātē hō .

161You claim a very high status through this study.

159Abhī tum rōśhnī mē̃ hō .

162You are now in the light.

160Yah bhī sivāē tum bachchō̃ K|kē aur kōī kō mālūm nahī̃ hai .

163No one else, apart from you children, knows this.

161Tum bhī phir ghaṛī-ghaṛī bhūl jātē hō .

164You too repeatedly forget this.

162Purānī duniyā mē̃ chalē jātē hō .

165You go back to the old world.

163Bhūlnā mānā purānī duniyā mē̃ chalē jānā .

166To forget means to go back to the old world.

164Abhī tum saṅgamyugī brāhmaṇō̃ kō mālūm hai ki ham kaliyug mē̃ nahī̃ haĩ .

167You confluence-aged Brahmins now know that you are not in the iron age.

165Yah sadaiv yād rakhnā hai ham nayē viśhva K|kē mālik ban rahē haĩ .

168Always remember that you are becoming the masters of the new world.

166Bāp hamkō paṛhātē hī haĩ naī duniyā mē̃ jānē kē liē .

169The Father is teaching us so that we can go to the new world.

167Yah hai śhuddha ahaṅkār . 168Vah hai aśhuddha ahaṅkār .

170This pride is pure whereas the other is impure pride.

169Tum bachchō̃ kō tō kabhī aśhuddh khyālāt bhī nahī̃ ānē chāhiē .

171You children should never have impure thoughts.

170Purūṣhārth kartē-kartē ākhrīn pichhāṛī mē̃ result nikalēgī .

172At the end, after efforts have been made, the result will be announced.

171Bāp samjhātē haĩ is samay tak sab purūṣhārthī haĩ .

173The Father explains: Until that time, all are effort-makers.

172Imtahān jab hōtā hai tō number-vār pās|pass hō phir transfer hō jātē haĩ .

174When the examination takes place, souls pass, numberwise, and are then transferred.

173Tumhārī hai bēhad key|kī paṛhāī jiskō sirph tum hī jāntē hō .

175Yours is an unlimited study which only you know.

174Tum kitnā samjhātē hō .

176You explain so much.

175Nayē-nayē ātē rahtē haĩ bēhad K|kē bāp sē varsā pānē kē liē .

177New ones continue to come to claim the inheritance from the unlimited Father.

176Bhal dūr rahtē haĩ phir bhī suntē-suntē niśhchay buddhi hō jātē haĩ - aisē bābā K|kē sammukh bhī jānā chāhiē .

178Although they live far away, their intellects develop faith by listening to this. 179You should also come personally in front of such a Baba.

177Jis bāp nē bachchō̃ kō paṛhāyā hai , aisē bāp sē sammukh tō jarūr milnā chāhiē .

180You should definitely personally meet the Father who educates you children.

178Samajhkar hī yahā̃ ātē haĩ .

181It is only when souls understand this that they come here.

179Kōī nahī̃ samajhē huē haĩ tō bhī yahā̃ ānē sē samajh jātē haĩ .

182Some haven't understood anything but then, when they come here, they are able to understand.

180Bāp kahtē haĩ dil mē̃ kōī bhī bāt hō , samajh mē̃ nahī̃ ātī hō tō bhal pūchhō .

183The Father says: If you have anything in your hearts and you are unable to understand, you may ask.

181Bāp tō chumbak hai nā .

184The Father is the Magnet.

182Jiskī takdīr mē̃ hai vah achchhī rīti pakaṛ saktē haĩ .

185Those who have it in their fortune are able to grasp this very well.

183Takdīr mē̃ nahī̃ hai tō phir khalās .

186If it is not in their fortune, then everything is over.

184Sunā-ansunā kar dētē haĩ .

187They simply ignore everything they have heard.

185Yahā̃ kaun baiṭh paṛhātē haĩ  ?

188Who sits here and teaches you?

186Bhagvān .

189God.

187Unkā nām hai śhiv .

190His name is Shiva.

188Śhivbābā hī hamkō svarg kī bādśhāhī dētē haĩ .

191It is Shiv Baba alone who gives us the sovereignty of heaven.

189Phir kaun-sī paṛhāī achchhī  ?

192Then, which study would be better?

190Tum kahē̃gē hamkō śhivbābā paṛhātē haĩ jissē 21 janmō̃ key|kī bādśhāhī miltī hai .

193You would say that Shiv Baba, from whom we receive the sovereignty for 21 births, is teaching us.

191Aisē-aisē samjhātē-samjhātē lē jātē haĩ .

194By explaining in this way, you can then bring them to Baba.

192Kōī tō pūrā na samajhnē kāraṇ itnī service nahī̃ kar saktē haĩ .

195Some are unable to do that much service because they don’t understand fully.

193Bandhan key|kī jañjīrō̃ mē̃ jakaṛē rahtē haĩ .

196They are totally caught in the chains of bondages.

194Śhurū mē̃ tō tum kaisē apnē kō jañjīrō̃ sē chhuṛākar āyē . 195Jaisē kōī mastānē hōtē haĩ .

197In the beginning, you simply freed yourselves from the chains and came here, just like those who are totally intoxicated.

196Yah bhī drama mē̃ part thā jō kaśhiśh huī .

198It was also a part of the drama that there was that pull.

197Drama mē̃ bhaṭṭhī bannī thī .

199The furnace (bhatthi) had to be created in the drama.

198Jītē jī marē phir māyā key|kī taraph kōī-kōī chalē gayē .

200You died alive, and then some went back to Maya.

199Yuddha tō hōtī hai nā .

201The war continues.

200Māyā dēkhtī hai - isnē baṛī himmat dikhāī hai . 201Ab ham bhī ṭhōk kar dēkhtē haĩ ki pakkē haĩ vā nahī̃  ?

202Maya sees that you have shown great courage, and so she also hits you to test whether you are strong or not.

202Bachchō̃ key|kī kitnī sambhāl hōtī thī .

203The children were looked after so well.

203Sab kuchh sikhlātē thē .

204Everything was taught to them.

204Tum bachchē album ādi dēkhtē hō lēkin sirph chitra dēkhnē sē bhī samajh na sakē̃ .

205You children look at those albums, but you cannot understand anything simply by looking at photos.

205Kōī baiṭh samjhāyē ki kyā-kyā hōtā thā .

206Who would sit and explain about what used to happen?

206Kaisē bhaṭṭhī mē̃ paṛē thē , phir kōī kaisē nikalē , kōī kaisē .

207Look how you were in the bhatthi, and then how some came out of it in different ways.

207Jaisē rūpayē chhaptē haĩ tō bhī kōī-kōī kharāb hō paṛtē haĩ .

208Similarly, when rupees are printed, some of them would be faulty.

208Yah bhī īśhvarīy missionary hai .

209This is also the Godly mission.

209Īśhvar baiṭh dharm key|kī sthāpanā kartē haĩ .

210God sits here and establishes one religion.

210Yah bāt kiskō bhī patā nahī̃ hai .

211No one knows this.

211Bāp kō bulātē bhī haĩ parantu jaisē tavāī , samajhtē hī nahī̃ .

212They call out to the Father, but they are like crazy people who don't understand anything.

212Kahtē haĩ yah kaisē hō saktā hai .

213They ask: How is this possible?

213Māyā rāvaṇ ēkdam aisā banā dētī hai .

214Maya, Ravan, makes them totally like that.

214Śhivbābā key|kī pūjā bhī kartē haĩ phir kah dētē sarvavyāpī .

215People worship Shiv Baba and then they say that He is omnipresent.

215Śhivbābā kahtē hō phir sarvavyāpī kaisē hōgā .

216If you speak of Shiv Baba, how can He be omnipresent?

216Pūjā kartē haĩ , liṅg kō śhiv kahtē haĩ .

217People worship a lingam and call it Shiva.

217Aisē thōṛēhī kahtē ki ismē̃ śhiv baiṭhā hai .

218They do not say that Shiva is sitting in it.

218Ab patthar-ṭhikkar mē̃ bhagvān kō kahnā . . tō kyā sab bhagvān hī bhagvān haĩ .

219They say that God is in the pebbles and stones. 220Does that mean that all are God?

219Bhagvān unlimited tō nahī̃ hōṅgē nā .

221God cannot be unlimited in that way.

220Tō bāp bachchō̃ kō samjhātē haĩ , kalp pahlē bhī aisē samjhāyā thā .

222So, the Father explains to you children. 223He also explained in the same way in the previous cycle.

221Achchhā  !

224Achcha.

222Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .

225To the sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

223Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

226The spiritual Father says namaste to the spiritual children.

Essence for dharna

224Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

227Essence for dharna:

2251 ) aisā mīṭhā vātāvaraṇ banānā hai jismē̃ kōī bhī nārāz na hō .

228 1. Create such a sweet atmosphere that no one can become upset.

226Bāp samān vidēhī bannē kā purūṣhārth karnā hai .

229Make effort to become as bodiless as the Father.

227Yād K|kē bal sē apnā svabhāv mīṭhā aur karmēndriyā̃ śhānt karnī haĩ .

230Make your nature sweet and your physical organs quiet with the power of remembrance.

2282 ) sadā isī naśhē mē̃ rahnā hai ki abhī ham saṅgamyugī haĩ , kaliyugī nahī̃ .

231 2. Constantly maintain the intoxication of your now being confluence aged and not iron aged.

229Bāp hamē̃ nayē viśhva kā mālik banānē kē liē paṛhā rahē haĩ .

232The Father is teaching you in order to make you into the masters of the new world.

230Aśhuddh khyālāt samāpt kar dēnē haĩ .

233Finish all impure thoughts.

Blessing

231Vardān  : akāl takht aur diltakhta par baiṭh sadā śhrēṣhṭh karma karnē vālē karmayōgī bhav

234Blessing: May you constantly perform elevated acts as a karma yogi by remaining seated on your immortal throne and the heart throne.

232Is samay āp sabhī bachchō̃ kō dō takht miltē haĩ - ēk akāl takht , dūsrā dil takht .

235 At this time each one of you children receives two thrones: one is your immortal throne and the other is the heart throne.

233Lēkin takht par vahī baiṭhtā hai jiskā rājya hōtā hai .

236However, only the one whose kingdom it is can sit on his throne.

234Jab akāl takhtnaśhīn haĩ tō svarājya adhikārī haĩ aur bāp K|kē dil takhtnaśhīn haĩ tō bāp K|kē varsē K|kē adhikārī haĩ , jismē̃ rājya bhāgya sab ā jātā hai .

237Since each of you is seated on an immortal throne, you have a right to self-sovereignty. 238Then, because you are seated on the Father’s heart throne, you have a right to the Father’s inheritance, in which all the fortune of the kingdom is included.

235Karmayōgī arthāt dōnō̃ takhtnaśhīn .

239A karma yogi means one who is seated on both thrones.

236Aisī takhtnaśhīn ātmā kā her|har karma śhrēṣhṭh hōtā hai kyōṅki sab karmēndriyā̃ law aur order par rahtī haĩ .

240Every act of a soul seated on such thrones is elevated because all of his physical organs and senses function under law and order.

Slogan

237Slōgan  : jō sadā svamān key|kī seat par set rahtē haĩ vahī guṇvān aur mahān haĩ .

241Slogan: Those who remain constantly set on the seat of self-respect are virtuous and great.

242*** Om Shanti ***